29th July 2012 Day 15 *** Azkar e Naafia *** Surah Al-Mulk aur Surah As Sajda ke fazaeil; ***Starting missing in live session and recording*** Daleel: Imam Tirmidhi ne Hazrat Jabir se rawAyah t naqal ki ke Allah ke Nabi s.a.w Alif Laam Meem Tanzeel aur Tabarakallazee biyadi hil mulk parhe begair nahi soya karte the.
Alif Laam Meem Tanzeel; Surah Sajda (21st Para), Tabarakallazee; Surah Mulk Surah Mulk parhne ke faidey;
Parhne wale ke liye shifa’at kare gii
Azab e qabar see bachanae wali – Qabar ka azaab shaded ho ga. Allah ke Nabii s.a.w ne farmAyah ke tum log qabroan mei aazmaaye jaate ho.
Allah ke Nabi s.a.w is ko parhe baghair nahi sotey the
Surah Mulk Allah swt ki barayii ki baat karti hai. Deen ki bunyaad sikhane ke liyee ye surah bahtareen hai!
*** Now Daura e Quran 2012 - Para 11 - Surah AtTauba *** Para Theme: Tauba aur Quran ka bunyadi taluq
Surah Yunus Theme: Iman bil Quran Activity: Para mei se Quran ki siffat, khoobi ka tazkara aaye tu note karein, aur Tauba ka direct lafz aaye ya nahi, iss se mutalliq har cheez ko note karna hai. Questions answered in this Para;
Dehatoan mei rehne waale logoan ka hisab kaise ho ga?
Nabi saw se mohabbat rakhne walae har shakhs ko tamaam sahaba se bhi muhabbat rakhna kyoun laazmi hai?
Wo kon log hain jin se Allah raazi hua aur wo Allah se raazi huey?
Allah Tallah ne musalmanoan se jannat ka soda kis qeemat per kiya hai?
Hazrat Ibraheem a.s ke qadmoan mei jo bijjoo numa janwar dikhe gaa wo asal mei kon ho ga?
Jo shakhs tawheed pe nahi faut hua, kiya uss ke liye duae maghfirat ki jaa saktii hai?
Allah swt ne deeni ilm ke saath saath dunyawi ilm haasil karne per kitna zor diya hai?
Har musalman gharane se kam se kam aik bacha deeni ilm ke liyee waqf karna kyoun zaroori hai?
Surah Tawba mei wo konsa wazeefa hai jisse parhne se insan per inaamaat ki baarish barasti hai?
Surah Yunus say related questions;
Kiya Quran main roohani beemariyon kae saath saath jasmani beemariyoan ka ilaaj bhi mojood hai?
Tabiyat ko sakoon dene aur depression kam karne ke liye sakoon awar goliyaan khane se zyada behter konsi dawa hai?
Azizoan ki judaayi, karobaar mei nuqsaan, aur doosre maazi keg ham aise door kiye jaa sakte hain?
Mustaqbil keg ham, rozghaar ke bare mei fikarmandi aur bachoan ki shadiyoan ke bare mei pareshaniyaan kaise door ho sakti hain?
Log pyaare Nabi ke paas aa ker Qurane Paak mei tabdeeliyaan karne ko kyoun kehte the?
Kiya hum per museebatein hamare namae aemaal ki waja se aati hain?
Zikr e Ilaahi aur istaghfaar karne se Allah kitna raazi hota hai? Aur istaghfaar ka wo konsa wazeefa hai jis mei ism-e azam mojood hai?
Aaj musalman aqwaam ke paas technology, oil aur doosre wasayeil mussar hain, phir bhi dushman ka khof kyoun mojood hai?
Talluq billah ka insan ki zindagii per kia asar aata hai?
Surah Tauba;
Ayah 90
Yaha se unn logoan ki baat hai jo Tabooq pe jaane se pehle bahane banana lag pare the ghar bethne ke
jo baghair kisi wajah see ghar baith jatae hain un per Allah ka ghazab nazil hota hai Ayah 91: magar jo beemar, zaeef hon ya jin kae pas zaad-e rah na ho aur jin ki genuine reason ho
baz log peechay reh ker bhe azjer patay hain , jaisay Hazrat Usman r.a na jaa sakay tabooq ke moqa pe ke zoja mohtarma (Nabi s.a.w ki beti) shadeed bemaar theen
Nabi s.a.w ki zindagi dekhein – Badr ki khushi mili aur waapi aaye tu aik betika dafan ho raha tha aur tabooq ki khushi mili aur waapi aaye tu doosri beti ke kafan dafan ka intezaam ho raha tha! Saath saath Dukh aur such ke Wo aazmaaye gaye
Nabi s.a.w ne kaha kuch log hain jo ghar reh kar bhi hamare saath hain –
Iza nasahuu lillahi wa rasoolihii - asal cheez Allah aur Nabi ke saath ikhlaas aur khair khawahi!! Ayah 92
Koi majboor hai tu aa ke bataye Nabi s.a.w ko apni majboori
Team work aur management ka sunehra asool hai iss ayah mei – khud se soch ke majboor shakhs ghar na beth jaaye balke aa ke majboori ka bataye maslan agar sawaari nahi – nahi tu galat fehmiyaan paida hoti hain
Majbooriyaan sab ko aayein gi – utmost koshish kar lein, baaki majbooriyaan Allah swt jaan-ne waale hain. unki takleef unki ankhoan ke ansoo bata rahe hain!!!
