unse maidan mein larhon ja kar yeh hai dil mein umang
sab kehen itne dard mandon mein hai ek insaan bhi tha
lakhon be-deenon mein ek sahib-i-iman bhi tha
dey chuke izn-e-wagha jab use shah-e-dilgeer
gir parha kadmo pey aaqa ke hurr ba-taukeer
mil gayi sher ko yun khuld-i-baren ki jagir
rote they sene se lipta ke janab-i- shabbir
aahu bistar-i-bimaar se khatan chuthta hai
haifa-i- bulbul-i-shaida se chaman chuthta hai
darr-i-daulat pe yeh dey aan ke fizza ne sada
hurr se rukhsat ke liye aate hain ab mahelaqa
daurha hurr kehte huye banda namazi pe fida
dekha sajjad-i- haseen tekte aate hain asa
tan mein rasha tha pasene mein qaba they sab tar
kehte mujh se baghalgeer toh ho le safdar
Pg. 23
marhaba hurr-e- jari shafta-i-e-sibte rasool
tu hai firdaus-e-shujaat ka mehekta huya phool
tujh se razi hain ali teri sana khawan hain batool
rahmat-i-hazrat bari ka rahe tujh pe nazool
ibteda shar se huyi khair pe anjaam huya
nasir-i-sayyide mazloom tera naam huya
laghzeshen hoti hain insaan sambhal jata hai
qaid-e-awghaam mein phans kar nikal jata hai
nafs badle toh muqaddar bhi badal jata hai
qahar-i- mabood bhi aaye toh tal jata hai
pakh batoon ki nazar arsh talak jati hai
hadd yeh hai ke kano mein awaz-e-malak aati hai
aluda hurr se kaha zoof se tharrane lage
dil sambhalta nahin pahlu mein yeh farmane lage
tab ki eza barhi sajjad ko ashq aane lage
aap wapas haram-i-pak mein jaane lage
dosh par akbar-i-mahru ke tha sar haath mein haath
badre bemisal ke aur teez-i-taaban ka tha saath
aaya shabdeze jari jaise dulhan aati hai
ya sabah-i-itar fishan suye chaman aati hai
chadar-i-aab pe jis tarah shikan aati hai
siddi khursheed-i-durakshan ki kiran aati hai
dev paikar hai-o-wafaro khushatwar hai
jaisa raqib hai isi shaan ka rahwaar hai
chaurhe sene pe dahakti they jarhawu haikal
yaal bikhre huye they dosh pe sumbul ki shakal
barq ruftaar farz ki thee nazali nirali chalbal
toorh kar aahani dewar ko jayega nikal
husn woh zeen-e-morsah ka woh kalghi ke phiban
chaal they jis tarah taos urhe suye chaman
Pg. 24
inhi gohrho ki sanaa karta hai quran-i-mubeen
taap se urhti hain chingarian hilti hai zameen
qalb-i-lashkar mein yeh ghus jate hain maninda-i-yaqeen
nathnon se aati hai farrate ki awaz-i-haseen
gohrhe ghazi ke huya karte hain ghazi bizzaat
shahid is kaul ka hain surah-i-waladiaat
hurr charha rakshan pe pahne huye jaushan-i-baktar
haath mein tegh they aur ghazi ke kandhe pe sipar
dast basta yeh alamdar se bola safdar
samne mere rahen aap ka roh-e-anwar
jee larhai mein lage josh-o-wagha barhta rahe
aap dekha kare jaanbaz udhar larhta rahe
aap se saif-e- khuda daad ka talib hoga ghulam
kis tarah aaj meri dekheye chalti hai husaam
unse larhta rahu main subah se lekar ta-shaam
khoon mein aaj doba donga aada ke khayaam
jitney un mein bahadur hain unhe jaanta hoon
shimr ke kar gurzaron ko main pehchanta hoon
lo chala hurr woh utha fauj mein kharosh
amad-i-sher se jate rahe be-deeno ke hosh
baje bajne lage katarkit barhate rahe josh
