Jee le Sahil ' tu zindagi ko sanwaar ke Yeh jhagde yeh fasaad hain sab be kaar ke


Ab keh de jahan se tu bar mala  ai 'sahil'



Yüklə 479,49 Kb.
səhifə2/3
tarix04.11.2017
ölçüsü479,49 Kb.
#30387
1   2   3

Ab keh de jahan se tu bar mala  ai 'sahil'

Kya mitayenge tujhe, jo mitaane aate hain

48.


Saqi se puchh kar koi dargaah dikha

Vaaiz, khuda ki raah per khumgaah dikha


Dhund lenge taskin ik roz hum kahin

Jo azaab se ho faarigh tu wo jagah dikha


Aankh ki nami se soz e dil ka kya rishta

Jo nikli ho dil se tu wo aah dikha


Tera jalaal o mansab dekh liya hai, shaikh

Rab ki baargaah se koi bar tar jaah dikha


Tujhe naaz hai kyon beroon been per apni

Tere muqabil men to bande parinde ki nigaah hai


Faramosh hai insaan, ghaafil yeh kitna

Shukr hai yaro, insaniyat zinda hai


Kyon talaash hai 'sahil' tujhe khaamion ki meri

Mujhe be daagh tu kabhi, husn e maah dikha


49. Lutf bahot hai dasht e tanhayi men

Ainey ke ru ba ru husn aaraayi men


Sambhal ja tu 'sahil' kahin gaam na dagmagayen

Kya karun main yaro zaalim adaayi men


Suroor kya hai saqi khumgaah ke jaam men

Nasha dekh tu ulfat ki afzaayi men


Kar lo jo bhi chaho ilteja tum yaro

Wo asar kahan hai jo hai duhayi men


Denge hum munsif safayi to zurur

Bunyaad hogi raasti har gawahi men


Padhte chal tu 'sahil' fikr na kijiyo

Suroor hai mai ka teri rubayi men

50. Mujhe gham nahin hai kisi baat ka

Na hi khauf koi kisi raat ka


Tere zulm ki parwa hum kyon karen

Shaikh tujhe khud hai dar aafaat ka


Javidaan to zeest bhi nahin hai

Tujhe fikr kyon hai sabaat ka


Shauhrat, do roza meharbaan hai tu

Mujhe shauq nahin hai mulaqaat ka


Kaho bar mala jo kehna hai

Yaro, qarz kyon lena saughaat ka


Shukr manao ke dil zinda hai

Dosto, mamnoon rehna jazbaat ka


Aaye jo tufaan so laut gaye

Shukr guzaar hun khuda ki zaat ka


Kab talak yeh mausam e khazaan

'Sahil', muntazir hun main barsaat ka.

51. Kya meri taqdeer men tu ne bhaagna hi likha hai

Idhar se udhar, raaton ko maula jaagna hi likha hai


Nawaza hai tu ne sukun se kis kis ko, bata

Kaun hai jiske hissey men tu ne sona hi likha hai


Zamin per barasti baarish ko dekh kar

Kya falak ki qismat men tu ne rona hi likha hai


Sookhe hain daaman gunahgaron ke kyon

Kya mere liye tu ne daaman ka bhigona hi likha hai


Dushwaar hoti ja rahi hai zindagi jab

Kya meri qismat men mahz jeena hi likha hai


Taskin hi chaahiye 'sahil', dar o deewaar se kya

Chheen le maalik gar tu ne sirf sona hi likha hai.

52. Zahoor e gham ki baat kyon

Kya num chashm per yaqin nahin

Kya sumundur se puchhoge, tum

Uske tale kya zameen nahin


Na ho yaqin to rab ka

Tassavur dil men kya

Mai e naab na ho khumgaah men

Saqi, haqeeqat e mehfil kya


Murjha gaye gar gul

To khazaan ka qusur kya

Dukh na ho gar sukh men

To jeene ka suroor kya

Ba murravat reh tu 'sahil'

Nafrat se haasil kya,

Zamin per girey barg ka

Shajar se vaasil kya

53. Ai Meer, tujhe sahenshah e shayr kehte hain

Hum to tujhe shab ki saver kehte hain


Auron per ho jo haavi zaalim hai wo bahot

Jo khud per aaye ghalib usey daler kehte hain


Dosti ki rooh hai milna, zindagi men yaro

Aao gar sirf mazaar per, to der kehte hain


Agar saath na de zabaan raasti ka, phir

Us guftagu ko dosto her pher kehte hain


Nizaam hai khuda ka, insan ka kya yaqin

Tarteeb ka na hona, zabar o zer kehte hain


'Sahil', yeh dunya saari jangal hi to hai

Isey himmat se jo jee le, usey sher kehte hain.

54.
Mehak gulab ki, khushbu shabaab ki

Jaane kya hoti hai masti saraab ki


Hum khaar hi sahi, tere baagh ke to hain

Kyon hoti hain baaten bas gulab ki


Maikhana hai saqi, koi dair nahin

Zururat nahin hai mai e naab ki


Yaad aati hai ab bhi kabhi, kabhi

Wo haseen mahabat ke baab ki


'Sahil' Mahabat ibadat hai, sar o saamaan bhi

Mat kar tu baaten majaazi asbaab ki

55.

Kafan ko meri kamkhaab na pehnana



Bahot zaalim hai 'sahil' yeh be dil zamana
Khaaye gar gham tumko to ansoo na bahana

Chupke se ro lena, apnon ko na rulana


Aaye they hum tanha, tanha hi jayenge

Janaze per mere dunya ko mat bulana


Kyon sunate ho qisse shireen farhad ke mujhe

Saudaayi ka shikaar, main khud hun deewana


Subh shaam ke silisile men guzarti hai umr

Ab koi to suna do mujhe dilchasp fasana


Thakey haarey hain 'sahil' taweel bahot hai zeest

Aa kar mujhe khwaabo, neendon men jhulana.


56.

Shokhian na hon to shabaab kya

Khaar na hon to gulaab kya
Jaam na ho to maikhwar ho kaun

Aur mai na ho to mai e naab kya


Ghamgin hain kyon rind aaj saqi

Masti na ho to sharab kya


Chhupa rahi ho kis shai ko tum

Jaanan haya nahin to hijab kya


Sookhi zamin to seeraab kya

Aur adoo na ho to ehbaab kya


Seekh le jhukna shajar se, shaikh

Khuzu nahin to rubaab kya


Haal dekho yaro 'sahil' ka tum

Peeri ko chhord azaab kya


57. Kya har fan men taaq tu hai 'sahil', bata

Yeh khayaal aawaara nahin hai to kya hai
Gham aasra nahin hai to kaho kya hai

Ashk dil ka sahara nahin hai to kya hai


Baargaah tak na pahunche dua jiski, yaro

Wo qismat ka maara nahin hai to kya hai


Zulmat bhari shab men, jo raah dikhlaye

Zamin per raushan taara nahin hai to kya hai


Tu ne bhi to jee hai, hayat apni 'sahil'

Khwab, jeene ka sahara nahin to kya hai

58. Likhenge log sang e mazaar per uske
Na daraa tha 'sahil' tufaan se kabhi

Rishton ki haqeeqat  wo jaanta tha khub


Per munh na phera usne ,khaandaan se kabhi

Farishte bhi  dekhe, ibllees bhi us ne


Dagmagaya na  pukhta uska imaan kabhi

Khush tha wo banda misbaah se apne


Ke kiran na maangi aasmaan se kabhi

khuddar wo itna, ghurbat men bhi, 'sahil'

Haath na phelaye samne insan ke kabhi

59.


Tere aane se qabal teri sargoshiaan na aayen kahin

Tere husn se lagta hai dar jaanam, gaam dagmagayen na kahin


Judayi ka ranj o gham rakhta hai ulfat ko zinda


Yeh ashk ab hamen yaro sukun na dilayen kahin

Sitaron ka gin na mohaal to hai zurur, lekin


Ab khwaab na uda kar hamen le jaayen kahin

Aur saadagi men apni ho kar hum faramosh


Ret ke sahil per mahal na sajayen kahin

Mujhe ghamgin hi rehne do, bahaaren se door


Aisa na ho 'sahil', din khushi ke phir rulayen kahin
60.

Teri mehfil e shauq ka talabgaar nahin hun

Ibadat ki hai rab ki saqi, gunahgaar nahin hun
Pilana hai kuchh to bas mai e khulus pila

Teri majazi mai ka, maikhwaar nahin hun
Tere jalwegaah ka shaikh muqabila na sahi

Lekin, main bhi koi veeraan dayaar nahin hun
Main khush hun is mausam e khazaan men, yaro

Tumhaari nau baharon ka kharidaar nahin hun
Tere imtehaan men khara utara ya nahin, ya rab

Bas, itna jaanta hun kaamil sazawaar nahin hun
'Sahil', Gulshan hai yeh jahan, baghbaan hai khuda

Gul e bahaar na sahi, main khaar nahin hun.

