-
Muqaddarwaalon ko hi aati hai chain ki neend
Ameeron ki qismat men yeh nemat hai kahan
'Sahil', sab kuchh to milta hai, bas ghar khuda ke
Samjhauta, naam e qismat hai yahaan..
-
Taajir to hun, per dil taajir ka nahin hai
Insaniyat se badh kar 'sahil', koi daulat nahin hai
Tu ne dikhaaya hai jahan ko hamdardi ka chehra
Is se badh kar to koi, ibadat bhi nahin hai
-
Ai zindagi, tu mere he jism men to rehti hai
Tera apna koi thikana to hai nahin
Vaise bhi, ai 'sahil', dekha jaaye to
Aaj aitbaar ka zamana to hai nahin
-
Muqaddarwaalon ko hi aati hai chain ki neend
Ameeron ki qismat men yeh nemat kahan
'Sahil', sab kuchh to milta hai, bas ghar khuda ke
Samjhauta hai naam e qismat yahaan.
-
Mustabil ki kisey kya khabar
'Sahil', kal per phir aitbaar kya,
Gar cheen li yaad e maazi tu ne
Ya rab, phir deewaana kaun, hoshiyaar kya
-
'Sahil', log kaafir kahen ya maanen aabid
Mazhab ka is se hai vaastah kya
Ya rab, tu mera aaqa, main ghulaam
Nahin hai gehra, hamara rishta kya
-
Neend bachon ki 'sahil', dekh
Udte khwaab aur pariyaan dekh,
Phir, chashm dekh kabhi apne tu
Palken juda, shab ko uryaan dekh
-
Gar seekh len sabaq tere imtehanon se,
Maula To azaab insaan ke, kuchh kum ho jayenge,
Sukoon milega 'sahil' shab ki baahon men
Aur chain ki neend woh so paayenge
-
Falsafi zahn ko tark kar
Sun le 'sahil' dil apne ki,
Auron ki bhi sun le kabhi
Daastaan hai zeest bas sapne ki
-
Dafn ho chuka hai zinda, wo teri mehr ke taley
Kis munh se aaye 'sahil' ab, teri baargaah men Maula
-
Azaab aayen jo bhi aayen,
Majboori naam na dena hayaat ko,
Ghoor ghoor kar nahin takte hain
'Sahil', rab ki di hui saughaat ko
-
Fareb gar khaaya zabaan e raqeeb se
Phir gilah kya karen hum naseeb se,
Kaasa ba dast hai har insaah yahan, 'sahil'
Seekh le tu bhi kuch, kisi ghareeb se
-
Aafat ki shokhiyaan hain tumhaari nigaah men”
Per kum nahin hai soz jaanaan, ‘sahil’ ki aah men
Jo saadagi men kashish hai, har soorat hai wo azeem
Us shaan se jo zaahir hai, aurang e shahenshah men
Karte raho kaar apna, maayus mat hona kabhi
Guzar jaayegi hayaat varna, aarzoo e silaah men
Zameer ka bedaar rehna laazim hai bahot, varna
Pareshaan karegi zeest ‘yaro, lazzat e gunaah men
Chalte rahey manzil ki jaanib qadam ba qadam, phir
Humsafar banaate rahey, manzil ki hum raah men
Shauq bhi kya shai hai ‘sahil’, mat puchh yeh sawaal
Safiney doobtey dekhen hain talatum ki humne chaah men
-
Ik Jhonka Hawa Ka Bahot hai
Ik jhonka hawa ka bahot hai
Har shai yahan hai bulbula
Ik umr qaid hai lamhe men
Har saans hai misl e zalzala
Aabaad koi barbaad koi
Guzarta saans hi batayega
Kisey milega sukoon, ‘sahil’
Kaun chain ki neend so payega
Khwab kaho ya paheli isey
Karega kaun taabeer iski
Halki phulki hai zindagi
Kaun jaanta hai, taqdeer iski
Har lamha khul kar ji lo yaro
Ro kar ya muskura kar jiyo
