Note: Please listen mp3 before preparing these questions & answers / In Sawal Jawab ko tayyar karne se pehle mp3 zaroor sune a) answer (saws): Sallallaahu 'alaehe wasallam (r a): Radi Allahu Anha



Yüklə 321,14 Kb.
səhifə2/4
tarix01.08.2018
ölçüsü321,14 Kb.
#64891
1   2   3   4
Ibrahim (a.s)

  1. Who was Ibrahim?

Ibrahim kaun the?

  1. Prophet of Allah / Allah ke Nabi 




  1. Where was Ibrahim (a.s) born?

Ibrahim (a.s) kahan paida hue?

  1. Babylon / Babil 




  1. What was the title given to father of Ibrahim (a.s)?

Ibrahim (a.s) ke walid ka kya title tha?

  1. Aazar 




  1. When Ibrahim (a.s) asked his people and his father that whom do you worship. Why did they say?

Jab Ibrahim (a.s) ne apne walid aur logon se poocha ki tum kiski ibadat karte ho tou unhone kya kaha?

  1. They said we worship idols / Unhone kahan hum buthon ki ibadat karte hain 




  1. When Ibrahim (a.s) have asked his people, do these idols whom you worship give you any benefit or harm then what they replied?

Jab Ibrahim (a.s) ne apne logon se poocha ki jin buthon ki tum ibadat karte ho, kya woh tum kuch faida ya nuksaan paucha sakte hain tou unhone kya jawab diya?

  1. We worship these idols because we saw our forefathers worshiping them / Hum inki ibadat karte hain kyonki humne apne baap dada ko inki ibadat karte dekha 




  1. When Ibrahim (a.s) tried to convince his father not to worship idols then whom he compared those idols?

Jab Ibrahim (a.s) ne apne walid ko buthon ki ibadat na karne ke liye samjhaya tou unhone buthon ki kisse joda?

  1. He compared them as shaitan / Unhone buthon ko Shaitan se joda 




  1. What was the title given to Ibrahim (a.s)?

Ibrahim (a.s) ko kya laqab mila?

  1. Khalilullah 




  1. What Ibrahim (a.s) has finally decided when his people did not stop worshiping idols?

Ibrahim (a.s) ne akhir mein kya faisla kara jab unke logo ne buthon ki ibadat karna band nahin kara?

  1. To break those idols / Buthon ko todne ka 




  1. What did Ibrahim (a.s) do when his people went outside the city to celebrate their festival?

Ibrahim (a.s) ne kya kara jab unke log sheher se bahar apna tyohar manane gaye?

  1. He did not go to them / Wo unke saath nahin gaye 




  1. Why Ibrahim (a.s) did not go with his people to celebrate the festival?

Ibrahim (a.s) apne logon ke saath tyohaar banae kyon nahin gaye?

  1. Because he wanted to break the idols / Kyonki wo un buthon ko todna chahate the 




  1. How many idols Ibrahim (a.s) broke?

Ibrahim (a.s) ne kite buthon ko toda?

  1. All of them except biggest one / Sabko siwaye sabse bade wale ki 




  1. What Ibrahim (a.s) said when people asked who has broken these idols?

Ibrahim (a.s) ne kya kaha jab logo ne poocha yeh buthon ko kisne toda?

  1. He said this biggest Idol has broken all these idols / Unhone kaha ki is bade wale buth ne toda hai 




  1. What Ibrahim (a.s) said when his people doubt on him that he has broken these idols?

Jab logo ne Ibrahim (a.s) par shakh kara ki shayad inhone buthon ko toda ho tou Ibrahim (a.s) ne kya kaha?

  1. He said why don’t you ask this big idol / Unhone kaha ki tum is bade wale buth se kyon nahin poochte 




  1. What people of Ibrahim (a.s) responded when Ibrahim (a.s) said to them that why don’t you ask this big idol that who has broken these idols?

Logo ne kya kaha jab Ibrahim (a.s) ne bola ki tum is bade buth se kyon nahin pooche ki in buthon ko kisne toda hai?

  1. They said these idols cannot speak / Unhone kaha ki yeh buth bol nahin sakte 




  1. What punishment people has decided to give Ibrahim (a.s)?

Logo ne Ibrahim (a.s) ko kya saza dene ka faisla kara?

