01st August 2012 Day 18 Azkaar e Nafia


Rabbana ma khalaqta haza batila, subhanaka faqina azabannar



Yüklə 126,36 Kb.
səhifə3/3
tarix28.10.2017
ölçüsü126,36 Kb.
#17340
1   2   3
Rabbana ma khalaqta haza batila, subhanaka faqina azabannar.

Activity: doodh kay dabbay per sticker chipka dain aisa jjumla likh ker kay Allah yaad aa jaye

Allah itni saaf nemat detay hum ko , hum is ko ley k kitnay ganday kam kertay hain
Ayah 67

Sharaab ka mozo pechay 3 bar guzar chuka hai

yeh pehla ishaara tha sharab k haram honay ka, aqalmand sahaba foran samajh gay thay ke sharaab haram hone waali hai

TU Jab sharaab pee nahi sakte tu na bana sakte hain, na bech sakte hain!

An Nahl ka aik or message; pakeezgi , safai kerna khud ki
Ayah 68-69

Kia hum ko shehaed acha lagta hai?

Hadees mei aata hai 2 cheezoan mei shifa hai, shehad aur Quran, dono ko laazim pakro.

Honey bees main;

*Planning

*Team hoti hai , aik malka, baqi workers – destination aur kaam aur raaste set hotey hain

* Aik shahd ki makhi 50 000 miles chal k jaati hai ras lenay aik tsp shehad banana ke liye

* Kuch makhiyan chajja banati hain mom se, kuch sanchay bana k phir us main aik aik drop dalti hain

phir dosri team us k ooper cap laga deti hain

kuch bees thanda kerti hain us shahad ko hawa dey k

kuch bees aik boundary banati hain ta k doosray keeron say bachain

"Aik spoon honey ka itnay marahil say guzar ker milta hai "
Ayah 70 - 71

Kia tum mulazmoon ko apni aadhi jaydaad dey daytay ho ?

to Allah ki hasiyat kaisay kisi or ko detay ho?
Ayah 72

hafada = pota

Only grandmothers HIGHLIGHT . 72 ... Hafadah : )

Batil; Materialistic



Ayah 73

Islam A to Z
Shirk – sheen raa kaaf

Shirk = shirakat , partner ship – Mushrik kehta hai Allah tu hai lekin saath koi doosra bhi hai, zaat mei, siffat mei, koi madadgaar hai!

Wo kaam jo sirf Allah kar sakta hai, uss ko Allah ke saath kissi doosre ke naam pe kar dena – shirk hai!

2 baree qismain , shirk e akbar , shirk e asghar

-shirk - akbar : Allah kay sath kisi ko bhe shamil karna , khulla shirk – Allah ki aboobiyat, aloohiyat aur asma o siffat mei kissi zinda, murda, jaandaar aur be-jaan ko Allah ke barabar karna!

Shirk-e akbar ki 3 qismain :

-shirk fil ilm

Allah jo kuch janata hai , koi dosra bhe janta hai , kisi buzurb , peer , wali ko yeh pata chal jaye kay kon kia ker reha hai , yeh shirk e akber hai

Allah kay baray may kisi ka yeh sochna kay may door baith ke kisi ko pukaron ga tu wo meray samnay aa jaye ga – tasawwuf.

2 . shirk fil tasaruf

sarafa say : apna hukm jaree kerna

koi yeh samjhay kay koi wali etc kay pas yeh eikhtyar hai kay wo kisi ko mar day ya zinda kar de ya kuch day day , yah kuch rok day maslan rizq wageira

3. shirk fil ibaadaat

jo Allah kay liay ibaadet hai wo kisi aur kay liay kerna

maslan , uskay naam ka qayaam, roza, namaz, uskay gher kay taqaf, uskay liay qurbani , manatain , us ke chokhat kay agay duain mangna ,

sub say berh ker wahan ja ker unsay dua mangna. Hadees mei aata hai ibadat ki behtareen qism dua hai.
-shirk e asghar : (shirk-e khafi)

shirk akber jaisay kisi ko heart ke disease ho jaye aur shirk e asgher kaisi ko cancer ho jaye

aisa shirk jis ka bazahir shirk hona wazeh hi na ho – aisa shakhs baaz dafa galti se, baaz dafa la-ilmi se aise karta hai, baaz dafa us ko pata he nahi chalta
1. qoli shirk, zaban say – maslan gair Allah ki qasam khaa lena – Daleel: Tirmidhi 1135,

Gair Allah ki taraf nisbat rakh ke naam rakhna, maslan Abdul Uzzah, Peeran ditta, nabi bakhsh, kaneez Fatima, Daleel: Abu Daood, Ibne Maja

