Nabi-O-Aal-E-Nabi Per Salaam Ho Mera
Nabi-O-Aal-E-Nabi Per Salaam Ho Mera
Ghulaam Kehta Hai Aaqa Tumhe Salaam Salaam
Aey Meray Malik-O-Maula Tumhe Salaam Salaam
Nabi-O-Aal-E-Nabi Per Salaam Ho Mera
Nabi-O-Aal-E-Nabi Per Salaam Ho Mera
Sallim A’la Nabiyena
Khuda-E-Pak Ne Bheja Tumhe Salaam Salaam
Huzoor Arf’a-O-A’la Tumhe Salaam Salaam
Nabi-O-Aal-E-Nabi Per Salaam Ho Mera
Nabi-O-Aal-E-Nabi Per Salaam Ho Mera
Sallim A’la Nabiyena
Tumhi Ho Fatima Zahra Ke Walid-E-Maajid
Hassan Hussain Ke Nana Tumhe Salaam Salaam
Nabi-O-Aal-E-Nabi Per Salaam Ho Mera
Nabi-O-Aal-E-Nabi Per Salaam Ho Mera
Sallim A’la Nabiyena
Ali Tumhari Wilayat Pe Jaan-O-Dil Qurbaan
Tumhi Imam-E-Zamana Tumhe Salaam Salaam
Nabi-O-Aal-E-Nabi Per Salaam Ho Mera
Nabi-O-Aal-E-Nabi Per Salaam Ho Mera
Sallim A’la Nabiyena
Shaheed Hokay Kia Deen Ko Sukhru Tumne
Hussain Ishq Mein Dooba Tumhe Salaam Salaam
Nabi-O-Aal-E-Nabi Per Salaam Ho Mera
Nabi-O-Aal-E-Nabi Per Salaam Ho Mera
Sallim A’la Nabiyena
Durood Tumpe Samandar Ke Jhaag Jitnay Hain
Durood Tumpe Falak Ke Sitaray Jitnay Hain
Durood Tumpe Ke Barish Ke Qatray Jitnay Hain
Durood Tumpe Ke Jitnay Hain Rayt Ke Zarray
Salaam Aey Mere Aaqa Tumhe Salaam Salaam
Nabi-O-Aal-E-Nabi Per Salaam Ho Mera
Nabi-O-Aal-E-Nabi Per Salaam Ho Mera
Sallim A’la Nabiyena
Dukhon Mein Tumne Ujagar Ko Raahatein Dei Hain
Tumhi Se Isska Guzara Tumhe Salaam Salaam
Nabi-O-Aal-E-Nabi Per Salaam Ho Mera
Nabi-O-Aal-E-Nabi Per Salaam Ho Mera
Sallim A’la Nabiyena
Sallim A’la Nabiyena
Wa A’la Aal-E-Nabiyena
NAAT E SARKAR KI PARTA HU MEIN
Naat e Sarkar ki parta hu mein
Bas issi baat se ghar mein meri rahmat hogi
Ik tera naam waseela he mera
Ranj o gham me bhi isi naam se rahat hogi
Ye suna he ka bahot ghor andheri hogi
Qabr ka khawf na rakna e dil
Waha Sarkar e Do Alam ki ziyarat hogi
Hashr ka din bhi ajab dekne vala hoga
Zulf lehra ke wo jab ayenge
Phir qiyamat mein bhi ik aur qiyamat hogi
Unko Mukhtar banaya hey mere Mola ne
Khuld mein bas wahi ja sakta hein
Jisko Hasnain ke Baba ki ijazat hogi
Mera daman to gunaho sey bhara he Altaf
Ik sahara he ke mein unka hu
Issi nisbat se sar-e-Hashr shafayat hogi
Ik tera naam waseela he mera
Ranj o gham me bhi isi naam se rahat hogi
NAAT SUNTA RAHUN
Naat sunta rahun naat kehtaa rahun
Aankh par nam rahe dil machaltaa rahe
Najam naam-e-Muhammad (s.a.w) zubaan parr rahe
Zikr hotaa rahe saans chaltaa rahe
Besaharon ka koi sahara nahin
Mustafa ke siwa to guzaraa nahin
Unki chashm-e-Karam ho to kuch gham nahin
Chaahe saara zamaana badaltaa rahe
Ishq-e-Ahmad si duniya mein ni'mat nahin
Maal-o-zarr ki bhi koi haqiqat nahin
Baadshahon se behtar bhikaari hai woh
Unke darr pe jo tukron se paltaa rahe