HIGHLIGHT Ayah 92 – Wa a’yunuhum tafeedu minad-dam’ii hazana
Hum kab kissi naiki ke moqe se peeche rehne pe roye?
Aaj meri zimedaari kissi aur ko milli, kiya mei royii? Ayah 93
Khawalif mei mu’ansa ka seegha hai, rehne waaliyaan kaha gaya aise logoan ko, auratoan ki tarah ghar rehna chahte hain
Allah nain unkae dilon per mohar laga di - Ilm ki kami nifaaq paida kerti hai! Ayah 94
Gazwa tabooq se waapis pe nazil karda ayaat’ nabi saw ko aagah kia gayah
jo log musalmanon ko dhamkiyan daitae hain unki ankhon main ankhain dal ker daikhain aur pesh qadmi ka aelaan karein , Allah ka waada hai roab dale ga aunn ke dil mei
kae log app kae pas aa ker uzar paish karain gae na janae kae tabook main
Allah dawat dae rahae hain kae nafs ki sustii choor do
Muhasba:
-hum kaisa feel karain gae jub nabi saw ka samnae Allah hamarae amal namae dain gae?
Dua: Allah hame hasher ke din nasher na karna, hamain sharminda na kerna, Ameen Ayah 95-96
maan baap ,teachers ki islah kae liyee pegham diya ja raha hai ke kuch doosroan mei mehsoos kar bhi lein tub hi munasib moqa ka intezaar kar ke baat karein, her baat ka foori jawaab dainae ki zaroorat nahin
Ye message Nabi saw ko tabooq mei diya jaa raha hai jis ke kuch maheene baad Aap wafat paa gaye the, iss waqt kissi ko samjhana bujhana aise hi tha jaise seekhe huey ko koi seekhaaye
jin logon see leader mayoos hon unko tookna choor daitae hain Ayah 97-98 – Badawii logoan ka tazkara, madina ke aas paas rehne waale
dahatii logon ko Allah ki rah main kharch kerna mushkhil lagta hai
Allah ki raah mei maal kharach karne se rukna gair muhazzab hone ki alamat hai
Wo dil mei dua karte the Allah ke nabi jayein idher udher taake hume kharch na kare parein paise
Tabooq ke safar ke baad dawat ka rukh qareebi ilaaqoan ki taraf hona tha take deen ki samajh dii jaaye, issi liye Allah ne Nabi s.a.w ko bata diya unn kin a pasandeedgi Ayah 99
Achay logoan ki tareef bhi kar dii saath – Allah swt ka adal
madeena kae munafiqon ki pakr bohat hui kyounke nemat aur opportunity bohat bari mili ke Allah ke nabi ke saath rehte, faida haasil karte aur seekhte sikhaate
magar gayon walon ki pakr kum hui kun kae unko message direct nahin mila, wo ilm o feham mei kamm the
Allah ke Nabi s.a.w ne farmaya; jo dehaat mei rahe ga uss ka dil zaroor sakht ho gaa.
Tu khol ke bata diya ke ye log ilm ki kami ki waja se sakht dil ho chuke hian
-Ilm se dil ki matti naram ho jatii hai!! Dunyawi ilm ka paani diloan ko skht aur deeni ilm naram kar deta hai!
yae dil ki khushi see kharch nahin kerna chahate the
Allah nain agr dahaton main rahnae walon ko naimtain kum di hain to un ka hisaab bhi kum ho ga, lekin jaan boojh ke ilm haasil na karein tu galat! Ayah 100 – Ae Allah, hame aise logoan mei kar dena – Ameen.
HIGHLIGHT===tahtahal anhaar – Quran mei baaqi jagah pe hain; min tahti hal anhar
Sabiqoonal Awaloon: sab se aage nikalne waaloan mei bhi sab se aage nikalne waala!!
