Dil-O-Jaan Unn Per Nisara Karoon Mein
Teri Kafsh-E-Paa Yoon Sanwara Karoon Mein
Ke Palkon Se Uss Ko Bohara Karoon Mein
Khudara Ab Aao Ke Dum Hai Labbon Per
Dum-E-Waapsi Tou Nazara Karoon Mein
Teray Naam Per Sar Ko Qurbaan Karke
Tere Sar Se Sadqay Utara Karoon Mein
Ye Ek Jaan Kia Hai Agar Ho Karoron
Tere Naam Per Sab Ko Waara Karoon Mein
Mera Deen-O-Imaan Farishtay Jou Poochein
Tumhari Hee Jaanib Ishara Karoon Mein
Khuda Khayr Se Laaye Woh Din Bhi Noori
Madinay Ki Galiyyan Bohara Karoon Mein
HALIMA MENU NAAL RAKHLAI
saaf kara gi main bakriah da vara
halima menu naal rakhlai
inna bakrian nu pavan gi main chara
halima menu naal rakhlai
saaf kara gi main bakriah da vara
halima menu naal rakhlai
teri inna bakria da dood vi main chova
bardhey vi main macha gi te kapreh vi tova
tera lippa gi main kakkha vala taran
halima menu naal rakhlai
saaf karah gi main bakriah da vara
halima menu naal rakhlai
chula vi main bala gi roti vi bakava gi
amina dey da main cullla vi chulava gi
mera chamkey naseeba vala tara
halima menu naal rakhlai
HAM BHI MADINE JAYENGE
Salle ala Nabi ye na salle ala Muhammadin
Salle ala Shafi ye na salle ala Muhammadin
Ham bhi Madine jayenge aaj nahi to kal sahi
Aaqa humein bulayenge aaj nahi to kal sahi
Galiyon mein ghuum ghuum kar khaake Madinah chuum kar
Nazron se ham lagayenge aaj nahi to kal sahi
Galiyon mein jhuum jhuum kar khaakhe Madinah chuum kar
Naat-e-Nabi sunayenge aaj nahi to kal sahi
Dekha jo Unko baanethe mein ne bhi bar ke shawk se
Daste ataa ke samne daste talab barha diya
Aamade Mustafa huwi roshan zamaana ho gaya
Jin ke Huzoor ho gaye unka zamaana ho gaya
Haal dil sunayenge aaj nahi to kal sahi
Bighri apni banayenge aaj nahi to kal sahi
Salle ala Nabi ye na salle ala Muhammadin
Salle ala Shafi ye na salle ala Muhammadin
HAR WAQT TASAWWUR MEIN MADINE KI GALI HO
Har waqt Tasawwur mein Madine ki gali ho
Aur yaad Muhammad ki mere dil mein basi ho
Do soz Bilal Aqa mile dard Raza sa
Sarkaar ata ishq Owais-e-Qarni ho
Ai kaash! Mein banjaoon Madine ka musaafir
Phir roti huwi Taiba ko baraat chali ho
Phir Rehmat-e-Bari se chaluu Su-e-Madinah
Ai kaash! Muqaddar se mayassar woh ghadi ho
Jab aaon Madine me to har chaak girebaan
Aankhaon se barasti huwi ashkon ki jhari ho
Ai kaash! Madine mein mujhe mawt yuu aajaye
Qadmon mein tere sar ho meri ruuh chali ho
Jab leke chalo gharibaan ko Janaza
Kuch khaak Madine ki mere munh pe saji ho
Jis waqt nakeere meri qabr mein aayen
Us waqt mere lab pe saji Naat-e-Nabi ho
Aqa ka ghada hun e jahannam tu bhi sunle
Woh kaise jale jo ke Ghulam-e-Madani ho
Sadqa mere Murshid ka karoon duur balayen
Pura mera Sarkaar har armaan dili ho
Allah ki rehmat se to jannat hi milegi
Ai kaash! Mahille me jagah unke mili ho
Mehfooz sada rakhna Shaha be adbon se
Aur mujhse bhi sarzor kabhi be adbi ho
Attar hamara he sare hashr ai kaash!