Kya bhala aa saken zindagi ke maze
Duur reh kar Habib-e-Khuda se mujhe
Us ki haalat karun to karun kya bayaan
Har ghari dil jo furqat mein jaltaa rahe
Ye dua hai salaamat sadaa gham rahe
Taa abd raabitah unse qaaim rahe
Aatash-e-Ishq har dam bharhakti rahe
Khun rota rahun dil pigalta rahe
Mustafa ki nazar jis ghari ho gayi
Us ki taqdeer khowti khari ho gayi
Us ko tukre saara jahan bhi agar
Girrne wala magar phir sambhalta rahe
Najam ki e Khuda arzoo hai yahi
Aashiq-e-zaar ki aabru hai yahi
Aakhiri waqt sar unke qadmon pe ho
Deed hoti rahe dam nikalta rahe
NABI KA NAAM KAAFI
Meri kismat jagaane ko, Nabi ka naam kaafi he,
Hazaaron gham mitaa ne ko, Nabi ka naam kaafi he.
Ghamo ki duup ho ya phir hawaa-en tez chalti ho,
Mere iss aashiyaan ne ko, Nabi ka naam kaafi he,
Hazaaron gham mitaa ne ko, Nabi ka naam kaafi he.
Khushi ho ya koyi gham ho, Nabi ka naam leta ho,
Ke har ik gham bulaane ko, Nabi ka naam kaafi he,
Hazaaron gham mitaa ne ko, Nabi ka naam kaafi he.
Nabi ka naam leta hoon, suqoon-e-qalb milta he,
Nabi ke iss deewaane ko, Nabi ka naam kaafi he,
Hazaaron gham mitaa ne ko, Nabi ka naam kaafi he.
Jo poocha kamli waale ne, kahaa Siddiq e Akbar ne,
Mere saare gharaane ko, Nabi ka naam kaafi he,
Hazaaron gham mitaa ne ko, Nabi ka naam kaafi he.
Sulagti aag par Habshi, ke honton se sadaa aayi,
Meri bigri banaane ko, Nabi ka naam kaafi he,
Hazaaron gham mitaa ne ko, Nabi ka naam kaafi he.
Yehi kehta he Shahid bi, yehi sab log kehte he,
Ke iss saare zamaane ko, Nabi ka naam kaafi he,
Hazaaron gham mitaa ne ko, Nabi ka naam kaafi he.
Naimatain Baanta Jis Simt
Naimatain baanta jis simt woh zeeshaan gaya
Saath hi munshi e rehmat ka qalamdaan gaya
Le khabar jald ke ghairon ki taraf dhyan gaya
Mere Mawla mere Aaqa, tere qurbaan gaya
Aah woh aankh ke nakame tamanna hi rahi
He woh dil jo tere dar se, pur arman gaya
Dil he woh dil jo teri yaad se ma'moor raha
Sar woh sar jo tere qadmon pe qurbaan gaya
Unhe jana unhe mana na rakkha ghair se kaam
Lillah hil hamd mein duniya se musalman gaya
Aur tum par mere Aaqa ki inayat na sahi
Najdio Kalima parha ne ka bhi ehsaan gaya
Aaj le unki panah aaj madad maang unse
Phir na manenge Qayamat mein agar maan gaya
Jaano dil hosh o khirad sab to Madine ponche
Tum nahin chalte Raza saara to samaan gaya
Meaning(s):
Main verse: Jis Simt = Us Taraf
Line 12: Khirad = Aql
NA CHEDO ZIRK E JANNAT
Na chedo zirk e jannat ab Madinah yaad aya hai
Nabi ka sabz Gumbad dil ki aankhaon me samaya hai
Mila karti hai mooh maange muradein Unke Rauze par
Ghulamau ne Tere Dar se jo maanga hai woh paya hai
Khuda ki Sultanat ke Tum ho Dulha Ya Rasoolullah
Tumhare waaste RABB ne yeh A'alam sajaya hai
