Sulaiman (a s)



Yüklə 44,94 Kb.
tarix27.07.2018
ölçüsü44,94 Kb.
#60114

/

Sulaiman (a.s)
Questions and Answers

Note: Please listen MP3 before preparing these questions & answers / In Sawal Jawab ko tayyar karne se pehle MP3 zaroor sune


a) answer
(saws): Sallallaahu 'alaehe wasallam
(r.a): Radi Allahu Anha (For Female)
(r.a): Radi Allahu Anhu (For Male)
(r.a): Radi Allahu Anhuma (For both or all of them)
(a.s): Alahis Salam



  1. Who was Sulaiman?

Sulaiman kaun the?

  1. Prophet of Allah / Allah ke Nabi 




  1. Who is the inheritor of Prophet Dawood (a.s)

Dawood (a.s) ke waris kaun the?

  1. Solomon / Sulaiman (a.s) 




  1. Was Sulaiman (a.s) King as well as Prophet?

Kya Sulaiman (a.s) Badshah aur Nabi the?

  1. Yes he was both king and prophet / Haan who badshah aur nabi done the 



  1. Whom Allah gave the biggest Kingdom?

Allah ne kis nabi ko sabse badi badshahat dee?

  1. Soloman (a.s) / Sulaiman (a.s) 




  1. What did Sulaiman (a.s) ask Allah related to his Kingdom?

Sulaiman (a.s) ne apni badshahat ke talluk se Allah se kya Dua maangi?

  1. Give me a Kingdom likes of which nobody will get after me / Mujhe aiesee Badshahat de jiske jaisee mere baad kisi ko na mile 




  1. Mention three powers Allah gave to Sulaiman (a.s)?

Allah ne Sulaiman ko jo takhatein dee, unmein se teen ke naam batao?

  1. Control on Air, Jinn & Birds / Hawaon, Jinn aur Parindon par control 




  1. Which type of power that Allah gave to Sulaiman that made him to travel here and there?

Allah ne Sulaiman ko aisee kaunsee takhat di jisse woh idhar udhar jaaya karte the?

  1. Control on Winds / Hawaon par control 




  1. What kinds of Jinns were in control of Sulaiman (a.s)?

Kis kis tarah ke Jinn Sulaiman ke hukum par chalte the?

  1. Those who used to construct buildings, Divers and Other types who were chained / Imaaraat banana wale, Gotakhor aur Dosre jinnat jo zanjeeron mein jakde rehte the 




  1. What type of work Sulaiman (a.s) used to take from Jinn?

Jinn se Sulaiman kya kaam liya karte the?

  1. Constructions of huge buildings, they used to dive into the sea and get Pearls and they used to do all the works that humans can’t do / Badi badi imaarte banwate, dariyaon mein gota laga kar unmein se Heere Jawarat aur Moti nikalte the aur jo kaam koi aam insaan ki taqat se zada hote the woh Jinn se karwaya karte the 




  1. What Sulaiman would do with those Jinns who used to create troubles for others and disturb others?

Jo Jinn dosron ke kaamon mein rukawat daalte ya kisi ko tang karte tou Sulaman (a.s) unke saaath kya karte the?

  1. He used to chain them and put them behind baars / Woh unko zanjeero mein jakad kar qaid khane mein daal dete the 




  1. What kind of work “Winds” used to do for Sulaiman (a.s)?

“Hawaiyein” (Winds) Sulaiman (a.s) ke liye kya kaam karti the?

  1. Winds used to carry Sulaiman (a.s) and his army from one place to another softly / Hawayein Sulaiman (a.s) and unki sena ko narmi ke saath idhar udhar le jaane ka kaam karti thee 




  1. How long Sulaiman takes to complete one month journey through wind? Hawaon ke zariye Sulaiman ek mahine ka safar kitne der mein pura kar liya karte the?

