QALLAT-HEE-LATI ANTA WASEELATI ADRIKNI YA RASOOLALLAH
Adrikni Ya RasoolAllah Adrikni Ya RasoolAllah
Adrikni Ya RasoolAllah Adrikni Ya RasoolAllah
Ghatayein Gham Ki Chaayein Dil Pareshan Ya RasoolAllah
Tumhi Ab Kuch Karo Maah-E-Risalat Ya RasoolAllah
Ghatayein Gham Ki Chaayein Dil Pareshan Ya RasoolAllah
Tumhi Ho Mere Dard-O-Dukh Ka Darmaan Ya RasoolAllah
Safeenay Ke Parakhchay Urr Chukkay Hain Zor-E-Tufaan Se
Sambhalo Mein Bhi Dooba Aey Meri Jaan Ya RasoolAllah
Qallat-Hee-Lati Anta Waseelati Adrikni Ya RasoolAllah
Adrikni Ya RasoolAllah Adrikni Ya RasoolAllah
Adrikni Ya RasoolAllah Adrikni Ya RasoolAllah
Gunahoon Ki Nahi Jaatei Hai Aadat Ya RasoolAllah
Tumhi Ab Kuch Karo Maah-E-Risalat Ya RasoolAllah
Mein Bachna Chahta Hoon Haaye Phir Bhi Bach Nahi Paata
Gunahoon Ki Parri Hai Aisi A’adat Ya RasoolAllah
Qallat-Hee-Lati Anta Waseelati Adrikni Ya RasoolAllah
Adrikni Ya RasoolAllah Adrikni Ya RasoolAllah
Adrikni Ya RasoolAllah Adrikni Ya RasoolAllah
Humein Haryalay Gumbad Ke Tallay Qadmon Mein Maut Aaye
Salamat Lekay Jaayein Deen-O-Imaan Ya RasoolAllah
Mujhe Marna Hai Aaqa Gumbad-E-Khizra Ke Saaye Mein
Watan Mein Margaya Tou Kia Karoonga Ya RasoolAllah
Qallat-Hee-Lati Anta Waseelati Adrikni Ya RasoolAllah
Adrikni Ya RasoolAllah Adrikni Ya RasoolAllah
Adrikni Ya RasoolAllah Adrikni Ya RasoolAllah
Bohot Kamzoor Hoon Qabil Nahi Hargiz Azaboon Ke
Khudara Saath Letay Jaana Jannat Ya RasoolAllah
Qallat-Hee-Lati Anta Waseelati Adrikni Ya RasoolAllah
Adrikni Ya RasoolAllah Adrikni Ya RasoolAllah
Adrikni Ya RasoolAllah Adrikni Ya RasoolAllah
Yahan Jaisay Hamari A’eb Pooshi Aap Kartay Hain
Wahan Bhi Aap Rakhlejiyega Izzat Ya RasoolAllah
Mera Ye Khuwaab Hojaye Shaha Sharminda-E-Ta’beer
Madinay Mein Piyoon Jaam-E-Shahadat Ya RasoolAllah
Qallat-Hee-Lati Anta Waseelati Adrikni Ya RasoolAllah
Adrikni Ya RasoolAllah Adrikni Ya RasoolAllah
Adrikni Ya RasoolAllah Adrikni Ya RasoolAllah
Madina Meetha Meetha Hai Madina Pyara Pyara Hai
Madinay Se Mujhe Beyhud Hai Ulfat Ya RasoolAllah
Meri Har Dharkan-E-Dil Se Madinay Ki Sada Niklay
Rahay Zikr-E-Madina Lub Pe Har Dam Ya RasoolAllah
Qallat-Hee-Lati Anta Waseelati Adrikni Ya RasoolAllah
Adrikni Ya RasoolAllah Adrikni Ya RasoolAllah
Adrikni Ya RasoolAllah Adrikni Ya RasoolAllah
Shaha Attar Per Har Aan Rehmat Ki Nazar Rakhna
Karay Din Raat Buss Sunnat Ki Khidmat Ya RasoolAllah