Shabe Asra Mubarak baad dee yeh hooraun ne
Muhammed ko Khuda e Pak ne Dulha banaya hai
Namazaun me Azaan me Kalmah me aur Arsh par har ja
Khuda ne naam Tera naam se apne milaya hai
Zameen ko cheerte daude huwe aae hai khidmat me
Darakhtaun ne isharah Aapka jis waqt paya hai
Tumhari zaat par kyun kar bharosa ho na alam ko
Gunah-garaun ko Tumne naar e dozakh se bachaya hai
Ijabat ne liya bosah Tumhare pyare hotaun ka
Dua ke waaste jis waqt Tum ne lab hilaya hai
Koee pur saane haal apna nahi hai Ya Rasoolullah
Jo apna hai to Tu hai aur baqi sab paraya hai
Sana e Mustafa woh bhi rawayat e sahiha se
Jameele Qadri kya khoob tere paas maya hai
NE’AMATEIN BAANT TA JIS SIMT WOH ZEESHAAN GAYA
Ne’amatein baant ta jis simt woh zeeshaan gaya
Saath hi munshiaey rehmat ka qalam daan gaya
Le khabar jald ke ghairon ki taraf dhiyaan gaya
Mere Maula mere Aqa tere qurbaan gaya
Aah woh aankh ke nakaame tamanna hi rahi
Hai woh dil jo tere dar se pur arman gaya
Dil hai woh dil jo teri yaad se ma’moor raha
Sar he woh sar jo tere Qadmon pe qurbaan gaya
Unhein jana unhein mana na rakhha ghair se kaam
Lillah Al Hamd mai duniya se Musalmaan gaya
Aur tum par mere Aqa ki Inayat na sahi
Najdiyo! Kalmah padhane ka bhi ehsaan gaya
Aaj le unki Panah aaj madad maang unse
Phir na maanege Qayamat mein agar maan gaya
Uff ray munkar yeh badha joshe ta'assub akhir
Bheed me haath se kam bakht ke Imaan gaya
Jaano dil hosh wa khirad sab to Madine pahonche
Tum nahi chalte Raza sara to samaan gaya
Pegham Saba Laye Hai Gulzar-e-Nabi Se
By Shujahat October 25, 2009
Pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se
her aah gaye arsh pe ye aah ki kismat
her ashk pe aik khuld hai her ashk ki qeemat
tohfa ye mila hai sarkar-e-nabi se
ayaa hai bulawa mujhe darbare-nabi se
darbare-nabi se
bhaati nahi humdum mujhe jannat ki jawaani
sunta nahi zahid us mein hooron ki kahani
ulfat hai mujhe sayaa-e-deewar-e-nabi se
ayaa hai bulawa mujhe darbare-nabi se
darbare-nabi se
irfan ki kasak khulq ki mai sabr ka saagar
kiya lutf mila kerta hai jo dete hein sarwar
ye pooch le aake koi beemar-e-nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se
darbar-e-nabi se
pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se
darbar-e-nabi se
pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se
darbar-e-nabi se
NOOR KI AAYI PEHLI KIRAN SAB KHUSHIYAN MANAO
Noor Ki Aayi Pehli Kiran Sab Khushiyan Manao
Khushiyan Manao Shadiyan Rachao
Khushiyan Manao Dhoomai Machao
Khushiyan Manao Jhande Lagao
Khushiyan Manao Galiyan Sajao
Noor Ki Aayi Pehli Kiran Sab Khushiyan Manao
Ya Mustafa Marhaba Marhaba
Aaye Sarkar Shahai Zaman Noor Ki Aayi Pehli Kiran