  1. Few hours/Chande ghanton mein




  1. Who was the father of Sulaiman?

Sulaiman (a.s) ke walid kaun the?

  1. Dawood (a.s) 




  1. What miracle Allah gave to the father of Sulaiman (a.s) i.e. Dawood (a.s)?

Allah ne Sulaiman (a.s) ke walid Dawood (a.s) ko kya maujoza diya?

  1. Iron became soft when he used to touch it and he made things easily from it / Loha unke chhone se narm ho jaata tha jisse woh cheezein banaya karte the 




  1. Did Allah give same miracle of Dawood (a.s) to Sulaiman (a.s), if yes then what was it?

Allah ne jo karishma Dawood ko diye the kya wahi karishma Sulaiman ku diya gaya tha. Agar aap ka jawab haan. hai to wo kya tha?

  1. Yes, iron became soft on his hand / Haan unke haaton mein loha naram hona 




  1. Instead of water, Allah gave a “Pond” to Sulaiman (a.s) which was filled with a metal, what was that metal?

Allah ne Sulaiman (a.s) ko jo “Talaab” diye tha, usmein Paani ke badle kya bhara gaya tha?

  1. Copper / Tamba 




  1. What Sulaiman (a.s) used to do with the pond of copper?

Tambe ke Talaab se Sulaiman (a.s) kya kiya karthe the?

  1. He used to make different things from it / tarah tarah ki cheezein banate the 




  1. Which animal Sulaiman like most?

Kounsa jaanwar Sulaiman ko bahut pasand tha?

  1. Horse / Ghoda 




  1. How many wives Sulaiman (a.s) had?

Sulaiman (a.s) ki kitni biwiyan thee?

  1. 100 



  1. What Sulaiman (a.s) forgot to mention when he intended to have babies from his many wives?

Jab Sulaiman (a.s) ne aulad ka irada kara tou wo kaun si baat bolna bhool gaye?

  1. He forgot to mention InshaAllah / Wo InshaAllah bolna bhool gaye the 




  1. When Sulaiman (a.s) intended to have babies and forgot to mention InshaAllah that Allah did not like so what Allah gave him?

Jab Sulaiman (a.s) bachche chahte the tab woh InshaAllah kehna bool gaye aur woh baat Allah ko pasand nahi ayee, Isliya Allah ne unko kya diya?

  1. Only one of his wife delivered a baby but it was dead / Sirf ek hi biwi ko bachcha hua who bhi mara hua 




  1. When Sulaiman realized his mistake about not mentioning Insha-Allah when he intended to have babies then what did he do?

Sulaiman (a.s) ne kya kiya jab unko apni galti ka ehsaas huwa ke woh InshaAllah kehna bhool gaye jab unhone bachchon ka irada kya tha?

  1. He repented to Allah and always mentioned Insha-Allah after that / Unhone Allah se mafi mangi aur uske baad hamesha InshaAllah bola 




  1. What talent Allah gave to Sulaiman (a.s) other than miracles?

Allah ne kaunsa hunar Sulaiman (a.s) ko diya tha maujozaat ke alawa?

  1. He was very good in Judgements / Faisla sunane mein woh sabse behtar the 




  1. How Sulaiman (a.s) made judgement between two mothers, each of them claiming that she is the real mother of a baby?

Kis tarah Sulaiman (a.s) ne do Ma (mothers) jo ek bachche ke liye ladayee kar rahee thee, unka faisla sunaya?

  1. He told the mothers that he will cut the baby into two half for them / Unhone kaha ki mein iske do tukde karke, aadha aadha tum dono ko de deta hoon 




  1. Which insect story is related to Sulaiman (a.s) in the Qur’an?

Kis keede ki kahani Qur’an mein hai jiska talluq Sulaiman (a.s) se hai?

  1. Ant / Cheeti 




  1. When the army of Sulaiman (a.s) went to the ground of ants so what did one ant said to others?

Jab Sulaiman (a.s) ki fouj choontion (ants) se bhari hui zameen ko pahauchee tab ek cheenti ne dusree choontion se kya kaha?