Hayat to yeh sirf tumhari hai
Chaak karo ya daaman siyo
Lutf lo tum tanhayi ka
‘Sahil’, aala yaar to tum hi ho
Gul bhi ho, gulshan bhi tum
Paasbaan aur khaar bhi, tum hi ho
-
Sahil’, nematen mileen mujhe so itni
Ke madad karne ki talaash men rehta hun
Darmaan to nahin ban sakta, wo kaam to dua ka hai
Apni koshishon se dukh ko kum karne ki talaash men rehta hun
-
Dil e muztar ko ‘sahil’ taskeen dila de
Aqdas khaak ko apni jabeen se mila de,
Kab talak rahega tu , ban kar sayyarra
Paon apne, ab dost, zameen se mila de
-
Udaas ji ya khushi se
Lamhaat baaqi ke jeene hain
Aansu bhi to, ai ‘sahil’
Kuchh behne, kuchh peene hain
-
Kis chaman ka gul hai yeh hum jaante hain
Har khushbu yahan ki ‘sahil’ hum pehchaante hain
Tumhen ghair lagey dost, to ghair nahin hai
Har shai jahan men yakta hai, hum maante hain
Pir o murshid ka rishtah bahot paak tha kabhi
Aaj murshid to kuhan daastaan hai, hum jaante hai
Baat nazariye ki nahin, bunyaadi hai ‘sahil’
Badla hai zamaana bahot hum jaante hain
Baad e nau bahaar chaley ya na chaley
Tabaahi ke tufaan to chalenge, hum jaante ha
-
Misl e gulshan hai hayaat, ‘sahil’
Aur tu hai iska baaghbaan,
Gul bhi tere, khaar bhi tere
Aur waqt musalsal ravaan.
-
Jis bhi jaanib dekhun main
Maula, har su hai tu hi tu
Zameen ko dekhun, falak ko dekhun
Bas, sada hai Allah hu.
-
Jazbaat sumundur ke to dekho
Maujen, toofaan aur sukoot,
Kya insan bhi ik behr hai 'Sahil'
Kya munsif kya suboot
-
Aansoo bahane se darya ravaan nahi hota
Samjahaane bujhaane se dil jawaan nahin hota
Jaise har daagh kabhi bura nishaan nahin hota
Vaise hi har daaman chaak daamaan nahin hota
Noor e khuda to hai sabke baatin men, ‘sahil’
Kaf e dast men qandeel se raasta numaan nahin hota
Chaahe kitni kyon na ho teri umr daraaz, insan
Tu phir bhi faani hai, jaavidaan nahin hota
Man men sawaalon ka uthna , fitrat insan ki hai
Momin ke man men sawaal, gumaan nahin hota
Farq itna hi hai logo aabid aur kaafir men
Zallzalon ke aage momin pareshan nahin hota
Kuchh sharma ke chhupte hain, kuchh yun hi fana
Har ek sitara falak men zau fishaan nahin hota
Dekhen hain bashar ‘sahil’, duniya men bahot
Har dil is jahaan men lekin, nadaan nahin hota
Ranj o gham men kisi ke, shirkat to laazim hai
Jo humdardi na jataaye woh insaan nahin hota
-
Har aabid jannat ka mustahiq nahin hota hai
‘Sahil’, hirs o hawas ka yeh daawa hai,
Naam rab ka ho lab per har lamha, bas
Har marz ka yehi madaawa hai
-
Aaj hungama e duniya logon ki samajh se baahar hai
Ya khuda tu hi sambhaal, tu hi kuchh kar,
Wasee’a hai jahan, naadaan hai insaan
Bas, tujh hi se lagta hai tere bashar ko dar
-
Na samajh paayi shoa teri wus’at e maayusi ‘sahil’,
Khursheed se ja kehne lagi, andhera zyada hai, kahin aur chal
-
Maana ke ‘sahil’ ek gul se gulshan nahin banta hai
Lekin, us gul ke bina bhi, to gulshan nahin banta hai
