A
AANAY WALO YAY TO BATAAO SHEHR MADINA KESA HE
Aanay walo yay to bataao shehr madina kesa he
Sar un kay qadmon mayn rakh kar jukh kar jiina kesa he
Gunbaday khazra kay sa-ay mayn beytth kay tum to aa-ay ho
Uss sa-ay mayn rab kay aagay sajda karna kesa he
Dil aankhayn or ruuh tumhari lagti heyn sehraab mujhay
Dar pay un kay beytth kay zamzam piina kesa he
Diiwano aankhon say tumharitna puuch to laynay do
Waqt e dua rozay pay un kay aansu bahana kesa he
AAYA HAI BULAWA MUJHE DARBAR-E-NABI SE
Aaya Hai Bulawa Mujhe Darbar-e-Nabi Se
Pegham saba layi he gulzaar-e-Nabi se
Aaya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se
Har aah gaye Arsh pe ye aah ki kismat
Har ashk pe aik khuld he har ashk ki qeemat
Tohfa ye mila he sarkar-e-Nabi se
Aaya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se, darbar-e-Nabi se
Bhaati nahi humdum mujhe Jannat ki jawaani
Sunta nahi zahid us mein huuron ki kahani
Ulfat he mujhe sayaa-e-deewar-e-Nabi se
Aaya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se, darbar-e-Nabi se
Irfan ki kasak khulq ki me sabr ka saagar
Kiya lutf mila karta he jo dete hein sarwar
Ye pooch le aake koi beemar-e-Nabi se
Aaya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se, darbar-e-Nabi se
Pegham saba layi he gulzaar-e-Nabi se
Aaya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se, darbar-e-Nabi se
Pegham saba layi he gulzaar-e-Nabi se
Aaya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se, darbar-e-Nabi se
AA GAYE MUZDAH SHAFA’AT KA SUNAANAY WAALAY
Aa gae muzda shafa’at ka sunanay wale,
Naar-e-dozakh se ghulamon ko bachanay wale.
Hai muqaddar main bulandi hi bulandi apne,
Hum tou hain kadmon main sar un k jhukanay wale.
Kar k ehsaan jitaana yeh nahi shaan unki,
Aur koi hon gai woh ehsaan jitaanay wale.
Mar k pohancha jo lehed main tou nakeeron ne kaha,
Marhaba na’at shah-e-deen ki sunanay wale.
Tu jala sakti nahi sun le jahanam hum ko,
Hum tou hain jashan-e-wilaadat kay mananay wale.
Kash sarkaar sar-e-hashar kahain mujh se Obaid,
Aa ja daaman main meri na’at sunanay walay.
A’ALAM MEIN BARAAT RACHI HAI
A’alam Mein Baraat Rachi Hai
Arsh Ka Dulha Aaya Hai
Jugmug Jugmug Duniya Saji Hai
Arsh Ka Dulha Aaya Hai
Arsh Se Utra Noor Khuda Ka
Noor Badamaan Saari Duniya
Inki Zia Se Ye Chamki Hai
Arsh Ka Dulha Aaya Hai
Kufur Ki Boo Kafoor Hui Hai
Shah-e-Dinaa Ki Aamad Se
Khushboo-e-Iman Pehli Hai
Arsh Ka Dulha Aaya Hai
Khushiyon Ke Fuwaaray Ublay
Kaysi Masti Chayi Hai
Ghar Ghar Mein Shaadi Utri Hai
Arsh Ka Dulha Aaya Hai
Nikhre Nikhre Gulshan Saaray
Rung Ajab Hain Phoolon Ke
Daali Daali Youn Mehki Hai
Arsh Ka Dulha Aaya Hai
Hoor-O-Ghilmaan Saaray Malaik
Jinn-O-Insaan Taab’ay Hain
Donoo A’alam Par Shahi Hai
Arsh Ka Dulha Aaya Hai
Farsh Pe Chamka Arsh Ka Taara
Amina Bi Ke Ghar Utra
Do A’alam Mein Dhoom Machi Hai
Arsh Ka Dulha Aaya Hai
Ma’iraj Ki Manzil Pe Ujaagar
Tanha Fayiz Sarwar Hain
Baraati Har Aik Nabi Hai
Arsh Ka Dulha Aaya Hai
AAJ AAYE NABIYON KAY SARDAR MARHABA
Aaj aaye nabiyon kay sardar marhaba,
Marhaba aye qafila salaar marhaba.
Amina kay dilbar o dildar marhaba,
Marhaba aye mehboob-e-ghaffar marhaba.
Shaad ho kay aamad-e-khair ul wara hai aaj,
Ghum kay maaray bol uthay ghum khwaar marhaba.
Subz parcham haath mein lehra kay sub bolo,
Makki madni aye arabi sardar marhaba.
Jhoomta hai wajd mein kaaba khushi mein aaj,
Keh rahe hain mibar-o-minaar marhaba.
Bas gayi hai wadi-e-jaan mein naee mehek,
Teri aamad per shah-e-abrar marhaba.
Do ubaid-e-bay hunar ko naat ka shaoor,
Kar raha hai piyaar se takraar marhaba.
