Aanay walo yay to bataao shehr madina kesa he



Yüklə 0,69 Mb.
səhifə2/12
tarix04.11.2017
ölçüsü0,69 Mb.
#30510
1   2   3   4   5   6   7   8   9   ...   12

AZAM jay zindagi di aye hasrat mita levan.

Aie mout thahar jaa, main Madinay tey jaa lavaan


Suta huya naseeb tay mein apna jaga lavan.

AYE ISHQ E NABEE

Aye Ishq-e-Nabee mere dil main bhee sama jana

Mujh ko bhee MUhammad ka deevana bana jana

jo rung keh Jamee per Roomi peh charhaya thha

us rung kee kuchh rungat mujh peh bhee charha jana

Mujh ko bhee MUhammad ka deevana bana jana

Qudrat kee nigahain bhee jiss chehray ko taktee thheen

uss chehra-e-Anwar ka deedar kara jana

Mujh ko bhee MUhammad ka deevana bana jana

jiss khawab main ho jaye deedar-e-Nabee haasil

Aye Ishq kabhee mujh ko Neend aisi sulaa jaana.

Mujh ko bhee MUhammad ka deevana bana jana

Deedar-e-Muhammad kee Hasrat to rahe baqee

Mujh ko bhee Muhammad ka deevana bana jaana.

Aye Ishq-e-Nabee mere dil main bhee sama jana.

AZAL KI KHUSHBOO HO

Azal Ki Khushboo Ho jismein Pinhaa'n


koi batae tu naam aisa
wo naam-e-Ahmed ke phool barsein
Bayan Aisa Kalam Aisa
Azal Ki Khushboo

Wohi Hai Qur'an wohi ha furqa'n


wohi hai rab jiska hai sama khaa'n
Farishte pardh pardh ke jhoomte hain
Durood aisa Salam aisa
Azal ki khushboo

Hai deen-e-haq mein jamal-e-yazdaan


hai arsh bhi jispe naaza'n
wohi tu laya hai deen aisa
wohi tu laya nizaam aisa
Azal ki khushboo

wo jis ka saya tu arsh par hai


wo jis ka zaroon ke dil mein ghar hai
wohi jo chamka tu phir na dooba
wohi hai mahe tamam aisa
Azal ki khushboo

nazar be yaqsaa'n ghulam-o-aaqa


buzurgon par tar hai sirf taqwa
koi jahan mein hai deen aisa
kahin hai koi nizaam aisa
Azal ki khushboo

Woh jis andheri gali se guzra


badal diya noor mein andhera
dilon ki dunia badal ke rakhdi
dia dilon ko payam aisa
Azal ki khushboo

Aqeel aisa khalil aisa


jalil aisa jamil aisa
na riffaton mein na azmaton mein
kisi ne paya maqam aisa
Azal ki khushboo

qala't aisi sa'adat aisi


riya'zat aisi 'iba'da't aisi
wo jispe kaabe ko washjd aaya
sujood aisa qayam aisa

Azal ki khush boo ho jismein pinhaa'n


koi batae tu naam aisa
woh naam-e-Ahmed ke phool barsein
bayan aisa kalam aisa
Azal ki khushboo