61.


Ranj o alam ke jaam mujh hi ko kyon

Vaaiz dars e anjaam mujh hi ko kyon


Kyon deekhate ho tum khwab dawaam ke

Le ja kar sar e baam mujh hi ko kyon


Kya nazar men teri koi aur na tha

Shaikh, khule aam badnaam mujh hi ko kyon


Banaya hai tu ne ai qismat bata

Hasraton ka ghulaam mujh hi ko kyon

Yaro, har shakhs men jab iblees hai maujud

Log dete hain ilzaam mujh hi ko kyon


Sukun chahiye 'sahil', tanhayi nahin,

Yeh veerani ka aaraam mujh hi ko kyon

62. Nan saman koi na chaman koi

Na dushmani na lagan koi


Har gul yahan udaas hai kyon

Na rang o bu na agan koi


Na khazaan yahan na bahaar koi

Na baad e simoom na pawan koi


Be hiss hai banda, ya rab tera

Na pur yaqeen na bad zan koi


Masruf hain sab be maqsad, maula

Na koi rabita na an ban koi


Ajab hai yeh zamaan yaro

Na shauhar na dulhan koi


Afsurda hain jahan ke log

Na mahv 'sahil', na magan koi.

63.

Na rahi tawaqqo to bahane kya banayenge



Haqeeqat ko 'sahil' fasaane kya sunayenge
Jo rooth kar hum se khuda tak pahunche

Unhen zinda, kaho, hum kaise manayenge


Aansuo, zara socho, ab chashm num to hain

Kaho, abas men hum dil ko kyon rulayenge


Yaro, gin lo taare, tum qismat ke maare ho

Hum to sitaron ko khwabon men sulayenge


Fikr nahin hai shaikh jala watani ki hamen

Hum to tanha bhi 'sahil' dil ko behlayenge


64.

Ai sukun e zeest tujhe salaam hai


Tu hi to zindagi ka maraam hai

Tu nahin to jeena muhaal hai bahot


Hamsafar baney tu, to hi aaram hai

Afsurda dil ka ashk hi to anjaam hai

Ro lo yaro, shab e hijr hi hangaam hai

Shahsawar ke haathon men hoti hai lagaam


Havas ke liye yaro, zameer zamaam hai

Mai to tapakti hai nigahon se, saqi


Tere khumgaah men to sirf gulfaam hai

Har lamhe men hoti hai nihaan zeest


Har lamha khud hi men dawaam hai

Bhulte ja rahe hain tere bande, ya rab


Rishton ki bunyaad bas ehtiraam hai

Banda tera,  teri hi usey talaash


Majaazi libaas ka kyon yeh ghulaam hai

Subh o shaam ka chain se guzar jaana


'Sahil', bas yehi to zindagi ka naam hai

65.


'Sahil', us paar jaane ka irada to nahin tha

Tujhe chhord kar jaane ka irada to nahin tha


Rafaqat thi tujhse, sukun sahil per

Per sahil se kiya humne, vaada to nahin tha


Laut aayenge ik din yehi soch kar chale

Faasila sahil se zyada to nahin tha


Puchh le qismat se, tujhe maat kyon hui

Tu to shah tha shaikh, pyaada to nahin tha


Us paar ki hasrat ne duboya mujhe

Main qaafile se yaro, alahida to nahin tha

Main sochne ki quwat se kyon hua faramosh

Zinda tha 'sahil', murda to nahin tha

66. Kashti, tujhe toofan se kya hai gila, bata

Kya darya nahin hai tera aasra, bata


Wafa ki hai tujh se, ta umr jab qismat

Mere hisse men kyon hai yeh jafa bata


Vaaiz, meri rooh ki tu yun fikr na kar

Dard e dil ki mujhe dawa bata


Yaad kiya hai rab ko subh o shaam,

Mere amaal ki ab mujhe jaza bata


Main ne inkaar kab kiya, yeh to bata

Tu gunahon ki munsif, mujhe saza suna


'Sahil', kya tu ne kaha, kya main ne suna

Yeh sun ne, sunaane ka qissa bhula

67. Na rahi tawaqqo to bahane kya banayenge
Haqeeqat ko 'sahil' fasaane kya sunayenge

Jo rooth kar hum se khuda tak pahunche


Unhen zinda, kaho, hum kaise manayenge

Aansuo, zara socho, ab chashm num to hain


Kaho, abas men hum dil ko kyon rulayenge

Yaro, gin lo taare, tum qismat ke maare ho


Hum to sitaron ko khwabon men sulayenge

Khuftah jahan men jisey bhi tum dekho

Faramosh khuda ki zaat se,hum usey jagayenge
Be taskeen ho logo to hamen yaad karna

Har haal men hum tumko tasaali dilayenge


Fikr nahin hai shaikh jala watani ki hamen
Hum to tanha bhi 'sahil' dil ko behlayenge

68. Maqte per tabsire ki guzarish hai

Ranj o alam men koi gham nahin
Gham men meri chashm num nahin

Himmat ab bhi hai 'sahil' bahot


Lekin, himmat men ab, wo dum nahin

Na sahi kisi se hum bar tar yaro


Per, kisi se bhi hum kum nahin

Mubarak hon tumko yeh hangaame


Mujhe sukun chahiye,, barham nahin

Tere lams ki chaah hai mujhe, ai dost


Koi chaarahgar aur marham nahin

Pukhta  hai logo imaan 'sahil' ka


Wo jau farosh hai, numa gandam nahin

69.


Le ja tujhe jo chahiye bas itna bata de

Raah jannat ki kiidhar hai, ai rahzan bata de


Gar pesha hai tera rahzani to kya hua

Gumshuda hun main kahin, manzil deekha de


Milega kya zahid tujhe jabal per baith kar

Zamin per rakh ke paon dost,taaron se mila de


Uth te hain jab valvale, aata hai woh pir

Aaye jab dar per mureed tu usey rula de


Taare bhi wo gin chuka, neend ka wo maara

Naseehat na de naaseh tu, bas usey sula de


Dekhe hain khwab main ne naaqis o na kaam

Sajde bhi kiye hain vaaiz, tu riza se mila de


Ghera hai aaj nafrat ne zamane ko, ai shaair

Mahabat karna dunya ko, tu hi ab seekhla de


Jab kiya hai tu ne faisla meri umr ka, muqaddar

Arz hai meri tujh se qismat, umr tu badha de


'Sahil', dard e dil, paas e wafa ki mat kar baaten tu

Jo dil men hai shola tere, usey tabaan bana de


70.

Woh wafa deekhao jo alhaqeeqat hai

Aaj mahabat ki naazuk bahot haalat hai
Gar qabool ho dua, sukun phir bhi nahin

Dilon men sab ke bas hasrat hi hasrat hai


Mita do lughat se lafz e rafaqat, dosto

Aaj milne ki yahan kisey fursat hai


Door kitna hai khud se bashar, dekhiye

Ainey se pursish ' kis ki zisht soorat hai'


Jab bhi hoti hai aziat tanhai men mujhe

Baazaar ka hungaama, misl e raahat hai


Umr daraaz ho to khush qismat ho, varna

Ai kaatib e taqdeer, yeh qayamat hai


Subh o shaam ka yeh mela veeraani ka

Isi men hans kar jeena 'sahil', firasat hai


Gawahon ki nahin hai koi darkaar mujhe

Raasti men, ai munsif, to be badi taaqat hai

Ja rahi hai musafir teri kashti kidhar

Ashkon ki darya ka naam jaraahat hai


Karenge hum kya husn o jamaal ka, jaanan

Gar dil hi tera kul bad teenat hai


Aati hai aziat kabhi dil ko bhi pasand

Ai 'sahil', kya teri yeh mujhko naseehat hai

71.

Aankhon ka andaaz e bayaan kamaal hai



Kh- moshi dhadakte dil ki kamaal hai
Jis ne umr guzaari lab e darya, tishna

Us insaan ki shikebayi kamaal hai


Manzur hai jab maula tera hukm har haal

Tujhe dekhne ki chaah, yeh kyon sawaal hai


Kirnen chaand ki khwah sitaron ki chamak

Ya rab, barq e falk bhi tere nur ka jamaal hai


Takhliq hai khuda ki har zarra jab 'sahil'

Kya kabhii socha, tere paon tale zeest paemaal hai


Jahan tera, aur tujh hi se yeh faramosh

Maula, tere bashar ka aaj yeh ajab haal hai


Tab hi sochta hun main 'sahil', kabhi

Kya dunya asl hai, ya maya ka janjaal hai


72.