AAJ ASHK MERE NAAT SUNAIN
Aaj ashk mere naat sunain to ajab kya
Sun ker woh mujhe pas bulaein to ajab kya.
Un per to ghunahagar ka sab hal khula hai
Iss par bhi who daman mein chupaein to ajab kiya.
Muhn dhanp kay rakna ke ghunahagaar bohot hoon
Mayat ko meri dekhnay ayein to ajab kya.
Na zaad e safar hai na koi kaam bhalay hain
Phir bhi hamain sarkaar bulain to ajab kya.
Deedar key qabil to nahin chashm e tamana
Lekin Woh kabhi khwaab main aaein to ajab kya.
Deedar ke qabil to kahan meri nazar hai
Lakin woh kabhi khawab mein aayein to ajab kiya.
Yeh nisbat e shah e madni aur yeh aansoo
Mehshar mein aik gham say shuraein to ajab kiya.
Main aisa khatawar hoon kuch had bhi nahin jis ki
Phir bhi meray aeboon ko chupaein to ajab kiya.
Paband nawa to nahin faryad ki rasmein
Yeh ishq mera haal sunayein to ajab kiya.
Paband nawa to nahin faryad ki rasmein
Aansoo hi mera hal sunaein to ajab kiya.
Haasil jinhein aqaa ki ghulami ka sharaf hai
Thokar say woh murdoon ko jalaaein to ajab kiya.
Woh husn e do aalam hain adeeb unkay kadam say
Sehra main agar phool khilayein to ajab kiya
AJ SIK MITRAAN DEE VADHERI E
Aj sik mitraan dee vadheri e
kyoon dilri udaas ghaneri e
loon loon vich shawq changeri e
aj nainaan laiyaan kyon jhariyaan!
Mukh chan badr shah shaani e
Matthay chamkay laat noorani e
Kaali zulf tay akh mastaani e
Mahmoor akheen hain madh bhariyaan
Is surat noon mein jaan aakhaan
jaanaan ke jaan-e-jahaan aakhaan?
Sach aakhaan tay rabb dee shaan aakhaan
jis shaan toon shaanaan sab baniyaan
Subhan allah! Maa ajmalaka
maa ahsanaka, maa akmalaka
Kithay mihr ali kithay teri sanaa
gustaakh akheen kithay jaa ariyaan!
APNI REHMAT KE SUMANDAR
dafn Jo sadiyo se hai, vo kazana deh dhay
aik lamhe ko mujhe apna zamana dey dhay
apni rehmat ke samundar mein utar jane dhay x4
apni rehmat ke x2 ke samundar mein utar jane dhay
apne kadmo Paiyarey kadmo se lipat karr mardanay do
apni rehmat ke samundar mein utar jane dhay x4
ALLAHI ALLAH KIYA KARO
Allahi Allah kiya karo
Dukh na kisi ko diya karo
Jo duniya ka malik hai
Naam ussi ka liya karo.
Allah hee Allah…
Allahi Allah kiya karo
Dukh na kissi ko diya karo
Jo duniya ka malik hai
Naam usi ka liya karo.
Allahi Allah…
Just like a sunrise can’t be denied
Oh, just like the river will find the sea
O Allah, You’re here and You’re always near
And I know without a doubt
That You always hear my prayer
Such ki raah pay chala karo
Dukh na kisi ko diya karo
Jo duniya ka malik hai
Naam ussi ka liya karo.
Allah hee Allah..
Allah hee Allah kiya karo
Dukh naa kisi ko diya karo
Jo duniya ka malik hai
Naam usi ka liya karo.
Allah hi Allah
So many bright stars
Like diamonds in the sky
Oh, it makes me wonder
How anyone can be blind
To all the signs so clear
Just open your eyes
And I know without a doubt
You will surly see the light
Aisa zulm na kiya karo
Dukh na kisi ko diya karo
Jo duniya ka malik hai
Naam usi ka liya karo.
Allah hee Allah
Allah he Allah kiya karo
Dukh na kisi ko diya karo
Jo duniya ka malik hai
Naam ussi ka liya karo.
