Aanay walo yay to bataao shehr madina kesa he


YA NABI DEKHA YE RUTBA AAPKI NAALEIN KA



Yüklə 0,69 Mb.
səhifə12/12
tarix04.11.2017
ölçüsü0,69 Mb.
#30510
1   ...   4   5   6   7   8   9   10   11   12

YA NABI DEKHA YE RUTBA AAPKI NAALEIN KA

Ya Nabi Dekha Ye Rutba Aapki Naalein Ka

Arsh Ne Chooma Hai Talwa Aapki Naalein Ka

Aapki Khidmat Ka Mujhko Kaash Mil Jaata Sharaf

Baandhta Haathon Se Tasma Aapki Naalein Ka

Aapke Qadmon Ki Narmi Qalb Par Mehsoos Ki

Jab Bhi Mein Ne Naqsh Dekha Aapki Naalein Ka

Hashr Mein Jab Log Choomay Aapka Dust-e-Karam

Sab Say Chup Kar Loon Mein Boosa Aapki Naalein Ka

Roz-e-Mehshar Sar Pe Soraj Jab Sawaa Neezay Pe Ho

Aik Nezay Per Ho Saaya Aapki Naalein Ka

Jiss Se Aagay Jaayein Tou Jal Jaye Par Jibril Ke

Uss Se Aagay Jaana Dekha Aapki Naalein Ka

Taaj Kyun Na Bheek Maangay Aapki Naalein Ki

Taajwar Khaatay Hain Sadqa Aapki Naalein Ka

Jab Gumbad-e-Khizra Pe Woh Pehli Nazar Gayi

Aankhon Ke Raastay Mere Dil Mein Uttar Gayi

Sar Kham Tha Lab Khamoosh Thay Aankhein Thein Ashkbaar

Ik Sa'at-e-Bedaar Thei Jou Ke Guzar Gayi

Barsi Thei Iss Qadar Ke Naha Sa Gaya Udher

Woh Barish-e-Karam Mere Daaman Ko Bhar Gayi

Taiba Se Lautna Kissi Aashiq Se Poochiye

Aisa Hai Jaisay Rooh Badan Say Guzar Gayi

Jou Keh Sakaa Na Lab Se Mili Woh Murad Bhi

Mere Sukoot Per Bhi Shaha Ki Nazar Gayi

Awaz Ubaid Teri Ba Faizan-e-Naat Hee

Seeno Mein Aashiqan Nabi Kay Utar Gayi

YA NABI DEKHA YE RUTBA AAPKI NAALEIN KA

Arsh Ne Chooma Hai Talwa Aapki Naalein Ka

Aapki Khidmat Ka Mujhko Kaash Mil Jaata Sharaf

Baandhta Haathon Se Tasma Aapki Naalein Ka

Aapke Qadmon Ki Narmi Qalb Par Mehsoos Ki

Jab Bhi Mein Ne Naqsh Dekha Aapki Naalein Ka

Hashr Mein Jab Log Choomay Aapka Dust-e-Karam

Sab Say Chup Kar Loon Mein Boosa Aapki Naalein Ka

Roz-e-Mehshar Sar Pe Soraj Jab Sawaa Neezay Pe Ho

Aik Nezay Per Ho Saaya Aapki Naalein Ka

Jiss Se Aagay Jaayein Tou Jal Jaye Par Jibril Ke

Uss Se Aagay Jaana Dekha Aapki Naalein Ka

Taaj Kyun Na Bheek Maangay Aapki Naalein Ki

Taajwar Khaatay Hain Sadqa Aapki Naalein Ka

YA NABI SALAAM ALAIKA

Ya Nabi Salaam Alaika,


Ya Rasul Salaam Alaika,
Ya Habib Salaam Alaika,
Salawatullaah Alaika.

Jashn-e-Milad un nabi hay,


Noor ki chaadar tani hay,
Roshani hi roshani hay,
Har taraf yay doom machi hay.

Ya Nabi Salaam Alaika,


Ya Rasul Salaam Alaika,
Ya Habib Salaam Alaika,
Salawatullaah Alaika.

Ya habeeb-e-rab-e-daawar,


Azpa-ay Siddeeq-e-Akbar,
Aur Umar Usmaan O Haydar,
Chashmay baytar Do qalb-e-uzz par.

Ya Nabi Salaam Alaika,


Ya Rasul Salaam Alaika,
Ya Habib Salaam Alaika,
Salawatullaah Alaika.

Rahmatal Lil Aalameena,


Ho ataa aysa kareena,
Daykh kar meetaa madina,
Ishq-e-main patjaa ay seena.

Ya Nabi Salaam Alaika,


Ya Rasul Salaam Alaika,
Ya Habib Salaam Alaika,
Salawatullaah Alaika.

Aakhari lamhay jab aa-ain,


Kaash wo tashreef laa-ain,
Apnay jalwon main gumaa-ain,
Joom-e-kar ham gun gunaa-ain.