  1. Be careful, Sulaiman’s army might have killed you in ignorance / Khabardar ho Jao, Sulaiman ki fouj anjaane mein tumko kuchal na de 




  1. What Sulaiman (a.s) did when he heard the communication of the Ant?

Jab Sulaiman (a.s) ne chenti ki baat suni tou kya kiya?

  1. He Laughed / Woh hase 




  1. Which bird was absent from the Army of Sulaiman (a.s)?

Kaun sa parinda Sulaiman (a.s) ki army mein se gair hazir tha?

  1. Hudhud 




  1. What Sulaiman (a.s) said when he did not find Hudhud?

Sulaiman (a.s) ne kya kaha jab unhone Hudhud ko gair hazir paaya?

  1. I will punish him unless he gives me genuine reason / Mein Hudhud ko saza dunga agar wo apni gair haziri ki haqiqi wajah na batega 




  1. What news Hudhud brought to Sulaiman (a.s)?

Konsi khabar Hudhud ne Sulaiman (a.s) ko di?

  1. He brought the news of Queen of Sheba / Woh Malika-e-Bilqees ki khabar le kar aaya jo Saba ki thee 




  1. How was the throne of the Queen of Sheba?

Saba ki Malika-e-Bilqees ka takht kaisa tha?

  1. Huge / Bahaut Bada 




  1. Whom the people of Queen of Sheba worship?

Saba ki Malika-e-Bilqees ke log kiski ibaadat karte the?

  1. Sun / Suraj 




  1. Who diverted the people of Queen of Sheba from the right path?

Saba ki Malika-e-Bilqees ke logo ko kisne sahi raste ke behkha diya tha?

  1. Shaitan 




  1. What was the specialty of the Hudhud?

Hudhud ne kya khaas tha?

  1. Hudhud could tell the water under the ground / Hudhud zameen ke andar kahan paani hai bata sakta tha 




  1. What Sulaiman (a.s) did when he got the news of Queen of Sheba from Hudhud?

Hudhud se Saba ki Malika-e-Bilqees ke baare me sunne ke bad Sulaiman (a.s) ne kya kiya?

  1. He verified the news / Unone Khabar ki jaanch karwayee 




  1. What invitation Sulaiman (a.s) sent to Queen of Sheba?

Kya Dawatnama Sulaiman (a.s) ne Malika-e-Bilqees bhejee?

  1. Invitation of Tawheed / Dawat-e-Tawheed 




  1. What advised the advisors of Queen of Sheba gave to her about the invitation of Sulaiman (a.s)?

Kaun si salah salahkaaron ne Malika-e-Bilqees ko Sulaiman (a.s) ki Dawat ke talluq se di?

  1. To fight with Sulaiman (a.s) / Sulaiman (a.s) se jung karne ki 




  1. After getting the advised from her advisors, what Queen of Sheba did?

Salaahakaar ke salaah ke baad Malika-e-Bilqees ne kya kiya?

  1. She sent some gifts for Sulaiman (a.s) to get the idea about his army and strength / Unone kuch Tohfe Sulaiman (a.s) ko bhijwaye taki unki takhat ka andaza laga sakein 




  1. When Hudhud brought the news of Queen of Sheba that she is sending her messengers to check the strength of Sulaiman then what Sulaiman did?

Jab Hudhud khabar laaya ki Malika-e-Bilqees apne kuch wazeer bhej rahee hai taki Sulaiman (a.s) ki takhat ka andaza laga sake tou Sulaiman (a.s) ne kya kiya?

  1. Sulaiman (a.s) gathered his whole army to show his strength to the messengers of Queen of Sheba / Sulaiman (a.s) ne apne takhat deekhane ke liye apne sare fouji ek saath jama kar diye 




  1. Did Sulaiman (a.s) accept the gifts from Queen of Sheba?

Kya Sulaiman (a.s) ne Malika-e-Bilqees ke Tohfon ko Qabool kiya?

