84.
Naql mat karo, ai khosha cheeno
Kya karoge mere guzar jaane ke baad
Khayaal ‘sahil’ ke bhi honge fana, uske saath
Khwaabon ka kya karoge, uske so jaane ke baad
85.
Aawaragi e dil hai per aawara nahin
Aatish hai badan men per sharara nahin
Kis munh se karega husn ki woh baaten
Apne dil ko jis ne kabhi sanwaara nahin
Falak men charaghaan hai bahot kuchh, yaro
Per, har chamakta nuqta koi sitara nahin
Fikr kyon hai kafir, karam farma hai Maula
Woh sunta hai uski jis ne pukaara nahin
Sajde na kiye na maangin duaen jis ne
Woh banda e khuda kya jo haara nahin
Yaqin ho jis ka kaamil riza e khuda men
Woh insan, ai charahgar, be chaarah nahin
Afsos, hungaama ba pa hai har su aaj aisa
Shayad gaayegi bulbul, geet dobaara nahin
‘Sahil’, woh tu nahin hai na zikr woh tera
Jo sahil be bason ka sahaara nahin
86.
Yeh “Sahil” Kaun Hai ?
Ba khabar hai yaro, woh quwat e fughaan se
Ke raabita hai uska khudaaye meharbaan se
Log takte hain falak ko, mah o anjum ko, magar
Hoti hai uski guftagu rozaana aasmaan se
Khalwat pasand woh insaan, mehfil hai uski apni
Deegar hai manzil uski, raah e kaarwaan se
Umr raseedah woh bashar, khazaan ka woh adoo
Mila de koi mujhko, us dil e nau jawaan se
Milo to jaan jaoge, baat kis ki hai yeh logo
Pehchaan jaoge usko tum uski muskaan se
Sumundur se yaaraana, safiney ka woh dost
‘Sahil’’ hai naam uska, pursish karo toofaan se
87.Bahas qismat ki ho to baat sitaron ki karo
Daastaan mizraab ki ho to baat sitaron ki karo
Dil jalon se milo to baat angaaron ki karo
Sair gulshan ki ho ‘sahil’, to baat bahaaron ki karo
Gulshan men miley jugnu to raah raushan woh karey
Baat gulaabon ki nahin, baat sharaaron ki karo
Bana raha hai insaan jahan ko aaj yun khandar
Peshraft ki nahin, baat boseedah deewaaron ki karo
Baat baat men hoti hai tafreeq bahot ‘sahil”
Zikr nigaahon ka ho, to baat ishaaron ki karo
88.
Ranj o gham na ho to phir aazaar kya ho
Khazaan na ho to kaho bahaar kya ho
Dukhi hotey ho kyon dil e muztar se tum
Be qaraari na ho to qaraar kya ho
Sukoon ho musalsal sumundur ko, gar
Phir madd kya aur kaho jawaar kya ho
Jaavidaani to mahz khwaab hai, yaro
Daaim ho zeest to na paayedaar kya ho
Gar dil men rahen raaz pinhaan tere
Phir nihaan kya ‘sahil’, aur izhaar kya ho
89.
Yaan kuchh bhi to “sahil” hamara nahin
Phir bhi ye baat kyon aashkaara nahin
Kya hua hai jahan ko aaj maula tere
Bin hasad o rashk ke guzaara nahin
Kis daur ki baat kiya karte hain log
Yaan iram sa koi aaj nazaara nahin
Kyon karen hum tawaqqo kisi se kaho
Ab to kaandhe bhi apne sahara nahin
Le jayega lahad men aur kya tu “sahil”
Siwa khaak ke usey kuchh bhi gawaara nahin
90.
Main ne kuchh na maanga namaaz men
Jabeen ko khaak se milaya, bas
Khuda, khuda, mere lab pe tha
Usey dil men “sahil”, basaya bas
91.
Sarapa ho ibadat to woh aah aur hi hai
Sar sabz ho mausam to nigaah aur hi hai
Mushtaaq hai sukoon ka to jaan le, ai “sahil”
Nahin kaif e majaazi , woh raah aur hi hai
Sarapa, head to toe
Sar sabz, verdant
Mushtaaq, yearning
Kaif e majaazi, worldly ecstasy
92.