shimr hairan kharha tha pisar-i-saad khamosh
bhagne ke liye be-deenon mein tayyari they
haibat-i-hurr-e-jari dushmano pe taari they
sab yeh kahte they wohi hurr hai ya hai koyi aur
kal talak yeh bhi tha zulm pasand hami-i- jaar
taeb hone se badal jata hai insaan ka taur
paikar-i-noor hai ek samne dekho toh baghaur
faiz-i-khursheed se zarre bhi chamak jate hain
abr-e-rahmat se biyaban bhi dahek jate hain
Pg.25
hurr pukara main tamacha hoon ba-ruksaar-i-yazid
haath mein tegh na samajh yeh hai jannat ki kaleed
tum nahin jante ho martaba mard-i-shahid
zar parasto umar-i-saad hai suftaan ka mureed
saaf maujud hai irshad-i-rasul-e-saqlain
mere do phool hain duniya mein hasan aur husain
jis qadr aap ko mehboob they yeh noor-e-ain
unke bahlano ko naqa bane shah-i-kohnain
unki taqleef se ho jate they sarwar bechain
unki khushnudi se milti they falah-e-dareen
qatl ke unki jo yasrib mein khabar payege
qabr se sayyid-i-laulak nikal aayege
khon-e-natik ke auz khuda banda majeed
pisar-i-saad rahega na lashkar na yazid
kahin duniya mein shaqi bhi huya karte hai saeed
jaanasheen ahmad-i-mukhtar ka maikhaar paleed
haath mein fasik-o-maloon ke masoom ka haath
ho nahin sakta kabhi noor aur zulmaat ka saath
pa sakega jo na mumalak yeh khilafat hai wohi
surah baqarah parha karte ho socho toh sahi
naib-i-khatim-i-rasul khatimi bedeen wa shaqi
ghalba wa qahr se milti nahi masnad yeh kabhi
jo hai mansuse minallah woh hai sab ka amir
khud bhi kamil ho rahbar-i-kamil ka wazir
hai husain ibne ali ahmad-i-mursal ke khalaf
hurmat-i- ale mohammad na karo mil ke talaf
kis ka sena hai jisi karto ho teero ke hadaf
kuch tawajjo karo irshad-i-risalat ki taraf
hai har ek kaul-i-nabi sab ke liye hukm-i-khuda
bhulte jate ho tum maani-i-wahi yuhi
Pg. 26
naaz hai kasrat-i- taadaat yeh tum sab ka fazool
ek se ek larhe mulk-e-arab ka hai usool
jang mein yeh nahin karte kisi nusrat ko qubul
tum sab se larhne ke liye kafi hai dilbar-i-rasul
hamla-i-shah rukega na sitamgaro se
ja ke takraoge tum kufe ki diwaro se
main shahedeen ke ghulamon mein hoon sab se kamtar
tum mein jo log bahadur hai woh roke mil kar
sher jab bahrhte hai jate nahin pechche hath kar
saikrho sar abhi girte hain tano se kat kar
mojeza dekho abhi quwwat-e-imani ka
kaisa lete hoon aoz tum se sitam rani ka
kah ke yeh haidar-i-safdar-i-hurr jaanbaz barha
rakhsh-i-taos bana aur basad naaz chala
ghaiz mein suye uddu surat-i-shahbaz barha
saaf se do char kadam shimr fusosaz barha
kahta tha gher lo ghazi ko jane na paye
qalb-i-lashkar ki taraf sher na aane paye
barq ki tarah chala sher suye shimr-e-shareer
char janib se mujahid pe barasne lage teer
khuli-o-shimr-o-seno-o-sumar-umar-ibne nameer
neza bazon ki barhe shumar behtar
safe awwal pe barasne lagi hurr ki talwar
huye jate thee layen chasham zadan finar
sher nezon ke neastan mein kabhi jhomta tha
be dharak dasht mein gohrha pa charha ghomta tha
kabhi firdaus ke phoolon ki mahek soonghta tha
tegh ke qabze pe kuch lekh ke jari chomta tha
