Dq 2015 Edited note of July 8th Para 21st



Yüklə 132,25 Kb.
tarix19.01.2018
ölçüsü132,25 Kb.
#39296

DQ 2015 Edited note of July 8th Para 21st Surah Al ANkaboot yaa 45 -69 / Surah Al Room / Surah Sijdah /Surah Luqmaan / Surah Al Ahzaab

Nur_R_HI: Para 21- Ayaate Ummah

Nur_R_HI: Ayah 14- وَوَصَّيۡنَا ٱلۡإِنسَـٰنَ بِوَٲلِدَيۡهِ حَمَلَتۡهُ أُمُّهُ ۥ وَهۡنًا عَلَىٰ وَهۡنٍ۬ وَفِصَـٰلُهُ ۥ فِى عَامَيۡنِ أَنِ ٱشۡڪُرۡ لِى وَلِوَٲلِدَيۡكَ إِلَىَّ ٱلۡمَصِيرُ (١٤

Nur_R_HI: maaon ka haq pehchane

Nur_R_HI: Surah As-Sajdah Ayah 24- وَجَعَلۡنَا مِنۡہُمۡ أَٮِٕمَّةً۬ يَہۡدُونَ بِأَمۡرِنَا لَمَّا صَبَرُواْ‌ۖ وَڪَانُواْ بِـَٔايَـٰتِنَا يُوقِنُونَ (٢٤
Nur_R_HI: Al-Ahzaab Ayah 4- مَّا جَعَلَ ٱللَّهُ لِرَجُلٍ۬ مِّن قَلۡبَيۡنِ فِى جَوۡفِهِۦ‌ۚ وَمَا جَعَلَ أَزۡوَٲجَكُمُ ٱلَّـٰٓـِٔى تُظَـٰهِرُونَ مِنۡہُنَّ أُمَّهَـٰتِكُمۡ‌ۚ وَمَا جَعَلَ أَدۡعِيَآءَكُمۡ أَبۡنَآءَكُمۡ‌ۚ ذَٲلِكُمۡ قَوۡلُكُم بِأَفۡوَٲهِكُمۡ‌ۖ وَٱللَّهُ يَقُولُ ٱلۡحَقَّ وَهُوَ يَهۡدِى ٱلسَّبِيلَ (٤)

Nur_R_HI: do dil ek pet me - ispe ghaur kare

Nur_R_HI: ek dil me ya Allah ki mohabbat ya shaitan ki hogi

Nur_R_HI: Al-Ahzab Ayah 6- ٱلنَّبِىُّ أَوۡلَىٰ بِٱلۡمُؤۡمِنِينَ مِنۡ أَنفُسِہِمۡ‌ۖ وَأَزۡوَٲجُهُ ۥۤ أُمَّهَـٰتُہُمۡ‌ۗ وَأُوْلُواْ ٱلۡأَرۡحَامِ بَعۡضُہُمۡ أَوۡلَىٰ بِبَعۡضٍ۬ فِى ڪِتَـٰبِ ٱللَّهِ مِنَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ وَٱلۡمُهَـٰجِرِينَ إِلَّآ أَن تَفۡعَلُوٓاْ إِلَىٰٓ أَوۡلِيَآٮِٕكُم مَّعۡرُوفً۬ا‌ۚ ڪَانَ ذَٲلِكَ فِى ٱلۡڪِتَـٰبِ مَسۡطُورً۬ا (٦