Naikiyaan karte huey sochte nahi, calculate nahi karte iss se nuqsan zyada ya faida, ye ab karni chahiye ya tab
Ye wo log jinhon nain pahlae see tayarii ki hoti hai! head start laite hain
Dunyawii faiedon ko chor ker bhagtae hain sub se pahlae
Naiki ko rawaaj ban-ne ka intezaar nahi karte
Khawahishoan se aise larte hain jaise dushman se larna chahiye – Allah ke Nabi s.a.w ki hades ka mafhoom hai ke logo apni khawishoan se aise laro jaise tum apne dushmanoan se larte ho
Aisee jaise log duniya main bhagtae hain naiki ki peeche, jaise ko duniya ki taraf bhaagta hai – aur iss bhaag dork e liye khud ko halka rakhte hain
Allah ke rastae main sabiqoonal awwaloon bante hain!
Shuro may janay waalon ko rastay bananay pertay hain, mushkilaat bohat aati hain – ye aise hi hote hian – jaise Hazrat Bilal ne mushkilaat mei Iman qabool kiya
Duniya may agay janay walon ko perfectionist kaha jata hai aur deen may agay jaane walon ko extremist!!!
Inn ka matloob, gold medal = Jannat – Ae Allah hame iss jannat ki tarap lag jaaye – Ameen. Tab hi deen mei bhaag dor asaan ho gi inshaAllah! Ayah 101 – phir se dehaati munafiqoan ki baat!
Ye bohat khoobsurat tareeqe se apne expressions chupane waale hian, tumhare khilaaf hi baat kyoun na kar rahe hoan, tumhe pata nahi chalta – lekin Allah swt inn ko jaante hain!
munafiq ko dohra azaab milae ga
dohri saza: munafiq bil akhir duniya ke pher mei bhi aa jaata hai – aur qabar aur akhirat ke azaab tu milne hi hain! Ayah 102-106
Akharoon: Nikle magar kuch deir ke baad, jabke sabeqoon forum aa gaye!
Ab teesra kirdaar; Wa aakharoona murjauna li amrillah – jukam sun ke thithak gaye, gash parr gaya ke haaye tabooq mei jaana hai, khari faslein chorni hain, garmi ka mausam hai, aage marne ki soorat dikh rahi hai
Allah swt farmaate hain – kuch aur log bhi hain jina muamala Allah ke hukam pe thehra hua hai (jinka result postpone hai), chahe inn ko saza de ya naye sire se mehrbaan ho jaayein!
Muhasba:
-Naiki kae moqae per maira rawayah kaisa hota hai?
-Deen mei kissi kharch ka moqa aata hai tu khushi se kharch karti hoon ya karahiyat se?
Munafiq aur gunahgaar momin mei bohat faraq hai!
Akharoon – munafiq nahi, tab hi tu thori der ke baad Allah swt ne nikalne ka moqa de diya
Hum mei se bhi kaafi ka yehi haal hai, dil mei islam ki muhabbat hoti hai lekin saath apna faaida bhi azeez hota hai. Sawaab bhi lena chahte hain aur gunah bhi nahi chor sakte. Aisoan ko zaroorat hoti hai ke koi haath barhaa ker pakar le!! Issi liye yaha Allah ne Nabi ko keh diya ke aap inn ke liye duaein kiya karein. Rehmat ka sabab ho gi!
Har banday ka iman ka level mukhtalif hota hai! humain apni ki fikar kerni hai!!
Hum kisi deen ke garoh ke baray main tareef sun ke un say bughaz hasad to nahi hota hame? Unnka zawaal tu nahi chahte?
-Gunahgaar momin; dil mei bughaz nahi, Islam ki taraqqi achi lagti hai, Isla ko phalna phoolna dekhna chahte hain lekin sust hota hai, naikiyoan ko taalta rehta hai! Trend set hone ka intezaar karte hain, jab ho jata hai tu kaafley mei mil jaate hain.
Acha momin baqi kaam kernay k liye namaz ko taalta nahi hai Agar koi galti,gunnah ho jaaye tu sadaqa dena chahiye kyounke;
Guilt door hota hai
Allah swt ka gussa door hota hia!
Aur kharach karne pe gareeb se jo dua payein get u naiki pe jamm jayein ge.
Wo sadaqa agar kisi deeni kaam ya sadaqa jariya mei lagta hai aur kissi doosre ko deen mei lane ka sabab bane ka tu rehmat ka bais ho ga aur gunahoan ko chorne ka bhi.
Hame naikyion may muqablay nahi karne balke doosroan ki madad karni hai – yehi sadaqa jariya bane gaa. Jitna doosroan ko dein ge, utna palte gaa.
