Unki mehek ne dil ke ghunche kila diye He,
Jis raah chal diye he, kooche basa diye he.
Jab agayi he josh e rahmat pe unki ankhe,
Jalte bujha diye he, rote hassa diye he.
Ik dil hamara kya he, aazar uska kitna,
Tum ne to chalte phirte, murde jila diye he.
Unke nisaar koyi kaise hi runj mein ho,
Jab yaad aagaye he, sab gham bhula diye he.
Hum se faqir bhi ab pheri ko utthe honge,
Ab to Ghani ke dar par, bistar jama diye he.
Asra mein guzre jis dam bere pe qudsiyon ke,
Hone lagi salaami, parchum jhuka diye he.
Aane do ya dabo do ab to tumhari janib,
Kashti tumhi pe chori, langar utha diye he.
Dulha se itna kehdo pyaare sawari roko,
Mushkil mein he baraati, purkhar la diye he.
Allah re kya jahannam ab bhi na sard hoga,
Ro ro ke Mustafa ne dariya baha diye he.
Mere kareem se gar qatra kisi ne maanga,
Dariya baha diye he, durbe baha diye he.
Mulk e sukhan ko shahi tum ko Raza musallam,
Jis simt agaye he, sikke bitha diye he.
Uthado Parda Dikhaado Chehra
Uthado parda dikhaado Chehra
Ke Noore baari hijab me he
Zamaana taarikh ho rahaa he
Ke meher kab se naqaab me he
Unhi ki boo ma ya saman he
Unhi ka Jalwa chaman chaman he
Unhi se Gulshan mehak rahe he
Unhi ki rangat ghulab me he
Khade he Munkar Nakir sar par
Na koyee haami na koyee yaawar
Batado aakar mere Payambar
Ke sakht mushkil jawab me he
Khuda-e Qah’har he gazab par
Khule he badkaariyo ke Daftar
Bachaalo aakar Shafi-e Mehshar
Tumhara banda azaab me he
Kareem aisa mila ke jiske
Khule he haath aur bhare khazaane
Batao-e mufliso ke phir kyuun
Tumhara dil iztaraab mein he
Karim apne karam ka Sadqa
Laeem beqadr ko na sharma
Tu aur Raza se Hisaab lena
Raza bhi koyee Hisaab me he
V
W
WAH KYA SHAAN GHAUSE AZAM KI
Chorus: Wah kya shaan Ghause azam ki (x4)
Khuda ke fazl sey hum par hai saaya Ghaus e azam kaa (x2)
Hume dono jahaan mai hai sahara Ghause azam kaa (x2)
Muridi laal tukhuf keh kar tasalli dee ghulamo ko (x2)
Qayaamat tak rahe bekhauf banda Ghaus e azam kaa
Chorus
Humari laaj kis ke haat hai Baghdad valey ki (x2)
Musibat daal deyna ka kaam kiska Ghaus e azam ka (x2)
Nidadi na muradi hashr yuu qadriyon ko (x2)
Kidar hai qadri karley nazara Ghaus e azam ka
Chorus
Azizon kar jhukon tayyar jab mere janaaze ko (x2)
To likdeyna kaffan par naame vaala Ghaus e azam ka (x2)
lahad mai jab farishtey poocheyngey to un se kehdunga (x2)
Qarib ki Qadri hu naam leva Ghaus e azam ka
Chorus
Farishtey roke tey kyuu ho mujhe jannat mein jaane sey (x2)
Yeh dekho haat meh daaman hai kiska Ghaus e azam ka (x2)
Mukhalif karey mera key hey behad karam mujh par (x2)
Khuda ka rehmatulil alameen ka Ghaus e azam ka
Jamile qadri kurbaan ho jab apne murshid par (x2)
Paraaya jisne hum terso ko banda Ghaus e azam ka
Chorus
WOH TANHA KAUN HAI ALLAH HO ALLAH – AHMED RAZA VERSION
Woh Tanha Kaun Hai Allah Ho Allah x2
Badshah Woh Kaun Hai Allah Ho Allah
Meherban Woh Khaun Hai Allah Ho Allah