Pehlu nasheen hon har dum, gar ranj o gham o alam
Phir, jeena bhi to kabhi, bahaar o gulshan nahin banta hai
Parwaaz karey gar andaleeb chaman se, ai baaghbaan
Wohi saman o gulaab se, wohi gulshan nahin banta hai
Baad e nau bahaar se na hi mausam e khushgawaar se
Napaayedaar dil lagi se kabhi, gulshan nahin banta hai
Phool ek ho, ho woh apna, to umr daraaz ho gulshan ki
Ghair hon gar phool hazaar, to gulshan nahin banta hai
-
Hum bhi rakhte hain nazar qayamat ki janaab
Khokhli duniya ki humdardi ka pura hai hisaab
Jitne behr kiye uboor humne sab ki hai roodaad
Kis men kitna josh tha aur kis men kitna aab
Kotahi na ki qasd men, mustehkam tha yaqin
Fikr na ki humne yaro, miley na miley sawaab
Dua lab per har dum thi, nazren falak ke paar
Kathin na tha chalna phir, bin suney jawaab
Pursish kyon hum se ‘sahil’ tufaan o talatum ki
Jab nakhuda rab tha apna, phir kya khauf e girdaab
Jis safiney men le jaayega, mallah bhi hoga tu
Maula, yakta hoga woh safar, hoga woh nayaab
-
Aaj insaan ke seene men ek vehshat e dauraan hai
Har jism yahan nang, aur chaak har daamaan hai
Hirs o havas ke qabze men hai dil sab ka yahan
Qaatil baneen hain nazren sabki, talkh sabki zabaan hai
Khanjar liye phirte hain aaj seedhe saade log
Maaniye, zindagi hi sabki chund roza mehmaan hai
Har jabeen per shikan, dafn aaj muskaan hai
Jisey dekhiye yaro, wohi sakht pareshaan hai
Jahan khilte they phool, mehakti thi khushbu
Aaj, bahaar nahin dilon me sabke khazaan hai
Kabhi aisa to na tha, zawaal insan ka ai ‘sahil’
Yeh kya maajra hai, yeh kis jahan ki dastaan hai
-
Kitne hisse kar diye hain tere, ya rab
Tere hi insan ne, teri hi zameen per,
Ghoomega kya ik roz yeh jahan men
Likh kar baghwaan, allah, god, jabeen per.
-
Ana ko kar fana ‘sahil’
Phir hogi humsafar taskeen
Raah men tere honge gul
Bin khaar hogi woh zameen
-
Zahn bhi ‘sahil’ hai ajeeb o ghareeb
Kabhi zameen per kabhi falak qareeb
Dua maang kar bhi isey tasalli nahin
Jawaab chahiye isey, ai al mujeeb
-
Raushan rahegi sham’a jab tak
Jalte rahenge parwaane
‘Sahil’, firasat jab tak zinda hai
Mast rahenge deewaane
-
Sar jhuka kar chal ‘sahil’
Choomegi qismat kaf e pa,
Guzarte dekh us raah tujhe
Ruk jaayengege toofaan zara,
Lab per ho gar naam rab ka
Banegi phir simoom, saba,
Baatin men hogi na tere
Hamdardi ke, kuchh bhi siwa,
Phir sab se hogi rafaaqat
Adoo na hoga koi tera,
Banega phir tu mustahiq
Khuda ke karam aur mehar ka,
Khazaan ke daur to aayenge
Ke hai yeh zeest ka faisala,
Ibadat khud ba khud ho jaayegi
Rahegi tujh per shifa ata,
Sar jhuka kar chal ‘sahil’
Nahin hai aur koi raasta,
Yaad rahey hamesha tujhko
Hai sab maula ki riza.
-
Kuchh kehne ko nahin to kh-mosh hun
Kuchh peene ko nahin per madhosh hun
Ghalat fahmi hogi yeh samajhna ‘sahil’
Ke sukoon men main be-josh hun.