Allah Hi Allah Kiya Karo Dukh Na Kissi Ko Diya …
AMINA KA LAAL AAYA
Amina Ka laal Aaya, Amina Ka laal Aaya
Agaya woh noor wala, jis ki uchi shaan hai,
jis ki midhat main utara rab ne ye Quran hai,
Amina Ka laal Aaya, Amina Ka laal Aaya
Ho bayan kaise fazeelat Amina ke chand ki,
Us ki to har har ada par bolta Quran hai,
Amina Ka laal Aaya, Amina Ka laal Aaya
Jo kaha mere nabi ne woh hamesha sach howa,
ho bahoo tasleem karta aaj sciencedaan hai,
Amina Ka laal Aaya, Amina Ka laal Aaya
Amina tuj ko mubarak tere ghar jalwa figan,
Aaj woh mah he risalat nabiyun ka sultan hai,
Amina Ka laal Aaya, Amina Ka laal Aaya
AMINA KA LAAL AAYA AMINA KA LAAL
Amina Ka Laa'l Aaya Amina ka Laa'l
Amina Ka Laa'l Aaya Amina ka Laa'l
Rehmat Ka Badal Chaaya Sab Hoor-o-Malak ne Gaya
Dekho Sahah-e-Madina Aaya
Amina Ka Laa'l Aaya Amina ka Laa'l
Amina Ka Laa'l Aaya Amina ka Laa'l
Amina Bibi Tera Naseeba Rab ne Hai Chamkaya
Tujh par Hai Karam Ka Sa'aya Tera Rutba Rabne Badhaya
Tu ne Pyaar-e-Nabi Ko Paaya
Amina Ka Laa'l Aaya Amina ka Laa'l
Amina Ka Laa'l Aaya Amina ka Laa'l
Aisa Muqaddar Laayi Haleema
Tu Hai Nabi ki Da'ayi Haleema
Bibi Amina Ka Ja'aya Teri Mushkil Main Kaam Aaya
Tera Soya Naseeb Jagaya
Amina Ka Laa'l Aaya Amina ka Laa'l
Amina Ka Laa'l Aaya Amina ka Laa'l
Gham ke Badal Door Howe Hain
Dukhiya Dil Masroor howe Hain
Alam ne Ujala Paaya Ab har Soo Noor Hai Chaya
Zarra Zarra Chamkaya
Amina Ka Laa'l Aaya Amina ka Laa'l
Amina Ka Laa'l Aaya Amina ka Laa'l
Amina Bibi Tera Naseeba Rab ne Hai Chamkaya
Tujhpar Hai Karam Ka Saaya Tera Rutba Rabne Badhaya
Tune Pyaar-e-Nabi Ko Paaya
Amina Ka Laa'l Aaya Amina ka Laa'l
Amina Ka Laa'l Aaya Amina ka Laa'l
AMINA BIBI KEH GULSHAN
Amina bibi keh gulshan main, aa'i hai thaza bahaar
Parthay hai Sallallahu wasallam, aaj dar-o-deewar
Nabi ji, Allah Allah Allahu, la illaha illahu
Allah Allah Allahu, la illaha illahu
Baarah Rabbi ul awwal ko, aayah duur-e-yateem
Maah-e-nabuwwat mehr-e-risalat, saahib-e-khulq-e-azeem
Nabi ji, Allah Allah Allahu, la illaha illahu
Allah Allah Allahu, la illaha illahu
Hamid-o-Mahmood aur Muhammad , dow jaag ka sardaar
Jaan seh hi pyaara raj dulaara, rahmat ka sarkaar
Nabi ji, Allah Allah Allahu, la illaha illahu
Allah Allah Allahu, la illaha illahu
Yasin, Ta Ha, kamli waala, Qur'an kii tafseer
Hazir-o-Nazir shahid-o-qaasiim, aaya sirajum munir
Nabi ji, Allah Allah Allahu, la illaha illahu
Allah Allah Allahu, la illaha illahu
AN NABI SALLU ALAIH, SALAWATULLAH ALAIH
An Nabi Sallu Alaih, salawatullah alaih, Wa yanaalul baraka, kullu man salla alaih.
Ya Rasulallah Ya Rasulallah
Ya Habiballah Ya Habiballah
An Nabi ya halireen, ilmu ilmal yaqeen, Anna Rabbal Alameen, wa rala salla alaih.
Allah x6
An Nabi Sallu Alaih, salawatullah alaih, Wa yanaalul baraka, kullu man salla alaih.
Kaabe ke badrud duja, tum pe karoron durood, Taiba ke shamsud duha, tum pe karoron durood,
Shafiye rawze jaza, tum pe karoron durood Dafiye jumla bala, tum pe karoron durood.
Ya Rasulallah Ya Rasulallah
Ya Habiballah Ya Habiballah
An Nabi ya man halar, an Nabi khairul bashar, Man lahu shaqqul qamar, wa nazil sallim alaih.
Allah x6
An Nabi Sallu Alaih, salawatullah alaih, Wa yanaalul baraka, kullu man salla alaih.
Dil karo thandha mera wo kafe pa chaand sa, Seene pe rakdo zara, tum pe karoron durood
Zaat hui intikhaab, wasf huwe la jawab, Naam huwa Mustafa, tum pe karoron durood.
Ya Rasulallah Ya Rasulallah
Ya Habiballah Ya Habiballah
An Nabi zakal uroos, zikruhu yuhyi nufoos, An nasaara wal majoos, aslamu ala yadaih.
Allah x6
An Nabi Sallu Alaih, salawatullah alaih, Wa yanaalul baraka, kullu man salla alaih.
Be hunar be tameez, kiske huwe hein azeez, Ik tumare siwa, tum pe karoron durood
Aas hai koi na paas, ik tumaari hai aas, Bas hai yahi aasra, tum pe karoron durood.
Ya Rasulallah Ya Rasulallah
Ya Habiballah Ya Habiballah
Seena ke hai daag daag, kehdo kare baag baag, Taiba se aake saba, tum pe karoron durood.
Ya Rasulallah Ya Rasulallah
Ya Habiballah Ya Habiballah
An Nabiyyul Mustafa, ibne ZamZam wass Safa, Man taa’la sharafa, kulluhum salla alaih.
