29th July 2012 Day 15 Azkar e Naafia


Nigah buland, suhan dil Nawaz, jaa’ pur soz



Yüklə 128,89 Kb.
səhifə2/2
tarix18.01.2018
ölçüsü128,89 Kb.
#38931
1   2

Nigah buland, suhan dil Nawaz, jaa’ pur soz

Yehi hai raht-e safar meer-e karwaa’ ke liye

Acha leader door ki cheez dekh leta hai, awaz dil mei utarne wali hoti hai, aur logoan ki be deeni pe tarapta hai! Yehi safar ka samaan aik bande ko leader banata hai

jab tak hamaray andar dard nahi ay ga to doosray bhi nahi dein gay!

Koi karwaa’ se toota, koi bad-gumaan haram se

Ke mere karwaan mei nahi hoey dil nawazi!
Astaghfirullaha rabbi min kulli zambin aznabtu wa atoobu ilaiiih !

*** Daura Quran 2012 – Para 11 - Surah Yunus ***
Makki Surah – tu zyada ehkamaat nahi
tarteeb say 10th aur tarteeb e nazool say 51th surah hai

Surah Yunus ka naam yunus aik alamat ke tor pe hai! qom e yunus k waqay ki waja say yeh naam hai

Yaha se teesri manzil shuru hoti hai jo Surah Nahl tak hai
Surah Yunus ki khoobiyaan;

ya ayyuhannaas , bohat baar hai , insaaniyat ke naam Rabb k apeghaam

mazmoon bohat light surah tauba ke muqable pe.
Imaan ke 3 bunyani ajzaa – Imanaat-e salasa – jis ka qabar mei poocha jaaye gaa; Man Rabooka? Mann Rasooluka? Maa Deenuka?

imaan bil risaalah pe baat hai ziyada iss surah mei

imaan walon k liye khushkhabriyoan ka tazkara
makki dor ki akhri surat honay ki waja say , muzahmat or ghabrat bhi dikhti hai

yani tabhleegh ka zor tah , achay dalail say baat samjhai gay

Ayah 1-2

Kiya kitaab se hikmat mil rahi hai?

Quran k tazkeray k saath hi = nabi saw k ilzaamaat ka bhi tazkara

jo sach ki janib bulay ga to foran baatain sunni hongi

Nabi saw pehle pasandeeda tha lekin yunhi unn ki taleemat baap dada se takrayein, log dushman ban gaye!
Magar Allah aise logoan ko Jannat dein ge jo jamm jaate hain – Qadama sidqun einda rabbihim!

Duniya mei Allah imaan dete hain, Allah isi say qadam jama detay hain

Quran ko sirf barkat ke liye nahi parhna – iman ka sar chashma quran hai! Isse seekh ke parhna hai taake amal aaye!

akhirat ka maqaam bhi sachai ka

jaisay sugar low to sweet khatay hain , to jis ko apna emaan low lagay to is quran say jurray rahyye

jis nay ziyada gas li , us nay ziyada car chalani hoti hai , aisay hi jis ko ziyada neki kerni hai , to woh quran say fuel letay hain , namaz say energy letay hain
2:06:20 se pehle pause mei– Ayah 3-10 missing

Ayah 3-4

Kaam usi k liye asaan jo Allah ko janay , lihaza agay taruf !

HIGHLIGHT...... Ilaihi marjiookum jamee'an

rabobiyat ki topics hain sab
Do main say aik anjaam har ek ka hai

ya to cold drinks milay gay ya kholta hua pani
Ayah 5-6

* yahan k zaiqay per akhirat k zaiqon ko prioritise kerna hai

Ilm lo gay to khof ay ga

taqwa + ilm ,,,, saath saath
Ayah 7

Muhasba;

Kia mujhay Allah say mulaaqaat ka yaqeen hai?

kia mein dunya k faidon main ghum to nahi ho gayii?

kahin yehin k araam main to nahi hoon?
Ayah h 8-10

momin dunya main Allah ki tareef k gun gaata tha , to jannah main bhi shukar say Alhumdolillah hi kahay ga

jitna aqeeda darust, utni hidayat zyada aaye gii! Iman ki waja se hidayat milti hai, na ke batane waale ki waja se!
Ayah h 11 : HIGHLIGHT Ye hai Allah swt ka intaqaam

""tum roothae hum chootae""
Ayah 12

Jab koi result anay lagy to kia haal hota hai , kitnay bechain – sab ghar waale bechain

Kabhi hum nay apna or doisron ki akhirat k result ko socha hai?

