hajjaz se sham jaate huey raaste mei ye ilaaqa aata hai
Shukar jab maalik ki khilaaf ho tu shirk mei badal jaata hai
jo aik Rabb ki qadar na kare wohi doosroan ko saath milata hai
jo mard apni jaiz beewiyoan ko chor ke doosroan ke paas jayein tu na shukre
beewiyaan bhi haqq na dein shoharoan ka tu na shukri
na shukraa insaan humaisha apna nuqsaan kerta hai
shukar guzaar rehna hai nahi tu nemat chin jaati hai aeka = jungle - 78 onwards
qom-e madyan = as'haabe aeka 80- surah hijr ka naam is waja se Ayah 83-84
Allah ne iss qom ko taqat di thi, physically bohat taqatwar the.
umarein 200/300 saal hoteen theen. Chooney matti ke ghar mei rehte tu wo inn ki zindagi mei puraane ho jaate the tu Allah ne inn ke nahunoan ko itna sakht kar diya ke ye unn ke saath carving kar ke pathroan mei ghar banate. Innhoan ne na-qadri aur na-shukri ki.
Aaj hame Allah ne kitni skills deen, nematein deen, lekin kiya kaam mei laa rahe hain ya Allah se doori ke liye istemaal kar rahe hain? Ayah 85-92
purpose of life- kainaat maqsad pe banayii gayii
haqq: insan iss duniya mei akhirat ko paane ke liye bheja gaya
iss duniya mei rehte huey Allah ko Al Haqq samajhte huey uss ke bataye baatoan pe amal karein aur Jannat tak pohanch jayein
ba maqsad insan ko doosroan ki fikrein nahi hoteen
great minds discuss ideas, logoan ko nahi
average minds discuss people aaj hum average ho chuke?
fashion ki baat, khane peene ki baat
zindagi ka maqsad pehn-na orhna bana liya!! 87 - Surah fateha ke baare mei –
88- HIGHLIGHT sirf wo karein ge jo Allah ke hukam se bazaabta tor pe Quran se jure huey hain. Jo jaha bhi beth ke Quran ki taleem le raha hai, Allah message de rahe hain ke ab doosroan ki cheezein dekh ke impress nahi hua karo.
Hadees ka khulasa aur mafhoom- jisse Allah ne quran ki nemat di aur iss ke baad wo duniya waaloan ki cheezoan ko dekh ker mutasir ho tu uss ne Quran ka na qadri ki.
Jis ne Quran paa liya, uss ke paas tu wo hai jo doosroan ke paas nahi hai! Ataya jaa raha hai ke munasib waqt ka intezaar kar ke sathiyoan ki galtiyoan pe toko
jahannum mei jana asaan hai, jannat mei jaana mushkil!!
naiki mei average pe qayeib rehna bhi relatively asaan
excellency ko paana sab se mushkil – ye k2 ko sarr karne ke barabar hai!
toote huey diloan ko aur nahi torna - balke naye dene ki taraf aane waloan ko bohat muhabbat dein – koi pata nahi kiya kiya chor ke deen ki taraf aaya hai!
Agar naye aaye hain Islam mei ty: Fa asfahis-safhal jameel aur agar jamm chuke tu La Tamud-danna ainaika illa maa matta’na beehii azwaja.
leader ko message: aap itna na kurhein
makkah waale budhu the, Allah ke nabi ki kamyabai - unn ko adab seekha diya
khair aur sabar!!!
quran ki nemat ki qadar karo***
quran ko tukre tukre kar liyaaaj logoan ne aur firqoan mei batt gaye Ayah 94 - phir Nabi ne khullam khulla tableegh shuru kar di - zimedaari ka ehsas bohat barh gaya Ayah 95
hamare pyare Nabi ka mazaaq uraya jaata tha Ayah 96
Aise log mazaaq uraate the Ayah 97
Dil ko takleef tu hoti hai lekin gussa nahi
kyounke deen ka kaam apne liye nahi, Allah ke liye hai Ayah 98
Aisoan ka ilaaj
Apne RABB ki hamd ke saath tasbeeh aur sajda!
aur akhri ghari tak RABB ki bandagi!!
aur akhirat pe yaqeen!
