Azkarae Naafia fajr aur magrib ke baad 10/10 baar parhna laillaah illaah



Yüklə 154,76 Kb.
tarix28.10.2017
ölçüsü154,76 Kb.
#17353

Bismillah, Assalamu alaykum wr wb, ******Now Replay of Day-30 Dawrah e Quran Juz-26 *******

***************Azkarae Naafia*************

fajr aur magrib ke baad 10/10 baar parhna---laillaah illaah

Dua: Laa ilaaha illallahu wahdahu la shareekalahu lahul mulku walahul hamdu wahuwa ala kulli shayin qadeer

10 naikiyan aur 10 gunah mitayain jayain gae

10 darje buland hote hian

4 gulamon kae azaad kernae kae barabar ajar

yaqeen kae sath parhain gae iA

GHULAAM AZAD=Us key her aza(body parts) key badley hamarey aza ko jahannum kee aag sey bachana

***************Surah AlAhqaaf***********

46 Tarteeb/66Nazul, MAKKI

teelay ko bhe kehtay hain = ahqaaf

Qom-e aad ka aik aur naam

theme: imaniyaat-e salasa

iman ki wo 3 bunyadi cheezein jin ka qabar mei hisaab ho ga

Questions answered in this para (all surahs):

Insan ko maa baap se talluq mei kin hadood mei rehna hai? maa baap ko uff kehna kin logoan ki aadat hoti hia

qayamat ke din jab log aik doosre ki dosti se gaafil ho jayein ge tu kon kaam aaye ga? qayamat ke din kaafir iman wale se ye kyoun kahein ge ke agar tum ache the tu hame kyoun nahi bataya? qayamat ke din darje kis bunyaad pe hoan ge?

wo konsi qom thi jo umadte badiloan ko dekh ke khush hui magar unn mei azaab tha? jab logoan ne nabi ki dawat ko jhutlaya tu Allah ne konsi makhlooq ko quran sunwaya?

kin key amal zaya hoon gey qayamat key din?

Surah Muhammad se log itne naraaz kyoun hote hian? agar hum Allah ke deen ki madad karein tu Allah jawab mei kiya de ga

kin 4 qism ki nehrein jo jannat mei bahein gi? munafiq nifaq waali suratoan ko sun ker kiya rawayya ehtyaar karte the? quran mei tadabbur se murad aur kiya milta hai/

agar Allah hum se saara hi maal maang rahe tu hum kiya karein ge? shar mei khair kaise aati hai? Nabi ki zindagi se iss ke dalaeil

sula hudaibiya fathe mobeen kaise thi? bait e rizwan kiya thi aur iss ke karne waaloan ke darje?

jangoan ke waqt peeche rehne waale fatah ki soorat mei kiya bahane karte aage aana chahte hain? Allah ne nabi ki madad kaise ki? hameeyatul jahiliya se kiya muraad?

Nabi saw ki aamad ka kiya maqsad - aaj hum kaise uss mei hisse daar? sahaba ki konsi khoobiyoan ka tazkara torat aur injeel mein/

surah hujraat may muasheray ko senwarnay kay liay kia adaab sikhaye gaye?

iman ko seene mei sajana iss se kiya muraad hai? momin, momin ka bhai hai - aaj iss pe amal kaise?

murda bhai ka gosht khana - isss se kis cheez ko tashbeeh di gayi? khandaan baradari ko aala samajhna islami hai? hamari zuban se jo lafz nikalta ahi kiya likh liya jaata hai ya chor diya jata hai?

qayamat ke din Allah jahannum se kiya pooche ga, wo kiya jawaab de gi?

: surah zaariyaat ka bunyadi nuqta musalsal mehnat kyoun hai?

Alhamdullillahi rabbil aalameen - 6 jaga hai Quran mei

fatiha 1, anaam 45, yunus 10, zumar, suafaat 182, gaafir 65

********Surah Al Ahqaaf***

Aya 1-4

Aya 5-6

imaniat e salasa ka difa

1. logoan ne Allah ke baare mei galat tassavur rakha tu be deeni

2. - rasool ka muqaam badla tu be deeni

3. waja gumraahi ki - akhirat ke baare mei galat andaaza

4.- duniya ko kamra imtehaan samjhe begair fun ki jaga samjhi

be deeni aur be amli ki wajoohaat yeh 4 points hein

log kyoun gaafil - kyounke zindagi mei quran nahi hai?