Hungaama machaana zuroori nahin
Khalwat meri koi majboori nahin
Main ne khud kiya hai yeh intekhaab
Duniya se meri koi doori nahin
Tanhai men taskeen bhi aasaan nahin
Har bashar jahaan men koi insaan nahin
Khala aur falak men hai tafreeq bahot
Har khuli jagah koi aasmaan nahin
-
Sukoon to ‘sahil’ man o dil men hai
Khalwat ka sukoon bhi mehfil men hai
Gar, gufatagu khud se musalsal rahey
Dil to yaro sang-dil men bhi hai
-
Gulshan o biyaabaan ke ho jo darmiaan
Us raah per chal ‘sahil’, jeena aasaan hoga
Yaksaan milega mausam, qana’at ke honge
Phool bahaar na khazaan, sukoot na toofaan hoga
37. Door karti hai ghalat fahmi insan ko insan se
Paida karti hai gumaan unke woh, darmiaan
Goya, abr aa gaya ho unki zaat ke beech
Jahan saaf tha tab tak woh neela aasmaan
-
Ibarat paziri to sahil maaqooliat hai
Ke kum hi milte hain mauqey kisiko dobaara
Sajde kijiye, ya duaaen maangiye
Nahin milta hai falak se kabhi toota sitaara
38. Ai Andaleeb Tujhe Salaam
Na khaar se chherdkhaani na gul se dil lagi
Chhord aaya hai door ‘sahil’ woh iraada e masti
Jaata hai gulsitaan woh, milne bas baghban se
Sun ne woh naghma koi, bulbul ki aawaz sureeli
Khil uth ta hai dil uska, dekh naachti hawa ko
Baad e nau bahaar se, hamesh khelti hui kali
Nazar aayi jab andaleeb, hairaan hua tab ‘sahil’
Badan tha uska gul sa, aankhen theen uski neeli
Jannat ki woh pari thi, ya hoor koi zameen per
Aah bhari shaair ne phir, aankhen theen uski geeli
39. Ab to saansen bhi dua maang kar hi leta hun
‘Sahil’, bharosa jo kum hota ja raha hai
40. Rab se na hui to woh mehrami hi kya
Khud se na hui to woh dil lagi hi kya
Maangte ho dua roz, keh kar hai aakhiri
Fana ki na hui to woh aakhiri hi kya
Afsurdagi na dil men, na pashemaani koi
Bhale tar ho woh chashm, woh nami hi kya
Falak na suney, na sitaare woh sada
Cheekh dil se na uthey to woh ghami hi kya
Zakhm na koi, na hi daaman pe koi daagh
Farishtah sahi ‘sahil’, per woh aadmi hi kya
41. Shabnam ne nahin bhigoya, asnsoo hain yeh falak ke
Kya sitaare bhi aaj ‘sahil’, mujh se udaas hain
42. Kaafiron se suna hai naam rab ka ‘sahil’
Woh unke har aah e majboor men hai
Tere baada men saqi woh suroor hai kahan
Jo chashm e num o rukh e mastoor men hai
43. Naale na suna, na tu gham ki daastaan
Bahot dekhi hai main ne zindagi ‘sahil’
Maskhari ka hai shauq, dil lagi mera pesha
Bana leta hun har ja ko main apni mehfil
44. Sukoon se dekh doobte suraj ko
Umeed e farda dil men ho
Milegi manzil ‘sahil’ tujhe
Bas, yaqin tera manzil men ho
45. Naale na suna, na tu gham ki daastaan
Bahot dekhi hai main ne zindagi ‘sahil’
Maskhari ka hai shauq, dil lagi mera pesha
Bana leta hun har ja ko main apni mehfil
46. Gulaab ko dekha khilte huay to chashm huay num
Yaad aayi tifli tab ‘sahil’ko, yaad aayi khushi kuchh gham