Jis tarap se unn ke duniya ke career ki fikar karte hain, akhirat ki zyada tarap laga lein!! Zyada tarap se akhirat ke career ki baat karein, mil ke koshish karein!
Ayah 13

Log rasooloan ki nahi maante the, agar aaj hamari nahi maante tu gussa ya dukh kis baat ka!

Na hum ne convince karna hai, na force - just convey the message – Jab manwane ki fikar karte hain tu logoan ke liye deen ko araam karte jaate hain aur door ho jaate hain asal deen se.
Ayah 14: HIGHLIGHT

Dunya main kyun bheja tumhe = examine you, observe you – to check who is good at work

duniya imtehan gah hai

dunya ki zindagi fun time nahi , picnic time nahi, fun plex nahi!

You don’t live just once – kal phir se uth ke iss zindagi ke har amal ka jawaab dena pare gaa!

Zindagi k baray main nuqta e nazar badal lengi to sab theek ho jay ga!



Ayah 15

Surah Yunus mei baar bara mile ga; ke logo tum hum se milna nahi chahte?

Kia hum Allah say milna chahtay hain?

jis ka 5 waqt ki namaz ka dil na chahay to kaisay us ko Allah say akhirat main milnay ka shoq hoga!

hum nain jis ka kuch daina hota hai us se milna nahin chahtae

achi koshishain hongi to dil chahay ga Allah se milnay ko!

Allah swt say milnay ka shoq na ho, to zaban khoob khulti hai
Ayah 16 -17

Mujrim kaha, sinner nahi!! Jurm to koi bhi ker sakta hai

Log is quran k ehkamat ko badalna chahtay hain, khud ko nahi – purzoar mutalba kiya gaya inn ayaat mei. Baaz dafa insanoan se muhabbat ka naam le le ker iss kitaab ko badalana chahte hian! Kehte hian jihad nikaal do, death penalty nikalwa do!

Book: "what kind of islam does west want" – Aaj west se poochne lag pare log hamari kitaab ke bare mei??? Hard or ke nabi ko kaha gaya hame aap ki baatein samajh nahi aateen! Agar asaani se hota sab, har wo cheez quran mei hoti jo nafs ko achi lage tu jihad bil nafs kaha hota?

-sub ko is quran per fit hona peray ga, humain apnay gunahon ko kum kerkay is may fit hona peray ga- Quran ko na trim kar sakte hain na hi bara!!! Yehi final version hai!!!

Aaj ke musalmanoan ka jurm; kisi aise quran ke intezaar mei hain jo hamari saari rasmoan ko aur adaat aur non muslims ko khush kare ke phir hum pakke momin ho jayien ge!!!
Ayah 18

kitaab ko choor ker baikaar cheezon per dhayaan dete hain!

Hamari amoomi zindagi ki sargarmiyaan kiya hoti hain??? Zindagi ka goal kiya hai?

Inn mei se aksar hame nafa kam aur nuqsaan zyada deti hain, ya phir wo jin se na hi nafa aur na hi nuqsaan– akhbaar parhein rozana lekin 1 sapara na parh sakein – La Yadarruhum wala yan faoohum’ - Agar wo kkhabrein na parhte tu kiya nuqsan pohanchta hame ya parhen se kiya faaida mila??

