252. ‘Sahil’, maana ke zindagi nahin hai jaavidaan
Ta ham, rehti hai dil men umeed rozana jawaan
Main sitaron ko dekhta hun raushan har shab
Sham’a e umeed ko jalaaye rakhna phir hota hai aasaan
253. Tifli aur peeri men fasila hai bahot,
Per qareeb hai ‘Sahil’ hain donon bahot
254. Dast e qudrat se haath mila le
Baramad hogi taskin tab,
Maangta hai dua tu jis se
Wo dekh raha hai ‘sahil’ sab
255. Kahin reg e sahra, kahin garm hawa
Kahan hai ‘sahil’ woh naseem o saba
Simoom na chalti thi baharon men kabhi
Ajab hai gulshan ki aaj aab o hawa
Halke jhonke hawa ke they kaafi kabhi
Gulon ko darkaar na thi aur koi dawa
Aaj ashk falak ke bhi girte nahin
Haaye, shabnam kahan hai, mausam hai sookha
Siyaasi hain parde har ja aaj ‘sahil’
To hi bata kya hai yeh maajra
Mat jaao chehron per baatin men jhaanko
Yaro, dil duniya ka bahot hai, bahot hai rookha
256. Hadon ko ‘sahil’ salaam kar
Sarhadon ka ehtiraam kar
Khwabon ka hona zururi hai
Per, hasraton ko tu ghulaam kar
257. Kham dekhiye zulf e shikan dar shikan ki
Yaar ke badan ki angraayi aur phir saman ki
Tishnagi bujha kar sukoon jo dilaaye
Kya kehne us darya ke rafaqat o lagan ki
Zakhm dil ke agar mundamil na hon, yaro
Phir baat kya karni koi zakhm e kuhan ki
Mahak sadaqat ki ho tab’a men jiske
Zururat kya usey phir mushk e khatan ki
Khaak e watan se anmol kya hai ‘sahil’
Un ashkon se, jo yaad dilate hain watan ki
Dua meri hai maula, ilteja bas itni
Qaaim rahey paakeezagi mere daaman ki
258. Daroon men hai khuda berun men jahan
Sukun yahan zeest wahan,
Mahabat zamin se
muntazir hai aasmaan Jaaun ‘sahil’ to jaaun kahan
259. Haath jodne ke liye
Jabeen sajdon ke liye
Zabaan di hai tujhe ‘sahil’
Maula ne duaaon ke liye
260. Kya dega tu mujh ko, ai charahgar, dawa
Jab mujh pe raftgaan ki yaaden hain aur unki hai dua
Kya karenge hum, shaikh, tere kaakh o gulzaar ka
Jab falak hai, khala hai, aur mehakti hai hawa
Maana ke kamzor hun, fana hai anjaam, per
Tu kabhi to, ai maula mujhe, tajalli toor ki dikha
Yaro, daagh e daaman dekh kar ghairat na karna
Paak hai dil faqir ka, usey na karna ruswa
Kaun sunta hai tere khutbe zer e mehraab, aaj vaaiz
Tu mahz ahl e jahan ko unka aaina dikha
Bood o baash men kho jaana, gham e hasti hai
Tu zeest ke har lamhe ka ‘sahil’ mukammal lutf utha
-
261. Haal e Dil
Betaabi si hai dil men aaj, ranj o malaal nahin
Jis gali men tha maikadah kabhi, aaj kalaal nahin
Wo daur tha ehtiraam ka, jad e amjad be misaal
Karte salaam jhuk kar woh, aaj us ki misaal nahin
Maatam kijiye to phir, aap zamaane ka kijiye
Rotey nahin ghamkhwar ab, ke jeb men rumaal nahin
Kya ahad woh koi aur tha, woh khat o khaal nahin
Ghurbat tab bhi thi ‘sahil’, per log paayemaal nahin
Insaniyat ka yahan qatl hai, hirs o havas ka maahaul
Naam dete hain isey taraqqi ka, maula zavaal nahin
Tu dekh raha hai kh-mosh kyon, kuchh to kar khuda
Kya kaaenaat teri tu hi bata, aaj be haal nahin
Yeh koi tabsira nahin hai, ‘sahil’ ka asr e haal per
Haal e dil hai yeh maula, bayaan e khayaal nahin
262. Kya jeena behtar hai khwabon men
Ya zeest ki chund azabon men
Jab jaadu nahin hai sawalon men
‘Sahil’ jaadu kya hoga jawabon men
263. Saqi na mai na hi rind koi
Labrez e taskin hai paimana mera
Yeh khumkadah hai kaisa ‘sahil’ bata
Har jaam jahan hai deewana mera
264. Deewaron se zindaan bante hain
Zer e falak hai khula ashian mera,
