01st August 2012 Day 18 Azkaar e Nafia


Ayah 61-72 wahid yaha Allah apne NABI ki jaan ki qasam khaa rahe hian



Yüklə 126,36 Kb.
səhifə2/3
tarix28.10.2017
ölçüsü126,36 Kb.
#17340
1   2   3
Ayah 61-72

wahid yaha Allah apne NABI ki jaan ki qasam khaa rahe hian
Ayah 77

hajjaz se sham jaate huey raaste mei ye ilaaqa aata hai

Shukar jab maalik ki khilaaf ho tu shirk mei badal jaata hai

jo aik Rabb ki qadar na kare wohi doosroan ko saath milata hai

jo mard apni jaiz beewiyoan ko chor ke doosroan ke paas jayein tu na shukre

beewiyaan bhi haqq na dein shoharoan ka tu na shukri

na shukraa insaan humaisha apna nuqsaan kerta hai

shukar guzaar rehna hai nahi tu nemat chin jaati hai
aeka = jungle - 78 onwards

qom-e madyan = as'haabe aeka
80- surah hijr ka naam is waja se
Ayah 83-84

Allah ne iss qom ko taqat di thi, physically bohat taqatwar the.

umarein 200/300 saal hoteen theen. Chooney matti ke ghar mei rehte tu wo inn ki zindagi mei puraane ho jaate the tu Allah ne inn ke nahunoan ko itna sakht kar diya ke ye unn ke saath carving kar ke pathroan mei ghar banate. Innhoan ne na-qadri aur na-shukri ki.

Aaj hame Allah ne kitni skills deen, nematein deen, lekin kiya kaam mei laa rahe hain ya Allah se doori ke liye istemaal kar rahe hain?
Ayah 85-92

purpose of life- kainaat maqsad pe banayii gayii

haqq: insan iss duniya mei akhirat ko paane ke liye bheja gaya

iss duniya mei rehte huey Allah ko Al Haqq samajhte huey uss ke bataye baatoan pe amal karein aur Jannat tak pohanch jayein

ba maqsad insan ko doosroan ki fikrein nahi hoteen

great minds discuss ideas, logoan ko nahi

average minds discuss people
aaj hum average ho chuke?

fashion ki baat, khane peene ki baat

zindagi ka maqsad pehn-na orhna bana liya!!
87 - Surah fateha ke baare mei –

88- HIGHLIGHT sirf wo karein ge jo Allah ke hukam se bazaabta tor pe Quran se jure huey hain. Jo jaha bhi beth ke Quran ki taleem le raha hai, Allah message de rahe hain ke ab doosroan ki cheezein dekh ke impress nahi hua karo.

Hadees ka khulasa aur mafhoom- jisse Allah ne quran ki nemat di aur iss ke baad wo duniya waaloan ki cheezoan ko dekh ker mutasir ho tu uss ne Quran ka na qadri ki.

Jis ne Quran paa liya, uss ke paas tu wo hai jo doosroan ke paas nahi hai!
Ataya jaa raha hai ke munasib waqt ka intezaar kar ke sathiyoan ki galtiyoan pe toko

jahannum mei jana asaan hai, jannat mei jaana mushkil!!

naiki mei average pe qayeib rehna bhi relatively asaan

excellency ko paana sab se mushkil – ye k2 ko sarr karne ke barabar hai!

toote huey diloan ko aur nahi torna - balke naye dene ki taraf aane waloan ko bohat muhabbat dein – koi pata nahi kiya kiya chor ke deen ki taraf aaya hai!