  1. They prepared a huge fire to burn Ibrahim (a.s) / Unhone ek bahaut hi badi aag tayyar kari Ibrahim (a.s) ko zinda jalane ke liye 




  1. What Dua Ibrahim (a.s) made when people was going to throw him in the fire?

Ibrahim (a.s) ne kya Dua maangi jab logo unko aag mein phekne lage?

  1. Hasbunallahu Wa Ni’mal Wakeel 




  1. What is the meaning of “Hasbunallahu Wa Ni’mal Wakeel”?

“Hasbunallahu Wa Ni’mal Wakeel” ka kya matlab hai?

  1. Allah is Sufficient for us, and He is the Best Disposer of affairs for us / Humein Allah kafi hai aur woh hi behtareen karsaaz hai 




  1. Who should read “Hasbunallahu Wa Ni’mal Wakeel”?

“Hasbunallahu Wa Ni’mal Wakeel” kisko padna chahiye?

  1. Every needy and troublesome person / Har mauhtaaj aur musibatzada ko padna chahiye 




  1. What happened to Ibrahim (a.s) when he was thrown into the fire?

Ibrahim (a.s) ko kya hua jab unko aag mein pheka gaya?

  1. Fire had cooled down on him / Aag un par dhandi par gayee 




  1. What were the things Fire has burnt when Ibrahim (a.s) was thrown into the fire?

Aag ne kya jalaya jab Ibrahim (a.s) ko aag mein daala gaya?

  1. Only those ropes through which Ibrahim (a.s) was tied / Sirf wo rassi jisse Ibrahim (a.s) ko banda gaya tha 




  1. After seen that miracle that Ibrahim (a.s) came out of fire safely without any harm to his body, how many people believed as Prophet of Allah?

Jab wo maujozah dekha ki jab Ibrahim (a.s) aag se bahar bina kisi nuksan ke bahar aa gaye tou kitne log un par imaan laaye?

  1. 1 




  1. Who believed in Ibrahim (a.s) after seen miracle of fire from where he came out safely?

Ibrahim (a.s) par kaun imaan laaya jab wo aag se bina ki nuksan ke bahar aa gaye?

  1. Lut (a.s) 




  1. Which King has ordered to present Ibrahim (a.s) in his Palace after hearing the incident of fire?

Kaunse Baadsha ne Ibrahim (a.s) ko apne mahal mein aane ka hukum diya jab usko aag ke haadse ke bare mein pata chala?

  1. Nimrood 




  1. King Nimrood used to call himself a god, is it right?

Kya Nimrood baadshah khud ko khuda kehta tha?

  1. Yes 




  1. When Nimrood asked Ibrahim (a.s) about his Rabb, what Ibrahim (a.s) replied?

Jab Nimrood ne Ibrahim (a.s) se unke Rabb ke bare meni poocha tou Ibrahim (a.s) ne kya kaha?

  1. He said, my Rabb is who gives life and death / Unhone kaha mera Rabb zindagee aur maut deta hai 




  1. What did Nimrood replied to Ibrahim (a.s) when he heard from Ibrahim (a.s) that my Rabb is who gives life and death?

Nimrood ne kya jawab diya jab usne suna ki Ibrahim (a.s) ka Rabb zindagee aur Maut deta hai?

  1. He said, I also gives life and death / Usne kaha ki mein bhi Zinadagee aur Maut deta hoon 




  1. How did Nimrood try to proof his statement that he gives life and death?

Nimrood ke kis tarah sabit karne ki koshish kari ki wo zindagee aur maut deta hai?

  1. He brought two prisoners who got capital punishment, he ordered to kill one of them and forgive another one / Usne apne do kaidiyon ko bulwaya aur unmein se ek ko baksh diya aur dosre ko maar diya 




  1. Since Nimrood used to call himself god, so what proof Ibrahim (a.s) asked from him other than life and death?

Nimrood khud ko khuda kehta tha, tou Ibrahim (a.s) ne usse kya saboot maanga zindagee aur maut ke alawa?

  1. He said, Allah make the sun rise from east, can you make it rise from west / Unhone kaha ki Allah Suraj ko Mashriq se nikalta hai tu isko Maghrib se nikaal de 




  1. Where did Ibrahim (a.s) migrate from Iraq?

Ibrahim (a.s) Iraq se kahan par hijrat karke gaye?

  1. Haran (As-Shaam) 




  1. Who do the People of city of Haran used to worship?

Haran ke log kiski ibaadat karte the?

  1. Stars / Sitare 




  1. Who was the first wife of Ibrahim (a.s)?

Ibrahim (a.s) ki pehli biwi kaun thee?