Nur_R_HI: Nabi saws pe apne upar haq ko mehsoos kare

Nur_R_HI: Nabi saws ne hume insan se banda banna sikhaya
~~~***~~~ Para 21 Suarh Al Ankaboot سُوۡرَةُ العَنکبوت Aya 45 onwards ~~~***~~~
Nur_R_HI: Dawrah e Quran Para 21- Surah Al-Ankaboot Ayah 45 onwards

NQ_Coordinator_RK: Ayatae Tadabur aya 45 Highlight

Nur_R_HI: ٱتۡلُ مَآ أُوحِىَ إِلَيۡكَ مِنَ ٱلۡكِتَـٰبِ وَأَقِمِ ٱلصَّلَوٰةَ‌ۖ إِنَّ ٱلصَّلَوٰةَ تَنۡهَىٰ عَنِ ٱلۡفَحۡشَآءِ وَٱلۡمُنكَرِ‌ۗ وَلَذِكۡرُ ٱللَّهِ أَڪۡبَرُ‌ۗ وَٱللَّهُ يَعۡلَمُ مَا تَصۡنَعُونَ (٤٥)

Nur_R_HI: Ayah 45- Kya namaz ne behayai/buraiyon se roka mujhe?

Nur_R_HI: agar nahi to phir namaz theek nahi

NQ_Coordinator_RK: 5 dafa din main Allah sae mangtae haiun Allah hamain hidayat dain

Nur_R_HI: Quran sunke seekhenge, Quran ka mizaj- sunne wala

Nur_R_HI: Nabi saws se leke hum tak ye Quran sunne se mila

NQ_Coordinator_RK: Quran ko sunae baghair hidayat mumkin nahin

Nur_R_HI: Quran sune baghair itaat ka darwaza nai khulta

Nur_R_HI: Quran -ustad se seekhte hai

NQ_Coordinator_RK: apna mayaar==quran aur sunnat

NQ_Coordinator_RK: daleel hon quran ki ayaat aur ahadees

Nur_R_HI: Kya Allah ka zikr mujhe Akbar[bada] lagta?

NQ_Coordinator_RK: rooh ka taste= zikr

Nur_R_HI: Surah ka theme - Azmaishon me kaise chale

Nur_R_HI: azmaishon k waqt me zikr bohat pyara hai

Nur_R_HI: Allah ka zikr mushkilat sehna asan kardeta

NQ_Coordinator_RK: Allah ka zikr bandae ko doosron ka ezikr sae ghafil kerta hai

Nur_R_HI: Ayah 46- Behson me n apado, behes ka mauqa aye to avoid kare

NQ_Coordinator_RK: bahson main na paro/ na kisi kae khilaaf kerni hai aur nasath daina hai

Nur_R_HI: zuban ka beja istemal na karo

NQ_Coordinator_RK: jo khamoshi sae koi samajh nahin paa raha wo zuban kae istemaal sae bhi na samjhae ga

NQ_Coordinator_RK: aya 49 Highlight

Nur_R_HI: Ayah 49- HIGHLIGHT بَلۡ هُوَ ءَايَـٰتُۢ بَيِّنَـٰتٌ۬ فِى صُدُورِ ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡعِلۡمَ‌ۚ

Nur_R_HI: Quran ki anokhi baat - Ye zubani yaad hojata

NQ_Coordinator_RK: Quran ka check Allah nain rakha hai

Nur_R_HI: Allah ne Quran ko control kiya

NQ_Coordinator_RK: word to word tarjuma yaad karain=yae her halaal naimat sae ziada hai Alhumdulillah

NQ_Coordinator_RK: baghair kisi hi madad sae mujhae RUB ki baat samajh aa rahi hai= amazing feeling/ direct taluq apnae RUB sae

Nur_R_HI: Dua kare Allah mujhe Quran yaad ho,iska tarjuma yaad ho

NQ_Coordinator_RK: apnae liye commotment karain is akhri ashrae main

NQ_Coordinator_RK: commitment*

NQ_Coordinator_RK: lafzi tarjuma jub ata hai jub Quran samnae khulta hai'

NQ_Coordinator_RK: agar koi Quran ko samjha sakta hai aur Hadees ka refrence daita hai to wo sahih hai us sae ta'leem lae saktae hain

NQ_Coordinator_RK: Aya 50 Highlight

Nur_R_HI: Ayah 49- HIGHLIGHT وَمَا يَجۡحَدُ بِـَٔايَـٰتِنَآ إِلَّا ٱلظَّـٰلِمُونَ (٤٩

NQ_Coordinator_RK: وَقَالُواْ لَوۡلَآ أُنزِلَ عَلَيۡهِ ءَايَـٰتٌ۬ مِّن رَّبِّهِۦ‌ۖ قُلۡ إِنَّمَا ٱلۡأَيَـٰتُ عِندَ ٱللَّهِ وَإِنَّمَآ أَنَا۟ نَذِيرٌ۬ مُّبِينٌ (٥٠

NQ_Coordinator_RK: Aya 50-52

Nur_R_HI: JO Allah ki kitab hidayat k liye padhe, unhe rahmat uar zikra bhi milti

NQ_Coordinator_RK: jo Quran hidayat kae liye parhtae hainn un ko hidayat aur rahmat donon milti hai

Nur_R_HI: jiske andar taqwa nahi=usey hidayat nai milegi

Nur_R_HI: HIDAYAT K DARJE

Nur_R_HI: 1st. Ambiya ki hidayat

Nur_R_HI: 2nd. Wahi k zarye se

Nur_R_HI: 3rd. Farishte k zarye

Nur_R_HI: 4th. Allah dil me ilqaa kardeta, haq ki ek pehchan hai

Nur_R_HI: 5th. Allah kisi ko khaas fehem de deta hai