Hasbi Rabbi Jallal La Allah Ho Allah, MUafi Kalbi Giar Allah Allah Ho Allah
Kya Unchi Shaan Hai Allah Ho Allah, Us ke Sab Nishan Hain Allah Ho Allah, Sab Dilo ki Jaan Hai Allah Ho Allah
Hasbi Rabbi Jallal Lah Allah Ho Allah, Muafi Qalbi Giar Allah Allah Ho Allah
Ya Rabbal ? Ala'meen Allah Ho Allah
Salle Ala Tahal Ameen Allah Ho Allah
Fee Kulli Waktin Wa heen Allah Ho Allah
Hasbi Rabbi Jallal La Allah Ho Allah, Muafi Kalbi Giar Allah Allah Ho Allah
Midhat Teri Hai Chaar So Allah Ho Allah
Kya Haseen hai Guftagoo Allah Ho Allah
Shehr-e-Dil Main Tu Hi Tu Allah Ho Allah
Hasbi Rabbi Jallal La Allah Ho Allah , Muafi Kalbi Giar Allah Allah Ho Allah
Imla ? Qalb-e- Bil Yaqeen Allah Ho Allah, Tabbitni ? Ala had had din Allah Ho Allah, Wagfir li Ya Muslimeen Allah Ho Allah
Tujhse Saar-e- Kaam Hain Allah Ho Allah, Tujse Subho Shaam Hain Allah Ho Allah
Tere Jalwe Aaam Hain Allah Ho Allah,
Hasbi Rabbi Jallal La Allah Ho Allah, Muafi Kalbi Giar Allah Allah Ho Allah
Noor-e-Arzo Asman Allah Ho Allah, Khaliq-e-Kono Makan Allah Ho Allah, Tu Karar-e-Jism-o- jaan Allah Ho Allah
Hasbi Rabbi Jallal La Allah Ho Allah, Muafi Kalbi Giar Allah Allah Ho Allah
Mujh Main Teri Yaad Hain Allah Ho Allah, Zikr-e-Rab se Shaad Hai Allah Ho Allah
Kasr-e-Jaan Abad Hai Allah Ho Allah ,Hasbi Rabbi Jallal La Allah Ho Allah, Muafi Kalbi Giar Allah Allah Ho Allah
woh tanha kon hai allah hu allah
Badshah Woh Kon Hai Allah Hu Allah
Hasbi Rabbi Jalallah Allah Hu Allah
Maafi Qalbi Ghayr-E-Allah Allah Hu Allah
La Ilaha Ilallah Allah Hu Allah
Kia Onchi Shaan Hai Allah Hu Allah
Sab Dilon Ki Jaan Hai Allah Hu Allah
Iski Apni Shaan Hai Allah Hu Allah
Teri Midhat Chaar Sou Allah Hu Allah
Kia Haseen Hai Guftugu Allah Hu Allah
Sheher-E-Dil Mein Tu Hee Tu Allah Hu Allah
Noor-E-Arz-O-Asmaa Allah Hu Allah
Khaliq-E-Kon-O-Makaan Allah Hu Allah
Tu Qaraar-E-Jism-O-Jaan Allah Hu Allah
Tujhse Saaray Kaam Hai Allah Hu Allah
Tujhse Subha Sham Hain Allah Hu Allah
Tere Jalway A’am Hain Allah Hu Allah
Dil Mein Teri Yaad Hai Allah Hu Allah
Zikr Rub Se Shad Hai Allah Hu Allah
Qasr-E-Jaan Aabaad Hai Allah Hu Allah
WAH KIA JOOD-O-KARAM HAI SHAHE BAT-HA TERA
Nahin Sunta Hi Nahin MaangnE Waala Tera
Mein To Malik Hi Kahoonga Ke Ho Malik Kay Habeeb
Ya’nee Mahboob-o-Muhib Mein Nahin Mera Tera
Tere Qadmon Mein Jo Hai Ghayr Ka Moo Kia Dekhe
Kon Nazron Pe Charr-He Dekh Ke Talwa Tera
Tere Tukron Pe Pale Ghair Ki Thokar Pey Na Daal
Jhirkiyan Khaaye Kahan Chor Ke Sadqa Tera
Aik Mein Kia Mere Isi’ayan Ki Haqeeqat Kitni
Mujh Say Sou Laakh Ko Kaafi Hai Ishara Tera
Farsh Waale Teri Shawkat Ka Ulu Kya Dekhe
Khusrawa Arsh Pe Urrta Hai Pharera Tera
Teri Sarkaar Mein Laata He Raza Uss Ko Shafe’e
Jo Mera Ghaws Hai Aur Laadla Beta Tera
WOH NABIYON MAIN REHMAT LAQAB PANAY WALA
Woh Nabiyon Main Rehmat laqab panay wala
Usey say hai Islam ka bola bala
Woh Nabiyon Main Rehmat laqab panay wala
Usey say hai Islam ka bola bala