khoon talwar se mathe se paseena pochcha
khul kar band qabah ko kabhi sena poncha
Pg. 27
abtari fauj mein phaili thee hirasan tha umar
kabhi kuch sochta tha teek ke talwar pe sar
kabhi ghabraya huya phirta tha zalim-i- muztar
laanat us fauj pe na murad ho jis ka afsar
sab yeh kehte they bura waqt nahin talta hai
apni talwar se aaj apna gala kathta hai
kahta tha shimr se ghazi ke ao ruswa-i-jahan
jis pe tha naaz tujhe teri sipahi hain kahan
hukm dey hurmula ko ley ke barhe teer-o-kaman
kaun se goshon mein hain shesh-o-nais aaj nihan
tere lashkar mein koyi sahib-i- subsam nahin
dekh ley tan pe jurahat ka kahin naam nahin
aaj ke mareka ki meri wagha hai tamanna
panch hain haider-i-qarar ke farzand-i-rasheed
do pisar binte ali ke hain zamane mein waheed
ek pisar shah ka hai safdar raksh-i-khursheed
dekhna aaj shujaat aan-i-arab ke paikar
kaat dalegi gale ibne husain ki talwar
phir barha bahre-wagah sham ki afwaz ka dal
char janib se uthhe dhaalo ke kale badal
teero ke muh mein damakne lage talwaron ke phal
razmi bajon ka kharosh aur woh awaze dohal
ek jawan mard se larhne ki yeh tayyari hai
haibat-i-shere jari buj-dilon pe taari hai
pehle hi vaar mein zar char faiz ho gaye khatam
barh ke do-char kadam hathte they pechche besharam
hurr ki tewar chali maut ka bazaar tha garam
dil karha jab ho toh faulad bhi ho jata hai naram
haqq par sutun ki khuda deta hai talwar mein jas
qahr-e mabood se chalta nahin insaan ka bas
Pg. 28
jalte jate thee adu shola fishan thee talwar
kabhi pahlu mein kabhi dil mein niha thee talwar
paikar-i-husn thee kataal jahan thee talwar
kaj-i- aada hosh ruba dushman-i-jan thee talwar
sar-e-rakib kabhi marg ka dahana kata
kabhi maghfer kabhi jaushan kabhi shana kata
kehte they hazrat-i-abbas hurr-e-ghazi wah
kar diya tune toh is fauj ke beyrho ko tabah
bachch nahin sakte teri tegh ki zar se gumrah
hans ke farmate they har zarb pe mashallah
qadardan dey jo kisi ko toh ilahi aisa
sahib aisa ho agar ho toh sipahi aisa
jhuk ke karta tha alamdar ko ghazi tasneem
kehta tha aap ka iqbal hai khadim ka sabheem
mauje leti hai samundra ki tarah fauj-i- ghaleef
hote jate hain shareron ke tan sukta-i-neem
larhta jata hoon magar haath thakte jate hain
aslahe dhoop ki shiddat se taape jate hain
aap farmate they tu kah toh karon aake madad
phir se barpa karon main mareka badr-o-uhud
yaad aa jaye abhi jurrat-i-zargham-i- samad
tujh se hai hazrat-i-shabbir ko ulfat beyhadh
maar kar unko tujhe leke chala aata hoon
tujh ko saaya-e-alam mein abhi lata hoon
hurr kehta tha ke mith jaega aaqa mera naam
jaan bachch jayegi ho jayoga lekin badnaam
kyun karon usko muyafi-i-shujaat ho jo kaam
larh ke mar jate hai jo hain khush anjaam
aap ka halqa bagosh aur kare maidan se farar
ho nahin sakta yeh aaqa ke ghulamo ka yeh shiyaar
Pg. 29
hai tamanna ke pisar-i-saad ka sar nazr karon
nusrate hazrat-i-shabbir mein ya larh ke maron
nazah main sar kadam-e- pak pe maula ke dharon
fidiya-i-rahe khuda hoke main marne se daron
lash ho zere alam aur rukhe sarwar pe nazar