logoan ki baat pe dil dhukhe tu SubhanAllah - aur phir sajda jaha Allah ke siwa koi nazar nahi aata
akhri damm tak ibadat
yaqeen se muraad maut - marte dam tak ibadat ki halat mei raho
*** Surah Nahl *** Surah ka aik aur naam = Surat un Ne’m = Nematoan waali surat
Tarteeeb se 16th surah aur Tarteeb-e nazool se 70th – Makki Surah! Iss Surah mei inn cheezoan ki khaas tor se dawat aur tazkara:
Tafakkur karo
Nematoan ko dikhaya jaa raha hai ke aik khair kis tarah doosri khair ko faaida deti hai, kainat ki cheezoan jo doosroan ko faida de rahi hai
Shirk ki nafi aur Tawheed ka asbaat
Na-shukri ke rawayye
Nahl - shehad ki makhi, uss ka tarze amal dikhe gaa ke faida sab ke kaam mil ker karne mei hai! Team Work! Ayah 1
Allah ka faisla ; hijrat ka faisla!
Makah waale sata chuke jitna satana tha, AAP s.a.w ki maut ki tayariyaan mukammal theen, itne mojaze dekhe lekin na maane tu Allah ka hukam aa gaya
har nabi se wada - nabi logoan mei rahe aur rawayye na shukri ke hoan tu hijrat aur azaab ka faisla Allah swt ka
Nabi ka wajood kisi qom may rooh ke terhan hai , nabi nikal jaye tu qom berbaad ho jati hai
Nabi ki hijrat = qom ka azaab!!! Ayah 2
bande ko na shukri se taqwa rokta hai, Allah ki nematoan ka ehsas bhi taqwa ki aik qism hai
phir insan gunahoan se bachta aur naikiyan karte darta hai ke haqq ada nahi kiya Ayah 3
haqq yaani maqsad se paida kiya
Allah ko shirk se faraq nahi parta
shirk = na shukri
Allah ka kuch nahi bigarta, nuqsan apna Ayah4
Insan ki auqaat
Ae insan tu kis cheez se paida kiya gaya?
jis Rabb ne bolne ki taqat di, hum ussi se jhagarne lage
takabbur!!!
kabhie insan apne mohsinoan ki na shukri kar ke khair nahi paaye ga
Jo apne mohsinoan ka haq ada na karein, wo tabah o barbaad ho jaate hain! Ayah 5 - Ab janwaroan ki takhleeq
Poshaak = leather jackets/skin
Horaak = meat Ayah 6
Kabhie socha ye chote janwar Allah ki chalti phirti factories hain!
aik aik cheez insaniyat ke faidake liye janwaroan mei
Sheep/bher; jism ki aik aik cheez insaniyat ko faaida de rahi hai!
Macharoan ke faaide - wabaein paida hone se rokte hain - khaas qism ke bacteria ko kha jata hai jo otherwise hum mei beemaariyaan laata hai! Allah ki banayii sab cheezoan aur makhlooq mei jamaal aur kamaal aik saath hai – khoobsurat bhi aur faaida mand bhi!
Hamari banayi cheezoan mei ya tu kamal hai ya Jamaal! Ayah 7
hamara kitna wazan uthaate hai ye gadhe, hamara masla ke hum fitrat se door ho gaye
jo insan ki banayi duniya mei rahe ga usse insanoan se pyar ho ga, fitri mahol mei rehne waale Allah se qareeb hote hian
bata diya aik waqt aaye ga ke kitna kuch ho ga; gaariyaan, jahaaz wageira, Tab koi nahi aanta tha inn ke bare mei aur aaj hum nahi jaante kal kiya kiya ban-ne wala hai - kal gadhe the, aaj gaari jahaz aur kal hum nahi jaante kiya!! Ayah 9
Allah hi seedhe raaste pe laata hai - lagta hai?
ird gird kitni distractions
Allah ki shaan ke sab mei se nikaal ke kitaab ki mehfil mei le aata hai
shukar karein aur dua ke jo Allah in raastoan pe laya, wo inn hi pe chalate rakhe – ameen Ayah 10-11 - ACTIVITY: fruit chaat banate huey ya fruit kaat-te huey ghar waaloan ko saath mila ke gor karna hai
fruits ke rang dekh ke Allah ko nahi pehchante?
