13.Maula Husain as ki shaan me…
Khuloos-e-Dil ki Roshnaai le kar
Ba Deeda Tar Hussain Likhna
Tum Aisa karna Kitab-e-Dil ke
Waraq Waraq Par Hussain liknna
..Huroof Khushboo ke Phool Ban kar
Tumhare Seenay Main Khil Uthainge
Tum aisa Karna Ke Apni Aankho’n
Aur Apne Lab Par Hussain liknna
..Ye Pairh Saaray Ye Sab Parinde
Adab Se Sajda Karainge Unn ko
Tum Aisa Karna Ke Unn Hawao’n
Ki Jhaalaro’n Par Hussain liknna
.Hussain likh Kar Phir Uss Ko Likhna
Phir Uss kO Likh kar tum Aisa Karna
Ke Aaj Tak Tum Ne Jo Bhi Likha HO
Tum Uss Ka MehWar Hussain liknna
Aazan DainGi Tumhari Aankhain
Tumhaare Misray Adaa Karain Gi
Tum Aisa Karna K Rah-e-Haqq Main
Hussain Parh kar Hussain liknna
Wo Barchiyan Wo Chamaktay KhanJar
wo TapTay Sehraa Pukaartay hain
Tum Aisa Karna K KarBalaa ke
Badan Pe Ja Kar Hussain liknna
.Agar Kitaabat Ka Shauq Ho to
Kitaab-e-Sabar-0-Razaa Main Rahat
Jahan Shaheedo’n Ka Naam Likhna
Tou Sab se Opar Hussain liknna. .
HussaiN rooH me Shamil Hai
Zindagi Ki TaraH
Ye NaaM Lu To TabiyaT Ko ChaiN milta HAi
MagaR Ye Faiz Hai Mashroot Ek Baat k Sath
YazeeD Dil me Na Ho to, HussaiN Milta HAi.
Dostları ilə paylaş: |