duniya ke har mazhab ki ilhaami kitaaboan mei inn sab ka ishara milta hai

duniya ka her mazhab aj bigra howa mazhab hai , kisi bhe pichlay nabi kay followers ka

Aya 7-9

ye sawal qabar mein poocha jaaye ga ke man rasooluka?

highlight aya 9 قُلۡ مَا كُنتُ بِدۡعً۬ا مِّنَ ٱلرُّسُلِ وَمَآ أَدۡرِى مَا يُفۡعَلُ بِى وَلَا بِكُمۡۖ إ

Rasool khud nahin jaante the ke un ke saath kia mamla ho ga akhirah main bas wohi jo Allah ne un ko bataia

Ayat 10

kyoun taa'sub mei par ke jhutlaate ho?

Aya 11

takabbur bhara jumla/- poorana jhoot kiya

ke haan ye tu Adam a.s se chal raha hai

qaafla nabuwwat adam se shuru ho ke Nabi s.a.w pe khatam hua

Sunnat=sunna=puraani cheez

Ayat 12-13

Ayat 14

Asal cheez istaqamat hai

ilm haasil karne se bara sabar amal ka sabar hai

Ayah 15-20

waaldein key saath rawwaya

sab se ikhlaaq uss se dikhta hai jis pe zor chalta ho insan ka

maa baap boorhe hoan jab bache jawaan ho chuke hoan aur bad tameezi kare tu unn ke dil bujh jaate hain, uff kehna bohat halka lekin ye bhi nahi keh sakte

aaj ka culture ke ehsas dilaate hain ke waledein kuch nahi keh sakte

ye islam bohat khoobsurat - iss ne iss rishta ka ehsas dilaya

aulad ki muhabbat aisi ke jaise aap unn se muhabbat karte hain waise bache aap se nahi karein ge

****jo acha insan ho. acha banda ho Allah ka - wo achi aulaad ho ga*****

maa baap se alag rahein tu hamare bache khidmat karte hame nahi dekhein ge apne waledein se,tu kal wo hame wohi sab kaise dein ge?

40 saal ki umer - poore shaoor ki umer,jis ko iss umer tak hidayat na mile tu phir milni mushkil

رَبِّ أَوۡزِعۡنِىٓ أَنۡ أَشۡكُرَ نِعۡمَتَكَ ٱلَّتِىٓ أَنۡعَمۡتَ عَلَىَّ وَعَلَىٰ وَٲلِدَىَّ وَأَنۡ أَعۡمَلَ صَـٰلِحً۬ا تَرۡضَٮٰهُ وَأَصۡلِحۡ لِى فِى ذُرِّيَّتِىٓۖ إِنِّى تُبۡتُ إِلَيۡكَ وَإِنِّى مِنَ ٱلۡمُسۡلِمِينَ (١٥ dua

uquqool waadein(waaldein kee naanfarmaani) esa gunnah jis kee saza Allaah dunya mein bhee detey hein aur aakhirat mein to hey hee

subhanAllaah

qura'an kee kirnein......ghar bachaao

Aya 21 onwards

wo waqiya jis ki waja se surah ka naam -

kon Rabb tha - pehle sawaal qabar ka

har dor ke nabi ne yehi message diya ke La illaha illallah

iss liye sheytaan ne aaj shirk mei daal diya

shirk e tawheed/islam ke account ko close kar deta hai

Aya 22

iman bil akhira

Aya 23

Allah pe baat daal dein - khoobsurat tareeqa

Ayah 24-26

duniya ki taraqqiyaan jo ALLAH ki nafarmaniyoan se hoan tu sab zaya ho jaata hai,qoomon ki nafermanii main yahi haal hota hai

Aya 27-28

HIGHLIGHT فَلَوۡلَا نَصَرَهُمُ ٱلَّذِينَ ٱتَّخَذُواْ مِن دُونِ ٱللَّهِ قُرۡبَانًا ءَالِهَةَۢۖ

Kin ko Allah ka qurb paane ka zariya samajhte hain? naik log? buzrug?

sab kho jayein ge qayamat ke din aur ye unnko dhoond rahe hoan ge

mushrik ke saath Allah ka intaqaam - dil mei aa jaata hai ke mila unnhi buzurghoan se/qabroan sey

kaise wo qabar mei pare log hamari baat sun sakte hain? kaise maante hian ke wo parda mei hian aur zinda hain? wo kitni gehraayi mei, kitni cheezoan mei hain - agar jaag bhi rahe hain tu sunte kaise hain?

