Note: Please listen mp3 before preparing these questions & answers / In Sawal Jawab ko tayyar karne se pehle mp3 zaroor sune a) answer (saws): Sallallaahu 'alaehe wasallam (r a): Radi Allahu Anha



Yüklə 321,14 Kb.
səhifə3/4
tarix01.08.2018
ölçüsü321,14 Kb.
#64891
1   2   3   4
Sulaiman (a.s)

  1. Who was Sulaiman?

Sulaiman kaun the?

  1. Prophet of Allah / Allah ke Nabi 




  1. Who is the inheritor of Prophet Dawood (a.s)

Dawood (a.s) ke waris kaun the?

  1. Solomon / Sulaiman (a.s) 




  1. Was Sulaiman (a.s) King as well as Prophet?

Kya Sulaiman (a.s) Badshah aur Nabi the?

  1. Yes he was both king and prophet / Haan who badshah aur nabi done the 



  1. Whom Allah gave the biggest Kingdom?

Allah ne kis nabi ko sabse badi badshahat dee?

  1. Soloman (a.s) / Sulaiman (a.s) 




  1. What did Sulaiman (a.s) ask Allah related to his Kingdom?

Sulaiman (a.s) ne apni badshahat ke talluk se Allah se kya Dua maangi?

  1. Give me a Kingdom likes of which nobody will get after me / Mujhe aiesee Badshahat de jiske jaisee mere baad kisi ko na mile 




  1. Mention three powers Allah gave to Sulaiman (a.s)?

Allah ne Sulaiman ko jo takhatein dee, unmein se teen ke naam batao?

  1. Control on Air, Jinn & Birds / Hawaon, Jinn aur Parindon par control 




  1. Which type of power that Allah gave to Sulaiman that made him to travel here and there?

Allah ne Sulaiman ko aisee kaunsee takhat di jisse woh idhar udhar jaaya karte the?

  1. Control on Winds / Hawaon par control 




  1. What kinds of Jinns were in control of Sulaiman (a.s)?

Kis kis tarah ke Jinn Sulaiman ke hukum par chalte the?

  1. Those who used to construct buildings, Divers and Other types who were chained / Imaaraat banana wale, Gotakhor aur Dosre jinnat jo zanjeeron mein jakde rehte the 




  1. What type of work Sulaiman (a.s) used to take from Jinn?

Jinn se Sulaiman kya kaam liya karte the?

  1. Constructions of huge buildings, they used to dive into the sea and get Pearls and they used to do all the works that humans can’t do / Badi badi imaarte banwate, dariyaon mein gota laga kar unmein se Heere Jawarat aur Moti nikalte the aur jo kaam koi aam insaan ki taqat se zada hote the woh Jinn se karwaya karte the 




  1. What Sulaiman would do with those Jinns who used to create troubles for others and disturb others?

Jo Jinn dosron ke kaamon mein rukawat daalte ya kisi ko tang karte tou Sulaman (a.s) unke saaath kya karte the?

  1. He used to chain them and put them behind baars / Woh unko zanjeero mein jakad kar qaid khane mein daal dete the 




  1. What kind of work “Winds” used to do for Sulaiman (a.s)?

“Hawaiyein” (Winds) Sulaiman (a.s) ke liye kya kaam karti the?

  1. Winds used to carry Sulaiman (a.s) and his army from one place to another softly / Hawayein Sulaiman (a.s) and unki sena ko narmi ke saath idhar udhar le jaane ka kaam karti thee 




  1. How long Sulaiman takes to complete one month journey through wind? Hawaon ke zariye Sulaiman ek mahine ka safar kitne der mein pura kar liya karte the?

  1. Few hours/Chande ghanton mein




  1. Who was the father of Sulaiman?

Sulaiman (a.s) ke walid kaun the?

  1. Dawood (a.s) 




  1. What miracle Allah gave to the father of Sulaiman (a.s) i.e. Dawood (a.s)?

Allah ne Sulaiman (a.s) ke walid Dawood (a.s) ko kya maujoza diya?

  1. Iron became soft when he used to touch it and he made things easily from it / Loha unke chhone se narm ho jaata tha jisse woh cheezein banaya karte the 




  1. Did Allah give same miracle of Dawood (a.s) to Sulaiman (a.s), if yes then what was it?

Allah ne jo karishma Dawood ko diye the kya wahi karishma Sulaiman ku diya gaya tha. Agar aap ka jawab haan. hai to wo kya tha?

  1. Yes, iron became soft on his hand / Haan unke haaton mein loha naram hona 




  1. Instead of water, Allah gave a “Pond” to Sulaiman (a.s) which was filled with a metal, what was that metal?

Allah ne Sulaiman (a.s) ko jo “Talaab” diye tha, usmein Paani ke badle kya bhara gaya tha?

  1. Copper / Tamba 




  1. What Sulaiman (a.s) used to do with the pond of copper?

Tambe ke Talaab se Sulaiman (a.s) kya kiya karthe the?

  1. He used to make different things from it / tarah tarah ki cheezein banate the 




  1. Which animal Sulaiman like most?

Kounsa jaanwar Sulaiman ko bahut pasand tha?

  1. Horse / Ghoda 




  1. How many wives Sulaiman (a.s) had?

Sulaiman (a.s) ki kitni biwiyan thee?

