Kahan ho ay mere wali imame jinno bashar,
Tadap ke rehgayi sughra bapa huwa mehshar,
"KABIR" bas ke-ab aflaq thartharate hai
NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)
(RETURN TO MADINA)
ROZE PE MUSTAFA
Roze Pe Mustafa Ke Udasee Si Chaaie Hai,
Kunbe Ku Khoke Zainabe Nashaad Aaie Hai
Rokar Pukari Nana Aay Faryad Laaie Hoon,
Mai Chood Kar Hussain Ko Jungal Main Aaie Hoon
Nana Ajeeb Saanahai Ham Par Guzar Gaya
Ranj-o-Alam Ne Gher Liyaa Hum Jidhar Gaye
Nana Khudaa Kai Ghar Mai Na Hum Ku Amaan Mili (2)
Bhaaie Ne Shahar Chood Ke Jangal Ki Raah Li
Nana Hamain Na Chain Mayassar Kahain Huwa
Paani Bhi Bandh Hum Pai LayeNoon Nai Kardiya
Nana Tumhari Aal Pai Kya Kya Sitam Huwai (2)
Bachai Tadap Kai Mar Gaye Paani Kai Waastay
Nana Shaheed Ho Gaye Bhayee Kai JaanNisar
Ek Ek Kar Kai Mar Gaye Ashab-e-Zee waqar
Nana Bala Kai Ban Main Qayamat Ka Run Pada (2)
Bhayee Sai Bhayee Baap Sai Beta Bichad Gaya
Nana Zameene Karbobalaa Laal Hogayi
Qasim Ki Laash Ghoodon Se Paamaal Hogayi
Nana Kataa Ke Shanon Ko Abbas Margaye (2)
Ghurbat Me Bhaaijaan Ko Be Aas Kargaye
Nana Tumhari Shakl Ka Farzand Ek Jo Tha
Khaa Kar Sina Jigar Mai Wo Mehru Bhi Chal Basa
Nana Shaqi Ki Teer Se Asgar Huwa Shaheed (2)
Aisa Huwa Na Hoga Jahaan Main Sitam Shadeed
Nana Hussain Bay-kas-O-Bay Yaar Hogaie
Aamada Qatl Karnai Ko Kuffar Hogaie
Tadpai Jo Zair Khanjar-e-Bai Aab Shahai Deen (2)
Shimre (la) Layeen Kai Zulm Sai Thar-ra Gayi Zameen
CONTD… (2)
ROZE PE MUSTAFA (Contd…. 2)
Nana Hamare Ghar Ka Sab Asbab Lut Gaya
Nana Hamare Sar Pe Na Baqi Rahee Rida
Nana Hazaar Tarha Jafa Ki Layeeno Ne (2)
Khaimo Mai haai Aag Lagaadi Laeeno Ne
Nana Huwi Aseer Tumhaari Nawasiyaan
Kauno Makaan Main Chaa Gayi Gham Ki Udaasiyaan
Nana Haram Hussain Kai Bazaar Main Gaye (2)
Hum Sar Barehna Kufe Ke Darbar Main Gaye
Nana Tumhaari Aal Gayi Mulke Shaam Mai
Pohnchi Ali Ki Betiyaan Darbaare Aam Mai
Nana Haqeer Sahebbe Tatheer Hogaye (2)
Ham Log Shehr Shaam Main Tash-Heer Hogaye
Nana Aseer Bara Thai Aur Ek Thi Rasan
Baandhe Gaye Thai Misle Gunahgaar-e-Khastatan
Nana Hum Apne Haal Pe Roote Thai Zaar Zaar (2)
Nana Hamaare Roonai Pe Haste Thai Badshaiaar
Nana Ajeeb Haal Hamaaraa Tha Us Ghadi
Ek Bibi Pichhe Doosri Bibi Kai Chupti Thi
Us Wakt Thar-tari Si Merai Tan Main Pad Gayee (2)
Sad Haif Hai Zameen Main Zainab Na Ghad Gayi
Etnay Mai Ek Shaami-nai Nana Ghazab Kiya
Saidaani Ko Kaneezi Main Apni Talab Kiya
Hoti Thi Laakh Zillaten Hum Dekhte Rahe (2)
Hans Hans Ke Taaziyaane Sitam Jhelte Rahe
Nanaa Tabaah Hoke Ham Aaye Hain Shaam Se
Ek Daaghe Nau Sakina Ka Laaye Hai Shaam Se
Nana Hamare Tan Pe Nishaano Ko Dekh Lo (2)
Ab Tak Hai Neel Rassi Ke Shaanon Ko Dekh Lo