Nur_R_HI: 6th. Bayan ki aisi quwwat de deta Allah k unki baat logon ki hidayat ka zarya banjati

Nur_R_HI: 7th darja - kisi ki baat aisi hoti k usme Allah ki taeed hojati

Nur_R_HI: 8th- Suna bhi hidayat ka darja

Nur_R_HI: 9th- Sacche khwab

Nur_R_HI: Rabb k banke jeeyo

NQ_Coordinator_RK: Allah mujhae hidayat chahea main thak gayi / main aap ki bandi bun ker rahna chahti hon

Nur_R_HI: Ayah 53- 55

NQ_Coordinator_RK: يَغۡشَٮٰهُمُ ٱلۡعَذَابُ مِن فَوۡقِهِمۡ blanket aag ka

Nur_R_HI: Ayah 55- Azab upar se/blanket aur neeche se/mattress dhaank lega

Nur_R_HI: Ayah 56- Kitne pyar se Allah pukarta يَـٰعِبَادِىَ

Nur_R_HI: Universal law - poori dunya me rehne walon ko Allah ka banda banke jeena hai

Nur_R_HI: ye insan ki zimmedari

Nur_R_HI: agar Allah ka banda banne se roka jaaye toh hijrat karo

Nur_R_HI: Ayah 57- Hijrat se darte ho? Maut ki surat me to paltaye jaoge Allah ki taraf

NQ_Coordinator_RK: Aya 57 sub belongings choor do gae khali hath jao gae mout ki soorat main

Nur_R_HI: jis din mai is dunya se jaungi, mera naam har jagah se kat jaega? sonchein

NQ_Coordinator_RK: jis din main duniya sae jayon gi to kia her jagah sae maira naam kaat dia jayae ga?

Nur_R_HI: Ayah 59- Imaan aur amal salih sath jaenge

Nur_R_HI: jab koi cheez mushkil lage to ye ayah 59 sonch le

NQ_Coordinator_RK: Aya 58 baqi rahae ga to وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَـٰتِ لَنُبَوِّئَنَّهُم مِّنَ ٱلۡجَنَّةِ غُرَفً۬ا تَجۡرِى مِن تَحۡتِہَا ٱلۡأَنۡهَـٰرُ خَـٰلِدِينَ فِيہَا‌ۚ نِعۡمَ أَجۡرُ ٱلۡعَـٰمِلِينَ (٥٨)

NQ_Coordinator_RK: Nur_R_HI: Ayah 59- Imaan aur amal salih sath jaenge

NQ_Coordinator_RK: Nur_R_HI: jab koi cheez mushkil lage to ye ayah 59 sonch le

Nur_R_HI: Ayah 60- Rizq ki wajah se hijrat na chodo, rizq dene wale Allah hai ! ٱللَّهُ يَرۡزُقُهَا وَإِيَّاكُمۡ‌ۚ

NQ_Coordinator_RK: source of income aap ko dhondti hai

Nur_R_HI: rizq aapka muqarrar hai

Nur_R_HI: khud muslim bankar dusron ko bhi muslim banna sikhaye - ye ek hi wajah hai muslims ko non-muslim mulk me jakar rehne ki

Nur_R_HI: hum muslims ki izzat isi me k hum lene wale nahi balke dene wale banke aaye non muslim mulk me

Nur_R_HI: apni ana ko ubharey

Nur_R_HI: hum muslims aaj wo nahi hai jo hume hona chahiye

Nur_R_HI: sabr karna hai qanaat k sath aur Allah pe tawakkul karna

Nur_R_HI: Ayah 61-62- Makkah k pise hue mahol me bataya jaraha k sirf apni factoriyan yahan rehne ki wajah se makkah me na raho, niklo Allah ki raah me

Nur_R_HI: madina jaoge to wahan bhi Allah dega tumhe. Hijrat karo

Nur_R_HI: Ayah 64- Ye dunya sirf khel aur tamasha hai, albatta akhirath k ghar ki zindgi hee haqeeqi zindgi hai. kaash! ye jante hote

Nur_R_HI: Ayah 65,66- Allah ko bhool jate log jab Allah unhe mushkilon se nikaalte

Nur_R_HI: Ayah 69- Ayate Tadabbur وَٱلَّذِينَ جَـٰهَدُواْ فِينَا لَنَہۡدِيَنَّہُمۡ سُبُلَنَا‌ۚ وَإِنَّ ٱللَّهَ لَمَعَ ٱلۡمُحۡسِنِينَ (

Nur_R_HI: Highlight ayah 69

Nur_R_HI: jo Allah ka banda banna chahega, Allah usey apna banaega

Nur_R_HI: Allah k deen k liye khule haathon se dena hoga

Nur_R_HI: band mutthiyon se kaam nahi chalega

Nur_R_HI: baqi rehne wale Allah k sath invest karo

Nur_R_HI: imtehan k dar se na bhago

Nur_R_HI: jitna zyada ilm lenge utna imtehan zyada hoga

Nur_R_HI: jitna emaan chota, imtehan chote

Nur_R_HI: imtehaan aapko pokhta karne aate aur ye dekhne k aapne poora saal tawajjo se padha ya nahi

Nur_R_HI: baaz dafa Allah k raste me itne test aate k aapne soncha bhi nahi tha. jab Allah k raste me nikle to taiyar rahe

Nur_R_HI: hidayat k is safar me kabhi ache imtehan ayenge aur kabhi wo jo hume pasand nahi, lekin jame rehna hai