AZAMATA KIKI SUNAWAN MADIYAN

azamata kiki sunawan madiyan

azamata kiki sunawan madiyan

taar dehdiyan nain duhawaan madiyan

taar dehdiyan nain duhawaan madiyan

rokhay piyaray muhammed mustafa

yaad jad aieyain wafawan madiyan

laal piyara jad takh ghar nahii awanda

Raain boohay nighawan madiyan

lainday charday har thwaan tumma tummiya

buuriyan thandiyan nai chawaan madiyan

main habeeb ahmed habibi kujwinaiy

chumiya taliyan awliyan wa madiyan

rab qadr kareem rahim eisa

koi rahim naiy allah paak varga

baath rab tho saari kainat andar

duja koi naiy shahe lo lakhe varga

duniyan dari dain sarain rishtiyan which

koi saakh naiy maa dain saakh varga

puthr pawain zamaanay da ghasue howay

naiy o madain parain di khaawk varga

goad maa diya dars gakh paili

itooun zindagi da nasban ein banda

eithoun datha haja fareed bankhay

dukhi dilan vastaiy chaain banday

paikhar maa di sharmo haya diyaiy

feir puthr ve ghause saqlain bandaiy

sayyida hathoon e jannat main maa ho vay sabir

feir laal ve sahiin hussain banday

do jag e andr je toun sukhjandaiy

dasr amr mai kar to peel liyakar

jis haal andr maa ho way raazi

uss hall wich tuun jeeliyakar

utcha boal na maa toun boal baiti

maa samnay labaan see liyakar

jadoun tainoun sakoon di loar howay

pair maa kay tokhay pe liyakar

kamliy waalay soanay mahboob rab day

izzat maan dain karkhain vicahditti

aundi mahiin haleema nu wakaitay

qamli waalay qamli vichaditti

yaran arz kitti soniyan koan siye

jinnoo kamli nay tussaan jaga dithi

farmay nabi nain meri maa hain jay

jidoon seenay au mowla raza ditthi

azmatoan sirsain di bari hoandi

raazi jis tha sajna maa howay

jera dkhuk da ai maan di qadman

ohho bandah zamanay te tan howay

hazrat owais maang jo maa di qadr jaanay

ka im sadday zamanay te na howay

rab we kehndahay moosa samal gaya

jaddoo sitrtain na sabira maa howay

Ruthba maa da rab buland kitta

saanii maa da wich sinsaar koi nahiin

dardi koii maa de dil varga

maa karda piyaar kopi nahiin

aap gillay to pawwain ulad sukkay

kar sakhta inj insaar koi nahiin

jiddi kand te maa da hath howay

unoow duwwan jahhanch haal koinii

AI SABZE GHUMBADH WALE MANZOOR DUA KARNA

By Janab Saabir 

Ai Sabze Ghumbadh wale manzoor Dua karna


Jab waqt nazah aye deedar atha karna

Ai Noor-e-Khuda aakar ankho me samaa jana


Ya Dar pe bhulaalenah ya Khaab me aajana

Ai Pardah nashi dil ke parde me reha karna


Jab waqt nazah aye deedar atha karna

Mehboob Ilaahi sa koyi na hasee dekha


Ye Shaan he in ki se saaya bhi nahi dekha

Allah ne saayeh ko chaha na Judah karna


Jab waqt nazah aye deedar atha karna

Me qabre andheri me ghabrah wohnga jab thanha


Imdaad mere karne ajaana zarah esharah

Roshan meri Turbath ko Lillah zara karna


Jab waqt nazah aye deedar atha karna

Chereh se diya paaye in chand sithaaro ne


Us dar se Shifa paaye dukh dard ke maaro ne

Atha he inni Saabir har dukh ki dhawa karna


Jab waqt nazah aye deedar atha karna

B – BACHA BACHA MUSKURAYA BAARWEIN KA CHAAND AAYA



Bacha Bacha Muskuraya Baarwein Ka Chaand Aaya

Khushiyun Ka Tufaan Laya Baarwein Ka Chaand Aaya

Shaadmani Ke Taranay Goonjtay Hain Deher Mein

Wajd Mein Har Shakhs Aaya Baarwein Ka Chaand Aaya

Roshni Hee Roshni Hai Chandni Hee Chandni

Zarra Zarra Jagmagaya Baarwein Ka Chaand Aaya

Ho Gaye Hain Bund Saaray Zulmaton Ke Baab Aaj

Deher Mein Woh Noor Aaya Baarwein Ka Chaand Aaya

Khil Uthein Kaliyan Muhabbat Ki Gulon Par Hai Nikhaar

Baagh-e-Ulfat Lehlahaya Baarwein Ka Chaand Aaya

Saaz-e-Jaan Per Baj Raha Hai Aik Naghma Baar Baar

Aamina Ka Laal Aaya Baarwein Ka Chaand Aaya

Shukar Karte Hee Raho Rub Ka Ujaagar Subho Shaam

Rub Ka Kaisa Fazal Paaya Baarwein Ka Chaand Aaya

BADI SHAY HAI NISBAT-E-MUSTAFA

Badi shay hai nisbat-e-Mustafa,


Hai waseela apni najaat ka

Shah-e-ambiya ki jo Aal hai,


Barha uska jaah-o-jalaal hai,
Nahin uski koi misaal hai,
Wo habib-e-haq ka jamaal hai,
Nahin kaal is mein ye haal hai,
Mila usko kaisa kamaal hai,
Ye Khuda-e-pak ki hai ataa,
Badi shay hai nisbat-e-Mustafa

Wo jo Ahle Bayt ke hain Imam,


Barhe muttaqi barhe nek naam,
Wo hain badshah to hain hum ghulam,
Bane unke madhha tara tamaam,
Barha uncha har ek ka hai maqaam,
Hue pehle hazrat Ali Imam,
Jinhe sab ne Asadullah kaha,
Badi shay hai nisbat-e-Mustafa

Hain Hassan Imam Hussain bhi,


Hain Ali Raza wo Naqi Taqi,
Hain Imam Baqir-o-Kazmi,
Kahin Abdi kahin Ja'fari,
Koi Mahdi koi hai Askari,
Hai har ek Rasool ki raushni,
Mili unse duniya ko hai zia,
Badi shay hai nisbat-e-Mustafa

Ye hain aala aulad-e-Ali


Kahin in mein Alwi aur Fatemi
Yahi nasl aal-e-Nabi bani
Hai mohabbat inse to wajibi
Hai Riyaz hukm-e-Khuda yahi
Yahi hai hadeeth Huzoor ki
Kahoon kyun na phir main warmala
Badi shay hai nisbat-e-Mustafa

BADI UMMID HAI SARKAAR QADMON MEIN BULAAEI GE

Badi Ummid Hai Sarkaar Qadmo(N) Mei(N) Bulaaei(N) Ge


Karam Ki Jab Nazar Hogi, Madiney Ham Bhi Jaaei(N) Ge

Agar Jaana Madiney Mei(N) Hua, Gham Ke Maaro(N) Ka


Makine Gumbade Khadra Ko Haale Dil Sunaaei(N) Ge

Qasam Allah Ki Hoga Woh Manzar Deed Ke Qaabil


Qiyaamat Mei(N) Rasoolallah Jab Tashrif Laaei(N) Ge

Gunahgaaro(N) Mei(N) Khud Aake Shaamil Paarsa Ho(N) Ge


Shafiye Hashr Jab Daamaane Rehmat Mei(N) Chupaaei(N) Ge

Ghame Ishqe Nabi Se Hoga Jab Maamoor Dil Nayyar


Tere Jhurmat Qade May(N) Bhi Sitaarei(N) Jagmagaaei(N) Ge

BALAGHAL ULA BI KAMALIHI KASHAFAD DUJA BIJAMAALIHI

Balaghal ula bi kamalihi kashafad duja bijamaalihi


Hasunat jami okhisalihi sallu alaihi wa aalihi

Woh kamaal-e-husne-huzoor hai ke gumaan-e-naks jaha nahi


Yehi phool khaar se door hai yehi shamma hai ke dhua nahi

Mein nisaar tere kalaam par milee youn to kiss ko zubaan nahi


Woh sukhan hai jis mein sukhan na ho wo bayan hai jis ka bayan nahi

Ba khuda khuda ka yehi hai dar nahi aur koi maffar maqqar


Jo waha say ho yaheen aake ho jo yahan nahi to wahan nahi

Tere aage youn hain dabbe lache fusaha arab ke barre barre


Koi jaane mu mein zubaan nahi nahi balke jism mein jaan nahi

Sar-e-Arsh par hai teri guzar dil-e-farsh par hai teri nazar


Malakoot-o-mulk mein koi she nahi woh jo tujh pe aayan nahi

Karoon tere naam pe jaan fida na bus aik jaan do jahaan fida


Do jahaan say bhi nahi ji bhara karoon kya karoro jahaan nahi

Karoon madh-e-ahle doal Raza parre is balaa mein meri balaa


Mein gadaa hoon apne kareem ka mera deen para-e-naa nahi

BAN JAAN TOON VI

ban jaa tuun vi yaar madine waaley da


je karna deedare madine waaley da

kade nai ja sakhda o wich jahannam de


jide dil wich pyaare madine waaley da

oona da muur dil naai lagda kidhre wii


takaja jinnah darbare madine waaley da

Allah kare main mur wi ja ke weekh lawaan


Oo noori darbaare madine waaley da

Tere saare roog gawawe qa mola


Naam te le ik waare madine wale da

Peere faqeer ameer wazeer shehansha wi


Sadka kande yaar madine waaley da

Tere haj namaaz zakaataan kis kaari


Dil wich nai je pyaare madine waleey da

Shukre nayazi main karna haan allah da


Menoon milja pyaar madine waley da.