Rishton men qaatil to be zabt zabaan hai
Mahabat men nigaah to dil ki zabaan hai
Firasat ko samajhte hain taqreeren aaqil
Firasat men “sahil”, kh-moshi hi zabaan hai
Be zabt, Uncontrolled
Firasat, Wisdom
Taqreeren, speeches
93.
Khwaab men jo jalwagar aaj saraab hua
Haseen tha “sahil”, per khwaab mera kharab hua
Khuld ke main dar pe tha, hur mere aagosh
aankh khuli to din o raat ka phir wohi hisaab hua
Jalwagar, manifest
Saraab, mirage
Khuld, heaven
Aagosh, embrace, clasp
=================
94.
Rang gulon ke kya dekhta hai
Baat kar to khush bu ki
“Sahil”, laal to naar bhi hoti hai
Baat kar to khush khu ki
Naar, fire
Khu, disposition
95.
Hua karti thi angushtari
Wafa ki paimaan kabhi
Kyon hoti hai aaj, tu hi bata
“Sahil”, tauheen us zabaan ki
Angushtari, Ring
Paimaan, Promise
Tauheen, Insult
96. Kab tak sambhaale rakhen zameer ko
Kab tak odhe rakhen nang tasweer ko
Karta hun bayaan jo dil bolta hai
Na pasand ho, to padho aur dabeer ko
Kis ki qismat men aamad kaun hoga
Kya khabar thi raanjhe ki heer ko?
Dil apna hi raazi nahin hai jab
Kya kahen sanam dil e pazeer ko
Zameen se falak tak qaid khana hai
Zindagi hansti hai dekh aseer ko
Tauq men kya rakhoge rahgeer ko
Shaikh, aasitaan men band peer ko
Tajurba e shahood hai faqeer ko
Khuda se kya vaasta ameer ko
Zabt e sukhan aur zinda zameer
Phir kya chahiye sach ke safeer ko
Ajab hai yeh ahd e nau aaj yaro
Kab talak kosen apni taqdeer ko
Aaj chalti hai zabaan, kainchi si
Miyaan men rakho shamsheer ko
Fikr silah ki met kar, kar sayi apni
Hukm e khuda maan bande, tadbeer ko
Hum khwabon se rehte hain door, “sahil”
Tu rakh paas apne, ilm e taabeer ko
Dabeer, writer
Aamad , arrival
Pazeer, admission, acceptance
Aseer, prisoner
Tauq, collar, meaning like chained
Shuhood, mystical experience of gods omnipresence
Safeer , mediator, ambassador
Ahd e nau, New Age
Shamsheer, scimitar
Tadbeer, to plan, deliberate
Taabeer, interpretation
97. Be fikri ko kaif kyon kehte ho
Zindagi se door kyon rehte ho
Jee lo yaro, “aalam dobara neest”
Qaza ka zulm kyon sehte ho
Jis shai ka aana jaana laazim hai
Us ka muntazir kyon rehte ho
Kar lo sumundur ka safar, yaro
Jazbaat men kyon ja behte ho
Kya nahin hai kuchh aur karne ko
“Sahil”, tum bhi kyon shayr kehte ho
98. Mahz tu nahin hai vaaiz, insaan aur bhi hain
Door hai bahot jannat, armaan aur bhi hain
Apne dil ko na samajna chaman tum mera
Dosto, mere jahan men gulsitaan aur bhi hain
Tauq o zanjeer, zamin o falak, subh o shab
Lekin, hayaat ki paabandiyaan aur bhi hain
Maana, tu khaak e zamin ko takta hai falak
Lekin, tujh se aage to aasmaan aur bhi hain
Haseen maante hain chaand ko daaghon samet
Naaseh, per daaghdaar daamaan to aur bhi hain
Ahd e e nau ke takabbur ke kya kehne, logo
Kyon bhoola hai insan zamaan aur bhi hain
Kyon jhukta hai insan aaj insan ke aage
Kya khuda ke siwa meharbaan aur bh hain
“Sahil”, jidhar dekhiye aaj tamalluq paaiye
Kya ab ibadat ke saamaan aur bhi hain