  1. Sarah (a.s) 




  1. Ibrahim (a.s) said to his people (just to show the truth) that huge star is my rabb, but when that star went into hiding then what did he say?

Ibrahim (a.s) ne apne logo se kaha ki yeh bada sitara mera rabb hai, magar jab who sitara guroob ho gaya tou unhone kya kaha?

  1. How can it my rabb when it hides / Guruub hone walee cheez mera rabb kase ho sakta hai 




  1. Ibrahim (a.s) said to his people (just to show the truth) that this moon is my rabb, but when moon went into hiding then what did he say?

Ibrahim (a.s) ne apne logo se kaha ki yeh chand mera rabb hai, magar jab chand guroob ho gaya tou unhone kya kaha?

  1. How can it my rabb when it hides / Guroob hone walee cheez mera rabb kase ho sakta hai 




  1. Ibrahim (a.s) said to his people (just to show the truth) that this Sun is my rabb, but when sun also went into hiding then what did he say?

Ibrahim (a.s) ne apne logo se kaha ki yeh Suraj mera rabb hai, magar jab Suraj guroob ho gaya tou unhone kya kaha?

  1. How can it my rabb when it sets / Guroob hone walee cheez mera rabb kase ho sakta hai 




  1. What Ibrahim (a.s) trying to show his people just by saying that this star or moon or sun is my rabb?

Ibrahim (a.s) kya deekhana chahate the job unhone kaha ki yeh sitara, chand aur suraj mera rabb hai?

  1. He wanted to tell his people that these things are the creation of Allah not Rabb / Wo logo ko batana chahte the ki yeh sab Allah ki banayee cheeze hain Rabb nahin 




  1. Where did Ibrahim (a.s) migrate from As-Shaam?

Ibrahim (a.s) as-Shaam se kahan hijrat karke gaye?

  1. Egypt (Misr) 




  1. Why Sarah (wife of Ibrahim (a.s)) told the King of the Egypt that she is the sister of Ibrahim (a.s)?

Sarah (a.s) ne baadsaah ko kyon kaha ki who Ibrahim (a.s) ki behen hai?

  1. Because King used to kill the husband of women / Kyonki baadshah auraton ke shahaur ko qatal diya karta tha 




  1. What happened when King of Egypt tried to take a hold of Sarah (a.s) with his hand?

Misr ke baadshaah ka kya hua jab usne Sarah (a.s) ke haath ko pakadna chaha?

  1. His hand got stiff / Uska haath sakht pad gaya 




  1. After the hand of the King of Egypt got stiff, what did he ask Sarah (a.s)?

Jab Misr ke baadshah ka haath sakht pad gaya tuo usne Sarah (a.s) se kya kaha?

  1. Pray to Allah for me and I shall not harm you / Mere liye Allah se Dua mango, mein ab tum koi nuksaan nahin pauchaonga 




  1. What happened when King of Egypt tried to take a hold of Sarah (a.s) with his hand for the second time?

Misr ke baadshaah ka kya hua jab usne Sarah (a.s) ke haath dosri baar pakadna chaha?

  1. His hand got stiff, stiffer than before / Uska haath fir se sakht pad gaya pehle se bhi zada 




  1. After the hand of the King of Egypt got stiff second time, what did he ask Sarah?

Jab Misr ke baadshah ka haath dosri baar sakht pad gaya tuo usne Sarah (a.s) se kya kaha?

  1. Pray to Allah for me and I shall not harm you / Mere liye Allah se Dua mango, mein ab tum koi nuksaan nahin pauchaonga 




  1. King of Egypt got scared because of his hand got stiff again and again, what did he do with Sarah (a.s)?

Misr ka Baadshah ka haath baar baar sakht padne se wo darr gaya, tou fir usne Sarah (a.s) ke saath kya kara?

  1. He allowed Sarah (a.s) to go and gifted her Hajra (a.s) / Usne Sarah (a.s) ko jaane diya aur unko Hajra (a.s) tohfe ke taur pe di 




  1. Where did Ibrahim (a.s) migrate from Egypt?

Ibrahim (a.s) Misr se kahan par hijrat kar ke gaye?

  1. Palestine (Philistine) 




  1. What is the relation of Lut (a.s) with Ibrahim (a.s)?

Lut (a.s) Ibrahim (a.s) ke kaun the?

  1. Nephew / Bhatije 




  1. Whom Allah sent Lut (a.s)?

Lut (a.s) ko Allah ne kis kaum par bheja tha?