Jisse Hai Roshan Koho Daman Noor Ki Aayi Pehli Kiran
Noor Ki Aayi Pehli Kiran Sab Khushiyan Manao
Khushiyan Manao Shadiyan Rachao
Khushiyan Manao Dhoomai Machao
Khushiyan Manao Jhande Lagao
Khushiyan Manao Galiyan Sajao
Noor Ki Aayi Pehli Kiran Sab Khushiyan Manao
Ya Mustafa Marhaba Marhaba
Wo Nobuwat Ki Pehli Kiran Aaqari Roshini Marhaba
Khilq Hai Jisse Aadam Ka Taan Noor Ki Aayi Pehli Kiran
Noor Ki Aayi Pehli Kiran Sab Khushiyan Manao
Khushiyan Manao Shadiyan Rachao
Khushiyan Manao Dhoomai Machao
Khushiyan Manao Jhande Lagao
Khushiyan Manao Galiyan Sajao
Noor Ki Aayi Pehli Kiran Sab Khushiyan Manao
Ya Mustafa Marhaba Marhaba
Ae Hira Ki Muqadas Zameen Unke Sajdon Ki Tu Hai Gawa
Harf-E-Iqra Ka Gunja Sukhan Noor Ki Aayi Pehli Kiran
Noor Ki Aayi Pehli Kiran Sab Khushiyan Manao
Khushiyan Manao Shadiyan Rachao
Khushiyan Manao Dhoomai Machao
Khushiyan Manao Jhande Lagao
Khushiyan Manao Galiyan Sajao
Noor Ki Aayi Pehli Kiran Sab Khushiyan Manao
Ya Mustafa Marhaba Marhaba
Teri Izzat Rahaigi Sada Teri Rahmath Rahaigi Sada
Kehrahai Hain Ye Dashto Daman Noor Ki Aayi Pehli Kiran
Noor Ki Aayi Pehli Kiran Sab Khushiyan Manao
Khushiyan Manao Shadiyan Rachao
Khushiyan Manao Dhoomai Machao
Khushiyan Manao Jhande Lagao
Khushiyan Manao Galiyan Sajao
Noor Ki Aayi Pehli Kiran Sab Khushiyan Manao
Ya Mustafa Marhaba Marhaba
Tu Zikr Unka Karo Raat Din Yun Guzarte Maah-o-Seen
Hai Zikr Unka Jaan-E-Sukhan Noor Ki Aayi Pehli Kiran
Noor Ki Aayi Pehli Kiran Sab Khushiyan Manao
Khushiyan Manao Shadiyan Rachao
Khushiyan Manao Dhoomai Machao
Khushiyan Manao Jhande Lagao
Khushiyan Manao Galiyan Sajao
Noor Ki Aayi Pehli Kiran Sab Khushiyan Manao
Ya Mustafa Marhaba Marhaba
Tujh Se Sehra Main Barish Huwi Baduon Par Nawazish Huwi
Khil Utha Hai Arab Ka Chaman Noor Ki Aayi Pehli Kiran
Noor Ki Aayi Pehli Kiran Sab Khushiyan Manao
Khushiyan Manao Shadiyan Rachao
Khushiyan Manao Dhoomai Machao
Khushiyan Manao Jhande Lagao
Khushiyan Manao Galiyan Sajao
Noor Ki Aayi Pehli Kiran Sab Khushiyan Manao
Ya Mustafa Marhaba Marhaba
SaAate Zikr-E-Milad Main Dede Rang-E-Sana Kuch Naya
Aur Ujagar Meraj-E-Faan Noor Ki Aayi Pehli Kiran
Noor Ki Aayi Pehli Kiran Sab Khushiyan Manao
Khushiyan Manao Shadiyan Rachao
Khushiyan Manao Dhoomai Machao
Khushiyan Manao Jhande Lagao
Khushiyan Manao Galiyan Sajao
Noor Ki Aayi Pehli Kiran Sab Khushiyan Manao
Ya Mustafa Marhaba Marhaba
NAAM-E-NAAMI HAI ANMOOL NAAM-E-MUSTAFA
Lekay Jannat Ka Dar Khol Naam-E-Mustafa
Naam-E-Mustafa Bolo Naam-E-Mustafa
Aasmaano Se Utra Muhammad Ka Naam
Maula Ne Khud Hee Rakha Muhammad Ka Naam
Shehed Se Ziada Meetha Muhammad Ka Naam
Kitna Hai Pyara Pyara Muhammad Ka Naam
Muhafon Mein Bhi Aaya Muhammad Ka Naam