Nahin chahiye 'sahil' chaman kisi ka

Mujhe apne hi aangan ka vard chahiye
Kya karunga mil kar phir tabi se main

Jab shifa ke liye ek hamdard chahiye


Ajal ke farishte ko jab bhi milo

Pukhta imaan, himmat e mard chahiye


Gar uthana hai lutf mukammal tumhen

Dosto, phir kuch to zeest se nabard chahiye


Dost chahiye to phir aisa chahiye

Dard ho jiske dil men, aisa fard chahiye


Kisi ke gham ko samajhne ke liye,

Vijdaan, aur dil men dard chahiye


Dil men tapish, na hi armaan koi

'Sahil', mausam bhi ab to sard chahiye

73.
Aankhon ka andaaz e bayaan kamaal hai

Kh- moshi dhadakte dil ki kamaal hai


Jis ne umr guzaari lab e darya, tishna

Us insaan ki shikebayi kamaal hai


Manzur hai jab maula tera hukm har haal

Tujhe dekhne ki chaah, yeh kyon sawaal hai


Kirnen chaand ki khwah sitaron ki chamak

Ya rab, barq e falk bhi tere nur ka jamaal hai


Takhliq hai khuda ki har zarra jab 'sahil'

Kya kabhii socha, tere paon tale zeest paemaal hai


Jahan tera, aur tujh hi se yeh faramosh

Maula, tere bashar ka aaj yeh ajab haal hai


Tab hi sochta hun main 'sahil', kabhi

Kya dunya asl hai, ya maya ka janjaal hai

74.
Sarguzasht mat kaho, raaz dil men rehne do

Chashm num hi bahot hain, ashk mat behne do


Tassalli baja, yeh to ba har haal maana ,

Lekin, dil ko dard apna usey sehne do


Kuredoge kya, kya rakha hai khaak men

Jo jal chuka ho diya yaro, usey rehne do


Nadamat ka darya behr dhundta hai,

Sukun ki talaash hai haq uska, dhundne do


'Sahil', be maani hain alfaaz e ranj o alam

Kh-moshi jo chaahe usey kehne do

75.

Vaaiz ke kahe per kya hogi mehfil



Afsoongar per yaqin kaisa, 'sahil'
Umr lagti hai zakhm ke bharne men

Bin tabeeb kya hoga zakhm, mundamil


Nigaah saath na de gar zabaan ka

Phir darogh us men hai shaamil


Jisey fursat na ho sajdon ke liye

Usey masroof mat kaho, wo hai kaahil


Maange jo dua, yaad khuda ko karey

Wohi hai saa'il, sabse kaamil


Azm pukha ho,behr kya rokega, varna

Banata hai insan har shai ko haail


Uthata hai kyon, mujh per tu unglian

'Sahil', kaun hai siwa payambar ke kaamil

76.
Dil apne ko rulaate ho

Khud ko tum satate ho

Phir lorian ga kar 'sahil' tum

Auron ko sulaate ho


Roothon ko manate ho

Raah unko deekhlaate ho

Pyaar mahabat aur firasat

In se tum samjhate ho


Koi tum ko bhi to samjhe, dost

Koi tum ko bhi to jaane, dost

Bana kar khud ko humsafar

Khud hi ko bulaate ho


Do aatisha hai zindagi

Aish karo aur bandagi

Khul kar jee hai zeest 'sahil'

Ab chhordiyo na deewanagi.


77. Mahabat ko 'sahil' riza chahiye

Wafa ke evaz wafa chahiye


Musafir ko raah paima chahiye

Parindon ko bas faza chahiye


Saqi, jaam o subu darkaar nahin

Nazar se pilane wala chahiye


Kya karunga mil kar main tabeeb se

Jab hamdardi ki hi shifa chahiye


Niyazmand hun per tawaqqo nahin

Teri, ai shaikh, sirf dua chahiye


Chahiye maula to nek seerat chahiye

Rang sapeedah na saanwala chahiye


Tumhen mubarak, aish o tarab e jahan

'Sahil' ko haadi na saalik, rab chahiye

78.

Dhalta hai 'sahil' din aftaab ke saath



Raat hoti hai raushan mahtaab ke saath
Mushkil hai aaraam shabaab ke saath

Guzaarna shab dil e betaab ke saath


Baada pila, rang e mehfil jamaa

Aish o tarab ho saqi, mai e naab ke saath


Saraab mat dikha, baat haqeeqat ki kar

Khilwaar na kar vaaiz, mehraab ke saath

Dekhen kaho kab tak khwabon ko hum

Kab talak jiyen saraab ke saath


Uth te hain dil men valvale aiae

Jaise dolti hai kashti girdaab ke saath

Dil ke khaanon men nihaan hai dard uska

Faash hotey hain yeh aah e taab ke saath


Taraashte ho bahane kyon milne ke tum

Aao tum jab bhi, aana itaab ke saath


Hamwaar nahin hoti zindagi, dosto

Din bahaar ke aate hain azaab ke saath

Mitti ka khilona, insan khaak hai shaikh

Tu chalta hai be vajh, raub o daab ke saath


Maangi jaza, saza se inkaar nahin

Khaar de maula per de gulaab ke saath


Daftar le kar aana hisaab ke saath

Ai farishta e ajal , aana sawaab ke saath


Hai nang badan rab, kul sar o saamaan mera

Aaunga baargaah teri, asbaab ke saath


Tishna hun main lab e darya dekh 'sahil'

Be bas hun ke pyaas na bujhi aab ke saath

79. Ai dilruba kahan hai tu, dil ke ainey men aa

Dekhun tujhe qareeb se, dekhe mera haafiza


Puchha jab furqat se main ne, vajh teri doori ka

Boli wo per haule se, '' 'sahil' mian soch izafa''


Rang pheeke pard gaye, gulon pe haavi hai khazan

Khafa hai bahaar kyon, mujhse tu hai kyon judah


Misl e gul, chund roza zeest hai mehmaan jahan ki

Gar murjha gaye hum jaanaan, kaho phir karogi kya


Kabhi parcham lehraate they mahabat o wafa ke

Ab kis se kahen, zeest basarhoti hai tanha


Rooth kar kyon jana, jaanan,jab maana tujhe khuda

Mana leta hai rab ko bhi, kar ke wo sajda o dua


Aasaan nahin hai jeena, tanha kisi ko jaanam

Karta hun main ilteja, to naseem ban kar laut aa


80.
Nazar e aatish hua koocha jaane kis fughan se

Wo ajnabi tha, ghair tha, jaane kis jahan se


Dhunda kiye ai 'sahil' hum naam o nishan koi

Puchhte rahey be kaar hum, udte huay dukhaan se


Justaju hai taskeen ki maikhaane men tere

Dil bastagi na rahi saqi jab apne ashiaane se


Behta hai subh o shaam, darya mere ashkon ka

Zakhm bahot gehra hai mundamil na hua darmaan se


Khwaab dekhe bahot hum ne tarah tarah ke yaro

Vasl ki umeed kya rakhen ab shab e hijraan se


Baadal, bijli, baarish aur qaus e quzaah ke rang

Kya hoga haasil kaafir tujhe deegar aasman se


Yeh karun, wo karun, kya karun bata

Yeh pursish kaisi yaro ab, apne hi armaan se

Uth gaya hai khud hi se jab etimaad, 'sahil'

Rakhen phir tawaqqo kya is do rangi zamaan se


Sar per mere hai baar ab, dastaar e fazihat ka

Munkir hain ab dost yaar, shanakht o pehchaan se


Khuzu ki raah per chalega to milega rab tujhe

Bata, kya milega ,shaikh, mizaaj e sargardaan se


Haq hai tera khud per insaan, farz bhi tera hai

Niklen sirf shireen alfaaz talkh teri zabaan se


Maante they ghar aaye ko kabhi rehmat e khuda

Aaj kis qadr hai be rukhi ghar aaye mehmaan se


Yaro, dena hai hisaab ik roz us baagbaan ko zurur

Le jao jo bhi chaaho tum is majazi gulsitan se


Umeed to ab bhi hai mujhe rab ke is nsaan se

Giley mat kar 'sahil' tu, aadam zaad ke doodmaan se

81.