BAN KAY NUURAY KHUDA

Ban kay Nuuray KHUDA, Mustafa aagaey

Marahaba Marhaba, Marhaba Marhaba Mustafa aagaey

Marhaba Marhaba Mustafa aagaey

Ujri dunya thi AAqa ney aabaad ki

Her taraf dhuum Unkay hay Meelaad ki

Sab kay Mushkil kusha, Mustafa aagaey

Marahaba Marhaba Mustafa aagaey

Marahaba Marhaba Mustafa aagaey

Ho gaey Nuur dunya kay zulmat tallay

Jin kay aanay say Mao ko baytay millay

Sarwar-e-Ambiyaa (A.S), Mustafa aagaey

Marahaba Marhaba Mustafa aagaey

Marahaba Marhaba Mustafa aagaey

Ban kay Nuuray KHUDA, Mustafa aagaey

Marahaba Marhaba Mustafa aagaey

Arsh per Jashan Jin ka manaaya gaya

Sab Rasuulou (A.S) ko jiss may bulaaya gya

Haa wohi Dil Ruba Mustafa aagaey

Marahaba Marhaba Mustafa aagaey

Ban kay Nuuray KHUDA, Mustafa aagaey

Marahaba Marhaba Mustafa aagaey

Ab na maa'yuus hoga sawaali koi

Aaj Naasir na lotay ga khaali koi

Muskura ay gada , Mustafa aagaey

Marahaba Marhaba Mustafa aagaey

Ban kay Nuuray KHUDA, Mustafa aagaey

Mustafa aagaey, Mustafa aagaey

Marahaba Marhaba Mustafa aagaey

Marahaba Marhaba Mustafa aagaey



BAQI SABEY GALAN CHUTIYAN NEY SARIYAN

Baqi sabey galan chutiyan ney sariyan


Heyn sachiyan Huzoor diya yariyan

Nuri mukda tey zulfan ney kaliyan


Rab beyjda duroodan diyan daaliyan

Piyaar meray Aqa da seenay wich howey


Aur jugi ik reyn laee madiney wich howey
Bandah raj raj key chumey feyr jaliyan

Aqa dey piyaar nal seenay chamka deyo


Ya Rasulullah keh key tusi na'rah ik laa deyo
Nas jaan giya aapey-ee bimariyan

Beyliya Huzoor diya mehfilan sajaya kar


Din raat Sohney tey Durood buchaya kar
Ghar reyn giya sada khush haliyan

Allah di so eythey uthay mala maal hon gey


Har thaee Aqa dey o naal naal hon gey
Jinnay Sohney diya mehfilan shingariyan

BAY KHUD KI YEH DAYTHAY HEY

Bay khud ki yeh daythay hey andaaz hijabana


Aa dil mey thujhay rakh loon aey jalwae janana

Kyun aankh mila'ee thi kyun aag laga'ee thi


ab rukh ko chupa beyt-hay kar kay mujhay deewanah

Jis ja nazar aathay ho sajday wahi kartha hoon


iss say nahi kuch matlab kaba ho ya buth khana

Ji chahta hey thofay mey dey doon mey unhin ankheyn


darshan ka tho darshan ho nazranay ka nazrana

Mey howsh howaas apnay iss baath pey kho beyt-ha


hans kar jo kaha thu nay aaya mera deewanah

Duniya mey mujhay thu nay gar apana banaya hey


Mehshar mey bhi keh deyna yeh hey mera deewanah

Ithna tho karam karna aey nargis masthana


Jab jaan labo par ho thum deed kara janana

Baydam meri qismath mey sajday hey isi dar key


choowta hey na choowtay ga sang dar jananah

Ji chahta hey thofay mey dey doon mey unhin ankheyn


darshan ka tho darshan ho nazranay ka nazrana

Jis ja nazar atte ho sajde wahin karta houn


Is se nahi kuch matlab kabba ho ja butkhana...

Maidane mehshar me tum saath khaday rehna


na jane KHUDA kuch pooche, aur na jane kya kehde ye diwana

Peenay ko tho peelon ga, par shart zara si hey


Ajmer ka saki ho, Baghdad ka mehana

Peene ko to pee lungaa, par shart zara si hai


Baghdad ka saqi ho, Minhaj ka maiqana

Peenay ko tho peelun ga, par shart zara si hey


Tahir mera saki ho, Minhaj ka meyhana

Peene ko to peelunga, par shart zara si hai


Baghdad ka saqi ho, Sarhind ka maiqana

Sar shaar muje kar dei aik jaam laba lab see


Tahashar-e rahe saki abaad ye maiqanaa

Dil apne chamak utheeemaan ki talat see


Kar ankheen bhi noraani aa jalwa aa janana

Har phool mein boo teri har shama mein zoo teri


Bulbul hai tera bulbul parwana hai parwana...

BERA MUHAMMAD WAALA, LENDA PE ATARIYAAN,

Jisne Madine jaana karrlo tay-yaariyaan.

Inshallah wo din wee aave, sona sanu kol bulaa we,
Ral mil ke wekan Rawza, e sanya saariyan,

Jisne Madine jaana karrlo tay-yaariyaan.

Aab e ZamZam me peeve, uthe me maraa the jeevan,
Sadqa nawasayaan da, sun meriyaan zaariyaan,

Jisne Madine jaana karrlo tay-yaariyaan.

Me daadi ayba waali, teri he shaan-e-niraali,
Mode teh kamli kaali, hafiz me waariyaan.

Haajiyan ne chummi jaali, jaali o karma waali,


Lak pehre daara paave, chariyaan ne maariyaan,

Jisne Madine jaana karrlo tay-yaariyaan.

Oteh ni tandiyaan chavaan, dil kash makhmuur hawaawan,
Qulyaa bahishta diya, jeeve sab baariya.

Kaabe de girde gham ye, Rawze di jaali chumye,


Tak ayye Jannat diya, naale ki yaariyan.

Sohnay nu raazi karye, rahmat thanye joli bharye,


Palkaa de naal deeye, thaan thaan bahaariyan.

Rabb da Habib oteh, sab da tabeeb oteh,


Hundiyaan Madine ja ke, duurr e beemaariyan.

Sadd me kyen hijr de sayye, iteh ik pal naa rayye,


Das je challe jaa-iye, maar e udaariyan

Surat noorani jis di, duniya di waani jisdi,


Kyun na me jaawan Hafiz, is tho balayhaariyan

BINT-E-KHAIR-UL-WARA

Ishq kee intiha syeda fatima bint-e-khair-ul-wara bint-e-khair-ul-wara


Zahida abida sabira sajida bint-e-khair-ul-wara bint-e-khair-ul-wara

Shan-e-ahl-e-sakha jaan-e-khair-ul-wara aan-e-mushkil kusha aan-e-mushkil kusha


Tuj pey qurban mariam fida asia bint-e-khair-ul-wara bint-e-khair-ul-wara

Tera baba nabi aur shor wali naam jin ka ali naam jin ka ali


Allah Allah tera martaba silsila bint-e-khair-ul-wara bint-e-khair-ul-wara

Dar pey jo be gaya us ka daman bhara ghar main faaka raha ghar main faaka raha


Marhaba marhaba tera jood-o-sakha bint-e-khair-ul-wara bint-e-khair-ul-wara

Jis ka ghar loot gaya wo tera laadla na jhuka na bika na jhuka na bika


Kar dia haq ada youn terey dood ka bint-e-khair-ul-wara bint-e-khair-ul-wara

Teree azmat juda teree rif'at wala ghar hey noor-un-ala ghar hey noor-un-ala


Ho zuban sey bayaan teree kesey sana bint-e-khair-ul-wara bint-e-khair-ul-wara

Ayah tat'heer hey terey sar kee rida hey ata-e-khuda hey ata-e-khuda


Tuj sey kaaim hey duniya main husn-o-haya bint-e-khair-ul-wara bint-e-khair-ul-wara

Syed-e-karbala ka tujhey wasta syeda fatima syeda fatima


Bhardo daman mera hoon mein tera gada bint-e-khair-ul-wara bint-e-khair-ul-wara

Terey dar sey sada sab ka daman bhara ik niazi hee kiya


Maangain dar sey terey awliya asfiya bint-e-khair-ul-wara bint-e-khair-ul-wara

BAKHT-E-KHUFTA NE MUJHE RAUZAY PE JAANAY NA DIYA
Chashm-O-Dil Seenay Kaleyje Se Laganay Na Dia

Aah! Qismat Mujhe Duniya Ke Ghamon Ne Roka
Haaye! Taqdeer Keh Taiba Mujhe Jaanay Na Dia

Sharbat-E-Deedar Ne Aur Aag Lagadei Dil Mein
Tapish-E-Dil Ko Barhaya Hai Bujhanay Na Dia

Ab Kahan Jayega Naqsh Tera Mere Dil Se
Teh Mein Rakha Hai Issay Dil Ne Gumanay Na Dia

