Khush Dil Insaan
Na gham kahin na soz e dil
Hai kis ki yeh nayaab mehfil
Na shor o ghul na hungama
Har dil men hai ik khush dil
Yeh baagh hai phool kalion ka
Na baar kahin na koi mehmil
Toofaan se kyon darey koi
Miley har kashti ko gar sahil
Nasoor nahin yaan zakhm koi
Khush dil kar deta hai mundamil
Saraab hai yeh ya khwaab koi
Tu hi bata hamen 'sahil'
Yaro, dastaan yeh pariyon ki hai
Kahan milte hain yahan, aaj khush dil
135.
Ai fana, aaj phir tera kamaal hua
Mohammed Ali ka irtehaal hua
Bhool baitha hai tujhe ayaashi men insan
Aaj phir, ik achha insaan paemaal hua
Khudaya, jab parinde tere badle nahin
Tere bashar ka kyon yun zawaal hua
Jab fana hai fitrat har jaan ki yaro
Phir, kaho jaavidaani ka kya sawaal hua
Sharmaa kar aftaab ki laali se, chaand
Odhe hai chaadar shab ki, kya visaal hua
Ya rab, maseeha se le kar ram talak
Nek insan ka jeena kyon mohaal hua
Firasat ke daawedaar har mod per hain
Phir kyon, ya rab,tera jahan be haal hua
Takhleeq teri yaksaan hai, maana
Koi paighambar bhi nahin be misaal hua
Ghaarat hai har ja, sookha hai darya, to
Ashk ka falak ka araq e infeyaal hua
Sunte hain kamaal ahl e siyaasi ka
Ik arsa hua lafz e hu, istemaal hua.
Tu zinda hai 'sahil', zinda hi reh
Hum samjhe they tera bhi inteqaal hua
136.
Gulsitaan men rehnewalo, tum rehna ba khabar
Kya khabar kis gul per rakhta, hai kaunsa khaar, nazar
Guzri ho zindagi jin ki, andheron men dosto
Ujaalon men phir unhen lagta hai bahot dar
Danke mat bajao mardaanagi ke yaro
Naazuk hota hai bahot yeh nanha sa jigar
Guzar gayi hai shab ek aur, shaahid hai aftaab
Ab de mujhe khabar koi, kal ki bhi magar
Pata maalum kiya tha tujhse main ne , ai vaaiz
Nahin hai gar raah e khuda, to kya hai yeh dagar
Main aashna hun 'sahil' mafhoom e zindagi se
Tamasha hai yeh lamhaat ka, saanson ka yeh safar.
137.
Na ho sada jaras ki, kyon chaley phir kaarwaan
Naqsh e pa na banen 'sahil', to rahen kya nishaan
Mat puchho mujhse logo, tum nasheman ka mere
Bas reg hi hai jahan mera, reg hi mera aashiyan
Khush hun main is reg per, nahin hun sar gardaan
Mat rakho zahn men yaro, tum koi gumaan
Aasaan hai jeena reg per, aasaan, bahot aasaan
Ulfat kahan hai aasaan yaro, tum le chalo wahaan
Kya dekhte ho falak ko, kyon takte ho sitaare
Zamin o aasmaan ke nahin, hai kuch bhi darmiyaan
Puja aur sajda kya, maseeha aur payambar kya
Dair kya, haram kya, yaro dil hai sabka aasitaan
Mat rukna 'sahil' tu kabhi, yeh zeest hai imtehaan
Rehna tu manind e darya, sumundur tak rawaan.
138.
Guzra hai waqt itna, na hai koi zakhm puraana
Daastaan tum ab 'sahil' koi kuhan mat sunaana
Kahin jaag na jaaye khuftah koi hadisa kabhi
Muhaal na ban jaaye, naadaan dil ko samjhaana
Raat tumahaari hai jawaanon, peeri se bahot door
Hum khwaabon men basey hain, hamen mat jagaana
Umeed rahey zinda to sahal hai phir yaro
Shab ki zulmaton ko, apni raahon se mitaana
Sar gardaan rahey zahn to muzaiqa nahin koi
Dil ke khaanon men dosto, ranj o alam mat basana
Deti nahin hai zeest mauqa dobara, kabhi
Haath aaye jab bhi mauqa, yun hi mat ganwana
Muntazir hai jo dar per, naam uska hai fana
Jalwon men tum logo, is baat ko mat bhulana
Main ja chuka hun 'sahil', khud hi se itna door
Ab fuzul hai sada dena, be matlab hai bulana
139.