Shaha Attar Ko Dou Gaz Madinay Mein Zameen Dejiye
Waheen Ho Dafn Tera Ye Sana Khuwaan Ya RasoolAllah
Qallat-Hee-Lati Anta Waseelati Adrikni Ya RasoolAllah
Adrikni Ya RasoolAllah Adrikni Ya RasoolAllah
Adrikni Ya RasoolAllah Adrikni Ya RasoolAllah
R - RANG LAJ JAWANGAY
Rang laj jawangay, Rang laj jawangay, Rang laj jawangay, Rang laj jawangay
Thenu rang lag javangay, meelad manaya karr thenu rang laj jawangayyyyy
meelad manaya karr thenu rang laj jawangayyyyy
Sona naam Muhammad da sadi akhiya dha chanan eh x2
Chum akiyah nu laya karr thenu rang lag jawangay x2
Rang laj jawangay, Rang laj jawangay, Rang laj jawangay, Rang laj jawangay
Thenu rang lag javangay, meelad manaya karr thenu rang laj jawangayyyyy
Sarkar dai langar wich rabb rakiya shifawa nehhh x2
Rajj rajj keh thu kaya karr thenu rang lag jawangay x2
Rang laj jawangay, Rang laj jawangay, Rang laj jawangay, Rang laj jawangay
Thenu rang lag javangay, meelad manaya karr thenu rang laj jawangayyyyy
Karbal deh qari neh char naizay the dasaya ehhhh x2
Inj rabb nu manaya karr thenu rang lag jawangay x2
Rang laj jawangay, Rang laj jawangay, Rang laj jawangay, Rang laj jawangay
Thenu rang lag javangay, meelad manaya karr thenu rang laj jawangayyyyy
Paanj tan di nisbat wich koi raaz posheeda nai x2
Naraa haidari laya karr thenu rang lag jawangay x2
Rang laj jawangay, Rang laj jawangay, Rang laj jawangay, Rang laj jawangay
Thenu rang lag javangay, meelad manaya karr thenu rang laj jawangayyyyy
Sarkar di gall manleh dil ishq de rang wich langleh x2
Mehfil wich aya karr thenu rang lag jawangay x2
Rang laj jawangay, Rang laj jawangay, Rang laj jawangay, Rang laj jawangay
Thenu rang lag javangay, meelad manaya karr thenu rang laj jawangayyyyy
RAUZAY KI DEEWAR SAY RISHTA JORR LIYA
Goya Ik Sansaar Say Rishta Jorr Liya
Saaray Rishtay Naatay Mein Ne Tor Diye
Buss Apni Sarkar Say Say Rishta Jorr Liya
Jaan Mein Rakh Lee Unkay Paseenay Ki Khushboo
Phoolon Ki Mehkaar Say Rishta Jorr Liya
Jism O Jaan Ka Har Gosha Mehka Mehka
Taiba Kay Gulzar Say Rishta Jorr Liya
Izzat Daulat Shohrat Sar Ka Taj Bani
Jab Unki Dastaar Say Rishta Jorr Liya
Qadrein Seerat Ki Badalein Hain Pal Bhar Mein
Jab Unkay Kirdaar Say Rishta Jorr Liya
Soz-e-Ishq Ujaagar Teray Sha'yron Say
Kiya Tou Nay Attar Say Rishta Jorr Liya
RAATE BHI MADINE KEE BAATE BHI MADINE KEE
Raate Bhi Madina Kee Baate Bhi Madina Kee