Ya Nabi Salaam Alaika,


Ya Rasul Salaam Alaika,
Ya Habib Salaam Alaika,
Salawatullaah Alaika.

Hashr-e-main sarkaar-e-aanaa,


Mayray ayb ko chupaana,
Apnay rab say bakhsh,
Saath-e-jannat may bassaana

Ay Khuda Kay Laadalay Pyaaray Rasool,


Yay salaamain Aajazaana ho kabool

YE ZAKM HE TAYBA KA YE SUB KO NAHEIN MILTA

By Janab Mirza Mohammed 

Baatein bhi Madine ki, raatein bhi Madine ki


Jeene me ye jeena kya, baat he jeene ki

Arsa huwa Tayba ki, ghalyon se woh ghuzre the


Is waqt bhi ghalyon me, khusboo he Paseene ki

Ye zakm he Tayba ka, ye sab ko nahein milta


Koshish na kare ko?ee, is zakm ko seene ki

Toofan ki kya parwah, ye bhool nahein sakta


Daaman he Dua un ki, Ummat ke safeene ki

Har saal ke aane ka, I?zaaz he Mirza


Sarkaar banaate he, taqdeer kameene ki

Z

ZAHE MUQADDAR HUZUR-E-HAQ SE SALAAM AAYA PAYAM AAYA


Zahe muqaddar Huzur-e-haq se salaam aaya payam aaya
Jhukaao nazren bichaao palken adab ka aala maqam aaya

Yeh kohn sar se kafan lapetein chala hai ulfat ke raate par


Farishte hairat se tak rahe hein ye kohn zi ehteram aaya

Faza mein labbaik ki sadaa-e za farsh ta Arsh goonjhti hein


Har ek qurban ho raha hai zaban pe ye kis ka naam aaya

Yeh rahe-haq hai sambhal ke chalna yahan hai manzil qadam qadam par


Pohanchna dar par to kehna Aaqa salaam lijiye ghulam aaya

Yeh kehna aaqa bohat se aashiq tarapte se chorr aaya huun mein


Bulaawe ke muntazir hai lekin na subha aaya na shaam aaya

Dua jo nikli thi dil se aakhir palat ke maqbool ho ke aayi


Woh jazba jis mein tarap thi sachi woh jazba aakhir ko kaam aaya

Khuda tera hafiz-o-nigehban o rahe batha ke jaane wale


Nabi de saad in bisat ban kar payam durood-o-salaam aaya

Zahe muqaddar Huzur-e-haq se salaam aaya payam aaya


Jhukaao nazren bichaao palken adab ka aala maqam aaya

Zameen meli nahi hoti zaman mela nahi hota


Zameen meli nahi hoti zaman mela nahi hota
Zameen meli nahi hoti zaman mela nahi hota

Muhammad ke ghulamon ka kafan mela nahi hota

Muhammad kamli wale se woh jazba hai suno logo
Yeh jis mann mein sama jaaye woh mann mela nahi hota

Muhammad ke ghulamon ka kafan mela nahi hota

Gulon ko choom laite hain saharnam shabnami qatre
Nabi ki naat sun le to chaman mela nahi hota

Muhammad ke ghulamon ka kafan mela nahi hota

Jo naam-e-Mustafa choome nahi dukhti kabhi ankhen
Pehen le pyaar jo unka badan mela nahi hota

Muhammad ke ghulamon ka kafan mela nahi hota

Nabi ka daman-e-rehmat pakar lo e jahan walo
Rahe jab tak yeh haathon mein chalan mela nahi hota

Muhammad ke ghulamon ka kafan mela nahi hota

Mein nazan tu nahi nasir magar apna yeh dawa hai
Sana-e-Mustafa karne se fan mela nahi hota