mun Rubuka/mun rasooluka/mun deenuka,kal qabar mei pakre jayein ge agar imanayaat-e salasa darust nahi karein ge

mushrik but ke aage khare kehte the ye Allah se le ke dete hain,yehi tu shirk hai

Aameen

Astaghfirullah

Ayah 29 onwards - jinnoan ki baatein

taaeef ke safar se waapis aa rahe teh Allah ke Nbai s.a.w jab ye waqiya hua

paidal Nbai s.a.w aur hazrat zaid wahan gaye, ke logoan ko Allah ki taraf bulayein

koi nahi maana,aubaash larke Nabi ke peecha lag gaye - pathar maarne lage

bojhal dil waapis aaye aur dua e taeef zuban pe thi

kabhi halaat tang lagein aur sab darwaaze band - tu dua e taif parhein/dua e taif ???

Allah ne jinoan ki jamaat ko bheja kioon key insaanoon nein nahin suna

jin jaante hain quran parhte sunte khamosh rehna hai....manner

khaamoshi sey suna,pehle hi din dawa - suna aur qom ki taraf palat gaye batane ke liye

*********ye kitaab khud tak rakhne waali hai hi nahi*******

aik aik qadam / aik aik lafzlikha jaata hai/Allaah ajar zaya nahin kertey

Ayat 30

jinnoan ki baat surah jin mei aaye gi detail mein

Aya 31

ho hi nahi sakta ke hame kisi baat ka maza aaye aur kissi ko na bateyin

agar dil mei tarap nahi tu kami hai apne imaan mei

hamari be amli aur rukha pan hame doosroan ko batane se rokta hai

kisee kee hidayat kee tarap nahin aaee to hamein sahee hidayat nahin mili ubhee

Ayah 35 - Nabi s.a.w ko tassalli

balaag - baat pohancha di gayi, fareeza rasalat poora ho gaya,hujjat poori ho gayii

HIGHLIGHT - Ayat e Taddabbur - Ayah 35

فَٱصۡبِرۡ كَمَا صَبَرَ أُوْلُواْ ٱلۡعَزۡمِ مِنَ ٱلرُّسُلِ وَلَا تَسۡتَعۡجِل لَّهُمۡۚ كَأَنَّہُمۡ يَوۡمَ يَرَوۡنَ مَا يُوعَدُونَ لَمۡ يَلۡبَثُوٓاْ إِلَّا سَاعَةً۬ مِّن نَّہَارِۭۚ بَلَـٰغٌ۬ۚ فَهَلۡ يُهۡلَكُ إِلَّا ٱلۡقَوۡمُ ٱلۡفَـٰسِقُونَ (٣٥)

kia hamarii aadhi naikiyan akhrat main kaafii hon gi?

aaj quran ka noor chamka tu ehsas hota hai gunahoan ka

ACTIVITY: Aaj ke iss para ne mujhe kiya diya?roz para sun ke 1 dafa likhein

apne iraade likh lein,

musalsal quran se jure rehna hai - ye zindagi ka dora hai - phir hi saaf rahein ge

*** Surah Muhammad ***

47Tarteeb/95th Nazul,Madni

Pyaare nabi ke naam pe ye surah

say darood plz

aik aur naam: suratul qitaal

Theme: Khabtae Amaal

jannat ki 4 nehroan ka tazkara

peghaam: Nabi ke mission ka saath bano, nehroan ki tarah behte amal karo tu Allah jannat mei nehrein de ga iA

Aya 1

is main wo ahkaam milain gae jo her commander apnae troops ko daita hai

Ayat 2

sacha iman insan ko kia daita hai?

: iman kis pe lana hai - wo jo naazil kiya gaya Muhammad s.a.w pe,al- quran - wal hadees

mile ga kiya:?