  1. 100 



  1. What Sulaiman (a.s) forgot to mention when he intended to have babies from his many wives?

Jab Sulaiman (a.s) ne aulad ka irada kara tou wo kaun si baat bolna bhool gaye?

  1. He forgot to mention InshaAllah / Wo InshaAllah bolna bhool gaye the 




  1. When Sulaiman (a.s) intended to have babies and forgot to mention InshaAllah that Allah did not like so what Allah gave him?

Jab Sulaiman (a.s) bachche chahte the tab woh InshaAllah kehna bool gaye aur woh baat Allah ko pasand nahi ayee, Isliya Allah ne unko kya diya?

  1. Only one of his wife delivered a baby but it was dead / Sirf ek hi biwi ko bachcha hua who bhi mara hua 




  1. When Sulaiman realized his mistake about not mentioning Insha-Allah when he intended to have babies then what did he do?

Sulaiman (a.s) ne kya kiya jab unko apni galti ka ehsaas huwa ke woh InshaAllah kehna bhool gaye jab unhone bachchon ka irada kya tha?

  1. He repented to Allah and always mentioned Insha-Allah after that / Unhone Allah se mafi mangi aur uske baad hamesha InshaAllah bola 




  1. What talent Allah gave to Sulaiman (a.s) other than miracles?

Allah ne kaunsa hunar Sulaiman (a.s) ko diya tha maujozaat ke alawa?

  1. He was very good in Judgements / Faisla sunane mein woh sabse behtar the 




  1. How Sulaiman (a.s) made judgement between two mothers, each of them claiming that she is the real mother of a baby?

Kis tarah Sulaiman (a.s) ne do Ma (mothers) jo ek bachche ke liye ladayee kar rahee thee, unka faisla sunaya?

  1. He told the mothers that he will cut the baby into two half for them / Unhone kaha ki mein iske do tukde karke, aadha aadha tum dono ko de deta hoon 




  1. Which insect story is related to Sulaiman (a.s) in the Qur’an?

Kis keede ki kahani Qur’an mein hai jiska talluq Sulaiman (a.s) se hai?

  1. Ant / Cheeti 




  1. When the army of Sulaiman (a.s) went to the ground of ants so what did one ant said to others?

Jab Sulaiman (a.s) ki fouj choontion (ants) se bhari hui zameen ko pahauchee tab ek cheenti ne dusree choontion se kya kaha?

  1. Be careful, Sulaiman’s army might have killed you in ignorance / Khabardar ho Jao, Sulaiman ki fouj anjaane mein tumko kuchal na de 




  1. What Sulaiman (a.s) did when he heard the communication of the Ant?

Jab Sulaiman (a.s) ne chenti ki baat suni tou kya kiya?

  1. He Laughed / Woh hase 




  1. Which bird was absent from the Army of Sulaiman (a.s)?

Kaun sa parinda Sulaiman (a.s) ki army mein se gair hazir tha?

  1. Hudhud 




  1. What Sulaiman (a.s) said when he did not find Hudhud?

Sulaiman (a.s) ne kya kaha jab unhone Hudhud ko gair hazir paaya?

  1. I will punish him unless he gives me genuine reason / Mein Hudhud ko saza dunga agar wo apni gair haziri ki haqiqi wajah na batega 




  1. What news Hudhud brought to Sulaiman (a.s)?

Konsi khabar Hudhud ne Sulaiman (a.s) ko di?

  1. He brought the news of Queen of Sheba / Woh Malika-e-Bilqees ki khabar le kar aaya jo Saba ki thee 




  1. How was the throne of the Queen of Sheba?

Saba ki Malika-e-Bilqees ka takht kaisa tha?

  1. Huge / Bahaut Bada 




  1. Whom the people of Queen of Sheba worship?

Saba ki Malika-e-Bilqees ke log kiski ibaadat karte the?

  1. Sun / Suraj 




  1. Who diverted the people of Queen of Sheba from the right path?

Saba ki Malika-e-Bilqees ke logo ko kisne sahi raste ke behkha diya tha?

  1. Shaitan 




  1. What was the specialty of the Hudhud?

Hudhud ne kya khaas tha?

  1. Hudhud could tell the water under the ground / Hudhud zameen ke andar kahan paani hai bata sakta tha 




  1. What Sulaiman (a.s) did when he got the news of Queen of Sheba from Hudhud?

Hudhud se Saba ki Malika-e-Bilqees ke baare me sunne ke bad Sulaiman (a.s) ne kya kiya?

  1. He verified the news / Unone Khabar ki jaanch karwayee 




  1. What invitation Sulaiman (a.s) sent to Queen of Sheba?

Kya Dawatnama Sulaiman (a.s) ne Malika-e-Bilqees bhejee?

  1. Invitation of Tawheed / Dawat-e-Tawheed 




  1. What advised the advisors of Queen of Sheba gave to her about the invitation of Sulaiman (a.s)?

Kaun si salah salahkaaron ne Malika-e-Bilqees ko Sulaiman (a.s) ki Dawat ke talluq se di?

  1. To fight with Sulaiman (a.s) / Sulaiman (a.s) se jung karne ki 




  1. After getting the advised from her advisors, what Queen of Sheba did?

Salaahakaar ke salaah ke baad Malika-e-Bilqees ne kya kiya?

