Surah Mulk mei Allah ki rabooboyat/tawheed/pakar ka zikr
sab se pehle new muslim ko Allaah ka taaruf karwaain
Questions in surah mulk:
zindagi aur maut ka maqsad kiya hai?
kainaat jab itni khoobsurat tu kainaat mei phirne waale ko kitna haseen hona chahiye?
jahannum ke daaroga logoan se kiya poochein ge ke jis ke jawaab mei log kahein ge kaash hum sunte?
Allaah ki pakar se be khof kon?
kiya seedhe raaste pe chalne waala ya ulta chalne waale barabar hote hian?
“Surah Qalm “
Qalm ki ehmiyat
Dawat illah mei iss ki bohat ehmiyat hai ke pehle khud istemaal karein, phir seekhaayein
taleem aur ta'lum se taaluq
questions:
1) khuluqin azeem se kiya muraad hai? 2)muqazzebeen ki kiya khawahish hai
3. takabbur karne waaloan ko Allah qayamat ke din kis tarah daagh lagayein ge
4.baagh waalon se kiya seekha?5. qabroan se nikalte waqt logoan ka kiya haal ho ga?6. Yunus a.s ne pachli ke pait mei Allaah se kiya baat ki?
*****Surah Haqqa********
Theme: Qayamat
iman bil akhira
questions:
1) jab azaab aya tu wo kate huey darakhtoan ki tarah zameen pe pare huey the?2. . hazrat Nooh as ki kashti ko kis tarah Allaah ne hamare liye nishani banaya
3.kitne farishte Allaah ke arsh ko uthayein hoan ge? dayein haath mei Aemaal nama pakre huey kiya kahe ga? bayein haath waale ki hasrat kiya ho gi?
quran naseehat kin key liye
nabi koi baat apnee teref sey kehtey to kiya un kee bhee pakar hotee
“surah al-maarij”
deen ki bunyadi baatein
“Surah Nooh”
Dawat illah ke raaste ki mushkilaat
deen ke liye niklo ge tu sataaye jaao ge
tauba istaghfaar kee baatein
questions:
Hazrat nooh ne kitne saal tableegh ki? tableegh ka haqq kaise ada kiya? istaghfar ke fawaeid?
Nooh as ki kis dua ke baad qom pe azaab aaya? waledein aur aulaad ke liye konsi dua Nooh a.s ke zariye sikhaye gayi?
************: Surah Jinn**********
bohat nahi suna lekin maan zaroor liya/jinnon ko sunwa diya Alaah nein
questions:
quran ko kis ehtamaam se nazil kiya gaya aur hamara iss se talluq kiya hona chahiiye?
kiya jinnoan ko bhi jannat aur jahannum mei bheja jaaye ga?
“Surah Muzzammil aur Surah Muddassir”
dayii deen ka kirdaar/ Nabi saw ki raat ki ibadat ka zikr/ Taluq billaah/ hajran jameela se kiya muraad?
kia sari raat ibadat ya kuch hisa raat ka(muzamal)? kis shaks nain nabi saw ki baat sun ke rtaiewarii charhaiii?
“Surah muddassir”
zahri tahaarat/logoon mein kesey rahey
kis nein NABI KEE BAAT SUN KER TEWREE JCHARHAAEE
jub jahanumi jahanum main jayain gae to is ki kia wajah batayain gae?
“Surah Qayamah”
logon ka zameer jagaoo/ nafasae Lawamaa' ka zikr/ duniya aur akhrat ka taqabul
DUNYA AUR AAKHRAT KAA TABADUL
MAUT KEE SAKHTI
“Surah Dahar”
jannat ka zikr/ jab dawat illallah do tu jannat ki baatein bhi bataao ke kiya hai aur kin ko mile gi
questions
jab log satayein tu kaise sabar ka daaman thaama jaaye?
surah mursilaat******** - jahannum ka zikar
******Surah Mulk*****
67 Tarteeb/77 Nazul- Makki
Allah ki baadshahi ka tazkara
tawheed ke noor se bhari hui,Allaah kae muamlaat is main
kia mujhae is ka ahsas hai kae Alalh ka muqaam hai?