Na ho riza to subh o shaam kya ho
Ai zeest, na ho fanaa to tera anjaam kya ho
Darogh na ho to be rang ho duniya
Sadaqat ka kaho phir daam kya ho
Jamshed na raha to jam e jam hai kahan
Mai na ho saqi to bata jaam kya ho
Insaniyat hi rakhti hai jahan ko qaaim
Yaro, raabita na ho to dua salaam kya ho
Ai kufr go dosto koi yeh to samhjhaye
Na ho rab to hayat ka maraam kya ho
Chalen gar insaan sab raasti ki raah per
Yaro, phir maseeha kaun aur ram kya ho
Zindagi se itni mahabat kyon hai, 'sahil'
Soch, gar fana na ho to dawaam kya ho
140.
Chhordiye aap Mir ko, kya karni wo ustaadi
Hamen kalaam padhne ki chaahiye khuli aazaadi
Yeh qaafiye ki bandish, yeh radeef ki nazakat
Nazm to kinaare lagi, hui ghazal ki barbaadi
Na maange gar namaaz men kuch bhi tu 'sahil'
Puchhega khuda khud tujhse, tu kaun hai faryaadi
Na dogey kya kaandha mujhe ik roz tum, yaro
Maana, zamaana badla hai, per rasm yeh hai puraani
Kis kuche ki veerani hai, yeh 'sahil' tu hi bata
Kya yahaan biraaj maan tha kabhi, Jigar Moradabadi
141.
Kab tak rahega takte tu deewaar ko 'sahil'
Jaan teri us paar hai, be zaar hai tera dil
Na hua gar zakhm mundamil tera kabhi bhi
Kahan le jaega safina tujhe, gar us paar na hua sahil
Koi to raaz hoga 'sahil' jhijhikta kyon hai tu
Na aashna nahin hai tu, tere yaar ki hai mehfil
Sadqe jaaun jaanan tere, tawaaf main karun
Istiqbaal karun main phulon se, gar haar jaaye mil
Dil to hum bhi luta chuke kayi baar, ai 'sahil'
Jaan bhi haazir hai agar koi khareedaar jaaye mil
142.
Boray ke qaabil bhi na rehta, 'sahil'
Qasm khuda ki tod kar
Ja raahi, alvida, khuda haafiz,ja
Mat dekhna nigahen tu mod kar
Jahan ka dastoor hai yeh kuhan, bahot
Chaley jaate hain sab, sab ko chhord kar
Saaqi, na samjha tu maikade ke usool
Hum ne pi hai, jaam per jaam tod kar
Kaisa hai 'sahil' , junoon yeh shayari ka
Hosh na aaya, yeh sar phod kar
143. Rona aaye 'sahil' agar to zaar zaar aye,
Toofaan aaye to phir khoob jaandaar aaye
Kaun jaanekaunsi shaakh per kal bahaar aaye
Udta kahan se mere gul per khaar aaye
Jangal hai jahan haiwaan baste hain yahan
Mumkin nahin veerane men gulzaar aaye
Sumundur ki hai dost, khaufzada hai magar
Be khabar hai kashti, girdaab kinare ya manjdhaar aaye
Lutf kya kaarzaar e zindagi ka yaro, kaho
Jab talak adoo na ru ba ru shaandaar aaye
Fana to fitrat hai hayat ki yaro, phir
Tafreeq kya gar maut aaye ya rasan o daar aaye
Khazan ka daur hai, afsurdah hai aaj dil
Andaleeb aaye, khwaah mera dildaar aaye
Jaam tha, gulfaam tha, sukun na tha saqi magar
Tere maikade se aaye, bahot be qaraar aauye
Kar le sauda qaza mujhse, hamsafar bana le
Ke baad e marg mujhe mukammal qaraar aaye
'Sahil', aasaan hai jeena, bas lete rehna nafas
Vaada nahin hai lekin,' ke tujhe qaraar aaye
144. Jo so lete hain raat ko 'sahil' wo qismatwale hain
Sah lete hain shab ki zulmat wo himmatwale hain
Jo maula ko yaad karte hain, khush haali me yaro
Wohi asl momin hain, asl ibadatwale hain
Mil jaaya mahabat jinko, is ahd e riyakaari men
Nematen hain bakhshish unko, wo qismatwale hain
