PAGE
NAWHA – SAFAR-E-IMAM-HUSSAIN (AS)
AAYE JO KHABRE FATEMA PE SAYAD-E-ANAAM
RUKSAAR RAK-KE KABR PE ROKAR KIYA KALAAM,
SEHRA ME DIL KE TUKDOON KI BASTI BASAWUNGA,
AMMA MADINA LAUT KE-MAIN AA-NA PAAWUNGA,
KAAMPA FALAK LARAZ-NE LAGI QABR-E-SAYYEDA,
AYI JANAAB-E-FATEMA, KI QABR SE SADAA
(Jaao mere laal - 4) Tum pe har qadam rahe Dua meri,
Aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal
JA RAHE HO TUM-JO KEHKE DEENE HAQ BACHAWUNGA
Amma aap ki kasam, me khoon me nahawunga (3)
Ab ho jo bhi haal, tum ho payemaal,
Tum pe har qadam rahe dua meri, Aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal
BACHPANE MEI JO KIYA THA WADA BABAJAAN SE
Waqt ab wo agaya kafan tu sar se band-le (3)
Dekh mere laal, dee(n) ka hai sawaal,
Kamiyabiyan hai tere saath hi, Aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal
CHAHIYE KHUDA-KE DEEN KO AGHAR AMAA,
Do ridaay-e-Zainab-e-hazee(n) ka sayebaa(n) (3)
Jawo ab shiqab ibn-e-buturaab,
Mei tumhare saath babajaan bhi, Aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal
DE-RAHA HAI DEEN-E-KIBRIYA TUMHE SALAAM
Almadad hussain almadad shah-e-huda (3)
Bay watan hussain, mere dil ke cheyn,
Hamsafar tumhare saath maa huwi, Aur saaya-e-khuda-e-zul jalal
SHAAN-E-BA-WAFA KE HONGE JIS GADI KALAM,
Rowenge alam ke saaye mei tere haram (3)
Rowengi wafaa aur karbala,
Rowengi faraat aur tashnagi, Aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal
AKBAR-E-JAWAAN JIGAR PE KHAYENGA SINA,
Maa kahengi mera chaand khogaya kaha (3)
Uspe nohakhwaan, honge meri jaan,
Mei bi aur hassan bi aur rasool bi, Aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal
YE SADAA MAZAR-E-SAYYEDA SE "MAZHAR ABIDI"
Sunke rodiyey hussain mustafa ki aal bhi (3)
Jaawo mere laal, jaawo mere laal,
Tumpe har qadam rahe dua meri, aur saaya-e-khuda-e-zuljalaal
NAWHA – SAFAR-E-IMAM-HUSSAIN (as) - BB SUGRA (sma)
DAAMAN PAKAD KE KEHTI HAI, BABA KAB AAWOGE
LE JAAWOGE HAME KE, YAHIN CHOOD JAAWOGE
BIMAAR KI KHABAR BHI, KISI SE MANGAA WOGE
YA PYAAR MEI SAKINA KE, HAM KO BHULAAWOGE
BACHPAN BHI TAB BHI AUR YE, GHAZAB KI JUDAAI BHI
MAA BAAP-BHI BICHADTE HAI, BEHNE BHI BHA’AI BHI
MUJE LE CHALO BABA, JANE LAGE SHABIR TO KEHNE LAGI SUGRA
Bimaar pe tanhaayi ka khanjar na chaalawo,
kyu(n) nazre churaate ho tumhe jaana hai jaawo,
Ek baat meri maan lo ache mere baba
Jaati hai kanize bhi kanizo(n) hi mei rakhlo,
kab maine kahaa hai mujhe naaqe pe bithaao,
paidal hi safar hoga mera karbobala ka
Waada hai ke zehmat na safar mei koi dungi,
mei baalon se saya Ali Asgher ka karungi,
rehne nahi dungi mei tumhe raah mei pyaasa
Mei paani pilaaungi tere naaqe ko baba,
mei pusht pe rakhungi sada mashke Sakina,
beshak kare aaraam safar mei teri Fizza
Akber ki ziyarat, mai, kiye jawungi har dam,
didar hai Akber ka mere zakhmo ka marham,
marnese bachalo mujhe chodo nahi tanha
Akber jo chale jaaenge mei kaise jiyungi,
furqat ki aziyat ko bhala kaise sahungi, marjaaegi (3) Sughra
Samjaane lage beti ko yun Hazrate Shabbir,
Sughra hame maqtal mei liye jati hai taqdeer,
ye kehke sadaen na do phat ta hai kaleja
Bimaar ho gharmi ki aziyat na sahoogi,
tum raahe musibat me safar kaise karoogi,
hojaae shifa khair se tab khat mujhe likhna
Nani ki hifazat mei diye jaata hu tumko,
amma ki lahad dekh ke socha karo humko,
ab zid na karo jaawo ye kehna na khudaara
Phir Suraa-E-Yasin ko padne lage Maula,
Beti ko dua deke pukaare Shah-E-Waala,
Marjaaunga ab gham se agar tum ne pukaara
NAWHA – SAFAR-E-IMAM-HUSSAIN (AS)
CHALAA ME WADA NIBHAANE
SALAAM MAA KE MAZAAR
Salaam nana ke roze, Salaam ma ke mazaar (2)
Mai tera din bachaunga, Ay mere nana,
Mai apna khoon bahawunga, Ay mere nana,
Husain jaata hai marne, Salaam ma ke mazaar
Meri sharike safar ban-ke, Saath chal amaa,
Safar pe jaata hu kapde, Mere badal amaa
Libaaz-e-khuld sajaa de, Badan pe phir ek baar
Dua karoo koyi sar be-rida na ho amaa,
Namaze zoh-ke shahadat, Kazaa na ho amaa,
Na aye mere chaman pe, Sitam ki gardo gubar
Diye jalane ko nana, Tumhare roze par,
Zuroor ayegi Sugra, Har ek sham-o-sahar,
Khuda kare rahe roshan, Sada tumhara mazaar
Tumhare jaisa hai nana, ye mera laal Akber,
Dua karoo na lage isko, Asmaan ki nazar,
Lute na door watan se, Hamare dil ka karar
Tamaam phool se bache hai, Aur garm hawaa,
Hamare khoon ki pyaasi hai, Foje Zulmo jafaa
Safar me koi shajar bhi, Nahi hai saaya adaa
Ha-ek phool to aisa hai, Jo khila bi nahi,
Na paye pani tho kar sakta, Wo gila bhi nahi,
Wo jisko dek-ke aati, Hai dood ki mehkar
Meri sakina kaha aur, Rasan ke bandh kaha,
Zamin garm pe chalna, Use pasand kaha,
Kadam wo phool se nazook, Wo raaste purkhar
Challa me waada nibhaane Sallam ma ke mazaa
Salaam nana ke roze, Salaam ma ke mazaar (2)
NAWHA – SAFAR-E-IMAM-HUSSAIN (BIBI SUGRA) SMA
HAAY JAB MADINE SEY CHALA
Kafla karbobala, Tha ye sughra ke labo par nawha
(Ley chalo baba, mujhe ley chalo baba) x3
Apne hamraah suwe karbobala
(Ley chalo baba, mujhe ley chalo baba) x2
Apki yaad me roro ke mei marjawungi.
Baba akbar ki kasam chain nahi pawungi.
Meri saso ka bharosa na raha
Kaflay walo ko pani bhi pilawungi mai.
Apni aghosh me asghar ko sulawungi mai.
Baba ye apse wadaa hei mera
Mere kano me jo awaaz azaan ayengi.
Mere akbar ki muje yaad bohot ayengi.
Bhayi ki yaad na ban jaye qazaa.
Kaise akbar ke bina Eid guzarungi mai.
Kabhi tumko kabhi amu ko pukarungi mai.
Jab koi paas na honga baba
Dhoop aur garm hawa hongi safar me dekho.
Apne aachal me chupalungi ali asghar ko.
Yu na asghar ko karo mujse judaa
Khwaab Akbar ki urusi ke bohot dekhe the.
Khaak hojayenge ay baba sab armaan mere.
Dil yahi soch ke rota hai mera
Chacha Abbas aur Sakina phuphi zainab se.
Akhri baar mila do muje baba sabse.
Phir ye bimar nahi dengi sadaa
Bhaiya Abid ko dawaa roz pilawungi mai.