  1. Sodom 




  1. Who was the second wife of Ibrahim (a.s)?

Ibrahim (a.s) ki dosri biwi kaun thee?

  1. Hajra 




  1. Allah gave son to Ibrahim (a.s) and Hajra (a.s), what was his name?

Allah ne Ibrahim (a.s) aur Hajra (a.s) ko ek beta diya, uska kya naam tha?

  1. Ismael (a.s) 




  1. Who was Ismael (a.s)?

Ismael (a.s) kaun the?

  1. Prophet of Allah / Allah ke Nabi 




  1. When Ibrahim (a.s) left Hajra (a.s) and his son Ismael (a.s) to Makkah, at that time who was living in Makkah?

Jab Ibrahim (a.s) ne Hajra (a.s) aur apne bete Ismael (a.s) ko Makkah mein chora tou wahan kaun rehta tha?

  1. No one / Koi nahin 




  1. When Ibrahim (a.s) left Hajra (a.s) and his son Ismael (a.s) to Makkah, what did Hajra (a.s) asked Ibrahim (a.s)?

Jab Ibrahim (a.s) ne Hajra (a.s) aur apne bete Ismael (a.s) ko Makkah mein chora tou Hajra (a.s) ne Ibrahim (a.s) se kya sawal kara?

  1. Is this the order of Allah / Kya yeh Allah ka hukum hai 




  1. What did Hajra (a.s) do when she ran out of food and water?

Jab Hajra (a.s) ka khana aur paani khatam ho gaya tou unhone kya kara?

  1. She climbed to the hills of Safa and Marwa to see if there is water or food / Unhone Safa aur Marwa ki Pahari par chad kar dekha ki kahin paani ya khana hai 




  1. What we do today in Hajj and Umrah to commemorate Hajra (a.s)?

Hajj aur Umrah mein hum aiesa kya karte hain Jo Hajra (a.s) ki yaadgaar hai?

  1. Sa’i 




  1. How many times Hajra climbed these hills of Safa and Marwa to find out water or food?

Hajra (a.s) kitni baar Safa Marwa ki pahadi par chari?

  1. 7 




  1. What has happened when Hajra (a.s) climbed to the hills 7th times i.e. Marwa?

Kya hua jab Hajra (a.s) 7th baar phadi par chadi yani Marwa par?

  1. She heard a voice and saw that water is gushing out under the feet of Ismael (a.s) / Unhone ek awaaz suni aur dekhti hain ki Ismael (a.s) ke pairon ke neeche se paani nikal raha hai 




  1. How that water came out under the feel of Ismael (a.s)?

Ismael (a.s) ke pairon ke niche se paani kaise nikalne laga?

  1. Angel Jibreel (a.s) came down to help Hajra (a.s) and he hit his wing to the ground and water started coming out / Jibreel (a.s) Hajra (a.s) ki madad ke liye neeche aaur aur unhone apna par zameen par maara jisse paani nakalne laga 




  1. When Jibreel (a.s) hit the ground through his wing and water gushing out of the ground, what we called that water today?

Jab Jibreel (a.s) ne apna par zameen par maara aur paani zameen se nikalne laga, Hum us paani ko aaj kya kehte hain?

  1. Zamzam 




  1. When Hajra (a.s) saw that water coming out of the ground and going everywhere so she made the small walls around that water and she said two words what were those words?

Jab Hajra (a.s) ne dekha paani zameen se nikal raha hai aur har tarah ja raha hai tou unhone paani ke charo tarah choti choti deewarein bana di aur do lafz kahe, wo do lafz kya hain?

  1. Zam Zam 




  1. What is the meaning of Zam Zam?

Zam Zam ka kya matlab hai?

  1. Stop Stop / Rukja Rukja 




  1. What was the name of the first tribe that started to live near the well of Zam Zam?

Us pehle qabeele ka kya naam tha jisne Zam Zam ke paas rehna shuru kara?

  1. Banu Jurhum 




  1. What language Banu Jurhum used to speak?

Banu Jurhum kaunsi zabaan bolte the?

  1. Arabic 




  1. How did Ismael (a.s) learn Arabic?

Ismael (a.s) ne Arabic kaisee seekhi?

  1. From the tribe of Banu Jurhum / Banu Jurhum ke qabeele se 




  1. Which Masjid (house of Allah) is the first Masjid?

Dunya ki kaunsee Masjid sabse pehli masjid hai?