Kyon behlate ho dil ko saraab o kahani se



Umr daraaz kab hui tamanna e javidani se
Dosto, kaam jo khuda ka hai usi per chhordo

Sumundur mat banao tum ashk fishani se


Subh shaam ka maajra hai aaftaab ka kamaal

Umeed kya karen kaho do roza zindagani se


Hasraten reh jaati hain dilon men sab na kaam

Milte hain sawaab to sirf rab ki meharban I se


Sun liye vaaiz ke khutbe, naaseh ki naseehat bhi

'Sahil' ko mila nukta lekin hayat e faani se


82.

Nazar e aatish hua koocha  jaane kis fughan se

Wo ajnabi tha, ghair tha, jaane kis jahan se
Dhunda kiye ai 'sahil' hum naam o nishan koi

Puchhte rahey be kaar hum, udte huay dukhaan se


Justaju hai taskeen ki maikhaane men tere

Dil bastagi na rahi saqi jab apne ashiaane se


Behta hai subh o shaam, darya mere ashkon ka

Zakhm bahot gehra hai mundamil na hua darmaan se


Khwaab  dekhe bahot hum ne tarah tarah ke yaro

Vasl ki umeed kya rakhen ab shab e hijraan se


Baadal, bijli, baarish aur qaus e quzaah ke rang

Kya hoga haasil kaafir tujhe deegar aasman se


Yeh karun, wo karun, kya karun bata

Yeh pursish kaisi yaro ab, apne hi armaan se


Uth gaya hai khud hi se jab etimaad, 'sahil'

Rakhen phir tawaqqo kya is do rangi zamaan se


Sar per mere hai baar ab, dastaar e fazihat ka

Munkir hain ab dost yaar, shanakht o pehchaan se


Khuzu ki raah per chalega to milega rab tujhe

Bata, kya milega ,shaikh, mizaaj e sargardaan se


Haq hai tera khud per insaan, farz bhi tera hai

Niklen sirf shireen alfaaz talkh teri zabaan se


Maante they ghar aaye ko kabhi rehmat e khuda

Aaj kis qadr hai be rukhi ghar aaye mehmaan se


Yaro, dena hai hisaab ik roz us baagbaan ko zurur

Le jao jo bhi chaaho tum is majazi gulsitan se


Umeed to ab bhi hai mujhe rab ke is nsaan se

Giley mat kar 'sahil' tu, aadam zaad ke doodmaan se


83.
Gham ko pi gaye yun ke chashm num na ho

Wo yaar hi kya mere pehlu men har dum na ho


Us jannat ke dar ko band rehne de vaaiz

Jahan saqi aur mera sanam na ho


Aasaan nahin hai jeena dunya e faani men

Jahan la faani hai sirf dard, jo kum na ho


Dard e dil ka saqi tujh pe nahin hai ilaaj

Chaarahgar wo kya jis ke marham na ho


Wo firdaus hi kya jahan hoor na ho

Usey baazaar kya kahen jo garam na ho


'Sahil', nahin hai aashna us jahan se shaikh

Jahan chain o aman ho, koi sitam na ho.


84.

Aarzuon ne 'sahil' bahot rulaya hai

Aur, tishnagi ne hamen tarsaya hai
Dil ke ashkon ne hamen nehlaya hai

Girti shabnam ko kaun rok paaya hai


Wo farishta nahin asl humsaya hai

Jis ne roothon ko ja kar sulaya hai


Kya manaoge dil kisi aur ka tum

Hum ne apne hi dil ko samjhaya hai


Munafiq hai kaisa chehra dunya ka

Hamdardi ne yaro mazeed rulaya hai


Daroon hai har lamhe men zindagi logoq

Be jaan hai jis ne lahza ganwaya hai


Ajnabi bhi hota to pehchan lete 'sahil'

Aaj, be naam ashkon ne mazaar sajaya hai


85.

Badi koft hui per haal e dil to sunaya hum ne

Dil hi jab khafa hua, usey phir manaya hum ne
Gul o khaar udaas they, baaghbaan tha muztarib

Gulaab ke aaj mazaar per, diya phir jalaya hum ne


Hamdardi bhi kya shai hai yaro, chashm apne num huay

Ashk baha ke dil ko apne, gham auron ka jataya hum ne


Shafaq ki laal dekh kar rang jo aaya chehre per

Andhera hai anjaam din ka, yaad unhen dilaya humne


Dua se, yaqin se aur rehmat e khuda se

Kashti e zeest ko girdaab se bachaya hum ne


Dheemi hui jab lau kabhi imaan ke sham'a ki

Yaad kar ke maula ko nur phir sulgaya humne


Behla kar dil dunya ka umr saari ,ai 'sahil'

Apne dil ke dard ko, tabassum men chhupaya hum ne

86.

Samajh le 'sahil', zindagi sanwarti hai



Apne hisse ki khushi sab ko milti hai
Maidan e jung na banao, nabard nahin hai zeest

Sulah kar lo hayat se, umr haseen guzarti hai


Subh o shaam ho naseem, zururi to nahin

Haq hai baad e simoom ko, wo bhi chalti hai


Har shab nahin hoti maah o anjum se raushan

Rafaaqat men bhi yaro an ban hoti hai


Kyon zururat hai tumhen khud sataish ki yaro

Jab, zindagi khud apni daastaan sunaati hai


Zindagi ko zinda dilli pesh kar, 'sahil'

Varna, wo to khufta hi nazar aati hai.


87.
Dosti ki khazan se to baharon se kya giley

khud ko na samajh sakey, sitaaron se kya giley


Jab khelte rahe umr saari gulon se hum, 'sahil'

Phir tapka gar lahu kahin, khaaron se kya giley


Intekhaab kiya hum hi ne, raahen bhi khud chunin

Shanasayi ki tanhai se, phir yaaron se kya giley


Nasheman banaya reg per, sahil se bahot door

Deewaaren huin jab boseedah, deewaron se kya giley


Gar jau farosh gandum numa ban gaye tum yaro

Kotaahi phir tum men hai, kharidaaron se kya giley


Hoti nahin raahen yaro zindagi ki sab hamwaar

Haail ho gar raaste men, raahguzaaron se kya giley


Raushani hai har taraf, zamin kya aur kya falak

Gar dekhte huay na dekhe 'sahil', to nazaaron se kya giley.

88.

Apne dil ke mehmaanon se mila do kabhi


Us shahar ke deewanon se mila do kabhi

Raaz hum pe bhi hain jaanan mat bhulna yeh


Tum deegar raazdaanon se mila do kabhi

Har ja hai hujoom logon ka dekhiye


Chund insaanon se bhi to mila do kabhi

Hain dair o haram, kunisht o kaleesa


Ab imaan ke nigahbanon se mila do kabhi

Us deewaar se milao jo khandar na baney


Is jahan ke jaavidaanon se milao kabhi
Raahat dila 'sahil' ta ke hum bhi so len
Mere dil ke armaanon ko sula de kabhi

89.


Phirta hai kyon ai 'sahil' tu jahan men dar ba dar

Boseedah hain deewaren sab, bikhre huay pathhar


Nazaare sab yaksaan hain, gulon ke dekh har ja

Haseen hai sab sechaman apna, apna hi dagar


Dekhti hai aankh jo chahta hai, dil usi ka, yaro

Masila hai yeh dil ka jab, phir dil se kya khatar


Subh o shaam, naseem o simoom, maah o anjum bhi

Muqarrar hai waqt sab ka dosto, agar kya magar


Kotahi na ho hausile men, ya rab mere kabhi

Na dena tu maula koi mujhe gham is qadar


Waqt e khuftan aa raha hai so ja tu bhi 'sahil'

Fana hai fitrat insaan ki, phir maut se kya dar

90.
Badi koft hui per haal e dil to sunaya hum ne

Dil hi jab khafa hua, usey phir manaya hum ne


Gul o khaar udaas they, baaghbaan tha muztarib

Gulaab ke aaj mazaar per, diya phir jalaya hum ne


Hamdardi bhi kya shai hai yaro, chashm apne num huay

Ashk baha ke dil ko apne, gham auron ka jataya hum ne


Shafaq ki laal dekh kar rang jo aaya chehre per

Andhera hai anjaam din ka, yaad unhen dilaya humne


Dua se, yaqin se aur rehmat e khuda se

Kashti e zeest ko girdaab se bachaya hum ne


Dheemi hui jab lau kabhi imaan ke sham'a ki

Yaad kar ke maula ko nur phir sulgaya humne


Behla kar dil dunya ka umr saari ,ai 'sahil'

Apne dil ke dard ko, tabassum men chhupaya hum ne


91.