Zindagi ko purposeful karein!

momin nafa laita hai , apna nuqsaan nahi kerta
Ayah 19 - Ab hamari history!

shuroo main sub aik hi aqeedae per the – Tawheed – Laa Illaha Illallah!!

asal deen aik tha Allah ka, baad mei logoan ne badal diya!
Ayah 20

Allah kae liyee koi misal nahin- yehi tawheed ka taqaza hai ken a koi misaal dein na koi kaifiyat bayaan karein, na kissi se relate karein

Allah hamain zaberdasti na to naiki kerwatae hain aur na hi gunnah, sirf daikh rahae hain hamare aemaal aaj iss duniya mei! Kal batayein jayein ge hum!
Ayah 21

Allah ki rahmat anae kae bad chalbaziyan kertae hain, sab naikiyoan ke iraade peechey kyounke khushi,rehmat aa gayii; maslan bacha, shadi, bara ghar wageira!

magr unki sub chalbaziyan farishtae likh rahae hain!

Farishtoan mei koi sense hoti tu hamare bad amal dekh ker dukhi rehte, Allah ne unn ko iss sab se paak rakha hia.

Hadees mei aata hai ke Maalik jo jahannum ka daroga hai kissi ne aaj tak uss ko hanste nahi dekha!
Ayah 22

wo Allah hi hai jo panii main aur khushkii main chalata aur bachata hai har qism ke taufaanoan se!

Tawheed fid-Dua ki baat hai iss ayah mei!

ibadet may shirk ke aik maaroof qisam : dua may shirk

shirk fid dua ==jub duayain aur tawaqoo kisi aur see rakhain

deen ==muraad ibadat== yaani dua

Araboan ki adat thi ke zameen pe mushkilaat hoteen tu apne butoan laat, manaat wageira se hal mangate aur samunder mei mushkil aati tu Allah swt ko pukaarte khalis kar ke

Aaj hum musalman choti choti cheezoan ke liye Allah ko pukaarte aur bari cheezoan ke liye bazurghoan aur qabroan ko!!
Ayah 23

baaghii==hakomatae waqt kae khilaf baat karne waala – jis ki saza qatal hai!

Allah se bagawat kar ke jeetey ho???

shirk kernae walae /gunah kernae walae Allah see baghawat ker rahae hain – 5 waqt namaz na parhna bagawat nahi? Haram kamana bagawat nahi?

Ye sab hamare khalaaf parti hain – akhirat mei bhi aur duniya mei bhi!

agar hum yahi sooch lain ke hum nai Allah ki taraf hi lot ker jana hai tu khud ko darust kar lein
Ayah 24

dant==is liyee Allah ki baat nahin sun rahae kae duniya aziz hai to yae jaan lo yae duniya to bahat kamzoor hai tu iss keg ham kiya aur is ski khushiyaan kiya phir???

young age main death ki khabar hai iss ayah mei! Sochne ki zaroorat hai – kiya jawani mei maut nahi aa sakti? Phir maa ki goad khaali!! - naseehat lainae ki zaroorat hai hamain

Muhasba: Mei mar gayi to mairae bachon ka kia ho ga?

ya yae jumla sahih hai ke ""agar maira bacha mar gayah to uss ka kia ho ga?

Akhirat ke liye kiya bheja aagey?? Yaha masters, phd – aur waha ke liye kiya??

Duniya ki rehmatoan ko akhirat ke liye nematoan mei badalna hai – unn ka sahi istemaal karna hai!

hum deen is liyee kyun choorain kae mushkil hai?

jitna hamara dil is duniya main lage ga utna hi depression ho gi!

Aik tu jahannum ka azaab, phir pachtawa – ooper se ye bhi pata ke waapis nahi aa sakte – haaye hasratein!!!

Khud ko aahista aahista duniya se detach karne ki koshish karein! Ye duniya rulaaye gii! Akhirat ke liye thora ro lein tu faaida ho gaa!
Ayah 25-26

HIGHLIGHT - Ayah 25

invitation aaye tu hum yae daikhtae hain kis nain bulaya,kahan bulaya? kis pyar se bulaya?