Hoti hai jaan pyaari sab ko, apni apni yaro
Fikr karen jo auron ki, wo murawwatwale hain
'Sahil', puchha jab khuda ne bande, teri riza kya hai
To puchha usne un logon se, jo himmatwale hain
145. Jaante tha baad e khazan bahaar aayegi,
Per, kab talak bahaar, bahaar manayegi
Raakh to ban na hai, fitrat hai fana
Kab talak mujhe yeh naar jalayegi
Khareed o farokht ka haal dekhiye
Fikr hai bazaar ko kab garmi aayegi
Zeest sambhal ja,hasrat karegi fana
Phir, maut tujhe gunahgaar thahrayegi
Tere dar pe to aata hun saqi, lekin
Mai nahi, aarzu maikhwaar banayegi
Be basi ka namoona dekh, dar pe qaza
'Sahil', dil kehta hai daar pe maut aayegi
Aasudagi ka shauq tujhe hai, hum jaante hain
Shaikh, maidaan e kaarzaar men jaan jayegi
146. Mahlon men reh kar dekha jalwa shaan ka
Ab dekh le chal kar 'sahil', khandar yunaan ka
Tere khutbe ka khulasa to kar lun, vaaiz
Fikr karunga phir, tere kal ke ailaan ka
Pathhar o hadeed se banti hain deewaaren
Nasheman nahin hota koi, dil ke makaan ka
Munafiqana mizaaj, mutalavin hai insaan
Mukhtalif hai andaaz magar dil ki zabaan ka
Saleeqe se jee lo, nishaniyan rahen mustaqil
Yeh bhulti hai hidayat, kya hota hai haal nishaan ka
Guzaari hai umr saari jab apnon ke liye
'Sahil', khud bhi to le tu lutf, chund aan ka
147. Kuchh aisa suna 'sahil', sun ne ki chaah na rahey
Mir ho ya Ghalib, dil men soz o aah na rahey
Mil jaaye veerani men taskeen shayad
Kahin jaane ki aarzoo, koi raah na rahey
Tanhayi se badh kar koi zulmat kya hai
Aftaab ho ghuroob, falak men maah na rahey
Karun sajde akele, jab chaahun karun
Na azaan ki zururat, na khaanqaah rahey
'Sahil' baargaah e ezadi se badh kar kya hai
Na faqir koi na kahin baadshaah rahey
146. Ai zameen per chalnewalo, sitaare mat deekhao
Manjdhaar men ho gar kashti, to kinaare mat deekhao
Haasil na hoga kuch bhi, kaarwaan e khwaab men
Hum khush hain zameen per, ghubaare mat deekhao
Ba khabar hain khazan se, baharon men hain paley
Gulshan men ho bharam, to angaarey mat deekhao
Ai kufr go yaro, tum imaan ki sham'a kya jaano
Maah o anjum hain rab ke, tum andherey mat deekhao
Bhoole hain log 'sahil', mahabat ka aaj mafhoom
Hamen yaad hai god ma ki, tum gehwaare mat deekhao
147. Soney do khawabo, mujhe soney do
Jo hota hai usey, tum honey do
Zinda hain jin ke khwaab abhi
Unhen shab bhar, subh se milne do
Khalaaon se ho rabita jin ka
Kunj e qafas nahin, unhen udne do
Qismat per ghaalib kaun hua hai
Qasd ho na kaam, to honey do
Haq dil ko bhi hai roney ka, zurur
Ashk usey bhi tum, bahaane do
Be dard hai zamana, sookhey chashm
Num unhen bhi to, kabhi honey do
Zabt e sukhan men firasat hai, mian
'Sahil', jo kehte hain log, unhen kehne do
148. Ghar reg per baney, to thikana nahin hota
Mahal saraab se sajey, to sajaana nahin hota
Ai firasat mando, tum danke mat bajao
Tum se badh kar koi, deewaana nahin hota
Jo jeeta hai zeest apni, kh-moshi se dosto
Jeene ke saleeqon se, begaana nahin hota
Umeed rakho dil me gar jaza ki tum, yaro
Phir sajda bhi tumhara, nazarana nahin hota
Kyon thahra hai aaj, tera qaafila ai mir