Badla hai zamaan yeh kaisa, chaman men ab wo gul kahan

Chaand sitaare wohi hain, badla hai to aasmaan
Naghma saaz na andaleeb na baghbaan wo kuhan kahin

Kahen kaise Is biyabaan ko, dil se ab hum gulsitan


Mafhum e hayat ravaani hai, chalte reh ai musafir tu

Maah o suraj misbaah tere, shab o roz khayabaan


Doob ja khayalon men, jahan wo tera tha alag

Yaad rahe lekin shaair, zindagi hai imtehaan


Mit chuki tehzeeb yaan se, ehtiraam bana dukhaan

Aaj jeete hain log kis tarah be vajh aur be imaan


Kya hashr ke din qareeb hain, log kyun hain pareshaan

Iblees ki kya yeh saazish hai, har ja haavi hai shaitaan


Raah deekha tu jannat ki, dozakh se shanasayi hai

'Sahil', kuch naya suna, sab ki hai yeh dastaan

92.

Apne hisse ki khushi sab ko milti hai



Yeh samajhne se 'sahil' zeest sanwarti hai
Maidan e jung na banao, nabard nahin hai yeh Sulah kar lo haalaat se, umr haseen kat ti hai
Subh o shaam ho naseem, yeh zururi to nahin Haq hai uska, simoom bhi to chalti hai
Har shab nahin hoti mah o anjum se raushan Ulfat men bhi yaro kabhi an ban hoti hai
Zinda dilli tu deekha zindagi ko 'sahil'

Varna, woh to khuftah hi nazar aati hai

93.

Samajh le 'sahil', zindagi sanwarti hai



Apne hisse ki khushi sab ko milti hai
Maidan e jung na banao, nabard nahin hai zeest Sulah kar lo hayat se, umr haseen guzarti hai
Subh o shaam ho naseem, zururi to nahin

Haq hai baad e simoom ko, wo bhi chalti hai


Har shab nahin hoti maah o anjum se raushan Rafaaqat men bhi yaro an ban hoti hai
Kyon zururat hai tumhen khud sataish ki yaro Jab, zindagi khud apni daastaan sunaati hai
Zindagi ko zinda dilli pesh kar, 'sahil'

Varna, wo to khufta hi nazar aati hai.

94.
Dosti ki khazan se to baharon se kya giley khud ko na samajh sakey, sitaaron se kya giley
Jab khelte rahe umr saari gulon se hum, 'sahil'

Phir tapka gar lahu kahin, khaaron se kya giley


Intekhaab kiya hum hi ne, raahen bhi khud chunin

Shanasayi ki tanhai se, phir yaaron se kya giley


Nasheman banaya reg per, sahil se bahot door

Deewaaren huin jab boseedah, deewaron se kya giley


Gar jau farosh gandum numa ban gaye tum yaro

Kotaahi phir tum men hai, kharidaaron se kya giley


Hoti nahin raahen yaro zindagi ki sab hamwaar

Haail ho gar raaste men, raahguzaaron se kya giley


Raushani hai har taraf, zamin kya aur kya falak

Gar dekhte huay na dekhe 'sahil', to nazaaron se kya giley

95.

Apne dil ke mehmaanon se mila do kabhi


Us shahar ke deewanon se mila do kabhi

Raaz hum pe bhi hain jaanan mat bhulna yeh


Tum deegar raazdaanon se mila do kabhi

Har ja hai hujoom logon ka dekhiye


Chund insaanon se bhi to mila do kabhi

Hain dair o haram, kunisht o kaleesa


Ab imaan ke nigahbanon se mila do kabhi

Us deewaar se milao jo khandar na baney


Is jahan ke jaavidaanon se milao kabhi

Raahat dila 'sahil' ta ke hum bhi so len


Mere dil ke armaanon ko sula de kabhi

96.


Phirta hai kyon ai 'sahil' tu jahan men dar ba dar Boseedah hain deewaren sab, bikhre huay pathhar
Nazaare sab yaksaan hain, gulon ke dekh har ja Haseen hai sab sechaman apna, apna hi dagar
Dekhti hai aankh jo chahta hai, dil usi ka, yaro Masila hai yeh dil ka jab, phir dil se kya khatar
Subh o shaam, naseem o simoom, maah o anjum bhi Muqarrar hai waqt sab ka dosto, agar kya magar
Kotahi na ho hausile men, ya rab mere kabhi Na dena tu maula koi mujhe gham is qadar
Waqt e khuftan aa raha hai so ja tu bhi 'sahil'

Fana hai fitrat insaan ki, phir maut se kya dar

97.

Jaanam, qatra e os ko gul per dekho


Phir mere deedah e tar ko dekho

Kahin to dekho khuda ke liye


Na sahi is taraf, udhar to dekho

Farishte ke dil men bhi raaz hai pinhan


Dil uska bhi tum tatol ke dekho

Guzri ho kitni, shab jaan leva kyon na


Tum jaagte suraj ke sahr ko dekho

Kabhi namaaz men kuch na maang kar dekho


Us sajde ke phir asar ko dekho

Kabhi sukun tha mubarak gulshan ko mere

Aaj har ja zulm o ghadar ko dekho

Zakhmi hain sab,  tum 'sahil' ko dekh lo


Himmat e mardaan, uske jigar ko dekho

98.


Ishq ki 'sahil' koi zabaan hi nahin
Abr ghaney hain itne aasmaan hi nahin

Udaas hain parindey bin aftaab, dekho


Goya, un ki aaj  zinda jaan hi nahin

Ai mahlon ke qaabiz rang pheeke tere


Faqir ke muqabil teri shaan hi nahin

Tu munkir hai kaisa, tera khuda kya nahin


Ai kaafir,mere dil men to gumaan hi nahin

Veeran dil ki baat kya karte ho yaro

Veerani se badh kar biyabaan hi nahin

Meri rooh ko dosto kiya jis ne qaabu

Us jism se badh kar zindaan hi nahin

Bhoola hai aaj insaniyat ko logo

Is insaan se badh kar koi haiwaan nahin
Tu danke na baja fayyaazi ke apne
'Sahil', rab se badh kar mehrbaan hi nahin
99.

Bhook bhi kya shai hai 'sahil', khud hi per vaar karey

Jaise junoon libaas apna taar taar karey
Subh ka noor, shafaq ki laali, misbaah hai yeh kiska

Wohi aaftaab shaam ko jo phir teerah o taar karey


Khushi bhi hai, ghami bhi hai, mizaan men zeest ki

Kaante ki ja to apni hai, jo bhi bahaar karey


Baith kar sahil per yaro hogey khatar se door, per

Zinda dil to wohi hai jo behr ko paar karey


Hum to shaadmaan rahey khazaan men bhi 'sahil'

Fikr na ki hum ne kabhi jo bhi naar karey.


100.
Dil men hai tasawwur 'sahil', rab paas ho ya door ho

Darna kya qahr se uske, har dum jo ghafoor ho


Karte hain log sajde roz, ke due unki qabool ho

Gar dil se na nikle fughaan,, phir kaahe woh manzoor ho


Doob ja ai khursheed tu, tere noor ka main kya karun

Neend aaye, khwaab aayen, tamanna hai ab ghoor ho


So ja ai shab tu, raat teri hai, jaag lenge aaj hum

Karte hain dil se dua, subh teri pur noor ho


Kar lo khud se shanasayi, wohi to asl dost hai

Chaahti hai tanhayi bhi, jahaan uska maamoor ho


Dekheen hain hooren bahot, khudaya teri dunya men

Parwa nahin firdaus men ab, hoor agar mastoor ho


Dil men rahen pinhaan armaan, shauq ka phir zuhoor kya Ishq bhi chaahta hai yaro, ishq ka mazkoor ho
Kiya khud ko ghaayal jab, jigar phir choor choor kya

Gunahgaar ho koi aur to, vaajib hai dil ranjoor ho


Bhool jaoge ulfat ko yaro, veeraan hoga hafiza,

Laazim hai zakhm bhi, kabhi kabhi naasoor ho


Mahabat ki bhi doriaan, baandhti hain is qadar

Khwaahish hai dil men 'sahil' ki, wo bhi kabhi majboor ho

101.
Liye phirte hain dil men tasweer un ki

Nahin karni hai 'sahil' hamen tashheer un ki


Shirin aisi hai zabaan zaalim ki aaj kal Le aaiye be shub 'h ab shamsheer bhi un ki
Khat milne per hoti hai khushi, kabhi gham

Mizaaj un ka numa karti hai tahreer un ki


Sabr ne diya dars mujh ko aisa dosto

Ab mahsoos nahin hoti hai taakheer un ki


Naqsh e pa un ke bhi takte hain unhen

Goya zameen bhi chaahti hai taqdeer un ki


Khwaab to khwab hi hain , haqeeqat na samajhna

Fuzool hai karni koshish e taabeer un ki


Kaun samjhaye unhen asliat jahan ki

Jo samajhte hain dosto yeh jaageer hai un ki


Hifazat se chalna, yeh koocha hai un ka

'Sahil'


102.
Sukun hai yeh kaisa, na gham na umeed koi
Na maatam kahin na hi jashn e eid koi

Ajeeb hai yeh kaisa afwaahon ka zamana


Be bunyaad kahaniyan, shuneed na deed koi

Tera roz ka khutba be asar hai ab vaaiz


Daastaan suna tu ab hameed koi

Dekho ishq bhi yaro khokhla hai kitna


Na qurbaani kahin na hi shaheed koi

Keh gaye jo ghalib, meer aur iqbal


Chund sher to sunaye muqabil jadeed koi

Ilteja hai tujh se 'sahil' ki khudaya


Kabhi hausile se na dena dard mazeed koi

103.