jete ji dekh loon firdaus-i-barin ka manzar
kah ke ye doob gaya fauj ke badal mein qamar
kar diya sher ne barh-barh ke safe zero-zabar
khoon barasne laga girne lage be-deenon ke sar
ek hangama tha shajdar thee bilaan-e-lashkar
ruk saka hamla-i-ghazi na sitamgaron se
kam na they hurr ki wagha hashami jarraron se
jo bahadur hain wohi jaan pe yun khelte hain
seno se naizo ki aaneyon wohi railte hain
hans ke talwaro ki mushkil ko wohi jhelte hain
koh khayil ho toh larh kar use thelte hain
gohrha rukta nahin na talwar-i- jari rukti hai
saeqa ruk nahin sakta na pari rukti hai
larhta jata tha huya pusht se neza ek baar
murh kar bhag ko dushman pe kiya tegh ka vaar
fars se naak talak peer se nikli talwar
gir parha zeen se khud khaak pe lekin jarrar
dey sada aayeye aaqa mein fida hota hoon
dekh loon aakhri deedar juda hota hoon
daurhe shabbir ke jis tarah auqaab aata hai
mazriya-i- khushq pe rahmat ka sihaab aata hai
bhage bedeenon ke khalqi ka aeteeb aata hai
hoore kehti thee ke firdaus janab aata hai
khool ankhen hurr-e-ghazi tera maula aaya
dekh le rooh-e-mubarak tera aaqa aaya
Pg. 30
leke godh mein rone lage shah-e-kohnain
kehte they teri rifaqat ko na bholega husain
muntazir teri hain jannat mein rasul-i- saqlain
dekh betaab hain dil ko nahin abbas ko chain
roti hain zainab-e-muztar tujhe bhai kah kar
royege mere azadar fidayi kah kar
khol kar ankhen hurr ne kaha aey shahe-huda
aap ki banda nawazi pe hain sau jaan se fida
qadr-dani ki bhi hadd ho gayi aaqa
mera sar zanau-i-aqdas pe rahe bakhte risa
samne gulshan-i-firdaus ka hai alam-i-noor
hooren haatho main liye phirti hain jam-e-baloor
aluda aey pisar-i-ala haqqa khatam-i-rasul
gard alud hain mehboobe khuda ka gul
nala-i-hazrat-e-zehra ka hai firdaus mein ghul
hurr yeh kahta raha aur shamah-i-hayat ho gayi gul
putlian jam gayi maula ke rukhe anwar par
ek tabassum tha lab-e-pak-e- rukhe safdar par
aey khuda shifa jawano ko ata kar himmat
un ko dey jurrat-i-iqlaq-o-hurr ki sirat
ilm ka zauq dey aur zahan mein unke jaudat
bahre abbas alamdar ata kar quwwat
nami karta hai dua mil ke sab ameen kahen
zuj ghame shahe-shuhada na yeh ghamgeen rahen
Pg. 31
Rubiyat-i-Nami
khata hoon hurr-i-pak ki sirrat ki kasam
khudariya-i-insan ki hurmat ki kasam
pasti mein basar kar dey woh insan nahin
azadi-i-insan ki azmat ki kasam
mumkin nahin insan khuda ban jaye
ya bume kharabat huma ban jaye
allah ki rahmat se yeh ho sakta hai
majboor bashar uqda khusha ban jaye
Pg. 32
Rubiyat-i-Nami
hurrat-i-insan ke alamdar bano
har nemate mabood ke haqqdar bano
zalim ki himayat bhi qanun mein jurm
jo haqq pe ho bas uske tarafdaar bano
khud hota hai insan ka dushman insan
azadi-i-insan ka hia rahzan insan
allah ka ho kauf na jis ke dil mein
samajho ke hai shaitan woh purfan insan
Pg. 33**
Marsia Nami
Dar hale Hazrat Qasim (AS)
Fidaya Qasim Nausha hai Uroos Sukhan
Pg. 34
fidaya-i-qasim-i- nausha hain uroos-i-sukhan
muntaqib rahe shahido mein farzand-i-hasan
paikar-i-noor hain khud rakshe guldistan hai dulhan