~~~***~~~ Para 21st Surah Ar-Room سُوۡرَةُ الرُّوم~~~***~~~

Nur_R_HI: Makki surat hai par jannat jahanum ka tazkera nahi

Nur_R_HI: kainat me ghaur o fikr ki baat milegi

Nur_R_HI: Ayah 1-6

Nur_R_HI: Jis waqt ye surtein nazil horahi thi, jab room[christians] aur iraani [mushrik] superpowers the

Nur_R_HI: muslims ki hamdardiyan roomion se thi aur mushrikeen e makkah ki hamdardi iraanion se thi

Nur_R_HI: jis din ghazwa e badr se fatah paakr aaye, us din ye khabar mili k roomi iranion par ghalib aagaye

Nur_R_HI: kuch 10 saal me room iranion par ghalib aagaye

Nur_R_HI: hum aaj ghalib nahi kyunke humne apne andar wo kirdar paida nahi kiya

Nur_R_HI: Ayah 7- HIGHLIGHT يَعۡلَمُونَ ظَـٰهِرً۬ا مِّنَ ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَا وَهُمۡ عَنِ ٱلۡأَخِرَةِ هُمۡ غَـٰفِلُونَ (٧

Nur_R_HI: akhirat peeche padgayi aur dunya saamne aagayi - ye hai aaj ka masla

Nur_R_HI: dunya bhi poori nahi li ajj humne

Nur_R_HI: nakhli khushiyan, nakhli dostiyan li

Nur_R_HI: ikhlaqi/masharti maghloobiyat hai aaj dunya k kamyab countries me

Nur_R_HI: Ayah 8- بِٱلۡحَقِّ - zindagi ka maqsad

Nur_R_HI: maqsad se ghafil log aimless life guzaarte

Nur_R_HI: Ayah 9- ڪَانُوٓاْ أَشَدَّ مِنۡہُمۡ قُوَّةً۬

Nur_R_HI: Tarakki yafta qaumein thi aad aur samood ki, par Allah k azab se bacha nahi sake apne aapko

Nur_R_HI: Tarakki yafta qaumein thi aad aur samood ki, par Allah k azab se bacha nahi sake apne aapko

Nur_R_HI: Allah ki nafarmani k sath dunya ki tarakki kaam nahi ayegi

Nur_R_HI: Ayah 10- ye Allah ki ayaton ko jhutlate the aur hasi udhate the

Nur_R_HI: Ayah 11- Hum muslims ko qayamat ki umeed hai, par kafiron ko umeed hi nahi isliye us din ye log hairan rehjaenge

Nur_R_HI: kya maine syllabus padhliya?

Nur_R_HI: qayamt k din k imtehan ki taiyari karli?

Nur_R_HI: dunya - exam hall, Examiner - Allah SWT, Ustad - Nabi SAWS, Syllabus - Quran aur Sunnah

SJ_CourseIncharge: kia main nain datesheet daikh li?

SJ_CourseIncharge: Urgent==aaj hi syllabus khareed ker daikhain

SJ_CourseIncharge: iman wale ki zindagi main chuti nahin

Nur_R_HI: Ayah 15- Allah ko pata hai momin bohat kaam karke aaya

SJ_CourseIncharge: momin apna schedule khud banata hai

Nur_R_HI: SJ_CourseIncharge: iman wale ki zindagi main chuti nahin

Nur_R_HI: zindagi k aakhri din tak Quran se jude rahe

Nur_R_HI: ek din bhi ghaflat me guzra to shaitan aajaega

SJ_CourseIncharge: Quran sunna bhi zikr hai

Nur_R_HI: Ayah 17,18-

Nur_R_HI: SJ_CourseIncharge: Quran sunna bhi zikr hai

Nur_R_HI: Subah shaam k azkar ka ishara - Ayah 17

Nur_R_HI: **** Ayah 19- Quran sae mudae zinda hotae hain, Quran se murda dil, murda jazbe zinda horahe

Nur_R_HI: Quran se murda dil, murda jazbe zinda horahe

Nur_R_HI: mere andar ki murdgi khatm horahi? kya mere chehre pe khushi dikh rahi?

Nur_R_HI: Quran/ilm/Allah ki bandagi ki bhook jaagegi - ye ishara hai dekhne ka kya aapka murda dil zinda hua

Nur_R_HI: Ayah 21- miracle= shadi kae bad aafiat kae sath zindagi guzartae hain aik hi chut kae neechae



SJ_CourseIncharge: sub sae romantic love story= shohar beewi ki'

Nur_R_HI: shoher biwi ko khush mizaj hona chahiye

SJ_CourseIncharge: sakoon beewi kae hath main hai

Nur_R_HI: aurat ka kaam - sukoon de shoher ko

SJ_CourseIncharge: jo cheez poori mil jayae us ki kashish nahin rahti

SJ_CourseIncharge: Tafseer=Para 21st Aya 21 please send to students

SJ_CourseIncharge: beewi han main han mlilanae wali sakoon daiti hai

Nur_R_HI: achi biwiyan banna seekhein, phir aap deen ka kaam karegi

SJ_CourseIncharge: wo aurat jo her rishtae sae mutmaien nahin wo deen ka kaam nahin ker sakti

SJ_CourseIncharge: nuskha==aaj husband ko I LOVE YOU jaa ker kahain

Nur_R_HI: chahte hai k Allah k deen k liye aapki agli zindagi lage, toh aaj hi se apne ghar seedhe kare