Agar naye aaye hain Islam mei ty: Fa asfahis-safhal jameel aur agar jamm chuke tu La Tamud-danna ainaika illa maa matta’na beehii azwaja.

leader ko message: aap itna na kurhein

makkah waale budhu the, Allah ke nabi ki kamyabai - unn ko adab seekha diya

khair aur sabar!!!

quran ki nemat ki qadar karo***

quran ko tukre tukre kar liyaaaj logoan ne aur firqoan mei batt gaye
Ayah 94 - phir Nabi ne khullam khulla tableegh shuru kar di - zimedaari ka ehsas bohat barh gaya
Ayah 95

hamare pyare Nabi ka mazaaq uraya jaata tha
Ayah 96

Aise log mazaaq uraate the
Ayah 97

Dil ko takleef tu hoti hai lekin gussa nahi

kyounke deen ka kaam apne liye nahi, Allah ke liye hai
Ayah 98

Aisoan ka ilaaj

Apne RABB ki hamd ke saath tasbeeh aur sajda!

aur akhri ghari tak RABB ki bandagi!!

aur akhirat pe yaqeen!

logoan ki baat pe dil dhukhe tu SubhanAllah - aur phir sajda jaha Allah ke siwa koi nazar nahi aata

akhri damm tak ibadat

yaqeen se muraad maut - marte dam tak ibadat ki halat mei raho

*** Surah Nahl ***
Surah ka aik aur naam = Surat un Ne’m = Nematoan waali surat

Tarteeeb se 16th surah aur Tarteeb-e nazool se 70th – Makki Surah!
Iss Surah mei inn cheezoan ki khaas tor se dawat aur tazkara:

  • Tafakkur karo

  • Nematoan ko dikhaya jaa raha hai ke aik khair kis tarah doosri khair ko faaida deti hai, kainat ki cheezoan jo doosroan ko faida de rahi hai

  • Shirk ki nafi aur Tawheed ka asbaat

  • Na-shukri ke rawayye


Nahl - shehad ki makhi, uss ka tarze amal dikhe gaa ke faida sab ke kaam mil ker karne mei hai! Team Work!
Ayah 1

Allah ka faisla ; hijrat ka faisla!

Makah waale sata chuke jitna satana tha, AAP s.a.w ki maut ki tayariyaan mukammal theen, itne mojaze dekhe lekin na maane tu Allah ka hukam aa gaya

har nabi se wada - nabi logoan mei rahe aur rawayye na shukri ke hoan tu hijrat aur azaab ka faisla Allah swt ka

Nabi ka wajood kisi qom may rooh ke terhan hai , nabi nikal jaye tu qom berbaad ho jati hai

Nabi ki hijrat = qom ka azaab!!!
Ayah 2

bande ko na shukri se taqwa rokta hai, Allah ki nematoan ka ehsas bhi taqwa ki aik qism hai

phir insan gunahoan se bachta aur naikiyan karte darta hai ke haqq ada nahi kiya
Ayah 3

haqq yaani maqsad se paida kiya

Allah ko shirk se faraq nahi parta

shirk = na shukri

Allah ka kuch nahi bigarta, nuqsan apna
Ayah4

Insan ki auqaat

Ae insan tu kis cheez se paida kiya gaya?

jis Rabb ne bolne ki taqat di, hum ussi se jhagarne lage

takabbur!!!

kabhie insan apne mohsinoan ki na shukri kar ke khair nahi paaye ga

Jo apne mohsinoan ka haq ada na karein, wo tabah o barbaad ho jaate hain!
Ayah 5 - Ab janwaroan ki takhleeq

Poshaak = leather jackets/skin

Horaak = meat
Ayah 6

Kabhie socha ye chote janwar Allah ki chalti phirti factories hain!

aik aik cheez insaniyat ke faidake liye janwaroan mei

Sheep/bher; jism ki aik aik cheez insaniyat ko faaida de rahi hai!

Macharoan ke faaide - wabaein paida hone se rokte hain - khaas qism ke bacteria ko kha jata hai jo otherwise hum mei beemaariyaan laata hai!
Allah ki banayii sab cheezoan aur makhlooq mei jamaal aur kamaal aik saath hai – khoobsurat bhi aur faaida mand bhi!