Mahz, sirf
Tauq, collar to enslave
Takabbur, arrogance
Ahd e nau, New Age
Tamalluq, sycophancy
99. Har chashm ho num zuroori nahin
Izhaar ho har gham majboori nahin
ru ba ru e zulm rehna khaamosh
Yeh to mian “sahil”, saboori nahin
100. Woh sitaare jo kabhi sahaarey they
Falak se kis ne utaareyhain
Har su hai ghaarat o zulmat “sahil”
Hum ne din aazaar ke guzaarey hain
Jidhar dekhiye tabassum fana hai
Gulon ke evaz angaarey hain
Dasht o sahra bani hai yeh duniya
Udaas bahot aaj sitaarey hain
Andheri hain raaten, faza hai andhi
Zameen per lekin farzi sitaarey hain
Do din ki chamak, naam o shauhrat,
Phir aasmaan men phirte ghubaarey hai
In ahl e siyaasi ki fuzul taqreeren
Marte to aakhir ghareeb be chaarey hain
Ai chaarahgar e bareen tu hi kuch kar
Log baithe to bas, tere sahaarey hain
101. Teri navazish, teri mehar, tera karam , Allah
Rahey mujh per hamesh teri nigaah, Allah
Naam tera hi rahey lab per mere
“Sahil”, Prabhu kahey ya Allah, Allah
102. Khul ke jee le “sahil” tu
Kisey maaloom kya rakha hai hayaat men
Na doobta suraj na hi ubharta chaand
Jaanta hai kya rakha hai is se nejaat men
103. Meri humsafar hai khaak e zameen
Jaise jaame ki hai meri assteen
Falak men jaise hain mah o anjum
Aaghosh”sahil”, jaise mah jabeen
104. Kaafir hi sahi, kuchh ibadat to ho
Ulfat na sahi khushbu to rahey
Armaan ka hona zururi hai “sahil”
Haasil na ho, aarzoo to rahey
105. Aansuon ki zanjeer khatarnaak hoti hai
Un heeron ki maala dardnaak hoti hai
“Sahil”, chashm ka bharosa kya kijiye
Dil ki nigaah to aala paak hoti hai
106. Pathar men gar dil hota to kh-mosh na rehta
Sang dil bhi phir ‘sahil’ kabhi kabhi to rota
107. Kh-mosh zaban dikha to manen
Neela asman dikha to manen
Fitrat aisi har shai ki aaj“sahil”
Maghrib se ho aftab uruj to maane
108. Hum na they, humsafar na tha
Rahbar na tha, rahguzar na tha,
Aisa bhi tha khalwat men “sahil”
Aarzu na thi, jigar na tha
109. Zindagi se tang aaye, qaza khush hogi
Karo lo yaro tum hisaab ab,
Boriyat hi sahi, khwaab to hain
“Sahil” Kar lo tum intekhaab ab
110. ‘Sahil’, basta ho dil men jiske maula, bata
Milegi kya imdaad usey duaaon se teri
111. Kab talak jiyun nihaan nadamat ke saath
Saunp dun main kab talak zeest qayamat ke haath
Kabhi to chhord mujhe tanha, ai qaza
Kab talak chalega ‘sahil’ gaam ba gaam tere saath
Nihaan. Hidden
Nadamat. Remorse
Zeest. Life
Qaza. Death
Gaam ba gaam. In step
112. Ek musht e khaak hi bahot hai, diman ka kya karen
Ek gul ki mehak hi bahot hai, chaman ka kya karen
Hamen chubhan khaar ki, khalish hai woh pasand
Alag hain hum jahan se ’sahil’, saman se kya karen
Musht e khaak, A fistful of dust
Diman, A heap of rubbish
Khalish, prick
Saman, jasmine
113. Khuda tak pahunchne ki qu’wat hai mujh men
Azaan bhi main khud de sakta hun
Na mullah, na pandit na qazi koi ‘sahil’
Maula ko bayaan main khud de sakta hun
Qu’wat, Taaqat
Azaan, Call for Prayer
114. Ai Jawani Tere Kya Kehne
Algharaz mukhtasar hai ilteja jawaani se