SJ_CourseIncharge: jazbaat jawaan honae chahian

Nur_R_HI: jitni shadi purani, utni meethi

SJ_CourseIncharge: Aya 22- mukhtalif zubaan kae sath zindagi khushgawaar guzar sakti hai

SJ_CourseIncharge: Aya 23

Nur_R_HI: Neend ek badi nishani

SJ_CourseIncharge: neend kitni bari nishani

SJ_CourseIncharge: Allah ki rahmat

Nur_R_HI: Neend Allah ki rehmat hai

Nur_R_HI: Nishaniyon wali surat - Surah Ar-Room

SJ_CourseIncharge: Suarh Ar Room= Surah Ayatain

Nur_R_HI: Amal ki baat - HAR CHEEZ PE GHAUR KARE

Nur_R_HI: Ayah 24- Zindagi dukh sukh hai

Nur_R_HI: umeed aur khauf k sath

Nur_R_HI: Ayah 25 - Lafz ءَايَـٰتِهِ - Quran/kainat ki ayatein dekhte jao aur Rabb tak pohancho

Nur_R_HI: Ayah 28- zameen par shirk ki koi gunjaish hi nahi

Nur_R_HI: Ayah 30- Fitrat/Tauheed pe aajao

Nur_R_HI: فِطۡرَتَ ٱللَّهِ - Tauheed

Nur_R_HI: Ayah 32- Saare deen ko chodke ek tukde pe nahi rehna

Nur_R_HI: Aya 31- poora deen lena - Quran aur Sunnah se

Nur_R_HI: Ayah 34- Kya nashukri karna chahti Allah ki?

Nur_R_HI: Ayah 37- ISHANIYAN HAI IMAAN LAANE WALON K LIYE

Nur_R_HI: Ayah 39- sood ka maal kabhi badhta nahi

Nur_R_HI: sood ka maal baqi nahi rehta

Nur_R_HI: agar rahe bhi to barkat nahi hoti

Nur_R_HI: zyada wapis lene k liye tohfa nahi dena - ye rasam banegi

Nur_R_HI: tohfe me expectation nahi hoti, rasam me umeed hoti

Nur_R_HI: qarz bhi zyada lene ke liye nahi dena - ye sood hoga

Nur_R_HI: shadi k mauqe pe asie tohfe cut down kare, ye rasoomaat ko chode

Nur_R_HI: aise*

Nur_R_HI: tohfa maang ke nahi lete, rasam maan ke liya jata

Nur_R_HI: rasam maang*

Nur_R_HI: islam nai pasand karta aisi cheezon ko

Nur_R_HI: Ayah 40- ٱللَّهُ ne paida kiya خَلَقَكُمۡ, rizq diya رَزَقَكُمۡ

Nur_R_HI: يُمِيتُڪُمۡ maut dega aur phir zinda karega يُحۡيِيكُمۡ

Nur_R_HI: Ayah 41 HIGHLIGHT ظَهَرَ ٱلۡفَسَادُ فِى ٱلۡبَرِّ وَٱلۡبَحۡرِ بِمَا كَسَبَتۡ أَيۡدِى ٱلنَّاسِ لِيُذِيقَهُم بَعۡضَ ٱلَّذِى عَمِلُواْ لَعَلَّهُمۡ يَرۡجِعُونَ

Nur_R_HI: Dunya bhar me fasad phaila hai

Nur_R_HI: Natural foods me interfere karke changes, modifications karna bhi fasad

Nur_R_HI: Ayah 45- Allah kafiron ko pasand nahi karta

Nur_R_HI: Ayah 47- HIGHLIGHT وَكَانَ حَقًّا عَلَيۡنَا نَصۡرُ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ (٤٧)

Nur_R_HI: Ayah 52,53- Quran ka paigham har kisi ko samajh nahi aata, Iske liye insan ka nadar se zinda hona zaruri

Nur_R_HI: andar se zinda*

Nur_R_HI: Ayah 57- Aaj maafiyan maangle

Nur_R_HI: Ayah 58- Dilon pe mohr lage to koi nishani asar nahi karti

Nur_R_HI: Ayah 60- وَلَا يَسۡتَخِفَّنَّكَ - matlab Aap ko dheela na karde, aapko naram samajh k chaare jaise chaba na le log

Nur_R_HI: ~~~ Surah Luqman ~~~

Nur_R_HI: Isme parenting ke sabaq

Nur_R_HI: Ayah 2- Ye kitan aapko hikmatein sikhati kyunke ye ٱلۡحَكِيمِ ki taraf se aayi hai

Nur_R_HI: Kitab*

Nur_R_HI: Ayah 3- Quran hidayat aur rahmat hai

Nur_R_HI: Muhsin- Allah k kaam karke ehsan na jatlaye

Nur_R_HI: Ayah 4- Namaz ka tarjuma seekhiye

Nur_R_HI: mukammal kamyabi sirf muhsinon ko milegi

Nur_R_HI: Allah k maamle me muhsin hona = aisi ibadat kare Allah ki, jaise k Allah ko dekh rahe, bandon k maamle me muhsin - dene wala bane