Hamari banayi cheezoan mei ya tu kamal hai ya Jamaal!
Ayah 7

hamara kitna wazan uthaate hai ye gadhe, hamara masla ke hum fitrat se door ho gaye

jo insan ki banayi duniya mei rahe ga usse insanoan se pyar ho ga, fitri mahol mei rehne waale Allah se qareeb hote hian

Activity - open air mei so ke dekhein

Gor o Fikar ki adat dekhin, phir dekhein Allah se kitna pyaar ho gaa!
Ayah 8

bata diya aik waqt aaye ga ke kitna kuch ho ga; gaariyaan, jahaaz wageira, Tab koi nahi aanta tha inn ke bare mei aur aaj hum nahi jaante kal kiya kiya ban-ne wala hai - kal gadhe the, aaj gaari jahaz aur kal hum nahi jaante kiya!!
Ayah 9

Allah hi seedhe raaste pe laata hai - lagta hai?

ird gird kitni distractions

Allah ki shaan ke sab mei se nikaal ke kitaab ki mehfil mei le aata hai

shukar karein aur dua ke jo Allah in raastoan pe laya, wo inn hi pe chalate rakhe – ameen
Ayah 10-11 - ACTIVITY: fruit chaat banate huey ya fruit kaat-te huey ghar waaloan ko saath mila ke gor karna hai

fruits ke rang dekh ke Allah ko nahi pehchante?

duniya black and white hoti tu bore ho jaate

Allah pe gor karein har cheez mei

hame nafa mand ban-na hai - yehi shukar guzari ka aala muqaam hai

kainaat bol bol ke baa rahi hai nafe waale bano

aaj musalman manzar se hatt gaye ke kissi ke liye nafa mand nahi rahe
Ayah 12-13 - gor o fikar

khirki se baahir dekhein kitne rang nazar aate hain

aasmaan ko dekhein - kitne rang, esp jab soorajh doob raha ho

baadil urr rahe hote hain

qayamat aaye gi tu aasmaan surkh ho jaaye ga

har colour ka mood pe asar hota hai

blue = calm

green = soothing

red = emotions

skin colour = thehraao

khush ho ke kapre pehnein , shukar karein aur Allah ki raah mei aur kaam karein
Ayah 14

sea food, pearl

shukar karna hai - sab nematein istemaal kar ke

khoob khayein, pehnein lekin shukar - Allah ko nahi bhoolna

dene waale ko bhoolein ge tu ye cheezein wabaal banti hain
Ayah 15

pahar = nails/mekhein iss zameen ki!

qayamat ke din pahar uthein ge tu zameen hil jaaye gi aur nizam talpat ho jaaye ga



Ayah 16

zameen mei alamatein = khushki/tarr ke raste , raigistaan

goro fikar karein ge tu faaida

sitaroan ka 3rd purpose hai iss ayah mei

  • hame raasta dikhaate hain


Ayah 17

Allah hum se sawaal kar rahe hain

barabar ho sakte hain? Nahi
Ayah 18

aik nemat bhi ginn na chahein Allah ki tu hargiz nahi gin sakte

kisi ke sar ke baal gin sakte hain?

aangan mei lage aik darakh ke patte gin sakte hian?

shaam ko pakne waale chawaloan ke daane gin sakte hain?

aik nemat nahi gin sakte, nematen kaise ginein ge? tu akar kyoun? na shukri kyoun?? dil khol lo!

gunahoan pe pakar nahi ho rahi abhi forum ke darguzar aur bakhshne wala hai Allah swt!
Ayah 19 - Allah sab jaante hain!!!!!

itna jaan-ne wala muaf kare tu kitna raheem hai wo

ACTIVITY: Abhi se le ker kal tak har kaam ko shaoori sochna hai ke chahti hoon iss kaam ka doosroan ko pata chale? aur sochna ke Allah jaante hain mei kar rahi hoon
Ayah 20-21

khud qabar mei jaa chukka, zinda nahi murda hai

ye tak nahi jaanta ke kab doobara uthaya jaaye ga!!!

koi naik bazurgh jis ka mazar dikhta hai aaj - bebas shakhs - aaj uss ki qabar pe jaa ke kuch maangoon tu sochein meri awaaz uss ne suni hai??

jo sun nahi sakta, matti hata ke khud ko bahir nahi kar raha, tu hame kaise kuch de gaa??
Ayah 22-23 – Tu maan jaao ke Rabb tu aik hi hai!