Behti rehna peeri tak darya ki ravaani se
Jhoomti rehna, ai haseena, dilruba tu ‘sahil’ ki
Chalti rehna hamesh tu apni hi man maani se
115. Gaye waqt ki baat mat karo
Shaam ko saver ki baat mat karo
Gar milna chaho, ai ‘sahil’, to
Teeragi o der ki baat mat karo
116. Sitamgar ko duaaen dete ho
Sitam jab tum per jaari hai
Ulfat bhi kya shai hai ‘sahil’
Jazba dil per bhaari hai
117. Kaun karega intekhaab raahzan aur gulcheen men
Kaun batayega faasila ufaq aur zameen men
Mahabat bas ek jazba hai, dil to hai naadaan
Nahin karta hai farq ‘sahil’, saade aur haseen men
118. Kyon kaanp raha hai tu jab zameer hai paasbaan
Lab pe naam khuda ka, pukhta tera imaan
Sar ba sajda hai tu, zameen hai teri zaamin
Dekh raha hai tujhko ‘sahil’, hamdard aasmaan
119. Bhool gaye jahan ko hum, khud ko hi aazmaate rahey
Apna hi chehra ainey ko, yun hi hum dikhaatey rahey
Hazaar they jahan men naghme, andaleeb chaman men thi
Fursat na thi ‘sahil’ hamen, hum khud ko geet sunaate rahey
Na dekhe hum ne mah o anjum, jabal na darya kahin
Majaazi duniya ke jalwon se, dil apna behlaate rahey
Aawaaragi thi har taraf, shor o ghul o hungaama
Dastak de de kar hum, zameer ko apne jagaate rahey
Samjhe na log ‘sahil’ hamen, , na hi yeh zamaana kabhi
Ke narm tha yeh dil bahot, so ashk hum bahaatey rahey
Ajab hai daur bahot yeh yaro, masroof har insaan yahan
Hayaat sab ki apni hai, yeh khud ko hum samjhaate rahey
120. Kyon kaanp raha hai tu jab zameer hai paasbaan
Lab pe naam khuda ka, pukhta tera imaan
Sar ba sajda hai tu, zameen hai teri zaamin
Dekh raha hai tujhko ‘sahil’, hamdard aasmaan
121. Ilteja
Sara ba sajda hun main ‘sahil’
Dua ko haasil pazeerayi ho
Mashghool khuda ki baargaah men
Kaash, meri sunwaayi ho
Jab talak hun zinda yaro
Kabhi na koi ruswaayi ho
Amaal sab ke nek hon
Dilon men sabke paarsaayi ho
Baad e marg, ai dosto
Kh-moshi se vadaayi ho
Sar ba sajda hun main ‘sahil’
Dua ko haasil pazeeraayi ho
122. Meri har ghazal ka matla hai tu
Ibteda bhi aur maqta hai tu
Ek shayr kahun hayaat ko agar
To har nuqta har misra hai tu
Shauq jo bhi hain dil men mere
Har jazbe ka inteha hai tu
Karti hai jo rukhsat khazaan ko
Us bahaar ka har patta hai tu
Udaas hai bulbul chaman men aaj
Sada uski aur naghma hai tu
Dhalta hai suraj har shaam jaanam
Per, har subh to nikalta hai tu
Dil khush hai ‘sahil’, hairaan bhi hun
Jis tanavvo se likhta hai tu
Matla, opening shayr of ghazal
Maqta, Last shayr
Tanavvo, Variety
Ibteda, Beginning
Inteha , End, limit
Tifli
123. Wo apne gaanv ki galiyaan theen, wo rang o bu bhi apne they
Haqeeqat se hum lipte they, aur door kahin kuchh sapne they
Dasht o sahra sab hamare, gul o khaar bhi aashna
Raqeeb o dushman they nahin, wo log to saare apne they
Woh khaak e zamin bhi apni thi, wo chahchahati chidyaan bhi
Koi ghair na tha, na ajnabi, wo khwaab bhi saare apne they
Us shahar ka naam Lahore tha, maazi ka wo aham hissa hai