Zainab Dekha Kai Shanoon Ko Jab Karrahi Thi Bayaan
Tharaa Rahaa Tha Rouzae Sultaane Mashraqain
Bas Khatm Kar NISAR Ye Ghamnaak Daastaan (2)
Rotai Hain Is Alam Main Zameen Aur Aasmaan
NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)
(RETURN TO MADINA)
ROKAR PUKARI NANA YE FARIYAAD LAAYI HU
MAI CHOD KAR HUSSAIN KO JUNGAL MA AAYI HU
Nana Ajeeb Haadise Humpar Guzar Gaye
Ranjo-alam ne ghair liye hum jidhar gaye
Nana khuda ke ghar may na humko ama mili
Bhaayi ne shehr chod ke jungal ki raah li
Nana Hamay Na Chain Mayassar Kabhi Mila
Paani bhi bandh humpe laayeno ne kar diya
Nana tumhari aal pe kya kya sitam huwe
Bache tadapke reh gaye paani ke waste
Nana Zameen-E-Karbobala Laal Hogayi
Qasim ki laash ghodon se paamaal hogayi
Nana katake shaano ko Abbas mar gaye
Ghurbath may bhai-jaan ko be-aas kar gaye
Nana Tumhare Shakl Ka Farzand Ek Jo Tha
Khakar sina jigar pe woh mehru bhi chal basa
Nana shaqee ke teer se Ashgar huwa shaheed
Aisa huwa na hoga jahan may sitham shadeed
Nana Hussain Bekaso Be-yaar Hogaye
Aamada khatl karne ko kuffaar hogaye
Tadpe jo zer-e-khanjar be-aas hogaye
Shumr-e-layeen ke zulmo se thar-ra ke reh gaye
Nana Hamare Ghar Ka Sab Asbaab Lut Gaya
Nana hamare sar pe na baaqi rahi rida
Nana hazaar tarha jafa ki layeeno ne
Qaimo may haaye aag lagadi layeeno ne
Nana Aseer Barah Thay Aur Ek Thi Rasan
Baandhe gaye thay mislay gunehgaar qastatatan
Nana hum apne haal pe rotay thay zaar zaar
Nana humare ronay pe haste thay badshiyaar
Nana Ajeeb Haal Hamara Tha Us Ghadi
Ek bibi peechay dusri bibi ke chupti thi
Us waqt thar-thari si mere tan may hoti thi
Sadh hays hai zameen may Zainab na gad gayi
Nana Tabaah Hoke Hum Aaye Hai Shaam Se
Ek daagh to Sakina ka laaye hai shaam se
Nana hamare tan pe nishaano ko dekh lo
Ab tak hai neel rassi ke shano ko dekh lo
NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)
(RETURN TO MADINA)
GHABRAYI HAI ZAINAB, AAYA HAI MADINA X3
Labraiz hai gham sey har bibi ka seena
Ghabrayi hai Zainab aaya hai Madina x2
Ek saal guzara hei zindan-e-sitham mein
Din baaqi guzaregi Zainab isi gham mein
Maqtal mai hei Asghar, zindaan mein Sakina
Aye ahle Madina tu khamosh hi rehna
Zainab sey khudara to ek lafz-na kehna
Jo sansein bachi hai khodey gi hazeena
Ye soch key rooti hai, beemar hai Sughra
Har farz ke baare mein ab pouche-gi dukhiyaa
Eeeza na ho sun ke, marjaey hazeena
Har baath batadoungi jab poochengi Sughra
Baloun ki safedi ka bathlaoun sabab kya
Tha is sey to behter zindaan mei jeena
Jab pursa mujhe diengey sab loog vatan ke
Kis tarha chupaoungi ye neel rasan key
Ahval safar ka kehdein ye kahin na
Har zakham suna dega ahval safar ka
Phat jaye na dil uska jab dekhegi Sughra
Pay-shani-e-Sajaad ur surkh paseena