Daste Shaha batha se yehi chitthi mili ho
HO KARAM SARKAR AB TOU HO GAYE GHUM BESHUMAAR
Jaan-O-Dil Tum Par Fida Ae Do Jahan Ke Taajdar
Mein Akela Aur Masail Zindagi Ke Beshumaar
Aap Hee Kuch Kijiye Na Ae Shah-e-Aali Waqaar
Yaad Aata Hai Tawaaf-e-Khana-e-Ka'aba Mujhe
Aur Lipatna Multazim Se Waalihana Baar Baar
Sung-e-Aswad Choom Kar Milta Mujhe Kaif-O-Suroor
Chayn Paata Dekh Kar Dil Mustajab-O-Mustajab
Gumbad-e-Khizra Ke Jalway Aur Woh Iftariyan
Yaad Aati Hain Bohot Ramzan-e-Taiba Ki Bahaar
Ya RasoolAllah Sunn Lejiye Meri Faryad Ko
Kon Hai Jou Keh Sunnay Tere Siwaa Meri Pukaar
Ghum Zadaa Yoon Na Huwa Hota Ubaid-e-Qadri
Iss Baras Bhi Dekhta Gar Sabz Gumbad Ki Bahar
HUM KO BULANA YA RASULALLAH
Hum ko bulana Ya Habiballah
Kabhi to sabz gumbad ka ujaala hum bhi dekhenge
Hum-e bulwayenge aaqa Madinah hum bhi dekhenge
Dharak uthe ga dil ya dharakna bhool jayega
Dil-e-bismil ka uss dar per tamasha hum bhi dekhenge
Adab se haath baandhe unke roze par khare hoonge
Sunehri jaliyon ka youn nazara hum bhi dekhenge
Barasti gumbad-e-khizra se takrati huwi bundhe
Wahan par shan se baarish barasna hum bhi dekhenge
Dar-e-dawlat se lawtaya nahin jaata koi khaali
Wahan khayrat ka batna khudaya hum bhi dekhenge
Guzare raat din apne issi umeed par humne
Kissi din to jamal-e-ru e zeba hum bhi dekhenge
Dum-e-rukhsat qadam man bharke hain mehsoos karte he
Kisse he jaake lawt aane ka yaara hum bhi dekhenge
Pohonch jayenge jiss din e ujaagar unke qadmon me
Kisse kehte hain jannat ka nazara hum bhi dekhenge
HUZOOR JAANTE HAIN.
Jo ho chuka hai jo hoga, huzoor jante hain,
Teri aata say Khudaya, huzoor jaante hain.
Khuda ko dekha nahin aur eik maan liya,
Ke jantay thay sahaba, huzoor jantay hein.
Munafiqoon ka aqeeda woh gaibdaan nahin,
Aur sahabiyoon ka aqeeda, huzoor jantay hain.
Aie ilm e ghaib kay munkir Khuda ko dekha hai?
Aur tujhay bhi kehna padega, huzoor jante hain.
Khabar bhi hai? ke khabar sabki hai unhein kab say,
Ke jab na ab tha na kab tha, huzoor jante hain.
Kai unke haath mein kya kya tujhe khabar na mujhe,
Khuda nay kitna nawaza, huzoor jante hain.
Woh mominoon ki to janoon say bhi kareeb huye,
Kahan say kisnay pukara, huzoor jante hain.
Isiliye to sulaya hai apne pehlu mein,
Ke yaar e ghar ka rutba, huzoor jante hain.
Umar nay tan say juda kar diya tha sar jis ka,
Woh apna hai ke paraya, huzoor jante hain.
Nabi ka faisla na maan kar woh jaan say gaya,
Mizaaj Umar ka hai kaisa, huzoor jante hain.
Wohi hai paikar e sharm o haiya o zul nuraian,
Maqaam unki haya ka, huzoor jante hain.
Hain jiske moula huzoor uske hain Ali moula,
Abu Turab ka rutba, huzoor jante hain.
Yeh khud shaheed hain, betay nawasay potay shaheed,
Ali ki shaan e yagana, huzoor jante hain.
Main unki baat karoon yeh nahin meri auqaat,
Ke shaan e Fatma Zahra, huzoor jante hain.
Jina mein kaun hain sardaar nojawanoon kay,
Hasan, Hussain ke nana, huzoor jante hain.
