The Reality of Taqwa


Maula Ali as ki shaan me…



Yüklə 234,65 Kb.
səhifə5/18
tarix07.01.2022
ölçüsü234,65 Kb.
#90967
1   2   3   4   5   6   7   8   9   ...   18
9. Maula Ali as ki shaan me…

Kis Tarha Se Manzil-e-Irfan-e-Haydar Sochna


Ghayr Mumkin Hai Had-e-Imkaa Se Baahar Sochna
Kalma-e-Tawheed Ki Haqq-e-Wilayat Ki Qasam
Shirk Hai Ghayron Ko Maula Ke Baraabar Sochna
Khutba-e-Zehra Samajhne Ke Liye Puuri Tarha
Laazmi Hai Ban Ke Haydar Ya Payambar Sochna
Zauf-e-Jism-e-Mustafa Ka Aur Bhi Tha Kuch Ilaaj
Chaadar-e-Masooma-e-Aalam Se Hatkar Sochna
Jiske Tukdo Par Paley As’haab-e-Khatmul Mursaleen
Kisne Ki Unki Kifaalat Zindagi Bhar Sochna

Kehte Hain Rif’at Kisey Aur Auj-e-Insaani Hai Kya


Fatema Zehra Ke Dar Par Sar Jhukaa Kar Sochna
Dushmani Bint-e-Nabi Se Aur Nabi Se Dosti
Kya Yehi Islam Hai Ay Banda Parwar Sochna
Hashr Mein Kholega Jab Apni Adaalat Kirdigaar
Mujrim-e-Baagh-e-Fidak Honge Kahaan Par Sochna
Kalma-e-Haq Ki Hifaazat Jaan Dekar Kis Ne Ki
Gar Miley Fursat Kabhi To Kalma Padhkar Sochna


Yüklə 234,65 Kb.

Dostları ilə paylaş:
1   2   3   4   5   6   7   8   9   ...   18




Verilənlər bazası müəlliflik hüququ ilə müdafiə olunur ©muhaz.org 2024
rəhbərliyinə müraciət

gir | qeydiyyatdan keç
    Ana səhifə


yükləyin