Baazaar men jao to banjaare dekhna
Apni qismat per yaro tum rotey ho kya
Kabhi dast e muqaddar ke bechaarey dekhna
Mil baant kar jiyo to jiyogge khush haal
Sapne tum apne, kuchh hamaare dekhna
Mud ke dekhe maazi ke ainey men jab
Shaadmaani ke ‘sahil’ tu nazaare dekhna
166. Hawaaon ki tezi se udte hain patte
Woh hawa kidhar hai jo mujh ko hila de
Khaak ka main zarra, yeh meri zamin hai
Woh aandhi kidhar hai jo mujh ko uda de
Rab jaisa maa ko yun hi nahin kehte
Aur kaun hai jo mujhko ga kar sula de
Chaand se mila de, pariyaan deekha de
Udaas mere man ko hansana seekha de
Kho jaata hun yaadon men main kabhi ‘sahil’
Raah apni phir mujhko koi to deekha de
167. Har marhala e zeest se guzarte hi
Raah badli, manzil nahin,
Waqt badla, qismat badli
Lekin yeh ‘sahil’ badla nahin
168. Badalta waqt hai ‘sahil’
Apne mizaan men mat tol,
Paimane farq hain
Ba ghaur dekh, kh-mosh, mat bol
169. Ya rab aadmi zaat bhi kya banai hai
Subh o raat kya banai hai,
Zeest de kar insan ko us ne ‘Sahil’,
Yeh saughat bhi kya banai hai
170. Sarhodon ki hifazat ki baat karte ho
Sarhadon ko mitaane ki baat karo,
Dil jalaane ki baat karte ho ‘sahil”
Dil milane ki baat karo
171. Jiski har saans ki karte they hum pairavi
Wohi na rahe to kya karenge
Khmoshi ka libas od kar ‘sahil’
Baat na baney to kya karenge
172. Haqeeqat men lipta hai ‘sahil’ tu aisey
Ik muddat hui khwaab men khoye huay
Raaton ko ginta hai taare tu kyon
Ik muddat hui tujhe soye huay
Shajar tere hain, za’eef teri tarah
Ik muddat hui tujhe kuchh boye huay
Rehta hai tu ab dil se door itna
Ik muddat hui tujhe roye huay
Falsafa e raasti bahot ho chuki ‘sahil’
Ik muddat hui zameer khoye huay
173. ‘Sahil’, aaj khun e jigar safed kyon
Surkh nahin hai rang kyon,
Kharid o farokht ke bazaar men
Kya bikey zameer, dil sang kyon
174. Na hui dua qabul, to kya karoge
Danista hui bhul, phir kya karoge
Daurne se manzil nahin milti ‘sahil’
Raah men udi dhul , to kaho kya karoge
175. Rah e khuda per chal kar rab na mila
Har su jahan men hai shaitan dekh
Bebas kh-mosh takta hai ghamgin
'Sahil’ tu aasmaan dekh
176. Jab ashkon se ki dastaan bayan
Kya likhun qalam se kya karun ayaan
Ansuon ka soz dekh kar ‘sahil’
Hairan takta hai aaj bebas asman
177. Raahat chahiye gham se ‘sahil’
To tanha khud ko samjha,
Raunaq e mehfil se phir
Kar le khud ko juda
178. Khuda hai tera humsafar
Kis noor ki tujhe talaash ,
Basta hai woh dil men ‘Sahil’,
Kis toor ki tujhe talaash
179. Mahv e gham e dosh se haasil kya hoga
Lekin, us maazi baghair ‘sahil’ kya hoga
Mahv e gham e dosh
Ruing the past
180. Main ne dekhe hain lamhe jab kh-moshi kalaam karti hai
Main ne woh bhi dekhe hain lamhe qismat jab salaam karti hai
Shaikh, tera raub o taab baja hai apni jagah maana, lekin
Faraamosh na hona ke wohi qismat khas se aam bhi karti hai
Muqqayiad kya karega insaan kisi insaan ko kabhi,
Jab shahenshason ko taqdeer aksar ghulaam bhi karti hai
Falak se yaro kitna kuchh maangoge, duaen karoge kitni
Yaad rakhna hamesha, taqdeer kabhi aaraam bhi karti hai
Maut ko yun mat kos, ai na samajh, kam aql, ‘sahil’