Unki raho me nigaaho ko bichawungi mei.
Tum kanizo ki tarha behr khudaa
Acha mehmil me muje tumna bithaana baba.
Tum muje raah me peydal hi chalaana baba.
Na karungi me shikayat na gilaa.
Maine manaa ke nahi kaam mera manzar mei.
Baba itna to batado ke akele ghar mei.
Zindaa rehpayengi sughra tanha
Apne ham rahe suwe karbobala (Ley chalo baba, muje ley chalo baba) x2
NAWHA – 1ST MOHARRAM
BICHA KE FARSHE AZA, FATEMA KO YAAD KARO
Alam sajaawo kisi be rida ko yaad karo (2)
SIYAH KAPDE BADAN PAR HO SIRF IS GHAM MEIN, (2)
Ruke na ankh se ansoo kabhi muharram mein, (2)
Libaas-se Hazrate Zainul-e-ba ko yaad karo
KABHI SABIL SE PANI PIYO TO YE KEHKAR, (2)
Mai teri pyaas pe kurban husain ki dukhtar, (2)
Kabhi sakina kabhi ba wafaa ko yaad karo
GALE MEIN SHALE-AZA AUR HAATH SINOO PAR, (2)
Alam uta ke chalo yun dahkte sholo par, (2)
Jo bekasoo pe huwi us jafaa ko yaad karo
JHULA JHULA-O KISI BE ZABAAN KA JAB BHI, (2)
To yaad karna zara bekasi wo banu ki, (2)
Kabhi Rubab ki aaho buka ko yaad karo
GHAME HUSAIN MILA HAI TUMHE MUKADAR SE, (2)
Sadaa Husain kay matam ki aaye ghar ghar se, (2)
Husain Husain karo Karbala ko yaad karo
WO JIS-NE DEEN KE KHATIR LUTA DIYA GHAR KO, (2)
Khuda ki raah me jis-ne kataa diya sar ko, (2)
Pado namaaz to us bay khataa ko yaad karo
ALAM JO HAZRATE ABBAS KA UTA-THE HAI, (2)
Dile batul se lakho duwae paate hai,
Alam ke saye mein awo duwa ko yaad karo
KABHI YE SHOCH KE TUM DEKHNA PHARE-RE KO, (2)
Yahi to Zainab-E-Muztar ki aas thi logoo,
Alam ko dekho to us berida ko yaad karo
BAHEN KE SAMNE DOOLA BANE KOI BHAAYI, (2)
Jo apne bhayi ka sehra na dekhne paayi
Usi gharib behen ki sadaa ko yaad karo
KHUDA NA KHASTA KISMAT YE DIN JO DIKHLAYE, (2)
Kisi jawan ko jawani mein maut ajaaye,
To hum shabihe Nabi ki kazaa ko yaad kare
NAWHA – 1ST MOHARRAM
TAMAM ALAM ME AJ MATAM
Husain bekas ka ho raha hai
Alam gharo me saje huwe hai
Dilo me farshe azaa bicha hai
Tamaam alam me aaj maatam
(Seeyah kapde seeyah chaadar
Ghamo ki gardo gubar sarpar x 2)
Hai sogwaroon ke ashq jaari
Ke saaniye Zehra be rida hai
(Na chasme purham ho kyun sawaali
Juloos hai Zuljanah khaali x2)
Ke mera dul dul sawaare maula
Zameene karbal me so raha hai
(Alame mashke Sakina dekho
To momino bas ye keh-ke rolo x2)
Chacha bhatiji me kya hai nisbath
Wafae Abbas kya wafa hai
(Hussain peedi me dil sambhale
Ke dil se uljhi sina nikale x2)
Jawaan beta lahu me dooba,
Zamee pe yedi ragad raha hai
(Na maar barchi dile Nabi par
Abhi huwe hai jawaan Akbar x2)
Ye qatl jisko tu kar raha hai
Yahi to hamshakle Mustafa hai
(Madine walo kaamosh rahna
Gareeb Zainab se kuch na kahna x)
Bharaa huwa ghar jo legayi thi
O karbala me ujad gaya hai
NAWHA – 1ST MOHARRAM
GHAR GHAR MATAM, DAR DAR MATAM
Tera hota rahe maula matam (2)
Basti basti karya karya (2),
Tera hota rahe maula matam
Gar gar matam, dar dar matam,
Tera hota rahe maula matam
Tera matami ay mere maula,
Duniya ke kisi kone me gayaa
Musroof raha matam me tere (2)
Deta he sukoon tera matam
Jab dil ne kaha aayi Zehra,
Mere ghar me bahaane ashke azaa
Bas maine bichake farshe azaa (2)
Kuch dair kiya barpa matam
Kal haath bandhe the zainab ke,
Majboor behen thi matam ke
Majlis hai teri ghar ghar barpa (2)
Ab karti hai sab dunya matam
Abbas ke shane kat tho gaye,
Masum tere pyaase hi rahe
Ghazi ke liye bacho ke liye (2)
Ab karta hai ye darya matam
Aashoor ko jab suraj nikla,
Zehra ke bhare ghar ko dekha,
Par chand ne zainab ko dekha (2)
Karti hai bhare ghar ka matam
Karbal se safar tha shaam ka jab,
Lashe pe pukari ye zainab,
Taa hashr teri mazloomi par (2)
Karna hai mujhe bhaiya matam
Jo karbobala se sham gayi,
Wo binte Zahra binte Ali,
Sab maaye behne milkar ab (2)
Karti hai sadaa uska matam
Bimar tha aur zanjeeri thi,
Pairo ke tale jalti thi zamin,
Sajjad ke gham me roro kar (2)
Karta hai har ek rasta matam
NAWHA – 1ST MOHARRAM– BIBI SUGRA (SMA)
SUGHRA GASH SE CHOWK KAR UTI (2)
Boli sar ko pit'thi huwi, Haaye meri nind ud ga’ayi (2)
Mere baba khairiat se ho (4)
Dekha aj maine kaisa khwa’ab
Reyt par pade hai kuch gula’ab
Chun rahe hai jinko butura’ab
Khoon ro raha hai afta’ab
Ek taraf alam hai khun me tar’r
Juk gayi hai shah ki kamar’r
Jaa rahi hai jis taraf nazar’r
Bibiya khadi hai nange sar’r
Hay hay Qasim-E-jawa’an
Bayn kar rahi hai jiski ma’a
Hil gayi zamin or asma’an
Todi jab dulhan ne chudiya’an
Ek bachi sina-e-padar’r
Dundh ti rahi idhar udhar’r
Baap so raha tha khak par’r
Jis ke tan se kat chukaa tha sar’r
Khayd hai rasool-e-zadiya’an
Haath me bandhe hai rassiya’an
Bekajaawa hai amaariya’a
Khun ro raha hai sareba’an
Khwaab ye bada ajeeb tha’a
Badsha-he deen gharib tha’a
Kya yahi mera nasib tha’a
Bekafan mera tabib tha’a
SARVAR-O-REHAN ki sada’a
Ho khabool shah-e-karbala’a
Koyi bachi aur is taraha’a
Yu-na de tadap ke phir sada’a
NAWHA – JANABE AUN-O-MOHAMMED (A.S)
Kehti thi zainab, Ay mere sheyro, Kehti thi zainab, Mere dilero
Aun-o-muhammad mere, aun-o-muhammad (4)
Khwaab ye zainab ka tha, chaand sitare mere (chaand sitare) x2
Mamu pe hongaye fida, guod ke pale mere (guod ke pale) x2
Khwaab ye sacha huwa, Sar mere uncha raha,