Muhammad ke ghulamon ka kafan mela nahi hota



ZAMIN-O-ZAMAN

zamin o zaman tumhare liye; makin o makan tumhare liye


chunin o chunan tumhare liye; baney do jahan tumhare liye

dahan mein zuban tumhare liye; badan mein jan tumhare liye


hum aye yahan tumhare liye; uthen bhi wahan tumhare liye

kalim o naji, masih o safi, khalil o razi, rasul o nabi


atiq o wasi, ghaniyy o ali sana ki zuban tumhare liye

tumhari chamak; tumhari damak; tumhari jhalak tumhari mahak


zamin o falak; simak o samak mein sikka nishan tumhare liye

ye shams o qamar ye sham o sahar ye barg o shajar ye bagh o samar


ye tegh o sipar ye taj o kamar ye hukm rawan tumhare liye

ye fayz diye wo jud kiye ke nam liye zamana jiye


jahan ne liye tumhare diye ye ikramiyan tumhare liye

sahab e karam rawana kiye, ke ab niam zamana piye


jo rakhte the hum wo chak siye, ye satr e badan tumhare liye

ataye arab, jalaye karab fuyuz ajab baghayr talab


ye rahmat e rabb hai kis ke sabab, bi rabb e jahan tumhare liye

na jinn o bashar ke ath pahar malayikah dar pe basta kamar


na jib’ha o sar, ke qalb o jigar, hain sajdah kunan tumhare liye

jinan mein chaman chaman mein saman; saman mein phaban, phaban mein dulhan


sazaye mihan pe ayse minan ye amn o aman tumhare liye

khalil o naji masih o safi sabhi se kahi kahin bhi bani


ye be khabari ke khalq phiri kahan se kahan tumhare liye

ishare se chand chir diya ; chupey huwey khur ko pher liya


gaye huwe din ko asr kiya; ye tab o tawan tumhare liye

saba wo chale ke bagh phale wo phool khile ke din hon bhale


liwa ke tale sana mein khule raza ki zaban tumhare liye

ZAHAY I’ZZAT-O-A’ET LAA-AEY MUHAMMAD
Kay Hai Arsh-e-Haq Zeyr Paa-Aey Muhammad

Makaan Arsh Unka Falak Farsh Unka
Malak Khaadimaan-e-Saraa-Aey Muhammad

Khuda Kee Raza Chahtay Hain Dou A’alam
Khuda Chahta Hai Raza-e-Muhammad

Dum-e-Naz’a Jaaree Ho Mayree Zabaan Per
Muhammad Muhammad Khudaey Muhammad

Mein Qurbaan Kiya Piyaree Piyaree Hai Nisbat
Ye Aane Khuda Wo Khudaey Muhammad

Khuda Unko Kis Piyar Say Dekhta Hai
Jo Aankheyn Hain Mehway Liqaey Muhammad

Ijaabat Nay Jhuk Kar Gallay Se Lagaya
Baree Naaz Say Jab Dua-Aey Muhammad

Ijaabat Ka Sehra I’nayat Ka Jorra
Dulhun Bun Ke Nickli D’uaey Muhammad

Raza Pull Say Ab Wajd Kartay Guzariyay
Kay Hai Rub-e-Sallim Sadaey Muhammad

ZIKR NABI DA KAR DEYA REHNA CHANGA LAGDA EY

Zikr nabi da kar deya rehna changa lagda ey


Ais bahane ral mil behna changa lagda hai

Masjid Nabawi de wich jaakeh nukre hoke bai jaana


roz-e-paak nu tak deya rehna changa lagda ey

aale nabi di izzat khaatir which ukhaare de


shaykh Junaid da jaan keh taina changa lagda ey

jaaliyan koul khalouna uchi saah na lehna ro lehna


boulan naaloun chup kar rehna changa lagda ey

ZINDAGI DA KOI TAY MAEYAAR HONA CHAHIDA

Zindagi da koi tay maeyaar hona chahida


ALLAH (S.W.A) day HABEEB (S.A.W) naal piyaar hona chahida

Saanu ay ho dassayya Siddique (R.A) Yaar-e-Ghaar nay


Kay sab kujh Sohnay tou nisaar hona chahida

ALLAH day HABEEB naal piyaar hona chahida

Aur houn jaan saaday tay, ALLAH ay enayataa
kay juunday juunday Sohnay da dedaar ho chahida

ALLAH day HABEEB naal piyaar hona chahida

Aur koi tamanna see, Siddique Yaar-e-Ghaar de
Kay Yaar naalay Yaar da Mazaar hona chahida

ALLAH day HABEEB naal piyaar hona chahida

Hasan (R.A) tay Hussain (R.A) tou, jind jaan waar kay
Ali (R.A) day gulama cho shumaar hona chahi da

ALLAH day HABEEB naal piyaar hona chahida

Ay labba tay Niyaazi ho, saa jaddo aakhri
Uss wailay Sohnay da dedaar hona chahida

ALLAH day HABEEB naal piyaar hona chahida

Jayray Tairay naam diya mehfala sajaunday nay
Inha bayliya da bayra paar hona chahida

ALLAH (S.W.A) day HABEEB (S.A.W) naal piyaar hona chahida



Urdu Poem
Na Khane Ki Tamanna Hai, Na Peenay Ki Tamanna Hai,
Nabi Ki Yaad Mein Har Dam Jeene Ki Tamanna Hai.
Mujhe Maloom Hai Ke Mowt Lazim Hai Kahee Par Bhi,
Mile Shehre Nabi Me Bus Madine Ki Tamanna Hai.
Translation
I Do Not Wish For Food Nor Do I Wish For Water,In Every Breath I Wish For The Rememberance Of The Prophet,

I Know That Death Can Come No Matter Where You Are,


If Death Befalls Me Then I Wish It Does In The City Of The Prophet


Yüklə 0,69 Mb.

Dostları ilə paylaş:
1   ...   4   5   6   7   8   9   10   11   12




Verilənlər bazası müəlliflik hüququ ilə müdafiə olunur ©muhaz.org 2024
rəhbərliyinə müraciət

gir | qeydiyyatdan keç
    Ana səhifə


yükləyin