Koi dars ka flyer aaye tu ussi tarah labbaik kehte hain Allah ki pukaar per jaise pehle invitation per?

kia hum Allah ki dawat ko bhi usi tarah laitae hain ?

irada kero, Allah humara hath pekray ga , insha'Allah – wohi raaste dikhaaye gaa!

Allah baar baar dawat de rahe hain darus salaam ki!

Husna==Jannat

Ziadatun ==Allah kae chahrae ka deedar
Allah ka wada chahre sufaid ker dain gae waha!!

Hadees mei aat hai ke jannati aurat inti haseen ho gii ke jab wo sharbat piiye gii tu uss ke jism mei se iss tarah guzre gaa chamakta hua ke jaise crystal ke ander surkh rang ki koi dori ho!

kia hamain crystal ki doll bannae ka shooq hai? Ussi mei chamak aur khushboo!
Ayah 27

ugsheeyat wujoohuhum-----muzlimann==jaisee tawa

Jahanammiyoan ke chehre kale sayaa hoan ge! Duniya mei rang ka zyada hona koi azaab nai, Bilal aur moosa a.s habshi the – Allah kitne pyar se naam lete hain!
Ayah 28 -30 – Jahannum ka manzar

shirk fid dua ke dosri misaal hai yaha

duniya mei log jin bazurhgoan ki qabroan pe jaate hain wo 2 qism ke bazurgh hote hian;

sari zindagii naikiyan kin/naik itane kae apnae door kae log unki izaat karte – aksar aulya karam aise hi hain /mohabat kae naam per marnae kae bad logon nain unki qabar alag banyin/phir logon nai waqt ke saath dargaah bana di / duyain mangin un ki qabron see ke ye bohat naik the/ kuch sirf fateha khawani ke liye jaate – Aise bazurgh qayamat ke din be nayaaz hoan ge ke ALLAH jee hum ne tu inn ko aisa karne ko nahi kaha tha

doosrae jinhon nain zindagii main peeri mureedi ki aur phir marnae kae bad bhi yahi muamla hua

Allah ke jitney naik wali aur aulya ikram gaye, Allah unnko apni rehmat mei rakhein – Ameen – AUR HAME BHI WAISE HI NAIK KAAM KARNE KI TAUFEEQ DE – AMEEN!!
Shirk kub hota hai jub Allah ke qader nahi hoti – tu agli ayat talluq billah ke naate se;
Ayah 30: HIGHLIGHT ilallaahi maulaahumul haqqi wa dalla ....yeftaroon : Ayat e tadabbur
Ayah 31 - Tawheed-e Raboobiyat!

Sab jaante ho tu kyoun nahi maante – Wo Allah hai – sab kaam karne wala wohi hai, log nahi!
Ayah 32 – 35 – HIGHLIGHT: Famaza ba’dal haqqi illad-dalaal! Ayat-e tadabbur!

Allah ka qanoon; seedha raasta chorein ge tu zaroor bhatkein ge!!!

Seedha Raasta; Quran aur Nabi ki sunnat!

Nabi ki zubaan se quran ka pegham sun ker wo log ta’sub ka shikar ho jaate – Tu Allah swt ne farmay ainn se nabi aap pooch lein – 35 – 36

Koi tmhare shareekoan mei peida kar sakta hai kissi ko – pehli baar aur marne ke baad doobara?

Allah to Alhaadii hai, kia tumharae buzurg bhi guide kertae hain?

Hargiz NAHI!!! – Siraf Allah swt hi ye kaam kar sakte hain!!

kisi kae peechae chaltae ho yae to maloom ker lo kia wo bhi sahih rastae per hain?
Ayah 36

ilm kae muqablae main gummaan/zann!!!