Dua: Ae Allah hame inn tamaam nifaq waale rawayoan se bachana – Ameen. Sabiqoon/akharoon/marjaun/ … aura b baat hai kaferoon; Ayah 107 - kattar munafiq!
Masjid banayi taake;
Haqq ki dawat ko nuqsan pohanchana
Allah ki bandagi karne ki bajaye kufr
Ehl-e Iman mei phoot daalein
Uss bazahir ibadat gaah ko kameen gah banayein ....( jahan beth k insan dushman se larta hai, jaha secure feel karein)
aisay log galat kaam ker k apnay achay honay k daaway kertay hain - HIGHLIGHT ==Walayahlifunna inn aradnaa illal husna’ Ayah 108 -110
In Ayah main aik waqia hai;
madina main 2 masjid , 1 masjid e nabwi aur doosri masjid e quba – ye shehr ki zarooriyaat ko achi tarah se poori kar rahi theen. Teesri masjid ki zaroorat nahi thi (Masjid waha banana chahiye jaha zaroorat ho!!). Abu aamir rahib naam ka aik shakhs tha, is ke betay Hazrat Hanzala r.a aik pakkay sahabi thay (jink o farishtoan ne gusal diya tha – gaseelul malaikah). Uss ne socha Nabi ke islam pesh karne pe ke mere muqaable mei aa rahe hain. Dil ka khota tha (burae see burae ko apnae jaisee sathi mil hi jatae hain) Iss ne apne saath kuch logoan ko jama kiya. us dor main namaz say rukna nifaaq ki saaf alamat thi, aur munafiq ko namaz ke liye jaana maut lagta hai.
-lihaza is kamzori ko chupanay k liye 3 masjid banai jahan panah le liya kerain gay namaz perhnay say
-Adda chahte the, inn ke talluqaat uss waqt ke non muslims; romiyoan ke saath the. Chahte the madina mei nabi aur musalmanoan ke hilaaf mahaaz araayi karwayii jaaye - usi masjid ko inhon nay siasat k liye banana chaha, asal amal logon ko exploit kernay ka tha
-Ye chahte the log batt jayein, kuch idher kuch udher – tu aik doosre ke hilaaf karein unn ko
chahtay thay k nabi saw ab is masjid main aa ker aik din namaz parh dein, aik taraf se iftataah kar dein – Nabi saw tabooq ki tayariyoan mei the tu kaha waapsi mei aa ke parha doon gaa.
(Aik galat jaga pe sirf ja k beth jaana hi us kaam ko logon k liye jaiz bana deta hai, is liye is say bachein – doosroan ki duniya banate banate apni akhirat barbaad nahi karni)
Tabooq se waapsi pe umeed thi Nabi s.a.w apne wade ke mutabiq waha jaa ker namaz parha dein ge, aur ye unn ko moqa de deta!!! or phir Allah SWT nay nabi saw ko rok diya wahan jaanay say – ye ayaat naazil ho gayeen! Keh diya gaya wo masjid jaa ker giraa do!!! -deen ka nam per koi bhi kam jis main ikhlas na ho aur shirk ho wo mandir see bhi kharab hai
-Log shirk ki haqeeqat nahi jantay , us ko neglect kertay rehtay hain – Shirk ko neglect kar ke chote chote masloan ki bunyaad pe ummat aaj batt gayii hai!!
-choti choti baaton main hi ulajhtay rehtay hain
-shirk see bara gunah koi nahin hamain sub see pahlae apnae iman ko check kerna hai Iss ayah mei dekha ke Allah swt humaray amal dekhain gay , ramzaan main to bohat acha hai , aagy is k baad kia hoga – Haqooqullah, aur haqoolqul ibad ke muamaloan mei kiya faraq aaya? Jis ko nekion k moqay chahye woh search kerta hai
* No excuses , just say YES to all acts for Allah swt *
-Neki ka kaam ker k bhi khushi na milay to matlab hum kuch galat ker rahai hain kahin
-Dil ko agar sakoon mil raha hai neki say to kertay jayye , baqi kisi cheez ki zaroorat nahi Yaha paak saaf rehna ka ishara bhi diya gaya!
tauba main aqeeday ki safai sab say pehlay, tauba asal main pakeezgi ka naam hai
LaIllaha Illallah ko kalma tayyaba kehte hain kyounke ye hamare sochoan ko paak kar deta hai!! Phir Muhammadur-Rasoolullah kahein tu dil ko paak karein sab jhoote heroes se – unnhi ka uswa e husna! Wohi hum ko kaafi hain. Ibadat aur muasharti muamale unnhi ke follow karne hian!
Phir aahista aahista aankhoan mei paakeezgi aaye gi, kanoan mei aur poore jism mei!