Aur agar akhirat mei imaan nahi tu takabbur mei pare huey hain aise log!
un logoan ki batein jiko Quran acha nahi lagtta ooper ki gayeen – Jab Nabi s.a.w haqq ki dawat dete makkah mei aur baat phelne lagi tu log poochate ye nabi kiya baatein karta hai? Ye jo Quran ka itna shor sun rahe hain tu ye kiya hai?

tu aisoan ke jawaab' Ayah 24

Ayah 24 - aasaaterul awwaleen - puraani baatein – aaj ked or mei Quran se kuch nahi mile gaa! quran ki value nahi pehchante the wo.

aur dar tha ke aa ke nabi ki batein na sun lein ke maan na jayein tu kehte bas aise hi hai, aap ki haisiyat kam karne ki koshish karte.
Ayah 25-26 - nadamat ki baatein – ke aise log nadaan hain

zimedari = doosroan ko hidayat se door karne ki
Ayah 27- HIGHLIGHT – ‘aeyna shurakaai yallazeena kuntum tushaaq-quna feehim’... batao kidher hain wo shareek jin ke bare mei haqq waaloan se jhagre karte the?
Ayah 28 - 29 – aise zaalimoam ka maut ka waqt!

zindagi pasand ki, maut ke waqt ka muamala - farishtoan ko dekh ke sulah karna chahein ge

zindagi mei Allah se door, uss waqt kuch qabool nahi kiya jaaye gaa

ab inn ke baraqs logoan ki baatein:
Ayah 30 onwards

Allah ke mutaqqi logoan se sawalaat pooche jaate hain, Jawab: - HIGHLIGHT – ‘Khairaa’ - behtareeen cheez utari hai
Ayah 31

Akhirat ka khoobsurat tareen ghar!!

hamesha qayaam ki jannatein

sab khawahishoan ke mutabiq!
Ayah 32- Mutaqqi logoan ke maut ka waqt!

tayyabeen ki baat hui yaha.

Kon log tayyab hain?

  • Allah ne un ki baat ki jin ki maut se pehle unn ko Allah ka Quran bohat khoobsurat lagta tha

  • Innki zindagi pakeezgi ki halat mei guzri thi


Zindagi paak hoti hai;

Kalma tayyab parhne waale ki zindagi pakeeza hoti hai

Banda momin pakeeza hota hai tu zindagi mei halal aata hai, jhooti batein nikal jaati hain, sochein paak hoti hain, aur pichli zindagi ke gunaah istaghfar ki kasrat se naikiyoan mei badal jaate hain.

aas paas waloan ko nafa deta hai momin! Iman mazboot hota hia tu amal bhi mazboot!

Banda tayyabbanta hai; doosroan ko naiki ka hukam kar ke aur burayi se rok ker!

Jo shakhs duniya mei aazmaishoan ki aandhi pe jama raha, qabar mei munkar nakeer ke sawaloan pe bhi jame ga! Kalma Tayyab ki jarein dil mei jaati hain!
Jitna talluq billah mazboot, utne zyada hum deen mei kaam karne waale hoan ge. Aaj islam ko pakeeza darakhtoan ki zaroorat hai, deen se jurna!