  1. She sent some gifts for Sulaiman (a.s) to get the idea about his army and strength / Unone kuch Tohfe Sulaiman (a.s) ko bhijwaye taki unki takhat ka andaza laga sakein 




  1. When Hudhud brought the news of Queen of Sheba that she is sending her messengers to check the strength of Sulaiman then what Sulaiman did?

Jab Hudhud khabar laaya ki Malika-e-Bilqees apne kuch wazeer bhej rahee hai taki Sulaiman (a.s) ki takhat ka andaza laga sake tou Sulaiman (a.s) ne kya kiya?

  1. Sulaiman (a.s) gathered his whole army to show his strength to the messengers of Queen of Sheba / Sulaiman (a.s) ne apne takhat deekhane ke liye apne sare fouji ek saath jama kar diye 




  1. Did Sulaiman (a.s) accept the gifts from Queen of Sheba?

Kya Sulaiman (a.s) ne Malika-e-Bilqees ke Tohfon ko Qabool kiya?

  1. No, he said my Lord has given me better than this / Nahi, unone kaha mera Rabb ne mujhe isse dehtar diya hai 




  1. When messengers of Queen of Sheba went back to her palace and told her about the strength of Sulaiman (a.s) then what she did?

Jab Malika-e-Bilqees ke wazeeon ne Sulaiman (a.s) ke takhat ke bare usko bataya tou usne kya kara?

  1. She said I am ready to accept Islam / Usse kahan mein Islam Qabool karne ke liye tayyar hoon 




  1. When Sulaiman (a.s) knew that Queen of Sheba is ready to accept Islam then what he did?

Jab Suliaman (a.s) ko Malika-e-Bilqees ki islam ki Qabooliyat ke bare me pata chala to unhone kya kiya?

  1. He asked from his gathering that is there anyone who can bring me the throne of Queen of Sheba before she come here / Unhone poocha ki hai koi jo Malika-e-Bilqees ka Takht yahan le aaye uske aane se pehle 




  1. How many Jinns offered their service to bring the throne of Queen of Sheba before she come to the Palace of Sulaiman (a.s)?

Kitne Jinn ne Malika-e-Bilqees ka takht laane ke liye haami bhari?

  1. 2 




  1. What was the service offered by the first Jinn to Sulaiman (a.s) to bring the throne of Queen of Sheba?

Pehle Jinn ne Malika-e-Bilqees ke takht laane ke bare mein Sulaiman (a.s) se kya kaha?

  1. He offered that he can bring the throne before you stand up / Kaha aapke kade hone se pehle Takht le aaunga 




  1. What was the service offered by the second Jinn to Sulaiman (a.s) to bring the throne of Queen of Sheba?

Dosre Jinn ne Malika-e-Bilqees ke takht laane ke bare mein Sulaiman (a.s) se kya kaha?

  1. He offered that he can bring the throne before you blink of an eye / Kaha ki aapki Palakh jhapakne se pehle mein Takht la donga 




  1. Who brought the throne of Queen of Sheba to Sulaiman (a.s)?

Kisne Malika-e-Bilqees a takht Sulaiman (a.s) ko la kar diya?

  1. Second Jinn within the blink of an eye / Dusre Jinn ne palakh jhapakte ke phele 




  1. When Sulaiman (a.s) saw the throne of Queen of Sheba in front of him then what he said to Lord?

Jab Sulaiman (a.s) ne Malika-e-Bilqees ka Takht jab apne samne dekha to apne Rabb se kya kaha?

  1. He praised and thanks to Allah / Allah ki badayee kari aur Shukr kara 




  1. What ordered Sulaiman (a.s) gave to his workers when he saw the throne of Queen of Sheba in front of him?

Malika-e-Bilqees ka Takht apne saamne dekh kar Sulaiman (a.s) ne kya hukum diya?

  1. He said change the throne little bit, let see if Queen will recognize it / Unhone kahan is Takht ko thoda sa badal do, dekhein ki Malika-e-Bilqees isko pehchanegee 




  1. When Queen of Sheba saw her throne in the palace of Sulaiman (a.s), did she recognize it?

Kya Malika-e-Bilqees ne jab apne Takht ko Sulaiman (a.s) ke darbar me dekha tou kya usko pehchana?

  1. She said it seems like mine / Kaha ki yeh mere Takht jaisa hai 




  1. What kind of palace Sulaiman (a.s) showed to Queen of Sheba?

Kis tarah ka Mahal Sulaiman (a.s) ne Malika-e-Bilqees ko dikhaya?

  1. Palace made up of glass / Sheeshe se bana huwa Mahal 




  1. Who made the palace of Sulaiman (a.s) made up of glass?

Sulaiman (a.s) ke Sheshe ka Mahal kisne banaya tha?

  1. Jinn 




  1. Why Queen of Sheba drag up her lower garment when she entered into palace?

Jab Malika-e-Bilqees mahal mein dakhil hui tou usne apna lehenga apne haathon se uper kyo uthaya?

  1. She thought that water is flowing on the floor of Palace / Samjithi ki Mahal ke zameen par paani beh raha hai 




  1. Was there water on the floor of the Palace of Sulaiman (a.s) made up of glass?

Kya Sulaiman (a.s) ke Sheesh Mahal ki zameen par pani tha?

  1. No, but water was under the floor which was made up of glass / Nahi magar pani zameen ke niche tha jo sheeshe ki thee 



  1. Which mosque Sulaiman (a.s) reconstruct?

Kaun si Masjid Sulaiman (a.s) ne dubara banwai thee?