Mat bhool naadaan, wohi qaza tujhe dawaam bhi karti hai
181. Sahib e ilm ho to yeh samjhao ‘Sahil’
Tamanna jannat ki hai to mahabat zindagi se kaisi
182. Sumundur men lehron se dosh
Maikade men reh madhosh
Jis ja hai tu wohin ka ban
Dervesh to ‘sahil’ hai be hosh
183. Bana lo dar o dewaar ka aashian
Chhat ho us men murawwat ki
Wohi ho tumhari zamin o aasman
Farsh us men ho mahabat ki
184. Miley sabaq hazaar tab yeh jaana hum ne ‘sahil’
Deewaanon ki is duniya men deewaani hai mehfil
Khwab falak ke dekhta hai, parinda yeh be baal o par
Kuchh aisa kar, ya rab tu, tera insan jaaye hil
Samjha zara, ai vaaiz mujhe, paheli yeh bujha
Lahu ravaan hai ragon men jab, pathhar kyon hai dil
Ruk ai munsif, sabr kar, abhi faisla na suna
Shahadat le aankhon ki bhi, kahin woh na hon qaatil
Kar gumaan ‘sahil’ ka door, gil saaz hai tu maula
Samajhta hai wo khud ko shaair, jab hai wo aab o gil
185. Khushi kya aur gham kya
Maut kya aur dum kya
‘Sahil’, riza sab maula ki hai
Dua kya aur marham kya
186. Soz kitna hoga dil men us ke
Maanta hai jo khud ko aziat ka pasbaan
Us ke baatin men sulagti aag hogi ‘sahil’
Har aah us ki hai jis ka dhuaan
187. Is nazariye se dekho zeest ko yaro
Ke saans lena baney ik masghala sa
Sanjeedagi nahin hai naam iska ‘sahil’
Hayaat to hai bas ek tamasha sa
188. Be hiss o sard zamana, zamistaan ki baat karo
Gulsitan nahin yaro, biyabaan ki baat kato,
Khzaan hai ‘sahil’ aaj paasbaan chaman ki
Har su hai ghaarat, insan ke imtehan ki baat karo
189. Shama e umeed jalaye rakhun kab talak
Arzu e vasl banay rakhun kab talak
Andheri hai shab ‘sahil’ bahot
Aas subh ki lagay rakhun kb talak
190. Khat o khaal e jannat to batao
Kauser ke siva kya hai batao
Dur kitna hai dozakh ‘sahil’
Kya raah uski juda hai, batao
191. Kabhi raushan manind e aftab
Kabhi be hiss o na umeed
Nasheb o faraz e zeest yehi hai
Kabhi hijr ‘sahil’, kabhi Eid
192. Zahn se guman kabhi nahin jaata
Aur, dil se iman nahin jaata,
Basa ke rakh baatin men rab ko
‘Sahil’, dil se asitaan nahin jaata
193. Saniha maan le zeest ko agar
Lamhe aziat ke tal jayenge,
Subh shaam ke nazare qismat ke sitaare
Shayad ‘sahil’ badal jayenge
194. Nisf sadi ki nahin is zamaane ki baat karo
Aaj shikastah hai dil, behlaane ki baat karo
Aag to aag hi hoti thi, chuhle men yaro
Aaj ki mazhabi naar ko bujhane ki baat karo
Kya hua hai rafaqat o hamdardi ko
Is bahami nafrat ko mitaane ki baat karo
Be hiss bana hai insan, be lahu pathhar ka dil
Is sang dil but ko ab, hilaane ki baat karo
Neend se mahroom insan, eejaadon ka ghulaam
Isey, ai firasatmando, sulaane ki baat karo
Shayad maula bhi rootha hai insan se ‘sahil’
Puja karo, sajde karo, usey manaane ki baat karo
195. Naam gar insan ka khaak hota
To shayad wo zyada paak hota,
Khaak hi per bante hain asitaan ‘sahil’
Manind e pir hota,, rashk e aflaak hota
196. Zindagi khud maut ki shikaar hai
ilzaam hayat per mat lagao
Na pahunche dua rab tak ‘sahil’
To zimedar bandagi ko mat thahrao
197. Sarguzasht e saba kya batayegi
Jis rukh chalegi us rah lejayegi