Hone ko sheh par fida laal mere, sheyr mere chaand mere
(Aun-o-Muhammad mere, Aun-o-Muhammad) x2
Jaffar-e-tayyar ke khun ke akkas ho (khun ke akkas) x2
Husn mei akbar ho tum josh mei abbas ho (josh mei abbas) x2
Jang ke maydaan mei maut ke armaan mei,
Saya-e-qur'an mei, aise utho aise lado maut pe tum qud pado
Ha meri taqeed par dhyan tumhara rahe, (dhyaan tumhara) x2
Jake lab-e-nehr bhi pyaas gawara rahe (pyaas gawara) x2
Duud na bakshungi mei, mu bhi na dekhungi mei,
Sheyr ki beti hu mei, wada karo aao chalo, tum na raho
Maana ke pyaase ho tum, pyaas pe kabu rahe (pyaas pe kaabu) x2
Sheh ke alamdar ki, saans mei khushbu rahe (saans mei khushbu) x2
Bas ye tamanna meri, laaj rahe khun ki,
Hai ye wasiyat meri, khawo qasam, jaawo hasham, hoga na kam
Aun ye kehna laga, bhayi muhammad suno (bhaayi muhammad) x2
Aeik taraf mei badoun, eik taraf tum barho (eik taraf tum) x2
Jang ho fowj-e-sitam, jang kare aise ham,
Maamu hame de alam, deke hame amma kahe jite rahe
Dono jari jang ko surat-e-andhi bade, (surat-e-andhi) x2
Nana Ali ki tarha, maut pe haavi rahe (maut pe haavi) x2
Milke jo hamla kiya, meymana-aur-meysra, eik me dam hogaya,
teygh-e-Ali, aise chali, dhum machi
Dekh rahi thi jo ma khaime ke darpar khadi (khayme ke dar par) x2
Saath wahi thay khade Hazrat-e-Abbas bhi, (Hazrat-e-Abbas) x2
Bhaayi behen saath thay, sahib-e-awlaad thay, waris-e-ajdaad thay,
kehne lage khub lade sheyr mere
Larde kaha tak bhala pyaas ke maare huwe (pyaas ke mare) x2
Jalti huwi khaak par dono tadapne lage (dono tadapne) x2
Bhaayi se kehne lagi, fakhr se bint-e-ali, surkhru zainab huwi,
Sadkhe tere bhaayi mere, laal huwe
Aun-o-muhamad na the, wo dur-e-nayaab the (wo dur-e-nayaab) x2
"SARWAR-O-REHAN" wo wakif-e-adab the (wakif-e-adab) x2
Hukm jo maa ne diya, rukh na kiya nehr ka, pyaas ka sadma saha,
Maa ne kaha shukhr-e-khuda, huwe fida
NAWHA – SHEHZADA-E-ALI ASHGAR (A.S)
HAY-ASGHAR – HAAYE ASGHAR (2)
Huwi Shaam Na Aaya Asghar, Mai loori Sunaon Kisko (3)
Nawha Tha Ye Maa Ke Lab-Par (2), Mai Loori Sunaon Kisko
Huwi Shaam Na Aaya Asghar, Mai loori Sunaon Kisko (3)
Haathoon-pe gaye thay laykar, Shabbir Tujhe ay jaani,
Ye kehke tasal-li di-thi, pil-vaunga isko paani,
Laut aaye hai khaali Sarwar (2), main lo’ori sunaaon kisko…
Kya baath huwi hai beta, kyun rout gayaa maadar se,
Jhule ko uda’asi dekar, haathon-pe gaya tha ghar se,
Itna to bata de dil-bar (2), main lo’ori sunaaon kisko…
Ashoor ka din dhalte hi, mazloom-mo ki shaam aayi,
Din laashe ginte guzra, har shaam qayamat laayi,
Maa kehti rehi ye lut-kar (2), main lo’ori sunaaon kisko…
Ye ayh’d kiya hai beta, saaye may-na mai jaungi
Kya mujko qabar thi beta, mai itne gham paaungi,
Kehti thi yehi maa ak’sar (2), main lo’ori sunaaon kisko…
Paani ki jaga sahil say, ek teer gale par khaakar,
Mera be-sheer mujaahid, mera masoom-sa Ashgar,
Soota hai lehad ke andar (2), main lo’ori sunaaon kisko…
Tuj-jaisi kali ko beta, Is tarah masal-dhala hai,
Tu phool tha mere ghar ka, Tera-rang badal dala hai,
Hai zakm teri gardan par (2), main lo’ori sunaaon kisko...
Zakmoon ke safar mai beta, tu-bhi to nahin soya tha
Ye maa ko qabar hai Asghar, Tu shay ke-liya roya tha,
Tu soo-gaya aakhir thak-kar (2), main lo’ori sunaaon kisko…
In-saann nahin hai koyi, haywaan hai is jungle main,
Jinki thi pehre daari, O sogaye is maqtal main,
Ye dekh-ke khooni manzar (2), main lo’ori sunaaon kisko…
Har waqt rulaati rehti, jisko iski tanhaayi
Nawha tha “ZAFAR” is maa ka, jo lutt-ke Madine aayi,
Ay mere bahadur Asghar (2), main lo’ori sunaaon kisko…
NAWHA – SHEHZADA-E-ALI ASHGAR (A.S)
NAIZAY SE ASGAR KO NAZAR AAYI JO MADAR
Dekha khula sar hai pariyshaan hai muztar
Rone lage kehne lage tab ali asgar
Maa mujhe apnay seenay se lagaalay
Maa muje apni godi me chupalay, Maa me naize pe hu (2)
Maa mujhe apnay sine se lagaale.
Maa mujhe apni godi me chupale
Amaa bohath din huwe jhule me na soya
Maa teri izath ki khasam phir bhi na roya
Ab tujhe dekha to mere lab huwe goyaa
Aaj bandhe hathoon ko jhula sa bana-le, seenay say laga-le….
Jism kahan, sar hai kahan, haaye mukaddar
Amaa badan rehgaya karbal ki zamin par
Amaa tere saath chalaa aya mera sar
Karta tuje kaise layeenoon ke hawaale, seenay say lagale….
Garm hawaa garm zameen jalta huwa teer
Amaa zara socho mere khad se bada teer
Kaise kahun hulk pe jis waqt lagaa teer
Hogaye bayhosh mujhe dekhne wale, seenay say lagale….
Kabse sakina ne nahi mujhse kiya pyaar
Karbobala kufa kahan shaam ka bazaar
Darti hai kya khoon-se bhare, dek-ke ruksaar
Naize ke nazdeek zara usko bula-le, seenay say lagale….
Dhoop me tune na kabhi ghar se nikaala
Amaa baday pyaar se tune mujhe palaa
Aaj nahi koi mujhe dekhane wala
Tuhi mujhe dhoop se shiddat se bachaale, seenay say lagale….
Dekh teraa lakhtay jigar yun to hai ASGAR
Naiza sawaari may-hai Akbar ke baraa bar
Noke sina par hai sitaara sa mera sar
Meri shujaath pe gale mujko lagaale, seenay say lagale….
Baba ka sar bhaayi ka sar noke sina par
Aap ke sarpe nahi ama koi chadar
Kaise me bardash karu ama ye manzar
Jalti huwi khak se moo apna chupale, seenay say lagale….