Jab dil paak ho jata hai tauba or tazkiye say, to Allah swt bohat saray rastay bana dein gay!!! Ikhlaas ke baghair deen ka kaam phaly phoolay ga nahi , sirf imaarat reh jaye gi! Ayah 111 - A perfect deal – Allah ki raah mei larne waaloan ke liye jannat!
Aik company kholi ho agar , phir order letay hain mukhtalif , ab agar order bahir ki company say ho , to contract hoga , ab is contract ki language wohi honai zaroori hai jo hum ko ati ho!
Ab Allah k saath deal sign kernay ke liye , zaroori hai k hum ko contract ki language ay, woh arabi hai – ye Quran Allah swt ke saath hamara contract hai – aur hum samajhte hi nahi???
Qayamat k scanners main nabi saw k tareeqay aik criterion hongay!! uss k mutaabiq humaray amal test hongay- har naiki unn ke sanchay mei se nikaali jaaye gi! Hamari naiki nabi ke amal ke mutabiq na ho tu kal koi faida nahi ho ga!
Allah ki deal ki sharaiet==rasool kae sanchey main dhaloo/qayamat kae roz yahi crieteria ho ga janch ka
Amaal ki roots = Quran o sunnat ------> tabhi Success hai
deen kae naam per hum koi bhi kam ker rahae hain wo agar quran aur nabi kae mutabiq na hua to qabool nahin ho ga- hamara deen daleel ka deen hai! Allah ke nabiyoan ne bataya ke kiya, kitna aur kab karna hai – yehi DEEN HAI!!
Aaj ka fitna = only for good cause , galat kaam bhi isi liye kar lete hain!
Allah say soda rakhnay wala Allah ki raza ko bunyaad mei rakhta hai! Maqsad Allah ki raza aur bunyaad mei ikhlaas hai- Phir inshaAllah naikiyaan kaam ayein gi! work on solid grounds! Sachay deen main say khushboo ati hai zahiri bhi or paedaar bhi – asar dil o damaagh pe aata hai!!! HIGHLIGHT: anfusahum wa amwaalahum – pehley Allah swt ko hum matloob hain, tab hi hame jannat mile gii!
-Hum/hamari jaan mei sab se pehle
Ego/Ana, Waqt, Sehat, Skills, Carrier
Hadees mei aata hai ke Jannat main aik pukaar lagay gi ke yahan koi beemaar nahi ho gaa, yaha koi boorha nahi ho gaa borha nai hoga , yaha kissi ko koi takleef nahi hog ii!
-Maal
HIGHLIGHT==biannalahumul jannah
hum apna kitna waqt Allah k liye lagaana chahte hain? Ayah 112:
Amal k list is deal yaani Jannat ko done kernay walay k liye;
Make a checklist for all these amal points and check – Do I have these in me??? Duniya mei 3 qism ke log;
Jo khud ko bech dete hain - mauj masti – inn ko doosre bhi bura kehte hian – ammoman criminal - bohat sasta becha khud ko - nafs parast - khud garz
Khud ko doosroan ke haathoan bechne waale – people pleaser - people conscious - logon say achay comments chanay k liye – shohrat paate hian lekin innhoan ne apni qeemat kam kar dii
Apne aap ko Allah swt ke haath bechney waale – yehi pasandeeeda hai, Allah pleaser - faani duniya ke badle gair faani akhirat lene waale – har cheez mei khud ko Allah ki nazar se dekhte hain, chahe log kitni batein karein - Kisi ki koi parwa nahi, sirf Allah ki
Momin ki zindagi mei 2 qism ke moqe aate hain – aik tu jab wo bhi khush aur Allah swt bhi , aur kuch jab won a khush magar Allah swt khush! Tabooq ke liye nikalna koi khushi ka sabab tha? Paseene, garmi! Ajj self pleasing culture hai!!
Wohi bachay ga jo Allah ke liye kaam keray ga
Momin ki zindagi mei ye muqaam nahi aata ke wo tu khush aur Allah swt naraaz! khushyon main mast rahon aur Allah naraaz hotae rahain Jab humara khud pe ehtyaar nahi tu apni marziyaan kyoun karna chahte hain? Be bas hain lekin khud ko kiya samajhte hain? Allah nay mujhay bohat qeemti banayah , lekin hum nay apnay aap ko khud sasta bana liye hai
Momin ko milta hai = Itmenaan - momin kae dil ki khushii itmenaan hai! Dua: Ay Allah hum mei ye saari khoobiyaan paida kar dein – Ameen. Momin Apni hi nahi oron ki bhi nekion ki hifazat kertay hain
Allah ki hadood ki hifazat kertae hain momin
Logon ko bidat say bachaatay hain, helpful for people
Yeh log bohat thoray hotay hain , magar kabil rashk - Sold themselves to the highest bidder - Allah SWT – inn ko basharatein mil rahi hain!! Ayah 113-114
Dil ko touch kerne wala topic = woh jo hum ko piyaray hain agar woh Allah ke pyare na hoan tu kiya karein?