Jeena May Yah Jeena Hai Kiya Baat Hai Jeena Ki
Arsa Hua Taiba Ki Galiyoun Say Ya Guzra Hai
Is Waqt Bhi Galiyoun May Khushbu Hai Paseena Ki
May Madina Ki Galiyoun Pay Qurban
Jinsa Juzra Hai Shah-e-Madina
Is Tarha Say Mekhta Hai Rasta
Eatr Jaisa Lagay Hua Hai
Arsa Hua Taiba Ki Galiyoun Say Ya Guzra Hai
Is Waqt Bhi Galiyoun May Khushbu Hai Paseena Ki
Kiya Mahakta Ta Hai Mahakna Wala
Kay Bu Pay Chalta Hai Bhatkna Wala
Ambar Zami Abeer Hawa Musktar Gubar
Adna Ki Shankt Tera Rah Guzar Ki Hai
Arsa Hua Taiba Ki Galiyoun Say Ya Guzra Hai
Is Waqt Bhi Galiyoun May Khushbu Hai Paseena Ki
Wallah Jo Miljaya Mera Gul Ka Paseena
Manga Na Kabhi Eatr Na Phir Chaya Dulan Phool
Arsa Hua Taiba Ki Galiyoun Say Ya Guzra Hai
Is Waqt Bhi Galiyoun May Khushbu Hai Paseena Ki
Yah Zakam Hai Taiba Ka Yah Sabko Nahi MIlta
Koshish Na Kare Koi Is Zakam Ko Seena Ki
Yah Apni Nigaho Say Mastana Banata Hai
Mastana Banata Hai Deewana Banata Hai
Zahmat Hi Nahi Dayta Mahkar Ko Peena Ki
Har Saal Madina May Mirza Ko Bulata Hai
Sarkar Jagata Hai Takdeer Kamina Ki
Raata Bhi Madina Kee Baata Bhi Madina Kee
Jeena May Yah Jeena Hai Kiya Baat Hai Jeena Ki
Rif’at-e-Subh-e-Sa’adat Zindabad
Marhaba Jashn-e-Wiladat Zindabad
Mu’ajza Hee Mu’ajza Hai Unki Zaat
Shahkar Dast-e-Qudrat Zindabad
Har Tajalli Aapse Zahir Hui
Marhaba Mah-e-Risalat Zindabad
Zindagi Phir Zindagi Lagne Lagi
Jab Keh Aaye Wahdat Zindabad
Kabar-O-Nakhoot Ko Mitaya Aapne
Parcham-e-Ijz-o-Muhabbat Zindabad
Dushman-e-Jaan Per Bhi Saya-e-Karam
Aapki Tanveer Seerat Zindabad
Na’at Unki Ae Ujaagar Likhte Hee
Mujh Mein Utri Hai Mussarat Zindabad
S -SABSE AULA O A’LA HAMARA NABI
sabse aula o a’la hamara nabi
Sabse Bala O Wala Hamara Nabi
Apne Maula Ka Pyara Hamara Nabi
Dono aalam ka Dulha Hamara Nabi
Bazm-e-Aakhir Ka Shammay Farouzan Hua
Noor-e-Awwal Ka Jalwa Hamara Nabi
Bujh Gayein Jiskay Aagay Sabhi Mash’lein
Shamma Woh Lekar Aaya Hamara Nabi
Jiskay Talwon Ka Dhowan Hai Aab-e-Hayat
Hai Woh Jaan-e-Maseeha Hamara Nabi
Khalq Se Auliya Auliya Se Rusul
Aur Rasulon Se Ala Hamara Nabi
Jaisay Sabka Khuda Aik Hai Waisay Hee
Inka Unka Tumhara Hamara Nabi
Kon Deta Hai Dene Ko Moo Chahiye
Dene Wala Hai Sacha Hamara Nabi
Saaray Onchon Mein Oncha Samajhiye Jissay
Hai Uss Onchay Se Oncha Hamara Nabi
Sab Chamak Walay Ujlon Mein Chamka Kiye
Andhay Sheeshon Mein Chamka Hamara Nabi