Maazi bhi kya shai hai yaro, tilism hai us men pinhaan
Kyon karta hai insaan kaho, ek doosre per sitam
47. Haal na puchho dukhi bandiyaan da
Phande, phande nen, ki puchhna phandiyaan da
Darya ich paani bahot ai aj kal, ‘sahil’
Haal bura ai yaaro, zamaane de rondiyaan da==
48. Ai jindri vee badi bala ve
Hasaundi te rula ve
Changey bhale sutte nun
Hichkoley de, hila ve
49. Mahabataan vee vekhiyaan, nafrataan vee vekhiyaan
Karam audey te aafataan vee vekhiyaan,
Koi hai jera ai keh sakey, tu ee das ‘sahil’
Jinhen mahabataan te nafrataan naiyo vekhiyaan
50. Yaadaan bachpan diyaan
Darya ichon darya te ‘sahil’, Chenaab
Te pe’en nun mil jaave mai e naab
Fer ki karni je loko tussi sharab
Je langey twahde kolon, Raavi da aab
51. Tere qahr se nahin hai khauf mujhe
Tere karam se lagta hai mujhe dar
Uthaunga vazn in gulon ka kab talak
Haazir hai, ya rab, tere ‘sahil’ ka sar
52. Waqt bahot hai dil jalaane ko
Fursat nahin hai raah dikhlaane ko
Baat karte hain lekin sukoon ki ‘sahil’
Kya hua hai is jadeed zamaane ko
53. Nahin hai ‘sahil’ yeh koi ittefaaq
Tukhm se ghuncha, gul se khaak
Daur e hayaat ka hai yeh dastoor
Kar le tasleem, tu kar le idraak
54. Hawa Ki Kya Ada Thi Aaj
Hawa ki kya ada thi aaj
Jhoomti goya bahaar thi aaj
Gungunaati hui sada ke saath
Mazeed lutf pe sawaar thi aaj
Hawa ki kya ada thi aaj
Dheemi thi raftaar uski
Magar thi woh lagataar uski
Hum bhi saath phir ho liye
Nadi se aayi jab pukaar uski
Hawa ki kya ada thi aaj
Rukh pe thi muskaan uski
Har ada thi nadaan uski
Saba ya naseem thi kya
Haseen thi aan baan uski
Hawa ki kya ada thi aaj
Humsafar thi woh kuchh der tak
Subh se le kar andher tak
Shab ne kiya ghaayab usey
Shaayad kal saver tak
‘Sahil’, hawa ki kya ada thi aaj
55.
Kis daur ki aamad hai tujhe, kyon muntazir hai ‘sahil’
Aaj darham dekh har ja tu, barham hai teri mehfil
Chalte ja tu raah per apni, fikr tujhe hai kya
Khud ba khud aayegi ik din, hai door abhi manzil
56.
Sukoon ka aashiyaan hai shab
Shab se khauf to na samjhi hai
Subh se shaam to ‘ai ‘sahil’
Kathin aur bahot lambi hai
57.
Teri tajalli ne kiya tha Musa ko kor chashm
Be hosh na hoga ‘sahil’, ya rab, teri qasam
Tujhe baargaah men dekhne ka mushtaq hai woh
Sar jhuka hoga sharm se, aankh hogi uski num
58.
Afsos ke har tukhm kabhi gul nahin banega
Jaise har bashar kabhi insan nahin banega,
Insaniyat to ‘sahil’ goya mehakta gul hai
Kya aaj ka insan, kabhi insaan banega
59.
Tum mere paas hotey ho goya jab koi doosra nahin hota"
Afsos 'Momin", "sahil ke dil men rab hai mustaqil, woh tanha hahin hota
60.
Riza sab prabhu ki hai
Kripa Maula ki sab
‘Sahil’, mojiza masiha ka
Tafreeq, insaan ki sab
61.
Kya gaati thi maan sulaane mujhe
Koi naghma hi hoga, koi lori ‘sahil’
Maazi ki yaaden kuhan hain ab itni
Yaad karna unhen, be had mushkil
62.