Zamin ko baanta hai insan ne khub
Kehne ko hai abhi asman mera
265. Jaati baharon ki shaam e khazan hun
Ahd e peeri men dil jawan mera
Waqt se jhukte shajar ki manind
Ladkhadata hai ab bayaan mera
266. Hasti e zeest ki peeri dekh li, varna
Dil rehta sozaan mera,
Gar jawani ke josh men hote fana
To hota kitna phir nuqsaan mera
267. Kahaniyan kya sunaun kaafi hai itna,
Ke hayat hi meri hai afsana mera,
Usi men ansu aur tabasum
Yehi hai ‘sahil’ ab khazana mera
268. Taskin aur qaroon ka khazana
Gosha e uzlat ko mamura e aalam se kya lena,
Hasil ho jisey khud men sukun, ‘sahil’
Usey jahan ke darham barham se kya lena
269. Jaan javegi kaun ajal qareeb le javega
Mazaar pe sada e andaleeb sunavega,
Ashk baha kar kaun
Baab e naseeb,‘sahil’ padhavega
270. Fart e shauq men kami aa rahi hai
Shokh chashm men kyon nami aa rahi hai,
Bahr e hasti men kyon ‘sahil’
Kuchh ghami aa rahi hai
271. Padhni ho namaz to musalla dikhao
Darkar mojize ki ho, to masiha bulao
Jab taskin ho dil o zahn men, ‘sahil’
Tab yaad karo maula ko aur sawaab pao
272. Har ja khuda hai per insan men gumaan hai,
Har taraf hai ma’bad ‘sahil’ kya yeh imaraton ka jahan hai
273. Gulsitaan men saman aur gulaab bhi hain
Hum jaise unke khayal o khwaab bhi hain
‘Sahil’, phoolon ko ghaur se dekh ek nazar
Kya woh hum jaise be-sukun o betaab bhi hain
274. Raftaar hi kuchh aisi thi zindagi ki ‘sahil’,
Ke safiney se utarne ka waqt hi na mila
275. Parwaaz to jannat tak bhi mumkin hai ‘Sahil’,
Bas ek ishaara maula ka chaahiya
276. Bedaar rakh tu khushion ko
Gham kahan sotey hain,
Rakh tabassum ka dil men partau
‘Sahil’,dukh to sab hi ko hotey hain
278. Sheftah kehiye usey woh deewaana hai
Zindagi uski usi ka hi fasana hai
Mahabat bhi aaj ek tijarat si hai
Kohkan ka nahin, taajir ka zamana hai
Aaj ki sham’a ke havas ko dekhiye zara
Raushani nahin, usey parwaane ko jalana hai
Tu jannat men hoga masroof, Maula
Per, tujhe insaniyat ko phir se jagana hai
Daulat se nahin ai ‘sahil’ kabhi
Hamen to mahz zeest se dil lagana hai
Naseehaten na de, kaam vaaiz ka hai
Saliqa jeeney ka khud ko seekhaana hai
279. Ek raat aur guzri aftaab hua tul’u,
Goya, zindagi aaj ‘sahil’ phir se hui shuroo
280. Mukammal jeena hai ‘sahil’ to ulfat kar, per,
Zeest apni se nahin hayaat auron ki se kar
281. Jannat men milta ho shayad kisey khabar ai ‘sahil’,
Lekin, zamin per mukammal sukun insan ki taqdeer men nahin likha
282. Zabt e sukhan firasat ki nishani hai,
Goya ‘sahil’, bechaarey zameer ki paasbaani hai
283. Insan hun bhagwaan nahin pareshan hun,
Rooh hai per raakh hun, aatishdaan hun
284. Zabt e girya se bante hain darya ke toofaan,
‘Sahil’, aansuon ka behna hai asl darmaan
285. Kal shaam ufaq se door tha bahot
Aaj aaya hai dar pe aftab mere,
Wo bhi bin abr ki paasbaani ke
Aaya hai aangan men be naqaab mere
286. Afsana goi to waqt se khilwaad hai ‘sahil’,
Haqeeqat hai mukhatib tere aur guzra tera shabaab hai
287. Tajdaar e haram ko bana le sanam
Mit jayenge tere guman o bharam,
Basega dil men jab rab tere
Dubenge ‘sahil’ jahan ke sab gham
288. Main ne kuchh na maanga namaaz men
Karam tera hai umr daraaz men,
Sukoon mila kaamil bahot
Maula, ‘sahil’ ko is andaaz men
289. Khush ru o khush usloob paayemaal hai
Khuda ke jahan ka aaj yeh haal hai
Haasil hi mudda hai ab zindagi ka ‘Sahil’,
Afsos , har dao pech ka jaaiz istemaal hai.
