"Allah k siwa Gair sy Madad Mangna us gair ko Mustaqil Bizzat samajh kr,
k wo Allah ki Marzi k Bagair Apnay Pas sy kr raha hyye HARAM hy
Magar koi kisi Nabi ya Wali ko Allah ki Zat ka Mazhar jan kr
un sy istiaanat chahta hy to ye Baat Marfat say Door nhi aur JAIZ hy
Allah ko Qadir e Mutlaq samajh kr Gair ko Allah ki Madad ka Mazhar
jan kr Madad talab karna ye Tariqa e Anbiya o Aoliya hy"
(Tafseer Azizi)
Madad@18
Allah Pak Farmata hy
"Ay Eman Walon, Allah k Madadgar Ban jao"
Sawal paida hota hy k Banday kaisay Madadgar hon?
To Khud Allah pak Tariqa samjhata hy k
"Jis tarah kaha tha Eesa Bin Maryam ny apnay Hawaryon sy, Kon hy Mera Madadgar Allah ki Traf? Hawaryon ny Jawab diya, Hm Allah k Madadgar hain"
(Saf #14)
Yani ye Madad ka Tariqa naya Nhi. Murdon ko Zinda karnay walay Ruhullah ny B Bandon sy Madad Talab ki thi. Bandon sy Madad Talab krna agar Jaiz na hota to Hzrat Eesa kabhi na kartay aur Na kabhi Qur'an isko bayan karta. Bandon ko Taqat Allah he ny D aur in sy Mangna khud ALLAH sy Talab krna hy
Madad@19
Allah pak ny Apnay Maqbul Banday Hazrat Sikandar Zulqarnain pr 1 Zimaydari Aaid farmai
k wo Fasadi Qoam Yajuj, Majuj k Aagey 1 Aisi Deewar Tameer frma dain k Qaome Yajuj Majuj Qayamat tk k liye Qaed ho jaey
Ab Zulqarnain ny apnay sathiyon sy kaha,
Jisay Qur'an Bayan krta hy
"logon wo kam jiski Rab ny Mujh pr ZimayDari lagai hy usko Agar Acha Samajhtay ho to
POORI QUWWAT SY MERI MADAD KARO"
(Kahaf #95)
Zulqarnain Jantay they K Allah ny Jis Kam pr meri Duty lagai hy us k liye khud B Madad Frma Skta hy Mgar inka Amal in k is Aqeeday ka Ghammaz hy k Bandon ki Madad, Haqiqat may Allah he ki Madad hy
Madad@20
Allah ko Haqiqi Mueen, Mughees, Musta'an, Mujeeb o Madadgar Man kr Majazan kisi kam k liye kisi Banday sy Ruju krna Ikhtiyar e Asbab k Ziman may Aaega
Qur'an may kai bar Momineen ko Apas may Aik Dusray ki Madad ka Hukum Diya gya hy
"Neki w Parhezgari pr Aik Dusray ki Madad kia kro aur Gunah w Zulm pr Aik Dusray ki Madad Na kro"
(Maida #2)
Allah Tamam Musalmano ko aik dusray ki Madad w Ta'awun e Ba'hami ka Hukum farma rha hy, Zahir hy ye Tabhi mumkin hy k Baz Pasmanda Hal, Khush Hal Momineen sy Madad mangain
Ye Hukum Chun k Alal-Itlaq hy lihaza Maaddi w Ruhani sb Muamlat is Hukum may Shamil hain
Madad@21
Allah Frmata hy
"Agar Wo Deen may Tum sy Madad Chahain to Tum pr Madad daina Wajib hy"
(Anfal #72)
Hm Rozana Sainkron Muamlat may Aik Dusray ki Madad kartay aur Mangtay hain aur agar iski Afadiyat sy inkar kr diya jaey to Nizame Zindagi Darham Barham ho jaey.