Patangon ka hujoom tha, wo “bo kaate” bhi apne they
Basant ke chaawal apne they, sab kuchh ‘sahil” apna tha
Woh “bante” apne, woh aansoo apne, woh din tifli ke apne they
Tifli, Childhood
Haqeeqat, Reality
Dasht o sahra, Desert, wastelands
Aashna, Familiar
Raqeeb, Rival
Maazi , Past
Aham , Vital, important
Hujoom, Crowd
Bo Kaate, the feral call of victory in a kite-flying competition
Bante, Marbles
124. Ek lamha jo saath guzara
Un sadiyon ke tha barabar
Jo tanha bitaaye ‘sahil’
Khud se koson door
125. Koi yeh to batao rooh e kaayenaat kya hai
Insan ki zaat kya hai
Gar zindagi nahin ‘sahil’
To phir rab ki saughaat kya hai
126. Wafa ki umeed thi jin se wo mubtala they saazishon men
Hum to wafa ke naam per ‘sahil’, jeete rahey ibadaton men
Sahil ke tamashaiyo, kya jaano tum zor e girdaab ka
Us se puchho doobta hai jo safina e hasraton men
Kar lo jo chaaho yaro bas khayaal rahey is baat ka
Izhaar paakeezagi ka iyaan hota hai to neeyaton men
Kaun kaisa shakhs hai batati hain uski sohbaten
Aap ka andaaz kya hai, mehmaan batate hain daawaton men
Mukammal jee hai zindagi usi shakhs ne, ai dosto
Guzri hon raaten jis ki donon, aasaaish aur aziyyaton men
Kaam hai yeh vaaiz ka, isi liye hai minbar ‘sahil’
Kaun sunta hai kisi ki aaj, kya rakha hai teri naseehaton men
127. Niyaam men mere imaan ka teer hai
But na sahi per dil men tasweer hai
Qaafile ka hissa hai tu ‘sahil’
Kaarwaan e jahan ka ek hi meer hai
Basta hai woh dil me sab ke
Humsafar, rahbar, zaheer hai
Rakhta hai jo dil men usko
Maula ka woh safeer hai
Hasraton ko zanjeer na pehnayi
Woh daur to yaro sa’eer hai
Bhatak jaata hun main yaro kabhi
Paasbaan mera zameer hai
Kasa ba dast hai so faqeer hai
Gar nek hai to awwal ameer hai
Ma’bad kyon jaaun ‘sahil’ bata
Jab dil hi mera ek deer hai
128. Khaar ko ‘sahil’ gul ka humne samar maana
Teri be rukhi ko dost apna shar maana
Duaaen deen navaazi ki, mezbaan ko humne
Mehmaan ban kar gaye jahan, usey ghar maana
Hawa bhi aaj karti hai takabbur dekhiye
Inkisaari ko humne yaro awwal hunar maana
Manzil ki thi justaju na hi raah e khuda ki
Le gaya imaan jidhar, usey hi rahguzar maana
Kyon samajhte ho tum yaro isey thikana ek
Zindagi ko humne ‘sahil’, bas safar maana
129. Khwabon ki taabir kya karni
Haqeeqat se to mil lun
Guzarti ja rahi hai zeest ‘sahil’
Khud se to pehle mil lun
130. Mushkilen hal bhi kar lenge
Kuchh waqt ko aasaan to hone do
Lab e darya kyon baitha hai ‘sahil’ tu
Yaro, isey ravaan to hone do
Udaasi bhi hogi rukhsat zurur
Armaan ko jawaan to hone do
Asad se kya darna biyaban men
Pehle usey to hirasaan hone do
Kab talak rahega dil halka bol
Dosto, raaz ko pinhaan to hone do
Chaley jaayenge hum bhi ik roz ‘sahil’
Ajza ko pareshan to hone do
131. Momin hun,hindu musalman nahin
Darja teri nazron men kum hai kya
Baanta hai insan ne aise tujhe
Ya rab, aaj sab ka alag khuda hai
132. Zindagi na ho to fana kya ho
Soz e dil na ho to chashm e num kya ho
Yehi masila hai raat o din ka, ‘sahil’