Allah x6
An Nabi Sallu Alaih, salawatullah alaih, Wa yanaalul baraka, kullu man salla alaih.
An Nabiyyul mujtaba, an Nabi saakin quba, Hubbuhu li madhaba, Rabbana salla alaih.
Allah x6
An Nabi Sallu Alaih, salawatullah alaih, Wa yanaalul baraka, kullu man salla alaih.
Tum se jahan ka nizaam, tum pe karoron durood,
Tum pe karoron sana, tum pe karoron durood,
Tum ho jawado kareem, tum ho Raufur Raheem, Bheek ho daata ataa, tum pe karoron durood,
Khalq ke haakim ho tum, rizq ke qaasim ho tum, Tum se mila jo mila, tum pe karoron durood,
Nafii wo dafii ho tum, shaafii wo rafii ho tum, Tum se bas afzon khuda, tum pe karoron durood,
Shaafee wo naafee ho tum, kaafee wo daafee ho tum, Dard ko kardo dawa, tum pe karoron durood.
Ya Rasulallah Ya Rasulallah
Ya Habiballah Ya Habiballah
Barse karam ki bharan, bhoole niam ke chaman, Aysi chala do hawa, tum pe karoron durood,
Kyun kahoon be kas hun mein, kyun kahoon be bas hun mein, Tum ho mein tum pe fida, tum pe karoron durood
Ya Rasulallah Ya Rasulallah
Ya Habiballah Ya Habiballah
An Nabi dhaakal maleeh, qawaluhu qawlu saheeh, Wal Qur’an shai’un faseeh, Allazee unzil alaih.
Allah x6
An Nabi Sallu Alaih, salawatullah alaih, Wa yanaalul baraka, kullu man salla alaih.
Karke tumare gunaah, manghe tumaari panaa, Tum kaho daaman mein aa, tum pe karoron durood,
Ham ne khata mein na ki, tum ne ataa mein na ki, Koi kamee sarwara, tum pe karoron durood.
Aankh ata keejiye, us mein ziya deejiye, Jalwa qareeb aagaya, tum pe karoron durood
Kaam woh le leejiye, tumko jo raazi kare, Theek ho naame Raza, tum pe karoron durood.
Ya Rasulallah Ya Rasulallah
Ya Habiballah Ya Habiballah
Wal Hassan tummal Hussain, lin Nabi raihaanatain, Fatima qurrathu ayn, jadduhum sallu alaih.
Allah x6
An Nabi Sallu Alaih, salawatullah alaih, Wa yanaalul baraka, kullu man salla alaih.
Ye Ubaid adna ghulam, tera he khairul anam, Waqt midhat keliye, is ki ho umr tamam
An Nabi Sallu Alaih, salawatullah alaih, Wa yanaalul baraka, kullu man salla alaih.
Allah x6
Ya Rasulallah Ya Rasulallah
Ya Rasulallah Ya Rasulallah
Ya Habiballah Ya Habiballah
Ya Rasulallah, Ya Habiballah, Sallam alaika Ya Rasulallah, Wasallam alaika Ya Habiballah, Ahlan wasahlan marhaba, Ya Rasulallah
Shah yaraa bh'in qad badaa
Nooru hul a'laa
Ya habbada badra
Zakal himayujla…
ALLAHU AKBAR ALLAHU AKBAR
Madine ki Azmath Madine ke jalwe
Madine ke charche Madine ka manzar
ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR
Madine ki baatein Madine ki raatein
Yahaan to rahte hain mere payambar
Jo hai saare aalam ke Sarwar
Isliye hai Taiba kitna munnawar
ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR
Kitna hai pyara pyara Madina
Ise Rab ne kitna sawara
Madine ki azmath ke mai sadqe jawaan
Isme rahte hai mere payambar
ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR
Madine ka wo pyara manzar
Waha ke phool aur wahaan ke kankar
Wahaan ka farsh aur minar-e-anwar
Aur waha ka Mihrab-o-Mimbar
ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR
Na koi zar hai
Na koi par hai
chala bhi jaata nahi hai mujh se
Phir aa'un kaise tumhare Dar par
ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR
Gumbade Khizra ke pyare nazare
Wahaan ki galiyaan wahaan ke raste
Wahaan ki diwarein wahaan ke jalwe
Aur wo sunehra Rauda-e-Anwar
ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR
Madine jaakar sar ko jhuka kar
Karunga arz mai ae mere Sarwar
Maaf kardo ise Shafi-e-mahshar
Yehi pe rakhlo mujh ko Apne Dar par
ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR
Bulwalo AQA jaber ko Dar par
Iski jaan jaae tumhare Dar par
Qatema ho iska eman par
Hotaun pe ho bas AllahuAkbar
ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR
ANKHOUEN MEIN BAS GEYA HAI
Ankhouen mein bas geya hai Madina huzoor ka
Be kas ka aasera hai Madina huzoor ka
Phir ja rahe hai ahle Mohabbat ke qafle
Phir yaad aa raha hai Madina huzoor ka
Nabiyouen mein jaise afzal-o-A'ala hai mustafa
Sherouen mein baadshah hai Madina huzoor ka
Jab se qadam pare hai risalat ma'aab ke
Jannat se bar geya hai Madina huzoor ka