Allah buraiyoan ko door kar dein ge

dil tu badal gaya, ab amal tu badal lo

Aya 4

torture nahi karna,zakhmi kar ke chorna bura hai

nabi saw ko sabar karte 13 saal makkah aur kayii sal madina mei,tub kaha jaa raha hai tu dushman ko zulm o sitam pe ab aise nahi chorna

agar dushman dil main dushmanii rakh ker baithae hain to is ka yae matlab nahin kae un ko chor do magar zulm na karo

zaalika - yehi karne ka kaam hai

Allah nabi ko keh rahe hain dushman ko takleef mei na choro - seedha sar pe maaro jis mei islam ke khilaaf batein peida hoti hain aur phir phelti hain

Aya 4-6

pichle anbiya ki qomoan ko aasman se aaye azaab ko mara gaya

makkah waloan se aisa na hua ke e zyada log the aur nasloan mei khair thi - Allah nabi aur sahaba ko izzat dena chahte the ke ye bad logoan ko maarein

pichle nabiyoan ka tazkara kam aur sahaba ka zyada ke mission mei takmeel ki , saathi bane

aas paas waloan ko Allah moqa dete hain taake rehti duniya tak tazkara ho aur sawaab jjariya

phir Allah ke waade - ,piyari jannatein

HIGHLIGHT Ayah 6

وَيُدۡخِلُهُمُ ٱلۡجَنَّةَ عَرَّفَهَا لَهُمۡ (٦

pehchaan lein gey kioon key quran mnein pehchaan karraee

Aya 7

hum le aaye madad?sabit Qadmii Allah ka inaam aur madad hey

Aya 8

aemaal ka zaya hona - computer mei virus aur sab khatam, aik buttoan se poori files deleted

وَأَضَلَّ أَعۡمَـٰلَهُمۡ (٨ Allah ke liye mushkil nahi kuch zaya karna

Abdullah bin ubayii sun 2 hijri mei musalaman hua badar ke baad, tabooq ke baad faut hua

5 waqt ka namazi masjid mei, us dor ke munafiq bhi namazein parte the, kyounke na aate tu shor mach jata tha

2 tarah ke log hi ghar rehte the namaz se - bemar ya wo jinka nifaq khul chuka hota

jangoan mei bhi jata tha abdullah bin ubayi

Allah ko koi parwaah nahi hamari naikiyoan ki agar kabeera gunah mei par gaye
Allah amal zaya kar dete hain - aqeeda mei kharaabi se

Ayah 9 -HIGHLIGHT - Ayat e Tadabbur

kyounke innhoan ne usse na pasand kiya jise Allah ne nazil kiya

بِأَنَّهُمۡ كَرِهُواْ مَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ فَأَحۡبَطَ أَعۡمَـٰلَهُمۡ (٩)

nabiki amad ka maqsad - mission ki takmeel

aaj nabi ki sunnat mei naat parhni asaan, nabi ki sunnat mei daari rakhni mushkil

Allah chahte hian hum Nabi ke tareeqoan pe amal karein

kahi mei tu deen e islam ko na pasand nahi karti?

Allah chahta hai kae bandae nabi saw ka etareeqon ko pasand karain

Ayah 10-11

uhad ka waqiya yaad karein

ke dost tu Allah hi hai mominoan ka

Ayah 12

makkah mei log paani ko taraste the

door paharoan se laate

unnko baar baar jannat ki nehroan ki baat

jo jis jahan nahin hoti wahan usi cheez ki qadar hoti hai

HIGHLIGHT - Wallazeena kaafaru...

وَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ يَتَمَتَّعُونَ وَيَأۡكُلُونَ كَمَا تَأۡكُلُ ٱلۡأَنۡعَـٰمُ وَٱلنَّارُ مَثۡوً۬ى لَّهُمۡ (١٢)

reh tu rahe hain janwaroan ki tarah aur hisaab insanoan ki tarah

roti, kapra,makkan hi zindagi ka maqsad samjha

kufr ke kayii darje - shak bohat bara kufar hai

ajeerun zindagii jub shak dil main hota hai

aadha deen dukh deta hai

hum kabhie khush ho ke amal nahi karte

sahaba ki khoobi thi ke quurbaniyoan ke waqt bhi chehroan pe muskurahatein
Aya 13

َكَأَيِّن مِّن قَرۡيَةٍ هِىَ أَشَدُّ قُوَّةً۬ مِّن قَرۡيَتِكَ ٱلَّتِىٓ أَخۡرَجَتۡكَ

kiya guzra ho ga Nbai ke dil pe jab nikaale gaye the apni basti se

qurbaniyaan eni parti hain - phir hi khair aati hai

1 saal baad badar ke moqa pe wo maare gaye,jinhoan ne hijrat ki raat darunadwa mei beth ke Nbai saw ke khilaaf planning ki thi