rukh-e-bemeshal pe sahra hai ke suraj ki kiran
tegh zanu pe hai aur chashm-i-mujahid puraab
masnad-ara hai dulhan samne misle mehtaab
hujre mein shama--iirozan ki ziya bari hai
jama parwane hai aur rasm-i- wafaa jari hai
kya kahen apni dulhan se yehi dushwari hai
sar fida karne ki shabbir pe tayyari hai
raaz-e-dil aah shararbaar aayan karne lagi
khud kahe na kahe sab bayan karne lagi
kaha qubra ne aey jaan-e-wagha ibne anam
kya sabab hai ke chali aati hai aaine paham
mujh se kuch kahiye toh kya dil pe guzarte hain alam
raaz-daar hone ke qabil nahin kya aap ke hum
main shujaon ki tamanna-i-dili jaanti hoon
unke tevaron ke sab andaz main pehchanti hoon
alam-i-insano se sab hain unke andaz juda
unka naghma hain juda unka hai sab saaz juda
unka hain anjaam juda unka hai aaghaz juda
unke shahpar hain juda unki hai parwaz juda
tegh pahlu mein hain khawahish kisi khushru ki nahin
uske hote huye ulfat kisi dil ju ki nahin
Pg. 35
tegh se kijeye batein shah-i-khaibar ki tarah
kijeye azam biyan saqi-i-kausar ki tarah
mahram-i-raaz samajhye use dilbar ki tarah
surkru rakhe khuda sahib-i-haidar ki tarah
kyun mere rukh pe nazar kar ke pasheman hain aap
kyun kurhe kyun sifat-i- aaina hairan hain aap
sabr aur shukr hai har sahib-i-iffat ka jihad
har sitamkash ko mila karti hai mabood se daad
hum nahin jante andaz-i-fughan-o-faryaad
ranj-o-andoh mein bholegi na allah ki yaad
aap ke azam pe sau jaan se fida hoti hoon
fatima tahira siddiqa ki main poti hoon
meri nib jayegi ab aap na kijeye malaal
jake dikhlaye maidan mein shujaat ka kamaal
jang mein aaye jis waqt kabhi mera khayaal
mujh ko kehti huye sunega zah-jah-o-jalal
mana hota na agar hukm khuda aur hijab
larhti humraah main dale huye chehra pe niqab
saath chalte faras saath hi hamla karte
saath hi barchiyan kha-kha ke lahu mein bharte
saath torhte dam saath hi duno marte
saath hi lasho ko khemo mein shahedeen dharte
dafan kar dete mujhe aap ki talwar ke saath
qabr bhi banate mere sarkar ke saath
yun nawazish rahi bulbul bustan-i-husain
sun ke ulfat ke tarane huye qasim be-chain
kehte they marhaba dukhtar-i-shahe kohnain
jazba nusrat-i-imaan hai allah ki deen
jo ho mehboob wohi sab mein hain hadiya-i-maqbool
dega allah jaza sabr ki aey fakhr-i-batool
Pg. 36
khaliq uns-o- mohabbat hai wohi rabbe durood
jazba baham ka taqaza hai aata zadijood
hai wohi fail bashar sirf mubarak masood
panjatan jis se hon razi wa khuda ho khushnood
sibte akbar ki wasiyat pe amal karna hai
nusrat-i-shah mein kal jang-o-jadal karna hai
ab huya chahta hai nayyar-i- taaban ka zahoor
rukh-i-khursheed hai ya jhaak rahi hai koyi hoor
zamzame karte huye urhte hain sahra mein tiyoor
jis taraf dikhiye aata hai nazar alam-i-noor
dhul ke shabnam se shagufe ka chaman mein woh nikhaar
ek gul par kahin do bulbulain they aur kahin chaar
husn-i-salman-i- sahar par hain nichawar taare
noor ke chuthe hai chaar taraf fauwaare
loh azan ho gayi murqhan-i-chaman chahkaare
aaye sajjad-i- tayyat pe nabi ki pyare