Mere A’mal Ka Badla Tou Jahannum Hee Tha
Mein Tou Jaata Mujhe Sarkar Ne Jaanay Na Dia

Nafs-E-Badkaar Ne Ne Dil Pe Ye Qiyamat Torri
Amal Naik Kia Bhi Tou Chupanay Na Dia

Aur Chamakti Sei Ghazal Koi Parho Aey Noori
Rung Apna Abhi Jamnay Sho’ra Ne Na Dia

BHAR DO JHOLI MERI

Shah-e-Madeena suno ilteja Khuda ke liye


Karam ho mujh pe Habeeb-e-Khuda Khuda ke liye
Huzoor ghuncha-e-ummeed ab to khil jaaye
Tumhaare dar ka gadaa hoon to bheek mil jaaye

Bhar do jholi meri ya Muhammad


Lautkar main na jaaunga khaali

Tumhaare aastaane se zamaana kya nahin paata


Koi bhi dar se khaali maangne waala nahin jaata

Bhar do jholi meri Sarkaar-e-Madeena


Bhar do jholi meri Taajdaar-e-Madeena

Tum zamaane ke mukhtaar ho ya nabi


Bekason ke madadgaar ho ya nabi
Sab ki sunte ho apne ho ya ghair ho
Tum ghareebon ke gham-khwaar ho nabi

Bhar do jholi meri Sarkaar-e-Madeena


Bhar do jholi meri Taajdaar-e-Madeena

Hum hain ranj-o-museebat ke maare hue


Saqt mushkil mein hain gham se haare hue
Ya nabi kuchh Khudaara humein bheek do
Dar pe aaye hain jholi pasaare hue

Bhar do jholi meri Sarkaar-e-Madeena


Bhar do jholi meri Taajdaar-e-Madeena

Hai mukhaalif zamaana kidhar jaaein hum


Haalat-e-bekasi kisko dikhlaaye hum
Hum tumhaare bhikaari hain ya Mustafa
Kiske aage bhalaa haath phailaayein hum

Bhar do jholi meri Sarkaar-e-Madeena


Bhar do jholi meri Taajdaar-e-Madeena

Bhar do jholi meri ya Muhammad


Lautkar main na jaaunga khaali
Kuchh nawaason ka sadqa ataa ho
Dar pe aaya hoon bankar sawaali

Haq se paayi wo shaan-e-kareemi


Marhaba dono aalam ke waali
Uski qismat ka chamka sitaara
Jis pe nazr-e-karam tum ne daali

Zindagi bakhsh ki bandagi ko


Aabroo deen-e-haq ki bachaali
Wo Muhammad ka pyara nawaasa
Jisne sajde mein gardan kataali

Jo ibn-e-murtaza ne kiya kaam khoob hai


Qurbaani-e-Hussain ka anjaam khoob hai
Khurbaan ho ke Fatema Zehra ke chain ne
Deen-e-Khuda ki shaan badhaayi Hussain ne
Bakhshi hai jisne mazhab-e-Islam ko hayaat
Jitni azeem hazrat-e-Shabbir ki hai zaat
Maidaan-e-Karbala mein shah-e-khush khisaal ne
Sajde mein sar kataa ke Mohammad ke laal ne
Zindagi bakhsh di bandagi ko
Aabroo deen-e-haq ki bachaali
Wo Muhammad ka pyara nawaasa
Jisne sajde mein gardan kataali

Hashr mein unko dekhenge jis dam


Ummati ye kahengey khushi se
Aa rahey hain wo dekho Mohammad
Jinke kaandhe pe kambli hai kaali

Mehshar ke roz pesh-e-Khuda hongey jis ghadi


Hogi gunahgaaron mein kis darjaa bekali
Aate hue nabi ko jo dekhenge ummati
Ek doosre se sab ye kahengey khushi khushi
Aa rahey hain wo dekho Mohammad
Jinke kaandhe pe kambli hai kaali

Sar-e-mehshar gunahgaaron se purzish jis ghadi hogi


Yaqeenan har bashar ko apni bakhshish ki parhi hogi
Sabhi ko aas us din kambli waale se lagi hogi
Ke aise mein Mohammad ki sawaari aa rahi hogi
Pukaarega zamaana us ghadi dukh dard ke maaron
Na ghabraao gunahgaaron na ghabraao gunahgaaron
Aa rahey hain wo dekho Mohammad
Jinke kaandhe pe kambli hai kaali

Aashiq-e-mustafa ki azaan mein Allah Allah kitna asar thha


Sachaa ye waaqiya hai azaan-e-Bilaal ka
Ek din rasool-e-paak se logon ne yun kahaa
Ya Mustafa azaan ghalat dete hain Bilaal
Kahiye huzoor aapka is mein hai kya khayaal
Farmaaya Mustafa ne ye sach hai to dekhiye
Waqt-e-sahar ki aaj azaan aur koi de
Hazrat Bilaal ne jo azaan-e-sahar na di
Khudrat Khuda ki dekho na mutlaq sahar hui
Aaye Nabi ke paas kuchh as'haab-e-baasabaa
Ki arz mustafa se ay Shah-e-ambiya
Hai kya sabab sahar na hui aaj Mustafa
Jibreel laaye aise mein payghaam-e-Kibriya
Pehle to Mustafa ko adab se kiya salaam
Baad as salaam unko Khuda ka diya payaam
Yun Jibraeel ne kahaa khair ul anaam se
Allah ko hai pyar tumhaare ghulaam se
Farmaa raha hai aap se ye Rabb-e-Zuljalaal
Hogi na subha dengey na jab tak azaan Bilaal
Aashiq-e-mustafa ki azaan mein Allah Allah kitna asar thha
Arsh waale bhi sunte thhey jisko
Kya azaan thi azaan-e-bilaali

Kaash purnam se aaye nabi mein


Jeete ji ho bulaawa kisi din
Haal-e-gham Mustafa ko sunaaoon
Thhaam kar unke rauze ki jaali

Bhar do jholi meri ya Muhammad


Lautkar main na jaaunga khaali

BULLA KI JAANA MAIN KAUN

Bulla ki jaana main kaun


Bulla ki jaana main kaun
Bulla ki jaana main kaun
Bulla ki jaana main kaun

Na main moman vich maseetan


Na main vich kufar dian reetan
Na main pakan vich paleetan

Na main andar bed kitaban


Na main rehnda phaang sharaban
Na main rehnda mast kharaban

Na main shadi na ghamnaki


Na main vich paleetan pakeen
Na main aaabi na main khaki

Na main aatish na main paun


Bulla ki jana main kaun
Bulla ki jana main kaun
Bulla ki jana main kaun
Bulla ki jana main kaun

Na main arabi na lahori


Na main hindi shehar Nagaori
Na hindu na turk pashauri

Na main bhet mazhab de paya


Na main aadam hawwa jaya
Na koi apna naam dharaya

Avval aakhar aap nu jana


Na koi dooja hor pacchana
Mai ton na koi hor syana

Bulle shah kharha hai kaun


Bulla ki jaana main kaun
Bulla ki jaana main kaun
Bulla ki jaana main kaun
Bulla ki jaana main kaun

Na main moosa na pharoah


Na main jagan na vich saun
Na main aatish na main paun
Na main rahnda vich Nadaun
Na main baitthan na vich bhaun
Bulle shah kharha hai kaun