Lekay Kaano Mein Rus Ghol Naam-E-Mustafa
Naam-E-Mustafa Bolo Naam-E-Mustafa
Naam-E-Naami Hai Anmool Naam-E-Mustafa
Lekay Jannat Ka Dar Khol Naam-E-Mustafa
Naam-E-Mustafa Bolo Naam-E-Mustafa
Naam Bachon Ka Jisnay Muhammad Rakha
Milgayei Usko Rab Ki Taraf Se Panaah
Aur Shaf’at Ka Bhi Usko Muzhda Mila
Nisbat-E-Mustafa Se Woh Bakhsha Gaya
Uske Ghar Ka Farishton Ne Pehra Dia
Allah Allah Ye Mahol Naam-E-Mustafa
Naam-E-Mustafa Bolo Naam-E-Mustafa
Naam-E-Naami Hai Anmool Naam-E-Mustafa
Lekay Jannat Ka Dar Khol Naam-E-Mustafa
Naam-E-Mustafa Bolo Naam-E-Mustafa
NIBHALO TUM NIBHALO TUM
Nibhalo Tum Nibhalo Tum Nibhalo Ya RasoolAllah
Bulaalo Ab Madiney Mey Bulaalo Ya Rasool Allah
Satatey Hain Jo Duniya Waley Is Ka Kuch Nahi Hain Gham
Mujhey Bas Apna Keh Kar Tum Bulaalo Ya Rasool Allah
Sunehri Jaaliyon Key Saamney Pohcha Hoon Mey Aaqa
Mujhey Apni Ziyaarat Tum Karaado Ya Rasool Allah
Meyri Qismat Buree Ho To Khudara Tum Bhalee Kardo
Sanwaaro Meyri Qismat Ko Sanwaaro Ya Rasool Allah
‘Ataa Ho ‘Ilm Ki Daulat ‘Ataa Ho Deed Ki Daulat
Damey Aakhir Madinah Bhi ‘Ataa Ho Ya Rasool Allah
Shafa’at Ka Sawali Hoon Sawali Hoon Mey Rehmat Ka
Ijaabat Sey Nawaazo Tum Nawaazo Ya Rasool Allah
Mo’in-e-Raah-e-Taiba Hain Merey Khwaja Mo’inuddeen
Mo’in-e-Raah-e-Jannat Bhi Banaado Ya Rasool Allah
Tasadduq Ghaus e A’azam Ka Tawassul A’ala Hazrat Ka
Baqee-e-Paak Key Qaabil Banaado Ya Rasool Allah
Nigah-e-Mufti-e A’azam Ney Zindah Kardiya Dil Ko
Unhee Ka Saath Mehshar Mey ‘Ataa Ho Ya Rasool Allah
Tamanna Yeh Liye Jaata Hai Aaqa Shakir e Razvi
Isey Izney Madinah Phir ‘Ataa Ho Ya Rasool Allah
Tamanna e Madinah
NOORI MUKHRA TE ZULFA'AN NE KALIYAN
Noori Mukhra Te Zulfa'an ne Kaliyan
Rab Bhejda Durood'an Diyan Daaliyan
Pyaar mere Aaqa Da Seene Wich Howe
Juggi Ek Rehn Layi Madine WIch Howe
Banda Raj Raj Ke Chumme Fer Jaliyan
Rab Bhejda Durood'an Diyan Daaliyan
Noori Mukhra Te Zulfa'an ne Kaliyan
Rab Bhejda Durood'an Diyan Daaliyan
Beliya Huzoor Diyan Mehfila'n Sajaya Kar
Din Raat Sohne Te Darood Tu Pounchaya Kar
Ghar Rehn Giyan Sada Khush Haliya'n
Rab Bhejda Durood'an Diyan Daaliyan
Noori Mukhra Te Zulfa'an ne Kaliyan
Rab Bhejda Durood'an Diyan Daaliyan
Pak Qura'n Deyan Akhr'an Noon Wekh Lo
Soorta'an No Wekho Ya Ke Sattran No Wekh Lo
Jiven Aqa diyan Zulfa'an Ne Kaliya'an
Rab Bhejda Durood'an Diyan Daaliy
Noori Mukhra Te Zulfa'an ne Kaliyan
Rab Bhejda Durood'an Diyan Daaliy
Sadqa Nawasiya'an Da Sad Lo Madine Wich
Thand Paa Lawa'n Aaqa Balde Main Seene Wich
Chumma Jeunde Jeunde Roze Diyan Main Jaliya'n
Rab Bhejda Durood'an Diyan Daaliy
Noori Mukhra Te Zulfa'an ne Kaliyan
Rab Bhejda Durood'an Diyan Daaliy
O
P
PATTA PATTA BOOTA BOOTA ZIKR-E-KHUDA MEIN KHOYA