  1. Masjid al-Aqsa




  1. After reconstructing the al-Aqsa mosque, how many Duas Sulaiman (a.s) made to Allah?

Aqsa Masjid ko dubara banana ke baad Sulaiman (a.s) ne kitnee Dua Allah se maangi?

  1. 3 




  1. Allah gave lots of powers to Sulaiman (a.s), he used to control the Jinn, winds, birds etc, did he died?

Allah ne Sulaiman (a.s) ko bahaut sare takhatein di thee jaise Jinn, Hawa, Parinde unke hukum par chalet the, kya Sulaiman (a.s) ka maut aayee?

  1. Yes he died, every soul shall taste death / Haan kyonki hare k ruh ko maut ka maza chakhna hai 




  1. How Sulaiman (a.s) Died?

Sulaiman (a.s) ki maut kis tara aayee?

  1. While sitting, putting his hand on the stick, he was monitoring the work of Jinn, Allah took his soul out /Jab woh baithe hue aur apne haath chadi pe rake hue, Jinn ke kamon ka nighrani kar rahe the tab Allah ne unki ruh ko nikal liya 




  1. What happened to Jinn after the death of Sulaiman(a.s)?

Sulaiman (a.s) ke maut ke baad jinn ka kya huwa?

  1. Jinn thought Sulaiman (a.s) is still alive and monitoring them /Jinn ko laga ki Sulaiman (a.s) unke kaam ki nigrani kar rahe hain 




  1. After the death of Sulaiman (a.s), how many years he was sitting like that and Jinn thought that he was monitoring them?

Sulaiman (a.s) ki maut ke baad, kitne saal wo aiese hi baith rahe aur Jinn ko laga ki Woh unki nigrani kar rahe hain?

  1. 2 




  1. How Jinns came to know the death of Sulaiman (a.s)?

Jinn ko Sulaiman (a.s) ki maut ki khabar kaise hui

  1. Sulaiman (a.s) fell down on the ground after Termites ate his stick / Chadi ko Deemakh ke khane se Sulaiman (a.s) zameen par gir pade 




  1. How can we say Jinn has no knowledge of unseen from the death of Sulaiman (a.s)?

Sulaiman (a.s) ke maut se, hum kaise keh sakte hai ke jinn ko Gayb ka ilm nahi hai?

  1. If Jinn had knowledge of unseen, they would have known the death of Sulaiman (a.s) right after his soul departed his body / Agar Jinn ko Gayb ka ilm hota tou unko Sulaiman (a.s) ki ruh nikalte hi khabar ho jaati 




  1. What was the age of Sulaiman (a.s)?

Sulaiman (a.s) ki kitni umar thee?

  1. 150 

Musa (a.s)

  1. Who was Musa (a.s)?

Musa (a.s) kon the?

  1. Prophet of Allah / Allah ke Rasool 




  1. Who is the father of Musa (a.s)?

Musa (a.s) ke walid kon hain?

  1. Imran 




  1. Who are the ancestors of Prophet Musa (a.s)?

Musa (a.s) kin peghambron ki nasal se hain?

  1. Yaqoob (a.s), Ishaq (a.s), Ibrahim (a.s) 




  1. In what circumstances Prophet Musa (a.s) was born?

Musa (a.s) kese haalaat me peda hue?

  1. When boys were killed as soon as they were born / Larkon ko peda hote hi maar dia jata tha 




  1. Who ordered killing the boys in times of Musa (a.s)?

Musa (a.s) ke zamanae me kon larkon ko maarne ka hokum de raha tha?

  1. Firaun 




  1. Why Firaun was killing the boys?

Firaun kyun larkon ko marwa raha tha?

  1. So no one could finish his reign / Taakay koi uski hukoomat na cheen lay 




  1. How did Prophet Musa (a.s) survive when all boys were being killed?

Musa (a.s) kese bach gay jab tamam larkon ko maara ja raha tha?

  1. His mother put him in a box and washed in the river 




  1. Who raised Prophet Musa (a.s)?

Musa (a.s) kis ke ghar me palay barhe?

  1. Firaun 




  1. Why did Prophet Musa (a.s) raise in Firaun’s house?

Musa (a.s) Firaun ke ghar kyun pale barhay?

  1. It was plotted by Allah / Ye Allah ki tadbeer thi 




  1. Who is Aasiyah (a.s)?

Aasiyah (a.s) kon hain?

  1. Firaun’s wife / Firaun ki biwi 




  1. Who took Prophet Musa (a.s) in Firaun’s house?

Musa (a.s) ko Firaun ke ghar kis ne rakha?

  1. Firaun’s wife Aasiyah (a.s) / Fiaun ki biwi Aasiyah (a.s) 




  1. How come Firaun accepted Prophet Musa (a.s) as his son?

Firaun ne Musa (a.s) ko kese beta bana lia?

  1. Aasiyah (a.s) liked little Musa (a.s)/ Kyunke Aasiyah (a.s) ko bache Musa (a.s) pasand aa gay the 




  1. Did Firaun has his own offspring?

Kia Firaun ki apni koi aulaad thi?

  1. No / Nahi 




  1. How Allah relieved the real mother of Prophet Musa (a.s)?

Musa (a.s) ki asal walida ko Allah ne kese tasalli di?