290. Dil hota gar qismat ki taqdeer men, ‘sahil’
To soz e gham tera jabal ko hila deta,
Ab to ashkon se bante hain darya mahz
Varna, ek aansoo tera zamin ki tishnagi bujha deta
291. Dozakh o jannat hotey hain donon
Muqaddar ki badalti karwaton men
Jaise, hotey hain khaar chaman men, ‘sahil’
Phoolon ki mehakti baahon men
292. Kyon nahin hai rang o bu ‘sahil’ ke zahn men
Mehakti hai jo subh o shaam, gulab o saman men
Hirs o havas ko ja na miley gar khaana e dil men
Bahaar hi bahaar ho phir dil ke chaman men
Sookhe na phir phool koi na khaar karey koi masti
Nishaan na ho andheron ka kisi ke bhi aangan men
Khalwat men gar miley sukoon to batao hamen, yaro
Uthey kyon phir arzoo hirs o havas ki zahn men
Maqsad kya hai zindagi ka samjhaye koi kabhi
Uth ta hai sawaal pecheedah, yehi sab ke man men
Mizaan men tol ke dekho kabhi, ai firasatmando
Gham se milti hai raahat kitni darya e ansuan men
Na samjha saka koi hamen na khud ko hum ‘sahil’
Puchhenge ja kar khud hi se yeh raaz hum kafan men
293. Yun khadi hai duniya do raahe pe aaj
Pehne hirs o havas o khaaron ka taaj
Rashk e jinaan yeh banayenge kya
Jahan per jo karte hain bandookon se raaj
Yeh kaaghaz ke putle, yeh mitti ke dhaanche
Bhoole hain ajal ko aur kafan ko aaj
Samjhaaye koi, khuda hi sahi
Muntazir hai ‘sahil’, inki falak ki meraaj
294. Ravani e darya nahin behr ki baat kar
Sham o shab nahin sahar ki baat kar,
Machalti maujen, urooj e aftab ‘sahil’
Aaghaaz e zeest o dopahar ki baat kar
295 Har gaam gham ko bhulaate gaye
Geet khushi ke hum gaate gaye,
Khwab khud ko dikha kar ‘sahil’
Khud hi ko hum sulaate gaye-
296. Baaten hotin hain aaj shajar ke samar ki
Kaun karta hai baat uske jhukte kamar ki
Nasoor zakhm ke hamdard to bahot hain yaro
Fikr kisey magar mere dard e jigar ki
Har rukh haseen hai aayena hai zaamin
Kami hai to bas ek qu’wat e nazar ki
Sarwat, shaurat, ik aarizi chamak men
Tazleel hui hai aaj zameer o hunar ki
Dikhaawa hi sab kuchh jahan men hai, ‘sahil’
Aftaab ke hotey auqaat kya qamar ki
297. Jab khaak hi ne tafreeq na ki taajdaar aur fakir men,
Kya dhundta hai tu ‘sahil’ apni dast e lakeer men
298. Zaeef badan peeri ka nishhan hai
Aabla pa hai per himmat e mardaan hai,
Beshak gumaan humsafar ho, ‘sahil’
Lekin, har haal men pukhta mera imaan hai
299. Bujhta charagh subh ke aamad ki alamat hai
Guzarti shab goya sahar salamat hai,
Nur e shams o qamar bhi to, ai ‘sahil’
Khuda ka karam aur usi ki inayat hai
300. Andaleeb nahin hai parinda koi aur,
Ai uqaab ilm haasil kar tu pehle sargam ka
301. Aansuon ka darya ban na be sabab nahin hota,
Mafhum samajh ‘sahil’ tu gham ka
302. Naazaan kyon hai ‘sahil’ ke saman hai tere chaman men,
Kyon bhoolta hai khazaan ko aur muqarrar saans badan
303. ‘Sahil’, ulfat se mahabat to karte hain sabhi,