Aur khushi na to ranj o alam kya ho
133. Khaak e zamin se zarra utha
Aashnayi ho jayegi
Aks kya dekhna phir ainey men
‘Sahil’, teri aarayi ho jayegi
134. Jab dubta hai aur sota hai
Sochta hun kya aftab rab ko takta hai
Mera khayal saraab hi sahi
Sochta hun ‘sahil’ shayad ho sakta hai
135. Gar Zeest na ho to fana kya
Soz nahin to chashm e num kya
Yehi masila hai raat o din ka
‘Sahil’, khushi na ho to ranj o alam kya
136. Paighambar la saani hote hain
Per woh bhi faani hote hain
Farq itna hai ‘sahil’
Ke wo, nooraani hote hain
137. Ibadat men mahabat na ho
To wo kufr hai
Dil o jaan se na chaaha khuda ko
To ‘sahil’ wo momin kaisa
138. Jahan ko rashk e jinan bana lo
Rab ko dil men ‘sahil’ basa lo
Mehbub ho goya aashiyan men
Insaniyat ko apna aqeedah bana lo
139. Shama jalti hai to uth ta hai dhuaan
Soz e dil se nikalti hai fughaan
Haal e dil ka zikr kya karen, ‘sahil’
Jab chashm e num se hoti hai iyaan
Ek jugnu hi kar de raah raushan meri
Sambhaal le falak apna, kehkashaan
Zeest tijarat nahin hai ‘sahil’, varna
Har guzarta lamha hai mustaqil ziyaan
Tu jalwa dikha, ai haamiye be kasan
Har su hai zulmat, hai tera jahaan
140. Waah naseeb, haryali kahin sard
Kahin darmaan aur kahin dard
Is men kya hai baat ta’ajub ki, yaro
Kahin jashn, kahin lahd ki gard
Guzar jaaye zindagi bhi bin azaab
Mil jaaye koi darmaan koi hamdard
Be rukhi ki is duniya men, logo
Kya hai yahan koi aisa aaj fard
Jisey dekho khud se ya kisi aur se
Lar raha hai ‘sahil’ woh nabard
141. Patharon se nahin, ‘sahil’
Sang dilon se deewaaren banti hain
Baahami nafraton ko mita do yaro
Inheen se sarhaden banti hain
Khuda ne faqiron ko soch kar chuna hoga
142. Khuda ne faqiron ko soch kar chuna hoga
Per, insaan sab uske hain, yeh bhi socha hoga
Intekhaab to kiya hoga, maula ne zurur
Ibadat kaun karega meri, yeh bhi socha hoga
Daulatmand ka darja, hai mere barabar jahan men
Rab ko rab ki kya zururat, yeh bhi socha hoga
Siwa asbaab ke kya milega ameeron se mujhe
Kasa ba dast ghareeb ki, aqeedat ka socha hoga
Kisey chahiye karam mera, kaun hai asl haqdaar
Kisey hai zururat meri, yeh bhi socha hoga
Momin ko hi haasil hai, mehar rab ki ‘sahil’
Pe, kaafiron ka bhi yaro, us ne socha hoga
143. Momim hun, phir ijazat har
Ma’bad ki kyon nahin hai bata,
Kya rab ka bhi hai mazhab koi
Is jungle jahan ko ‘sahil’ samjha
144. Na samajh paayi shoa teri wus’at e mayusi ‘sahil’,
Aftab se ja kehne lagi andhera zyada hai kahin aur chal
145. Sookhe dil sookhi zamin
Nadi puchhti hai main kahan jaaun,
Raah sumundur ki tu dikhla ‘sahil’
Kidhar ja kar sukun paaun
146. Wo hubb e watan samjhega kya
Jis ne ma ko bant te na dekha ho
Zarre ko wo jaanega kya
Jo khaak e zamin se dur ho
147. Khaak hun, khaak men hi mil jaunga
Khaak se rab ko main paunga
Muztarib dil ko, ai ‘sahil’, phir
Sukoon mukammal main dilaunga
148 Jhut ka maza apna hi hai
Jaise husn ka hai hijab me
Sach men woh rangralian kahan
Jo chhupi hain ‘sahil’ naqaab men