Nur_R_HI: Ayah 5- mukammal kamyabi sirf muhsinon ko milegi

Nur_R_HI: Allah k maamle me muhsin hona = aisi ibadat kare Allah ki, jaise k Allah ko dekh rahe, bandon k maamle me muhsin - dene wala bane

Nur_R_HI: Ayah 6- HIGHLIGHT وَمِنَ ٱلنَّاسِ مَن يَشۡتَرِى لَهۡوَ ٱلۡحَدِيثِ لِيُضِلَّ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِ بِغَيۡرِ عِلۡمٍ۬ وَيَتَّخِذَهَا هُزُوًا‌ۚ أُوْلَـٰٓٮِٕكَ لَهُمۡ عَذَابٌ۬ مُّهِينٌ۬ (٦)

Nur_R_HI: Ghina = gaane ko kehte

Nur_R_HI: zina aur ghina ka ilaaj - namazein

Nur_R_HI: misaali gharon se gaanon ki awaz nahi aati

Nur_R_HI: Allah ko bughz hota jab khushi k waqt ghina aur gham k waqt noha hota

Nazima09_ST: matam= rona zor se

Nur_R_HI: wailing crying loudly

Nur_R_HI: Har cheez jo bande ko maqsad se hatade- لَهۡوَ ٱلۡحَدِيثِ

Nur_R_HI: isme gaane bhi aajate

Nur_R_HI: Ayah 13- Luqman sahib e hikmat insan the, na wali na nabi the

Nur_R_HI: Hikmat ka yaqaza - Allah ka shukrguzar bane

Nur_R_HI: shukr na kare to bande nai banenge

Nur_R_HI: bache maa baap k shukrguzar na ho to unki baat nahi manenge

Nur_R_HI: biwi shoher ki shukrguzar na ho to uski qadr nahi karegi

Nur_R_HI: ***sorry ayah 11 above not 13****

Nur_R_HI: ***sorry ayah 12 above not 13****

Nur_R_HI: Ayah 12- HIGHLIGHT وَلَقَدۡ ءَاتَيۡنَا لُقۡمَـٰنَ ٱلۡحِكۡمَةَ أَنِ ٱشۡكُرۡ لِلَّهِ‌ۚ وَمَن يَشۡڪُرۡ فَإِنَّمَا يَشۡكُرُ لِنَفۡسِهِۦ‌ۖ وَمَن كَفَرَ فَإِنَّ ٱللَّهَ غَنِىٌّ حَمِيدٌ۬ (١٢)

Nur_R_HI: Ayah 13- Shirk Bada bhaari zulm hai

Nur_R_HI: Allah k sath kisi ko shareek na karo

Nur_R_HI: Ayah 14- apne huqooq khud batane k bajaye doosron se batlaye

Nur_R_HI: bohat zyada haq jatlane walon ko unka haq nahi milta

Nur_R_HI: Allah apni bandiyon ki qadr karna sikharahe mardon ko

Nur_R_HI: Ayah 15- Maa baap ki khidmat, respect karni hai par unhe holy nahi banaye

Nur_R_HI: wo agar shirk/Allah ki nafarmani ki baat kahe to na maane

Nur_R_HI: maa baap ki tarbiyat karna hamara kaam nahi

Nur_R_HI: Ayah 16- Apne bachon ko taqwa sikhaye

Nur_R_HI: Allah ki nazar tumhari har cheez pe hai, isliye Allah se daro

Nur_R_HI: apna nahi balke Allah k adar de bacchon ko

Nur_R_HI: Allah ka dar*

Nur_R_HI: Ayah 17- Bacchon ko shuru se tolerance, sabr karna sikhaye

Nur_R_HI: Namaz qayam karne kahe

Nur_R_HI: apne bacchon ko tame kare

Nur_R_HI: jab tak aapko bacchon ko deal karna na aaye, aap kamyab parents nahi bansakte

Nur_R_HI: bacchon se manwaye, unki maanne se zyada

Nur_R_HI: 7 saal tak bacchon ko apni manwaale to wo jawan hone tak aapki aankhon ki thandak ban jaenge

Nur_R_HI: izzat karwani seekhna chahiye

Nur_R_HI: Ayah 18- صَعِّرۡ - bimari ko kehte jo oont ko hojae to uski gardan akdi rehti

Nur_R_HI: bachon me superiority complex na daale

sameena: ji

Nur_R_HI: Zameen me itaraa kar na chale, takabbur karne wale shekhi khor ko Allah pasand nahi farmata

Nur_R_HI: logon k saamne apne gaal na phulao

Nur_R_HI: **itraa kar na chale

Nur_R_HI: Ayah 19- Etedaal rakho, bachon ko awazein dabane kahe

Nur_R_HI: gharon ko muhazzib banaye to bahar bhi tehzeeb aayegi

Nur_R_HI: Ayah 21- stubborn rehte hai baaz log, baaap dada haq pe na ho tab bhi unki pairwi karte