Hawa pe kya bharosa ‘sahil’
Ooncha uda kar, gard men milayegi
Khazaan ka zor hai aaj gulshan men
Kaho, andaleeb kya naghma sunayegi,
Chund phool jo bachey hain bahaar ke
Zaar zaar woh yaqeenan rulayegi,
Kabhi rafaqat se jeete they phool o parinde
Naam o nishaan bahaar ke wo mitayegi
Tu hi samjha maula mere, ghaafil hai aaj insan
Kya sada e inqilaab hi ab aman ka ehsaas dilayegi
Kuchh badla badla sa hai maahaul is baagh ka
Teri aawaaz bhi ‘sahil’, kya khun se rang jayegi
198. Dard e gham to dosto hamesha rulata hai
Ehsaas e gham, khwaab e azaab dikhlata hai
Raushan dil jagmata hai, rah dikhlata hai
Hirs o hawas to dil ko subh o shaam jalata hai
Baatin men nahin, zahn men basta hai iblees
Zameer bachata hai, aur dil sukun dilata hai
Faasiley to yaro becharah dil hi mitaata hai
Roothon ko mana kar, unhen wapas bulata hai
Sail e ashk men dooba dil, to askbaar hota hai
Daasatan apni, doobte doobte , khud ko sunata hai
Ajab ha bahot, ghamkhwar na ho gar ‘sahil’ koi
To gham bhi aakhir, gham hi ko bulata hai
199. Gali gali, basti basti, hairan hai jahan ‘sahil’
Har mehfil men bani hai, ghaarat sabk manzil
Gorakhpur dhande men khoya, aaj ka yeh insan
Raaegaan iski tadbeeren, khaak isey haasil
Banaate they pathar se log, ulfat ki imaraten
Bante nahin ab taj mahal, bante hain sang dil
Tawaqqo is se kya hai teri, sarvat ka yeh ghulaam
Khaak ki Yaro hoti hai, bas khaak hi to mehmil
Ghamzada ho dil ‘sahil’, to ashk fishaani laazim hai
Laazim hai hamdardi bhi, gham me ho shamil
200. Urooj hoga aaftaab har shaam ki hogi sehar,
Hoga kaun nazar men uski ‘Sahil’ kisey khabar
201. Daaghon ki tu baat na kar, tauheen hogi daaman ki
Qusur hai jab dil ka ‘sahil’, deewaanagi ki baat kar,
Daanistah nahin hota ishq, fitrat uski aisi hai
Manind e darya hai mahabat, ravaanagi ki baat kar
202. Ranj o gham ki baat mat kar, num chashm ko chhord alag
Dard e ishq, dard e dil, dard e jaan ki baat kar
Lekin, baari ab sajdon ki hai, muntazir hai zameen
Raunaq jahan ki dekh chuka, ab aasmaan ki baat kar
Gufatgu taaron se kar, bana unhen tu humsafar
Dur nahin hai arsh e bareen, tu us jahan ki baat kar,
Haseen hain ‘sahil’ do jahan, haqeeqat bhi yehi hai
Likh kitaab ik nayi ab, baab o unwaan ki baat kar
Yaad kar tifli ko tu, maasoomiyat ke dhang woh
Farishte baste hain us dil men, farishton ki tu baat kar
Shaitaani jab un hi ki thi, iblees ka naam o nishan na tha
Mahabat men lipte they rishtey, un rishton ki tu baat kar
Zamaan ab kuchh aur hai, daur bhi peeri ka hai
Boodhe lagte hain shajar, guzarte lamhon ki baat kar
Daryaaft kar saqi se ‘sahil’, firdaus ke khat o khaal hain kya
Ab hooron ki tu baat kar, paak maikadon ki baat kar
203. Bas ek naam hi reh jayega kitabon ke afsaanon men
Zikr hoga bhi to ‘sahil’ chund kuhan dastaanon men
Paimaanon ki baat aayegi to muskurayega saqi
Tujhe jaanti hai duniya, duniya ke maikhanon men
Kabhi sargoshiyon men pinhan they daaman ke daagh sab
Hunar hai kuch aisa ab, daagh nahin hote daamaanon men
Faza e kh-mosh dhundte hain log mehfilon men aaj