Woh sar chashmai noor-e-fathghay mubeen hai
Wohi mash anayra hay azmo yakeen hai
Usey say hamaray dilon main ujala
Usey say hai Islam ka bola bala
Woh Nabiyon Main Rehmat laqab panay wala
Usey say hai Islam ka bola bala
Usey kay yeh gham par hai ahsaan saray
Kadam manzelaain chomtey hain hamaray
Usey nain andhayron say ham ko nikala
Usey say hai Islam ka bola bala
Woh Nabiyon Main Rehmat laqab panay wala
Usey say hai Islam ka bola bala
Sahara diya us kay naqshey qadam nain
Usey kee tawajo usey kay kadam nain
Zamanain kay girtay houon ko sanbhala
Usey say hai Islam ka bola bala
Woh Nabiyon Main Rehmat laqab panay wala
Usey say hai Islam ka bola bala
Usey kee mohabat hai iman-e-kamil
Usey say mila hum ko irfan-e-manzil
Usey nain hamain jada-e-haq pay dala
Usey say hai Islam ka bola bala
Woh Nabiyon Main Rehmat laqab panay wala
Usey say hai Islam ka bola bala
Sahara diya us kay naqshey qadam nain
Usey kee tawajo usey kay kadam nain
Zamanain kay girtay houon ko sanbhala
Usey say hai Islam ka bola bala
Usey kee mohabat hai iman-e-kamil
Usey say mila hum ko irfan-e-manzil
Usey nain hamain jada-e-haq pay dala
Usey say hai Islam ka bola bala
Woh Nabiyon Main Rehmat laqab panay wala
Usey say hai Islam ka bola bala
WOHI RAB HAI JISNE TUJH KO HAMA TUN KARAM BANAYA
Humein Bheek Maangne Ko Tera Aastaan Bataya
Tujhe Hamd Hai Khudaya Tujhe Hamd Hai Khudaya
Tumhee Haakim-e-Baraya Tumhee Qasim-e-A’taya
Tumhee Dafa’e Balaya Tumhe Shafa’e Khataya
Tujhe Hamd Hai Khudaya Tujhe Hamd Hai Khudaya
Woh Kunwaari Pak Maryam Woh Nafakhtu Feeh Ka Dum
Hai Ajab Nishaan-e-Azam Magar Aamna Ka Jaya
Tujhe Hamd Hai Khudaya Tujhe Hamd Hai Khudaya
Yehi Bolay Sidra Walay Chaman-e-Jahaan Ke Thaalay
Sabhi Mein Chaan Daalay Tere Paaye Ka Na Paya
Tujhe Hamd Hai Khudaya Tujhe Hamd Hai Khudaya
Arey Aey Khuda Ke Bandon Koi Mere Dil Ko Dhoondo
Mere Pass Tha Abhi tou Abhi Kia Hua Khudaya
Tujhe Hamd Hai Khudaya Tujhe Hamd Hai Khudaya
Humein Aey Raza Tere Dil Ka Pata Chala Ba Mushkil
Dar-e-Rauza Ke Muqabil Woh Humein Nazr Tou Aaya
Ye Na Pooch Kaisa Paaya Ye Na Pooch Kaisa Paya
Tujhe Hamd Hai Khudaya Tujhe Hamd Hai Khudaya
X
Y
YA ELAHI REHEM KAR LIKHDE MERI TAQDEER MEIN
Rauza-E-Khair-Ul-Bashar Likhde Meri Taqdeer Mein
Aey Mere Rab Sheher-E-Makkah Se Madinay Ki Taraf
Aana Jana Umar Bhar Likhde Meri Taqdeer Mein
Guzray Din Makkay Mein Guzray Shab Madinay Pak Mein
Roshni Ka Ye Safar Likhde Mere Taqdeer Mein
Jitnay Bhi Aiyaam Hain Ab Baaqi Meri Zeest Ke
Ho Madinay Mein Basar Likhde Meri Taqdeer Mein
Mein Bhi Bun Jaon Tere Darbar Ka Jaroob Kash
Mere Maula Tu Agar Likhde Meri Taqdeer Mein
Ye Sada Hai Roz-O-Shab Qalb-E-Al’im-E-Zaar Ki
Phir Madinay Ka Safar Likhde Meri Taqdeer Mein
YA ILAAHI HAR JAGA TERI ATAA KA SAATH
Ya ilaahi har jaga teri ataa ka saath ho
Jab pare mushkil sha'e mushkil kusha ka saath ho
Ya ilaahi bhool jawu naza'ki takleef ko
Shaadiye deedare husne Mustafa ka saath ho
