17. Maula Ali as ki shaan me…
Mai ne kaha k ziker-e-rasool-e-khuda karoon,
kehney lagay k haan ye hi johar ki baat hai...
Mai ne kia jo daawat-e-awaal ka tazkira,
bolay hatao is mai to haider ki baat hai..
Mai ne kaha jihaad-e-payambar karoon bayaan,
khandaq ka zikr hai kahin Khyber ki baat hai,
kehney lagay k aur koi tazkira karoo,
is mai to saaf zegam-e-dawar ki baat hai..
Mai ne sanaya ayat-e-tatheer ka nozool,
bolay k ghar mai rehney do ye ghar ki baat hai..
mai ne nabi ki but shikani ka kia jo zikr..
kehney lagay k dukhti hui rag na chehriye,
paye ali(as) aur doosh-e-payambar ki baat hai..
mai ne sunaya jab shab-e-hijrat ka waqiya,
bolay k ye rasool k bistar ki baat hai..
mai ne nabi k akhri hajj ka kia jo zikr,
bolay k ye gadeer k mimber ki baat hai..
array mai ne kaha k zikr-e-nabi kis tarhaan karoon,
ahmad(pbuh) ki baat baat mai haider ki baat hai...
bolay k zikr auroon ka aata nahi hai kia..?
Mai ne kaha k ye to muqaddar ki baat hai...
*********
Is tarha se jine ka hunar dete hai Abbas,
RagRag me wafadari bhar dete hai Abbas,
ye aise sakhi, aise sakhi, aise sakhi hai,
kuch mange bina jholi bhar dete hai Abbas..
Dostları ilə paylaş: |