Khwabon ki duniya men jhulte rehna
352. Woh dard hi kya jis men kasak na ho
Bharosey men agar halka shak na ho
Sach aur jhoot do dhara talwar hain, ‘sahil’
Woh jeena hi kya jo marne tak na ho
353. Kal tak jo rang zard tha, aaj hai woh shafaq guun
Badla hai rang tere lahu ka, ‘sahil’ bata tu kyon
Falak wohi, sumundur wohi, tujhe hua hai kya
Kya tere yaqin ne kiya dur tujhe se, tera zahni zaboon
354. Sawaal kya karen tujh se, ai mere maula, jab
Teri baargaah men pahunchna muhaal na hua
Hayaat guzri hai ‘sahil’ ki khushgawaar bahot
Kya teri mehar ka barasna, kamaal na hua
--
356. Kaasa liye ghoomta hai jo
Labrez wo taskeen se jaam
Usi men ‘sahil’ hai umeed o qasd
Faqir ki har subh o sham
357. Qurbaton ki baat mat kar
Nazdeekiyon ki taaren mat chherd
Gham ke taraane hain un men ‘sahil’
Simti hui yaadon ko mat chherd
358. Kuchh hasraten na kaam reh jaati hain
Kuchh baaten ankahi,
Yehi hai haqeeqat ‘sahil’
Kaun jaane kya ghalat kya sahi
359. Na kaam na rahey to wo hasrat hi kya
Zabaan talkh na ho to shireeni kya
Har shai ho bande gar teri riza se
Phir, riza e khuda aur anhoni kya
340. Kya zeest ki shab e hijr hai yeh jalti bujhti sham’a
Pighalti mom ya ashkon ka izhaar hai yeh ‘sahil’
341. Jo chashm se girey woh shabnam kuch aur hai
Jo falak se barse woh mausam kuch air hai
Partau e maah sumundur men kuch aur hai
Teri aankhon men jaanam kuch aur hai
Do ashkon ka sahara, sahara nahin
Haamiye ranj o alam, kuch aur hai
Andhera hai har su bawajud e maah
Taareeki e shab e gham, kuch aur hai
Sang e marmar ke bana lo ma’bad jo chaaho
Baatin men dair o haram, kuch aur hai
Daulat, shauhrat, khalwat ‘sahil’, apni jagah
Dil ka sukun o chain o aman, kuch aur hai
342. Har shai yaan faani zindgani bhi
Phir batao hamen yaro hain sahare kahan
Jinhen samajhte hain hum apna
‘Sahil’ wo hamare kahan
343. Kaun jaane kaun kab sidhaare kahan
Manjdhaar safina kya jaane kinare kahan
Kor chashm kya batay ‘sahil’
Falak pe hain sitare kahan
344. Mujhse dur reh ai bulbul meri khalwat se bahot dur
Naghme tere shireen kahin ghamgin na ban jayen
345. Yaadon ke saharey jeena bhi khuskgawaar hai ‘sahil’
Pehan leta hai asr e haal jab pairahan azaab ka
346. Haath men kya hai bata ‘sahil’ kya jaam e sahba hai
Ya mai e naab aur aaghosh men tere koi farishtah hai
Num hain kyon chashm tere jab khumgaah hai qareeb
Qataar hai yeh shabnam ki ya koi behta darya hai
Sawaal kyon karte ho mujh se yaro, qataar o darya ke
Behne do ashkon ko mere, aansu kaun ginta hai
Gham se ghira ho gar insan to sab kuchh hota hai
Maah o anjum jagaate hain aur aaftaab sulata hai
Asr e haazir ko rakh vaaiz, madd e nazar tu
Zabaan teri alag hai kuchh, aaj khutbe kaun sunta hai
Fursat kisey hai is jahan men khud parasti se ‘sahil’
Jab dair o haram hain soney ke, wahan daulat hi maula hai
347. Bahar ho khumar ho pehlu men yaar ho
Phir chaahe chaak daaman, taar taar ho
Khazan bhi manzur hai, ai ‘sahil’ sahib
Aur teer bhi jigar ke chaahe aar paar ho