Ayat 14-15

jannat ki 4 nehrein ka zikar

najaane kiya sadaqa jariya ke kaam kiye ke janat ki nehrein jaari ho gayeen

Rawayat: qayamat ke din baaz dafa bande ke naam pe itni naikiyaan hoan gi ke wo yaqeen hi nahi kare ga

jo paani ki nehar chala sakta hai wo doodh aur shehad ki nehar bhi chala sakta hai

Ayah 16

pehle tawajju se nahi sunte

tab banda sun ke bhi nahi sunta

aur koi matlab ka lafz kaan mei parr jaye tu poochte hian kiya kaha jaa raha hai

thappa: sun ne aaye phir bhi na suna

waha beth ke bhi duniya ki batoan mei khoye rahe

Ayah 17 - HIGHLIGHT - وَٱلَّذِينَ ٱهۡتَدَوۡاْ زَادَهُمۡ هُدً۬ى وَءَاتَٮٰهُمۡ تَقۡوَٮٰهُمۡ

Din ba din zyada hidayat

jab waqt ko Allah ki raah mei lagate hain tu ye barhta hai

same with money, skills

profit aata hai hidayat ki soorat mei

hamara waqt aur skills profitable buisness hai

Allah hum khud bhi hidayat pe rahein aur doosroan ki hidayat ke taraf laane ke zimedaar - Ameen

Ayah 18-20

baaar baar iman waloan i baat

munafiq darta jab ke momin intezaar mei hota hia ke jihaad kare

momin jang kae hukm ka intezar kerta hai aur munafiq is see darta ahi
******bachoan ko raghbat dilayein - chocolate milk ki behrein etc!!!!!!!!!!!!!!!

Ayat 21

HIGHLIGHT – Tua’atun wa qaulun

طَاعَةٌ۬ وَقَوۡلٌ۬ مَّعۡرُوفٌ۬ۚ code word

baatien bohat lekin amal ke moqa pe peeche peeche

jab kabhie baatein karein bari bari aur amal ke waqt mei khaali tu - tuatun wa qaulun maaroof

Ayat 24 - HIGHLIGHT - Ayat e tadabbur

أَفَلَا يَتَدَبَّرُونَ ٱلۡقُرۡءَانَ أَمۡ عَلَىٰ قُلُوبٍ أَقۡفَالُهَآ (٢٤

dubur=doobna= kisi cheez ke peechay lag jana

zindagi guzaarne ka tareeqa aaye ga jub is qura'an mein doobein gey

jo log quran pe gor nahi karte tu qufal laga lete hain - locks

Aya 25

: hidayat paane ke baad palatna ,aisa kyoun hota hai?waja sheytaan hota hai

Aya 25-26

Allah ka nazil karda deen - 3rd time ye baat aa rahi hai iss surah mei

Aya 27-28

is parae main jo cheez """Allah nain nazil ki ""ka bohat zikr hai

nahi acha laga Rabb ka tareeqa? tu palta diye gaye

daura quran paani ki tarah hai,aur paani pe koi nahi chal sakta

amal ko pukhta karna hai tu rait daalte jayein aur bunyaad mazboot karein - naikiyaan daalte jayein aur ilm se jure rahein

Aya 28 - aemaal zaya huey

kitne ghaam ka waqt!!!,mehnatein kar kara zaaya

Aya 29-30

Allah khete hain munafiqoan ka dil khol ke dikhaon u nifaq saaf dikhta hai

style of talking aise logoan ka - meethi meethi baatein magar amal zero - bahane

Aya 31

dil ke halaat jaancha liye jayein,aur dekh lein ke mujahid aur sabit qadam kon ?issi liye aazmaaye jaate hain

apna ahtesaab khud kerna hai!!!!!!!!

sabit qadmi: jo kahien wo nibhaein!!!!!!

Aya 32

kufr=nashukrii ki,Allaah kee raastey sey roka,leadership per aieteraaz

wo Alllah ka koi nuqsan nahin ker sakey balkae Allah nain un ka sub zaya kerdia

Aya 33

ub imaan waaloon ka zikar

deen ke kaam pe security code: dil ki khushi

Aya 34

gin gin ke bataya jaa raha hai kon bakhsha jaaye ga, kon nahi

Ayah 35 - susti choro

duniya ki muhabbat choro, dil ka waham tatolo - kiya hai? maut nahi yaad? susti hai?