Hujroun mein jo jaoungi mein Awn-O-Muhammad ke
Is dil ko rulayeinge bachoun key khilone
Dil shiddat-e-gham sey phat jaye kahin na
Sab kuch to lutaa aayi pardes mein Zainab
Mazlooma musafir ye, kya jee-key karey ab
Bin bhaayi ke ab to dushvaar hei jeena
Zainab key khayaloun mien aawaz ye aayi
Mahmil sey uter kar jab Fizza ney sada di
Dil tham lo bibi, lo aaya Madina
Kehta hei jiger thaamey "FARHAN" tadap kar
Roodad karo "MAZHAR" bas khatam yahien par
Ghabrayi hei zainab aaya hei madina
NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)
(RETURN TO MADINA)
MARKHAD PE MA KE ZAINAB FARIYAAD KAR RAHI HAI-2
AMMA TERI KAMAYI - JUNGAL MAY LUTGAYI HAI-2
UMMAT NE MUSTAFA’A KI , LOOTA HAI CHAIN TERA (2)
Maragaya hai pyaasa (amma hussain tera x 2) (2)
Dil baith sa gaya hai, aankhon may teeragi hai
TEERO SE HOGAYA HAI QASIM KA JISM JHALNI (2)
Makhtal ki zulmato may (dulhan ki maang ujhdix2) (2)
Sehre ki har ladi say, hasrat baras rahi hai
BARCHI JIGAR PE KHAAKAR AKBAR KI NAUJAWANI (2)
Mitti may milgayi hai (Laila ki zindagani x2) (2)
Bete ko yaad karke, madar tadap rahi hai
YAADON SE KHELTI HAI, BAYSHEER KI ADAYEIN (2)
Reh rehke de rahi (Asghar ko maa sadayein x2) (2)
Jhule ki khaa’mushi par, khud mauth ro rahi hai
ANKHON MAY BAS GAYE, HAI ZINDAN KE ANDHERE (2)
Yaade Sakina amma (Rehti hai mujko khaaye x 2) (2)
Baba ko rote rote, masoom chal basi hai
ABID KI PUSHT PAR HAI DURRO KE NEEL AB-BHI (2)
Amma rula’rahi hai (mazloom ki aseeri x2) (2)
Chaale hai dashto-pa may, beemar par ghashi hai
ZAINAB KO RAAS AMMA KARBOBALA NA AAYA (2)
Cheena hai mere sar se (Do bhaiyon ka saaya x2) (2)
Ab to duwa-ye zainab, marne ki maangti hai
IN BAAZUON KE KUCH TO DAAGH-E-RASAN DIKHANE
Aayi hai teri beti (roodade gham sunane x2) (2)
Kurta kahi jala hai, chadar kahi jali hai
NAWHA – MOULA-E-KAYAINATH HAZRATH ALI (A.S.)
TAR KHOON MAIN HUWI HAIDER KI JABEEN
YUN ROTAI HAIN JIBREEL-E-AMEEN
Yeh Taig Chali Kis Kai Sar Par
Zakhmi Huwai Sajdai Main Haider
Kyun Hilnai Laga Hai Arshai Barin
Karti Hain Azanai Wawaila
Masjid ka sehan hai farshe Aza
Haider kai lahu sai tar hai zameen
Kyun rozai daar pai zulm kiya
Tu nai binai muljim yeh to bata
Shak ho gayi kyun moula ki jabeen
Hasnain kai sar sai saya uta
Maghmum huwi Kaabe Ki Faza
Markad main Nabi ko chain nahin
Wo shahai arab wo shere Khuda
Woh nafsai Nabi wo dastai Khuda
Kyun taig chalai dushaman-e-deen
Zainab pai yateemi chaayi hai
Masjid sai khabar yeh aayi hai
Lo qatl huwa kaabe ka makeen
Abbas tadap kar rothe hai
Rukh-sath mere moula hote hain
Haider ke lahu se tar hai zameen
REHAN Bichao farsh-e-aza
Ghar ghar se ute matham ki sada
Is gham ki kissi ko tab nahi
Dostları ilə paylaş: |