Kyounke dil bohat dukhta hai!! Aaj agar hum jurr jayein Allah se aur won a jurein, hamare pyaroan se Allah pyar na karein tu aazmaish hai!
-Zindagi bhar un ki hidayat ki dua kerien
-Zindagi bhar koshish karo tableegh ki
-Jaisay Abu Talib ko Nabi saw bulaate rahe Allah ki taraf jo Aap ke chacha the – wo saari sindagi islam ke liye dhal bane rahe, baap ban ke Nabi saw ko pala, unn ki waja se makkah waloan ne 13 saal Aap ko qatal nahi kiya ke aar aati thi abu talib ka bhateeja hai!
Bistare margh pe hain aur Nabi keh rahe hain; Ay mere chacha aik dafa LA ILLAHA ILLALLAH keh do, mei Allah se aap ke liye sifarish kar doon gaa. Abu Talib ki aankhoan mei qabooliyat ke asraat the lekin paas bethe abu jahal ne kaha – Ay Abu Talib martey huey baap dada ka rasta chor rahe ho aik kal ke bachey ke liye – tu wo bole mei apne baap dada ke hi deen pe hoon aur jaan nikal gayi. Unn ke inteqaal se pehle Nabi tarap rahe the wok alma parh lein, unn ke inteqaal hote hi uth ke chale gaye , kafan dafan mei shirkat na ki. -Hazrat ibrahim as k walid mushrik thay – unnhoan ne wada kar liya tha baap se mei aap ke liye bakhshish maangoon ga aur dua kar bhi li.
Sahi Bukhari ki riwayat - Hadees ka mafhoom – Qayamat ke din Hazrat Ibraheem a.s iss baat pe pashemaan hoan ge ke Allah mera baap hai aur aag mei jaaye? Mere baap ko bakhsh de. Farishtey kahein ge ibraheem aap apne paaoan ki taraf dekhein kiya hai, unn ke baap ki shakal bijoo ki bane gi aur farishte us ski dumm se pakar ke use jahannum mei daal dein ge.
Iss tarah Allah swt un ko ruswai say bacha lein gay ke log Ibraheem ke baap ko jahannum mei jalta na dekhin. Aaj hamara sab se bara imtehaan; hamare pyaare! Aaj hum unn ke gunahoan pe khamosh rahein tu kal unn ko jalta dekh sakte hain??
Momin = doosron k liye tarapta rehta hai saari zindagi – apni fikar, phir waldain , behn bhai , aulaad , rishtedaar wageira aur duniya se tarap tarap ke chala jaata hai. Ayah 115
Hum ne Quran parh liya Allah ki hidayat se, agar ab hum paltain gay , to woh hum khud hi hongay , Allah swt nahi chatay ke hum paltain
Clear instruction and communication is very important! Ayah 116
Muhasba:
Kiya haqeeqat mei MEI aisi hoon?
Kiya mere dil mei logoan ka dard hia?
Kiya Ibraheem waali tarap hai?
Kiya ye saari siffat jo peeche parheen, mere ander hain?
Kiya deen ki haatir rishte daroan se batein sun leti hoon? Ayah 117 - Taebeen ki baat!
Allah Nabi ko muaf kar rahe hain, unn ka koi gunah nhai tha. Allah ne Surah Fatah mei keh diya Allah ne aap ke saare gunaah muaf kar diye – bata rahe hain agar nabi se bhi gunah ho jata tu Allah apni rehmat kerte, muaf kar dete Nifaaq jab tak dil main rehta hain , insaan us pe jab tak amal nahi kerta Allah swt us ko bacha letay hain
asal masla tab shuroo k jab nifaaq k soch pe amal ho
Mukhlis log mushkil halaat main baaz dafa jaan churaanay lagtay hain
asal fasad jub hota hai jub deen ka kaam kertae kertae dil main nifaaq aa jata hai
Sakhtiyon main kaam kernay walay kamyab hain
Ikhlaas ho tu Allah bacha lete hain!
Jeyshul ushra naam hai tabooq ka; tangi wala lashkar Ayah 118
3 Log jin ki tawba pe iss surah ka naam;
Kaab bin Malik ,Marara bin Rabi, Halal bin Ummaiyya – sache momin the, qurbaniyaan de chuke the, Badr mei shareek the jin ke bare mei Allah swt ne kaha ke koi naiki nab hi karo tu jannat mile gi – phir bi Tabooq ke moqa pe jo susti inn se hui, Allah swt ne yaha tazkara kar diya.