Milti nahin hai taskeen kabhi Qaroon ke khazaanon men
Faramosh insan bhula hai tu, rang o mehak phoolon ki
Afsos, khazaan ka raaj hai aaj ke gulsitaanon men
Wohi shams o qamar, wohi aab o hawa, lekin
Kuch hotey hain maqasid alag aaj ke nazraanon men
Na samajh o ghaafil hai aaj ka insan itna
Ke sukoon ko bhi band rakhta hai tah khaanon men
Firasatmand samajhti hai yah mehfil tujhe ‘sahil’
Lekin, dil tera to hai jahan ke awwal deewaanon men
204. Aaj puchha main ne zindagi se fana hogi to kya karegii
Kya tu bhi meri tarah yaara, khaak hi men mil jaegi,
Hans ke boli, humsafar hain, khaak hi behtar hogi
‘Sahil’, insan hum ne dekh liye, khaak to na satayegi
205. ‘Sahil’, parwaaz na kiya to kya kiya
Zamin men zahn to jayega hi
Be bal o par udega kaise
Yaro, aasman bulayega hi
206. Chenaab
Rang hazaar they Chenaab ke, har lamhe men ik rang naya
Har mauj us ki thi mukhtalif, ravaani men ik dhang naya
Chaal thi us ki bahot alag, har mod per ik nayi ada
Patharon ko kar ke tar, raah men us ke har sang naya
Rang hazaar they Chenaab ke, har lamhe men ik rang naya
207. Darya nahin ik behr tha, nazron men meri wo aashiyan
Kinaare pe uske khele hum, wohi zamin wohi aasmaan
Zamaana hua usey dekhe huay, tadap hai dil men ‘sahil’ ke
Kuchh tha nahin ilaawa uske, woh tha kabhi mera jahan
Darya nahin ik behr tha, nazron men meri wo aashiyaan
208. Ret ka zarra hai tu ‘sahil’
Ho le tu maujon ke saath,
Madd o jazr ka khel hai zeest javidaani unke haath
209. Umeed baitha kar rakhega
To tawaqqo badhti jaayegi
Rishtey nahin, umeed hai naazuk
‘Sahil’, wohi phir sataayegi
210. Dast e qismat thaam le ‘sahil’
Woh sumundur paar karayegi
Na aata ho tairana tujhe
Wo tairana bhi sikhayegi
211. Guzaar de din baaqi ke
Tu rab ki yaad men,
Sajdon aur duaon men
Qu’wat bahot hai faryaad men
212. Har subh o shaam ka shukrguzaar reh
Har parinde ka tu yaar reh
Guzarta ja raha hai waqt
‘Sahil’, Tu udne ko tayaar reh
213. Dhund le ‘sahil’ ashian koi aur
Zamin o asman koi aur,
Samajhta tha tu watan ke logon ko kabhi
Chal seekh le ab zabaan koi aur
214. Zamin se sitaron tak
Khazan se baharon tak
Umeed ki shoa jaagti hai
‘Sahil’, tukhm se khaaron tak
215. Aaj puchha main ne zindagi se fana hogi to kya karegii
Kya tu bhi meri tarah yaara, khaak hi men mil jaegi,
Hans ke boli, humsafar hain, khaak hi behtar hogi
‘Sahil’, insan hum ne dekh liye, khaak to na satayegi
216. Parvaaz na kiya to kya kiya
Zamin men zahn to jayega hi
Be bal o par udega kya
Yaro, aasman to bulayega hi
217. Sahil hi likhega sumundur ka katbaah
Likhega kaun katbaah sahil ka,
Tu hi bata ai “sahil” mian
Anjaam kya hoga is bhari mehfil ka
218. Mainun Raavi they thapede manzur san, manzur nen
Lokaan de thapede nayi,
Rabba, jaahil lok hi changey nen
Tu siyasat nun kar fana
219. Raasta deekha de saqi mere ashiyaane ka
Varna, maqsad bata de tu is maikhane ka
Gar surur na aaye na miley mujhe taskeen
Be khudi se na liptun, to kya fayeda yaan aane ka
Zara soch, ai vaaiz, apne khutbe se qabal
Bahri ho haazireen to kya fayeda samjhaane ka