Maut se kya darna, maut to nijaat hai

Faani hai dunya, faani hayaat hai


Nafas ka aamad o raft hi kul zeest hai

Javidaani to mahz khuda ki zaat hai


Kya maangte ho rab se dua men tum logo

Subh shaam ka tamasha hi uski saughaat hai


Khub jaanta hai shaatir shatranj ke daon pech

Phir bhi, aaj jeet, phir kal uski maat hai


Daawe to karte hain yeh ahl siyaasi

Bhool jaate hain lekin yeh kiski qaayenaat hai


Pesh raft hui hai aaj dunya men itni

Per haath me mere ab bhi qalam o dawaat hai


Aarzoo, tamanna, khwahishen tamaam

Sochta hun dosto kya jeena bhi jazbaat hai


Itna bhi na kar zeest se pyaar 'sahil'

Ke mukhtasar bahot is se mulaqaat hai

Haathon ko kya malna, logo afsos kya karna Kaun jaanta hai kya likha hai lakeer men un ki
104.

Rakh tu saqi paimaane apne sambhaal kar maikhaane men


Lutf hai hum ko, khum gaah men teri , chal kar bas aane men

Jis sukun ki justaju hai tujhe 'sahil' yun mustaqil


Dhund le goshe men tu, kahin apne hi veeraane men

Khud hi jo ho muztarib, wujood ho jis ka raakh men


Kya mazaa hai kaho yaro tadapte dil ko sataane men

Kotaahi na thi qasd men, paasbaani bhi kuche ki , ki


Phir bhi jaanan umr lagi hai tujhe mahabat samjhaane men

Nama bar se puchhun kya, taakheer ki bhi vajh ab main


Kyon waqt laga hai tujh ko itna gor per meri aane men

Haqeeqat hai mazeed aaj, har ek ke afsaane men


Waqt laga hai 'sahil'  bahot yeh daastaan tujhe sunaane men

Khuftah hai yeh dunya saari, haqeeqat se yeh koson door


Karta rahunga koshish main isey har dum yaro jagaane men

105.


Taare hain, chaand hai, suraj ka dekh naam nahin

Khule aasman ko dekh, 'sahil' falsafe ka kaam nahin


Sajaate hain chaman ko jaise gul o barg, roz naye

Mah o anjum falak ko, per us ke wo ghulaam nahin


Beeten din chain se, raaten guzren khwabon men

Kya chaahiye aur kisi ko, koi saraabi dawaam nahin


Takte hain falak ko log, rakh kar taaron per umeed

Basta hai rab dil men logo, koi sar e baam nahin


Karta aaya hun rafaqat zindagi se main musalsal

Dar nahin hai khaaron ka, ab fikr e iltiyaam nahin


Tere dar ki justaju hai, aabid hun maula tera

Siwa lab pe naam tere, deegar koi armaan nahin


Lihaaz hai mujhko daur o waqt ka, ai 'sahil', varna sun

Zabaan per mer bhi to aakhir, hai koi lagaam nagin


106.
Qasm khuda ki tod kar pashemaani hui

Momin ko apne kiye per bahot hairaani hui
Jab bhi chale dil men le kar nur e khuda, hum Karne men sumundur paar, phir aasaani hui
Samajh le gulaab tu, khaaron ko apna yaar Unka hona tere aas paas to nigahbaani hui
Takti hai gulshan men jo har gul ko rashk se Aawaara nahin hai chashm, wo mastaani hui
Zindagi kya, yaro jahaan hi sab faani hai Taareekh to bas bashar ke safar ki kahani hui
Rakhta hun haafize men chund muskaan sambhaal kar Wohi to mere tifl ki ab bachi kahani hui
Rab se kya maangta hai tu, dua men ai 'sahil'

Kul zeest hi jab uski tujh per karam farmaani hui

107.
'Sahil ', gham ko dil se na lagana kabhi,

Veerani ko ghar na banana kabhi,


Dukhte dil ki sada lab tak na pahunche,

Daastaan na gham ki dauhraana kabhi,


Na milna chaaho sanam  muzaiqa nahin,

Bahane taakheer ke na banana kabhi,


Hamwaar nahin hoti hai raah zindagi ki,

Tufanon se tu, na ghabrana kabhi,


Har dil men hota hai koi raaz pinhaan

Asliat ko dosto na chhupaana kabhi,


Raaton se kar le ashnaayi, ai 'Sahil',

Neendon ko phir na satana kabhi,

108.
Ik imtihaan hai hayat 'sahil' mian

Dekh, tak raha hai tujhe tera aasmaan


Jaan jaati ho jis nafas men yaro

Bahot mushkil hai kehna usey fughaan


Ban kar faqir kabhi qaasa le baitho

Phir keh kar deekhao jeena hai aasaan


Aasaan hai kehna jannat jahan ko

Us kashti se puchho jo ho bin baadbaan


Fuzul hai justaju e manzil, 'sahil'

Bas chalte reh, ke zeest hai kaarwaan


Tujhse pehle they shaair, tere baad bhi honge

Tu likhte reh dost jab tak dil hai jawaan

109.
Ghareeb to 'sahil' sab hi hain, bas ghurbat ka mafhum samajh

Dil men jis ke khuda basta ho, koi us se badhkar ameer nahin


Qasd men na rahey kotahi gar, manzoor hai khuda ko yeh

Himmat na haarna yaro tum, rab se badh kar zaheer nahin


Kab huay hain khwaab asl, reg mahlon ki taameer kab

Karo pehchaan haqeeqat ki, khwaabon ki taabeer nahin


Maula ka jo bhi lkha hai, wohi hai taqdeer hamari

Yaro, khutba bhi to vaaiz ka koi pathhar ki lakeer nahin


Ya rab, kya karega 'sahil' ban kar, daulatmand aur namawar

Banana hai teri raah ka raahi, koi karwaan ka meer nahin


110.
Dhund le 'sahil' tu, ik gosha kahin ab naya

Nahin hai hijaab men, kal ki wo masoom haya


Aisa to na tha yeh daur, aqdaar they mukammal sab

Kaun hai jo neki ko , s jahan se yun aaj le gaya


Chashm e num dekh kar, bhar aata hai dil sab ka

Ashk dekhe kitne uske, dil chaahe jitna roya


Subh se shaam, shaam se subh, yehi hai daastaane zeest

Kis ne kya paaya yahan, aur kaun saath kya le gaya


Be shumaar falak ke taare mushkil hai hisaab unka

Muddat hui hai ai 'sahil', bata chain se tu kab the soya


111.
Taare hain, chaand hai, suraj ka dekh naam nahin

Khule aasman ko dekh, 'sahil' falsafe ka kaam nahin
Sajaate hain chaman ko jaise gul o barg, roz naye

Mah o anjum falak ko, per us ke wo ghulaam nahin


Beeten din chain se, raaten guzren khwabon men

Kya chaahiye aur kisi ko, koi saraabi dawaam nahin


Takte hain falak ko log, rakh kar taaron per umeed

Basta hai rab dil men logo, koi sar e baam nahin


Karta aaya hun rafaqat zindagi se main musalsal

Dar nahin hai khaaron ka, ab fikr e iltiyaam nahin


Tere dar ki justaju hai, aabid hun maula tera

Siwa lab pe naam tere, deegar koi armaan nahin


Lihaaz hai mujhko daur o waqt ka, ai 'sahil', varna sun

Zabaan per mer bhi to aakhir, hai koi lagaam nagin


112.

Jaanam, dil ke mehmaanon se mila de kabhi

Us shahr ke deewanon se to mila de kabhi
Raaz to hum pe bhi hain, nihaan kayi

Chund deegar raazdaanon se mila de kabhi


Hujum kitna hai har ja, logon ka aaj

Koi insaanon se bhi to mila de kabhi


Kya karenge dekh kar, dair o haram ko

Vaaiz, imaan ke rakhwalon se mila de kabhi


Raahat miley 'sahil' khwahishon se mujhe

Ab tu hi aa kar sula de armanon ko kabhi

113.