Nur_R_HI: Ayah 22- HIGHLIGHT وَمَن يُسۡلِمۡ وَجۡهَهُ ۥۤ إِلَى ٱللَّهِ وَهُوَ مُحۡسِنٌ۬ فَقَدِ ٱسۡتَمۡسَكَ بِٱلۡعُرۡوَةِ ٱلۡوُثۡقَىٰ‌ۗ وَإِلَى ٱللَّهِ عَـٰقِبَةُ ٱلۡأُمُورِ (٢٢)

Nur_R_HI: muhsin apne kaamon ko zaya nahi karta

Nur_R_HI: text color changing is difficult while writing live notes

Nur_R_HI: bacchon k roohon ko zinda kare

Nur_R_HI: khaane pe log bohat paise lagate hai, par aaj ummat ilm pe paise nahi lagarahi

Nur_R_HI: pehle darje pe ye karle يُسۡلِمۡ وَجۡهَهُ apne aapko Allah k taabe kardo

Nur_R_HI: Ayah 23- Nabi saws logon k liye kudte the

Nur_R_HI: Ayah 27- zameen k tamam darakht agar qalam banjaye aur samandar syaahi aur usi ki madat ko saath samandar aur ho, to bhi Allah k kalimaat khatm na hosakte

Nur_R_HI: Lecture= NAFS KE DHOKE suniye

Nur_R_HI: Ayah 30/31- Allah ki qadrdani karo

Nur_R_HI: Ayah 33- Allah ka waada saccha hai, (dekho) tumhe dunya ki zindagi dhoke me na daale aur na dhoke baaz (shaitan) tumhe dhoke me daale

Nur_R_HI: Allah se daro

Nur_R_HI: Ayah 34- Allah hee k paas qayamat ka ilm

~~~***~~~ Surah As-Sajdah سورة السجدة ~~~***~~~

Nur_R_HI: Sajdah - Allah ka qurb

Nur_R_HI: Nabi saws ye suarh padhe baghair sotey nahi the

Nazimah16_HT: Raat ko Nabi iss Surah ko padh ker sote thae

Nazimah16_HT: Ayah 01-2=لَعَلَّهُمْ يَهْتَدُونَ ﴿٣﴾

Nur_R_HI: Ayah 3- HIGHLIGHT لَعَلَّهُمۡ يَہۡتَدُونَ

Nur_R_HI: Har mumkin tareeqe se apni aur doosron ki hidayat ki fikr kare

Nazimah16_HT: apni aur dosron ki hidayat ki fikr kerni hai

Nur_R_HI: aap writing??

Nur_R_HI: Allah ne jo banaya, khoob banaya!

Nur_R_HI: Ayah 9- HIGHLIGHT ثُمَّ سَوَّٮٰهُ وَنَفَخَ فِيهِ مِن رُّوحِهِۦ‌ۖ وَجَعَلَ لَكُمُ ٱلسَّمۡعَ وَٱلۡأَبۡصَـٰرَ وَٱلۡأَفۡـِٔدَةَ‌ۚ قَلِيلاً۬ مَّا تَشۡڪُرُونَ (

Nur_R_HI: Ayah 11- Maut ka farishta humpar muqarrar hai

Nur_R_HI: subah se shaam tak kai baar dekhke jata hume maut ka farishta

Nur_R_HI: Ayah 12- Sari zindagi zaya ki, deenk badle dunya ko prioritize kiya - ye jurm tha inka

Nur_R_HI: Ayah 14- Kya banega unka jo akhirat ko chodke dunya k peeche laga?

Nur_R_HI: Ayah 15- Takabbur na kare

Nur_R_HI: Ayah 17- Surprise paradise hum sab k liye

Nur_R_HI: Raaton ki ibadat ki baat - Ayah 16

Nur_R_HI: Ayah 18- Momin aur fasiq barabar nahi

Nur_R_HI: Surah SAJADAH ayah 20

Nur_R_HI: Ayah 21- Gunahon ki saza dunya me bhi milti

Nur_R_HI: HIGHLIGHT Ayah 21- وَلَنُذِيقَنَّهُم مِّنَ ٱلۡعَذَابِ ٱلۡأَدۡنَىٰ دُونَ ٱلۡعَذَابِ ٱلۡأَكۡبَرِ لَعَلَّهُمۡ يَرۡجِعُونَ (٢١)

Nur_R_HI: Ayah 24- jab qaumein itaat karti Allah unhe ache leader deta

Nur_R_HI: وَجَعَلۡنَا مِنۡہُمۡ أَٮِٕمَّةً۬ يَہۡدُونَ بِأَمۡرِنَا لَمَّا صَبَرُواْ‌ۖ وَڪَانُواْ بِـَٔايَـٰتِنَا يُوقِنُونَ (٢٤ HIGHLIGHT AYAH 24

Nur_R_HI: Ayah 25- Qayamat k din ikhtelafaat ka faisla kardenge Allah

Nur_R_HI: Ayah 26,27- Allah kinishaniyon pe ghaur kare