Laga kar dil aziat se dikha tu kabhi
304. Jab se main ne fana kiya ana ko ai ‘sahil’,
Aayene ne kaha tab se mujhe ab nazarra kun hai tu
305. Kabhi darakhshaan tha chaman jugnu ki badaulat,
Aaj, insan ne ‘sahil’ kiya mah o anjum ko bhi be noor
306. Ab to gunaah karne ki bhi himmat kamzor hai ‘sahil’
Tauba kunaan shab ab rukh e sahar na dekhegi
307. Hasti ki baat mat kar ‘sahil’
Sumundur ka bata wujood kya,
Hujum e darya ya sumundur
Us paani men bata maujood kya
308. Ajal ko maan mezbaan ‘sahil’
Zeest ko mehmaan,
Shab o roz ko haqeeqat aur
Umr daraaz ko armaan
309. Aarizi hai nishan tere har qadam ka
Kya bharosa hai insan tujhe agle dum ka
Deen o mazhab ke hungaame ba pa
Na jaaiz istemaal hai dair o haram ka
Ashkon ka darya be sabab nahin hota
Mafhoom samajh insaan tu ranj o alam ka
Madd o jazr e zeest ki rooh ko jo samjhe
Kya karega batao woh jaam e jam ka
Siyaasi jahan men aur kya hoga, ‘sahil’
Zamana hai yeh ab jaur o sitam ka
Andaleeb nahin hai parinda koi aur
Ai uqaab, ilm haasil kar tu pehle sargam ka
310. ‘Sahil’, sitamgar kahun ya kahun isey meharbaan,
Gar donon kahun ai waqt tujhe, doghli na hogi zabaan
Haseen hai tu ai jism e khaak, be sabaat bhi
Rakh tasawwur fana ka, aayeney men ai insan
Sharaayat chund hoti hain aarzu e abad ki
Kaun bad naseeb chahega hona kabhi javidaan
Sangreza misl e khaar hai jabal nahin yaro
Baaqi ab mizaan men kitne, maula hain imtehaan
Kaisi yeh tamanna har dhadakte dil men yaro
Reh jaayen baad e marg chund hone ke nishaan
Hairat kabhi boriyat se, takta hun khala men
Shab o roz ka hai yeh tamasha, ai dost aasmaan
Hasraton ka wujood samajh, ai dil e naadaan,
Dua ban kar jaati hai jo uthey dil se fughaan
Mah o anjum ki naql kyon kar raha hai tu
Jaaiz hai uryaani unki, ai insan, har aan
Har su hai zulmat aur aarzoo hai noor ki,
Ai farishtah e ajal, tark e zeest nahin aasaan
Zameen teri, falak tera, tu hi mezbaan,
Itna bata de ai khuda, kya muntazir hai jinaan
311. Sambhaal lega gham apne ‘sahil’ na bhej ghamkhwar koi,
Ho sakey to bhej maula faristah e bahaar koi
Burey nahin hain rang khazan ke milte hain jism khaki se,
Sair karun chaman ki main saath ho agar narm khaar koi
Zeest se mahabat to fitrat hai, lekin ai ‘sahil’,
Jaan bhi main kar dun qurbaan gar mil jaaye sazawaar koi
Aisi bhi kya jaldi hai sabr to kar, ai munsif,
Saza dena haq hai tera gar mulzim ho gunahgaar koi
Zaqan pe ho ya daaman pe koi aisa shakhs deekhao,
Haseen ho ‘sahil’ jo misl e maah per daaghdaar koi
Shab o roz ki be dard gardish mustaqil hai yaro,
Aarzoo hai dil men ab dheemi karey raftaar koi
Jalwagaah hai hayaat is men joker aur hoshiyar bhi,
Bhagwaan bhi ban kar dikhaate hain chund draamebaaz kirdaar koi
312. Wo dukhi tha to sharabi bana
Qusoor kis ka hai tu hi bata