Aaj ummate muslima mei yehi ho ga! Ilm lete nahi aur doosroan ki batoan mei parr jaate hain!

gumaan haq ki zaroorat poori nahin kerta
Ayah 37 - quran pe Makkah walae aieteraaz kertae thae – ye Kitaab tab utari jab ghar ghar mei shirk ho raha tha!! Tu Allah keh rahe hain unn ko keh do ye Quran aasmaan se aa raha hai, mei apni marzi se nahi laa raha!
Ayah 38 - 39

Nabi pe aik aur ilzaam; ke kitaab ki baatein khud likhte the. Agar yae Nabi nai ghara hai to tum bhi isi tarah ki koi surat lai aayo!

Quran to nap tol ker bata raha hai kae tumhain kia kerna hai, Allah tum se kiya chahte hain!! Tu andaze ki koi zaroorat nahi deen mei!
Ayah 40

Najanae main Allah ki nazron main kaisi hon?

kia main shirk to nahin kertii aur jaanti hi na hoon?

Kahi Nabi ke bataye huey raaste se hati hui tu nahi?

Dua: Ay Allah agar aisa kuch hai tu mujhe waapis seedhe raaste pe le aayein – Ameen!
Ayah 41

Kisi ko khush kernae kae liyee Allah ko naraaz na karain! Nahi mante tu chor do, khud unn ke saath nahi lagna!

Agar aise hota tu 13 saal Nabi chaut na khaate kafiroan ki!

Momin ko apnae deen per yaqeen hota hai!
Ayah 42 – 44

Kuch log sunn ke bhi kaan band kar lete hain jaise suna hi na ho

Allah kisi per zulm nahin kertae – balke log khud pe zulm karte hian shirk kar ke aur kufr kar ke!
Ayah 45

is duniya main hum aik doosrae see ta'aruf hasil kertae hain – jaan pehchaan. Allah keh rahe hain tum nahi jaante – Asal qayamat ke din ho ga! Ye duniya qayamat ka introduction hai!

ghate main wo jo Allah ki mulaqaat ko jhutlata hai
Ayah 46 - qayamat kae ane ki dhamkii
Ayah 47 – 49 - Iman bir Rasool

49- Qayamat ki baat

Nabi saw khud keh rahe hian mere paas tu koi faisla nahi, sab Allah ki marzi pe hi muheet hai!
Ayah 50 - 52

ajj jo jama karain gae wohi kal niklae ga – Qayamat ke din wohi muamala ho ga!

duniya aik grocerry store hain yahan hum jama ker rahae hain ,counter per wohi niklae ga jo hum ikatha karain gae – SOCH LEIN!!

Itna kuch sun ke bhi tarjeehaat nahi badalna????
Ayah 53

2012 main nahi balke jub Allah chahain gae qayamat aaye gii!!
Ayah 54 - duniya ka saman non returnable hain – one way – no u-turn! Jo karein ge ussi ka badla kal payein ge! Waha koi chance nahi diye jaayein ge!

Ayah 55 - 57

Ayah 57 main Ayah e Tadabbur ke Quran kiya hai?

Quran ki siffat;

Naseehat/reminder

Diloan ke amraaz ki shifa

Hidayat ka nuskha hai

Rahmat; sakoon, sachi khushiyaan!

lecture : quran meray dil ke bahaar
Ayah 58

Kiya samait rahe hain? Gharoan mei kiya kuch hai?

kia hum quran course main dakhla lainae walae ko mubarakbad daitae hain ya sirf duniya mei kaamyaabi lene waaloan ko??

na shuroo kernae per aur na hi takmeel per

Maoa’n ke diloan mei bachoan ko doctor banana kit u tarap hai, kiya hafiz banana ki bhi hai? Hadim-e Quran bane?

Hazrat Mariyam ki maa ne bachey ka duniya mei aane ka bhi intazaar nahi kiya aur Allah ke liye waqf kar diya – aur hum kiya karte hain? Kal kis jannat ke dawedaar banein ge? Kiya wohi jannat chahte hain jin ke liye Abu Bakr aur Umar Farooq mehnatein kar gaye, poori zindagiyaan laga gaye??