~~~***~~~ Surah Al-Ahzaab سُوۡرَةُ الاٴحزَاب ~~~***~~~

Nur_R_HI: is surah me 2 hot topics pe baat - Wars & Wives of Nabi SAWS

Nur_R_HI: Ghazwa e ahzab ka qissa milega

Nur_R_HI: 10,000 ka lashkar tha muslims ka

Nur_R_HI: end momin ka hi acha hota

Nur_R_HI: hijab aur niqab k bare me aakhri mohr hogi is surah me

Nur_R_HI: adoption karsakte ya nahi dekhenge

Nur_R_HI: Ayah 1- Allah k Nabi saws ki ek badi azmaish hone wali thi

Nur_R_HI: sache deendar kokhauf - meri badnami deen ki badnami hogai to log deen se door honge

Nur_R_HI: Logon se mat daro

Nur_R_HI: Ayah 5- bachon ko adopt karo to unko apna naam nahi de sakte. unhe unke baapon k naam se hee bulao

Nur_R_HI: Ayah 4- Kisi aadmi k seene me 2 dil nahi hai, ek dil islam k sath aur ek dil kufr k sath nahi dhadak sakta

Nur_R_HI: Ayah 6- Paighambar mominon par khud unse bhi zyada haq rakhne wale hai

Nur_R_HI: kya Nabi saws mujhe har insan se mehboob hai? sonchein

Nur_R_HI: apni jaan se bhi zyada mehboob hona chahiye

Nur_R_HI: Nabi saws ne Salman farsi ra k mashware pe khandakh khudwana chahe jang k liye

Nur_R_HI: sakht halaat the ghazwa e khandakh k waqt

Nur_R_HI: khaane ko khana na tha, pathar baandh ke pet pe khandakh khodte the

Nazima09_ST: Ghazwa e khandaq*

Nur_R_HI: Ayah 9-11- kaleje mooh ko aagaye the

Nur_R_HI: Imaan laane wale khoob aazmaye gaye

Nur_R_HI: Ayah 12- jab Allah k deen ko aapki zarurat hai aur aap na nikle aur dunya me hi lage rahe to munafiq hai

Nur_R_HI: Ayah 13- Gharon ka naam leke deen k kaam se rukna shuru se logon ki aadat

Nur_R_HI: Ghar walon ka naam lekar dil ka nifaq chupana chahte the, par Allah se nahi chupsakta

Nur_R_HI: Azmaaish k waqt munafiq alag hojate mominon se

Nur_R_HI: Ayah 17- Agar Allah tumhe buraai ya koi fazal pohanchana chahe to kon tumhe bacha sakte?

Nur_R_HI: Allah k siwa koi himayati aur madadgar nahi

Nur_R_HI: Ayah 18- Kabhi unse mashwara na kare jo khud wo neki nahi kar rahe

Nur_R_HI: *Kabhi koi neki karne, unse mashwara na kare jo khud wo neki nahi kar rahe

Nur_R_HI: Ayah 20- Jang me nahi gaye par baithke khabrein daryaft karte the

Nur_R_HI: lip service na kare sirf

Nur_R_HI: Ayah 21- Nabi saws kabhi temper nai lose karte the

Nur_R_HI: Ayah 22- neki ka mauqa, shahadat ki umeed, ghazi banke nikalna

Nazimah16_HT: وَلَمَّا رَ‌ءَا ٱلْمُؤْمِنُونَ ٱلْأَحْزَابَ قَالُوا۟ هَـٰذَا مَا وَعَدَنَا ٱللَّهُ وَرَ‌سُولُهُۥ وَصَدَقَ ٱللَّهُ وَرَ‌سُولُهُۥ ۚ وَمَا زَادَهُمْ إِلَّآ إِيمَـٰنًا وَتَسْلِيمًا ﴿٢٢﴾

Nazimah16_HT: High Light Ayah 22

Nur_R_HI: Jab neki ka mauqa aaye to qubool karle - isse imaan aur shewaye farmabardari me izafa hota

Nur_R_HI: Ayah 24- Apne qible durust karo

Nur_R_HI: khalid bin waleed

Nur_R_HI: Tabook - shadeed garmiyon me thi aur khandakh - sakht sardiyon me thi

Nur_R_HI: Garmi ho ya sardi - islam ka kaam karte rehna

Nazimah16_HT: Deen ke taqaze nibhana ho tou garmi , sardi sab moasam may ana hoga

Nur_R_HI: Allah ka kaam*

Nazimah16_HT: Madina k andr eik chota groh banu-qariza ka, unhon ne hamla kerdiya uska zikr yahan

Nazimah16_HT: Allah ne kamyabi ata fermayi

Nur_R_HI: Ayah 26- Banu quraiza ne andar se hamla kardiya tha, unki baat yahan

Nur_R_HI: Ayah 27- Allah har cheez par QADIR hai - musalmanon ko fatah di
Yüklə 132,25 Kb.

Dostları ilə paylaş:




Verilənlər bazası müəlliflik hüququ ilə müdafiə olunur ©muhaz.org 2024
rəhbərliyinə müraciət

gir | qeydiyyatdan keç
    Ana səhifə


yükləyin