Sayyaron ka koi, thikana nahin hota
Paasbaan hai zameer, kabhi soney mat dena
Jab chaaha jagaya, wo jagaana nahin ho
Hans liye phir ro liye, tawazzun nahin hota
Har roz ka dauraahna, samjhaana nahin hota
Samajh le mafhoom hadaf ka tu 'sahil'
Bin soche, bin samjhe, nishana nahin hota
149.'Sahil', haasil ki tamanna to bas junoon hai
Gar chashm se bahey to asl khoon hai
Dil sabka hai mahabat se mahroom yahan
Lekin, jisey dekho wo lagta majnoon hai
Justaju hai sabko taskeen ki musalsal
Gar daroon men basey wo ,to sukoon hai
Kabhi sitaron se hoti thi guftagu jiski
Aaj usi bashar ka kyon sar nigoon hai
Har ja hai zahoor quwat ka , ai khuda
Lekin, bin aqdaar tera insaan zaboon hai
Maangte ho jaan, kis jaan ki baat hai
Jab zindagi hi yaro maula ko marhoon hai
Ya rab, tera 'sahil' seedha saada insan hai Na arastoo na hi wo koi aflatoon hai
Kaun hai khush dil kaun bismil
Tu hi bata hamen ai 'sahil'
Phirte hain log kaasa liye
Tu ghurbat men bhi tha zinda dil
Hamwaar nahin hoti hai raah zindagi ki
Ho zinda dilli to ho mustaqil
Aaj andhera, to kal ki kya khabar
Kisey pata kya hai mustaqbil
Baaten hoteen hai har ja majnun ki, lekin Deewana to aakhir hai dil tera 'sahil'.
150.
Na Ghalib ka hunar na Iqbal ka josh
Rehne de saqi tu hamen be hosh
Hosh aa jaaye to kya khabar, dost
Thokaren kha kar phir hon madhosh
Na Ghalib ki firasat na Iqbal ka josh
Mahabat bhi bas ik silsila hai
Kabhi shakwa aur kabhi gila hai
Ulfat ke liye fursat hai kahan
Jab tijarat men 'sahil' itna silaah hai
Mahabat bhi bas ik silisila hai
Junoon hai tujhe bas likhne ka
Ghazal tujhe bas padhne ka
Tu bhi kya shai hai 'sahil' mian
Parindon ki maanind udne ka
Junoon hai tujhe bas likhne ka
Takta rahega yeh jahaan tujhe
Yaad karenge ik din log yahan tujhe
Khuda jaane qismat men kya hai teri
Kaash, jannat miley wahan tujhe
'Sahil' takta rahega yeh jahan tujhe
151. Dil ainey ki tarah saaf, kaho kab ki yeh baat hai Bin mah o anjum ki raat, kis ki yeh saughaat hai
Kabhi padhte they Ghalib, Mir o Sauda ko log Afsos, aaj na woh qalam na hi dawaat hai
Farishta e ajal hai shaamil, phir jalwa yeh kaisa Kyon puchhte ho yaro, yeh zeest ki baaraat hai.
Maana, haq hai tera jo chhahe tu kar, lekin Ai kaafir, mat bhoolyo kabhi teri kya auqaat hai
Kaarzaar e hayaat hai ya lutf e bisaat hai Kaun jaane kis shai ka naam jeet, aur kiska maat hai
Dosto, eid aa rahi hai, waqt khushiyon ka hai Tassavvur khuda ka, zururi saum o salaat hai
Kiye milne ke daawe doston ne har roz,
Phir mud kar na dekha, yeh kaisi mulaqaat hai
'Sahil', kya daraayegi tujhe qaza bhi kabh Tu momin hai aur tabiyat teri be baak hai
152.
Dawaam na sahi tu fajr se hi mila de
Andhere men saqi, raah ghar ki dikha de
Anjaam e zeest hai fana, ba khabar hun main Mere baatin men basey,dar ko mita de
Main sunta hun khutbe, ai vaaiz, tere
Tu dua ko uske, asar se mila de
Manjdhaar men hai kashti, ai nakhuda, dekh Toofaan ke khatar se ab tu hi bacha de
Chhord falsafa, baat zindagi ki kar
Ai 'Sahil' mian, daastaan apni suna de
153.