duniya black and white hoti tu bore ho jaate
Allah pe gor karein har cheez mei
hame nafa mand ban-na hai - yehi shukar guzari ka aala muqaam hai
kainaat bol bol ke baa rahi hai nafe waale bano
aaj musalman manzar se hatt gaye ke kissi ke liye nafa mand nahi rahe Ayah 12-13 - gor o fikar
khirki se baahir dekhein kitne rang nazar aate hain
aasmaan ko dekhein - kitne rang, esp jab soorajh doob raha ho
khoob khayein, pehnein lekin shukar - Allah ko nahi bhoolna
dene waale ko bhoolein ge tu ye cheezein wabaal banti hain Ayah 15
pahar = nails/mekhein iss zameen ki!
qayamat ke din pahar uthein ge tu zameen hil jaaye gi aur nizam talpat ho jaaye ga
Ayah 16
zameen mei alamatein = khushki/tarr ke raste , raigistaan
goro fikar karein ge tu faaida
sitaroan ka 3rd purpose hai iss ayah mei
hame raasta dikhaate hain
Ayah 17
Allah hum se sawaal kar rahe hain
barabar ho sakte hain? Nahi Ayah 18
aik nemat bhi ginn na chahein Allah ki tu hargiz nahi gin sakte
kisi ke sar ke baal gin sakte hain?
aangan mei lage aik darakh ke patte gin sakte hian?
shaam ko pakne waale chawaloan ke daane gin sakte hain?
aik nemat nahi gin sakte, nematen kaise ginein ge? tu akar kyoun? na shukri kyoun?? dil khol lo!
gunahoan pe pakar nahi ho rahi abhi forum ke darguzar aur bakhshne wala hai Allah swt! Ayah 19 - Allah sab jaante hain!!!!!
itna jaan-ne wala muaf kare tu kitna raheem hai wo
ACTIVITY: Abhi se le ker kal tak har kaam ko shaoori sochna hai ke chahti hoon iss kaam ka doosroan ko pata chale? aur sochna ke Allah jaante hain mei kar rahi hoon Ayah 20-21
khud qabar mei jaa chukka, zinda nahi murda hai
ye tak nahi jaanta ke kab doobara uthaya jaaye ga!!!
koi naik bazurgh jis ka mazar dikhta hai aaj - bebas shakhs - aaj uss ki qabar pe jaa ke kuch maangoon tu sochein meri awaaz uss ne suni hai??
jo sun nahi sakta, matti hata ke khud ko bahir nahi kar raha, tu hame kaise kuch de gaa?? Ayah 22-23 – Tu maan jaao ke Rabb tu aik hi hai!
Aur agar akhirat mei imaan nahi tu takabbur mei pare huey hain aise log! un logoan ki batein jiko Quran acha nahi lagtta ooper ki gayeen – Jab Nabi s.a.w haqq ki dawat dete makkah mei aur baat phelne lagi tu log poochate ye nabi kiya baatein karta hai? Ye jo Quran ka itna shor sun rahe hain tu ye kiya hai?
tu aisoan ke jawaab' Ayah 24
Ayah 24 - aasaaterul awwaleen - puraani baatein – aaj ked or mei Quran se kuch nahi mile gaa! quran ki value nahi pehchante the wo.
aur dar tha ke aa ke nabi ki batein na sun lein ke maan na jayein tu kehte bas aise hi hai, aap ki haisiyat kam karne ki koshish karte. Ayah 25-26 - nadamat ki baatein – ke aise log nadaan hain
zimedari = doosroan ko hidayat se door karne ki Ayah 27- HIGHLIGHT – ‘aeyna shurakaai yallazeena kuntum tushaaq-quna feehim’... batao kidher hain wo shareek jin ke bare mei haqq waaloan se jhagre karte the? Ayah 28 - 29 – aise zaalimoam ka maut ka waqt!
zindagi mei Allah se door, uss waqt kuch qabool nahi kiya jaaye gaa
ab inn ke baraqs logoan ki baatein: Ayah 30 onwards
Allah ke mutaqqi logoan se sawalaat pooche jaate hain, Jawab: - HIGHLIGHT – ‘Khairaa’ - behtareeen cheez utari hai Ayah 31
Akhirat ka khoobsurat tareen ghar!!
hamesha qayaam ki jannatein
sab khawahishoan ke mutabiq! Ayah 32- Mutaqqi logoan ke maut ka waqt!
tayyabeen ki baat hui yaha.
Kon log tayyab hain?