  1. Allah has made Prophet Musa (a.s)’s mother his milk-mother in Firaun’s house / Unko Allah ne apni tadbeer se Firaun ke ghar me Musa (a.s) ki aaya bana dia 




  1. Who protected Prophet Musa (a.s)?

Musa (a.s) ki kis ne hifazat ki?

  1. Allah Almighty / Allah Taala ne 




  1. What rank Allah has granted Aasiyah (a.s)?

Aasiyah (a.s) ko Allah ne kis maqam se nawaza?

  1. Paradise / Jannat 




  1. What has Allah granted Prophet Musa (a.s) when he reached of age?

Jawani me Allah ne Musa (a.s) ko kia ataa kia?

  1. Knowledge and wisdom / Ilm aur Hikkmat 




  1. Why did Prophet Musa (a.s) migrated to Madyan?

Musa (a.s) Madyan hijrat kyun kar gay?

  1. He killed a man by mistake and king wanted to catch him / Unho ne ghalti se aik aadmi ko maar dia aur badshah unki talash me tha 




  1. What happened when Prophet Musa (a.s) reached Madyan?

Madyan puhunch kar Musa (a.s) ke ne kia kia?

  1. He saw two young girls at the well waiting for their turn to drink water to the cattle / Unho ne dou larkion ko koowen ke paas dekha jo apne janwaron ko pani pilanay ke liye bari ka intezar kar rahi thin 




  1. What did girls do after accepting Prophet Musa (a.s)’s help?

Musa (a.s) ki madad lene ke baad larkio ne kia kia?

  1. Girls told their father so he asked him home / Larkio ne apne walid ko bataya tou walid ne unhe ghar pe bulaya 




  1. What did girls’ father told Prophet Musa (a.s)?

Larkion ke walid ne Musa (a.s) se kia kaha?

  1. Offered one of his daughter for marriage and given him place to stay / Apni betion me se aik ka nikah un se kar dia aur rehne ko jaga di 




  1. Why did Prophet Musa (a.s) met the girls and got married eventually?

Musa (a.s) larkio se kiun mile aur shadi kyun ho gai?

  1. It was help and mercy from Allah for both parties / Ye dono parties ke liye Allah ki madad aur meherbani thi 




  1. What place Prophet Musa (a.s) was born and where did he live before coming to Madyan?

Musa (a.s) kahan peda huwe aur Mdyan anay se pehle kahan rehte the?

  1. Egypt / Misar 




  1. What happened when Prophet Musa (a.s) was going back to his hometown with his wife?

Musa (a.s) jab apni biwi ko le kar wapas watan ja rahe the tou kia hua?

  1. He saw fire and went to get some fire in order to warn the family / Unho ne aag dekhi aur ghar walo ko sardi se bachane ke liye uski taraf gaye 




  1. What happened when Prophet Musa (a.s) reached near the fire?

Musa (a.s) jab aag ke paas puhnche tou kia hua?

  1. Allah spoke to him directly saying: ‘I am the Lord of the worlds.’ / Allah ne un se kalam kia ke: ‘Mei tamam jahano ka Rabb hun’ 




  1. What else happened when Allah spoke to Prophet Musa (a.s)?

Musa (a.s) se Allah ne kalam kia tou aur kia hua?

  1. Allah had granted Prophet Musa (a.s) two miracles / Allah ne Musa (a.s) ko dou muajzat se nawaza 




  1. What Miracles Prophet Musa (a.s) have been granted?

Musa (a.s) ko Allah ne kia muajzaat diye?

  1. His cane can become a giant snake and hand could light if put inside the shirt / Unki laathi barra sa saanp ban sakti thi aur kameez me haath daane se haath roshan ho sakte the 




  1. Why Miracles were granted to Prophet Musa (a.s)?

Musa (a.s) ko Muajzaat se kyu nawaza gaya?

  1. To preach Firaun and his people and invite them to the true deen of Allah / Firaun aur uske saathio ko Allah ke sahi deen ki taraf bulanay ke liye 




  1. What request did Prophet Musa (a.s) made to Allah?

Musa (a.s) ne Allah se kia darkhwast ki?

  1. To make Prophet Musa (a.s)’s brother Haroon (a.s) be his assistant / Ke unke bhai Haroon (a.s) ko unka madadgar bana den 




  1. Who was Haroon (a.s) to Prophet Musa (a.s)?

Haroon (a.s) Musa (a.s) ke kia lagtay the?

  1. His brother / Baray bhai 




  1. How old was Prophet Haroon (a.s) to Prophet Musa (a.s)?

Haroon (a.s) Musa (a.s) se kitne saal baray the?

  1. Three years / Teen saal 




  1. Why did Prophet Musa (a.s) choose his brother Haroon (a.s)?

Musa (a.s) ne Haroon (a.s) ko kyun chuna?

  1. Prophet Haroon (a.s) could speak clearer and Prophet Musa (a.s) feared that people would not listen to him alone / Haroon (a.s) ziada saaf bol sakte the aur Musa (a.s) ko dar tha ke loug unki baat akele nahin sunen gay 




  1. Did Allah do special favour by appointing Prophet Haroon (a.s) as helper to Prophet Musa (a.s)?

Kia Haroon (a.s) ko Musa (a.s) ka tableegh me saathi bana kar, Allah ne ehsan kia?