'Sahil', aasmaan ke aage bhi, aasmaan hai Dil pe bhi, zahn pe bhi, zabaan hai
Dil kis ka jal raha hai, kis ka armaan hai Udta hua khala men, yeh kis ka dukhaan hai
Bhadak raha hai shola, jal rahey hain gul Yeh kis ka chaman hai, kaun iska baghbaan hai,
Ajab hai yeh kitni baat mere dosto
Mehr ke haqdaar ka chaak daamaan hai
Maano ya na maano marzi tumhaari hai
Yaad rahey, yaro, imaan ka adoo gumaan hai
Yeh dunya kya degi dhoka tujhe, 'sahil'
Tera zameer, dil o zahn ka, paasbaan hai
154.
Sulagte hain armaan aaj bhi badan men
Peeri men jawaani hai aaj bhi tan men
Yeh kaisa hai sauda koi to batao
Amavas ki raat, aarzu maah ki gagan men
Milta hai darya sumundur ko ja kar
Kya us ke bhi hulchul hai kuch zahn men
Kal tak khala men they naseem ke jhonke
Aaj tufaan hain shaamil haseen pawan men
Justaju sukun ki musalsal hai, dosto
Kami kyon hai phir, taskeen ki man men
Dil lagi hai shayad yeh 'sahil' mian
Ke mehfil ki raunaq ho teri kafan men
155.
Manind e darya hai zeest sumundur tak ravaan
Jab talak hai nafas 'sahil', tab talak hai jaan
Kar le tu talaf jo chhahe, nizaam sab maula ka hai
Neela hai neela rahega, ai bande tera aasmaan
Dil kis ka jal raha hai aaj, sulagti naar se pursish kya
Dil nahin to raakh kya hai, tu hi bata, ai dukhaan
Hai hasraton ka majmua, kehte ho jisey insaan tum
Ainey me dekh kar khud ko, hota hai abas pareshaan
Khushamaden kya karneen 'sahil', yaksaan hain jab bande sab
Ghafoor to sabka ek hi hai, sabka woh asl mehrbaan.
156.
Yeh kis ki gali hai, rihaaish yeh kis ki
Hum kyon chale aaye, khwahish yeh kis ki
Mahabat to jazba hai wafa ka, jaanaan
Mahabat men phir aazmaaish yeh kis ki
Takte ho tum maah o anjum ko, phir
Guftagu hum se, sataaish yeh kis ki
Gul, chaman men haseen tha khila hua
Aaj zulfon men gul hai, aaraish yeh kis ki
Shaikh, dastaar e muflisaan kyon sar per tere,
Deekha kya raha hai, numaish yeh kis ki
Subh ta shaam humsafar tha, aaftaab
Ab sitaare hain saath, saazish yeh kis ki
Anjaam hai fana, tujhe fikr kya hai 'sahil'
Daur peeri ka hai, phir kaahish yeh kis ki
157.
Kh-moshi
Sukhan ki baat kyon, jab kh-moshi hai chhayi hui Dil per, ai 'sahil' mian, aandhi si aayi hui
Naseem na shajar na hi toofaan ki hulchul Yeh daastaan kis ne yaro, hai qabal sunayi hui
Kabhi aate they gulcheen, gulshan men baaghbaan Aaj gulsitaan ko kis ne, hai chaadar pehnayi hui
Khabar na thi talaf ki kya, yaaro tumhen koi Daanistaah kyon hai raah meri, aaj yun sajayi hui
Kar raha hun main bayaan, haqeeqat ko aaj logo Mere dard ko na samajhna tum, meri duhayi hui
Maana ke raaz hotey hain har dil men , pinhaan Tumhaare dil men kya hai kaho, baat chhupayi hui
Khush they hum tanhayi men, ai dosto khud ke saath Juda kyon hum se ab, hamari tanhayi hui
Kabhi tu hi tha mehfil ki raunaq, jaan uski tu Kyon lagti hai, ai yaar mere, teri shakl satayi hui
Bharam tera chaman men hai, rakhiyo tu sambhaal kar Fikr nahin hai 'sahil' mujhe , gar ruswayi hui
158.