NAWHA – SHEHZADA-E-ALI ASHGAR (A.S)
Ya Hussain, Ya Hussain Ya Hussain, Ya Hussain
Mein jhoola jhulaon, Mein Tujhay Jhoola Jhulaon
Mein Khuwaab mein Asghar tujhay, Lori bhi sunaoon
Tujhay Jhoola Jhulaon, Mein Tujhay Jhoola Jhulaon
Laut Aoo safar sey ke badi deyr huwi hay
Betaab hu kabsey tujhay seenay sey lagaoon
Koi Mujhay Butlata Nahi teri Nishani
Barsaat mein teeroon ki kahan dhoondnay jaon
Socha tha teri saalgirah ghar mein karoongi
Taqdeer yeh kehti hay tera soug manaoon
Baba sey teray tera Janaza na uthaiyga
Ruk ja zara Abbas ko dariya sey bulaon
Yeh Khoo-mein bhara kurta, yeh matti mei-bharay baal
Seenay mein chupaon ke mein aankhoon sey lagaoon
Iss tarha Koi root ke maa sey nahi jata
Tu Khud-hi bata dey mein tujhay kaisay manaoon
REHAN ke Nohay sey sada baano ki ayee
Mein aankhoon sey askhkoon ke samander ko bahaoon
Mein Khuwaab mein Asghar tujhay Lori bhi sunao
Tujhay Jhoola Jhulaon
Mein Tujhay Jhoola Jhulaon
NAWHA - SHEHZADA-E-QASIM (AS)
QASIM KE JANAAZE PE KYA DARD KA MANZAR HAI
Roti hai phuphi uski, nawhaa kuna madar hai
Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai (2)
Sab khoon se bhara sehra poshaak dareeda hai (2)
Pamaal badan saara, aur khaak ka bistar hai
Roti hai phuphi uski, nawhaa kuna madar hai
Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai (2)
Mehndi hai lahu wali nawhshaah ke haatho mei (2)
Saaye ke liye sar par, bas dhoop ki chadar hai
Roti hai phuphi uski, nawhaa kuna madar hai
Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai (2)
Tukday tha jigar jaysay ay maula hassan tera (2)
Tukdoon mei yahaa maula, vay-saa tera dilbar hai
Roti hai phuphi uski, nawhaa kuna madar hai
Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai (2)
Maa kehti thi qasim ki ay laal kahaan jaaooun (2)
Ghayray huwe khaymo ko, hai kuffar ka lashkar
Roti hai phuphi uski, nawhaa kuna madar hai
Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai (2)
Ik gat-ri may laate hai shabbir ye kya ran se (2)
Awaaze falak aayi, lakhtay dile shabbar hai
Roti hai phuphi uski, nawhaa kuna madar hai
Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai (2)
Behno ne kiya matam qasim ke janaaze par (2)
Masroofe fughaa saari, awlaade payambar hai
Roti hai phuphi uski, nawhaa kuna madar hai
Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai (2)
Shah kehte-the ay qasim kyun tuj ko ajal ayi (2)
Sinay mai mere beta, ik dard ka khanjar hai
Roti hai phuphi uski, nawhaa kuna madar hai
Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai (2)
Bikhra hai tera sehra jalti huwi reyti par (2)
Har phool ki ankho(n) me, ashkoon ka samandar hai
Roti hai phuphi uski, nawhaa kuna madar hai
Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai (2)
REHAN zaraa socho laashe to bahattar hain (2)
Rone ke liye tanha, "Shabbir" ki khwahar hai
Roti hai phuphi uski, nawhaa kuna madar hai
Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai (2)
NAWHA - SHEHZADA-E-QASIM (AS)
KUBRA NE KAHA QASIM DULHA (2)
KIS SONE BUN ME SOTE HO
BACHPAN KA RANDHAPA DEKHO ZARA
KIS SONE BUN ME SOTE HO
Sahra hai Kahin Kangna hai Kahin - 2
Masnad ke Yevaz hai Qack Nasheen
Hai Raand banee Mahboose Jafa
Kis Sone Bun me Sote Ho
Shaadi ka Naya Qillat ye Mila - 2
Hai Sarpe-mere Ek Kaali Rida
Dekho To Dulhan ka Haal Zara
Kis Sone Bun me Sote Ho
Paazeb ki Jaa Bedi hai Padi - 2
Kangne ke Yevaz Rassi hai Bandhi
Kya Qoob Banee kya Haal Bana
Kis Sone Bun me Sote Ho
Thama Tha Jo Tumne Haat Mera - 2
Dena Tha Lahad tak Saat Mera
Muj Raand Banee se Hoke Qafa
Kis Sone Bun me Sote Ho
Mazloom Baney Be Yaar Baney - 2
Martee hai Banee Gumqaar Baney
Batlaavo to Apna Haal Zara
Kis Sone Bun me Sote Ho
Maatam me Gireban Phadungi - 2
Baalon se Lahad ko Jhadungi
Lillaah muje Do Apna Pata
Kis Sone Bun me Sote Ho
Hoja ta tha SHOWKAT Hashr Bapa - 2
Hilja ta tha Dashte Karbobala
Kahti thi Jo Ro Ro kar Dukhiya
Kis Sone Bun me Sote Ho
NAWHA - SHEHZADA-E-QASIM (AS)
HAEY HAEY QASIM(AS) HAEY QASIM(AS) (X2)
Qaidi ban ker paband-e-rasan, Lashoun say jo guzray ehl-e-haram..
Her bibi apnay piyaroun say, Houti thi vida ker k matam…
Ek bibi Fatima Bint-e-Hassan(as), Pamal badan Qasim(as) ki bahan
Kisi ek ja say rukhsat na hui (x2) Toukroun mein jo tha bhai ka badan
Kabhi is tukray per haey Qasim(as), Kabhi os tukray per haey Qasim(as)
Teri Bhen garib nou nai bhulna (x2)
Teray qatal da manzar haey Qasim(as)
Haey haey Qasim(as) haey Qasim(as) (x2)
Kabhi is tukray per haey Qasim(as), Kabhi os tukray per haey Qasim(as)
Kabhi sehra daikh ke routi thi,
Kabhi ghash kha ke gir jati thi (x2)
Pamal hua tha bhaayi jahan (x2)
Os khoon pay gir ker haey Qasim(as)
Kis shan say tum dulha thay banay,
Kis shaan say thi baraath chali (x2)
Baithi rahi dulhan hujre mein (x2)
Aey na palat ker haey Qasim(as)
Farwa(sa) nay kaha beta Qasim(as),
Keh dayna dadi Zehra(sa) say (x2)
Ghurbath ki kamai tukdoon mein (x2)
Bhyeji hai saja ker haey Qasim(as)
Uth Qasim(as) daikh teri dulhan,
teri lash pay roone aai hai (x2)
Aey kaash ye shadi raas aati (x2)
Buss jata tera ghar haey Qasim(as)
Har sath moharram ko mehndi,
Teri yaad mein Qasim(as) uthti hai (x2)
Doolha doolha Qasim(as) doolha (x2)
Hota hai laboun per haey Qasim(as)
JAWWAD, REHAN TAY SARWAR NOU,
Nai bulnay vain us bibi day
Jenday sadqay aj vi jaari ay (x2)
Teda matam ghar ghar haey Qasim(as)
NAWHA – SHEHZADA-E-ALI AKBAR (A.S)
KHO GAYE HO TUM KAHAN
Dhund-ti madar – Ay Ali Akbar meray (2)
Zakm seenay par laga (2), aur jigar thak chid gaya
Khoon se rangeen hai, sar zameen-e-karbala (2)
Haat rak-lo zakm par, aati hai maadar
Aarzu hai ye meri (2), dekhun sehray ki ladi
Haaye khismath kya karun, khoon mai maiyath padi (2)
Say-J phoolon ki kahan, khaak ka bistar
Monisoo yawar nahin (2), shah ka lashkar nahin
So-gaye Abbas bhi, ghoud may Asghar nahin (2)
Sai-kadoon ranjo mehan, aur ek sarwar
Ek Sakina si behan (2), shal hai koodon se badan
Aur gale may band ne, shimr laya hai raskan (2)
Zulm ki hai entihaan, chingaye gowhar
Thouq ka aazar hai (2), Abid-e-beemar hai
Zainab-O-Kulsum aur sham ka bazaar hai (2)
Ba’ad teray ahle shar, ley gaye chaadar
Khaid se jab aaungi (2), main Madina jaoungi
Poucheygi Sugra tumhe, kiya us-se batlaaungi (2)
Kiss-tara sey paayegi, gham tera khuwa-har
Ay shahid-e-karbala (2), Ay shahid-e-mustufa
Vasta hai aapko Shabbar-O-Shabbir ka (2)
Ab HASSAN ki liji-ye kuch khabar aakar
Ay Ali Akbar meray (2)
Kho gaye ho tum kahan
Dhund-ti madar – Ay Ali Akbar meray (2)
NAWHA – SHEHZADA-E-ALI AKBAR (A.S)
MERA SEHRE’YA WALA AKBAR (4)
ZAKM DIL KE DIKHAUN MAI KAISE (2)
TERA LASHA UTA HUN MAI KAISE
AKBAR - MERA SEHRE’YA WALA AKBAR (4)
Lashe Akbar pe shah jab pahunche, Dilko hathon say thamkar bole
Teri furkhath ne aye Ali Akbar, Aag dil mai mere laga di hai
Aag dil ki bhujaun mai kaise (2), Tera lasha uta hun mai kaise
Tu hai kadiyal jawan ay beta, Baap tera za-eif hai kitna
Noor ankhoon ka hogaya ruksath, Mujko ata nahin nazar khaima
Layke khaimon mai jaun mai kaise x2 Tera lasha uta hun mai kaise
Usne athara saal pala tha, Kaise dekhegi O tera laasha
Teri shaadi ka tha jise armaan, Kaise jhaylegi O tera sadma
Teri maa ko bataun mai kaise (2), Tera lasha uta hun mai kaise
Dekh aayaa hai khaside Sugra, Ra’h takti hai O dukhi behna
Tujko beemar ne bulaya hai, Wada Sugra ka kyun bhula dala
Gham ye dil se lagaun mai kaise (2), Tera lasha uta hun mai kaise
Bhaayi behnoo ka hai ajab rishta, Jiska sa’ani kahin nahin milta
Roke Sugra ne ye likha Akbar, Ek dukhiya ki laaj rak-layna
Margaya tu bataun mai kaise (2), Tera lasha uta hun mai kaise
Lutf jeene mai ab kahan Akbar, Dilse ut-thi hai ye fuqaan Akbar
Subhe ashoor di thi jo tune, khun rulayegi O azaan Akbar
Teri surath bhulaun mai kaise (2), Tera lasha uta hun mai kaise
Zabt ghamka muhaal hai beta, Dekhun kaise ye zakm seene ka
Mai to pardes main akeyla hun, Dekh kar zakm kya karun batla
Ispe marham lagaun mai kaise (2), Tera lasha uta hun mai kaise
Aisi ghurbath mai mu nahi modo, Mai hun tanha mujhe na yun chodo
Kya guzarti hai baap ke dilpar, ghamzada dil ko yun nahin todo
Apni ghurbath bataun mai kaise (2), Tera lasha uta hun mai kaise
SHADMAN ye duwa hai khaliq say, Waqt aisa kisi pay na aaye
Jaisa “Mazhar” ne lik-diya manzar, Shah kehte the bas yehi rokar
Zakm dil ke dikhaun mai kaise (2), Tera lasha uta hun mai kaise
NAWHA – SHEHZADA-E-ALI AKBAR (A.S)
SAB PHULO KE GEHNE ME SAWAARI DULHAN AAYE.