Har zara zara apni jagga ma'ahataab hai
Kya jagma'ga raha hai Madina huzoor ka
Qudsi bhi chumthe hai addab se yahan ki khaaq
Qismat mein jhometha hai Madina huzoor ka…………Ho naaz kyoun na is ko Neyazi naseeb par
Jis ko bhi mil geya hai Madina huzoor ka
APNI NISBAT SE MEIN KUCH NAHI HU
Apni Nisbat Se Mein Kuch Nahi Hu
Iss Karam Ki Badolat Barha Hu
Unkay Tukroon Say Ezaz Pa Kar
Tajdaroon Ki Saf Mein Khara Hu
Iss Karam Ko Magar Kiya Kaho Gay
Meinay Mana Mein Saab Say Bura Hoon
Jo Buroon Ko Samatay Huey Hain
Unkay Qadmoon Mein Bhi Para Hoon
Dekhnay Walo Mujhko Na Dekho
Dekhna Hai Agar To Yeh Dekho
Kisay Daman Say Wabasta Hoon Mein
Kon Wali Hai Kiska Gada Hoon
Dekhta Hoon Jab Unki Aataein
Bhool Jata Hoon Apni Khataein
Sir Nadamat Say Uthta Nahin Hai
Jab Mein Apni Taraf Dekhta Hoon
Ya Nabi Apnay Gham Ki Kahani
Keh Sakoon Ga Na Apni Zubani
Bin Kahay Hi Meri Laj Rakhlo
Mein Sisikti Hui Iltja Hoon
Shafe Mugniba Kay Karam Nay
Laj Rakhli Meray Khothay Pan Ki
Nisbatoon Ka Karam Hai Yeh Khalid
Khotha Hotay Huey Bhi Khara Hoon
Apni Nisbat Se Mein Kuch Nahi Hu
Is Karam Ki Badolat Barha Hoon
Unkay Tukroon Say Azaz Pa Kar
Tajdaroon Ki Saf Mein Khara Hu
APNI ATTA KA HAQ NEY YE MANZAR DEKHA DIYA
Apni Atta Ka Haq Ney Ye manzar Dekha Diya
Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya
Kohey Shahe Arab ka Bana Kar Mujhy Faqeer
Shahe Ka Martaba Mery Dil Sey Ghata Diya
Esa Karim Esa Sakhi Aur Kon Hey
Mangta Jo Aya Mangny Sultan Bana Diya
Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya
Pohncha Diya Khuda Ney Dare Shah Par Humy
Allah Ney Ye Naat Ka Acha Sila Diya
Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya
Hum Sey Ziada Kon Hey Dunia Mey Khush Naseeb
Hum Ko Khuda Ney Un Ka Sana Khawan bana Diya
Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya
Rashke Falaq hey Mery Muqadar Ki Rifatein
Mujh Ko Ghulam un Ka Khuda Ney Bana Diya
Ankho Mey Bas Giya Hey Jamale Khuda Riaz
Deedar Jab sey Un ka Khuda Ney Kara Diya
Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya
Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya
APNI LAGAN LAGA DE
Khuda Tujhe Kissi Toofan Se Ashna Kar De
K Tere behar Ki Moajon Mein Iztirab Nahi
Chiraan Enj Chari Da Yaar
Allah ho Allah ho, Allah ho Allah ho
Chiran Ae Vichri Da Yaar, Chiran Ae Vichri Da Yaar
O Wajjay Allah Wali Taar, Sohne Saayian Wali Taar, Mere Murshid Wali Taar
Chiran Ae Vichri Da Yaar, Chiran Ae Vichri Da Yaar
Allah Allah Allah Hoo, Allah Allah Allah
Allah Allah Allah Hoo, Allah Allah Allah
Apni Lagan Laga De, Apni Lagan Laga De
Apni Lagan Laga De, Apni Lagan Laga De
Meri Khudi Mita De, Apni Lagan Laga De
Meri Khudi Mita De, Apni Lagan Laga De
Chiran Ae Vichri Da Yaar, Chiran Ae Vichri Da Yaar
O Wajjay Allah Wali Taar, Sohne Saayian Wali Taar, Mere Murshid Wali Taar
Chiran Ae Vichri Da Yaar, Chiran Ae Vichri Da Yaar
Allah Allah Allah Hoo, Allah Allah Allah
Allah Allah Allah Hoo, Allah Allah Allah
Aisa Gumoon Main Khudse, Khud Ko Na Dhoond Paa’on
Aisi Fana Baka De, Apni Lagan Laga De
Chiran Ae Vichri Da Yaar, Chiran Ae Vichri Da Yaar
O Wajjay Allah Wali Taar, Sohne Saayian Wali Taar, Mere Murshid Wali Taar
Chiran Ae Vichri Da Yaar, Chiran Ae Vichri Da Yaar
Allah Allah Allah Hoo, Allah Allah Allah
Allah Allah Allah Hoo, Allah Allah Allah
Darya-e-marf’at Mein Dooba Rahoon Main Har Dam
Darya-e-marf’at Mein Dooba Rahoon Main Har Dam
Aarif Mujhe Bana De, Apni Lagan Laga de
Chiran Ae Vichri Da Yaar, Chiran Ae Vichri Da Yaar
O Wajjay Allah Wali Taar, Sohne Saayian Wali Taar, Mere Murshid Wali Taar
Chiran Ae Vichri Da Yaar, Chiran Ae Vichri Da Yaar
Allah Allah Allah Hoo, Allah Allah Allah
Allah Allah Allah Hoo, Allah Allah Allah
Mere Nafas Nafas Mein Hoo Hoo Ki Hon Sadaayen
Dil Ayina Bana De, Apni Lagan Laga De
Chiran Ae Vichri Da Yaar, Chiran Ae Vichri Da Yaar
O Wajjay Allah Wali Taar, Sohne Saayian Wali Taar, Mere Murshid Wali Taar
Chiran Ae Vichri Da Yaar, Chiran Ae Vichri Da Yaar
Allah Allah Allah Hoo, Allah Allah Allah
Allah Allah Allah Hoo, Allah Allah Allah
Maula Ubaid Ko Bhi Qalb-e-Salim De Kar
Haq Aashna Bana De, Apni Lagan Laga De.