Imtehaan na lo tum meri aarzoo ka
Main to muntazir hun kisi adoo ka
Maana, jhonke nassem ke hain dilkash
Be hijaab ho jaanan, paas karo tum aabroo ka
Zahn nahin, dil hai zabaan mahabat ki
Fayeda na uthao tum raat ki guftagu ka
Yun shab ko niklogi to maand hoga chaand Kya hoga batao, phir izhaar e jugnu ka
Dosto, zabt e girya ki na do hidayat mujhe, Bahen na ashk mere, kya hoga ravaan joo ka
Maqaam tera apna hai, ai khazaan , per
Samjhaun kaise dil ko main, haal rang o boo ka
Manaaun kahan tak aawaara dil ko, main
Yaro batao, kya hoga meri khoo ka
Ai joo e ravaan, tu thahar ja zara
Paas kar, lab per baithe us sukoot joo ka
'Sahil', muntazir tha Iqbal haqeeqat ka, lekin Gar mil jaaye manzil to kya hoga justaju ka
Jalwa tanhayi ka,
Kabhi yahan bhi baith kar dekh lo
Suno ge tum dil ki sada
Tanhayi men, ai 'sahil' mian
Nahin hota hai insan, khud se juda
Kabhi yahan bhi baith kar dekh ko
Pao ge taskin kamaal ki
Dil baneyga naghma saaz
Kh- moshi se aa kar milo
Dekho nakhra, uska naaz
Paoge taskin kamaal chi
Saara jahan isi men hai
Nahin hai manzil aur koi
Kashti e zeest hai girdaab men
Nahin hai sahil aur koi
Ghazab hai ki yeh tanhayi
Saara jahan isi men hai
159.
Jo dil me aaye 'sahil' wohi kaam kar
Ravaan darya ki ma-nind irqaam kar
Nahin hota hai kuchh bhi bin qasd kabhi
Ai bashar, tu zakhmon ka mo'aafi se iltiyam kar
Junoon ka hona bhi zururi hai saaqi
Tu jaam men doobne ka intezaam kar
Tah khaana to nasheman hai iblees ka
Ai bande, jo karna hai, sar e baam kar
Bhooli hai yeh duniya naam izzat ka
Ai bashar, tu insaan ka ehtiraam kar
Ufuq ko dekh, ghuroob ho chala hai aaftaab
Kaar apne tu musafir, sar anjaam kar
Tafreeq kaisi, khuda to sabka ek hai
Tu har aasitaan per 'sahil', ja salaam kar
160.
Main kuchh bhi nahin, sab khuda ki ata hai Kitna haseen manzar hai, yeh kaunsi jagah hai
Khwaab iram ke aur firdaus ki tamanna,
Kyon lagta hai kabhi, zindagi tu saza hai
Kab tak rahenge naqsh e pa zameen per
Kya puchhta hai shaikh, sab us ki riza hai
Ik safar hai hayat, saza kya aur kya jaza Yaro, iik lamha aur, kul zees ik lamha hai
Ya rab, takhleeq hai teri yeh insan nayaab Tu hi bata farishta kaun aur bala kya hai
Marhala hai zeest, isey qaafila hi samajh 'Sahil', maikadah aaj to kal khaanqah hai
161.
Khandar se guftagu kaisi, jab khud hi be jaan ho Zinda ho gar dil to phir, guftagu aasaan ho
Be shak be zabaan hai, be hiss nahin hai pathhar Gar dekh sako tum aansu, to guftagu aasaan ho
Uth te hain valvale be sa saakhtagi se jab Khamosh hoti hai sada, dard ho ya fughaan ho
Machalte they armaan kabhi, be tabaanah, yaro Ab rota hai be bas yeh dil, koi to armaan ho
Mat bhoolna tu 'sahil' kabhi, rishta jabal o darya ka Pathhar agar na roye to, darya kyonkar ravaan ho
161.
Ujaale ki nahin,baat hoti hai andheri raat ki Haqeeqat se baeed yahan khuraafaat ki
Mere alfaaz kya denge mere honey ki gawahi Jab zameen khud zaamin hogi, ik roz is baat ki
Muntazir rehti hai zindagi, fana ki sar ta sar Us aakhiri saans ki, wo zulmat bhari raat ki
Momin ko kyon aate hain khayal kafirana Saqi,kya yehi asaas hai tere kharabaat ki
Jab zindagi khud karti hai baaten nijaat ki Koi to samjhao yaro, ehmiyat kaenaat ki
Be mohaba hai itna is daur ka insan
Mat karo mujhse baaten tum mohaabaat ki
Hungama e zeest ne kiye valvale kh-mosh
Kyon karte ho zikr yaro ab lutf e jazbaat ki
Gar paikar e ghazal bana le zindagi ko 'sahil'
Mahsoos na hogi zururat , tujhe qalam o dawaat ki
162.