Allah ne un ki baat ki jin ki maut se pehle unn ko Allah ka Quran bohat khoobsurat lagta tha
Innki zindagi pakeezgi ki halat mei guzri thi
Zindagi paak hoti hai;
Kalma tayyab parhne waale ki zindagi pakeeza hoti hai
Banda momin pakeeza hota hai tu zindagi mei halal aata hai, jhooti batein nikal jaati hain, sochein paak hoti hain, aur pichli zindagi ke gunaah istaghfar ki kasrat se naikiyoan mei badal jaate hain.
aas paas waloan ko nafa deta hai momin! Iman mazboot hota hia tu amal bhi mazboot!
Banda tayyabbanta hai; doosroan ko naiki ka hukam kar ke aur burayi se rok ker!
Jo shakhs duniya mei aazmaishoan ki aandhi pe jama raha, qabar mei munkar nakeer ke sawaloan pe bhi jame ga! Kalma Tayyab ki jarein dil mei jaati hain! Jitna talluq billah mazboot, utne zyada hum deen mei kaam karne waale hoan ge. Aaj islam ko pakeeza darakhtoan ki zaroorat hai, deen se jurna!
Jis ke paas j oho, wohi doosroan ko deta hai! log darakht ko pathar maarte hain, jawab mei phal milta hai Quran ka peghaam = khud ko paak kar lo
sharaab pasand nahi ke soch gandi hoti hai
kalma tayyab = zuban se le ke dil aur dil se le ker har uzw ko paak kar deta hai Ayah 33 - 34 - maut ke farishte Ayah 35
Log hidayat chor ke aaleeshaan zindagi bhi guzaar lein, sakoon nahi mile gaa!
Allah farma rahe hain Nabi aap na jala karein, inn ki apni zindagi ki maeeshat e zen he bataye ge kay yeh kis galat rastay pe hain
Cain aaj issi liye nahi hai! Maza nahi mila, na sharaab mei, na parties mei, na kaproan mei – ye miley ga tu Allah ki hidayat mei hi miley ga aur hidayat maangne se mile gi!
Allah kehtay hain may jis ko hidyata deta ho us ko he milti hai! Allah Al-Hadi hai, hum qadar na karein tu wo qadar karna chor de ga.
Ayah 38 -40 – aqeeda bil akhira kamzor aisoan ka!
Allah qudret wala hai – pakar ke bhi deen ki taraf laa sakta hai lekin aisa nahi kaha! Jism ke ander ka aik aik uzw khud kaam kar raha hai Allah ke hukam se, tu berooni uzw hamare ehtyar mei aazmaaish ke liye de diye
yeh choice ke baat hai , Allah ko us banday per piyar ata hai jo khushi say ata hai
jo khud ko pity feel kerta howa ata hai , us ke tu shaid namaz bhe qaboool nahi hoti, apnay dil say aye!
Allah kehte hain you are intelligent. tumhain pata hai kay tumhara kis may faida hai, jo beshak issi raah mei hia. Aur ab agar marzi se aa gaye ho tu qurbaniyoan ke liye tayaar raho.
Ab agay phir hijrat ki baat;
Ayah 41-42
her banda jis ko khawahish hai jannat ki, us ko mushkilaat say guzerna peray ga
jo pressure berdasht nahi ker sakta wo precious nahi ban sakta!
hum sub carbon hain, humain pressure berdasht kerna hai tu diamond ki tarah precious banein ge. hidayat kay rastay may hijret sab se bara milestone hai
Aik buzurg thuk gaye tu kaha, aye dunya , may ne tujhay talaq di, mei tujhey teen tallaqein deta hoon, tu mujhay chor day!
Agar deen ke raste mei sab hamari marzi ka ho tu deen bin nafs kiya hai? Phir kon nahi kare gaa? Deen ka raasta saree zindagi ka phase hai, mushkilaat ka safar!
aaj ki masjid e nabwi koi dekh ker assume nahi ker sakta kay jub barish hoti thee tu 3 days tuk pani tapakta rehta tha – hamare paas tu aisi koi kami nahi – haan na-shukri zaroor hai! Asal kaam shukar hai
Allah swt paak kertay hain mushkilat say
Munafiq pe mushkil aaye aur wo ilam se nikal jaaye tu wo Allah Tallah islam ko aise logoan se paak kar rahe hote hian. Sirf inspiration say kaam nahi hoga , sabar or mushkil k liye tayyar ho jayye
kuch to azzmaish ay gi
Ashaab-e suf mei the Abu Huraira r.a – bhook pyaas sab bardaasht ki deen ke liye!!