Jab toofaan aaya silah ke saath
Phir gilah ‘sahil’ kis baat ka
Har shab ki hui jab saver teri
Phir, gilah bata kis raat ka
63.
Tilism e mausam e gul jannat baney
Gar mil jaaye koi andaleeb wahan
Uske naghme se dil bahal jaayega
Kum hoga ‘sahil’ ik bad naseeb wahan
64.
Ba faiz e mausam e gul ‘sahil’
Har su hai hai aaj khushbu e gul
Na chali hawa to kya hoga kal
Yaad kisey rahegi yeh bu e gul
65.
Mausam e khazaan se pareshaan kyon
Jab tukhm hai us men ‘sahil’ bahaar ka
Kyon na waaqif ho gaya hai tu umeed se
Zaiqa bhoola hai kya, tu lutf e intezaar ka
66.
Gulshan bana lo yaro veeraan aashiaane ko
Baargaah e sukoon is darham zamaane ko
Gham ka ho koi hadisa gar yaad e maazi men
Bhula do ya suna do tum, us afasaane ko
Kaif ho aisa dil men dosto ru ba ru e saqi
Mai ki na parey zururat, phir paimaane ko
Jaante hain ai naaseh hum, nuskhe sab taskeen ke
Kuchh waqt to de ai zaalim lekin, dil manaane ko
Gul hon tere kuchh aisey riyaaz e dil men ‘sahil’
Jee karey bulbul ka phir, naghma sunaane ko
Khuftah hai yeh duniya, bin ehsaas hain yeh log
Tu hi bata maula, kya hua hai is zamaane ko
Chalte hain hum rab ko liye saath apne yaaro
Baithe rahen jo tayyar hain, hamen dubaane ko
Neki aur badi ki pehchaan har insan ko hai
Ibn e mariam ki darkaar nahin, yeh bataane ko
Dekh kar kahey tujhe duniya rashk o hasad se
Kuchh to keh kar jao logo, ‘sahil’ deewaane ko
Mil jaaye raah gar ya rab, tujh tak pahunchne ki
Darkaar nahin phir kaandhon ki, mujhe uthaane ko
67.
Koi labrez paimaana e qaraar dikhao
Khaali hamen koi baazaar dikhao
Sach ke ghordey per jo daure
Vaisa ‘sahil’ sawaar dikhao
68.
Hai aaj darham barham ki duniya
Sukoon nahin gham ki duniya
Ashk nahin to sookhe darya
Ek nahin, tum aur hum ki duniya
69.
Kahan gayi humdardi yaro
Har ja garmi sardi yaro
Be se thi bahaar kabhi
Aaj be sa hai be-dardi yaro
70.
Ulfat bhi aaj nyaari hai
Aaj ki mahabat, kal kaari hai
Vazn phoolon ka dekh ‘sahil’
Kaandhon per kitna bhaari hai
71.
Sawaal nahin karta hun main
Rab se bahot darta hun main
Jung mere zahn men hai
Ab khud hi se ladta hun main
72.
Dubo de ‘sahil’, isey kar de fana
Khatrnaak hai varna be inteha ana,
Momin hai tu, naam rab ka hai lab per
Safiney ka mallah tu usey bana
73.
Manind e darya hun, sumundur hai qareeb
‘Sahilk, ghuroob honey ko hai aaftaab
Lutf le mukammal chaandni raaton ka
Jab talak tere falak men hai mahtaab
74.
Haqeer hun, dabeer hun, tera main faqeer hun Ya rab, aaj tera insaan, kal ek tasweer hun Kya hun, kya nahin hun, per jaanta hun itna ‘Sahil’, muqaddar ke ruqqe pe bas tasteer hun
75.