ghaziyon ki aqib-i- shahedeen woh namaz
inhe bando ki sana karte hain khud bandanawaz
sar ko nihrhaye huye hujre se bahar aaye
lab pe ruksat ke sukhan aaye magar sharmaye
kehte they sabr khuda tum ko aata farmaye
kalema yasin woh joh kalab wa jigar parh paye
lakh chaha ke karen zapt magar kar na sake
gir parhe ankhon se dulha ke lahu ke qatre
khud bhi saf basta huye aake basad izzo riyaaz
aslahe bandhe huye jama they shah ke damsaaz
aage sajjade pe they sarwar-i-deen shahe hijaaz
teer barasane lage samne se fitna taraaz
ilteza karte they mabood se aey rabbe majeed
nusrat-i-hazrat-i-shabbir mein sab hoyen shaheed
Pg. 37
bhuk aur pyas mein khush hoke sinane khayen
tawajjo chahi toh zafar shamiyon par hum payen
haqq paraston ki madad shere khuda farmayen
maar kar lakh sitamgaron ko maare jayen
haath se daman-i-shabbir na chute malik
ulfat-i-sahib tatheer na chute malik
kar chuke jab ke fareza ko ada shahe inam
teek kar tegh yaali kehte huye uthe imam
jang-i-mughluba par ab amada hai lashkar-i-sham
rokna hamla-i-awwal ko hai tum logon ka kaam
main bhi aata hoon haram se abhi hokar rukhsat
tum bhi tayyar raho phir na milegi mohlat
rok lo neza se barhti huye yalgaron ko
ek salyat zara roke rahe talwaro ko
pa piyade larho pechche rakho rahdaron ko
barhne do khemo ki janib na sitamgaron ko
raaste band karo lashkar-i-aada ke liye
gohrhe bachch jayege sab jang-i-farada ke liye
aaye jab khema-i-aqdas mein janab-i-sarwar
dekha roti hai kharhi sahan mein binte haider
ashk girte hain rukhe pak par maninda-i-gauhar
karb woh hai ke phuka jata hai qalbe muztar
kehte they sabr karo sabr hai malik ko pasand
martaba uska hai dargah-i-ilahi mein buland
maslak-i-itrat-i-athaar hai tasleem-o-riza
wirsa ahmad-i-mukhtar hai tasleem-o-riza
khaslat-i-haidar-i-karar hai tasleem-o-riza
fatema zehra ka girdar hai tasleem-o-riza
samne uski mashiyat ke sar-i-ajaz hai kham
raah-e-mabood se hath sakte nahin apne kadam
Pg. 38
kar loon bait main toh mith jaye wiqar-i-islam
main rahon chain se luth jaye dayar-i-islam
khak ka dher nazar aaye hisar-i-islam
aaj kar donga main sar apna nisar-i-islam
kalema-i-pak ki hurmat hai bachchana mujh ko
samjhega mohsin-i-islam zamana mujh ko
mere maqsad ki har ek haal mein karna taeed
kufa-o-shaam mein aur basare darbar-i-yazid
zi sharaf ke liye tashheer hai eza-i-shadeed
sabr aur shukr ki karta hoon magar main taqeed
aa gaaya badadat bedeenon pe agar tum ko jalal
kahar mabood ka ruk jana hai phir amar-i- mahaal
parda poshi ke liye chardar-i-tatheer toh hai
muh chupane ke liye zulf girageer toh hai
noor-e-iman ki ruke pak pe tanveer toh hai
lab-o-lahje mein ali ki tarah taseer toh hai
tum ko alam ko sunana hai fasana mera
bhuk aur pyas mein woh barchiyan khana mera
tan pe zakhm teero-khanjar-o-shamsheer rahe
saikhrho sene mein pevasta mere teer rahe
dosh pe khoon mein tar zulfe girhageer rahe
dam-ba-dam lab pe mere nayara-i-taqbeer rahe
sar mera sajda-i-mabood mein ho tan se juda
haqq magar is ibadat ka na ho phir bhi aada