Umr ho gayi hai maa tujhse phir milne ki



Tu kahan hai apna thikana bata,
Haal kaisa hai tera yeh bhi bata

Mujhko aa kar, ai maa, tu lori suna


Baith kar sirhaane, kuch gunguna

Neendon ko meri tu waapas le aa


Bhoola hun ahd e tifi ai maa

Mujhko bachpan mera phir se yaad dila


Zindagi sabki hai faani maaloom hai mujhe

Mere dil men tu ab bhi hai jaavidaan , maa

114.

Rakh dil apna paas apne tu 'sahil'



Zakhm gehra, bahot mushkil se bharta hai
Ai meer -e- kaarwaan kuch to bata

Kya tu bhi sitaaron ko takta hai


Kya teri bhi pursish unhin se hai

Kya tu bhi andheron se guzarta hai


Ek ghuncha murjhaaye, ek phool lkhiley

Is aamad o raft se gulshan sanwarta hai


Mat pila saaqi mujhe jaam tu aur

Usi se rind tera bigarta hai


Aasaan nahin hai jeena, dosto phir bhi

Yeh insaan kyon khud se ladta hai


Sab to hai faani jahan me 'sahil'

Tu abas kyon maut se darta hai.


115.

Talaash hai teri ai zeest, kahin to nazar aa

Kya guzarte waqt ka naam hi hayaat hai
Mujhe jeena hai tujhe, bin jaane huay

Vallah! yeh kaisi ajeeb o ghareeb baat hai


Aate nafas ka intezaar, jaate nafas ka dar Y

eh aamad o raft ka khel hi raaz e mulaqaat hai


Yaro, bahas kya hai zindagi aur maut men

Dard ke maaron se puchho, maut saughaat hai


'Sahil', qaza daastaan e hayat ki to baat hai

Gul ke khilne aur murjhaane ki to baat hai

116.

Aaj rootha sa kyon hai chaman, ai baagbaan Be surey hain naghme, kyon bulbul hai pareshan


Murjhaaye huay hain gulshan ke sab phool Nadiyaan hain sookhi, be aab hai aasmaan
Na patta kahin na shajar ki ab chhaon

Jahan dekho wahin hai bahaar e khazaan


Daur hai yeh kaisa, yeh jangal yeh haiwaan Kabhi dikhte they yaro, yahan nek hamen insaan
So ja tu 'sahil' tujhe shab bula rahi hai Le kar tu apne suhaane armaan
Mitna to likha hai qismat men sabki

Fana hai jab hukm, kya hai jaavidaan

117

Jab sanam mera khuda hi hai



Phir sajda aur namaaz kya,
Dil agar hai shaffaaf yaro

Phir dil men kaho raaz kya,


Jab shaatir hai khuda kaamil

Phir tu, ai shaikh, bisaatbaaz kya


Mauseeqi ho ghazal me , yaro

Phir naghma o saaz kya


Kar lo jo chaaho tum sajde, yaro

Per, Ibadat ka yeh andaaz kya


Jaan to nemat rab ki hai

Ai, insaan tu jaanbaaz kya


Sar jhuka kar chal, ai 'sahil'

Yeh khiraam men fakhr o naaz kya

118.

Gulshan men kisi ka yahan bharam nahin hai


Dil men kisi ke dair o haram nahin hai

Ulfat na rafaqat, sarwat ki parastish


Sar o saamaan kisi ka deen o dharam nahin hai

Munafiq hai kitna jahan aaj yaro


Falak se jo tapke wo shabnam nahin hai

Vasl men logo kyon lutf nahin hai


Aaj hijr men ranj o alam nahin hai

Teri auqaat hi kya hai, ai shaikh, bata


Jahan insaan khuda se kum nahin hai

Misl e haiwaan hai yeh, jidhar dekhiye


Yeh insan, ya rab, ibn e aadam nahin hai

Jayega kahan dard le kar tu 'sahil'


Chaarahgar pe darmaan o marham nahin hai
119.

Na ho gar kisi se wabastagi

Kya hogi phir'sahil' dilbastagi
Kya karunga wabastagi se yaro

Meri tanhayi se hai, dilbastagi


Khwahishen raheen na kaam, wa hasrata

Qareeb se dekhi hai main ne dilbastagi


Bhoolta hai rind ghar apne ki raah

Bata saqi, kaisi hai yeh wabastagi


Zakhm inheen se hotey hain taaza 'sahil'

Waah dilbastagi, haaye wabastagi!

120.

Zindagi, tu  faani hai tera aitbaar kya


'Sahil', patharon per chalen hain hum, khaar kya

Mehar khuda ki har dum hai faqir per, ai shaikh


Asl zar daar to wo hai,  tu maaldaar kya

Jab haq hai maghfirat ka aur gunaah qabool


Ai munsif, phir paak kaun aur gunahgaar kya

Jab maanta hai tu insaan riza khuda ki hai sab


Phir, nabard men jeet teri aur meri haar kya

Chhord falsafe ko 'sahil', dunya ka lutf le


Bahot be maza hai haqeeqat, inkaar aur iqraar kya
121.

"Nigaah ko nazaare ki hai tamanna, dil ko sauda hai justaju ka''


'Sahil', hum to baithe hain muntazir, rukhsat e aarzu ka

Gungunaati andaleeb, jagaati khuftah gulsitaan ko


Leta hai lutf dil khaamosh , zulmat se guftagu ka

Dhundta hai kisko insaan, shab o roz  sheeshe men tu


Koi to samjhaye mujhe,  mafhum ainey se ru ba ru ka

Ghurub hua hai aftaab, iyaan honey ko ha sahar


Ja chuke hain rind saqi, ab kya  kareyga mai o subu ka

Pursish kaisi maa se naadaan, khair o aafiyat aulaad ki


Batayega kya koi baaghbaan, gulon ke rang o bu ka

Haavi hai kitna junoon maula, bashar per tere , dekh


Nahin hai bilkul lihaaz usey, tera na apni aabroo ka

Momin hai tu jaante hain hum, padhte hain tera kalaam


Tu hi bata, ai 'sahil' hamen, jadoo lafz e hu ka.

121.
Haqaaiq mere ru ba ru hain, suna mujhe daaastan koi

Nasheman mera biyabaan men hai, deekha mujhe gulsitaan koi
Zameen per jee raha hun main, yeh naqsh e pa hain reg per

Sahil se jee ukta gaya hai, ab deehka 'sahil' aasmaan koi


Azaab se aashna hun main, sitaare mujh se hain khafa

Vaaiz, khutbe tere sun liye, ab raah deekha aasaan koi


Kaisa hai yeh nizaam tera, ai muqaddar tu hi bata mujhe

Kya haq nahin hai mujhe bhi, ke main bhi lun imtehan koi


Nasha hai kaisa sarwat ka, na zabt e sukhan na mizaan koi

Sitam ka hai yeh daur 'sahil', na yaqin kahin na imaan koi


122.
Maazi ke din laut ke na ayenge, mustaqbil ka soch

Khumgah ko bhool 'sahil', khuda ki mehfil ka soch


Maana ke lutf bahot hai aish o tarb men, lekin

Bewafai ki saza zaalim hai, us dard e dil ka soch


Haar jeet to bisaat men hoti hi hai , ai shaikh

Jisey qismat ne maara ho, us bismil ka soch


Be rahm waqt mahlon ko bhi karta hai

khandar Jis pe pathhar ke siwa kuch na ho, us sang dil ka soch


Tai kar liye hain 'sahil' tu ne faasile zamin per

Arsh e bareen falak se aage, us manzil ka soch

123.

'Sahil', maut ki nahin hoti hai zindagi, ghulaam


Hasti uski apni hai, kyon karten hain log qaza ko badnaam

Gar maut se qabl nijaat pa jaye bad naseeb insan


To 'Ghalib', kya zindagaani na hui nek farjaam

Yaro, dekha jaaye to zeest ibtida e maut hai,


Aur fana hi har shai ka hai, anjaam

Shaikh, jab zindagi ka maqsad hai mahz inkisaari


Bata, phir kya faayeda jeena, be mail o maraam

Kisi ko mauqa kyon dena ke karey woh gilaah


Dosto, zabaan talkh na ho kabhi, shireen ho kalaam

Dil ke ainey men dekh, nazar aata hai jahan saara


'Sahil', bata kya karega le kar, tu jamshed ka jaam

124.
Kisi ka darmaan, kisi ka farjaam

Ajal hai 'sahil' har ek anjaam,
Rakh lo jo chaaho naam kisi ka

Jaaved ka bhi hai, fana anjaam


Paighambar hain rab ke, safeer yaan sab

Isa, Mohammed, khwaah Ram


Ukhoowat ko bhoola hai insaan aaj

Kabhi karte they adoo ko, log dil se salaam


Kya hua hai zamaane ko, yaro kaho

Kabhi ibadat barabar, tha ehtiraam


Justaju hai sab ko sukun ki, ai 'sahil',

Kyon be taab hai ameer, pur taskeen gumnaam.