348. Wo dastaan hi kya ‘sahil’ jis men dil lagi na ho
Tabassum, kuchh aansu, kuchh maskhari na ho
349. Fursat kisey hai is jahan men khud parasti se ‘sahil’
Jahan dair o haram banen soney ke wahan daulat hi maula hai
350. Zingagi to har haal ek haseen yaqin hai
Tanqid jo karey woh dushman e deen hai
Falak per sitaare hain manind e khwaab
Paon taley hi ‘sahil’, teri sar zameen hai
Baat pukhtagi ki mat karo, firasatmando
Jahan men kuchh bhi jaavidaan nahin hai
Insan insan men hoti hai tafreeq bahot
Yaro, kya har parinda kaho shaaheen hai
La’al o gauhar na hi qaarun ki daulat
Saada mizaaji hi ‘sahil’ asl nageen hai
Ai ahl e siyaasi, humsafar hai maut
Tumhara ghuroor insaniyat ki tauheen ha
351. Gardish e ayyam ho ‘sahil’ ya gardish e girdaab
Rahey umeed dil men zinda bhaley chashm hon pur aab
Aandhiyon ka kya bharosa, naseem o saba ka kya
Rakh charaghaan sham’a dil men aftab ho ya mahtaab
352. ‘Sahil’, mukhtasar manind e habaab hai hayaat
Jaise subh o shaam ke darmiyan na ho koi raat
Jaise sahra men hoti hai barson men barsaat
Jaise khwabon men ho kisi hur se mulaqaat
Jaise bisaat men hoti hai shai aur maat
Jaise zabaan per reh jaati hai unkahi baat
Jaise hotey hain rishtey khud men be sabaat
Jaise saari hai ‘sahil’ yeh rab ki kaayenaat
353. Aftab nahin, maah nahin, akhtar bhi nahin
Andheron men hai duniya kahin noor nahin
Sham’a e dil ko raushan rakh varna, ‘sahil’
Kya karega, koi Musa kahin toor nahin
354. Kamyaabi ko manzil mat bana ‘sahil’
Na sheb o faraaz safar ka hissa hai
Jo gira nahin woh uthega kya
Hayaat ka yehi to qissa hai
-
355. Ai maalik tere bande hum
Phir kyon har ja yeh jaur o sitam
Taraqqi ke evaz hai har su tabaahi
Rukhon pe hai sabke kyon ranj o alam
356. Khuda se kuchh maangna mere mashrab khilaaf hai
Ke nahin samajhta hun ‘sahil’ main anjaan usey
357. Baat firdaus ki mat kar ai zaahid mian
Mai na pi to mai e naab kya piyega,
Bin koi khumar ai bad naseeb
Zindagi bata tu kya jiyega
358. Mina e mai hai ya mai e naab
Darya ya aab e kausar ‘sahil’,
Kharabaat e jahan ka saqi
Ya arsh e bareen ki hai yeh mehfil
359. Alag hai jahan maikashon ka ‘sahil’
Vaaiz kya jaane kya hai unki manzil,
Khuld alag, jahannum alag, per
Unke liye hain yeh donon mutassil
360. Woh jo sang e marmar ka banaye aashiyan mera
Usey but e shirin ada kahun ya aamir kahun
'Sahil' meharbaan to khelte hain falak ki shabnam se,
Shughal ho jiska zaalimana usey dost ya jaabir kahun
361. Haseen wo bahot sham thi
Jo shab ki na ghulam thi
Sula ke shab ko khwabon men
Subh se‘sahil’ inzimaam thi
362. Ulfat men tabassum kum aur ashk kyon zyada hotey hain,
Bata ‘sahil’ mahabat karnewaale mazeed kyon rotey hain
363. Maqsad e zeest kya hai kisey mila jawaab
Asr e haal ne kab rakha tere maazi ka hisaab
Har pal 'Sahil' hai mukammal hayaat
Sukoot sumundar men bhi hotey hain girdaab
364. Naasur zakhm ki fikr na kar
Behna to shauq ha us ka
Qaatil se kya umeed,'Sahil'
Qatl to zauq hai us ka
Top of Form
Dostları ilə paylaş: |