Activity: Aaj jama shuda cheezoan ki list banayein aur check karein mei kin kheloan mei pari hui hoon?

kal qayamat ko hamarae sath kia honae wala hi? Lamha-e fikriya!!!
Ayah 59-60 – khud hi qayamat ke bare mei soche bethey hain ke kiya ho gaa?

Dua: Ay Allah hame shukar karne waala bana dein – Ameen.
HIGHLIGHT Ayah 61-62

Teesri dafa lafz Quran aa raha hai iss surah mei!

Hum sab har waqt Allah swt ki nazar mei hain!!

Allah Quran dete hain saza ke tor oe nahi, balke apna auliya banana ke liye!!
Auliya Allah ki tareef Ayah 62-65

be khouf log/zindagii iman aur us kae taqazae poora kernae per – na maazi ka gham na mustaqbil ka khof!

Dua: Ae Allah hame wali ullah bana de – Ameen!
Hadees e Qudsi mei aata hai ke Aulliya Allah wo hain jinhe daikh ker Allah yaad aye aur jin ki yaad ke saath mei yaad aaoon!
Ayah 66 – 67 – Allah swt ki tawheed ki baatein! Quran ka aik bara hissa Tauheed e Raboobiaat per hai – lekin hum haqq nahi dete jiska khaate hian!

shirk ki qismain
Ayah 68-70

Hazrat Eesa a.s aur Hazrat Uzair a.s Allah kae baitae nahin ho saktae ya farishtey Allah ki betiyaan nahi ho sakteen!!
bunyadi asool==Rasool kisi bastii main aise hotey hain jaise jism ke ander rooh!!

jub qoom nafermani kertin hain to Allah apnae nabi ko nikal laitae hain aur qomon ko azaab daitae hain – Rooh nikal jaati hai tu jism matti mei daal diye jaate hain!

Ayah 71 - HIGHLIGHT – Logoan ko sirf aaj hi deendaroan ki baatien buri nahi lagteen, pichli qomoan ka bhi yehi haal tha!

71-72

sachae deen ko paish kernae wale ko mushkilaat paish ayein gi – Nbaiyoan ki sachaayi ke wo logoan se paise nahi maangte the!

-Hamare liye message: koi bhi na manae phir bhi hum muslim rahain gae
Ayah 73 – Allah hame mukhalafat aur dhitayii na dena deen ke raaste mei – Ameen!

Tassali nabiyoan ke liye ke saare jhutlayein lekin aap ne haqq nahi chorna!
HIGHLIGHT- 74=natba'u alaa quloobil mo'atadeen

Jab banda Allah ke deen ke muamale mei had se guzarta hai tu Allah phir taufeeq cheen lete hian!
Ayah 75-76

Nabiyoan ke khoobsurat tareeqe se baat karne ko jadoo kehte the
Ayah 77-78

jadoo kerna kerwana bohat bara gunaah hai

HIGHLIGHT- wajadnaa a'leehi aabaa'naa

Har dor ka sab se bara but; baap dada ka tor tareeqa

Aur doosra ilzaam moosa a.s ke bare mei ke wo sardar ban-na chahte hain
Ayah 79-80 – Moosa a.s ka confidence – Momin haqq chahe pehle dikhaye ya baad mei – gaalib zaroor aaye gaa!
Ayah 81- 82

Allah apnae haq kae kalmae ko haq ker kae dikhatae hain – sab se bara sach!
Ayah 83 : HIGHLIGHT : musrifeen

Kiya mei musrefeen mei se tu nahi? Israaf tu nahi karti?

Youth zyada the Moosa a.s pe iman lane wale

Youth galat pe jam jayein tu behak jaate hain aur haqq pe jam jayein tu bohat ko saath baha lete hain – bohat strong hotey hain! Jab ke boorhoan mei maslahatein zyada hoti hain!
Ayah 84-86 – Para’s Dua in Ayah 85 & 86

Musalman kafiroan ke liye fitna kab banta hai? Jab apni kitaab pe khud amal nahi karta aur kafir pareshan hote hian ke hum Islam ko manein ya musalman ko dekhein?