Bulla ki jaana main kaun -4


oooooo...
Bulla ki jaana main kaun -4

BULALO PHIR MUJHE EH SHAHE BEHROBAR MADINE MEIN

Bulalo phir mujhe eh Shahe behrobar Madine mein


Mein phir rota huwa awun tere dar par Madine mein

Mein pohnchun kuwe jaana mein ghareeban chaak seena chaak


Gira de kaash mujhko shawk tarpa kar Madine mein

Madine jaane walo jawo jawo fee amaanillah


Kabhi tho apna bhi lag jayega bistar Madine mein

Salaam e shawk kehna haajion mera bhi ro ro kar


Tumhey aaye nazar jab roza e anwar Madine mein

Paye tableegh e Sunnat tu jahaan rakkhe magar eh kaash


Mein khwaabon mein pohnchta hi rahoon aksar Madine mein

Madina iss liye Attar jaano dil se hai pyara


Ke rehte hai mere Aaqa mere dilbar Madine mein

Bulalo phir mujhe eh Shahe behrobar Madine mein


Mein phir rota huwa awun tere dar par Madine mein

C

CHAMAK TUJSE PAATE HE SAB PAANE WAALE,

Chamak tujse paate he sab paane waale,

Mera dil bhi chamka de chamkaane waale.

Barasta nahi dekh kar abre rehmat,

Badon par bhi barsa de barsa ne waale….

Madine ki khitte Khuda tujh ko rakhe,

Ghareebon faqeeron ke thehraane waale…

Tu zinda he wallah, tu zinda he wallah,

Mere chashme aalam se chup jaane waale..

Me mujrim hu Aaqa, mujhe saath le lo,

Ke raste me he jaa baja thaane waale..

Haram ki zami aur qadam rakh ke chalna,

Areh sar ka moqa he o jaane waale.

Tera kaye tere Ghulamo se uljhe,

He munkir ajab khaane ghurraane waale.

Rahega yuhi, unka charcha rahega,

Pare khaak ho jaaye jal jaane waale.

Raza nafs dushman he dum me na aana,

Kaha tumne dekha he chand raane waale.



CHUM CHUM KE

Banke saa’il Madiney nu jawan gee main

Banke saa’il Madiney nu jawan gee main
Jo Jo beeti Nabi nu sunawan gee main

Loki kenday nain, Madinah bari duur hai


Raat din kar ke paind, mukaavan gee mey

Loki kenday, ney kee leyn jaana ey tu


Lakh suthray Madinay nu jagawan gee main

Pair sona jo pa de, meri kulli wich


Oday rastaych akiyan, bichavan gee main

Baar jaliyan ney jaanda, judaiiyan da hun


rouzah wayk seenay thandki ne pawan gee main

Saabirri Saabirri tangan madni diyan


Pair pay kay tay sohna manavan gee main

Loki kenday, nain kee leyn jaana hey tu


Naal ghalarey sawalarey sunawan gee main.

Saabirri Saabirri tangan madni diyan


Pair pay kay tay sohna manaavan gee

CHAMKA MAHE NOOR KA,

Ya Rasulallah Marhaba Marhaba,

Ya Habiballah Marhaba Marhaba.

Be kason se he jhin e pyaar wohi aaye hein,

Jo do aalam ke hein gham khaar wohi aaye hein.

Ek nazar asmaan pe daal, Marhaba,

Chamka mahe noor ka hilal, Marhaba

Ya Rasulallah Marhaba Marhaba,

Ya Habiballah Marhaba Marhaba.

Jhande lagao galiyan sajao,

Karlo charaaghan ghar jagmagao,

Razi ho ga Rab-e-Zuljalal, Marhaba…

Ya Rasulallah Marhaba Marhaba,

Ya Habiballah Marhaba Marhaba…

Mehfil sajaaye naatein sunaaye,

Aaqa ki aamad ki dhoomein machaaye,

Rawz-o-shab yehi ho apna haal, Marhaba…

Ya Rasulallah Marhaba Marhaba,

Ya Habiballah Marhaba Marhaba..

Laaraib nabiyon kay saalar aaye,

Aaye do aalam ke gham khaar aaye,

Shahkaar-e-Rab-e-Zuljalal, Marhaba..

Ya Rasulallah Marhaba Marhaba,

Ya Habiballah Marhaba Marhaba.

Aashiq ke dil jagmagane lage hein,

Dekho zara muskurane lage hein,

Deedni hein unke khad-o-khaal, Marhaba.

Ya Rasulallah Marhaba Marhaba

Ya Habiballah Marhaba Marhaba

Sadqa wiladat ka jalwa dikha do,

Dil ki lagi ab to aaqa bujha do,

Dikhla do apna ab jamaal, Marhaba.

Ya Rasulallah Marhaba Marhaba,

Ya Habiballah Marhaba Marhaba.

Jood-o-sakhawat hai aadat tumhari,

Phailaaye daaman khare hein bhikari,

Kar do karam amna ka laal, Marhaba.

Ya Rasulallah Marhaba Marhaba,

Ya Habiballah Marhaba Marhaba.

Jaam-e-shahadat piya he jino ne,

Ahle-sunan ko jila di uno ne,

Yaad aayenge wo har saal, Marhaba.

Ya Rasulallah Marhaba Marhaba

Ya Habiballah Marhaba Marhaba

Shaadi ke naghme sunate rahenge,

Jashn-e-wiladat manaate rahenge,

Waar denge tum pe jaan-o-maal, Marhaba.

Ya Rasulallah Marhaba Marhaba

Ya Habiballah Marhaba Marhaba

Parhne laga jab Ubaid un ki naatein,

Ho ne lageen chaar soo us ki baatein,

Faiz-e-Raza ka he sab kamaal, Marhaba.

Ya Rasulallah Marhaba Marhaba

Ya Habiballah Marhaba Marhaba



CHOR FIKRE DUNIYA

Naqsh kar le seene par naam sarware deen ka,

Ye wo naam he jis se sab azaab talte he

Sirf saari dunya me wo he kucha-e ahmad,

Jis jaga bhi ham jese khote seek-e chalte he

Aminah ke paale ka, kali kamli waale ka,

Jashne ham manate he, jalne waale jalte he

Ham ko rawz milta he sadqa kamli wale ka,

Mustafa kay tukron par khush naseeb palte he

Rahmaton ke say-ye me saath saath chalte he,

Mustafa ke deevane ghar se jab nikalte he

Naat e Mustafa sun kar aag sard hoti he,


Zikr e Mustafa sun kar sange dil pigalte he.

DARE NABI (S.A.W) PAR

Dare nabi (s.a.w) par para rahoon ga pare hi rehne se kaam hoga


Kabhi to qismat khule gi meri kabhi to mera salam hoga

Qilafe mashooq kuch huwa hai na koi aashiq se kam hoga


Khuda bhi hoga udhar bhi aye dil jidhar woh aali maqam hoga

Kiye hi jaoon ga arz matlab milega jab tak na dil ka matlab


Na shaam e matlab ki subha hogi na yeh fasana tamam hoga

Jo dil se hai ma’il-e-payambar yeh is ki pehchan hai muqarrar


Ke har dam is be nawa ke lab par durood hoga salam hoga

Isi tawaqqa pe ji raha hoon yehi tamanna jila rahi hai


Nigahe lutfo karam na hogi to mujh ko jeena haram hoga

CHAMKA MAHE NOOR KA HILAL

Bekaso se hai jinhe pyar wohi aaye hai


Dono alam ke hai gamkhwar wohi aaye hai.