Tum jaise ho bas aise hi pyaari dulhan aaye.
Sar pe agar sehra sajana, Hatho pe kangnaa jo bandhana (2)
Bhaya muje bhool na jaana
Fatema sugra ne ye akber ko likha hai,
Bhayi salaamat raho behna ki duwa hai,
Baad duwa dil me ye armaan basaa hai,
Masne de shaadi jo bichaana,
Baba ki aggosh-me mai-bhi to pali hu,
Bhaiya teri ungli pakadkar me chali hu,
Kya me tere chawon se mehroom rahi hu,
Baba ki jab chawon me janna,
Baba se kehna ke meri jald khabar le,
Toot na jaaye kahi baba meri saase,
Kat-ta nahi din na guzarti hai ye raate,
Khat mera baba ko sunana,
Bhaiya tere baad jo din eid ka aya,
Eid ke din eid me gham maine hi paaya,
Mujko bhare gar ki judaayi ne rulaaya,
Dukh ye mera sab ko bataana,
Sunti hu kerbal ki bohot garm hawaa hai,
Amma se kehne ke ye Sugra ne kahaa hai,
Phool sa Asgar jo mera sath gayaa hai,
Dhoop se jab usko bachaana,
Behno ka dil jaane jigar hota hai bhaayi,
Ankh teher-thi hai jidar hota hai bhaayi,
Mere tadapne ka asar ho ta hai bhayi,
Tum ho jaha mujko bulanaa,
Bhaiya mujhe rehta hai har waqt ye ehsaas,
Bhool gaye kya mujhe mere chacha abbas,
Aye alam aye sakina ho mere paas,
Aas meri tod na jana,
Ama se kehna ke sakina ki kasam hai,
Fa’asla ab kabre se bimaar ka kam hai,
Dair na ker na ke mere hoto pe dam hai,
Haat duwa ko jo uthana,
NAWHA – SHEHZADA-E-ALI AKBAR (A.S)
SHABIH-E-PAYAMBAR AKBAR, NAUHA KARE MAA
SHAAH KA DILBAR AKBAR, NAUHA KARE MAA
Armaan Bohot Tha Main Tere Shaadi Rachawoon
Ek Roz Dulhan Chand Si Main (Biyaah Kai Laawoon-2)
Par Laash Pe Roti Hai Tere Kookh Jali Maa
Zinda Thay Tumhe Dekh Ke Ab Kaysai Jiungi
Socha Tha Terai Biyaah Ki (Poshak Siungi-2)
Par Tujh Ku Kafan Bhi Na Mila Haaie Meri Jaan
Roti Hai Phuphi Jis Nai Tumhe Laad Sai Pala
Tum Kya Gayae Rukhsat Huwa (Is Ghar Sai Ujala-2)
Ek Baap Zaiefi Main Huwa Be Sar-o-Saman
Abbas Ka Sadma Bhi, Abhi Kam Na Huwa Tha
Aysai Mai Meri Jaan Tera (Waqt-e-Ajal Aaya-2)
Tum Margayai Kuyn Mar Na Gaie Lal Teri Maa
Bimaar Behan Takti Hai Beta Tera Raasta
Pardes Main Aayae To Rahaa (Yaad Na Waada-2)
Maqtal Kiya Aabaad Madina Kiya Wiraan
Phir Ta Hai Meri Ankh Main Ab Tak Wahi Manzar
Ay Jaan-e-Pader Noor-e-Nazar (Ay Ali Akbar-2)
Hamshakl-e-Nabi Kehte Thay Tum Ko Shah-e-Zeeshaan
Allah Nigehban Tumhara Mere Pyaare
Ham Loge Rasan Basta (Sue Shaam Sidhare-2)
Sota Hai Terai Saath Yahin Asghar-e-Naadan
Pyaase Thay Bohot Pyaas Ye Kis Tarah Bujhaye
Is Chaand Sai Sine Pe Sinaa Zulum Ki Khayein-2
Tum Sote Ho Maa Jaati Hai Beta Suie Zindaan
NAWHA – SHEHZADA-E-ALI AKBAR (A.S)
HAI AKBAR – HAI AKBAR (4)
AKBAR.... TERI LAASH UTAYE KAISE HUSSAIN (2)
DIL THAME HUWE AUR QHAM HAI KAMAR
BINAAYI NAHIN AUR ZAKMI JIGAR… AKBAR
Ay beta zaeefi hai aisi, raasha hai badan pe baba ke
Abbas nahin Qasim bhi nahin, imdaad ki qatir kaun aaye
Liye mouj-isii gham-ka dilpar... Akbar
Sadmoon ki thakan ne maar diya, din bhar tho utaaye hai laashe
Sab sabt ke bandhan toot-gaye, binaayi gayi tere gham se
Thanha hai sare maqtal ye padar…. Akbar
Ay laal teri surath ki qasam, ab ta’ab nahin hai is dil-ko
Mai bhuda padar aur tum-ho jawan, kya waqt pada itna souchoo
Mai bekas-o-tanha aur muztaar……… Akbar
Khaimay mai tujhe rooti hai puphi, aur zebay musala hai madar
18 baras pala hai tujhe tu khud hi bata ay mere pisar
Kya beet rahi hogi dilpar........ Akbar
Pardes mai mere noor-e-nazar, jeete-ji mujhe tu maar gaya,
Naize ki tarah ye gham Akbar, hum sab ke diloon se paar gaya,
Rooti hai teri maa ye kehkar……. Akbar
Karta hun duwa-ein khaaliq se, qismath na kisko de-ye gham
Ho samne beta ka laasha, aur baap kare uska matam,
Sunle ye duwa rab-e-Akbar......... Akbar
Taqdeer kisi madar ko-bhi, ye gham na dubara dikhlaye
Beta ho shabiye paighambar, maa jeeti rahe O marjaaye
Mar jayegi roo roo kar madar………. Akbar
Jo tere kalaije mai thi sina, hai zakmi usi-se dil mera
Kis tarah sina O khainchi thi, mai tujko nahin batla sakta
Dil tukde huwe jaata hai pisar......... Akbar
Jo bayn kiye shay-ne ban-me, Mazhar O bayan kar sakta nahin
Sina pe pisar ke sar rakar, ye kehte rahe bas Shaahe-deen
Ab zinda rahun mai bhi kyun-kar......... Akbar
NAWHA – HAZRATH-E-ABUL-FAZLIL-ABBAS (A.S)
TERAY KATA HUWE BAZOO NIJAATH PANI KI
Teray badan ka paseena zakath pani ki
Jahan bi paani-O-mash-O-alam ki baath chali
Ali ke laal ke khadmoo talay furaath chali
Wafa-E-ishk-O-mohabath ki kaye naath chali
Duwa-E-Fathema Zehra bi saath saath chali
Alam ke dam se hai ab tak hayath pani ki
Jari ki jeeth huwi aur maath pani ki
Wo ek mashk jo kauser samayt kar nikli
Laboo pe apne samandar samayt kar nikli
Tabassum-E-Ali Asgar samayt kar nikli
Jo ek zarb se lashkar samayt kar nikli
Agar na kehti ye aabe hayaath pani ki
Har ek nigaha se gir jati zaath pani ki
Sakina bibi ke saq-qe Ali ke laal salaam
Jari sa’qi asad-e-shayre zul-jalaal salaam
Wafa ki aakri haq-e-mahay kamal salaam
Nahin hai dono jahan main teri misaal salaam
Teray kata huwe bazoo nijaath pani ki
Teray badan ka paseena zakath pani ki
Himayath-e-shah-e-mazlum may fana Abbas
Tabath-O-jurath-O-ghayrath ki intehan Abbas