Ye kehna ke jo Allah chahein aur jo aap chahein – Silsalatul ?, Mustand Ahmed

Khud ko baadshah kehna

Malik ke liye Rabb aur naukar ke liye abd ka istemaal karna - Bukhari

Halaat o waqiyaat ki nisbat gair Allah ki taraf kar dena, Sahi Muslim

Sitaroan ka apni zindagi mei asar maan-na
2, faili shirk, jism say koi aisa kaam

Maslan:

Bad shagooni lena, kaali billi raasta kaat gayi tu ab haadsa ho gaa, mujhe peeche se nahi bulaana

Taweez latkaana

Kahin ya aaraaf ke paas jaana
3. qalbi shirk

Rayakaaree, Mustand ahmad 17270

naik kaamoan ko duniya kef aide ke liye karna, Bukhari, Ibne Maja
20 points ager shirk kar liya tu mere liye ye nuqsaan;

  • Shirk karna haram hai, anaam 151 araaf 33

  • zulm e azeem, luqman 13 , muslim 327

  • shikr na qable maafi jurm hai, maida 72 nisa 48 , 116

  • shirk azaaab ka sabab, momenoon 117, shura 213

  • halaak karne waala gunaah, bukhari 2766

  • shirk kabeera gunah hai, bukhari 4477, muslim 86

  • mushrik Allah kay deedar say mehroom ho gaa, kahf 110

  • musrik aasmaan se girne waale ki tarah hai, hajj 31

  • bad haal aur bay yaaro madad gaar ho gaa, bani israiel 22

  • mushrik kay naik amaal zaya , Al anaam 28

  • Jannat haram, maida 72

  • jahanami , bani israel 39, anbiya 98

  • astaghfaar nahi ho sakti, tawbah 113

  • shifaat nahi, al-aetqaad 7

  • najes hota hai, tawbah 28

  • mushrikoan ke hilaaf jung ka ailaan, tawbah 5

  • mushrik ki qabar per usse aag mei jaane ki ke waeed sunnai chahiay, Ibn maja 1573

  • mushrik ko kissi nabi ki rishtedaari bhi faida nahi de gii , sahi bukhari 3350

  • qayamat ke roz inn kay maabood faida na dain gy, saba 40, 41

  • hamesha jahannum mei rahein ge, maida 73, muslim 269


Dua: Ae Allah hame baatil se hata ke haqq pe jama de – Ameen.
Ayah 74 - 75

shirk ke practical example

Matlab ye ke shirk kernay wala aur momin aik jaisay nahi ho saktay
Ayah 76 - aik aur misaal; mominaur mawahid

mushrik gher gher ka dhobi, aur momin aik rabb ka

Dua: Ae Allah zahri, batani, qalbi saare shirk hamare muaf kar dein – Ameen.
Ayah 77

Allah hi humaray sub ghamm door keray ga, ussi se lau laga lein!!!
Ayah 78 – Poori surah mei Allah, Allah, log phir bhi kyoun haqq ada nahi karte?

apnay bachpan ko , paidaish ko zehan may rekhain.

kis liay diya sub? takay shuker kero Allah ka, Allah ko naraaz karne ke liye nahi!



Ayah 79 – Allah insan ke saath saath parindoan ko bhi thaam huey hai iss kainaat ki har she’ ki tarah –nahi samjho ge?
Ayah 80 – 81 - Home sweet home

Allah naimet day laikin Allah ke nafermani na kerain naimet paa ker

Allah insan ko nemat dete hian, aur insan mei nazakat aur takabbur aa jaata hai. Sardiyoan, garmiyoan ke kapre alag alag Allah ne diye – kiya garmiyoan ke kaproan mei khud ko sahi se chupaate hian?

Sab pehnein lekin haqq ada kar ke, jaisey Allah ne hukam diya!

Nematein milti hain taake hum farma bardaar ho jayein. Ae Allah humain muslim bana day, Ameen.
HIGHLIGHT Ayah 83 – Ayat e tadabbur

Ae Allah hame aise logoan mei na karna, Ameen.

Mei nemat ko pehchaan rahi hoon Allah ki?

Unn se phir munkar tunahi hoti? Na shukri tu nahi hoti?

naimet may sub say baree naimet = Quran, isse pehchaan tu liya, inkaar tu nahi karte iss ke ehkamaat se?
Ayah 84-88 – Qayamat ke din ke muamalaat medaan e mahshar mei shirk karne waaloan ke saath! shirk ke qismain zehan may rekhain

kia hoga us din jab aik doosre ko bura bhala kahein ge log – Allahumma La Taj’alna Minhum – Ameen.
Ayah 89 – Allah ke Nabi s.a.w qayamat ke din medaan mei bulaaye jaa rahe hain!

Kitni hoobiyaan hai iss kitaab ki!
Ayah 90-93

Usman bin Mozzoom iss ayat ko sun ker musalman huey the aur Umer bin Abdul Aziz ne iss ayah ko jumma ke khutba mei shamil kiya tha – Jo musalman bhai har jumma ko namaz se pehle ye ayat sun kea ate hian, aaj unn ke muamale kaise hian! Samajh na aaye tu baat ooper se guzar jaati hai!