Zindagi ka maqsad: aazmaaish
maqsad na janein tu wo kaam kaise karein ge?
aazmaaish: duniya ke stage pe reh ke kiya karte ho????
duniya ke status ko barhaane ke liye hum kitne imtehanaat dete hain--akhirat ke aik imtehaan ki tayaari nahi?
duniya mei wo sab karna ahi jo Allaah ko acha lage - yehi syllabus hai zindagi ka jo quran o sunnat mei hai
har naiki kar ke Allaah ko pakrana hai - rayakaari nahi
momin duniya ko jab imtehaan ki jaga samjhe tu khana peena, fun, boring jaise alfaaz zindagi se nikal jaate hain
momin is duniya ko kamrae imtehan samajhtae hain
duniya mei imtehaan ki zindagi choti - asal khushi uss ke baad hoti hai - iss duniya ki zindagi asal nahi class room hai - intezar ka marhala qabar mei ho ga,aur nateeja qayamat ke din
imtehaan ke kamre mei jitna time mile, uss se zyada chahte hain - issi tarah Allah keh rahe hain jitni zindagi mei paband time mila tu maan lo
: ahsan amal ki 2 sharait: ikhlaas; Allah ke liye ho, Nabi s.a.w ki sunnat ke mutaabiq ho
har bara, chota amal qayamat ke din sunnat ke criterion pe parkha jaaye gaa
duniya ke sab test mukhtalif, kahin sabr, kahin mehnat, kahin khauf
Nabi saw ne farmaya ye duniya momin ka qaid khana hai aur kaafir ke liye bhaagh hai
kia main nain ajj tuk zingdagii ka maqsad samjha?????????
Aya 3
kainaat kis tarah apne imtehaan mei kamyaab - ye khushi se har itaa't qabool kiye huey hai aur kamyaab!
wohi kaam bachey gaa jo ahsan tareeqa sey kiya gaya ho
Aya 4
ahsan kaam bachae ga,naqis kam lota dia jayee ga
imam bukhari ki kitaab aik shakhs ne comment diya ke jaao is bukhari ko dekho - koi fatoor dikhta hai tu dobara palto, koi naqs nahi mile ga
Ayah 5 - sirf kaam hi ahsan nahi balke zeenat bhi
kainaat mei zeenat bhi hai lekin maqsad ke saath
sitaaroan ke kaam bata ke bata diya ke jo 3 kaam sitaaroan ke: khoobsurti, raasta dikhate hein, sheytaan ko bhagaate hein - yehi 3 kaam Quran bhi karta hai
Aya 6-8
HIGHLIGHT أَلَمۡ يَأۡتِكُمۡ نَذِيرٌ۬ - KOI NAHI AAYA THA?
Ayah 10 - HIGHLIGHT - Ayat e tadabbur-----jawaab KOI NAHI AAYA THA?ka
pehli mei parho Rabb ke naam ke saath, aur doosri mei qalam ka zikr
Aya 1-3
baaz kehte hain taqdeer likhne waale qalam, baaz kehte hian wahi likhne waale,baaz kehte hain duniya ka har qalan deen air duniya ke ilm ke liye istemaal hone waale qalam
deen ki mehfil mei qalam zaroor haath mei rakhein!!!!!!!!!
Nabi ko keh diya ke aap majnoon nahi hain aap fikar naan karein
Nabi ne kitne saal qurbainiyaan deen deen ke liye - 23 saal ----aya 3
aaj tak Nabi saw ke liye ajar likha jaa raha hai
Aya 4
ikhlaaq: aadat pe jamna,: khulq= purana hona
ye waqti tor pe reaction ka naam nahi, aam halaat mei jo rawayya ho wo ikhlaaq hota hai
Nabi saw ne ikhalaaq ke zor pe deen phelaya
ander aazji aati hai tu behter ikhlaaq dikhta hey
agar mission Allaah ke Nabi wala hey tu ikhlaaq bhi waise hi hona chahiye
ikhlaaq se muraad ye nahi ke koi galat kaam kare aur aap hanste rahein
******amar bil maroof aur nahi anil munkar - ikhlaaq ka behtareen izhaar/darja*******
Aap ne sakhti ke waqt intehayii sakhti ki aur narmi, pyar ke waqt intehayii pyar,dono rawayye saath saath
: bachoan ke satah bhi yehi muamala karein - sakhti ke waqt sakhti, narmi ke waqt narmi
Aya 6-7
mei Allaah ki nazroan mei kaisi hoon???????
Activity: raat ko sochein Allah mere baare mei kiya sochte hian?
mere baare mei farishtoan ko kiya kehte hoan ge?