Ya Rasoolallah (Sallaho Alayhe Wasslam) Merhaba Merhaba


Ya Habiballah (Sallaho Alayhe Wasslam) Merhaba Merhaba

Ek nazar asman pe daal merhaba,


Chamka mah e noor ka Hilal merhaba.

Zande lagao, galiya sajao


Karlo charaga, ghar jagmagao
Razi hoga Rabb-e-Zuljalal. Merhaba

Mehfil sajao naate sunao


Aaqa ki amad ki dhoome machao
Rozo shab yahi ho apna haal. Merhaba

Aashiq ke dil jagmagane lage hai


Dekho zara muskurane lage hai
Shahkar-e-Rabb-Zuljalal Merhaba

Sadqa viladat ka jalwa dikha do


Dil ki lagi abb to aaqa buja do
Dikhla do apna abb jamal. Merhaba

Judo sakahwat se adat tumhari


Failaye daman khade hai bhikari
Kar do karma Amena ke lal Merhaba

Jame shahadat piya hai jinhone


Ahle sunan ko jila di unhone
Yaad ayenge woh har saal. Merhaba

Shadi ke nagme sunate rehenge


Jashne viladat manate rahenge
Vaar denge tumpe jaanomal Merhaba..

Padhne laga jab UBED unki naate


Hone lagi charsoo ooski baaten,
Faize Raza ka hai sab kamal Merhaba

D

DILON KAY GULSHAN MEHEK RAHAY HEYN YAY

Dilon kay gulshan mehek rahay heyn, yay kef kyun aaj aa rahay heyn
Kuchh esa mahsoos ho raha he huzur tashreef laa rahay heyn

Nawazishon par nawazishayn heyn, inaayaton par inayatayn heyn


Nabi ki naatayn suna suna kar ham apni qismat jaga rahay heyn

Kahiin pay ronaq he mekashon ki, kahiin pay mehfil he dil jalon ki


Wo kitnay khush bakht heyn jo apnay nabi ki mehfil saja rahay heyn

Na paas pi ho to soona saawan wo jiss say raazi wohi suhaagan


Jinhon nay pakra nabi ka daaman unhi kay ghar jagmaga rahay heyn

Khaan ka mansab kahaan ki dolat, qasam khuda ki yay he haqiqat


Jinhay bulaya he mustafa nay wohi madina paak ko ja rahay heyn

Habeeb e daawar ghareeb parwar rasool e akram karam kay pekar


Kisi ko dar pay bula rahay hain, kisi ki khuabon may ah rahay heyn

Meyn apnay kherulwara kay sadqay, meyn unki shaan e ata kay sadqay


Bhara he ebon say mayra daaman, huzur phir bhi nibha rahay heyn

Banay ga jaanay ka phir bahana, kahay ga aa kar koii deevana


Chalo niyaazi tumhayn madina paak, madinay waalay bula rahay heyn

Dilon kay gulshan mehek rahay heyn yay kef kyun aaj aa rahay heyn


Kuchh esa mahsoos ho raha he huzur tashreef laa rahay heyn

DUKH MUKH GAY NAY SAB DUNIYA DAY

Aaya kamli waala, Aaya kamli waala.

Dukh mukh gay nay sab duniya day, khushiyan day vaylay aa ay nay,

Ban rehmath rab di duniya thay, aaka tashreef(-e-)lay aa ay nay,

Aamad-e-mustafa marhaba marhaba, Aamad-e-mustafa marhaba marhaba, marhaba marhaba, Aamad-e-mustafa.

Aaya kamli waala, Aaya kamli waala. Aaya kamli waala, Aaya kamli waala.

Kithay kasam utaa ee, chehray dee, yaseen(-e-)day noori, sehray dee,

Yu' tee ka fatardaa keh keh kay, Yu' tee ka fatardaa keh keh kay,

ALLAH nay naaz(-e)utaa ay nay

Aamad-e-mustafa marhaba marhaba, Aamad-e-mustafa marhaba marhaba, marhaba marhaba, Aamad-e-mustafa.

Aaya kamli waala, Aaya kamli waala. Aaya kamli waala, Aaya kamli waala.

Sooraj noo mawray ya sawnay nay, chan thawr (-e-) kay jawray ya sawnay nay,

Patharaanay kalmay par par kay, sarkaar(-e-) day geet sunaa(-e-) nay,

Aamad-e-mustafa marhaba marhaba, Aamad-e-mustafa marhaba marhaba, marhaba marhaba, Aamad-e-mustafa.

Kyoo rawkay jashan(-e-) manaavan tho, jandiya thay bathiya laavan tho,

Kaabay dee chat thay kud janday, jibreel (-e-) tho rab lag waa ay nay,

Aamad-e-mustafa marhaba marhaba, Aamad-e-mustafa marhaba marhaba, marhaba marhaba, Aamad-e-mustafa.

Aaya kamli waala, Aaya kamli waala. Aaya kamli waala, Aaya kamli waala



DAR PE BULAWO MAKKI MADNI,

Dar pe bulawo makki madni,

Bigri banawo makki madni,

Deed teri hai, eid meri

Deed karawo makki madni,

Dar pe bulawo makki madni

Mehshar me ho lab pe mere

"'Mujh ko bachawo makki madni"

Dar pe bulawo makki madni

Apne nawason ke sadqe

Dukhre mitawo makki madni,

Dar pe bulawo makki madni

Gumbad-e-Khazra ke saaye taleh

Mujh ko sulawo makki madni,

Dar pe bulawo makki madni

Mangta hu(n) me sawaali hoon,

Ishq-e-Nabi ka pujaari hu(n),

Thokaren khaata hu(n) dar dar ki,

Dar pe bulawo makki madni,

Bigri banawo makki madni

Har saas me Madinah he,

muskhkil ab mera jeena he,

Dil mein tamanna hai Tayba ki,

Dar pe bulawo makki madni,

Bigri banawo makki madni

Barso(n) say akhiya tarsi,

Jalwa dikhawo makki madni,

Dar pe bulawo makki madni

Asdi gunaho me dooba huwa he

Jaisa he nibhawo makki madni,

Dar pe bulawo makki madni,

Bigri banawo makki madni

Dar pe bulawo makki madni

DIL MEIN HO YAAD TERI GOSHA E TANHAII HO
Dil mein ho yaad teri gosha e tanhaii ho
Phir to khalwat mein ajab anjuman aaraii ho
Aastana pe tere sarr ho ajal aayi ho
Aur ay jaane jahaan tu bhi tamashae ho

Khaakh paamal gharibaan ko na kyun zinda kare


Jis daamaan ki hawa bad e maseehaii ho

Us ki qismat pe fidaa takht shaahe ki raahat


Khaakh e Taiba pe jisse chain ke neend aayi ho
Taaj waalo ki khwaaish he ke unke dar par
Hum ko haasil sharf e nasiyaa farsaii ho
Band jab khwaab e ajal se huun Hassan ke aankhein
Us ki nazron mein tera jalwaii zebaii ho