90- 3 cheezoan ka hukm aur 3 se roka gaya

yeh commitments nibhanay per hai kay waday kerkay toro nahi

92- aise ki misaal jo naikyaan kare aur zaya kar de - kehte hain Makkah mei aik deewani aurat thi, saara din charkha kaat-ti, dhaage ban jaate tu sham ko sab kaat deti – yaani apni mehnatoan ko zaya na karo aur khaas tor se wade kar ke toro nahi!

kuch log mehnat kerkay naiki kertay hain phir apnay he amaal say usko khatam ker daitay hain
Ayah 94-96

Ayah 96 - Ayat e tadabur - HIGHLIGHT

Kiya kuch hai hamare paas? Maal, daulat, ghar, job, status, carrier – Allah keh rahe hian ye sab khatam ho gaa!!!

Wama endallahi baaqin = Baqiyat- us Sualehaat! Baaqi rehne waali naikiyaan! Aur Allah swt ki marzi!

Haan ye mushkil tu hai lekin bata diya ke sabr karein aur behtareen ajar milein ge!
Ayah 97 – koi gender discrimination nahi! Shart bus ye hai ke momin hoan!

HIGHLIGHT - fala nuhyeyannahu hayatan tayyaiba

Duniya mei pakeeza zindagi! Gandagi door, gandi mehfelein door, gandi sochein door
Ayah 98

jub naiki kernay lagay tu shaitan rajeem se Allah ki panaah maang lo ke jab naiki karne lagein, tab tab wo paas aaye ga.

Quran ke safar mei kasrat se taooz parha karein!



Ayah 99 -102

Puhta ho raha hai imaan?
Ayah 103 - Allah apne nabi ko tassalliyaan de rahe hain. Nabi ked or mei log negative comments dete the haqq ko dek ker! Ye na kaha karein kaash hum nabi ked or mei hote, abu jahal bhi tut ha tab. Asal nabi ke muhabbat mangiye, zindagi ke har muamale mei, tareeqoan mei – sunnatoan aur zaat ki!
HIGHLIGHT- Ayah 104

Ae Allah hame maan-ne waala bana de, Ameen.
Ayah 105 – 107 - phir na shukri ki baat

Kufr: akhirat ke muqable mei duniya ki zindagi ko foqiyat dena! Aur na shukri!
Ayah 108 – 110 – HIGHLIGHT; mim ba’dehaa

Hum kehte hain min qable – ke na hijrat karein, na sabr karein,a jihaad karein – Allah hame pehle hi bakhsh de!
Ayah 111 – kissi pe zarra bhar bhi zulm nahi kiya jaaye gaa!
Ayah 112 - 113- ab aik Makkah ki basti ki misaal, lekin apna shehr zehan mei rakh ke sunein

Jis nemat ka hum shukar nahi kerain gay woh hum say chin jay gi, kufraan-e nemat!!!
Ayah 114-117 – phir shukar aur tayyab – 114

Bata diya ke duniya mei sab halal sawaye 4 cheezoan ke!

Allah hame duniya ke dhokoan mei laa ker akhirat ke azaab ka shikaar na kar de – Ameen.
Ayah 118 - Yahood ke baat ...pahlay surah maida aur surah al anaam may ziker howa inka
Ayah 119

Mimba’dehaa ko HIGHLIGHT kerain - yaha aa gaya tauba, islaah – behter ho jaaye tu Allah muaf kar dein ge!
Ayah 120-122 – yaani jo kaam poori ummat nahi kar paati, Ibraheem a.s ne akele kar diya!

Ibrahim a.s focused thay

121- HIGHLIGHT Shakiral-li anoomihii

Bata diya kin se nematein chinti hain aur kon ko milti hain!
Ayah 123 – Allah hame bhi haneef kar de deen mei – Ameen.

Focus ho k hi acha kaam ho sakta hai
Ayah 124 - un logon ka ziker jin ko bander banaya gaya
Ayah 125-128 – Allah ke Nabi ke naate se aik akhiri hukam – tableegh ka ahsan tareeqa sikhaya gaya!

127 – ye mushkilaat Allah ke raaste ki hain, aur badla bhi Allah hi dein ge.

Ae Allah hame bhi muttaqi bana, ehsaan pea mal karne waala bana aur shukar karne waala bhi – Ameen.

Rabbana Taqqabbal Minna – Ameen.
Yüklə 126,36 Kb.

Dostları ilə paylaş:
1   2   3




Verilənlər bazası müəlliflik hüququ ilə müdafiə olunur ©muhaz.org 2024
rəhbərliyinə müraciət

gir | qeydiyyatdan keç
    Ana səhifə


yükləyin