Janab-E-Zainab-O-bekas ka aasra Abbas
Labay furaath faqath tunay hi likha Abbas
Hamari tashna lagi hai furaath pani ki
Hayaath pyaaso ki tehri wafath pani ki
Teri hayaath ka saman NASEER-e-shabbir
Badal ta rehta hai jo kaynaath ki taqdeer
Furaath-O-mashk-O-alam hashr tak teri jagir
Main aur ye meri tanzeem iske dar ke fakir
Bahaygi chasmay azaan se furaath pani ki
Chalaygi majlis-O-matham main baath pani ki
YA ABBAS (4)
NAWHA – HAZRATH-E-ABUL-FAZLIL-ABBAS (A.S)
LABE FARAAT-E-ALAMDAR-E-KARBALA AYAX3
WAFAA KO NAZ-E HE JIS PARX2 WO BA WAFAA AYA
Ali ka ehde jawaani Palat ke a’aya hai
Isi liye pare jibreel thar-thara’aya hai
Alam ka noor zamin se falak pe cha’aya hai
(Zamin pe phir abu talib ka)x2 naksh-paa aaya’a
Jari ka sina hai ya-ilm ka madeena hai
Ali ka taaj shuja-ath ka ye nagina hai
Sakina pyaasi hai dil misle aab sinaa hai
(Ye mashk hai ya uthaye) x2 huwa duwa aaya
Tarayi kabzeme ankho me pyaas bachoon ki
Likhi huwi hai pharere pe aas bachoon ki
Hai fikr ghazi ko har dam udaas bachoon ki
(O khayma-gah ko mud-mud ke) x2 Dekhta ayaa
Nazar jamayi Sakina alam ko dekh-ti-thi
Dilase bachoon ko de-ti-thi or ye keh-ti-thi
Milenga pani sabhi-ko mitengi tashna labi
(Ye khusk kuza bharege) x2 wo marhala aayaa
Ye kya huwa ke Sakina ne aah bhar ke kaha
Alam chacha ka phuphi kyu nazar nahi ataa
Ye kehke phenk diya apne hath se kuza
(Udhar se fazl bhi karta) x2 huwa bukaa ayaa
Kazaa fizaa me uthi yaa Husaini adrikni
Me ghirgaya mere bazu kate he mashk chhidi
Hussain bole kamar meri jhuk gayee ghazi
(Mere nasib me ye gham) x2 Bahoth badaa ayaa
Kabhi rida kabhi bazu ko, dekhti thi bahan
Tasawaraath me zainab ke, tha Ali ka sukhan
Ridaa chinengi bandh-engi kalaaiyoon me rasan
(Ye soche kar dil-e-Zainab me) x2 khouf-sa ayaa
NAWHA – HAZRATH-E-ABUL-FAZLIL-ABBAS (A.S)
ABBAS JAA RAHE HAI
BACHE TADAP RAHE HAI, ABBAS JAA RAHAY HAIN
HAR BIBI RO RAHI HAI, ABBAS JAA RAHAY HAIN
APNE RIDA KO ZAINAB, HASRAT SE DEKHTI HAI (2)
Sukhe huwe labon par, Bachoon zaban na phero (2)
Mashko alam ko dekho, Kuch deyr mei yahaan tak
Khud nehr aa rahi hai, Abbas jaa rahe hai
Kyun mashk tumne dedi, Ghazi ko shahzaadi (2)
Ay ranjo gham ki aadi, Khush kyun hai ai sakina
Kuch der ki khushi hai, Abbas jaa rahe hai
Jukne lagi qamar hai, Abbas ka safar hai (2)
Sheh marna jaae dar hai, Aafat ghamoon alam ki
Sarwar pe ghir padi hai, Abbas jaa rahe hai
Ik shore al-atash hai, Phaylaa huwa fazaa mei (2)
Masroof hai dua mei, Kyaa sog karbalaa mei,
Ummeed aakhri hai, Abbas jaa rahe hai
Khaimon mei shore matam, Hone laga hai paiham (2)
Har aankh hogayi nam, Shaame gharibaan daaman
Phailaati jaa rahi hai, Abbas jaa rahe hai
Zainab ke baazuuon ko, Chuma tha jab ali ne (2)
Lamhaa the zindagi mei, Baazu bandhenge mere
Zainab samaj gayi hai, Abbas jaa rahe hai
REHAN AZMI who, Manzar na likh sakunga,
Bas itna keh sakungaa, Kehte the shaahe maula
Gham meri zindagi hai, abbas jaa rahe hai
ABBAS JA RAHAY HAIN
BACHE TARAP RAHE HAI, ABBAS JAA RAHAY HAIN
HAR BIBI RO RAHI HAI, ABBAS JAA RAHAY HAIN
NAWHA – HAZRATH-E-ABUL-FAZLIL-ABBAS (A.S)
MISLE HAIDER KE’E ZAMANE’E KA, MADADGA’AR HUN MAI
HATH KATWAKE BHI’’I, SARWAR KA ALAMDA’AR HUN MAI
JO NAHIN JANTE’E, PEHCHAN LE’E – ABBAS HUN MAI
ABBAS HUN MAI – ALI ABBAS HUN MAI (4)
Mere khadmoo ki damak paaye to manzar kaampe
Ghaiz mai aan ke dekhu to dilawar kampe (2)
Bol-uthun to ye sitamgaaron ke lashkar kampe
Himmate kehti hai’i (2) ke Haidare karaar hun mai
Foujko foujke sardar ko dar lagta hai
Tegh ko saahibe talwaar ko dar lagta hai (2)
Mujse har dour ke ghadaar ko dar lagta hai
Mai wafadaaron ka’a’a (2), hami hun wafadar hun mai
Zalime waqt ki hasti ko mita sakta hun
Babe khaibar ko hawaoon mai uda sakta hun (2)
Marhabe waqt ko naize pe utha sakta hun
Mujko pehchaanlo’o (2) Jarar hun jaraar hun mai
Izn Shabbir agar de-to phachadunga abhi
Naqsha har zulm ke baani ka bigadunga abhi (2)
Babe khaibar ki tarah unko ukhadunga abhi
Deen ke waste’e (2) har jung ko tayaar hun mai
Mai agar chahun to dariya mai rawani na rahe
Zulm ki aur sitamgar ki kahani na rahe (2)
Khushk hojaye abhi nehr mai paani na rahe
Masle haq hai to ye’e (2) jaa dene ko tayaar hun mai
Asmaano ki balandi pe khadam mere hai
Karbala meri hai ye louhoo khalam mere hai (2)
Saari duniya mai jo ut-the hai alam mere hai
Kyun ki Shabbir ke’e (2) laskar ka alamdaar hun mai
Sunke Ghazi ka rajas darke sitamgar bhage
Fouj mai shour huwa, nehr say lashkar bhage (2)
Nouke naiza say jo takraaye to phir sar bhage
Aur O kehte-rahe’e (2) Aoo khabardaar hun mai
Matame shah pe fatwe na lagana mufti
Ye alam mera hai bid-dath na batana mufti (2)
Bandkar zulm azaadar pe dhana mufti
Ye rahe jaan-ke’e (2) Shabbir ki talwaar hun mai
NAWHA – HAZRATH-E-ABUL-FAZLIL-ABBAS (A.S)
MAIDAAN MEIN HUSSAIN KA GHAMKHAAR GIR PADA
Shaane kata ke ghode se jarraar gir padha
Maidaan mein Hussain ka ghamkhaar gir pada..(2)
Dikhlagaya bahare wafa jaane murtaza
Dooba hua lahoo mein hai armaane murtaza
Hai paara paara nehr pe qurran-e-murtaza
Fauje khuda ka haaye alamdaar gir padha
Maindaan mein….