Quran; best book with the worst followers – westerns ne ye kaha!
Ayah 87- HIGHLIGHT===wajaaloo buyootakum qiblatan

Apne gharoan ko hi qible bana lo! Baahir pabandi lag jaye tu ander islam le aao!

Hazrat Abu Bakr ko haram mei quran parhne se roka tu unnhoan ne ghar mei parhna shuru kiya – aur log Islam ki taraf aaye!

Namazein qayeim karo!
Ayah 88-89 – Moosa a.s kehte hain Allah aap ne inn ko itna kuch diya ke inn ko dekh ker hamare musalman bhatak rahe hain –

Moosa a.s ki ye bad-dua firoan ke haqq mei tab qabool hui jab samunder mei doobte huey kehne laga – Inni Amantu -

ghairon ke perwe na kero aur gair ilm waloan ki perwi na karo!
Ayah 90 - 91

HIGHLIGHT – ‘Amantu … amanta beehi’ – magar bohat der kar di imaan laate huey!

Ayah 91 HIGHLIGHT

apnay say pochain kay kia jub may bhe imaan laoon gi yaani shaoori muslim banoon gi tu yeh jumnla sunna chahti hon? Maut ke farishte se?



Ayah 92

tadabur kerain - kitnay log ghaflet ke neend so rehay hain sirf khaa pee ker?
Ayah 93

bani israel achay musalman bane tu Allah ne bohat kuch de diya

wo iztaraari/majboori sabr mei kamyaab the , laikin by choice/ehtyaari sabr kay mauka may fail ho gaye



Ayah 94

apnay ap say sawaal kerain .. kia humain abhi bhe shakk hai Quran ki dawat pe?

yeh quran buhut pyara hai, aik bar is ko qareeb say dekhain kabhi nahi chuttay ga inshaAllah!
Ayah 95

sub Allah kay hath may hai

dua kerain kay Allah humaray liay hidayat ka faisla ker day - ameen
Ayah 96 - 97 : tasub walay ko kabhi hidayat nahi milay gi
Ayah 98-99 - yahan say surrah yunus kay naam ke waja

Inn pe azaab aya aur palat gaya – nahi tu Allah ka waada hai ke aik baar azaab aaye tu nahi lot-ta!

Hazrat Yunus Allah swt ke kahe begair jaldi mei qom ki nafarmaniyoan pe chor ke chale gay eke tum nahi theek ho ge. Kashti mei gaye, waha se machli ke pait mei – Waqiya aage parhein ge!
qaum e yunus ko focus kia Allah ne yaha!

koi nafs Allah ke ijazet kay baghair imaan nahi la sakta – dil majboor kare tu imaan layein ge!
Ayah 100 : HIGHLIGHT
Ayah 101 : tauheed e raboobiyat
Ayah 102 -103

HIGHLIGHT haqqan alainaa nunjil mumineen

Hum chahte hain mushkilaat se bachein tu imaan le ayein – mushkilat aur beemariyaan kuch nahi bigarein gi!
Ayah 104 - 105:

Dua: Allah humain bhe haneef bana day - Ameen

jub shirk chorain gay tu haneef banain gay
Ayah 106 - 107 : HIGHLIGHT 107

tauheed e raboobiyyat

Jo iss pe yaqeen kar le tu logoan se darna chor de gaa! Na hi kissi kea age jhuke gaa!!!
Ayah 108 : rasool say related Ayah

Hame pata chal raha hai Haqq kiya hai??

gum + rah = gumrah : jo rah gum ker day
Surah Yunus nay hunmaree soch ko seedha kiya!

Dua: Allah humain apnay say jor day - Ameen

Rabbana Taqqabbal Minna – Ameen.
Yüklə 128,89 Kb.

Dostları ilə paylaş:
1   2




Verilənlər bazası müəlliflik hüququ ilə müdafiə olunur ©muhaz.org 2024
rəhbərliyinə müraciət

gir | qeydiyyatdan keç
    Ana səhifə


yükləyin