Malaika ne kiya youn to sajda Adam ko,
Dar asal kis ko tha sajda, huzoor jante hain.
Kahan marein gay Abu Jahal o Utba o Sheiba,
Ke Jang e Badr ka naqsha, huzoor jante hain.
Woh kitna fasla tha, aur kalaam tha kaisa,
Aao adna aur ma aaoha, huzoor jante hain.
Milay thay rah mein 9 bar kis liye Musa,
Yeh deed e haq ka bahana, huzoor jante hain.
Main chup khara houn Mawaja pay sar jhukaye huye,
Sunaoon kaise fasana, huzoor jante hain.
Chupa rahe hai lagatar mere aiyboon ko,
Main kis qadar houn kameena, huzoor jante hain.
Khuda hi jaanay UBAID unko hai pata kiya kiya,
Hamein pata hai bus itna, huzoor jante hain.
Nahi hai zaad e safar pass jin ghulamoon ke,
Unhein bhi dar pe bulana, huzoor jante hain.
Haran ne oonth ne chiryoon ne ki yehi faryaad,
Ke unkay gham ka madawa, huzoor jante hain.
Teri aata say Khudaya, huzoor jaante hain.
Nahi hai zaad e safar pass jin ghulamoon ke,
Unhein bhi dar pe bulana, huzoor jante hain.
Teri aata se Khudaya, huzoor jaante hain.
Main unki baat karoun yeh nahin meri auqaat,
Ke shaan e Fatma Zahra, huzoor jante hain.
Teri aata se Khudaya, huzoor jaante hain.
HAWA KI KHUSBOO BATA RAHI HAY
Hawa ki khusboo bata rahi hay, Woh zulf apni sajaa rahay hain
Sawaari Tayba say chal parri hay, Huzuur tashreef laa rahay hain
Aur kahee pay mehfil hay mehkashou ki, kahee pay mehfil hay dil jallou ki
Ye kitnay khushbakht hain jo apnay Nabi ki mehfil saja rahay hain
Na paas bhi ho tou suuna saawan, Woh jis pay raazi wohi suhaagan
Jinhou nay pakra Nabi ka daaman, Unhi kay ghar jagmagaa rahay hain
Habeeb-e-daawar ghareeb parwar Rasool-e-Akram karam kay payker
Kissi ko der pay bula rahay hain, kissi kay khawaab may aa rahay hain
May apnay Khair-ul-waraa kay sadqay, May Unki shaan-e-ata kay sadqay
Bhara hay aybou say meray daaman, Huzuur phir bhi nibha rahay hain
Bannay ga jaanay ka phir bahaana, kahay ga aaker koi dewaana
Challo Niyaazi challay Madinay, Madinay Waalay bula rahay hain
HUSNAIN KHALID HUSNAIN
Ajeeb faiz hai x2
aka theiri muhabbat kaa
darood paray aap parr
Aur hudd sawar jaye
(Darood shareef)
roshni sab ke garr hogayi x2
baravi ki sahar hogayi x4
roshni sab ke garr hogahi x2
baravi ki sahar hogayi x2
mera dil bi hira hogaya x4
aap ki jab nazar hogahi x3
dar zameen parr kadm pargaye x2 , vo bi zaro se zar hogahi x2
sabka qibla udar bangaya x4 , theri khwahish jidar hogahi
sabka qibla udar bangaya x2, theri khwahish jidar hogahi x2
baravi ki sahar hogayi x2
HAJRE ASWAT NU KISE SAWAAL KITHA
Hajre aswat nu kise sawaal kitha x2
Tharay rang q ena kala aaa
theray andar kehri hoobi aaa
Thenu harr kohi chuman wala aaa x2
Thay hajre aswat ne mor jawaab ditaa
meri shaan vi kini alaa eh X2
menu sari duniya thaa chumdi
q keh menu chum gaya sono mustafa aaa x2
menu chum gaya kamli wala aaa x2
thay mehfil naat wich betan walaiya tho
allah paak ne karam kamaye hoye ne
apna kohi kamal nahi rab di so, meray pir ne rang charaye hoye ne x2