Tanha Hussain hogaye yaawar nahi raha
Tashnalaboon mein saakhiye kausar nahi raha
Bibi sakeena amme ghazanfar nahi raha
Fauje khuda ka haaye alamdaar gir padha
Maidaan mein…
Tharra uthega gham se bayaabane karbala
Royegi khoon shaame garibaane karbala
Rassi mein bandhe jayenge mehmaane karbala
Fauje khuda ka haaye alamdaar gir padha
Maidaan mein…
Dariya-ye zindagi ka kinaara nahi raha
Be-aas bibiyaan hai sahaara nahi raha
Tha dil ko jis se chain wo pyaraa nahi raha
Fauje khuda ka haaye alamdaar gir padha
Maidaan mein…
Zarraate karbala-ba-alam bolne lage
Abbaas ke firaag mein aansoon ubhal padhe
Shabbeer kis tarah ALI FITRAT ye gham sahe
Fauje khuda ka haaye alamdaar gir padha
Maidaan mein Hussain ka ghamkhaar gir padha….
NAWHA – HAZRATH-E-ABUL-FAZLIL-ABBAS (A.S)
ASMAN DEKH RAHA THA,
Saq-kha koyi faraat pe aye tha tashnalab,
Mashkiza bhar ke jaanibe khayma chala wo jab,
Barse wo teer chidgayi mashk-e-sakina jab,
Roya alam faraat wafa mashk aur sab.
Gunji maktal mei shah-e-deen ki sada
(Qatl darya pe alamdar huwa) x2
Aur pyaaso ki ye aas tut gayi,
Aya maktal se alam khun me bhara
Aur pyaaso ki ye aas tut gayi
Din dhala sham-e-ghariban ke andhere chaaye (2)
Bas Sakina ne yahi roke kaha
Ab mere sar se ridaa jayengi zainab ne kaha (2)
Rodiye sunke ke shah-e-karbobala
Tere ammu to teri pyaas pe kurbaan huwe (2)
Sheh ne ye bali sakina se kaha
Haath mei sukhe huwe kuze liye bethe the (2)
Marsiya pyaas ka maula se suna
Khun-e-abbas jo parcham se tapakte dekha (2)
Dukhtar-e-shah ka dil dub gaya
Roke kulsum se fizza ne kaha shehzadi (2)
Teri chadar ka muhafiz bhi gaya
Dono haatho se kamar thame huwe sheh ne kaha (2)
Bujh gaya meri ummido ka diyya
Alatash kehke jo rote the wo khamosh huwe (2)
Chayi mahool be matam ki fazaa
Roye sadat to daryaa ka kanara roya (2)
Zindagi royi kahin royi kazaa
NAWHA – HAZRATH-E-ABUL-FAZLIL-ABBAS (A.S)
ABBAS-E-ALI AAYE KARIB-E-SHAH-E-ABRAR
Bhayi ko alam deke kiya sheh ne bohot pyar, Has has ke rafiko se ye karne lage guftaar,
Jaisi ye meri fouj hai waisaa hi alamdar, Ghazi sa koyi deen ka sardar na hoga,
Abbas sa dunya mai(n) alamdar na hoga, Sakhi (abbas hamara hai(n) alamdar hamara) 2
Hashim ka kamar… haider-e-karrar pyara
Haider ke gharane ki sakhawat sakhi abbas,
Khoone abu talib ki sadakat sakhi abbas,
Zehra ki duwao ki taharat sakhi abbas,
Kudrat ne banaya nahi phir aisaa dubaraa.
Qur'an-e-wafa sheyr-e-nayafshaan-e-ali hai,
Zehra ki tamanna hai dil-o-jaan-e-ali hai,
Is ke liye bachpan hi se farmaan-e-ali hai,
Mei ilm ka darya hu ye darya ka kanara
Paida huwe abbas to goudi me utha ker,
Zainab ne rakha naam kaleje se lagaa ker,
Chotaa sa alam sheh ne diya unko sajaa ker,
Dekha jo alam ne to alam khud ye pukara
Ye panjetan-e-pak ke lashker ka nishan hai,
Kehte hai ye shabir mera shere jawaan hai,
Aisa koyi dunya me alamdar kaha hai,
Shehwan se hai sheh baaz kalandar ka ye naaraa
Abbas-e-ali ruh-e-wafaa jaan-e-wafa hai,
Abbas-e-ali fatema zehra ki duwaa hai,
Har waqt alam chumti rehti ye hawaa hai,
Bhulaa nahi abbas ko darya ka kanaraa
Duniya-e shahadat me kaha(n) uskaa hai sani,
Jo saare shahido ki safo me raha ghazi,
Be dast bhi ho ker jo bhare joliyaa(n) sabki,
Hashim ka kamar sare fakiro ka sahara
Lazim hai ke ham dekhenge ek roza ye manzar,
Farmayenge jab mehdiy(as)-e-dora sar-e-mimbar
Kaabe se namudaar jo hoga mera lashkar,
Hoga yahi lashkar ka alamdar hamaraa.
Yaad ata hai wo rukhsate-e-abbas ka manzar,
Wo rona sakina ka phareyra ko pakad kar,
Wo dekhna zainab ka kabhi sar kabhi chadar,
Kehti thi palat aye behen bhayi ka pyara
Abbas gaye hogaya maula mere tanha,
Dekha kabhi maydaa(n) to kabhi janib-e-darya,
Nagaah alam nehr pe girte huwe dekha,
Zainab se kaha sheyr gaya nehr pe mara
Ay SARWAR-O-REHAN ye iman hai apna, Abbas ke parcham ka sada sarpe ho saya
Padne ke liye hashr mei shabir ka nawha, Abbas bulayenge hame karke ishara
NAWHA – HAZRATH-E-ABUL-FAZLIL-ABBAS (A.S)
JAB SHAAM KE BAZA’AR MEI, SAYDANIYA AAYI,
ARE CHADAR KI JAGA KHAAK-E-SAFAR, BAALO PE LAAYI
NA-GAAH JAB GHAZI’I KI NAZAR KULSUM TAK AAYI,
ARE SAR KHAAK PAR, ABBAS NE NEZE SE GIRAAYA.
DAR HAI KULSUM KE CHEHRE PE NA-A PAD JAAYE NAZAR,
NOKE NEZA PE TEHERTA NAHI ABBAS KA SAR
Ik gayyur wafadaar pe ab aur sitam kya honga,
Jiski chadar ka muhafiz tha wohi aaj huwi beparda,
Shaam walo isi ehsaas-e-doraan-e-safar, noke….