Ikhtiyaar diya hai tu ne kitna
Insan apne ko tu ne maula
313. Ishq bhi to ‘sahil’ ik qimaar hi to hai
Aur zeest, maula se udhaar hi to hai
Na pa saka Shirin ko qasd se Kohkan
Qurbaani uski yaro ik haar hi to hai
314. Sar jhukata hai ‘sahil’ parvardigar ke aage
Jhukta hai jaise tinka kohsaar ke aage,
Jaise ghurur dosto
Azamat e khaaksaar ke aage
315. Main Itna bhi nahin kharaab hun
Na kisi ke chaman ka gulaab hun
Na koi dasht o sahra ka saraab hun,
Shab ka doobta hua sitaara sahi
Per, main itna bhi nahin kharaab hun
Na kisi dair o haram ki ktaab hun
Na Geeta ya Anjeel ka baab hun,
Rind maikade hi sahi, ‘sahil’
Per, main itna bhi nahin kharaab hun
Main ne kab kaha main la jawaab hun
Khuda ka jahan ko sawaab hun,
Daaghdaar hun, lekin hun to insan
Aur, main itna bhi nahin kharaab hun
Apne hi sawaalon ka jawaab hun
Apna sukoon, apna hi azaab hun,
Log mujh se kai achhe hain ‘sahil’ yahan
Per, main itna bhi nahin kharaab hun
316. Sab kuchh jo hota hai ‘sahil’ rab ki riza se hi,
Per,usi ki di hui ana thodi si aazaadi bhi chahti hai
317. Gar meesaaq ho zeest o qaza ke darmiyan
To kya jeena phir ‘sahil’ hoga aasaan
Fana ki tareekh agar muqarrar ho jaaye
Umeedon ke saharey na jiye phir insan
318. Ishq bhi to ‘sahil’ ik qimaar hi to hai
Aur zeest, maula se udhaar hi to hai
Na pa saka Shirin ko qasd se Kohkan
Qurbaani uski yaro ik haar hi to hai
319. Apnon se thi umeed, ghairon pe tha gumaan
Ghalat fahmi ka shikar ban na aaj kitna hai aasaan
Alfaaz ki shireeni pe mat jaana, yaro
Kaash hoti har dil ki bhi, ‘sahil’ ik apni zabaan
320. Daaghon se khauf kaisa daagh to chaand per bhi hain,
Gar raushani ho mukammal ‘sahil’ to andhere mit jaate hain
321. Main rang o bu e bahaar hun
Haseen suron ka sitaar hun,
Apna le mujhe ai khaak e zamin
Tu tishna hai main raag malhaar hun
321. Jaisa hai, haseen hai putle
Kuchh aur ban ne ki arzu kaisi,
Har lamha guzarta hai saamne se tere
Kuchh aur waqt ki justaju kaise
322. Woh mahabat hi kya ‘sahil’ jo hoti hai aur ki nahin jaati,
Aur woh zeest hi kya jo hote huay jee nahin jaati
323. Iblees ki rahi koskish mustaqil, bura na hua
Na kar saka woh mujhe haasil, bura na hua
Khair maqdam, ai sailaab e ashk
Halka hua dil mera ‘sahil’, bura na hua
Kuchh aadaten theen aisi, khwahishen na kaam
Guzarte waqt ne kiya muzmahil, bura na hua
Naasoor zakhm ne rakha zinda chund yaadon ko meri
Na hua woh mundamil, bura na hua
Khalwat pasand hai ab hamen apni dosto
Chhor di yaaron ki mehfil, bura na hua
Chalte rahey rahguzar per, kisi justaju baghair,
Aarzu na thi, na mili manzil, ‘sahil’ bura na hua
324. Woh mahabat hi kya ‘sahil’ jo hoti hai aur ki nahin jaati,
Aur woh zeest hi kya jo hote huay jee nahin jaati
325. Ai muttamanni insan kar le sulah haalat se,
Kaun jeeta hai kabhi mutalavvin auqaat se.