thay jinay aye ne aap di basm andar
lajpala de saray bolaye hoye nay
enj lagda menu faizan kamli walay thashreef leyan hovay
kamli walay thashreef leyan hovay
kari muri ki karri nu vekna eh
dho kariya hazoor de naa karr daiii
theri zindagi da batan hath oday
pavay tha karday pavay taa karday
aur thenu wasdaa aliiiiiii
ali ali ali
aur thenu wasdaa aliiiiiii day bachaya da
is mehfil thay rehmat di chaa karday
rab akaya baqsha ga sab ummat kamli walaiya nikki ji ha karday
HUI UMEEDEIN BAARAWAR MADINA AANAY WALA HAI
Jhuka Lou Ab Adab Se Sar Madina Aanay Wala Hai
Piladay Saqia Saaghar Madina Aanay Wala Hai
Ata Ab Kaif-o-Masti Kar Madina Aanay Wala Hai
Parho Ae Zairo Durood Unn Per Salaam Unn Per
Lutao Ashk Ke Gohar Madina Aanay Wala Hai
Teher Jaa Rooh-e-Muztar Tu Nikal Jaana Madinay Mein
Khudara Ab Na Jaldi Kar Madina Aanay Wala Hai
Meri Ho Aarzoo Poori Mujhe Miljaye Manzoori
Baqi’-e-Pak Ki Sarwar Madina Aanay Wala Hai
Waseela Chaar Yaaron Ka Uhud Ke Jaa Nisaron Ka
Dekhadou Ek Jhalak Dilbar Madina Aanay Wala Hai
Utho Attar Ab Utho Zara Woh Ghaur Se Dekho
Hai Chaaya Noor Har Shay Per Madina Aanay Wala Hai
I - IMDAD KUN, IMDAD KUN
Chorus: Imdad kun, imdad kun,
Azaranj wa gham azad kun,
dar deeno dunya shaad kun (x2)
ya Ghaus ul azam dastagheer (x2)
Imdad kun Imdad kun, imdad kun,
Piro ke aap pir hai ya Ghaus al madad (x4)
Ahle saffa ke meer hai ya Ghaus al madad
Chorus
Ranjo alam rangir hai ya Ghaus al madad (x4)
Hum aaj ko wasir hai ya ghaus al madad-
Chorus
Hum kaise jee rahe hai ke tum se kya kahe
Hum hai alaml neer hai ya Ghaus al madad
Teer nazar se peyr hai saare alam ke pir (x2)
Kya yeh alam ke deer hai ya Ghaus al madad
Chorus
Kis dil se ho bayaan beydaade zaalimaa (x2)
Z aalim bare shareer hai ya Ghaus al madad (x2)
Ikhfa shararashar y a Ghaus al amar (x2)
Shar ke sharar khatir hai ya Ghaus al mada
Chorus
Tere hi haat laaj hai ya Pir e dastagheer (x2)
Hum to tujh se dastagheer hai ya Ghaus al madad (x2)
Sadqah rasul paak ka joli me daal do (x2)
Hum Qadri fakir hai ya Ghaus al madad
Chorus
Ahle saffa ne paayi tum se rahe safaa (x2)
Sab tum se mustaghir hai ya Ghaus al madad(x2)
Dil ki sunaaye akhdar dil ki zabaan mai(x2)
Kehte hai yai behtarir hai ya Ghaus al madad
Chorus
ISHQ KE RANG ME RANG JAO MERE YAAR
Ishq ke rang me rang jaein jab afkaar to khulte hein ghulaamon pe wo asraar ke rehte hein wo tawseef sanaae shahe abraar me har lehzaa Guhar baar
Warna Wo Sayyade Aale Nasabi han Wohi Ummi Laquabi Hashmi o Motalabi o Arabi o Farashi o Madani aur kahan hamse gunahgaar
Ishq ke rang me rang jao mere yaar
Aarzoo ye he ke ho qualb muattar wo mutahhar wo munawwar wo mujalla wo musaffa durehaalaa jo nazar aae kahin jalwaae roue shahe abraar
Jin ke qadmon ki chamak chaand sitaaron me nazar aae jidhar se wo guzar jaae wohi raah chamak jae damak jae mahak jae bane rawnaque gulzaar