Daali Daali Ghuncha Ghuncha Zikr-E-Khuda Mein Khoya
Perbat Perbat Dharti Dharti Amber Amber Wasif
Sehra Sehra Darya Darya Zikr-E-Khuda Mein Khoya
Qarya Qarya Wadi Wadi Gulshan Gulshan Zakir
Qatra Qatra Zarra Zarra Zikr-E-Khuda Mein Khoya
Qumri Qumri Tooti Tooti Bulbul Bulbul Hamid
Chirya Meyna Har Parwana Zikr-E-Khuda Mein Khoya
Rim Jhim Rim Jhim Girti Barish Geet Ussi Ke Gaye
Chalta Darya Behta Jharna Zikr-E-Khuda Mein Khoya
Farsh-E-Zameen Tak Arsh-E-Bareen Tak Usski Qudrat Zahir
Dharti Ka Har Kona Kona Zikr-E-Khuda Mein Khoya
Sundar Sundar Dil Ke Andar Naam Ujagar Iss Ke
Meri Jaan Ka Gosha Gosha Zikr-E-Khuda Mein Khoya
PHIR DEKHADEY HARAM TERE BANDAY HAIN HUM
Hum Pe Karday Karam Tere Banday Hain Hum
Hum Gunaahgar Hain Siyaahkaar Hain
Ho Karam Dar Karam Tere Banday Hain Hum
Rooh Shadaab Ho Jism Seraab Ho
Dil Ki Dharti Ho Num Tere Banday Hain Hum
Hum Ko Izzat Bhi Dey Hum Ko Azmat Bhi Dey
Jug Mein Ho Mohtaram Tere Banday Hain Hum
Tu Hee Mushkil Kusha Karde Aasaniyaan
Rakh Hamara Bharam Tere Banday Hain Hum
Shukriya Shukriya Ae Khuda Azzawajal Shukriya
Hum Ko Teri Qasam Tere Banday Hain Hum
POOCH TE KYA HO MADINE SE
Pooch te kya ho Madine se Mai kya laya hoon
Apni aankhaun mein Madine ko basa laya hoon
Dil bhi mera hai waheen Jaan bhi meri hai waheen (to phir lekar kya aae ho)
Apne kaandhaun par apne laashay ko utha laya hoon
Jisne choome hai Qadam Sarwaray 'Alam ke
Khaak e Taibah ko mai apni palkuan pay saja laya hoon
Saya e Gumbade Khazra me ada karke namaaz
Apne sar ko mai Arsh ka hum paya bana laya hoon
Jaan o dil wahaan rakh ke amanath ki tarha
Phir wahaan janay ke asbaab bana laya hoon
PHOOLON KI TARHA MEHKE RUKHSAAR MUSTAFA KE
Kia Khoob Roshni Hai Chehra-E-Mustafa Ki
Kirno Ke Hain Zakheeray Rukhsaar Mustafa Ke
Mahtaab Jaisay Chamkay Rukhsaar Mustafa Ke
Phoolon Ki Tarha Mehke Rukhsaar Mustafa Ke
Surkh-O-Safaid Rungat Lagti Hai Pyaari Pyaari
Nazuk Hain Kaliyon Jaisay Rukhsaar Mustafa Ke
Mahtaab Jaisay Chamkay Rukhsaar Mustafa Ke
Phoolon Ki Tarha Mehke Rukhsaar Mustafa Ke
Ibn-E-Salaam Bolay Aur Ikrima Bhi Bolay
Jhootay Nahi Hain Sachay Rukhsaar Mustafa Ke
Mahtaab Jaisay Chamkay Rukhsaar Mustafa Ke
Phoolon Ki Tarha Mehke Rukhsaar Mustafa Ke
Yusuf Ka Husn Unki Khairaat Maangta Hai
Allah Ne Kia Banaye Rukhsaar Mustafa Ke
Mahtaab Jaisay Chamkay Rukhsaar Mustafa Ke
Phoolon Ki Tarha Mehke Rukhsaar Mustafa Ke
Madham Nahi Hai Manzar Har Naqsh Se Ujagar
Kuch Iss Tarha Se Chamkay Rukhsaar Mustafa Ke
Mahtaab Jaisay Chamkay Rukhsaar Mustafa Ke
Phoolon Ki Tarha Mehke Rukhsaar Mustafa Ke
POHANCHOO DARE SARKAR PE CHAHA TO YEHI HAI
Pohanchoo dare sarkar pe chaha to yehi hai,
Agay meri taqdeer tamana to yehi hai.