Mutamani, desirous
Mutalavvin, fickle
326. Khwaab jo hain mere, wohi khwaab ‘sahil’ hain terey
Gar aftaab hai tera to mah o anjum hain merey
Andheron se kyonkar darna, marg o zeest se kyon
Adam hi hai sab kuchh, kya bastiyaan kya derey
Aaghosh men hi shab ki milti hai raahat sab ko
Andherey na hon dosto to kya honge phir saverey
Qismat men kis ki kya hai, khwaabeedah rahega kaun
Andheron men nikalte hain safinon men machherey
Wafa ki baat mat kar, aqeedat ki hai kotahi
Maar e aasteen hain har ja, bula le tu saperey
Khaali hain haath ‘sahil’, khaali rahenge terey
Uthega na tu jis din bistar se phir saverey
Har bhadakta shola banta hai ik din dood
Naam o nishan nahin, na sulagte koi angaarey
327. Bataoge na gar raaz tum, raaz e fughan hamen
Banaya hai phir kaho jaanam, kaisa raazdaan hamen
Zinda dil hain, nafas purey, chalti phirti laash nahin
Kyonkar banaya hai sang ka, phir ishq e butaan hamen
Karni hai mahabat yaara to khul e aam kar deekha
Sajde na kar tasweer bana kar, dil men pinhaan hamen
Imtehaan kya lene us ghareeb ke jo sar ba sajda hai F
Aani hain, khuda ke bande, mat samajh javidaan hamen
Jhijhikna kya, dagmagana kya, jab qaul diya hai ‘sahil’
Qasmen kha kar di thi tu ne, apni zabaan hamen
Liye hai bahut maula ne yaro imtehaan ta umr
Kya pahuchaoge ab tum kaho koi gehra nuksaan hamen
328. Ghuroob se pehle aaftab ko dhalte dekha hai
Maut se pehle zindagi ko sanwarte dekha hai
Gulshan e hayat men sair karte, ‘sahil’
Hum ne ghunche ko fana se pehle ubharte dekha hai
329. Dhund le maazi men be naam o nishaan kahin
Guzar gaye jo kaarwaan na jaane ‘sahil’ kahin
Aandhiyon men kho gaye woh qaafile kuhan
Koi baab e ishq o zulm o karam, koi daastaan kahin
Tishna hun main kab se kinaaron pe baith baithe
Bana loonga ashk e darya main apna ravaan kahin
Andheron men kab mili hai manzil kisi ko, yaro
Ba himmat ko hi milta hai, khaavari ka sultan kahin
Ik muddat hui hai takte aasmanon ko, ‘sahil’
Samajhte na hon dua ko meri wo fughaan kahin
330. Udaasi aur khushi men farq kya hai ‘sahil’,
Badalte rehte hain auqat mehmaan kabhi kabhi mezbaan
331. Gar haasil e jannat ho hasrat to samajh aati hai baat
Neend ke jhonke aate rahen to guzar jaati hai raat
Aqeedat to bharosa hai, baat bunyaad ki kaisi, ‘sahil’
Tu momin hai, kya hui hai teri bata rab se mulaqaat
332. Barg e gul jis roz ‘sahil’ baagh se hawa hua
Ik hissa us chaman ka goya usi se phir juda hua
Hazaaron gul khiley huay, saman o gulaab bhi
Lekin, ik barg e gul ke hijr se, chaman bahot tanha hua
Baithe baithe muntazir ik roz tha main aab ka
Pyaas bujhayi ashkon se, ai tashnagi to kya hua
Ba khabar qismat se apni udaas tha sookha darya
Per, jis din mila sumundur se to mila bas rota hua
Azaan ki intezar kyon jab basa hai baatin men woh
Dil se karey tu yaad bande, to shukr rab ka ada hua
Khuzu o inkisaari se bas chalte rehna ‘sahil” tu
Jhuka rahe yeh sar tera, to musalsal phir sajda hua
Gar takhallus ‘sahil’ se ‘saabir’ kar dun
To kya zindagi behtar basar hogi
Thak jaata hai kinara sahara dete dete
Shayad inayat maujon ki tab nazar hogi
-----------------------------------------