  1. Yes it was ehsan and mercy of Allah/ Ji han ye Allah ka ehsan aur meherbani thi 




  1. Who were Bani Israil?

Bani Israil kon the?

  1. Bani Israil were Muslims of that time / Bani Israil us waqt ke Musalman the 




  1. Who was known as Israil?

Israil kis ka laqab tha?

  1. Yaqoob (a.s) 




  1. Bani Israil are offsprings of:

Bani Israil kis ki aulad the?

  1. Offspring of Prophet Yaqoob (a.s) / Yaqoob (a.s) ki aulaad ko 




  1. Did Allah favored the people Bani Israil?

Kia Allah ko Bani Israil pasand thi?

  1. Yes because they were obedient to Allah / Ji haan kyunke wo Allah ki baat mantay the 




  1. How were Bani Israil treated?

Bani Israil ke saath kesa sulook kia gaya?

  1. They were made into slaves and laborers / Unhe ghulam aur mazdoor bana dia tha 




  1. Where did Prophet Musa (a.s) go to preach Firaun and his folks?

Firaun ko dawat dene ke liye Musa (a.s) kidhar gay?

  1. Palace of Firaun / Firaun ka darbar 




  1. What did Musa (a.s) say to Firaun?

Musa (a.s) ne Firaun se kia kaha?

  1. Invited to Tauheed and asked Bani Israil be set free from slavery / Tauheed ki taraf bulaya aur Bani Israil ko ghulami se azad karne ko kaha 




  1. What is Tauheed?

Tauheed kia hai?

  1. Allah is one and there is no god beside him / Allah aik hai aur uske siwa koi mabood nahi 




  1. How did Firaun react to Prophet Musa (a.s)’s invitation?

Firaun ne Musa (a.s) ka pegham sun ke kia kia?

  1. Rejected and made fun of it / Inkaar kar dia aur mazaq uraya 




  1. Why was it important to set Bani Israil free?

Bani Israil ko azad karwana kyu zaruri tha?

  1. So they worship Allah freely and So they become thankful to Allah and To relax their minds and bodies / Allah ki Ibadat ke liye aur Taakay wo Allah ke ehsan ka shukr ada karen aur Unke zehni aur jismani araam ke liye 




  1. When Firaun made fun of Musa (a.s)’s invitation what did he do?

Jab Firaun ne Musa (a.s) ki dawat ka mazaq uraya tou Musa (a.s) ne kia kia?

  1. Put his cane on floor and it turned into big snake, Put his hand in shirt and it came out bright / zameen pe apni laathi mari tou qo barra saanp ban gaya, Kameez me haath daala tou wo roshan nikla 




  1. After seeing the miracles, what did Firaun and his companions say?

Muajzaat dekhne ke baad Firaun aur uske saathio ne kia kaha?

  1. It is but magic / Ye jadu hai 




  1. What did Firaun and his companions challenge Musa (a.s)?

Firaun aur uske saathio ne Musa (a.s) ko kia challenge kia?

  1. Musa (a.s) and all magicians of the city will be battled to see the true magician / Musa (a.s) aur saare sheher ke jadugar ka apas me muqala karwaya jay ga 




  1. Did magicians of all the town gather to the palace of Firaun?

Kia saare sheher ke jadugar Firaun ke darbaar me aye?

  1. Yes / Ji han 




  1. Which party started the show when Firaun called all the magicians to the palace to beat Musa (a.s)?

Jab Firaun ne Musa (a.s) ko darbaar me haranay ka hokum dia tou kis party ne pehle muqabla shuru kia?

  1. Magicians / Jadugar 




  1. How was the performance of magicians in the palace of Firaun?

Firaun ke darbar me jadugaron ke kartab kese the?

  1. It was good performance from the big magicians / Bare jadugaron ki achi performance thi 




  1. What happened when Prophet Musa (a.s) started with his miracles performance in Firaun’s palace?

Jab Musa (a.s) ne Firaun ke darbar me jab muajzaat ka muzahira kia tou kia hua?

  1. It was grand performance as the real snake has eaten magicians’ fake snakes of magic / Ye bohot baari performance thi jis me Musa (a.s) ke asli saanp ne jadugaron ke nakli saanp kha liye 




  1. What did magicians do when they saw Musa (a.s)’s snake eating their fake snakes?

Musa (a.s) ke asli saanp ko unke nakli saanp khatay dekhkar Jadugaron ne kia kia?

  1. Musa (a.s) ko nabi maan gay aur imaan le aye / Accepted Musa (a.s) their prophet and took iman 




  1. Why did magicians take iman?

Jadugar iman kyun le aye?

  1. They knew the limits of magic / Unhe jadu ki limit maloon thi 




  1. What was the reaction of Firaun and his companions in palace after seeing the performance of Musa (a.s)?

Firaun aur uske darbarion ne jab Musa (a.s) ki performance dekhi tou kia kia?

  1. They Refused to accept anything / Unho ne kuch bhi mane se inkaar kar dia 




  1. What did Firaun say to magicians who accepted Islam?

Firaun ne Iman lanay walay jadugaron se kia kaha?

  1. I will cut your hands and feet and hang you/ Me tumhare haath aur paon kaat dun ga aur sooli pe charha dun ga 




  1. What did magicians reply to Firaun on his warning?

Jadugaron ne Firaun ki dhamki sun ke kia kaha?