Aaj yahan kal wahan, yun hi ravaan hai kaarwaan Phir dekhiye naar ko, aur udta sa uska dhuaan
Saath reh kar waqt bitana, laazim ha ai mir mian Kisey kahenge thikana, aur kisey varna aashiaan
Khana nashin ko kiya, khana ba dosh tu ne, mir Manzil jab saraab thi, baandha kyon tu ne paimaan
Chaley jab ghar se saqi, zulmat bhari yeh shaam thi Tilism mehfil ki samjha, sahar sa kaisa yeh samaan
Dil ke daagh rakh pinhaan, zaalim hai yeh daur bahot Kisey khabar aur chaak karey, ai bismil, tera yeh damaan
Mohre aur pyaade hain sab, sab ki chaal hai apni Bisaat e zindagi se behtar, shatranj hai aasaan
Ai wahdaniat ke qaail, yeh zameen bhi to usi ki hai Jis ja per baitha hai tu 'sahil', wohi hai aasitaan
Takhliqaat usi ki hai, hum nadi woh bahr Tarsa aur yahood kaun, kaun brahman kaun musalman
163.
Musallat hai insaan, insan per aaj
Doosron ke sar o saamaan per aaj
Maah per daagh zaahiran nahin hain
Ke daagh hain sab, is ke daamaan per aaj
Daulat parasti ka shikaar hai yeh
Jaane kehte hain kaise honhaar hai yeh
Ghulaam ana ka, andaaz kaafirana
Khayaali ghodon per sawaar hai yeh
Isey parwa nahin kisi baat ki bhi
Subh imroz, aayenda raat ki bhi
Sitam raseedah hai hayaat
Isey fikr nahin hai kaaenaat ki bhi
Kaun samjhaayega isey, kaho
Kaun bachaayega isey, kaho
Yeh zeest nahin kaarzaar hai ab
Kaun pehnaayega chaadar, kaho
Ai bashar tu jeena aur marna seekh
Sar jhuka kar chalna seekh
Khuzu se badh kar kuchh nahin hai
Khuda ko yaad karna seekh
Yeh insaan bahot deewaana hai
Vahshat zada yeh zamana hai
Bhej payambar khudaya tu
Gar jahaan ko tujhe bachaana hai
164.
Mahlon me reh kar bhi insan ghareeb hai
Soch 'sahil' yeh baat kitni ajeeb hai,
Khushi to rehti hai zar se koson door
Taskeen, kaun jaane kis ka naseeb hai
Na sitaare falak ke, na chaman ke gul
Asli daulat to yaro sabr o shaqeeb hai
Shaheedon men shaheed to masiha tha
Qurbaani ki misaal to saleeb hai
Dars de koi to isey zabt e sukhan ka
Yaro, phisalti bahot yeh zaalim jeeb hai
Karzaar hai zindagi muqabila karte raho
Fallsafe ke liye to bahot kaafi khateeb hai
Kashti ko sambhaale na khuda, dosto
Jahan ka paasbaan, to maula raqeeb hai
Kyon aate hain khwaab jannat ke baar ha
'Sahil', kya baargaah e khuda, ab qareeb hai
165.
Zahn ko samjhaya laakh, armaan kahan maante hain
Kab ruka hai ravaan darya, hum to itna jaante hain
Kar lo bahas, firasat mando, jahan ki asliat per
Hum takte hain falak ko roz, haqeeqat hum jaante hain
Tu dil fareb hai zindagi, mere dil ka aayena kehta hai
Aur muntazir hai thaka nafas, ajal ka hum maante hain
Kitna gehra hai sumundur, puchhta kyon hai, kashti sawaar
Jab paasbaan hai khuda tera, har toofaan yeh jaante hain
Bita le dost tu zindagi lamha ba lamha, ai 'sahil'
Falsafa hai justaju mafhoom ki, hum khub isey jaante hain.
Dostları ilə paylaş: |