Fakhr hai mujhe peeri pe apni dekhta hun jab jawan jo aur
Woh zabaan alag thi woh lihaaz alag dekhta hun ‘sahil’ ab zamaan jo aur
Hum se bichard ke, ai waqt, tujhe kya mila bata
Kuch der aur humsafar rehte tujhe phoolon se dete , saja
Ab mazaar pe aa phool chadhayenge log, ‘sahil’
Yeh waqt ka taqazza nahin to aur kya hai bata
336. Bin taqseer de ta’azeer to yaad rahey munsif
Aakhiri saza o jaza to baargaah e khuda men hogi
337. Dil giraft mat ho ‘sahil’ majboor hai qismat bhi,
Hairaan hai tujh ko dekh kar teri humsafar himmat bhi
Top of Form
338. Main ne kuchh na maanga namaz men
Riza uski meri awaaz men,
Nafas uske jaan uski ‘sahil’
Main maangun to kya namaz men
339. Khud to dhund len sukoon teri sifarish bhi kar lenge
Rab se hum ‘sahil’ yeh guzarish bhi kar lenge
340. Udti gard ko dekh kar yun laga aaj ‘sahil’
Main hun, khaak nahin,khalaaon men parwaaz
341. Jo nahin hai qismat men ‘sahil’ usey kahan se laaun main
Na kaam rahegi woh aarzu jahan bhi jaun main
342. Qurbaton ki baat mat kar
Nazdikiyon ki taaren mat chherd,
Gham ke tarane hain un men
‘Sahil’ simti hui yaaden mat uddher
343. Kuchh hasraten na kaam reh jaati hain
Kuchh baaten ankahi,
Yehi hai haqeeqat ‘sahil’
Kaun jaane kya ghalat kya sahi
344. Na kaam na rahey to wo hasrat hi kya
Zabaan talkh na ho to shireeni kya
Har shai ho bande gar teri riza se
Phir, riza e khuda aur anhoni kya
345. Ruh ke rishte ruh hi samjhe
Ruh ko kis ne jaana hai,
Takte reh baatin men ‘sahil’
Gar rab ko tu ne paana hai
346. Mafhoom e ishq mat sikhao mujhe
Koi kohkan sa aashiq dikhao mujhe
Maikade ki sharab se waqif hai ‘sahil’
Tum mai e naab la kar pilao mujhe
347. Daastaan e hayaat kya bataun tumhen
Jeene se miley fursat to Sunaun tumhen
Gharib khaane men aao, khumgah men kya
Zaahid ke jalvey dikhaun tumhen
Fana ke ho mushtaq, karo rukh is taraf
Jalati hai sham’a kaise, bataun tumhen
Andaleeb e chaman ko bhool jaoge
Dil ki taaron ko chherd, geet sunaun tumhen
Gar rakhte ho shauq saveron ka yaro
To, sultan e khavari se milwaun tumhen
Woh maskhara nahin hai, ab bhoolo usey
Sanjeedah hai ‘sahil’, aao hansaun tumhen
348. Mafhoom e ishq mat sikhao mujhe
Koi kohkan sa aashiq dikhao mujhe
Maikade ki sharab se waqif hai ‘sahil’
Tum mai e naab la kar pilao mujhe
349. Barg e gul jis roz ‘sahil’ baagh se hawa hua
Ik hissa us chaman ka goya usi se phir juda hua
Hazaaron gul khiley huay, saman o gulaab bhi
Lekin, ik barg e gul ke hijr se, chaman bahot tanha hua
Baithe baithe muntazir ik roz tha main aab ka
Pyaas bujhayi ashkon se, ai tashnagi to kya hua
Ba khabar qismat se apni udaas tha sookha darya
Per, jis din mila sumundur se to mila bas rota hua
Azaan ki intezar kyon jab basa hai baatin men woh
Dil se karey tu yaad bande, to shukr rab ka ada hua
Khuzu o inkisaari se chalte rehna bas ‘sahil” tu
Jhuka rahe yeh sar tera, to musalsal phir sajda hua
350. Main to jiyunga zeest ‘sahil’ fikr abadi ki koi aur karey,
Har nafas hai zindagi, hisaab neki badi ka koi aur karey
351. Humsafar hai tu zeest, bas chalte rehna
Neend aa jaaye to ‘sahil’ ki aaghosh men so jaana
Mubarak ho tujhe aaftaab e subh, varna
Dostları ilə paylaş: |