Ishq ke rang me rang jao mere yaar
Soung loun khushbue geisoue Muhammad wo siya zulf nahin jis ke muquaabil ye banafsha ye suyunti ye chambeli ye gule laalaa o champaa ka nikhaar
Jis ki nakhat pe hein qurbaan gulo bargo saman naafaae aahoue khutan bade chaman buwe chaman naaze chaman noure chaman range chaman saaraa chaman zaar
Ishq ke rang me rang jao mere yaar
Ik shahanshah ne bakhshe jo samarkand o bukhaaraa kissi mahboub ke rukhsaar ke til par magar eh Sayyade Aali teri namos teri azmat par
Eh Rassoule Madani eik nahin laakhon hein qurbaan gahe ishq ke har kuchao bazaar me sar apnaa hatheli pe liye phirte hein karne ko nisaar
Ishq ke rang me rang jao mere yaar
Aap ke zikr me hein dam masaalaa sare huda kawne arab naghma nigaaraane ajam shawkate alfaaz adab azmate kirtaas o qalam baate sabaa mohje naseen
Dahne bulbule shiri lahane umriyo toti shafe mahtaab sitaare malak o hour jinaa jin ki nawahon me duroodon ka hisaar
Ishq ke rang me rang jao mere yaar
Warafahnaa lakazikrak ki iss aayaa e tawseef ki tawseef me tafseer me tashreekh me tawzikh me tanween me har ehd ki shaamil he zabaan.
Labe Hassan o Ravaahaa wo labe Fatemah Zahraa wo Ali aabide bimaarBusairi dahane ourtiyo jaame labe sahti o razaa sab sar shaar
Ishq ke rang me rang jao mere yaar
Ishq ke rang me rang jaae muhajir ho ke pakhtoun balonchi ho ke punjabi o sindhi kissi khitte ki kabile ki zaban isse nahin koyi sarokaar
Jaamae ishqe Mohammad jo pehenletaa he har haar ko wo phool banaa letaa he dunyaa ko jhukaaletaa he kartaa he zamaane ko muhabbat ka shikaar
Ishq ke rang me rang jao mere yaar
Ye muhaajir ki he saf aur ye punjaabi ki pakhtoun ki sindhi ki balonchi ki juda par ke dikhao to kissi shehr ki masjid me kabhi eisi namaz
Harame kaabaa me arafaat ke maidaan me ya Rawza-e-Sarkaar pe kyun shaane milaate wahan karte nahin rang ka aur nasl katum apni shoumaar
Ishq ke rang me rang jao mere yaar
Yaa Nabi ! Aap ka ye adbi sanaakhwane dare rahmat ka gada detaa he dar dar ye sadaa detaa he Aap se chaahat ka salaa apni zaban me taasir
Soun ke sab ahle chaman ous ka sukhan oun ko bhi aajaae hayaa sar ho nidaamat se jhukaa aur nazar dekhe wo islaaf ki oulfat ka nazaaraa eik baar
Ishq ke rang me rang jao mere yaar
Eh Aadeeb! Ab youn hi alfaaz ke ambaar me ham doubte reh jaein magar haqqe sanaa goyi adaa phir bhi naa kar paein ye jazbaat o zabaan o kalam o fikr o khayaal
Oun ki midhat to Malaaik ka wazifaa he Sahaaba ka tariqaa heibaadat ka saleeqaa he ye khaaliq ka pasandeeda he Quraan ka he iss me shyaar
Ishq ke rang me rang jao mere yaar
J - JAB MASJID-E-NABAWI KE MINAAR NAZAR AYE
by Janab Muhammed Ali Zuhoori
Jab Masjid-e-Nabawi ke Minaar nazar aye
Allah ki Rahmat ke asaar nazar aye
Manzar ho bayah kayse alfaaz nahi milthi
Jis waqt Muhammad ka Darbaar nazar aye
Bas yaad rahe itna seene se lagi Jaali
Phir yaad nahi kya kya Anwaar nazar aye