Kuch log nabi saw k saath 23 saal say thay , woh utna na ley sakay jitna 3 saal main Hazrat Abu Huraira r.a nay le liya aur aaj Ameerul Momeneen fil Hadees hain!
Ae Allah mujhey ilm dost bana de – Ameen.
tawakkal , hijrat main sabar ki zaroorat
Aaj dora e quran ker rahay hain hum , aaj nisf tak pohchay hain , agay bhi barhay gai , lekin asal baat hai k is k baad humara shoq or jazba kaha jay ga
Allah nay subul as salam ki shakal main humaray liye moqa diya hai , pehlay say hum planning ker lein Ayah 43-44
Kitne badqismat log jo Allah k nabi say taleem nahi letay hain
Inn ayat mei Allah ke nabi ustaad ke roop mei dikhte hain
Nabi saw k paas kitney log thay, lakhon ki basti magar chand 100 k ashaab e suffa hi thay – deen thore logoan se shuru hota hai.
1, Waldain 2,Ustaad .... in do ki jo izzat nahi keray ga , woh kabhi bhi agay izzat nahi pa sakay ga
Nashukri nahi , ustaad o waldain hain to un ki izzat ker k shukar guzar banein Ayah 45-47
main Ayaat e Tadabbur
3 mukhtalif qisam k azaabon ki kaifiyat bata di; asman say , neechay say aur kerwaton say
Kon apnay aap ko itna bara samjhta hai , Allah k azaab k agay ?
Allah hum ko haqq ki mukhalfat say bacha, nashukri say Ayah 48-50
Itnay piyaray Rabb ko chor k logon ka mamla agay bataya ja raha hai ab
Ayah 51
Aik ho ya 1000 , Allah ka kisi bhi taarha shareek na banao , Allah wahid hi hai Ayah 52-55
Dukh hota hai kitna ziyaada jab mushkil ay hui ho , jaisay hi mushkil khatam hui to Allah ko bhool gay
Mushrikeen ka amal tha yeh, sochte the bazurgh jab faut ho jata hai tu Allah se dosti ho jaati ahi aur kaamoan mei nadad karwaate hain naoozubillah!! Phir unn ki qabr pe charhawe charhane jaate
Kehte har nemat unn ki dein hai jink o Allah ke saath shareek karte the.
53 ... HIGHLIGHT; Wa ma bikum minnaimatim fa min Allah
54- Shirk bil tasarruf Main topics till now ; Allah ki nashukri , waldain ki nashukri , ab agay olaad ki na shukri
Ayah 56-60
Beti ki paidaaish , is ko bura samjhna insaan ki dil ka bukhal
Aaj bhi log beti ki paidaaish p khush nahi hotay , abort kerwa detay hain pehlay hi
Nabi saw ka rawayya dekho k kaisa tha apni betiyon k saath
kitna pyaar tha fatima ra say
un logon ka riwaj : kay aik lerki ke shadi ho aur saas ka inteqaal ho jaye tu sochtay kay yeh lerki manhoos hai aur maa ko kha gai , 2. phir ager pehli baiti paida hoti tu talaaq day ker torture kertay
Sab Allah ka hai yeh soch k khashyat nahi ati kia ?
logon ki factories or business say impress hotay ho , magar Allah ki to aik makhlooq poori factory hai
Sirf aik zaat hai jo hum say har haal main muhabbat kerta hai , Allah AL wadood
Sachi mwahid wo jo Allah se darne waala bhi ho! Ayah 61 - 62
HIGHLIGHT .... 62 Anna lahumunnaaar wa annahum mufratoon
Allahumma la taj'alna minhum - Aameen
Ayah 63-64
Mujhay lagti hai yeh kitab rahnuma hidayat ? Ayah 65- Qudrat ki nishaniyaan
Sunnay walay … sirf kaan say nahi dil say Ayah 66
Ghor kerain … doodh kaisay saaf shaffaaf milta hai itni gandgi main say bacha k
khoon ki ragain bhi hai , pishaab ki nalian bhi usi main hain , gobar say ladi hoti hai bhens , lekin doodh ! SubhanAllah safaid bilkul clean