qadr allah ki karte hain jo hain qadar shenaaz
raah mein uski luta deta hain jo kuch bhi ho paas
dil mein aane nahin dete hain kabhi khauf-o-hiraas
hubbe allah pe hai deene paighambar ka ahsaas
izzat wa daulat wa aulaad hai ki dain
us ki rahmat ka atiya hai falahe darain
Pg. 39
jang-i-maghluba ki tayyari mein hai shimr-i- shareer
subah se lashkar-i-ada se chale aate hain teer
jald tayyar karo tum alam-i-khaibar-i-geer
rokne ke liye hamle ki hai karna taatbeer
chand tashna gurisna ka dikha doon dam-o-kham
unke aage ho alam mera ba-asad jah-o-hasham
yeh alam jaisa hai waisa hi alamdar bhi ho
zeenat-i-fauj ho jarrar ho karrar bhi ho
sahib-i-saulat haibat ho namudar bhi ho
tegh zan qila shakan aur wafadar bhi ho
kabhi haider toh kabhi jafar-i-tayyar bane
kabhi hamza toh kabhi ahmad-i-mukhtar bane
hans ke farmane lagi bhai se binte zehra
yeh sataeesh toh hai abbas ke khwahar ho fida
hai un ausaaf ka hamil pisar-i-shere haidar
ahal is rutbe ka koyi nahin ghazi ke sewa
dabdabah bhi hai jalalat bhi qado-o-qamat bhi
haatho mein haidar-i-karrar ki hai taqat bhi
kayi raton se na lete na yeh soye hain
bachchon ne pyas mein muhn ashkon se jab dhoye hain
koyen khode hain munajaat ki aur royen hain
unke rone ne mere hosh-o-khard khoyen hain
ashiq-i-itrat-tatheer-i-jari aur sakhi
sab alamdar waheem-o-mumtaz hai abbas-i-ali
saj ke tayyar huya jab ke nishan-i-islam
bole yeh akbar-e-zejah se maula-i-inam
jake abbas ko do zainab-i-kubhra ka yeh payyam
lijeye chal ke alam aap ba-inaam-i-imam
dakhil-i-khema-i-aqdas huye abbas-i-ali
jhuk gaya shah ke kadmo pe sayyid-i-azli
Pg. 41
shah ne farmaya ke yeh hai nusrat-i-islam ka din
hai hamare liye yeh sadma-o-alam ka din
jo bahadur hain yeh hai unke liye naam ka din
sarfaroshon ke liye hai yeh hai barhe kaam ka din
intehan aaj hai jurrat ka wafadari ka
khatima tum pe hai abbas alamdari ka
mulk giri ka alam hai na hukumat ka alam
yeh alam-i-khalq mein hai aman-i-sadaqat ka alam
kalima-i-pak ka aur haqq ki himayat ka alam
dard-i-tareek mein insan ki hidayat ka alam
jab kabhi shaukat-i-islam pe aayega zawwal
kaam aayega alamdari-i-husaini ka jalaal
khugaran-e-jawan quwwat-e-khaibar shikkani
reesam zabegule tegh dopaikar ka dhani
saari duniya ki ibadat se giran tegh zani
pau balaya-i-hawaa wahri nazuk badani
rajat-i-shams huyi shahid tasleem-o-riza
kulle imaan ki namazeen kahin hoti hai qaza
tum alam lekar barho misle ali sherana
aane paye na uddu khemo talak darrana
aaj ki jang bane hushruba afsana
bharhta jata hai meri umar ka ab paimana
mujh ko allah shahadat se sarfaraz kare
maut par meri hayat-i-abdi naaz kare
lo barha lekar alam sher-e-ilahi ka pisar
lo hata parda-i- dar aa gaya zaigham bahar
jhuk gaye mujre ko janbaz mujahid aakar
jalwa-i-raiyyat-i-islam se khiran they nazar
barak allah ka gul tha kahin subban allah
haqq baja kehta tha koyi koyi mashallah
Pg. 41
hamil-i-raiyat-i-islam ka allah rahe shikoh
chumne aaya tha parcham ko malaik ka giroh
Dostları ilə paylaş: |