Ya ilaahi gor teera ki jab aayeh sakht raat
Unke pyaare mu ki subha jaa fiza ka saath ho
Ya ilaahi jub pare mahshar me shore daar-o-geer
Amn dene waale pyaare peshwa ka saath ho
Ya Ilaahi Jub Zabaane Baahar Aayey Pyaas Se
Saahib-e-Kauthar Sha'e Jood-o-ataa Ka Saath Ho
Ya ilaahi sard-e-mehri par ho jab khurshid-e-hashr
Sayyad-e-besaaya ke zille-e-liwaa ka saath ho
Ya ilaah garmi-e-mahshar seh jub bharke badan
Daaman-e-mahboob ki thandi hawaa ka saath ho
Ya ilaahi nama-e-a'maal jab khulne lage
Aib-e-pooshe khalq sat'taare khata ka saath ho
Ya ilaahi jub bahe aankhe hisaab-e-jurm me
Un tabassum rez-e-honto ki dua ka saath ho
Ya ilaahi jub hisaabe khanda-e-bejaa rulaaye
Chashme giryaane shafi-e-murtaja ka saath ho
Ya ilaahi rang laayi jab meri be haaqiyah
Unki neechi neechi nazro ki hayaa ka saatho ho
Ya ilaahi jab chalo tareekh raahe pul siraate
Aftaab-e-haashmi noorul huda ka saath ho
Ya ilaahi jub sare shamsheer par chalna pare
Rabbe sallim kehne waale ghamzudah ka saath ho
Ya ilaahi jo dua'e nek hum tujhe se kare
Qudsiyo ke lub se aameen rab'bana ka saath ho
Ya ilaahi jab Raza khaab-e-giraa say sar utaa'ay
Daulat-e-baydaar ishq-e-Mustafa ka saath ho
Ya ilaahi lay chalay jub dafan karnay qabar may
Ghause-e-azam peshwa'ay awliya ka saath ho
Ya Taiba Ya Taiba Ya Dawal Aiyyaana
Shaknaa Lak Wilhawana Daana
Wilhawana Daana
Lammasaa Rilmarkabnaa Saani Saaru-ul Dam-ai Maa-Ja-Faani
Aakhazu Kalbi Ma Jinaani
Ya Taiba Yaati Malwal Haana
Yaati Malwal Haana
Ya Taiba Ya Taiba Ya Dawal Aiyyaana
Shtiknaa Lak Wilhawana Daana
Wilhawana Daana
Qiblaati Baitullahi Saabir Al-Laani Yaumal-Laki Zaayeer
Ya Turah Haltaraani Naazir Lilkaaba Tug Murnib Aamaana
Wa Tug Murnib Aamaana
Ya Taiba Ya Taiba Ya Dawal Aiyyaana
Shtiknaa Lak Wilhawana Daana
Wilhawana Daana
Nabina Agla Um-Nniyaati Azur-rak Lov Mar-Rab Hayaati
Wab-Jiwa-Rak Salli Salaati Wazkur Raab-bi-wat-lul Quraa'na
Wat-lul Quraa'na
Ya Taiba Ya Taiba Ya Dawal Aiyyaana
Shtiknaa Lak Wilhawana Daana
Wilhawana Daana
Bushraki-il Madina Bushraki Bi-Kudumil-Haadi Ya Bushraki
Fa Haal-Li Maawa Hihi Maaki Ataman-Na Fan-Nooru Sabaana
Nooru-Kum Sabana
Ya Taiba Ya Taiba Ya Dawal Aiyyaana
Shtiknaa Lak Wilhawana Daana
Wilhawana Daana
YAAD E MUSTAFA AISI
Yaad e Mustafa aisi bas gayi he seene mein
Jism ho kahin apna dil to hai Madine mein
Kon he ye deevana kis ka he ye deevana
Hashar mein bhi kehta he jaana he Madine mein
Kon si jaga un ke aashiqon say khaali he
Har jaga he parwane shamma he Madine mein
Mere kamli wale ka ghar to he Madine mein
Haa magar wo rehte hein aashiqon ke seene mein
Baad mere marne kay har zubaan pay charcha tha
Aadmi to acha tha margaya Madine mein
Kaash un ke kuuche se layenge saba peghaam
Chal tujhe bulaate mein Mustafa Madine mein
YAAD E MUSTAFA AYSI, BASS GA'EE HAY SEENAY MAY,- FULL VERSION
Yaad e Mustafa aisi bas gayi he seene mein
Jism ho kaheen apna, dil tho hay madeenay may.