Gham Zaddon Ko Raza Muzhda Dejiye Ke Hai
Beykason Ka Sahara Hamara Nabi
SAHARA CHAHIYAY SARKAR ZINDAGI KE LIYE
Tarap Raha Hoon Madinay Ki Haazri Ke Liye
Huzoor Aisa Koi Intizaam Ho Jaye
Salaam Ke Liye Haazir Ghulam Ho Jaye
Naseeb Walon Mein Mera Bhi Naam Ho Jaye
Jo Zindagi Ki Madinay Mein Shaam Ho Jaye
Mein Shaad Shaad Maronga Agar Dum-e-Aakhir
Zubaan Pe Jaari Muhammad Ka Naam Ho Jaye
Sahara Chahiyay Sarkar Zindagi Ke Liye
Tarap Raha Hoon Madinay Ki Haazri Ke Liye
Woh Bazm-e-Khaas Jo Darbaar-e-Aam Ho Jaye
Umeed Hai Keh Hamara Salaam Ho Jaye
Idher Bhi Ik Nigaah-e-Lutf-e-Aam Ho Jaye
Ke Aashiqon Mein Hamara Bhi Naam Ho Jaye
Tere Ghulam Ki Shaukat Jou Dekh Le Mehmood
Abhi Ayaaz Ki Surat Ghulam ho Jaye
Mein Qayal Aap Ke Rauzay Ka Hoon Woh Qayal Tur
Kaleem Se Na Kissi Din Kalaam Ho Jaye
Madinay Jaon Phir Aaon Dobara Phir Jaon
Tamaam Umar Issi Mein Tamaam Ho Jaye
Bulao Jald Madinay Mein Hai Ameer Ko Khauf
Kaheen Na Umar Do Roza Tamaam Ho Jaye
Tumhari Naat Parhon Mein Sunoo Likhoon Har Dum
Ye Zindagi Meri Yunhi Tamaam Ho Jaye
Meri Namaz-e-Janazah Ki Yun Ibadat Ho
Ke Do Jahan Ke Aaqa Imam Ho Jaye
Sahara Chahiyay Sarkar Zindagi Ke Liye
Tarap Raha Hoon Madinay Ki Haazri Ke Liye
Piya Raza O Ziya Ne Piya jou Murshid Ne
A'ta Mujhay Bhi Shah Aisa Jaam Ho Jaye
Sahara Chahiyay Sarkar Zindagi Ke Liye
Tarap Raha Hoon Madinay Ki Haazri Ke Liye
SARKAAR-E-GHOUS-E-AZAM NAZR-E-KARAM KHUDARA
Sarkaar-e-Ghous-e-Azam Nazr-e-Karam Khudara
Mera Khaali Kaasa Bhar Do Mein Faqeer Hoon Tumhara
Jholi Ko Meri Bhar Do Warna Kahe Gei Duniya
Aisay Sakhi Ka Mangta Phirta Hai Maara Maara
Sab Ka Koi Na Koi Duniya Mein Aasra Hai
Mera Bajuz Tumharay Koi Nahin Sahara
Ye Tera Karam Hai Ya Ghous Ke Bulaliya Hai Darpe
Kahan Mujhsa Ye Kameena Kahan Aastaan Tumhara
Ye Tera Karam Hai Murshid Jo Banaliya Hai Apna
Kahan Rusiya Fareedi Kahaan Silsila Tumhara
SAARAY JAHAN KI BARKATEIN ZIKR-E-KHUDA MEIN HAIN
Kaif-O-Sarwar-O-Rahatein Zikr-E-Khuda Mein Hain
Ikraam Chahatay Ho Tou Zikr-E-Khuda Karo
Rakhlo Yaqeen Izzatein Zikr-E-Khuda Mein Hain
Mehfooz Rehna Chaho Jou A’lam-E-Deher Se
Aisi Tamaam Rahatein Zikr-E-Khuda Mein Hain
Firdaus Uski Hai Jou Bana Zakir-E-Khuda
Jannat Ki Saari Ne’matein Zikr-E-Khuda Mein Hain
Zikr-E-Khuda Se Pehelti Hai Khusbu-E-Chaman
Gulshan Ki Bheeni Nikhatein Zikr-E-Khuda Mein Hain
Allah Ke Jou Yaar Hain Masroof-E-Zikr Hain
Ho Jalwatein Ya Khalwatein Zikr-E-Khuda Mein Hain