commitment kar len - - deen ke liye buri aadatein chorni hain iA

pichli baatoan pe na jaao,kufr pe sulah na karo,purani muhabbatein dil se na niklein tu nayi muhabbatein nahi aateen

ye hai tubdiloo amaalakum - amal se hat-te hat-te waapis peeche

Highlight وَٱللَّهُ مَعَكُمۡ وَلَن يَتِرَكُمۡ أَعۡمَـٰلَكُمۡ

: Allah keh rahe hian aakhir mei nahi - nuqsan nahi ho ga aemaal mei

Allah qadar daan ahin

Aya 36

agar duniya lubhati hai - yehi pichli dostiyoan ki taraf le jaati hai tu jaan lo ke ye tu khel aur tamasha hai

iman le aao, taqwa ki rawish rakho

Nabi saw ki Hadees: kabhie wo shakhs gareeb nahi ho ga jis ne mayana rawi ikhtiyyaar ki

taqwa pe rahein - mayana rawi - chahe deen mei ho ya duniya ke muamalaat mei!!!!!!!!!!!

Aya 37

Agar dil mei bukhal hai - deen mei kuch lagana mushkil lagta hai tu iss ayah pe gor karein!

jis din 100% zakat deni pare gi tu saaf pata chal jaaye ga - khot khul jayein ge!!!!!!!!!!!!!

Aya 38

Maal Allah ke deen mei lagaao - andhere door karne mei lagaao - quran ka ilm pehlaane mei lagaao

samajhne ki zaroorat hai - jo hum deen mei bukhal karein tu apni zaat se hi bukhal hai!!!!!!

Allah ka waada hai - Allah ki raah mei aaj dein - kal doogna tigna paayein ge

mei paisa na lagaoon tu koi aur laga le ga

yusaarioonal fil khairaat and saabiqul awaloon banna hey inshaAllaah

**** Surah Al-Fath ***

48thTarteeb/111th Nazul - Madni

Theme: sakeenat

LEADERSHIP KEE QUALITIES

Ayah 1-5----unusual aagaaz

Nabi saw makkah se hijrat kar ke madina aaye, 6 saal guzar chuke the, Khawab se Nbai ko Allah ne dikhaya ke umra kar rahe hian, tu Aap ne sahaba ko subah bata diya ke tayaari kar lo

bohat khushi ki baat thi sahaba ke liye, tayar ho gaye, Nabi saw ki koi jang ki niyyat nahi thi, sirf bachaao ka samaan liya aur chal pare

Makkah waloan ki rawayat mei tha ke hajj o umra karne aane waloan ko nahi rokte the, lekin Nabi ka lashkar ko dekh ke yehi kaha ke aap larayii ke liye aayein hain, hum nahi aane dein ge, hudeibbiya ke muqaam pe rok diya gaya un ko

Usman gani r.a gaye - khabar mili wo qatal ho gaye, sahaba ko jama kiya aur kaha bait karein ge, bait e rizwan, ke ab jo bhi ho - hathyaar tu hain nahi lkein usman ke qatal ka badla lein ge aur jang, ambassador ko qatal kerna bohat barii baat thi

Allah ne apna hona zahir kiya ,ye sahaba ka test tha,sahabah poore utrey, sirf khushiyoan ke satahi hain ya jaan maal waqt laga sakte hain

pata chala Hazrat Usman theek hain, ab muahida karne ko kaha makkah waloan ne, jo 1 sided tha - musalmanoan ke liye zulm, Nabi saw maante gaye

Umer r.a ko gussa aa gaya, Nbai saw ne sabar ko kaha - iss mei fatha hai, Nabi s.a.w ne sharaaiyat ko mana liya, jis mei 1 ye thi ke iss saal waapis jayein,

10 saal tuk dono fareeqein mei jang nahi ho gee- Nabi s.a.w nein maan liya

Nabi saw leadership pe qaeim rahe – humble, maan liya aur palat gaye

ehraam utarna aur qurbani karni thi, hukam diya tu wahid muqaam jaha sahaba hile nahi, Nabi saw ke dil pe itna bojh - aap dukhi huey

waapis aaye ander umme salma ke paas dukh bataya ,kaha aap jaa ke ehraam kholein, aur waqiye mei aisa hua Nabi ke karne pe josh phel gaya aur sahaba bhi wohi karne lage

makkah se wapis madina ki taraf safar shuru hua aur ye surah nazil hui!!!!!!!!