  1. Kabah 




  1. What dream Ibrahim (a.s) saw related to his son Ismael (a.s)?

Ibrahim (a.s) ne Ismael (a.s) ke tallow se kya khuwab dekha?

  1. He saw that he is sacrificing his son Ismael (a.s) / Unhone dekha ki wo apne bete Ismael (a.s) ki qurbani de rahe hain 




  1. Every dream of a Prophet is the revelation from Allah, so what Ibrahim (a.s) decided after seeing the dream of his son Ismael (a.s)?

Hare k nabi ka khuwab Allah ki taraf se wahi hoti hai, tou Ibrahim (a.s) ne kya faisla liya us khuwab ke talluq se jo unhone apne bete Ismael (a.s) ke bare mein dekha tha?

  1. He decided to sacrifice his son / Unhone unko Qurban karne ka faisla liya 




  1. When Ibrahim (a.s) told Ismael (a.s) about his dream so what did Ismael (a.s) said?

Jab Ibrahim (a.s) ne Ismael (a.s) ko khuwab ke bare mein bataya tou unhone kya kaha?

  1. He said do what Allah has commanded you / Unhone kaha ki aap wahi karein jo Allah ne aapko hukum diya hai 




  1. What happened when Ibrahim (a.s) tried to sacrifice his son Ismael (a.s) through the knife?

Jab Ibrahim (a.s) ne apne bete Ismael (a.s) ko zibah karne ki koshish kari?

  1. Knife did not cut the neck of Ismael (a.s) / Churi ne Ismael (a.s) ka gala nahin kata 




  1. Dream of Ibrahim (a.s) was the test from Allah for Ibrahim (a.s) and his son Ismael (a.s), did they pass the test?

Ibrahim (a.s) ka khuwab Ibrahim (a.s) aur unke bete Ismael (a.s) ke liye ek imteham tha, kya wo imtehaan mein pass hue?

  1. Yes both of them pass the test / Haan dono imtehan mein pass ho gaye 




  1. After Ibrahim (a.s) pass the test of Allah, Jibreel (a.s) came down and brought a Sheep from Paradise to sacrifice, how many years that sheep was grazing in Paradise?

Jab Ibrahim (a.s) ne Allah ka imtehaan pass kar liya tou Jibreel (a.s) Jannat se ek bhedh (sheep) laaye, wo bhedh Jannat mein kitne saal se apna khana charr rahee the?

  1. 40 




  1. Jibreel (a.s) brought a sheep from Paradise for Ibrahim (a.s) to sacrifice, what was the color of that sheet?

Jo Jibreel (a.s) Jannat se bhedh (sheep) laaye the, jisko Ibrahim (a.s) ne zibah kara, uska rang kaisa tha?

  1. White / Safed 




  1. Which festival we celebrate every year in commemorate this sacrifice of Ibrahim (a.s)?

Kaunsa Tyohaar mein Ibrahim (a.s) ki yaadgaar mein harr saal manate hain?

  1. Eid-ul-Adha 




  1. Why we sacrifice an animal on Eid-ul-Adha?

Hum Eid-ul-Adha ko jaanwar Qurbaan kyon karte hain?

  1. To thank Allah and to realize that he has given us very easy test as compared to Ibrahim (a.s) / Allah ka Shukr ada karne ke liye aur yeh ahsaas karne ke liye ki Allah ne humko behad aasaan imtehaan diya Ibrahim (a.s) banizbat 




  1. What was the approximate age of Ibrahim (a.s) and Sarah (a.s) when Ibrahim (a.s) got the good news from Allah for second son?

Ibrahim (a.s) aur Sarah (a.s) ki taqriban kitni umar ki jab Allah ne unko dosre bete ki Khushkhabri sunayee?

  1. Ibrahim (a.s): 120 / Sarah (a.s): 90 




  1. How many angels came down to give good news to Ibrahim (a.s) for second son?

Ibrahim (a.s) ko dosre bete ki khush khabri dene ke liye kitne farishte aaye the?

  1. 3 




  1. What was the name of the second son of Ibrahim (a.s)?

Ibrahim (a.s) ke dosre bete ka kya naam tha?

  1. Is’haaq (a.s) 




  1. Is Is’haqq a Prophet of Allah?

Kya Is’haaq Allah ke ek nabi hain?

  1. Yes / Haan 




  1. What was the other purpose of three angels who came down to give good news to Ibrahim (a.s) for second son?

Jo farishte Ibrahim (a.s) ko dosre bete ki khush khabri dene aaye the unka aane ka dosra maqsad kyat ha?