Chiran Ae Vichri Da Yaar, Chiran Ae Vichri Da Yaar
O Wajjay Allah Wali Taar, Sohne Saayian Wali Taar, Mere Murshid Wali Taar
Chiran Ae Vichri Da Yaar, Chiran Ae Vichri Da Yaar
Allah Allah Allah Hoo, Allah Allah Allah
Allah Allah Allah Hoo, Allah Allah Allah
AQA BACHALO IS AASI KO JO DUBA HUVA HAI GUNAHO ME
aqa bachalo is aasi ko jo duba huva hai gunaho me
ab aap hi ise bachana ya rasool allah
mai qatakaar hoo mai gunahgaar hoo mai siyakar hoo
mujh bad ko aap hi bachana ya rasool allah
tum malik-o-muqtaar ho jise chahe jo chahe use ataa karde
meri bhi jholi bhardena ya rasool allah
mere bad aamal ke sabab mujh par azab ho jab qabr me
mujhe tum bachane aana ya rasool allah
sunta hoo logon se ke aqa ghar tashrif laye qaab me
mere qaab me bhi tum aana ya rasool allah
tere dar ki haazri ke liye kab se hoo shaha betab
mujhe dar pe tum bulana ya rasool allah
ghamo ke samandar me dubta ja raha hai mera safina
ho jai nazre karam kinare lag jai mera safina ya rasool allah
kuch amal nahi is aasi ke paas sar ta pa gunaho me duba huva hai
mahshar me tum hi bharam rakhna ya rasool allah
hoga jab khuda jalal me puche jab mujh se mera amal
mujhe mahshar me tum bachana ya rasool allah
nikle meri rooh tere hi dayar me sabz gumbad ke saye me
is waqt mujhe apna didar bhi karana ya rasool allah
gar hind me israiel(alahi salam) meri rooh lene aaye
kahdena tahro ise aajane do madina ya rasool allah
hogaye hai dur mujh se mere dost-o-ahbab
mujh se tum na dur ho jana ya rasool allah
hubbe duniya se bachakar mujhe apni kambli me chupalena
bas mai banjau tera hi diwana ya rasool allah
JABER jo aap ke dar ki hazri ke liye tadap raha hai
ise jald taiba me bulana ya rasool allah
AAQA MERIYAN AKHIYAN MADINE WICH REH GIYAN
Oh shehar madina jad main takeya
Mere thand pai gayi vich sinay
Othay main reh ke aa gaya sadiq
Akhan reh giyan shehar madinay
Aaqa meriyan akhiyan madine wich reh gayan
Muk gaya visa tay judaiyan phir pai gaiyan
Tusan te menoon dar te sadeya, Wele Mainu shehroon kadiya
Tere dar diyan sohniyan yaadan, Aaqa mera saath na chadeya
Nit diyan sochan hun, jind meri legaiyan
Aabe Zamzam peende reyan, do din sukh naal jeende reyan
Tere ghar di chaukat de assi, mangte roz sadende reyan
Mangiyan muraadan si jo, chauli meri pai gaiyan
Phir main wekhan roza tera, soh rab di dil karda mera
Je kidre manzoori howe, laalaan othe pakka dera
Lakhan majburiyan ne, rawan wich pai gaiyan
Aaqa teri shaan nu wekhan, chuk de kul jahaan nu wekhan
Jere tere kol ne suthe, Umar, Siddique, Usman nu wekhan
Jina tere kadman wich, thaawan aaqa le laiyan
Jad main takya sher e madina, roshan hogeya mera seena
Soh salaan tu wadh lagda si pawein si oh ik maheena
Sadiq Ghumbad e Khazra tak ke, tandan mainoon pai gaiyan
Aaqa meriyan akhiyan madine wich reh gayan
Muk gaya visa te judaiyan phir pai gaiyan
AAQA KO PUKAR BANDE
Chorus: Aaqa ko pukar bande (x4)
Insha allah ho jayenga, Insha allah ho jayenga
Tera beyra paar
Chorus
Un ke haat mai gungunji hai,
rab ne uney mukhtaar kiya (x2)
hum ko unkaa mangta banaya aur uney sarkaar kiya
jo sarkaar ke dar ka gadaa hai (x2)
wo khudh hai mukhtaar
Chorus
Jabse hosh sambala meine, un ke naate partaa huu (x2)
Ghustaki na ho jaaye mein sambel sambel se chaltaa huu
Maa ke duaon ke sadqe me (x2)
Hoga peyra paar
Chorus
Ala hazrat ne kya hame sabak hume siklaya hai (x2)
Jo ghustakhe khuda wo nabi ke apna nahin wo paraaya hai (x2)