Makkah waaloon nein 2 saal baad shart tor di, tu Nabi saw aik lashkar ko le ke hamla ke liye gaye, Allah se dua ki ke unnko pata na chale

10,000 ka lashkar tha nabi key sath,paaoon parne waali baat - Abu Sufyaan paao pare,begair teer talwar toote makkah fatah<<

Allah ke faisle maan lein tu fataah

biginning of the end - Fatah e Makkah

sakeenat: sakoon aur itmenaan e qalb jo mushkil halaat mei ho

deen ke kaam karne waloan ko thehraao, sakoon chahiye hota hai, nahi tu deen ke kaam mei mushkil

Nabi ke baad leadership kisse mili?leadership qualities Umer r.a ke paas theen - sharp they,lekin leader Abu Bakr bane kioon?- sakeenat kee waja sey

Ayah 8-9

pehla darja: iman, doosra darja: saath dena

3.phir tazeem o tauqeer karo, 4.aur zaati ibadaat se gaafil na ho,

4.duaein karo

Aya 3-5

har shar mei se khair nikalta hai - jaise har raat ke baad din

jab tak Allah ki taraf ke faisle jo nafs pe bojhal hoan unn ko qabool na karein tu khair nahi aati

Allah dhachke lagate hain hame bedaar karne ke liye

deen chahiye tu khud logoan ko aage laana parta hai

Ayah 7-9

hamari izzat hai deen ke kaamoan mei/Allaah aur nabi ko hamaree zarrorat nahin

hamara honor Allah kae deen kae rastae main nabi saw ka sath daina

tazeem o tauqeer bhi laazmi hai Nabi ki, lekin taqdees nahi karni!!!!!!!!!

Ayah 10 - Bait e Rizwan

sakeenat ka aala muraqqa aur namoona :Sahaba ikraam

islamic history: nursery of heroes

sahabah sirf aam dinoan mei nahi, mushkilaat mei bhi saath dete the nabi ka

ghar se door the nabi, umra ke liye nikle, nahatte - koi hathyaar nahi, dushman ke ghar ke paas, aur bait ke jang bhi karein ge, same'na wa aata'na - suna aur maan liya

iiss safar mei koi munaffiq saath nahi tha,>>>>>>waja: madina se umra karna makkah aise tha jaise aaj bait ul maqdas dekhne jayein

ashaab e baite rizwan inn sahaba ko laqb mila!!!!!!!!!!!!

bait : pledge

larne ka ehad kiya lekin larna nahi para

naiki ka moqa bhi har aik ko nahi milta, aur moqa mile tu sheytaan khayaalaat daalta hai

lekin Allah ne koi jang nahi lagaayii, lekin ajar e azeem de diya

Ayah 11 - HIGHLIGHT peeche rehne waaloan ke halaat -

سَيَقُولُ لَكَ ٱلۡمُخَلَّفُونَ مِنَ ٱلۡأَعۡرَابِ شَغَلَتۡنَآ أَمۡوَٲلُنَا وَأَهۡلُونَا فَٱسۡتَغۡفِرۡ لَنَاۚ يَقُولُونَ بِأَلۡسِنَتِهِم مَّا لَيۡسَ فِى قُلُوبِهِمۡۚ قُلۡ فَمَن يَمۡلِكُ لَكُم مِّنَ ٱللَّهِ شَيۡـًٔا إِنۡ أَرَادَ بِكُمۡ ضَرًّا أَوۡ أَرَادَ بِكُمۡ نَفۡعَۢاۚ بَلۡ كَانَ ٱللَّهُ بِمَا تَعۡمَلُونَ خَبِيرَۢا (١١)

jo saath nahi gaye the - iman tha lekin dushman ke mulk jana nahi chahte the, yehi waqt tha batane ka ke maal aur waqt pyara ke Allah ka deen

rahe nahi gaey - chor diye gaye

deen ke naam pe commitment kr ke hatna - bohat bara sadma ka muqaam hai - lekin hun samajhte nahi

taqdeer ki chaut aa jaaye tu kiya karo ge?