Nikla Hoon Zulmaton Se Ujagar Hua Hoon Mein
A’lam Ki A’la Rif’atein Zikr-E-Khuda Mein Hain
SARWAR KAHOON KAY MAALIK-O-MAULA KAHOON TUJHAY
Baagh-e-Khaleel Ka Gul-e-Zaiba Kahoon Tujhay
Subh-e-Watan Pay Shaam-e-Ghareeban Ko Doon Sharaf
Beykas Nawaaz Geysuoon Wala Kahoon Tujhay
Allah Ray Teyray Jism-e-Munawwar Ki Tabishein
Aey Jaan-e-Jaan Mein Jaan-e-Tajalla Kahoon Tujhay
Mujrim Hoon Apnay Af’oo Ka Samaan Karoon Shah-aa
Ya’nee Shafe’e Roz-e-Jaza Ka Kahoon Tujhay
Teyray Tou Wasf A’eb Ta-Na-Hee Say Hain Bury
Hairaan Hoon Meyray Shah Mein Kiya Kiya Kahoon Tujhay
Keh Lay Gee Sub Kuch Unkay Sana Khuwaan Kee Khaam-Shee
Chup Ho Raha Hoon Keh Kay Mein Kiya Kiya Kahoon Tujhay
Leykin Raza Nay Khatm-e-Sukhan Iss Pay Kar Dia
Khaaliq Ka Banda Khalq Ka Aaqa Kahoon Tujhay
SARKAR JEYA SOHNA NA AYA NA AWNA EY
Sarkar jeya sohna na aya na awna ey
Na Rab ney banaya ey na Rab ney banawna ey
Weykho jee har ik shey tey peya nur barasta ey
Lag da ey huney eytay Sarkar ney awna ey
Sarda ey sarey koi, larda ey larey koi
Sunniya ney tey gaj waj key milad manawna ey
Jee karda ey mar jawa jis din da suniya ey
Wich qabr dey Aqa ney deedar karowna ey
ungli nu halawndey ney pey chan nu bulawndey ney
So Rab di ey chan falki Aqa da khilona ey
Ban jaani ey gal teri wich hashr dihaarey dey
Jadun sohney Aqa ney tanuw gal nal lawna ey
Munkar odun nas jaan dey mushkil wich pas jandey
Ey sunni jadu wi tu nara Haidri lana ey
Rab Aap banaya ey dildaar bara sohna
Naley khud farmaya ey Mera yaar bara sohna
Sab daayaN Halimah nu hayrat nal puch diyaN san
Kithun ley key aa'ee ey dildaar bara sohna
Mey unj tey maari aa meri kuli maari ey
Meri gowd wich nabiyaN da Sardar bara sohna
Sarkar jeya sohna na aya na awna ey
Na Rab ney banaya ey na Rab ney banawna ey
Sarwar Kahuun Ke Maalik-o Mawlaa Kahuun Tujhe
Sarwar kahuun ke Maalik-o Mawlaa kahuun tujhe
Baaghe Khaleel ka gul-e zaybaa kahuun tujhe
Hirmaan naseeb huun tujhe ummeed gah kahuun
Jaane muraado kaane tamanna kahuun tujhe
Gulzaar-e Quds ka gul-e rangeen adaa kahuun
Darmaan-e dard-e bulbul-e shedaa kahuun tujhe
Subhe watan pe shaam-e gareeban ko doon sharaf
Bekas nawaaz gesu-on waala kahuun tujhe
Allah re! tere jisme munawwar ki taabishen
E jaan-e jaan mein jaane tajalla kahuun tujhe
Mujrim huun apne afwa ka saamaan karoon shahaa,
Yaanee Shafee-e- roz-e jazaa ka kahuun tujhe!