Mayray kamli waalay kaa, ghar tho hay madeenay main,
Haan magar wo rehthat hay, aashiqon kay seenay main.
Mushk main nah'ambar main, aur nah gul e tar main,
Ham nay jo mehek paaee, aaqa ko paseenay main.
Kownsii jagaa un kay aashiqon say khaali hay,
Har jagah hain parwaanay, Sham'a hay madeenay main.
Ishq sarawar-e-'aalam, jalwah gar hay seenay main,
Ham ko bhi bulaa leejiyay, Mustafa madeenay main.
Fiqr kya talaatum ka, khowf kyaa hay tufaan ka,
Naam e Mustafa likh kar, daal day safeenay main.
Kown hay yay deewaana, kiss ka hay yay deewaanaa,
Hasher main bhi kehtaa hay, janaa hay madeenay main.
Aik din main jaaon ga, sar kay madeenay main,
Hasrat hay mayray dil ki, marjaoon madeenay main.
Kown tayray aaqa hay, poocha tho khizar bolay,
Kaali kamli waalay hain, rehtay hay madeenay main.
B'ad mayray marnay kay, dost mayray yoon bolay,
Aadmi tho acha tha, mar gayaa madeenay main.
Raaz woh bulaa-ain gay, yay yaqeen hay mujh ko,
Jaanay kownsay san main, jaanay kiss maheenay may
.YA MUHAMMAD NOOR-E-MUJASSAM YA HABIBI YA MAULAI
Tasweer-e-Kamal-e-Mohabbat Tanveer-e-Jamal-e-Khudayei
Tera Wasf Bayaan Ho Kis Se Teri Kon Karega Barayei
Iss Gard-e-Safar Mein Gum Hai Jibreel-e-Ameen Ki Rasayei
Ye Rung-e-Bahar-e-Gulshan Ye Gul Aur Gul Ka Joban
Tere Noor-e-Qadam Ka Dhowan Uss Dhowan Ki Ra’nayei
Ma Ajmalaka Teri Surat Ma Ah’sanak Teri Seerat
Ma Akmalaka Teri A’zmat Teri Zaat Mein Gum Hai Khudayei
Ae Mazhar-e-Shaan-e-Jamali Ae Khuwaja-o-Banda Aa’li
Mujhe Hashr Mein Kaam Aajaye Mera Zoq-e-Sukhan Aarayei
Tu Raees-e-Roz-e-Shafa’t Tu Ameer-e-Lutf-o-I’nayat
Hai Adeeb Ko Tujhse Nisbat Ye Ghulam Hai Tu Aaqayei
YA RUB MADINAY PAK MEIN JAANA NASEEB HO
Ya Rub Madinay Pak Mein Jaana Naseeb Ho
Jaana Naseeb Ho Tou Na Aana Naseeb Ho
Rakhdoon Dar-e-Huzoor Pe Jab Mein Jabeen-e-Shouq
Choukhat Say Unke Sar Na Uthana Naseeb Ho
Dar Dar Ki Thoukarein Hain Jou Mere Naseeb Mein
Ishq-e-Nabi Mein Thoukarein Khaana Naseeb Ho
Taiba Say Aakay Bhi Rahay Taiba Ki Aarzoo
Tohfa Yehi Madinay Say Laana Naseeb Ho
Haafiz Kay Dil Ki Hai Yehi Khuwahish O Iltija
Qadmon Mein Mustafa Ke Thikana Naseeb Ho
YA RUB MADINAY PAK MEIN JAANA NASEEB HO
Jaana Naseeb Ho Tou Na Aana Naseeb Ho
Rakhdoon Dar-e-Huzoor Pe Jab Mein Jabeen-e-Shouq
Choukhat Say Unke Sar Na Uthana Naseeb Ho
Dar Dar Ki Thoukarein Hain Jou Mere Naseeb Mein
Ishq-e-Nabi Mein Thoukarein Khaana Naseeb Ho
Taiba Say Aakay Bhi Rahay Taiba Ki Aarzoo
Tohfa Yehi Madinay Say Laana Naseeb Ho
Haafiz Kay Dil Ki Hai Yehi Khuwahish O Iltija
Qadmon Mein Mustafa Ke Thikana
YA RABB MUJHE DEEWANA MADINA KA BANA DE