  1. No, he said my Lord has given me better than this / Nahi, unone kaha mera Rabb ne mujhe isse dehtar diya hai 




  1. When messengers of Queen of Sheba went back to her palace and told her about the strength of Sulaiman (a.s) then what she did?

Jab Malika-e-Bilqees ke wazeeon ne Sulaiman (a.s) ke takhat ke bare usko bataya tou usne kya kara?

  1. She said I am ready to accept Islam / Usse kahan mein Islam Qabool karne ke liye tayyar hoon 




  1. When Sulaiman (a.s) knew that Queen of Sheba is ready to accept Islam then what he did?

Jab Suliaman (a.s) ko Malika-e-Bilqees ki islam ki Qabooliyat ke bare me pata chala to unhone kya kiya?

  1. He asked from his gathering that is there anyone who can bring me the throne of Queen of Sheba before she come here / Unhone poocha ki hai koi jo Malika-e-Bilqees ka Takht yahan le aaye uske aane se pehle 




  1. How many Jinns offered their service to bring the throne of Queen of Sheba before she come to the Palace of Sulaiman (a.s)?

Kitne Jinn ne Malika-e-Bilqees ka takht laane ke liye haami bhari?

  1. 2 




  1. What was the service offered by the first Jinn to Sulaiman (a.s) to bring the throne of Queen of Sheba?

Pehle Jinn ne Malika-e-Bilqees ke takht laane ke bare mein Sulaiman (a.s) se kya kaha?

  1. He offered that he can bring the throne before you stand up / Kaha aapke kade hone se pehle Takht le aaunga 




  1. What was the service offered by the second Jinn to Sulaiman (a.s) to bring the throne of Queen of Sheba?

Dosre Jinn ne Malika-e-Bilqees ke takht laane ke bare mein Sulaiman (a.s) se kya kaha?

  1. He offered that he can bring the throne before you blink of an eye / Kaha ki aapki Palakh jhapakne se pehle mein Takht la donga 




  1. Who brought the throne of Queen of Sheba to Sulaiman (a.s)?

Kisne Malika-e-Bilqees a takht Sulaiman (a.s) ko la kar diya?

  1. Second Jinn within the blink of an eye / Dusre Jinn ne palakh jhapakte ke phele 




  1. When Sulaiman (a.s) saw the throne of Queen of Sheba in front of him then what he said to Lord?

Jab Sulaiman (a.s) ne Malika-e-Bilqees ka Takht jab apne samne dekha to apne Rabb se kya kaha?

  1. He praised and thanks to Allah / Allah ki badayee kari aur Shukr kara 




  1. What ordered Sulaiman (a.s) gave to his workers when he saw the throne of Queen of Sheba in front of him?

Malika-e-Bilqees ka Takht apne saamne dekh kar Sulaiman (a.s) ne kya hukum diya?

  1. He said change the throne little bit, let see if Queen will recognize it / Unhone kahan is Takht ko thoda sa badal do, dekhein ki Malika-e-Bilqees isko pehchanegee 




  1. When Queen of Sheba saw her throne in the palace of Sulaiman (a.s), did she recognize it?

Kya Malika-e-Bilqees ne jab apne Takht ko Sulaiman (a.s) ke darbar me dekha tou kya usko pehchana?

  1. She said it seems like mine / Kaha ki yeh mere Takht jaisa hai 




  1. What kind of palace Sulaiman (a.s) showed to Queen of Sheba?

Kis tarah ka Mahal Sulaiman (a.s) ne Malika-e-Bilqees ko dikhaya?

  1. Palace made up of glass / Sheeshe se bana huwa Mahal 




  1. Who made the palace of Sulaiman (a.s) made up of glass?

Sulaiman (a.s) ke Sheshe ka Mahal kisne banaya tha?