125.
Muqabil hain sumundur aur sahil, bahot

Aaj ghamzada hai aah, udaas hai yeh dil, bahot

Kya samjhayen dil ko nazakat mahabat ki

Dil o dimagh hain 'sahil' munfasil, bahot

Baat lagao ki mat kijiye hum se, logo

Hai mahabat se nafrat mutassil, bahot


Pila de saqi, rang jama de, kuch to kar

Be raunaq hai aaj teri mehfil, bahot

Nazron se peene ki rehti hai, aarzoo sabko

Hum ne dekhi hain aankhen, qaatil bahot

Jo daana hai woh see leta hai lab apne

Jo danke firasat kepeetey, woh jahil hai bahot

Pursish ki baar ha farda se hum ne, dosto

Khaamosh raha, lekin, mustaqbil, bahot

Peeri ka baar goya jhuka hua shajar

Wo barg kya uthayega jo hai muzmahil, bahot
Karam chahiye khuda ka, rehmat uski

Qismat to dosto hai sang dil, bahot

Mat puchh, ya rab, meri riza kya hai

Gunaah mujhse huay hazaar, hun munfail bahot

Mat sunao tum qisse aafaat ke yaro

Dekh chuka hai mushkilen, 'sahil' bahot


126.


Rang dunya ke hain juda, jaise bahaar aur khazaan
Sahi nahin hai samajna kabhi, har insaan ko haiwaan,

Mazhab se kya naata batao, insaniyat ka yaro


Achhe burey insaan hotey hain, na ke brahman ur musalmaan

Baaraan nahin hai, hain yeh falak ke ashk


Takta reh jaata hai hairaan, be bas aasmaan

Haif 'sahil', dil o dimagh men tazaad hai itna


Beh jaate hain misl e mauj, jazbaat men insaan

Bas karo yeh hungaame yeh baahmi fasaad


Samjho yaro, ek hai khuda ki di hui , jaan.

127.
Ginta hai kyon tu chanad sitaaron ko


'Sahil', gin le  zeest ke tu khwabon ko

Haqaaiq se kahan neend aati hai, yaar


Gin le nadaan, tu raah ke saraabon ko

Zindagi to khud hi ik bulbula hai,


Aur tu, takta hai us ke  habaabon  ko

Behti nadiya, ravaan darya dekh


Kya dekhna zar ke talaabon ko

Muqaddar ko kis ne haraya hai, kab


Chhord, fuzul shakwon ke hisaabon ko
Wo gulshan hi kya jahan khaar na hon
'Sahil', kyon dekhta hai tu, mahz gulabon ko
128.
Aaj faza hi hai 'sahil' aawaaragi ki

Ai Momin, baat kitni hai yeh hairaanagi ki


Sitaron ko dekh kar mat chal, ai dost

Hamwaar nahin hoti hai raah zindagi ki


Girdaab hai takabbur, beh jaayega

Inkisaari hi rooh hai bandagi ki


Samajhna na haqeer kisi ko , kabhi

Har haal hogi kashti teri, sharmindagi ki


Jab maana hai tu, ne sanam ko khuda

Phir baaten na kar, tu dil lagi ki


Kisi ko maat de kar, milana us se haath

Yehi hai alamat, asl mardaanagi ki


'Sahil', majnoon ko dekh, farhaad se

le dars Koi had nahin hoti hai deewanagi ki

128.

Ai iblees, waada kar, har qadam jannat tak saath dega


Varna kya bharosa, tu kahin rahzan hi na ban jaaye
Qaza se qabal qayamat ki nahin hai darkaar mujhe

Kahin yeh zindagi hi khud, mera kafan na ban jaaye


Lekin, tu zinda hai, yeh yaad dilaate rehna mujhe

Kahin aisa na ho, ke aarzoo hi kuhan ho jaaye


Magar, itna bhi qareeb tu mat aana mere

Ke koi daagh hi mere daaman per na lag jaaye


Tere 'sahil' ki ilteja hai tujh se, ai mere khuda

Ke teri ibadat hi us ka, ab pairahan ban jaaye

129.

Khushion ka kaarwaan dhundta hai tu kahan



Zamin per kabhi, aur kabhi aasmaan
Khushi to 'sahil', dil men hai, jhaank kar dekh

Nanhe se dil men basa hai, yeh saara jahan


Darya ki ravani sumundur tak hai

Mitenge kab dil ke yeh machalte armaan


Ainey ke zangaar men dekhega kya

Lafzon ke her pher men sukun hai kahan


Jin baaghon men tujhe hai bahaaron ki justaju

Ayegi ik din wahan bhi 'sahil',' udti hui khazaan.


130.

Dil se na ho to dua kya hai

Gar sabr na ho to riza kya hai
Hota hun tujhse, juda jab main jaanaan

Woh jafa nahin, to phir jafa kya hai


Zahn men fareb aur zabaan doghli

Koi to batao, aaj wafa kya hai


Qasam khayi hai teri, ai mere khuda

Yeh imaan nahin to sajda kya hai


Kahan sunta hai teri, insan ya rab

Takhleeq teri, yeh maajra kya hai


Jidhar dekho 'sahil' hungama bapaa hai

Tu hi bata, mandraja baala kya hai


131.

Baharon ki khushbu rahey kab talak

Baaghon men, rang o bu kab talak
Tera husn, ai zindagi, tu hi bata

Rahega tere ru ba ru kab talak


Gul itne hain har su, ai baaghbaan

Bacha lega tu, aabroo kab talak


Zeest khazan ki uski apni hai yaro

Na kaam rahegi yeh justaju kab talak


Aftaab ki laali bhi dhalti hai, har roz

Umeed rahey raushan, ba pehlu kab talak


Haq yaksaan hai sabka mehr e khuda per

Phir mehr uski 'sahil' rahey kab talak

132

Dunya saari se woh khub aashna hai


Lekin, pur sukun hai 'sahil' jab tanha hai

Khud ko tabaah kar le yeh sauda kaisa


Dosto, kya yeh bhi kis ki zeest ka mudaa hai

Tu hai, nahin hai, ajab bahas is per hai aaj


Khudaya, bata kufr ka yeh tamasha kya hai

Bhulaane ko kehte hain dost gham apne


Kaho, kya yeh bhi koi dard ki shifa hai

Simoom se ghirey insan se pursish kaisi


Kis rukh chalti hai hawa, saba kya hai

Na sahi bulbul, koel hi sahi, mujhko per


Naghma saaz ban ne ki, yaro tamanna hai

Bahot zaalim hai yeh duniya, be dil yeh log


Hum ne bahot naazuki se, hayat ko jiya hai

Hum se gilah, hum se shakwa, hum to dost they


Naya andaaz, kya yeh aaj ka naya ravaiyya hai

Hamen kya khabar thi yaro ke hum hi ne


Baghal men apne kisi adoo ko paala hai

Mat dekho chaak daaman, girebaan mat dekho


Hum kya batayen kis mushkil se siya hai

Khud ko deta hai insan dagha aaj 'sahil'


Tu hi samjha yeh kaisi hairatzada wafa hai

133.


Na tu Mir hai na Ghalib, bas 'sahil' hai
Na mauj na sumundur, bas sahil hai

Naqsh e pa tere bhi mit jayenge


Har lamha yahan fana ka haamil hai

Samjhe they jisey anjuman ka taara


Khabar na thi woh apna sokhta dil hai

Mehmaan hain hum sab rab ki dunya men


Mat samajhna kabhi yaro, yeh tumhari mehfil hai

Dil khol kar de shaikh, kar sawaab ki aarzoo


Nematen hain khuda ki, tu kyon tang dil hai

Tab maanen tujhe gauhar na yaab, 'sahil'


Dushman jab kahey tu bahot narm dil hai

134.


Yüklə 479,49 Kb.

Dostları ilə paylaş:
1   2   3




Verilənlər bazası müəlliflik hüququ ilə müdafiə olunur ©muhaz.org 2024
rəhbərliyinə müraciət

gir | qeydiyyatdan keç
    Ana səhifə


yükləyin