Is murdah dil ko muzda Hayaat-e abad ka doon
Taab-o tawaan-e jaan-e Maseeha kahuun tujhe
Tere to wasf ayb-e tanaahee se hein baree
Hayraan huun mere shaah main kya kya kahuun tujhe
K`eh legi sab kuch unke sanaa khwaan ki khaamoshee
Chup ho rahaa he keh ke main kya kya kahuun tujhe
Lekin Raza ne khatm-e sukhan is pe kardiya
Khaaliq ka banda Khalq ka Aaqa kahuun tujhe
Ser-e-Gulshan Kohn Dekhe
Ser-e-gulshan kohn dekhe dasht-e-Taiba chor kar
Sooe Jannat kohn jaaye dar tumhara chor kar
Sar guzasht-e-gham kahoon kise tere hote huwe
Kis ke dar pe jaauun tera aastana chor kar
Mar hi jaaoon mein agar is dar se jaaoon do qadam
Kyaa bache bimaar-e-gham qurb-e-maseehaa chor kar
Bakhshwana mujh se aasee ka rwaa hoga kise
Kis ke daaman mein chupon daaman tumhara chor kar
Hashr mein ik ik mun jo takte phirte hain ‘udo
Aafton mein phans gaye inka sahara chor kar
Mar ke jeete hain jo unke dar pe jaate hain Hassan
Jii ke marte hain jo aate hain Madinah chor kar
SALLE ALA PUKARO (SARKAR ARAHE HEIN)
Allahumma salli ala sayyidina Muhammadin
Salle ala pukaro Sarkar arahe hein
Uttho e be saharo Sarkar arahe hein
Allahumma salli ala sayyidina Muhammadin
Mawlood ki ghari he chalo Aminah ke ghar par
E khuld ki baharo Sarkar arahe hein
Allahumma salli ala sayyidina Muhammadin
Jo mangna he mango jo lena hein so le lo
Duniya ke tajdaro Sarkar arahe hein
Allahumma salli ala sayyidina Muhammadin
Purnoor he zamaana subhe shabe wilaadat
Parda utha he kiska subhe shabe wilaadat
Allahumma salli ala sayyidina Muhammadin
Pyaare rabiul awwal teri jhalak ke sadqe
Chamka diya naseeban subhe shabe wilaadat
Allahumma salli ala sayyidina Muhammadin
Aayi na'ee hukoomat sikka naya chale ga
Aalam ne rang badla subhe shabe wilaadat
Allahumma salli ala sayyidina Muhammadin
Nisar teri chehal pehal par hazaron eid e rabiul awwal
Siwa e iblees ke jahan mein sabhi to khushiyan mana rahe hein
Allahumma salli ala sayyidina Muhammadin
Zamane bhar ka yeh qa'ida he ke jiska khana usi ka gana
To nimate jin ki karahe hein unhi ke geet hum garahe hein
Allahumma salli ala sayyidina Muhammadin
Marhaban marhaban jaddal hussaini marhaban
Marhaban marhaban ya nooral ayni marhaban
Allahumma salli ala sayyidina Muhammadin
Ya habeebi ya Muhammad ya aroosal qafiqayn
Ya mu'ayyad ya mumajjad ya imamal qiblatayn
Allahumma salli ala sayyidina Muhammadin
Mumino waqt e adab he aamad e Mehboob-e-Rabb he
Jai adaabo tarab he aamad e shah-e-arab hai
Allahumma salli ala sayyidina Muhammadin
Aminah bibi ka jaya barween tareeq aya
Subhe sadiq ne sunaya salawa tullah alaik
Allahumma salli ala Muhammadin
Kaabe ke badrud duja tum pe karoro durood
Taiba ke shamsud duha tum pe karoro Durood
Allahumma salli ala Muhammadin
Subha taiba mein hui bat ta he bara noor ka
Subha taiba mein hui bat ta he bara noor ka
Sadqa le ne noor ka aya he taara noor ka
Allahumma salli ala sayyidina Muhammadin
SHAHE MADINAH, SHAHE MADINAH, SHAHE MADINAH, SHAHE MADINAH
Shahe Madinah, shahe Madinah, shahe Madinah, shahe Madinah
Taiba ke wali sare nabi tere dar ke sawali
Shahe Madinah, shahe Madinah, shahe Madinah, shahe Madinah
Tere liye hi duniya bani hai, neele falak ki chaadar tani hai
Tu agar na hota duniya thi khaali, sare nabi tere dar ke sawali
Jalwe hai sare tere hi dam se, abaad aalam tere karam se