Dukh dard ke maaro ko gham yaad nahi rehte
Jab saamene ankho ke ghamkwaar nazar aye
Makke ki fizaawoh me Taybah ki hawawo me
Ham ne tho jidhar dekha Sarkaar nazar aye
Chor aya Zuhoori me dil jaan Madine me
Ab jinah yaha mujh ko dushwaar nazar aye
JANNAT MEIN LAY KAR JAEY GHI CHAHAT RASOOL KI
Kyun kar na meray dil mein ho Ulfat Rasool ki
Jannat mein lay kay jaey Ghi Chahat Rasool ki
Chalta hoon mein be Qafelay walo ruko zara
Milnay do bus mujhay be Ijazat Rasool ki
Phochay Jo Din-o-Iman Nakerain Qabr mein
Us waqt meray lab pay ho Midhat Rasool ki
Tarpa kay un kay Qadmo mein mujh ko Gira day Shok
Jis waqt ho lahad mein Ziyarat Rasool ki
Sarkar nay bula kay Madina dikha dia
Ho ghi mujhay naseeb Safa"at Rasool ki
Ya Rab dikha day Aaj ki Shab Jalwaey Habib
Ik bar to Aata ho Ziyarat Rasool ki
Damen mein un kay lay lo pannah Aaj munkiro
Mahengi paray ghi warna Adawat Rasool ki
To hai Ghulam Un ka Ubaid-e-Raza teray
Mahshar mein ho ghi saath Himayat Rasool ki
Kyun kar na meray dil mein ho Ulfat Rasool ki
Jannat mein lay kay jaey Ghi Chahat Rasool ki
JASHNE AAMAD E RASUL, ALLAHI ALLAH
Jashne Aamad e Rasul, Allahi Allah
Bibi Aaminah ke phool, Allahi Allah
Noor ki tann gayee chaadrein chaarsuun
Huur-o-ghilmaan ki poori huwi aarzu
Mustafa mujtaba Shah-e-kono maqaam
Rabb ki sarkaar jab hogayi ru baru
Phir Khuda ne kaha mere mahboob tum
Ho Rasulon ke Rasul, Allahi Allah
Jashne Aamad e Rasul, Allahi Allah
Bibi Aaminah ke phool, Allahi Allah
Chehra-e-Mustafa jab dikhaya gaya
Jhukk gaye taare aur chaand sharmaa gaya
Aaminah dekh kar muskuraane lagey
Hawa Maryam bhi khushiyaan banaane lagey
Aaminah bibi sab se kehne lagey
Dua hogayi kabool, Allahi Allah
Jashne Aamad e Rasul, Allahi Allah
Bibi Aaminah ke phool, Allahi Allah
Farsh se arsh tak noor ka hai samaa
Laaye tashreef duniya mein Khairul Waraa
Aasi Ummat ki kismat savarne lagi
Baarishe rehmaton ki barasne lagi
E Haleema teri loriyon keliye
Rabb ke aagaye Rasool, Allahi Allah
Allahi Allah, Bolo Allahi Allah
Rabb ke aagaye Rasool, Allahi Allah
Jashne Aamad e Rasul, Allahi Allah
Bibi Aaminah ke phool, Allahi Allah
Boodd girey tooth kar khaaq main attak gaaey
Kufr ke phele baadal sabhi chatt gaey
Jub Rukh-e-Mustafa ki pari roshni
Ye zameenon zamaan khood main butt gaaey
Hoor-o-gilman malaik sabhi aaj hain
Zikr Ahmed main mashgool Allahi Allah
Bibi Aaminah ke phool, Allahi Allah
Jashne Aamad e Rasul, Allahi Allah
Shaadiyaane khushi ke bajaaye gaaye
Shaadi ke naghme sab ko sunaane gaaye
Har taraf shuurr Salle Ala hogaya
Aaj peda Habib-e-Khuda hogaya
Phir to Jibreel ne bhi ye elaan kiya
Ye Khudaa ke hein Rasul, Allahi Allah
Bibi Aaminah ke phool, Allahi Allah
Allahi Allah bolo Allahi Allah
Jashne Aamad e Rasul, Allahi Allah
Chehra Quraan ki tafseer hai
Noor hi noor hai Haq ki tasveer hai
Mussaf-e-Mustafa ke ujaalon ke rung
Rehmaton se saji ek tasveer hai
Jaane kawnain jo hai Shafiul Waraa