Jis ke paas j oho, wohi doosroan ko deta hai! log darakht ko pathar maarte hain, jawab mei phal milta hai
Quran ka peghaam = khud ko paak kar lo

sharaab pasand nahi ke soch gandi hoti hai

kalma tayyab = zuban se le ke dil aur dil se le ker har uzw ko paak kar deta hai
Ayah 33 - 34 - maut ke farishte
Ayah 35

shirk ka ilzaam Allah pe laga rahe hain

taqdeer hukam nahi ilm hai
Ayah 36

Apne taghootoan ko khud dhoondana hai
Ayah 37

Nabi s.a.w ke tarap ka tezkra

Log hidayat chor ke aaleeshaan zindagi bhi guzaar lein, sakoon nahi mile gaa!

Allah farma rahe hain Nabi aap na jala karein, inn ki apni zindagi ki maeeshat e zen he bataye ge kay yeh kis galat rastay pe hain

Cain aaj issi liye nahi hai! Maza nahi mila, na sharaab mei, na parties mei, na kaproan mei – ye miley ga tu Allah ki hidayat mei hi miley ga aur hidayat maangne se mile gi!

Allah kehtay hain may jis ko hidyata deta ho us ko he milti hai! Allah Al-Hadi hai, hum qadar na karein tu wo qadar karna chor de ga.



Ayah 38 -40 – aqeeda bil akhira kamzor aisoan ka!

Allah qudret wala hai – pakar ke bhi deen ki taraf laa sakta hai lekin aisa nahi kaha! Jism ke ander ka aik aik uzw khud kaam kar raha hai Allah ke hukam se, tu berooni uzw hamare ehtyar mei aazmaaish ke liye de diye

yeh choice ke baat hai , Allah ko us banday per piyar ata hai jo khushi say ata hai

jo khud ko pity feel kerta howa ata hai , us ke tu shaid namaz bhe qaboool nahi hoti, apnay dil say aye!

Allah kehte hain you are intelligent. tumhain pata hai kay tumhara kis may faida hai, jo beshak issi raah mei hia. Aur ab agar marzi se aa gaye ho tu qurbaniyoan ke liye tayaar raho.

Ab agay phir hijrat ki baat;



Ayah 41-42

her banda jis ko khawahish hai jannat ki, us ko mushkilaat say guzerna peray ga

jo pressure berdasht nahi ker sakta wo precious nahi ban sakta!

hum sub carbon hain, humain pressure berdasht kerna hai tu diamond ki tarah precious banein ge.
hidayat kay rastay may hijret sab se bara milestone hai

Aik buzurg thuk gaye tu kaha, aye dunya , may ne tujhay talaq di, mei tujhey teen tallaqein deta hoon, tu mujhay chor day!

Agar deen ke raste mei sab hamari marzi ka ho tu deen bin nafs kiya hai? Phir kon nahi kare gaa? Deen ka raasta saree zindagi ka phase hai, mushkilaat ka safar!

aaj ki masjid e nabwi koi dekh ker assume nahi ker sakta kay jub barish hoti thee tu 3 days tuk pani tapakta rehta tha – hamare paas tu aisi koi kami nahi – haan na-shukri zaroor hai! Asal kaam shukar hai

Allah swt paak kertay hain mushkilat say

Munafiq pe mushkil aaye aur wo ilam se nikal jaaye tu wo Allah Tallah islam ko aise logoan se paak kar rahe hote hian.
Sirf inspiration say kaam nahi hoga , sabar or mushkil k liye tayyar ho jayye

kuch to azzmaish ay gi

Ashaab-e suf mei the Abu Huraira r.a – bhook pyaas sab bardaasht ki deen ke liye!!

Kuch log nabi saw k saath 23 saal say thay , woh utna na ley sakay jitna 3 saal main Hazrat Abu Huraira r.a nay le liya aur aaj Ameerul Momeneen fil Hadees hain!