  1. Said we are going to return to Allah and prayed / Kaha ke ham Allah ke paas jane walay hain aur dua ki 




  1. Did Firaun killed all magicians?

Kia Firaun ne sab magicians ko maar dia?

  1. Yes / Ji han 




  1. What was the rank of magicians in the sight of Allah?

Allah ki nazar me jadugaron ka kia maqaam tha?

  1. Magicians in the morning and Shaheed in the evening / Subah ko jadugar aur sham ko shaheed 




  1. What did Firaun plan together with companions in palace?

Firaun ne darbar ke sardaron ke saath mil kar kia plan banaya?

  1. To kill all men in Bani Israil / Ke Bani Israil ke tamam aadmion ko maar dalo 




  1. What did Musa (a.s) say to Bani Israi in these difficult times?

Musa (a.s) ne Bani Israil se in mushkil haalat me kia karne ko kaha?

  1. Sabr and dua / Sabr aur dua karo 




  1. Why was Firaun killing the men again?

Firaun aadmion ko phir se kyun marwa raha tha?

  1. Because men go for jahad and women stay at home / Kyunke mard jahad pe jatay hain aur aurten ghar me rehti hain 




  1. Why Firaun did not submit to Allah’s invitation?

Firaun Allah ke pegham pe iman kyu nahi laya?

  1. He was proud, He looked down on Musa, He was zalim / Wo takabbur karta tha, Us ne Musa (a.s) ko haqeer samjha, Wo zalim tha 




  1. What did Bani Israil complain to Musa (a.s) when they were warned to be killed again?

Bani Israil ne Musa (a.s) se kia shikayat ki jab unke mardon ko dobara maara jar aha tha?

  1. We were killed before and now after your appearance too / Ham pehle bhi qatal hote rahe aur aap ke aanay ke baad bhi 




  1. What was Musa (a.s)’s reply to the complaint of Bani Israil?

Musa (a.s) ne Bani Israil ki shikayat ka kia jawab dia?

  1. Allah will kill the enemy, and make you leaders and then see your behavior / Allah dushman ko maar de ga, tumhe leader bana de ga aur phir tumhara rawaiyya dekhe ga 




  1. When Firaun was announcing was threatening Musa (a.s) and Bani Israil, who came up and what did he say?

Jab Firaun Musa (a.s) aur Bani Israil ko dhamki de raha tha tou kon saamne aya aur us ne kia kaha?

  1. Firaun’s Muslim cousin came up and he said what if Musa (a.s) is true and Allah punish you O Firaun? / Firaun ka Musalman cousin aya aur us ne kaha ke agar Musa (a.s) sache huwe tou Allah ne azab daal dia tou kia hoga? 




  1. When Firaun and his companions did not submit to Allah, what did Allah plan?

Jab Firaun aur uske sathio ne Allah ki baat na maani tou Allah ne kia karne ka irada farmaya?

  1. Azab 




  1. Did Allah not given enough chances and warning before azab on al- Firaun?

Kia Allah ne Al-e-Firaun par azab nazil karne se pehle unhe bar bar warning aur chances nahi diye?

  1. Yes / Ji han 




  1. How did Allah warn Ale- Firaun before final azab?

Allah ne Ale- Firaun ko baray azab se pehle kese warning di?

  1. Through different small azabs before one big azab / Aik baray azab se pehle chote azab 




  1. How many small azabs came before one big azab on Ale- Firaun?

Ale- Firaun pe aik baray azab se pehle kitne chote azab aye?

  1. Five / Paanch 




  1. What are those five small azabs before one final azab on Ale- Firaun?

Ale- Firan pe aik bara azab bhejne se pehle wok on se chote paanch azab the?

  1. Flood, Lotus, Mites, Frogs and blood / Toofan, Tiddi dal, Sursurian , Mendak aur Khoon 




  1. What did they promise Musa (a.s) to get rid of each small azab?

Har chote azab ko taalne ke liye unho ne Musa (a.s) se kia waada kia?

  1. We will submit to Allah if you pray to Allah and save us / Ham Allah ki baat maan len gay agar tum Allah se dua kar ke ham ko bacha lo 




  1. Did they submit to Allah with warning small azabs from Allah before big final azab?

Kia wo Allah ki baat maan gay jab chote azab aye aik final baray azab se pehle?

  1. No, and broke their promises / Nahi, aur apne waday torray 




  1. Were Ale-Firaun expert in technology?

Kia Ale-Firaun technology me expert the?

  1. Very expert / Bohot expert 




  1. How did Allah kill Ale-Firaun?

Allah ne Ale- Firaun ko kese maara?

  1. Drowned them in the river and saved Muslims / Unhe daria me dubo dia aur Muslamano ko bacha lia 




  1. Did Firaun preserve Firaun’s body for Ibrat?

Kia Allah ne Firaun ke jisam koi brat ke liye mehfooz kar lia?

  1. Yes / Ji han 




  1. How did Allah favor Bani Israil?

Allah ne Bani Israil ko kese inamat se nawaza?

  1. Saved them from slavery and Firaunl; Granted Bani Israil more food; Made Bani Israil chosen leader nation for all world to preach / Unhe ghulami aur Firaun se nijat de kar; Bani Israil ko ziada rizq de kar; Bani Israil ko Allah ki numainda aur leader qaum banaya take sab dunia ko Allah ka pegham de saken 




  1. What food Allah sent down to Bani Israil?

Allah ne Bani Israil ke liye asmaan se kia rizq utara?