Are se ghustkhi utar (x2)
Mawla ka hai dindaar
Chorus
AQA AQA BOL BANDAY AQA AQA BOL
Aqa aqa bol banday aqa aqa bol
Zikr nabi tu karta ja yay zikr barra anmol
Aisa din bhi aaja-ay sarkar kay dar pay betthay ho
Lab khamosh zubaan ban ja-ay aansu arza kartay ho
Un kay dar pay ronay waalay, dil say kucch to bolol
Sarkar e do aalam pyaray aqa jidhar say guzra kartay thay
Shajr gawaahi dayta tha or pathar kalima partay thay
Noor e khuda kay munkir ab to, apni aankhayn khol
Aow chalo deewano saaray shehr e madinah chaltay heyn
Mayri kya oqaat he sab hii un kay dar say paltay heyn
Ghairon ko bhi daytay heyn, bin maangay bin mol
Jab say hosh sambaala he meyn unki naatayn parta huun
Gustaahi na ho ja-ay meyn sambal sambal kay chalta huun
Maan ki dua-on ka sadqa, aisa mila maahol
Rashid naatayn likhna parna yay he barra ihsan
Un kay karm kay sadqay hii se unchi he parwan
Naat e nabi tu suna-ay ja, kaano mayn rasghol
AQA BACHALO IS AASI KO
aqa bachalo is aasi ko jo duba huva hai gunaho me
ab aap hi ise bachana ya rasool allah
mai qatakaar hoo mai gunahgaar hoo mai siyakar hoo
mujh bad ko aap hi bachana ya rasool allah
tum malik-o-muqtaar ho jise chahe jo chahe use ataa karde
meri bhi jholi bhardena ya rasool allah
mere bad aamal ke sabab mujh par azab ho jab qabr me
mujhe tum bachane aana ya rasool allah
sunta hoo logon se ke aqa ghar tashrif laye qaab me
mere qaab me bhi tum aana ya rasool allah
tere dar ki haazri ke liye kab se hoo shaha betab
mujhe dar pe tum bulana ya rasool allah
ghamo ke samandar me dubta ja raha hai mera safina
ho jai nazre karam kinare lag jai mera safina ya rasool allah
kuch amal nahi is aasi ke paas sar ta pa gunaho me duba huva hai
mahshar me tum hi bharam rakhna ya rasool allah
hoga jab khuda jalal me puche jab mujh se mera amal
mujhe mahshar me tum bachana ya rasool allah
nikle meri rooh tere hi dayar me sabz gumbad ke saye me
is waqt mujhe apna didar bhi karana ya rasool allah
gar hind me israiel(alahi salam) meri rooh lene aaye
kahdena tahro ise aajane do madina ya rasool allah
hogaye hai dur mujh se mere dost-o-ahbab
mujh se tum na dur ho jana ya rasool allah
hubbe duniya se bachakar mujhe apni kambli me chupalena
bas mai banjau tera hi diwana ya rasool allah
JABER jo aap ke dar ki hazri ke liye tadap raha hai
ise jald taiba me bulana ya rasool allah
AAYE AAQA MADNI AAQA
Allah Allah Allah Allah
Allah Allah Allah Allah
Aaey Aaqa Madni Aaqa
Pyaray Pyaray Pyaray Aaqa
Aamina Bibi ke Gulshan mein
Aai he Taza Bahar
Partay hein Sal lAllaho Wa Sallam
Aaj dr-o-dewar Madni
Bara Rabi ul Awwal ko woh
Aaya Dur-e-Yateem
Mah-e-Nabuwat Mehr-e-Risalat
Sahib-e-Khulq-e-Azeem Madni
Pyari Surat Hasta Chehra
Moun Seh Jartay Phool
Noor Siraa Pa Chand sa Chehra
Haq Ka Pyara Rasool Madni
Jibreel Aay jhoola jhulaey
Lori de Zi Shan,
So ja So ja Rahmat-e-Aalam
Do jag ke Sultan Madni
Awwal-o-Aakhir sab kuch Jaanay
Dekhe Ba'eed-o-Qareeb
Ghayb ki Khabrein Denay Wala
Allah ka who Habeeb Madni
Hamid o Mahmood-o-Muhammad
Do jag Ka Sardar
Jaan se Pyara Laaj Dulara
Rahmat ki Sarkar Madni
Aaey Aaqa Madni Aaqa
Pyaray Pyaray Pyaray Aaqa
Allah Allah Allah Allah
Allah Allah Allah Allah
AQA KA MILAD AYA
Chaaro taraf noor chayaa
Aqa ka milad aya
Khushiyo ka pegham layaa
Aqa ka milad aya…
Shamso qamar aur taare
Kyu na ho khush aaj saare
Unse hi to noor paaya
Aqa ka milad aya….