Aise pyaare hein Rasul, Allahi Allah
Jashne Aamad e Rasul, Allahi Allah
Bibi Aaminah ke phool, Allahi Allah
JITNA DIYA SARKAAR NEH
Jitna diya Sarkaar neh mujh ko, utnii merii okat naheen
Yeh toh karaam hai inka warnaa, mujh meh toh esii baat naheen
Tuh bhi wahi par jake jahaa par, sab kii bigaree bar'tee hai
Ij terii takdeer banana, inke liye kuch baat naheen
Joh hai merii jaan-o-imaa, kya meh unki nazar karun
Paas meray ashko keh ilawa, aur ko'ii sow'ghaat naheen
Ishq shahe bad'ha seh pehle, muflis-o-hasta haal thaa mey
Naam-e-Muhammad key mey qur'ban, ab woh meray haalat naheen
Ghaur tuh kar Sarkaar ki tujh par, kitnii haas inaayat hai
Kausar tuh hai inka sanahaan,
Tahir tuh hai inka sanahaan, yeh ma'mulee baat naheen
Jisse mil gaya Kamli Waale ka daaman,
Jisse mil gaya Kamli Waale ka daaman,
Usse do jahaan ka khazaana milaa he
Balaa baag-e-Jannat ko wo kya kare ga,
Madinah me jis ko tikaana milaa he
Kissi ko zamaane ki dawlat mili he,
Kisi ko jahaan ki hukumat mili he,
Mein apne muqaddar pe qurbaan ja-uun,
Mujhe yaar-e-ka aastana mila he
Namaaze pare jaa, azaane diye ja,
Shabo Rawz-e-sajdon pe sajde kiye ja,
Namaaze usi ki, azaan-e-usi ki,
Jisse panjtan ka garaana mila he
Jisse mil gayi unke dar ki gadayi,
Usse dawlat-e-do jahaan haath aayi,
Dar-e-Mustafa tak he jis ki rasayi,
Shafaa’at ka usko bahaana mila he
Ali se na milqar Nabi se mila hoon,
Muhammad se milqar Khuda se mila hoon,
Haqiqat to ye hein mujhe Peer e Kamil,
Tumhare mile se zamaane mila he
Zahoori kalam ki ye hi aabru he,
Ke Zikr-e-Muhammad se, ye sur-khuru he,
Muhammad ka Rawza mere rubaru he,
Duroodo ka mujko taraana mila he
Jisse mil gaya Kamli Waale ka daaman,
Usse do jahaan ka khazaana milaa he
JAB GUMBAD-E-KHIZRA PE WOH PEHLI NAZAR GAYI
Aankhon Ke Raastay Mere Dil Mein Uttar Gayi
Sar Kham Tha Lab Khamoosh Thay Aankhein Thein Ashkbaar
Ik Sa'at-e-Bedaar Thei Jou Ke Guzar Gayi
Barsi Thei Iss Qadar Ke Naha Sa Gaya Udher
Woh Barish-e-Karam Mere Daaman Ko Bhar Gayi
Taiba Se Lautna Kissi Aashiq Se Poochiye
Aisa Hai Jaisay Rooh Badan Say Guzar Gayi
Jou Keh Sakaa Na Lab Se Mili Woh Murad Bhi
Mere Sukoot Per Bhi Shaha Ki Nazar Gayi
Awaz Ubaid Teri Ba Faizan-e-Naat Hee
Seeno Mein Aashiqan Nabi Kay Utar Gayi
K - KAAK SOORAJ SE ANDEHRO KA IZALAH HOGA
By Janab Khalid Mahmood Khalid
Kaak Sooraj se andehro ka izalah hoga
Aaap aye tho mere ghar me Ujaala hoga
Hashr me hogah who Sarkaar ke Jandhe ke thale
Mere Sarkaar ka jo chahne wala hoga
Isqh-e Sarkaar ki ek Sham?ma jalaalo dil me
Baad marne ke Lehad me bhi Ujalaa hoga
Jab bhi maangho to Waseele se in?hi ke maangho
Is Waseele se Karam aur do baala hoga
Hashr me is ko bhi seene se lagaa?yenge
Huzoor Jis Ghuneghaar ko har ekh ne taala hoga
Mahe Tayba ki Tajalli bhi niraali hogee
Aap ke gard bhi Ashaab ka Haala hoga
Silah Naat Nabi Paayega jis din Khalid
Who karam dekhna tum dekhne walaa hoga
Dostları ilə paylaş: |