Baqi har ek shay naqshe khayali, sare nabi tere dar ke sawali
Tune jahan ki mehfil sajayi, taarikiyon mein shamma jalayi
Kandhe pe tere kamli hai kaali, sare nabi tere dar ke sawali
Mazhab hai tera sab ki bhalayi, maslak hai tera mushkil kushayi
Dekh ke apni ummat ki khasta haali, sare nabi tere dar ke sawali
Hai noor tera shamso qamar mein, tere labon ki laali sahar mein
Phoolon ne teri khushbu chura li, sare nabi tere dar ke sawali
Kaba ka kaba tera hi ghar hai, tere karam pe sab ki nazar hai
Dikhlade hum ko darbare aali, sare nabi tere dar ke sawali
Hain ap dukhyon ke aaqa sahare, taaje shafa’at hai sar pe tumhare
Ham ko aata ho rawze ki jaali, sare nabi tere dar ke sawali
Taiba ke wali sare nabi tere dar ke sawali
Shahe Madinah, shahe Madinah, shahe Madinah, shahe Madinah
SOOE TAIBA JAANE WALO, MUJHE CHOR KAR NA JAANA
Sooe Taiba jaane walo, mujhe chor kar na jaana
Meri ankhon ko dikha do Shah-e-Deen ka aastana
Hein wo jaaliyan sunehri meri hasraton ka mehwar
Wo sahara mujh ko denge jo hein khaas Rabb ke Dilbarr
Mujhe pohnch kar Madine nahin lawt kar he aana
Sooe Taiba jaane walo, mujhe chor kar na jaana
Mein tharrap raha huun, meri be bassi to dekho
Mein aseer-e ranj-o-gham huun, meri be kali to dekho
Zara Rawza-e-Nabi ka mujhe raasta dikhaana
Sooe Taiba jaane walo, mujhe chor kar na jaana
Darr-e-Mustafa pe meri jab haazari lage gi
Mujhe phir karam se unke nayeh zindagi mille gi
Mere lab pe raat din ho Shahe Batuha ka taraana
Sooe Taiba jaane walo, mujhe chor kar na jaana
Koi kal ke aik pal ka nahin kuch bhi hai barhossa
Mujhe hum safar bana lo kahin reh na jaoon tanha
Dar-e-Mustafa hai Ishrat mera akhri tikhaana
Sooe Taiba jaane walo, mujhe chor kar na jaana
SIDRA SE BHI AAGE KAUN GAYA JIBRIL E AMIN SE POOCHO
Sidra Se Bhi Aage Kaun Gaya Jibril e Amin Se Poocho
Mairaj Ka Dulha Kain Bana Jibril e Amin Se Poocho
Kya Hai Tauqeer e Shah e Umam Insan Se Ho Paye Na Raqam
Kya Farshe Zamin Kya Arshe Bari Sab Hai Aaqa Ke Zaire Qadam
Sultan e Madina Ka Rutba Jibril e Amin Se Poocho
Jibril Se Rabne Farmaya Jannat Ki Sawari Lekar Jaa
Mehboob Se Ye Jaakar Kehde Abb Aake Kare Wo Sher Zara
Fir Kaise Hui Tamil e Khuda Jibril e Amin Se Poocho
Hai Mehwe Rahat Shah e Deen, Shasopanj May Hai Jibril e Amin
Bedar Kare Kaise Seh Ko, Ho Jaye Kahi Na Beadbi
Taazime Nabi Hoti Hai Kya Jibril e Amin Se Poocho
Paas Aake Rasool e Azam Ke Paoo Ke Janib Khade Hue
Taazim Baja Laye Pehle Fir Paoo Pe Noori Lab Rakh Ke
Talwo Ko Diya Hai Kyun Bosa Jibril e Amin Se Poocho
Aqsa May Sawari Jab Pohnchi Nabiyo Ki Jamaat Haazir Thi
Karne Ko Adaa Rab Ka Sajda Saf Basta Jamaat Khadi Hui
Hai Sharf e Imamat Kise Mila Jibril e Amin Se Poocho
Pohnche Aakhir Oos Manzil Per Jalte Hai Jahan Jibril Ke Par
Jibril Ruke Sarkaar Badhe Pohnche Hai Arsh e Azam Par
Mehman e Khuda Hai Kaun Bana Jibril e Amin Se Poocho
QAISER Hai Wahi Mehboob e Khuda Taha Yasin Hai Laqab Mila
Quran e Muqaddas Ne Unko Wa-rafana-laka-zikrak Hai Kaha
Khalique Ne Jo Baksha Hai Rutba Jibril e Amin Se Poocho
Falak Pe Dhoome Machi Hui Hai Malaika Jhoome Ja Rahe Hai
Ke Mustafa Apne Rab Ki Dawat Pe Aaj Tashrif Laa Rahe Hai!
Namaz Ki Ginti Kam Karana Hi Unka Maqsad Nahi Hai Wallah
Ye Shouq e Didar e Rab Hai NAZMI Palat Palat Ke Woh Jaa Rahe Hai!
Dostları ilə paylaş: |