Ek khas mehak aane lagi mouj e hawwaa main,
Asar batatay hain Madina to yehi hai.
Hain Gumbad e Khizra kay siwa or bhi jalway
Ankhoon ke liye khas nazara to yehi hai.
Yeh unki raza hai mujhay bhayjein mujhay rokein,
Wapis main nahi aaoon ga socha to yehi hai.
Yaad unki rahe dil mein, jamal unka nazar main,
Yaad unki rahe dil mein, jamal unka nazar main,
Naam unka zaban per rahe acha to yehi hai.
Har saans say aati ho sada Salle Ala ki,
Hum lakh jiyein, asal main jina to yehi hai.
Izhar e gham e hijr ki kia shakal nikaloon,
Ronay ki bhi takat nahin rona to yehi hai.
Taiba mein ho sab kuch mere daman main hain aasein,
Duniya ka karoon kiya meri duniya to yehi hai.
Pohnchoon dar e sarkar pay chaha to yehi hai,
Agay meri taqdeer tamanaa to yehi hai.
Q
QADAM QADAM PE KHUDA KI MADAD POHANCHTI HAI
qadam qadam pe Khuda ki madad pohanchti hai
durood se mere dil ko rasad pohanchti hai
ye aasmaan bhi wahan tak nahi pohanch sakta
jahan tak aap k qadmon ki hadd pohanchti hai
sir apna paaye risalat ma’aab per rakh doon
to aasmaan pe bulandi-e-qadd pohanchti hai
juloos-e-ishq-e-nabi ka ho jis taraf se guzar
mere junoon ko bhi lay kar khirad pohanchti hai
durood ka dia jata hai jub sawab mujhe
bahisht tak meri do guz lahad pohanchti hai
salaam-o-naat muzaffar yahan mein parhta hoon
qubooliat ki haram se sanad pohanchti hai.
QADMOUN MEIN BULA LEEJIYE YA NABI MADEENAY MEIN
Qadmoun mein bula leejiye Ya Nabi Madeenay mein
Kaash mein challa jaon, aaj he Madeenay mein
Samnay jo aathi hai, muskura kay aathi hai
Ehtraam kerthi hai, mauth bhi Madeenay mein
Dosto dua ki jiye, pir mujh ko bula lein wo
Hai meri dua, jaein aap sab Madinay mein
Paijyeh Darood un par, paijyeh Salam un par
Aapni roz lagwayeh, haazri Madinay mein
Ab meri nigaon mein, har tharaf Madina hai
Meri dil ki kulthi hai, har gali Madinay mein
Is kadar barastha hai, Noor sabz ghumbad par
Raat ko bhi raithi hai, roshni Madinay mein
Qadmoun mein bula leejiye Ya Nabi Madeenay mein
Kaash mein challa jaon, aaj he Madeenay mein
QAREEB-E-MUSTAFA HE KOII KOII
Qareeb e mustafa he koii koii
Mazay yay luutt-ta he koii koii
Bashar samjha unhayn laakhon nay laykin
Haqeeqat e aashna he koii koii
Ghaneemat jaan jitni bhi mili he
Kay mekhaana khula he koii koii
Madinay pohnchtay heyn yuun to laakhon
Par, madina daykhta he koii koii
Tayray rozay ki noori jaaliyon ko
Nazar say chuumta he koii koii
Jo tuufaanon say kashti paar kar day
Niyaazi na khuda he koii koii
Dostları ilə paylaş: |