  1. Jinn 




  1. Why Queen of Sheba drag up her lower garment when she entered into palace?

Jab Malika-e-Bilqees mahal mein dakhil hui tou usne apna lehenga apne haathon se uper kyo uthaya?

  1. She thought that water is flowing on the floor of Palace / Samjithi ki Mahal ke zameen par paani beh raha hai 




  1. Was there water on the floor of the Palace of Sulaiman (a.s) made up of glass?

Kya Sulaiman (a.s) ke Sheesh Mahal ki zameen par pani tha?

  1. No, but water was under the floor which was made up of glass / Nahi magar pani zameen ke niche tha jo sheeshe ki thee 



  1. Which mosque Sulaiman (a.s) reconstruct?

Kaun si Masjid Sulaiman (a.s) ne dubara banwai thee?

  1. Masjid al-Aqsa




  1. After reconstructing the al-Aqsa mosque, how many Duas Sulaiman (a.s) made to Allah?

Aqsa Masjid ko dubara banana ke baad Sulaiman (a.s) ne kitnee Dua Allah se maangi?

  1. 3 




  1. Allah gave lots of powers to Sulaiman (a.s), he used to control the Jinn, winds, birds etc, did he died?

Allah ne Sulaiman (a.s) ko bahaut sare takhatein di thee jaise Jinn, Hawa, Parinde unke hukum par chalet the, kya Sulaiman (a.s) ka maut aayee?

  1. Yes he died, every soul shall taste death / Haan kyonki hare k ruh ko maut ka maza chakhna hai 




  1. How Sulaiman (a.s) Died?

Sulaiman (a.s) ki maut kis tara aayee?

  1. While sitting, putting his hand on the stick, he was monitoring the work of Jinn, Allah took his soul out /Jab woh baithe hue aur apne haath chadi pe rake hue, Jinn ke kamon ka nighrani kar rahe the tab Allah ne unki ruh ko nikal liya 




  1. What happened to Jinn after the death of Sulaiman(a.s)?

Sulaiman (a.s) ke maut ke baad jinn ka kya huwa?

  1. Jinn thought Sulaiman (a.s) is still alive and monitoring them /Jinn ko laga ki Sulaiman (a.s) unke kaam ki nigrani kar rahe hain 




  1. After the death of Sulaiman (a.s), how many years he was sitting like that and Jinn thought that he was monitoring them?

Sulaiman (a.s) ki maut ke baad, kitne saal wo aiese hi baith rahe aur Jinn ko laga ki Woh unki nigrani kar rahe hain?

  1. 2 




  1. How Jinns came to know the death of Sulaiman (a.s)?

Jinn ko Sulaiman (a.s) ki maut ki khabar kaise hui

  1. Sulaiman (a.s) fell down on the ground after Termites ate his stick / Chadi ko Deemakh ke khane se Sulaiman (a.s) zameen par gir pade 




  1. How can we say Jinn has no knowledge of unseen from the death of Sulaiman (a.s)?

Sulaiman (a.s) ke maut se, hum kaise keh sakte hai ke jinn ko Gayb ka ilm nahi hai?

  1. If Jinn had knowledge of unseen, they would have known the death of Sulaiman (a.s) right after his soul departed his body / Agar Jinn ko Gayb ka ilm hota tou unko Sulaiman (a.s) ki ruh nikalte hi khabar ho jaati 




  1. What was the age of Sulaiman (a.s)?

Sulaiman (a.s) ki kitni umar thee?

  1. 150 

www.islamhelpline.net

Yüklə 44,94 Kb.

Dostları ilə paylaş:




Verilənlər bazası müəlliflik hüququ ilə müdafiə olunur ©muhaz.org 2024
rəhbərliyinə müraciət

gir | qeydiyyatdan keç
    Ana səhifə


yükləyin