Insananon se to vaajib hai pursish “ insan kab honge”
Sitaaron se puchhe kaun meharbaan kab honge
Ghaarat har jaanib, shor o ghul o hungama ba pa
Yeh kooche yeh gulshan kaho veeran kab honge
Roz marra ke tamaashe, to jhelta hai ghareeb
Jaane woh bad naseeb pareshaan kab honge
Ai ahl e siyaasi, khauf khuda ka to karo
Na jaane, yeh sangdil pashemaan kab honge
Aaj sitaare bhi takte hain zameen ko mayoos
Kaun jaane ‘sahil’ woh kehkashaan kab honge
76.
Chal, ai zeest, tujhe chhord aaun kahin
Tujhe bhi phir, kahin taskin to miley
Khaak hi sahi teri qismat, maana
‘Sahil’, na sahi falak, zamin to miley
77.
Sada e tehzeeb o tammadun
Kis bala ka naam hai tehzeeb o tamaddun
Kis zamaane ka ye hawaala hai
Kuchh to bata, hamen ‘sahil’ samjha
Yeh ahd e jadeed bahot nirala hai
Kaha karte they jadd e amjad kabhi
Izzat se badh kar koi shai nahin
Munh chhupaaye hain log girebaan men aaj
Daamaan kisi ka paak hai nahin
Mahabat,murawwat men khudi na thi
Jaan nisaari ka woh zamaana tha
Dastak na dete they mehmaan kabhi
Ke sajde ka naam aana jaana tha
Woh kahan hai daur aaj Insaniyat ka
Haathon men nahin khanjar dilon men hai
Baat hoti hai kis tehzeeb o tamuddan ki
‘Sahil’, dilchaspi to ab nafraton men hai
78.
Bhule vaada ‘sahil’ hum, jo hamen nibhaana tha
Dil hi men woh reh gaya, raaz jo hamen bataana tha
Shab ko so gaye hum yaro kar ke usey alvida
Faramosh kaar kyon aaftaab, usey to hamen jagana tha
Sabr na seekha na seekha khumgaah ka saliqa kyon
Rind baney kyonkar saqi, haath men jab paimaana tha
Muddat hui miley tum se, khalwat kyon, ‘sahil’ bata
Rafaqat se kyon rootha tu, kya dosti ko aazmaana tha
Charche suney they khalwat ke, khalwat ke sukoon ke, yaro
Zindagi ka mafhoom bas, khud ko hamen samjhaana tha
79.
Jo miley kaho usey jazaakallah
Dua karo umr ho daraaz uski
Sun le rab, har dil aazurdah ki aah
Pahunche ‘sahil’ us tak aawaaz uski
80.
Rishton men qaatil to be zabt zabaan hai
Mahabat men nigaah to dil ki zabaan hai
Firasat ko samajhte hain taqreeren aaqil
Firasat men “sahil”, kh-moshi hi zabaan hai
81.
Rang gulon ke kya dekhta hai
Baat kar to khush bu ki
“Sahil”, laal to naar bhi hoti hai
Baat kar to khush khu ki
82.
Log to zeest ko bulbula ya hubaab kehte hain
Hum to ‘sahil’, hubaab ko hi hubaab kehte hain
Gardish e ayyaam, badalta waqt, hukm rab ka
Isi ko mah o anjum o aaftaab kehte hain
Tafreeq to fitrat hai chaman ki, ai baghbaan
Kum aaqil to har gul ko gulaab kehte hain
Be sabaati sahi, numood o bood to hai
Na jaane log kaise hayaat ko saraab kehte hain
Koi adaavat nahin tere maikade se, saqi
Be zabti ko log, farsh e kharaab kehte hain
Daanishmand miley koi ahl e siyaasi men, aaj
Aise bande ko logo, hum nayaab kehte hain
Samajh le jo chaahe zindagi ko tu, haq hai tera
Shaikh, hum to isey tajurbon ki ktaab kehte hain
Daulat, maal o mat’a, kaakh o gulzaar, so kya
Hum to mahabat o murawwat ko asbaab kehte hain
83.
Tifli, ghuncha, tukhm, nishaan hain nadaani ke
‘Sahil’, inhin ko hum, peeri ka hisaab kehte hain
Dostları ilə paylaş: |