Khushiya manaate hai wohi
Dhoome machaate hai wohi
Jin par huwa unka sayaa
Aqa ka milad aya….
Ghar ko sajaate hai wohi
Jandhe lehraate hai wohi
Jin par huwa unka sayaa
Aqa ka milad aya
Hai shaad har ik musalmaa
Karta hai ghar ghar charagha
Galiyo ko bhi jag magayaa
Aqa ka milad aya….
Mukhtar qulmaane jo unhe
Noori bashar jaane jo unhe
Naara usi ne lagayaa
Aqa ka milad aya…
Jo aaj mehfil me aaye
Manki muraade woh paaye
Sab par karam ho khudayaa
Aqa ka milad aya….
Ghawsul waraa aur Data ne
Mere Raza aur Khwaja ne
Sab ne hi din yeh manayaa
Aqa ka milad aya….
Naate nabi tum sunaawo
Ishq e nabi ko barawo
Humko Raza ne sikaya
Aqa ka milad aya
Jisko shajar jaanate hai
Kehna hajar maanate hai
Esa nabi hum ne paaya
Aqa ka milad aya…
Dil jag magaane lage hai
Sab muskuraane lage hai
Ik kaif sa aaj chayaa
Aqa ka milad aya…
Kar tu Ubaid unki midhat
Tujpar khuda ki ho rehmat
Toone muqaddar yeh paaya
Aqa ka milad aya
ARSH-E-ULA SE AALA MERE NABI KA RAWZA
Arsh-e-ula se aala mere Nabi ka Rawza
Hai har makaan bala mere Nabi ka Rawza,
Kesa hai pyaara pyaara yeh sabz gumbad
Kitna hai meetha meetha, mere Nabi ka Rawza,
Makke se isleeye bhi afzal huwa Madinah
Hisse mein iss ke aaya mere Nabi ka Rawza,
Kaabe ki azmaton ka munkir hu lekin
Kaabe ka Kabah bhi hai mere Nabi ka Rawza….
Hogi shafa'at uski jis nai Madine aakar
Khwaab ik nazar bhi dekha mere Nabi ka Rawza,
Jiss waqt ruh tan sai Attar ki judaa ho
Ho saamne khudayaa mere Nabi ka Rawza
ARSH KA DULHA AAYA HAI
A’alam Mein Baraat Rachi Hai
Arsh Ka Dulha Aaya Hai
Jugmug Jugmug Duniya Saji Hai
Arsh Ka Dulha Aaya Hai
Arsh Se Utra Noor Khuda Ka
Noor Badamaan Saari Duniya
Inki Zia Se Ye Chamki Hai
Arsh Ka Dulha Aaya Hai
Kufur Ki Boo Kafoor Hui Hai
Shah-e-Dinaa Ki Aamad Se
Khushboo-e-Iman Pehli Hai
Arsh Ka Dulha Aaya Hai
Khushiyon Ke Fuwaaray Ublay
Kaysi Masti Chayi Hai
Ghar Ghar Mein Shaadi Utri Hai
Arsh Ka Dulha Aaya Hai
Nikhre Nikhre Gulshan Saaray
Rung Ajab Hain Phoolon Ke
Daali Daali Youn Mehki Hai
Arsh Ka Dulha Aaya Hai
Hoor-O-Ghilmaan Saaray Malaik
Jinn-O-Insaan Taab’ay Hain
Donoo A’alam Par Shahi Hai
Arsh Ka Dulha Aaya Hai
Farsh Pe Chamka Arsh Ka Taara
Amina Bi Ke Ghar Utra
Do A’alam Mein Dhoom Machi Hai
Arsh Ka Dulha Aaya Hai
Ma’iraj Ki Manzil Pe Ujaagar
Tanha Fayiz Sarwar Hain
Baraati Har Aik Nabi Hai
Arsh Ka Dulha Aaya Hai
AYE MOT THEHER JA
Ae Mot Thahar Ja, mein Madinay tay jalawaan
suta hoya naseeb tay main apna jaga lawaan.
Mehboob da oh Gunmbad e Khazra tay dekh lawan
sarkar (SAW) di gali day nazaray tay paa lawan.
Lagay nay Mustafa day qadam jis zameen tey
Eik wari oss khak noun seenay tay laa lavan.
Sunaya aye har gareeb di sunday oh zariyaan
Main vi tay apnay gham di kahani suna lavaan.
Jee bhar kay roo lawan Dar e Aqdas day samnay
Akhyaan noun guft gue da tareeqa sikha lawaan.
Away jay Peer mout tay aaway hazaar bar
Dostları ilə paylaş: |