By Maulana Mohammed Ilyaas Attaar Qadri
Ya Rabb muje Deewana Madina ka bana de
Peecha meri dunya ki muhabbat se chorade
Rota ho jis dam me dar?e Aqaa pe pohonchoo
Is waqt mujhe jalwa?e Mahmoob dikha de
Behti rahe har waqt jo Sarkaar ke gum me
Roti howee woh aankh muje mere Khuda de
Imaan pe de maut Madine ki ghali me
Madfan mera Mahboob ke qadmo me banade
Deta hoon tujhe wasta me pyaare Nabi ka
Ummat ko Khuda ya rahe Sunnat pe chalaa de
Allah mille Hajj ki aisi saal sa?adat
Ataar ko phir Rouza Mahboob dikha de
Ya Rabb muje Deewana Madina ka bana de
Sehra?e Madina mujhe aankhon se dikha de
YA RASUL ALLAH KARAM
Ya Rasoolallah Karam, Ya Habiballah Karam
Ya Rasul Allah Karam Ya Habeeb Allah Qaram
Isyaan main duba sar basar, aamal naik hain sifar
Sadkey mein Ghoue e Pak kay, ker do karam ki eik nazar.
Ya Rasoulallah Karam, Ya Habeeballah Karam
Ya RasulAllah Karam Ya Habeeb Allah Karam.
Tum ho Rasuloon kay Rasool dur houn rang o malool
Sadqay main Ghouse Pak kay, kerlo ghulamoon main qabool.
Ya Rasoolallah Karam, Ya Habiballah Karam
Ya Rasul Allah Karam Ya Habeeb Allah Karam.
Allah kay ho tum habib, dono jahan kay ho tabib
Sadqey mein Ghous e Paak kay, ho rooh ko shifa naseeb.
Ya Rasoolallah Karam, Ya Habiballah Karam
Ya Rasul Allah Karam Ya Habeeb Allah Karam.
Shaqeer e Razvi kay hazoor, houn maaf sab kay sub kasoor
Sadqey mein Ghous e Paak kay, dar’ein ka milay saroor.
Ya Rasoolallah Karam, Ya Habiballah Karam
Ya Rasul Allah Karam Ya Habeeb Allah Karam.
Na kaheen say dur hain manzilein, na koi kareeb ki baat hai
Jisay chahein usko nawaz dein, yeah dar e habib ki baat hai.
Ya Rasoolallah Karam, Ya Habiballah Karam
Ya Rasul Allah Karam Ya Habeeb Allah Karam.
Jisay chaha dar pay bula liya, jise chaha apna bana liya
Ye baray karam kay hain feslay, yeh baray naseeb ki baat hai.
Ya Rasoolallah Karam, Ya Habiballah Karam
Ya Rasul Allah Karam Ya Habeeb Allah Karam.
Ba Khuda nahin, woh Khuda nahin, woh magar Khuda say juda nahin
Woh hain kiya, magar woh hain kiya nahin, yeh Muhib Habib key baat hai.
Ya Rasoolallah Karam, Ya Habiballah Karam
Ya Rasul Allah Karam Ya Habeeb Allah Karam.
Woh machal kay rah mein reh gayein, yeh tarap kay dar say lipat gayein
Woh kisi ameer ki shaan thi, yeh kisi ghareeb ki baat hai.
Ya Rasoolallah Karam, Ya Habiballah Karam
Ya Rasul Allah Karam Ya Habeeb Allah Karam.
Tujhay aie Munawar e bay nawa, dar e shah say chahiye aur kiya?
Joh naseeb ho kabhi samana, toh baray naseeb ki baat hai.
Ya Rasoolallah Karam, Ya Habiballah Karam
Ya Rasul Allah Karam Ya Habeeb Allah Karam.