Bachpan, Jawani,Burhapay, Beemari , Jang, Hawadis Algarz Zindagi k hr Marhalay pr Insan Aik Dusray ki Madad ka Muhtaj hy aur Hamara Baham Aik Dusray ki Madad krna Hukm e Rabbani ki Tameel
Madad@22
Istaghasa aur Istiaant ka Matlab Madad Talab krna hy
Jahan ye Donu lafz Qur'an may Allah sy Madad Talab krnay k liye Mutaddid bar Aaey wahan Bandon k liye Majazi Manon may istimal huwey
Hazrat Moosa sy 1 Fard ka Madad Mangna aur Apka uski Madad krna, is Waqiey ko Qur'an ny Lafze ISTIGHASA sy zikar kia hy
"To Jo Shakhs inki Qoam may sy tha, us ny Dusray shakhs k Muqablay may, jo Moosa k Dushmanon may sy tha, Moosa sy Madad Talab ki"
Mushkil Halaat may ghira huwa Shakhs agar Apni Zuban sy Alfaz Ada kartay huwey kisi sy Madad Talab karay
Qur'an may Hzrat Moosa k Hawalay sy Istighasa Bil Qaol ki Misal Yoon Mazkur hy
"Aur Ham ny Moosa k pas (ye) Wahee Bheaji Jb us sy uski Qoam ny Pani Manga k Apna Asa Pathar pr Maro"
(Aaraf #160)
Allah Qaome Moosa k Istighasay pr khud Hazrat Moosa ko Izhar e Mojiza ki Takeed farma kr ye samjhata hy k Haqiqi Kaarsaz to may hun, magar Izhar e Mojiza k liye apnay Ikhtiyarat Moosa may Tafweez krta hun
Madad@24
2# ISTIGHASA BIL AMAL
Musibat k weqt Zuban sy kisi qisam k Alfaz ada kiye bagair, kisi Khas Amal aur Zuban e Hal sy Madad Talab krna
Qur'an may Gaey (Baqara) k hawalay sy Istighas bil Amal ki misal Mazkur hy, lafz e Istihasa mazkur nhi.
"To Hm ny Farmaya k is Maqtul ko Gaey k kisi Tukray sy Maro. Yoon Allah Murdon ko Zinda krta hy"
(Baqara #73)
1 Maqtul jis k Qatil ko Talash krna tha, 1 Maqbul Banday ki Zibah ki huwi Gaey k Tukray ko Maqtul k jisam pr Marnay ka Hukum diya gya. Jb wo Tukra Maqtul k Jisam ko laga to Maqtul Yakdam Zinda ho gya aur Qatil ka Naam Bata kr Sb ki MushkilKushai kr dee.
Madad@25
Istighasay ki Behas may
Asbab k Ziman may
Umoor ki 2 Qismain hain
1# Umoor e Aadiya/
Ma Tehtul Asbab
2# Umoor e Gair Aadiya/
Ma Faoqul Asbab
@Wo kam jo Bil umum Asbab k Zarye sir injam patay hain, ya jin kamon ka Aam Zarayon sy wuqu ya Zuhur Mumkin ho, in Asbab e Aadiya ko Ikhtiyar krtay huwey Madad Chahna yo Hona
"MA TEHTUL ASBAB"hy
Jb k wo Kam jis k Asbab Hamain Zahiri Toar pr Nazar Nhi Aatey ya Aam Zarayon sy jiska Wuqu ya Zuhur bazahir Namumkin ho ya wo kam jo Umumi Asbab sy Hat kr Sir Injam Patay hain in Asbab e Gair Aadiya ko Ikhtiyar kartay huwey Madad Chahna ya Hona
"MA FAOQUL ASBAB"hy
Madad@26
Hazrat Jibrail Jb Allah k Izan sy Hazrat Eesa ki Wiladat k Silsilay may Hazrat Maryam k Pas Insani Roop may Aaey to Un sy Kaha
"(Jibrail ny) Kaha May to Faqat Tearay Rab ka Bheaja Huwa hun (is liye Aaya hun) k May Tujhey 1 Suthra Beta Ata karun"
(Maryam #19)
Shadi aur Azdwaji Zindagi k Bagair Betay ka hona aur Jibrail ka is pr ye kehna k May Tujhey Pakiza Beta Dun, ye MA FAOQUL ASBAB Umoor may Madad ki Buhat Bari Qur'ani Misal hy. Aur Asbab e Aadiya k Bagair is Dunya may iska Tasawwur B Mahal hy Hamara Aqeeda yahi hy k Ma Tehtul Asbab ho Ya Ma Faoqul Asbab, Makhluq ki Madad Ataai w Majazi he hy
Madad@27
Hzrat Eesa ny jb Apni Qoam k Samnay Eala e Haq kia to Ap ny unko Mukhtalif Moajizat Dikhaey
(Aale Imran #49) may Hzrat Eesa ny 5 Ma Faoqul Asbab o Fitrat Aamal ki Nisbat Apni Janib ki
1-Matti sy Parinda Bana kr isay Zinda krna
2-Madarzad Andhey ko Beena krna
3-Bars (Safaid Dagh)ka Ilaj krna
4-Ihya e Maota (Murdon ko zinda krna)
5-Ghaib ki khabren Sar e Aam Btana
In Umoor may Agar Banday sy Madad Talab ki jaey to Mangnay wala phir B Insan Rehta hy, magar Apni Taraf in umoor ka Mansub krna, Bazahir ye Sra sar Khuda Ban'nay k Mutaradif hy. Lekin ye Nabi ka Qoal aur Ma Faoqul Asbab k Makhluq ki taraf Mansub karnay ki Qur'ani Daleel hy .
Faail e Haqiqi Allah hy Wahee Karsaz e Haqiqi hy.
Usul aur Zabta ye Huwa k Aisay Alfaz ka istimal Majazan Jaiz hy