Gir gayi raah mei naake se sakina to ye zainab ne kaha,
Ik chacha aur bhatiji ki muhabbat to zara dekh khuda,
Pusht naaka pe sambhalti nahi sheh ki dukhtar, noke…
Shaam ke log tamashaayi bane aur tamaasha saadaat,
Bewatan aur khule sar hai sar-e-raah kare kya saadaat,
Khun ankho se bahaate hai shah-e-jinn-o-bashar, noke…
Aandhiyo khaak urdaawo ke bane isse haram ka parda,
Gunji jab shaam ki gham nak fazaawo mei ye zainab ki sada,
Asman rone laga rowi zamin ye kehkar, noke…
Chashm-e-sajjad se behne lage us waqt lahu ke dhaare,
Jab ke masoom sakina ko sitamghar ne tamaache mare,
Laasha sahil pe tadapta hai udhar aur idhar, noke…
Rone walo sar-e-bazaar khule sar thi Ali ki beti,
Ghir gaya farq-e-wafadaar jo naize se to heyraan the shaqi,
Pucha abid se sitamghar ne bataawo kyu kar, noke…
Saath sadaat ke shehzaadiy-e-kawnaain safar karti rahi,
Nawha karte hai nabi khaak udha te hai hassan aur ali,
Haay kya waqt hai rote hai sina par sarwar, noke…
Kabhi layla kabhi farwa kabhi kulsum kahe wawayla,
Chehra balon se chhupate huwe zainab ne yahi ro ke kaha,
Amma fiza zaraa dekho to ye gham ka manzar, noke…
Nawha likhte huwe "IRFAN" ye "MAZHAR" ne kahaa tha rokar,
Koun qirtas pe laasakta awlade payambar ka safar,
Rodiye qalb o jigar ek hi misra likhkar, noke…
NAWHA – HAZRATH-E-ABUL-FAZLIL-ABBAS (A.S)
GHAZI KI SHAHAADAT SE, SADATH PE KYA GUZRI
Maula ki kamar tuti, zainab ki rida utri
Abbas ka maidan mei ghode se utar naa (3)
Shabbir se pucho kabhi zainab se khabar lo
Are khaimon mei yatimon ke piyaalon ka bikharna
Shabbir se pucho kabhi zainab se khabar lo
Are Shabbir ko ghazi ki sunani jo sunaai,
Bechain huwe dasht mei dhunde kiye bhai (2),
Mazlum ki aankhon ka wahaan kaam na karna,
Are Sajjad pe zaalim ke tamachon ki woh barish,
Maasum sakina pe tamachon ki woh barish (2),
Haan shimr ka woh shaame gharibaan mei na darna
Are Rone pe koi zulm tadapne pe koi bain,
Haathon mei rasan khun mei tar jism khule sar (2)
Ye kaafela shabbir ki maqtal se guzarna,
Are Tatheer ki parwasta ko galiyoin mei phiraana,
Har shehr ke har mod pe hi eid manaana (2)
Ujde huwe ko dekh ke logon ka sawarnaa,
Are karne pade bimaar ko taamil hazaaron,
Be aasra sayyedaaniyan aur neel hazaaron (2)
Ab tak bi yatimon ka koi zakhm na bharna,
Are zainab pe khuli rehti thi baazaar ki aankhen,
Roti hi rahi khun woh bimaar ki aankhen (2)
Sajjad ka har roz mei sou baar ka marna,
Are maaruf kabhi SHOUKAT-O-FARHAAN na hote,
Lafzon pe agar shaah meherbaan na hote (2)
Alfaaz mei hota kabhi nauhe ka asar naa,
Abbas ka maidan mei ghore se utar naa (3)
Shabbir se pucho kabhi zainab se khabar lo
(Sakhi ABBAS Jari Ya ilaahi mujhe de) x2
Ek jari chaahiye taarike shujaa'at ke liye
Karbala mein mere Shabbir ki nusrat ke liye
Aur na munh se payambar ki hifaazat ke liye - 2
Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3
Shukr sad shukr tera shabbar-o-shabbir diye
Betiyaan ki hai ata zainab-o-kulsoom mujhe
Baad iske meri bas ek dua ke badle - 2
Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3
Aaina sabr-o-shujaat ka bana na mera
Hu bahu meri hi tasweer ho baccha mera
Usko dekhoon to nazar aaye sarapa mera - 2
Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3
Koi be-yaar-o-madadgaar agar hojaye
Iltaja behre madad apni zabaan par laye
Mujko awaaz koi de wo madad ko aaye - 2
Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3
Zindagi jiski guzar jaye alamdaari me
Apne baazoo bhi kata de jo fidakaari me
Sabse aage nazar aaye jo wafadaari me - 2
Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3
Naam uska ho jin hoton pe wahan pyas na ho
Koi umeed na toote koi be aas na ho
Yaad karke use tanhai ka ehsaas na ho - 2
Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3
Mere maalik mere hoontoon pe jab aayi ye dua
Meri aankhon mein nazar aane lagi Karbobala
Mera Shabbir musibat mein khadaa hay tanhaa - 2
Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3
Jab woh karbal mein ho chawbhees peher ka pyaasa
Har kadam par use isaar ka jazba dena
Aur mere laal ke haathonko salaamat rakhna - 2
Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3
Ay "KALEEM" hogayi maqbool duaa-e-Haidar
Usko "MESUM" kaha hai Fatema Zehra ne pisar
Arzu ki thi Ali ne jo huzur-e-daawar - 2
Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3
NAWHA- MAZLOOM-E-KARBALA - IMAM HUSSAIN (A.S)
10TH MOHARRAM
ZAINAB KA THA YE NAWHA
Zainab ka tha yeah NAWHA, Bhayi hai bhuka pyaasa
Ai shimr (la) tu teher jaaa…. bhayi hai bhuka pyaasa
Suke gale pe khanjar, math pher ay sitamghar (2)
Pani pilade thoda…. Bhaayi hai bhuka pyaasa
Seene se tu uthar jaa, zakhm mein dard hoga (2)
Mazloom par taras khaa…… Bhaayi hai bhuka pyaasa
Khoya hai nawjawan ko, ghada hai bezubaan ko (2)
Koi nahi hai uska……. Bhaayi hai bhuka pyaasa
Chadar ko cheen lein tu, Qaymon ko loot le thu (2)
Uski nahin hain parwa………. Bhaayi hai bhuka pyaasa
Arzo Saman ke waali, dena hai thu gawahi (2)
Pehlu mein behke darya……. Bhaayi hai bhuka pyaasa
Ya fathima ab avo, ya murtuza ab avo
Dam thod tha hai beta………. Bhaayi hai bhuka pyaasa
Zainab ka tha yeah NAWHA Bhaayi hai bhuka pyaasa
Ai shimr thoo teher jaaa…. Bhaayi hai bhuka pyaasa
NAWHA- MAZLOOM-E-KARBALA - IMAM HUSSAIN (A.S)
HAAY ASR KA WAQT HAI, SHABBIR KI AATI HAI SADA
Chur zakhmo se badan hogaya ama mera
Apni agosh me, ab mujko chupalo ama
Are dhoop hai apni aba aoo-aan ke dalo ama
Garm reti pa me girta hu sambhalo ama (2)
Thak gayaa lashe uta kar mai bhare lashkar ke
Laash Qasim ki me la-ya hu kabhi Akber ki
Khud baniyi hai lahad maine Ali Asgar
Do tasali muje sine se lagalo ama
Teer talwar se, khanjar se badan zakhmi hai
Khaak jalti hai to zakhmo main chubhan hoo-ti hai
Mere zakhmo se mere dil ka lahu jaari hai
Apni chadar ko mere zakhm pe dalo ama
Mera Abbas khafa hogaya amma mujse
Wo nahi aaya uta laya tha bazu uske
Aap ek kaam kare nehre kanare jaake
Mere ruute huwe bha’ayi ko manaalo ama
Chakiyaan pisi hai goudi me bithakar mujko
Jaag ti rehti thi zaanu pe sula kar mujko
Loriya deti-thi jhule me jhula kar mujko
Ek dafa goud me phir apni sulalo ama
Aur kuch der ka mehmaan hu tum paas raho
Rait zakhmo me hai aachal se use saaf karo
Aati hai rone ki aawaz Sakina dekho
Jaawo tum jaake Sakina ko sambhalo ama
Dekh wo aag lagi shame ghariba aayi
Dekho ghabra ke nikal aayi meri maa jaayi
Dekho behoosh Sakina ka pada hai bhaayi
Jawo Sajjad ko sholo se nikalo ama
Hai ghuzarish meri tumse to ab-itni madar
Ama baba ki kasam dhamp lo moo par chadar
Dekha jayenga na ab tumse ye khooni manzar
Khatl hota hun nighaho ko hataalo ama
Hogi jab hashr ke maidan mai majlis barpa
Farsh-e-gham shay ka bechay-engi Janab-e-Zehra
Ayegi Hazarath-e-Sabbir ki REHAN Sada
Aaj ji khool ke tum ashk baha loo ama
Garm reti pa me girta hu sambhalo ama (2)
NAWHA- MAZLOOM-E-KARBALA - IMAM HUSSAIN (A.S)
QAFELA LUTGAYA AMMA MERA LASHKAR NA RAHA,
AMMA NANA KI NISHAANI ALI AKBAR NA RAHA,
REHGAYA DARD-E-KAMAR HAAYE BARADAR NA RAHA.
AB KHABAR AAPNE LI GHAR KI, KE JAB GHAR NA RAHA.
AUR AB DAM-E-ZIBHA YE PURE MERE ARMAA(N) KARNA.
FARSH KE NICHE NA BAALO(N) KO PARISHAA(N) KARNA
JAAO KE NA AB DEYR KARO, DEKHO NA AMMA,
AB LAAL TERA ZEEN PE HAI AUR NA ZAMEE(N) PAR
Dostları ilə paylaş: |