Ae Allah mujhey ilm dost bana de – Ameen.

tawakkal , hijrat main sabar ki zaroorat

Aaj dora e quran ker rahay hain hum , aaj nisf tak pohchay hain , agay bhi barhay gai , lekin asal baat hai k is k baad humara shoq or jazba kaha jay ga

Allah nay subul as salam ki shakal main humaray liye moqa diya hai , pehlay say hum planning ker lein
Ayah 43-44

Kitne badqismat log jo Allah k nabi say taleem nahi letay hain

Inn ayat mei Allah ke nabi ustaad ke roop mei dikhte hain

Nabi saw k paas kitney log thay, lakhon ki basti magar chand 100 k ashaab e suffa hi thay – deen thore logoan se shuru hota hai.

1, Waldain 2,Ustaad .... in do ki jo izzat nahi keray ga , woh kabhi bhi agay izzat nahi pa sakay ga

Nashukri nahi , ustaad o waldain hain to un ki izzat ker k shukar guzar banein
Ayah 45-47

main Ayaat e Tadabbur

3 mukhtalif qisam k azaabon ki kaifiyat bata di; asman say , neechay say aur kerwaton say

Kon apnay aap ko itna bara samjhta hai , Allah k azaab k agay ?

Allah hum ko haqq ki mukhalfat say bacha, nashukri say
Ayah 48-50

Itnay piyaray Rabb ko chor k logon ka mamla agay bataya ja raha hai ab

Ayah 51

Aik ho ya 1000 , Allah ka kisi bhi taarha shareek na banao , Allah wahid hi hai
Ayah 52-55

Dukh hota hai kitna ziyaada jab mushkil ay hui ho , jaisay hi mushkil khatam hui to Allah ko bhool gay

Mushrikeen ka amal tha yeh, sochte the bazurgh jab faut ho jata hai tu Allah se dosti ho jaati ahi aur kaamoan mei nadad karwaate hain naoozubillah!! Phir unn ki qabr pe charhawe charhane jaate

Kehte har nemat unn ki dein hai jink o Allah ke saath shareek karte the.

53 ... HIGHLIGHT; Wa ma bikum minnaimatim fa min Allah

54- Shirk bil tasarruf
Main topics till now ; Allah ki nashukri , waldain ki nashukri , ab agay olaad ki na shukri



Ayah 56-60

Beti ki paidaaish , is ko bura samjhna insaan ki dil ka bukhal

Aaj bhi log beti ki paidaaish p khush nahi hotay , abort kerwa detay hain pehlay hi

Nabi saw ka rawayya dekho k kaisa tha apni betiyon k saath

kitna pyaar tha fatima ra say

un logon ka riwaj : kay aik lerki ke shadi ho aur saas ka inteqaal ho jaye tu sochtay kay yeh lerki manhoos hai aur maa ko kha gai , 2. phir ager pehli baiti paida hoti tu talaaq day ker torture kertay

Sab Allah ka hai yeh soch k khashyat nahi ati kia ?

logon ki factories or business say impress hotay ho , magar Allah ki to aik makhlooq poori factory hai

Sirf aik zaat hai jo hum say har haal main muhabbat kerta hai , Allah AL wadood

Sachi mwahid wo jo Allah se darne waala bhi ho!
Ayah 61 - 62

HIGHLIGHT .... 62 Anna lahumunnaaar wa annahum mufratoon

Allahumma la taj'alna minhum - Aameen



Ayah 63-64

Mujhay lagti hai yeh kitab rahnuma hidayat ?
Ayah 65- Qudrat ki nishaniyaan

Sunnay walay … sirf kaan say nahi dil say
Ayah 66

Ghor kerain … doodh kaisay saaf shaffaaf milta hai itni gandgi main say bacha k

khoon ki ragain bhi hai , pishaab ki nalian bhi usi main hain , gobar say ladi hoti hai bhens , lekin doodh ! SubhanAllah safaid bilkul clean


Yüklə 126,36 Kb.

Dostları ilə paylaş:
1   2   3




Verilənlər bazası müəlliflik hüququ ilə müdafiə olunur ©muhaz.org 2024
rəhbərliyinə müraciət

gir | qeydiyyatdan keç
    Ana səhifə


yükləyin