YE DARE HABIB KI BAAT HE
Na kahin se duur hein manzilen, na koi qarib ki baat he
Jisse chahe usko nawaaz de, ye dare Habib ki baat he
Jisse chaha darpe bula liya, jisse chaha apna bana liya
Ye bare karam ke he faisle, ye bare naseeb ki baat he
Na kahin se duur hein manzilen, na koi qarib ki baat he
Jisse chahe usko nawaaz de, ye dare Habib ki baat he
Woh khuda nahin ba khuda nahin, woh magar khuda se juda nahin
Woh hein kya magar woh he kya nahin, ye muhib Habib ki baat he
Na kahin se duur hein manzilen, na koi qarib ki baat he
Jisse chahe usko nawaaz de, ye dare Habib ki baat he
Mein buron se lakh bura sahi, magar unse he mera waasta
Meri laaj rakhle mere Khuda, ye tere Habib ki baat he
Na kahin se duur hein manzilen, na koi qarib ki baat he
Jisse chahe usko nawaaz de, ye dare Habib ki baat he
Tujhe e munawware be nava, dare Shah se chahiye aur kya
Jo naseeb ho kabhi saamna, to bare nasib ki baat he
Na kahin se duur hein manzilen, na koi qarib ki baat he
Jisse chahe usko nawaaz de, ye dare Habib ki baat he
Yeh Sab Tumhara Karam Hai Aaqa
Koi saleeqa hai aarzoo ka, na bandagi meri bandagi hai
Yeh sab tumhara karam hai Aaqa ke baat ab tak bani hui hai
Kissi ka ehsan kyun uthaaye, kisi ko haalat kyun bataaye
Tumhain se maange ge tum hi do ge, tumhare dar se hi luu lagi hai
Ata kiya mujh ko darde-ulfat, kaha thi yeh pur khata ki qismat
Mein iss karam ke kaha tha qabil, Huzoor ki banda parwari hai
Shoor o fikro nazar ke daire, hadd ka inse barh na paaye
Na choo saqe un balandiyon ko, jaha maqame Muhammadi hai
Tajaliyon ke kafeel tum ho, murad tu ke khalil tum ho
Khuda ki roshan dalil tum ho, yeh sab tumhari hi roshni hai
Bashir kahiye nazir kahiye, unhe siraje munir kahiye
Jo sar ba sar hai kalaam-e-Rabbi, woh mere Aaqa ki zindagi hai
Aamal ki mere asas kya hai, baajuz nadamat ke paas kya hai
Rahe salamat tumhari nisbat, mera to ek aasra yehi hai
Hai Kaaba bhi marja-e-khalaiq, bohat numayan hai yeh haqaiq
Magar jo maqsood-e-aashqi hai, Huzoor ke dar ki haazri hai
Yehi hai khalid asas rehmat, yehi hai khalid bina-e-azmat
Nabi ka irfan zindagi hai, Nabi ka irfan bandagi hai
Yeh sab tumhara karam hai aaqa ke baat ab tak bani hui hai
YEH SAB TUMHARA KARAM HAI AAQA
Koi saleeqa hai aarzoo ka, na bandagi meri bandagi hai
Yeh sab tumhara qaram hai aaqa keh baat ab tak bani hui hai
Kissi ka ehsan kyon uthain, kissi ko haalat kyon batain
Tumhein se mangein gey tum hi do gey, tumhare dar se hi loo lagi hai
Ata kiya mujh ko darde-ulfat, kaha thi yeh pur khata ki qismat
Mein iss karam ke kaha tha qabil, huzur ki banda parwari hai
Shoor o fikro nazar ke dairey, had ka in se barh na paain
Na choo sake un balandiyon ko, jaha maqame Muhammadi hai
Tajaliyon ke kafeel tum ho, murad tu ke khalil tum ho
Khuda ki roshan dalil tum ho, yeh sab tumhari hi roshni hai
Bashir kahiye nazir kahiye, unhein siraje munir kahiye
Jo sar ba sar hai kalam-e-rabbi, woh merey aaqa ki zindagi hai
Ammal ki merey asas kiya hai, bajuz nadamat ke paas kiya hai
Rahe salamat tumhari nisbat, mera to ek aasra yehi hai
Hai Qaaba bhi marja-e-khalaiq, bohat numayan hai yeh haqaiq
Magar jo maqsoode-e-aashqi hai, huzur ke dar ki haazri hai
Yehi hai khalid asas rehmat, yehi hai khalid bina-e-azmat
Nabi ka irfan zindagi hai, nabi ka irfan bandagi hai
Yeh sab tumhara qaram hai aaqa, keh baat ab tak bani hui hai
Dostları ilə paylaş: |