DIL MEIN ISHQ E NABI (S.A.W) KI HO AISI LAGAN,

Dil mein ishq e Nabi (s.a.w) ki ho aisi lagan,

Ruh tarapti rahe dil machalta rahe,

Zindagi ka maza he ke har saans se,

Ya Muhammad Muhammad (s.a.w) nikalta rahe

Dil mein ishq e Nabi (s.a.w) ki ho aisi lagan…

Ya Muhammad Muhammad (s.a.w) mein kehta raha,

Noor ke moti-on ki lari ban gaee,

Ayaton se milata raha ayatain,

Phir jo dekha to Naat e Nabi (s.a.w) ban gaye

Jo bhi ansoo bahe mere Mehboob ke,

Sab ke sab abr e rehmat ke cheente bane,

Chah gaee raat jab zulf lehra gaee,

Jab tabassum kiya chandani ban gaee

Yeh to maana ke jannat hai bagh e haseen,

Khoobsurat he sab khuld ki sar zameen,

Husn e jannat ko phir jab samayta gaya,

Sarwar e ambiya ki galee ban gaee

Jab chirah tazkira un ke rukhsaar ka,

Waduha par liya, wal qamar keh dia,

Sooraton kee tilawat bhi hoti rahi,

Naat bhi ho gayi baat bhi ban gayi

Sab se saim zamane main mazoor tha,

Sab se bekas tha bebas tha majboor tha,

Un ko reham agaya mere halaat par,

Meri azmat meri bebasi ban gaee

Dil mein ishq e Nabi (s.a.w) ki ho aisi lagan,

Ruh tarapti rahe dil machalta rahe,

Zindagi ka maza he ke har saans se,

Ya Muhammad Muhammad (s.a.w) nikalta rahe



DO JAHAAN KE WALI KA DO JAHAAN PE SAYA HAI
Do jahaan ke Wali ka do jahaan pe saya hai
Unko tho khuda ne unki marzi se banaya hai

Noori noori talwe hai, kaise pyare jalwe hai


Chand unki jalwo ki bheek lene aaya hai

Barkato ki raile hai, nooriyo ki mele hai


Haleema teri kotya me kaun muskuraya hai

Nabiyo ne salami di, waliyo ne ghulami ki


Sar pe unke khaaliq ne taaj woh saja hai

Wadduha ka chehra hai, taha ka sehra hai


Unki muskurane se zamana jagmagaya hai

DUNYA TE AYA KOI TERI NA MISAAL DA

Dunya Te Aya Koi Teri Na Misaal Da


Mein Labke Le Awa Kitho Sona Tere Naal Da

Soneya daroood peche, rab teri zaat nu, mukh tera noor wande, saare kainaat nu


Shedaey zamaana, tere husnu jamaal da,

Mein Labke Le Awa Kitho Sona Tere Naal Da


Dunya Te Aya Koi Teri Na Misaal Da

Makke reen waaleya, madine or waalea, kethe khaan walia nu, sinne laan waaleya


Tere bina dighe anu, koina sambaal da

Mein Labke Le Awa Kitho Sona Tere Naal Da


Dunya Te Aya Koi Teri Na Misaal Da

Terian te sifta daan, koiwi saamb nei, du te kithe tereaa, ghulama da jawab nahi.


Hu raata i roob wande, abshii bilal da

Mein Labke Le Awa Kitho Sona Tere Naal Da


Dunya Te Aya Koi Teri Na Misaal Da

Ho kapeya dewee tere, sacheya piyaara da, joondaye zahoori naa. laike tere yaaran da


Golaye tera, tere dard da, tere yaal da

Mein Labke Le Awa Kitho Sona Tere Naal Da


Dunya Te Aya Koi Teri Na Misaal Da

DUNIYA KE AY MUSAFIR MANZIL TERE QABAR HAI
Tay Kar Raha Hai Jo tu Do Din ka ya Safar hai
Duniya Ke Ayyyy Musafir
Jab Sa Bani Hai Dunya Lakhon Karoron AYe
Baqi Raha na koi Matti main sab samai
Is Baat ko na bhulo sab ka yahi hashar hai
Duniya Ke Ay Musafir
Duniya Ke Ay Musafir Manzil Tere Qabar Hai
Tay Kar Raha Hai Jo tu Do Din ka ya Safar hai
Duniya Ke Ayyyy Musafir
Ye aali shan Banglay wahan kaam ka nahin hain
Makhmal main sonay walay maati main so rahay hain
Do Gaz zamin ka tukra mitti ka tara ghar hai
Duniya Ke Ayyyy Musafir
Duniya Ke Ay Musafir Manzil Tere Qabar Hai
Tay Kar Raha Hai Jo tu Do Din ka ya Safar hai
Duniya Ke Ayyyy Musafir
Ankhon sa tunay apni dekhay hain kitnay janazay ?
Hathon sa tunay kitnay dafnay tunay murday ?
Anjam sa tu apnay itna tu kyun ba khabar hai
Duniya Ke Ayyyy Musafir
Duniya Ke Ay Musafir Manzil Tere Qabar Hai
Tay Kar Raha Hai Jo tu Do Din ka ya Safar hai
Duniya Ke Ayyyy Musafir