Ayah 12 - HIGHLIGHT -

بَلۡ ظَنَنتُمۡ أَن لَّن يَنقَلِبَ ٱلرَّسُولُ وَٱلۡمُؤۡمِنُونَ إِلَىٰٓ أَهۡلِيهِمۡ أَبَدً۬ا

Gumaan:rasool aur sahaba lutein gey hee nahin

Aya 13

na karo deen ke kaam - tu akhir mei kiy amile ga?bharaktee huee aag

Ayah 15 - 17 sun hijri - khaiber

mushkiloan ke saath tu nahi - haan khushiyoan ke saath

kaha theek hai le jayein ge,banu ghaffan aik qabeela, unn se larne ko kaha?phir heeley baazee

Ayah 18-19 - Allah swt ki raza mominoan ke liye

Aameen

Allah ki raza = asal meeraas

deen ka kaam darakht ke neeche bhee hua

kaam karne waale darakht ke neeche kaam kar ke jannati ban rahe hian - humare paas itne resources lekin kaam nahi karte

sakeenat : dil ki wo kaifiyat jis ki bina pe aik shakhs kisi bare maqsad ke liye thande dil aur sakoon o itmenaan se khud ko khatre ke moo mei jhonk deta hai

kissi khof aur ghabratahat ke begair wo kaam kar leta hai ke ye kaam tu karna hi hai

sahaba jame aur saath hi khush khabriyaan

Umer r.a ke dor mei log maal le ke phirte the ke kahin laga lo/qabool ker lo

Aya 20

asal bat sahih neeat ki hai,Allah ka waada

hudebiya kal fatah makkah mei badle gi

hudebiyat kal fatah makkah mei dale gi,lekin wo uss waqt nahi jaante the jab darakht ke neeche bethe bait kar rahe the

Aya 22

jahan iman walon ka zikr wahan hi nifaq walon ka bhi zikr

Allah ne madad ki

Aya 23-25

sab Allah ke faisle - bus wo hame dekhna chahta hai

Allah ki madad aati hai agar tawheed pakki

Allah ki madad iman ki mazbooti kae sath hi atii hai

auratoan ka zikr ub

jung kioon naan huee?hudaibya ke moqa pe jang na hui ke abhi kuch musalman they waha jinhoan ne apna iman nahi show kiya hua tha

Tadabbur: kuch log qomoan ke naseeb badalwa dete hian !!!!!!!!!!!

kamzor iman wale kuch momin poore globe ke musalmanoan ko marwate hian!!!!!!!!!!!

Aya 26

jahlana hamiaat==baap dada ki rawayatain,

sakeenat==sabar aur waqaar

sahaba itne aggressive lekin jame rahe, sakeenah ki waja se

sahaba se zyada controlled giroh koi nahi tha - wo nabi ke nahi, qanoon ke paband the

Aya 27

khawab ka zikr

musalmanoan ke dil mei khatka tha ke khawab tha ke tawaaf kiya, tu shak par gaya leadership mei

kaha nahi tum zaroor masjid e haram mei daakhil ho ge, agle saal aisa hua

poocha umra karein ge aap ne kaha tha tu kyoun nahi kiya?Aap ne farmaya ye tu nahi kaha issi sal karein ge

phir agle saal kar liya sahaba ne umra

Ayah 28-29 - Ayaat e Tadabbur

: Nabi s.a.w doosre deenoan ko khatam karne nahi aaye

elimination nahi balke dominance

Hazrat Mohammad s.a.w aur unn ke saath aur un ki khoobiyaan

kuffar pe sakht

bad tameez nahi

na khof se dabte na lalach se khareede jaate

rule ko mana-na, chahe jaan chali jaaye

2) aapas mei raham

muamaloan mei naram, shafiq, gham gusaar, hum rang

aik co ordination

sahaba hum rang thae, asooloan ke paband

3) ruku aur sajood, nafil kasrat se parhte

4)Allah ka fazal, na ke duniya ka maal

Allah ki hi khushnoodi na ke Nabi ki

: 5) sajdoan ke asraat chehroan se dikhte hain

chehroan pe aajzi.andaz napa tula chalne ka, khane ka, peene ka,

alag se hi pehchaane jaate hain,prominent log

Khuda tarsi,husne ikhlaaq,khairul khalaaiq

ذَٲلِكَ مَثَلُهُمۡ فِى ٱلتَّوۡرَٮٰةِۚ saahaba ki qualities jo tauraat main bhi hain

وَعَدَ ٱللَّهُ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَـٰتِ مِنۡہُم مَّغۡفِرَةً۬ وَأَجۡرًا عَظِيمَۢا

aaj bhi wohi waade agar koi yaqeen karna chahe
Yüklə 154,76 Kb.

Dostları ilə paylaş:




Verilənlər bazası müəlliflik hüququ ilə müdafiə olunur ©muhaz.org 2024
rəhbərliyinə müraciət

gir | qeydiyyatdan keç
    Ana səhifə


yükləyin