Itni hai besabri aaj zamaane men, yaro
Band kitaab kya batayegi anjam afsaane ka
Gar nazariye hi na milte hon, to ‘sahil’ bata
Kya haasil, bahami rishton ko badhaane ka
Tu hi jaane maula kya karega tu insan ka
Is na samajh, ghaafil aur kafir deewane ka
219. Jinhen naaz hai itna husn pe apne, naaz unka ‘sahil’ hum kyon uthayen
Jo khwabon men hain chain se khuftah, neendon se unhen hum kyon jagayen
220. Chalte chalte kat jayegi, subh tak ‘sahil’ shab
Baang e dara se kya lena, jab humsafar hai rab
Uth musafir, hai dur kahin, muntazir manzil teri
Haasil kya hoga khwaabon men, kuchh to bata ab
Woh waqt bhi kuchh aur tha, wo paas o ehtiraam aur
Peshraft ke yeh ab hungaame, dafn they saare tab
Kabhi andaleeb se aashnayi thi, phool they har samt
Aaj ghoomte hain sahra men sab, liye jaan ba lab
Wo bande mukhtalif they kya, ‘sahil’ tu hi bata
Lagta hai, yaro mujhe, wo rab ke they muntakhab
221. Tanhai men khaalipan kyon
Tum to ‘sahil’ khud men kaamil ho,
Baatin se raabita banao
Bairoon nahin, daroon men shaami ho
222. Maazi men kyon khoya hai Uska to naam o nishan nahin,
Safar sumundur paar ka hai ,‘Sahil’ kyon koi sar o saamaan nahin
223. Jannat hai yeh ya rab ki zamin
Jidhar dekho khuda hai wahin
Haal ajab hai jahan ka ‘sahil’
Kya dekhne ko baqi hai arsh e bareen
224. Kalisey o mandir men rab nahin hai
Patharon me jaan kya daalogey,
Sangdilon ko samjhao logo
Varna, dunya ko kya sambhalogey
225. Dar bhi deewaar bhi, aashiyaan nahin
Rizq o dastarkhwan bhi, mehman nahin
Gul bhi bahaar bhi, gulsitaan nahin
Chaah o intezaar bhi, dil jawan nahin
Nur bhi naar bhi, aatishdaan nahin
Be ikhtiyaar, ikhtiyaar bhi, aasmaan nahin
Mausam khazan o bahaar bhi, yaksan nahin
Zeest, aar o paarr bhi, jaavidan nahin
‘Sahil’, hum sab rab ke gulzaar ke hain
Afsos, gulaab hai, saman hai, insaan nahin
226. Darya-e-be-sahil dikha
‘Sahil’ tu bhi kar dikha mojiza
Ibn-e-mariam chala tha sumundur per
Hawa nahin tu zamin per chal kar dikha
227. Gul, khilte hain gulshan men to biyabaan men bhi
Sukun, dair o haram men to aashiyan men bhi
Ijaaradaari nahn hai ‘sahil’ kisi shai per kisi ki
Gar basta hai rab aasmaan men, to insan men bhi
228. Uske sahv e qalam ki khata hai kya
Ke insan chain o aman se dur hai itna,
Yeh ghaflat nahin kuchh aur hai ‘sahil’
Ke fana ki girift men insan majbur hai itna
229. Kyon dheemi si hai kiran aftaab ki aaj
Kya andheri si hogi woh mahtaab ki aaj
Rind aaj bhi hain tab bhi they, lekin
Mai parasti nahin hai mai e naab ki aaj
Kaun puchhta hai aaj saadagi ko batao
Baaten hoti hain yaro aab o taab ki aaj
Naye taur tareeqon ka daur hai yeh
Phool naqli, mehak nahin gulaab ki aaj
Taareef kya karen shaan e mehraab ki
Vaaiz, kisey fikr hai tere khitaab ki aaj
Kabhi maangte they dua, jawaab nahin
Kyon hoti hai ‘sahil’ baat sawaab ki aaj
230. Rehta hai bahot dur tak humsafar dard e isyaan
Taveel hoti hai jaise ‘sahil’ ik shaam e gharibaan
Thahar jaata hai waqt bhi ban kar zaalim kabhi
Hasti e saraab o mauhum phir karti hai pareshaan
231. Baang e jaras khuftagi ka darmaan nahin hai