  1. Man-o-salwa 




  1. What did Bani Israil demand when they have gotten bored with readymade food from Allah?

Jab Allah ne Bani Israil ke liye pakka pakaya khana nazil kia aur wo us se ukta gay to kia deand kia?

  1. Lowly food such as Onion, Garlic, Wheat, Lentils and cucumber etc. / Kam tar khana jese piyaz, lehsen, gandum, daal, kheera waghera 




  1. What Book Prophet Musa (a.s) brought?

Musa (a.s) pe kon si kitab nazil hui?

  1. Torat 




  1. Where did Musa (a,s) go to take the Book of Allah, Toraat?

Musa (a.s) Allah ki kitab Torrat lene kahan gay?

  1. Toor Mountain / Toor Paharr 




  1. How many days Prophet Musa (a.s) go to mountain Toor to bring Toraat?

Musa (a.s) Toraat lene ke liye Toor paharr pe kitne din ke liye gay?

  1. 40 days / 40 din 




  1. Did Prophet Haroon (a.s) also go with Prophet Musa (a.s) to bring Toraat?

Kia Haroon (a.s) bhi Musa (a.s) ke saath Toorat lene gay?

  1. No / Nahi 




  1. What did Bani Israil do before Prophet Musa (a.s) when he went to bring Toraat?

Bani Israil ne musa (a.s) ke peeche kia kia jab wo Toraat lene gay?

  1. Made gold calf and started worshiping it / Sonay ka, gay ka bachay but bana ke uski pooja karne lagay 




  1. Who made gold calf statue for worshipping in Bani Israil?

Banni Israil me sonay ki gay ka but kis ne banaya?

  1. Saamri 




  1. How did gold calf statue sound like?

Sonay ki gay ke bache ke but ki kesi awaz thi?

  1. Like real calf / Asli gay ke bache jesi 




  1. What did Prophet Musa (a.s) requested Allah when he went to bring Toraat?

Musa (a.s) ne Allah se kia darkhwast ki jab wo Toraat lene gay?

  1. I want to see you O Allah / Aye Allah, me aap ko dekhna chahta hun 




  1. What did Allah say when Prophet Musa (a.s) requested Him to show Himself?

Allah ne Musa (a.s) ko kia jawab dia jab unho ne Allah ko dekhne ki darkhwast ki?

  1. You cannot see me directly, but I will put my little light on the mountain / Tum mujhe direct nahi dekh sakte, balke me ani aik halki si roshni aik paharr pe dalun ga 




  1. Could Prophet Musa (a.s) see Allah?

Kia Musa (a.s) Allah ko dekh paye?

  1. No, he fainted instead when Allah put His light on mountain / Nahi, balke wo behosh ho gay jab Allah ne apni roshni pahaar pe nazil ki 




  1. Was Toraat sent down in the form of book?

Kia Toraat kitab ki shakal me nazil hui?

  1. No, in the form of tablets / Nahi, takhtion ki shakl me 




  1. What did Prophet Muss (a.s) do when he saw Bani Israil worshiping a gold calf?

Jab Hazrrat Musa (a.s) ne Bani Israil ko son ke gay ko poojte dekha tou kia kia?

  1. Gone very angry / Bohot naraaz huwe 




  1. What excuse Bani Israil give when they were asked of their crime (worshiping calf)?

Bani Israil se jab gay ka bacha poojne ke bare pe poocha gaya tou unho ne kia jawab dia?

  1. We like the sond of this calf / Hame is gay ke bachay ki awaz piari lagti hai 




  1. What did Bani Israil demand Prophet Musa (a.s)?

Bani Israil me Musa (a.s) se kia demand ki?

  1. We want to see Allah / Ham Allah ko dekhna chahte hain 




  1. How many people from Bani Israil went to see Allah with Prophet Musa (a.s)

Musa (a.s) ke saath Allah ko dekhne ke liye kitne log gay?

  1. 70 




  1. What happened when they saw Allah?

Jab unho ne Allah ko dekha tou kia hua?

  1. They died but Allah put them to life again / Wo mar gay lekin Allah ne unhe phir zinda kar dia 




  1. When Prophet Muhammad (pbuh) went to Miraj, did he meet Prophet Musa (a.s)?

Jab Muhammad (saws) Miraj par gaye tou kya wo Musa (a.s) se mile?

  1. Yes many times / Ji han kai dafa 




  1. What Prophet is mentioned most in the Quran?

Quran me sab se ziada kis nabi ka zikar hua hai?

  1. Prophet Musa (a.s) / Musa (a.s) 




  1. What is the English name of Prophet Musa (a.s)?

Musa (a.s) ka English me kia naam hai?

  1. Moses 




  1. Is Toraat still free from any changes?

Kia Toraat abhi tak kisi tabdeeli se paak hai?

  1. No / Nahi 




  1. Who came after Prophet Musa (a.s)?

Musa (a.s) ke baad kon se nabi aye?

  1. Propher Isaa (a.s) / Isaa (a.s) 


Yüklə 321,14 Kb.

Dostları ilə paylaş:
1   2   3   4




Verilənlər bazası müəlliflik hüququ ilə müdafiə olunur ©muhaz.org 2024
rəhbərliyinə müraciət

gir | qeydiyyatdan keç
    Ana səhifə


yükləyin