Iman hey ke hum jab Allaah ko yaad karein, Allaah hame yaad karte hoan ge
Allah ke Nabi saw ke baare mei aata hai ke saathiyoan ke saath itne raqeeq the ke akele mei lagta hum se zyada Nabi ko kissi se pyaar nahi hai
Allah se dosti karni hai inshaAllaah
Ayah 8 - kaise log Allah ki raah se rokte hain:
HIGHLIGHT Ayah 9- 16
takabbur waala kirdaar
jab koi Allah ke deen pe amal ko ana ka masla bana le tu aise log apne aap ko Allah ki rehmat se door karte hain
asool; kuch log galat kaam karte hain aur doosroan ko saath jorte hain , Allaah keh rahe hain aaj unn ki 1 maan li tu phir bohat maan-ni parein gi
mil ke naiki ka kaam, mil ke gheebat chorein
Aya 17 onwards------Duniya ka baagh hamesha nahi rahe gaa
jab maal se doosroan ka hissa na dein tu Allaah aise halaat kar dete hain ke hum bhi kuch naa payein/kuch nahin bachtaa
zindagi mei museebat aati hai, ishara samajh liya aur Allaah ki raah mei chal pare tu hi faaida hai
ACTIVITY: apni sab belongings likhein, bachey, shohar, ghar, gaari, cell phone etc - koi aazmaish aaye aur sab khatam - hum tan tanha - tu kon aaye ga? - maut ki soorat mei yehi hota hai - apne haathoan se hume mitti mei dafnaate hain
deen ke waris khud bana ke jayein!!!!!
Ayah 34 onwards - iss waqiya ki roshni mei khoobsurat taqabbul
Aya 34-- aisa ghar jo kabhie khatam nahi ho ga
Aya 35 - soch sakte ho tum Allaah se darte the aur doosra nahi tu kiya tum dono barabar ho sakte ho?
Aya 41---aaj issi galat fehmi mei ke marne ke baad waise hi ho ga jaise hum chahein ge
kiya hum chahte hain ke kuch toti phooti koshishein kar rahe hain waise ajar na koshish karne waaloan ko bhi mil jayein?
Aya 42 - kyounke duniya mei jhukne aur sajdoan ki aadat nahi thi is liye us waqt bhee naan ker paaein gey
Aya 43-afsos ki waja se ke hum ne kya kiya?
rawayat ke qayamat ke din sab khare hoan ge,Allaah ka arsh aaye ga,Allaah jalaal aur kamal ke saath hisab ke liye mojood,isse dekh ke qadarti tor pe log jhuk jayein ge sajde mei,lekin kuch ki kamrein akare hoon gee
jo duniya mei nahi jhukte the, waha bhi nahi jhuk sakein ge
hum apnoan ko dein ge, isse aag mei daal do aur hame muaf kar diya jaaye
: insan dhoond raha ho ga mera bacha mile aur aag mei jaaye ke mei bach jaoon-----astaghfirullah
aaj khaandaan ko ma'bood bana liya - kal issi khandan ko ransom mei dena chahein ge
ye bhi nahi tu Allah sari duniya ko aag mei daal dein aur hame bacha lein - وَمَن فِى ٱلۡأَرۡضِ جَمِيعً۬ا ثُمَّ يُنجِيهِ
Ayah 15 - كَلَّآۖ إِنَّہَا لَظَىٰ hargiz nahin
gunaah tumhara tu aag bhi tumhare liye
Aya 15-18-----bus kamaao -namaz gayi tu gayi
hum kyoun inn mei par ke namazein zaya karte hain?
Ayah 22 onwards - bachein ge kon?---Namazi
namazi, namazein qaeem karne waale, rabb ke azaab se darne waale, maal se zakat aur sadaqa dene waale, sharam gaahoan ke muhafiz, amanatoan ki hifazat, namaz ki hifazat, ehdoan ke paband
Aya 22-35 - yehi sab karein ge tu Jannat mile gi iA
: ilm ul akhira ke saath khof ul akhira ho ga tu amal khalis hoan ge
aaj quran aam tu ho raha hai lekin dil koun nahi hilte?
Allaah iss para ko hamara dil torne waala, jhanjhorne wala bana de - Ameen
Aya 36-37
kuch pyar se dorte the Nabi ki taraf aur kuch maarne ke liye jhapat-te the
makki dor mei log Allah ke nabi ko maan-ne ke liye tayaar ho jaate the naoozubillah
Aya 38----kiya sirf quran sun ke jannat mei chale jayein ge?