Alamat hai, naqsh e qzdam ka nishaan nahin hai
Zameer bhi ‘sahil’ ik madadgaar hai teri
Tere kaarnaamon ka zaamin o paasban nahin hai
232. Sang e meel kya batayega doori manzil ki
Chashm e num hi bataati hai haalat dil ki
Sukun ka farishtah lagta hai sab hi ko, per
Toofaan ke muqabil kaun jaane haalat sahil ki
233. Guzarti raat ke lamhon men hai nihaan afsana e sahar
Kab talak rakhun main ‘sahil’ yaad maazi ki magar
Bin maazi ke haal kya hota asr e haal, yaro
‘Sahil’ na hota to kaun jaane kya hota deegar
234. Haqeeqat ka tasleem aasaan nahin hai
Ke khwabon men dooba hai insan, be hosh
Saraab o mauhum ka yeh adhura ghulam
Zeest ke anjaam se ghafil rehta hai, afsos
235. Ab kya padhega ‘sahil’ tu asr e peeri men ghazal
Jab aawaragi e dil se teri aashnayi na rahi
236. Ainey ne mujhse kaha aaj dil ko rakh tu saaf ‘sahil’,
Chamak rahegi aankhon men kabhi andheri na hogi raat
237. Partau e maah sumundur men to jhilmilaata hai,
Lekin, unke chehre per ‘Sahil’ chaand
238. Aaj khabt e mazhab bhi khel siyaasi hai
Har jaan kisi aur jaan ki pyaasi hai
Aaj gulon men nikahat nahin hai ‘sahil’
Aur, chaand ke chehre pe bhi udaasi hai
239. Samjhega na jahan mujhe na meri sukhanwari
Aayega ban kar farishtah ‘sahil’, ya shayad phir pari
Saadagi hi behtar hai is jahan men, yaro
Bojh bahot hai kaandhon per, kya karni payaambari
240. Jo apni rooh ki raushani se ho na aashna
Wo zulmat men beh kar ho jaayega fana
241. Poshida rakh kar gham ko hum ansoo to pi gaye,
Lamhe din ke ginte ginte,’sahil’ zeest bhi ji gaye
242. Qareeb apne hum zamin o aasmaan rakhte hain
Veeranon men rang e khubaan e jahan rakhte hain
Har samt hai shor o ghul, naqaare hain khazaan ke
Hum to baatin men yaro ek gulsitaan rakhte hain
Fana hai dastoor jahan ka jaante hain, lekin
Hum to sham’a e umeed ko jaavidaan rakhte hain
Dafn hai jawaani maazi ki galiyon me ab kahin
Lekin, hum aaj bhi dekhiye dil e sozaan rakhte hain
Bujh chuki hai aag to kya hua, ai ‘sahil’ bata
Dhuaan hai, aur hum soz e fughaan rakhte hain
Kh-mosh rehna yaro to tab’ maiyyat ki hai
Hum to qalam, dawaat aur zabaan rakhte hain
243. Insan hain khuda nahin, khaamiyaan hain bahot
Is baat ka hum, ai ‘sahil” sada dhyan rakhte hain
244. Jalti sham’a ka dhuaan ya bujhti ka dukhaan,
Donon men hai ‘sahil’ ik halka sa fughaan
Milte hain jahan zameen o aasman,
Mit jaate hain saare wahaan doori ke nishaan
Phool khilte hain yaro chaman ho ya veeraan,
Be saharon ka hota hai maula baghbaan
Ghar tere ko kehte hain ‘sahil’ aashiyaan,
Phir,kyon kehte hain pinjrey ko log zindaan
Kahani ho meri ya teri daastan,
Anjaam se nahin hota hai koi bhi anjaan
Miley gar udaasi tujhe rah men kabhi ‘sahil’,
Dikha dena usey tu rang e khubaan e jahan
245. Yaro, aisa to nahin ke ab umr e rawaan nahin
Aisa bhi nahin ke safar e sar o saamaan nahin
Dil ki wus’at se badh kar behr koi be paayan nahin
Kaafir ke yaqin se badh kar yaro, koi gumaan nahin
Maana ke har mausam ka naam khazaan nahin, lekin
Har mausam e bahaar men bhi to arghavaan nahin
Yun takta hai kyon sitaron ko, ai zeest ke musafir