Ka’ab bin Malik kehte hain mei ne jaana tha, poori niyyat thi aur koi mushkil bhi nahi thi lekin aise hi susti – hatta ke qafla nikal gaya. Phir mei ne socha thori deie mei jata hoon – phir aur waqt guzra tu kaha ab kaha dhoondoon gaa unhein.
Kehte hain phir dil mei guit, Madina jaha bhi dekhta tu ya tu munafiq auratein aur beemaar dikte. Poora waqt guzaka, jab Allah ke Nabi s.a.w waapis aaye tu sab jhoote uzar taraash rahe the. Innhoan ne socha mei bhi jhoot bol doon, Allah ke nabi ne kiya kehna hai. Lekin phir socha nahi sach boloon gaa. Allah ke Nabi ko jaa ke keh diya mere paas koi uzar nahi, maal o daulat, asoodgi hai, mei sirf susti se nahi aaya. Khete hain jab baahir palta tu rishtedaroan aur dostoan ne daanta. Keh rahe the mei ne dukha log aa rahe the, diloan mei nifaaq aur moo pe jhoote bahane bana rahe the lekin jobhi ata Allah ke nabi kehte acha koi baat nahi, Allah tumhe muaf kare. Inn ke muamale pe Nabi ne keh diya Allah faisla karein ge. Allah ki taraf se hukam aa gaya ke social boycott kar dein. 40/50? dinn tak in say koi baat na kerta tha, beewiyoan ko bhi alag hone ka hukam de diya. Kehte hain jab saza sun ke mei baahir aaya tu dostoan ne danta, qareeb tha ke mei waapis jata aur baat badal ke bach jaata lekin mujhe pata chala ke aik aur sahabi ne bhi yehi kiya hai. Phir ye mazboot ho gaye.
Q . Hum say koi aik din baat na keray to mushkil ?
sahaba ka dicipline nabi saw see mukhlis rahae, jis ka hukam tha wohi kiya.
Phir 50 din baad ye ayaat naazil huein aur tauba qabool hui. Kaab bin Malik kehte hain meri zindagi ka sab se khoobsurat din ye tha. Mei ne kaha Allah ke nabi iss khushi mei Mei apna sara maal na ALLAH ke raaste mei sadaqa kar doon? Tu Aap ne kaha nahi kuch rakho apne liye. aaj un jaisay log kyun nazar nahi atay hain ?
Aaj musalmaanon ko bhi kai mushkillaat darpesh hain – zameen tang ho chuki hia! Kyounke hum ne jihad chor diya!
magar hum deen say dor rehtay k asaani rahay gi
lekin deen say jur ker hi maal sehat khushi sakoon aman milay ga!
Hazrat Ka’ab ne kaha ab mei kabhie jhoot nahi boloon ga, kyounke mere sach pe mujhe duniya mei saza mil gayii lekin mei akhirat ki saza se bach gaya tu kaha; Ayah 119
Sach ka saath dena hai inshALLAH
behtareen sach = la ilaha illallah muhammadur Rasoolullah
Taqwa ke lens se duniya dekhein ge tu hidayat nazar aaye gi!
Duniya mei jo duaein mangein zaroori nahi qabool hoan, lekin aik dua hai jo Allah swt zaroor dunya main qabool karte hian; Ehdinas-siratual mustaqeem! Hidayat ki dua! Shart hai ke sachey hoan!
Sirat e mustaqeem ki dua Ayah 120-
Daant ke Nabi ko bhi tu garmi lagti hai, wo bhi to gosht post ke bane hain, tum ghar sanbhaalo tu nabi ke ghar bhi tu hian na, tumhari bachiyaan hai shadi karni hia tu Nabi ki bachiyaan nahi?
Dosti ka mayaar bata diya; Us ski taraf se be parwa ho ker apne nafs ki fikar?
Munafiq jhoota , deen say aur deenwalay say us ko koi muhabbat nahi hoti lekin jab hamara deen iss tarah hame pyara ho jaaye jaise hamara bacha, jaisay bachay ko chortay nahi hain na hum aisay hi deen ko kabhi nahi chorna hai!
Allah kabhi humaaray hardwork ko zayya nahi kerain gay, never ! bhook, pyaas mushaqqat ki har museebat ka aala badla mile gaa! Allah be-qadray aur na-shukray nahi! Aleem hai!
Pety bahane nabanayein, bohat jald duniya se chale jayein ge!
Momin pe mushkil aaye tu kehna hai husbunallah, husbiyallah – munafiq pe aaye tu haaye waaye, yeh mushkil , yeh garmi , yeh dard wageira.