DUSHMAN-E AHMAD PE SHIDDAT KIJIYE

Dushman-e Ahmad pe shiddat kijiye


Mulhidon ki kya murrawat kijiye

Zikr unka cheriye har baat me


Cherna Shaytaan ka aadat kijiye

Misl-e Fars zalzalay hoon Najd mein


Zikr-e Aayaat-e Walaadat kijiye

Ghaiz mein jal jaa-ein be Deeno ke dil


Yaa Rasool Allah ki Kasrat kijiye

Kijiye charcha unhee ka subh-o shaam


Jaan-e Kaafir par Qayamat kijiye

Shirk thehre jis mein ta?zeem-e Habeeb


Us bureh mazhab pe laanat kijiye

Zaalimo! Mahboob ka haqq tha yehi


Ishq ke badle adaawat kijiye

Ghaus-e-Azam aap se faryaad he


Zinda phir ye paak Millat kijiye

Mere Aaqa Hazrat Ach?che Mia


Ho Raza Ac?cha wo Soorat kijiye

E - E SHAHENSHAH-E-MADINAH, ASSALATU WASSALAAM

E Shahenshah-e-Madinah, Assalatu Wassalaam


Zeenat-e-Arshe Mu'alla, Assalatu Wassalaam

‘Rabbi habli Ummati’ kehte huwe peda huwe


Rabb ne farmaya ke bakhsha, Assalatu Wassalaam

E Shahenshah-e-Madinah, Assalatu Wassalaam


Zeenat-e-Arshe Mu'alla, Assalatu Wassalaam

Sar jhuka karr ba-adab ishqe Rasulallah mein,


Kehh raha hein harr sitaara Assalatu Wassalaam

E Shahenshah-e-Madinah, Assalatu Wassalaam


Zeenat-e-Arshe Mu'alla, Assalatu Wassalaam

Mu'mino parte raho tum apne Aaqa par durood


Hein farishto ka wazifa, Assalatu Wassalaam

E Shahenshah-e-Madinah, Assalatu Wassalaam


Zeenat-e-Arshe Mu'alla, Assalatu Wassalaam

Mein woh Sunni hu jamil-e Qadri marne ke baad


Mera laasha bhi kahe ga Assalatu Wassalaam

E Shahenshah-e-Madinah, Assalatu Wassalaam


Zeenat-e-Arshe Mu'alla, Assalatu Wassalaam

Jab farishte qabr mein jalwa dhikhaaye Aap ka


Ho zabaan par pyaare Aaqa, Assalatu Wassalaam,

E Shahenshah-e-Madinah, Assalatu Wassalaam


Zeenat-e-Arshe Mu'alla, Assalatu Wassalaam

EI MOT TEHR JA MEIN MADINE TE JA LAWAAN

Ei mot tehr ja mein madine te ja lawaan


Sutta hoya naseeb te mein apna jagaa lawaan

Mahbub da o gunbad-e-khazra te wekhh lawaan


Sarkar di gali de nazare te pa lawaan

Lage nain mustafa de qadam jiss zameen te


Ik waari oas khaak nun seene te la lawaan

Sunya ai ghareeb di sunde o zaariyaan


Mein wi te apne gham di kahaani sunaa lawaan

Ji bhar ke ro lawaan dar-e-aqdas de saamne


Akhiyaan nun guftgu da qareena sikhaa lawaan

Aawe je fer mot te aawe hazaar baar


Azam je zindagi di eyh hasrat mittaa lawaan

EID-E-NABVI KA ZAMANAH AA GAYA
lab peh khushiyon ka tharana aa gaya

har sitarey ko mili hai roshani


har kali ko muskurana aa gaya

har tharaf Salle ala ki dhoom hai


wajd mein sara zamana aa gaya

parcham deen Muhammad ho buland


kafir ko gardan jukana aa gaya

kyun na ho qismat key maron


paas rehmat ka khazana aa gaya

Aaj chamkado dar-o-deewar ko


aashiqon ka din suhana aa gaya

Shaad hunton peh hai naat Mustafa


haath bakhshish ka bahanah aa gaya

F - FALAK KE NAZARO ZAMEEN KI BAHARO,

Falak ke nazaro zameen ki baharo,

Sab Eid manao Huzoor agaye hein.

Huzoor agaye hein, Huzoor agaye hein,

Huzoor agaye hein, Huzoor agaye hein.

Uttho be karao, chalo be saharo,

khabar ye sunao Huzoor agaye hein.

Huzoor agaye hein, Huzoor agaye hein,

Huzoor agaye hein, Huzoor agaye hein.

Anokha niraala woh zee shaan ayaa,

Woh sare Rasulon ka Sultan ayaa,

Areh baadshaho areh kaj kula’ho,

Nigahe jhukao Huzoor agaye hein.

Huzoor agaye hein, Huzoor agaye hein,

Huzoor agaye hein, Huzoor agaye hein.

Sama he sana e Habeeb e Khuda ka,

Yeh Milad he Sarware Ambiya ka,

Nabi ke ghadao, sab ek dusre ko,

Mubarak ye sunao, Huzoor agaye hein.

Huzoor agaye hein, Huzoor agaye hein,

Huzoor agaye hein, Huzoor agaye hein.

Huwaa char su Rahmaton ka ba’sayra,

Ujaala ujaala, sawera sawera,

Halima ko pohnchi khabar Aminah ki,

Mere ghar mein khair ul wara agaye hein.

Huzoor agaye hein, Huzoor agaye hein,

Huzoor agaye hein, Huzoor agaye hein.

Kahaan mein Zahuri, kahaan unki baatein,

Karam hi karam hein, ye din aur raatein,

Jahaan pe bhi jaao, dilon ko jagao,

Yah kehte hi jaao, Huzoor agaye hein.

Huzoor agaye hein, Huzoor agaye hein,

Huzoor agaye hein, Huzoor agaye hein.

Hawa-o mein jazbaat hein Marhaba ke,

Fiza-o mein naghmaat Salle Alla ke,

Duroodon ke gajre salaamon ke tohfe,

Ghulamo sajaao, Huzoor agaye hein.

Huzoor agaye hein, Huzoor agaye hein,

Huzoor agaye hein, Huzoor agaye hein.

Faslon ko takalluf hai ham se agar,


Faslon ko takalluf hai ham se agar,
ham bhi bebas nahin besahara nahi,
Khud unhi ko pukarenge ham door se
Raaste mein agar paaon tak jayenge

Ham Madine mein tanha nikal jayenge


Aur galiyon mein kus dun batak jayenge
Ham wahan jaake waapas nahin ayenge

Doondte doondte log tak jayenge

Jaise hi Sabz Gumbad nazar ayega
Bandagi ka kareena badal jaye ga  

Sar juka ne ki fursat mile gi kisey


Khud hi palkon se sajde tapak jayenge  

Naame Aaqa jahan bhi liya jayega


Zikr unka jahaan bhi kiya jayega  

Noor hi noor seeno mein bhar jayega


Sari mehfil mein jalwe lapak jayege  

Eh Madine ke zahi Khuda ke liye


Daastaan ne safar mujko yumad suna  

Baat bhar jayegi dil tarap jayega


Mere mohtat aasu chalak jayege  

Unki chashme karam ko hai iski khabar


Kis musaafir ko hai kitna shawke safar  

Ham ko Iqbal jab bhi ijazat mili,


Ham bhi Aaqa ke darbar tak jayegene  

Faslon ko takalluf hai ham se agar,


ham bhi bebas nahin besahara nahi,
Khud unhi ko pukarenge ham door se
Raaste mein agar paaon tak jayenge

G

GUNAAHON KI AADAT CHURA MERE MAWLA

Gunaahon ki aadat chura mere Mawla,

Mujhe naik insaan bana mere Mawla.

Jo tujhko, jo tere Nabi ko pasand hai,

Mujhe aisa banda bana mere Mawla,

Mujhe naik insaan bana mere Mawla.

Tu masjood mera, mein sajid huun tera,

Tu Malik mein banda tera mere Mawla,

Mujhe naik insaan bana meray mula.

Tu le ga agar adl se kaam apne,

Mein huun mustahiq naar ka mere Mawla.

Jo rehmat teri shaamil-e-haal ho to,

Mawla, Mawla, Mawla, Mawla,

Thikana hai Jannat mera mere Mawla.

Tujhe to khabar hai mein kitna bura huun,

Tu aibon ko mere chupa mere Mawla,

Mujhe naik insaan bana mere Mawla.

Meri ta-qiamat jo naslein ho Ya Rabb,

Hon sab Aashiq-e-Mustafa mere Mawla,

Mujhe naik insaan bana mere Mawla.

Na muhtaj kar tu, jahan mein kisi ka,

Mujhe muflisi se bacha mere Mawla.

Hain Kaabe pe nazrein Ubaid-e-Raza ki,

Ho maqbool har ek dua mere Mawla.

Mujhe naik insaan bana mere Mawla.

H – HABEEB-E-KHUDA KA NAZARA KAROON MEIN


Yüklə 0,69 Mb.

Dostları ilə paylaş:
1   2   3   4   5   6   7   8   9   ...   12




Verilənlər bazası müəlliflik hüququ ilə müdafiə olunur ©muhaz.org 2024
rəhbərliyinə müraciət

gir | qeydiyyatdan keç
    Ana səhifə


yükləyin