Manzil teri hai khaak e zamin, koi aasmaan nahin
Bitaye jo zindagi apni khuftagi men, usey
Bedaari hi jagaaye, bang e jaras e karwaan nahin
Bana haqeeqat ko humsafar har gaam e hayat, ‘sahil’
Jalwa e taskin bhi wohi hai, tilism e jahan nahin
Dars lo chaand se yaro, daagh uske pinhaan nahin
Dil ke daagh to saare aakhir kabhi ayaan nahin
246. Kuchh keh rahi hai teri didah e giryaan
Kya kotaahi hui hai, kyon kamzor hai imaan
Haail ka hona laazim hai, yaro raah e manzil men,
Humwaar nahin hota kabhi, ‘sahil’ gardish e zamaan
Navishtah e qismat, pathhar ki hai lakeer
Kyon rehta hai dil men phir zaalim gumaan
Aashiqui ka baab pecheeda hai bahot
Raakh ban kar bhi ulfat men nihaan hai dhuaan
Handardi ka daur nahin hai yeh, logo
Dard e dil, soz e jigar, ko rahho pinhaan
Raah e manzil men haail ka laazim hai hona
Hamwaar nahin hota kabhi gardish e zamaan
‘Sahil’, tu akela nahin hai umeed liye huay
Muntazir hai bahaar ke beetey khazaan.
247. Khiley ban kar wo phool, ghunche ki aarzoo hai
Kho jaaye phir se tifli men, peeri ki aarzoo hai
Dhalte suraj se pursish to woh na kar sakega, ‘sahil’
Per, urooj ho aftab ke saath har insan ki aarzoo hai
248. Khaaron ka nahin yeh sitaaron ka chaman hai
Raat ko aa kar dekho, jugnuon ka watan hai
Kunj e uzlat men soya hai baaghbaan, lekin
Har taraf phaili ek mushk e khatan hai
Shab ke andheron men khuftaah hain gul
Ek doosre ke paasban, yeh sab ka gulshan hai
Yahan, gulaab o saman men hai chain o aman
Insanon men tafreeq, nadarad aman hai
Gulshan ke maanind hai jahan bhi to ‘sahil’
Phir kyonkar yeh fitna, yeh kaisa zaman hai
249. Kis kaam yeh aankhen gar deedaar na ho
Kis kaam woh qadam jo paayedaar na ho
Guftagu woh kaisi jo ru ba ru na ho
Haazir jawaabi kaisi gar do chaar na ho
Falak ko banaayen aashiyaan to kaise
Woh ghar nahin jidhar dar o deewaar na ho
Saza bhi sawaab hai ghaflat ki, yaro
Usey aur kya milega jo zinhaar na ho
Jaise ek haath se nahin bajti hai taali kabhi
Aayena soorat kya dikhayega, gar zangaar na ho
Inkisaari se faramosh na hona dosto,
Be sahara hai wo bahot, jiska madadgaar na ho
Yaad aati hain bahaaren khazan men ‘sahil’
Bana lena bahaar khazan ko, jab bahaar na ho
250. Kya milega bata tujhe fuzul guftagu se
Muqabil us taskin ke jo milti hai lab e ju se
Hungama bahot hai jahan ke parde per
Bahal jaata hai dil gulon ki khushbu se
Qasd bhi zururi hai tamaana ke saath
Kya mila hai kisi ko mahz aarzoo se
Sukoon milta hai rooh ko to mehnat hi se
Aarizi shaan o shaukat jahan ki aabru se
Likh jo likhna hai be dhadak, be khauf
Aseer hai gar ‘sahil’ to likh phir lahu se
251. Gosha e uzlat peeri men jawaan hai aaj kal
Sharm o haya ko dekhiye uryaan hai aaj kal
Zar ke dair o haram hain, junun taraqqi ka
Sood o ziyaan ka putla, insan hai aaj kal
Ibadat hai sarwat ki, shaan o shaukat ki
Khuda ka banda hi, be imaan hai aaj kal
Shauq tha jeene ka, masto thi zeest ki
Shab o roz ka beetana, imtehaan hai aaj kal
Ujdi zamin, ujde khayaal, ujda jahan hai aaj
Veeranagi hi ‘sahil’, nakhlistaan hai aaj
Dostları ilə paylaş: |