  1. They came to destroy the people of Lut (a.s) / Wo Lut (a.s) ke logo ke liye azaab laaye the 




  1. Three angels who came down to give the good news to Ibrahim (a.s) and Sarah (a.s) for their son Is’haaq, they also gave the good news of grandson i.e. son of Is’haaq, what was his name?

Jo teen farishte Ibrahim (a.s) aur Sarah (a.s) unke bete ki khush khabri dene aaye the, unhone unko pote ki bhi khush khabri di, uska kya naam tha?

  1. Yaqoob (a.s) 




  1. Allah had ordered Ibrahim (a.s) to build Bait-Ullah (Kabah) with his son, what was the name of that son?

Allah ne Ibrahim (a.s) ko unke bete ke saath Bait-Ullah (Kabah) banane ka hukum diya, us bete ka kya naam tha?

  1. Ismael (a.s) 




  1. When Ibrahim (a.s) and Ismael (a.s) was building the Kabah, what Dua they were asking from Allah?

Jab Ibrahim (a.s) aur Ismael (a.s) Kabah bana rahe the tou wo kya Dua Allah se maang rahe the?

  1. Our Lord, accept our service / Ye humare Rabb, tu humare is kaam ko qabool farma 




  1. Which Prophet Allah were sent as acceptance of Dua of Ibrahim (a.s)?

Allah ne kis Nabi ko bheja Ibrahim (a.s) ki Dua ki Qabooliyat ke badle?

  1. Muhammadur Rasool Allah (saws) 




  1. Which stone Allah sent from Paradise for Kabah?

Kaun paththar Allah ne Jannt se bheja Kabah ke liye

  1. Hajr-e-Aswad 




  1. What was the original color of Hajr-e-Aswad?

Hajr-e-Aswad ka asli rang kyat ha?

  1. White 




  1. Ibrahim (a.s) used to stand up on a stone to build the Kabah, what is the name of that stone?

Ibrahim (a.s) ek paththar par khade hokar Kabah banaya karte the, us paththar ko hum kya kehte hain?

  1. Maqaam-e-Ibrahim 




  1. What happened when Ibrahim (a.s) stood on a stone called Maqaam-e-Ibrahim to build the kabah?

Kya hua jab Ibrahim (a.s) ek paththar yani Maqaam-e-Ibrahim par khade hue Kabah banana ke liye?

  1. Stone melted and few inches of his feet went inside the stone / Paththar pighar gaya aur unke pairon ka kuch hissa paththar mein dhas gaya 




  1. Where is the Maqaam-e-Ibrahim right now?

Aaj Maqaam-e-Ibrahim kahan hai?

  1. Near Kabah in Masjid-Al-Haram / Masjid-Al-Haram mein Kabah ke paas 




  1. Do we worship Kabah?

Kya hum Kabah ki ibaadat karte hain?

  1. No it is just the Qibla / Nahin wo sirf Qibla hai 




  1. What is Qibla?

Qibla kya hota hai?

  1. It is a direction for us when we pray Salah for Allah / Wo ek direction hai jiski taraf muh karke hum Allah ke liye Namaz pade the 




  1. We circumambulate Kabah in Masjid-Al-Haram, what it is called?

Hum Masjid-Al-Haram mein Kabah ke Charon kar chakkar lagane ko kya kehte hain

  1. Tawaf 




  1. How many times we go around the Kabah to complete one Tawaf?

Hum kabah ke kitne chakkar lagate hain jisse ek Tawaf poora hota hai?

  1. 7 




  1. Other than Salah and Tawaf, for what else we go to Kabah?

Namaz aur Tawaf ke alawa hum Kabah kis aur maqsad ke liye jaate hain?

  1. Hajj & Umrah 




  1. What is the name of the city and country where we have Kabah?

Kabah kis mulk ke kis sheher mein hai?

  1. Makkah, Saudi Arabia 




  1. What was the age of Ibrahim (a.s) when he died?

Ibrahim (a.s) ki kitni umar thee jab unki maut hui?

  1. 175 


Yüklə 321,14 Kb.

Dostları ilə paylaş:
1   2   3   4




Verilənlər bazası müəlliflik hüququ ilə müdafiə olunur ©muhaz.org 2024
rəhbərliyinə müraciət

gir | qeydiyyatdan keç
    Ana səhifə


yükləyin