Momin ko Allah thaam lein ge mushkil mei! Kyounke momin mushkil ko hans ker qabool karta hai Allah ki raah ki! Har kaam ikhlaas se karna hai! Ayah 121
Kiya Allah chor dein ge badla dena? As-Shakir? As-Sabuur? Wo baadshah!
Dil mei khaloos ho, uzar sacha ho tu kaam karein na kare, ajar ghar pe bethey mil jaaye gaa! Tabooq ke baad itne ajar ki ayat naazil huien tu umeed thi sahaba ko ke aik aur moqa aaye aur sab uth ke phir se chal dein, tu kaha ke nahi, mstaqbil ki umeed ki bajaye jo waqt hai kaam ka, tab hi karo! Ayah 122
Jo kaam kaha jaye woh kero , jahan jaanay ko kaha jay wahan jao , jab kaha jay tab kero , to baat hai
* Humara manhaj aur methodology bata diya iss ayah mei= Har koi har kaam nahi ker sakta , kuch jihaad , kuch ilm k liye kaam kerain gay , har koi apna apna target keray ga, apni skills aur himmat dekhe gaa. Phir wo ghar waapis aa ke apne aas paas waloan ko deen samajh ke Allah ka peghaam dein ge
us sawal ka jawab kay kion her gher may say koi aik kam az kam deen seekhay
High profile pe kaam sometimes , and sometimes low profile pesirf 2 logoan mei hi!
Somalians nay socha k humari mushkilaat kyun nahi jaati, gurbat hai, tab socha ke ab hum shariyat nafis kerain gay apnay mulk main – wo manzar iss ayat ka dikh raha hai. Study camp ki, logoan ko train kiya aur ilm ka jaal phela diya – aur ab batay ahai ke mulk pehle behter hai! Dua: Ae Allah hamara hissa apne ghar waloan, rishte daaroan aur ilaaqe waaloan ke deen mei daal dein – Ameen. Ayah 123
Asool; islah qareeb see shuroo karoo - charity begins at home , pehle qareeb tableegh or islah ho phir agay
Sakhti se kahein ghar waloan ko – ye kiya ke namaz ke begair wo roza rakhein aur unn ko iftar mei pakorey, samosa khilayein?
Hum jab tak apnay deen pe nahi chaltay, tab tak koi humaray deen or humarai baat ko nahi maanay ga! Aik achay muballigh main firmness zaroori hai , eg mothers ko mazboot hona chaye bachon k saath deen k liye
likewise doosray rishton main Ayah h 124
Allahumma laa tajaalnaa minhum- Ameen
HIGHLIGHT....... ayyukum zaadathu hazihi eemaanaa – Munafiq ki alamat ke iman mei doobi hui ayat ka uss pe asar nahi hota. Aur jaan ke aisi batein kart eke doosroan pe bhi asar kam ho.
jab emaan or taqwa na ho to quran suntay manfi khAyah lat atay hain aik hi barish, aik ka dil kathor aur doosre; Munafiq ke bar-aks iman waloan ka muamala!
Iman aur taqwa na ho tu quran sunte huey manfi khayalaat aate hain Ayah 125
Munafiq ki baat – Allahumma la taj’alna minhum – Ameen.
Ye log quran sun ke bhi sookhey ke sookhey!
yeh quran faida dey ga zaroor , masla yeh hai k dosri janib burai say darwaza band nahi hua – ankhoan, kanoan, dil ki khayanat nahi chori! Ayah 126
Azamaishain ; hadsoon ki soorat , ilzaam ki soorat, beemariyaan wageira Ayah 127
Quran nazil ho raha tha, tu dil mei darte hamara pol tu nahi khul raha.
Allah aise logoan no na samajh keh rahe hain
deen say bhag nikalnay walay , to Allah bhi door kertay hain Ayah 128==Taluq birrasool
Allahumma salli wasallim ala nabiyyinaa muhammad !
Ayah h128 - 129
yeh Ayah subah shaam ki duaoon main hai , 7 baar perhi jay
yaqeen say to sab muhskilaat dooor
ghamon say beniyaaz ho jay gay ... experienced !
hasbiyallahu laa ilaahaillahuwa alaihi tawaqqul tu wahuwa rabul arshil azeem
’Hasbiyallahu … azeem’ =fajar aur magrib kae bad 7 bar parhnae se Allah ka wada hai ke duniya aur akhirat ke saare gam mitt jaate hain!
Allah sub mushkilaat see bae niaaz ker daitae hain Acha leader ban k dikhayah nabi saw nay – logoan ki islaah ke hares
Kiya hum logoan ki falaah ke hares hain? Allah Iqbal ne kaha;