149. Hasraton ka yerghamaal hun
Phir bhi insan main kamaal hun
Har banda khuda ka hai yakta ‘sahil’
Aur main bhi usi ki ek misal hun
150. Khun e jigar se likh ‘sahil’
Qalam dawaat ki rivayat purani hai
Khun bhi sasta hai jahan men aaj
Adam zaat ki ye kahani hai
151. Mai men wo josh kahan jo tujh men hai ‘sahil”
Sukun bhi surur bhi, tasalli e hayat bhi
Shaatir hai tu, chaal teri, muntazir hai qaza
Kuch lamhe hain jeet ke phir hai maat bhi
152. Na sahi naam ‘sahil’ na teri shauhrat koi
Likhte ja tu rekhta, bayaan kar jazbaat ko tu
Kis ki chahiye waah tujhe, sahib e zauq kaun hai
Urdu zabaan ki ta’eed men, ek kar din o raat ko tu
Rekhta. Urdu
Sahib e zauq. Connoisseur
Ta’eed. Support
153. Khaliq e shams o qamar ki rah dikhaye koi
Jahan afreen se milaye koi
Mukammal hui akhtar shumari
Ab sirhaney ‘sahil’ sulaye koi
154. Jo aaye dil men tu wohi kar
Kya kahega zalim zamana mat puchh
Paheli hai hayat ‘sahil”
Haqeeqat kya, kya afsaana mat puchh
155. Dheemi hui sham’a yaadon ki jab
Aahon se lau badhaayi bahot
Riza e khuda se hota hai sab
Yeh tasalli ‘sahil’ dil ko dilayi bahot
156. Ijjaaradaari ‘sahil’ kis ki rab per
Usey jis naam se chaaho pukaaro
157. Ek Sawaal
Zindagi muamma hai to fana kya hai
Inkisaari men batao ana kya hai
Rab se jawaab to milne se raha
Yeh sab sochne se ‘sahil’, bana kya hai
158. Sahil’, milao koi aala faqeer mujhe
Khuda se darta koi ameer mujhe
Insan ki sada se tang hun main
Parindon ki sunao safeer mujhe
Nazaare jahan ke bahot dekh liye
Dikhao ab khuld ki tasweer mujhe
Jabal se bhi oonchey mahal dekh liye
Dikhao insaniyat ki taameer mujhe
Be khauf jo likhta ho aaj kahin
Ab milao koi aisa dabeer mujhe
Safeer, Chirping
Khuld, Heaven
Dabeer, Writer
159. Zara izteraab e shauq ‘sahil’ ka dekhiye
Peeri men geet jaavidani ke gaata hai woh
Kehiye saraab, ya maaniye isey khwaab
Inhin khayaalon se dil behlaata hai woh
160. Gorkan se shanakht ki umeed kaisi
Zarra e khaak khaak ka hissa hai
Farq kya tujh aur mujh men ‘sahil’
Zeest, saanson ka qissa hai
161. Aap hi ki aulaad hun ai validain
Aap ki inayton ka mamnun ,
Aap khush lagte hain mujhse,
Ke nazar aata hai chehre pe sukun
162. Masih ke mojize to masih hi jaane
Hum per karam khuda ka hai ‘sahil’
Phir bata, mojize kya paane
163. Jabal ko ai ‘sahil’ yun hilaya na jayega
Qasd na karoge kuchh paaya na jaayega
Gar dil se na nikle sada, muhaal hoga phir
Paighaam dil ka yaro pahunchaya na jaayega
Ehtiyaat baratna dosto, zabaan per ho lagaam
Varna, chhoota hua teer bulaya na jayega
Aandhiyon se chalna bach kar zara huzur
Aandhiyon men charaagh jalaya na jayega
Jo likhta hai tu ‘sahil’ soch samajh kar likh
Ke harf ek bhi kabhi mitaya na jayega
164. Umr ka lihaaz ab kahan
Dua wo salaam ab kahan
Taraqqi ka zamaan hai ‘sahil’ sahib
Wo izzat wo ehtiraam ab kahan
165. Shab ke andheron men sitaare dekhna
Saahil pe chalte chalte kinaare dekhna
Soney chaandi se hoti hai hirs o havas
Dostları ilə paylaş: |