2.Khatun e jannat j. Zahra sa ki shaan me
Likh Qalam Se Naam ZEHRA(s.a) Ka
Jaisay Tu Hai Ghulam ZEHRA(s.a) Ka
Jis Kay Ghar Main Hai MAJLIS _E_ SHABBIR(a.s)
Us Ko Pohanchay Salam ZEHRA(s.a) Ka
Mushkiley Pal Main Taal Daita Hai
ISM_E_AAZAM Hai Naam ZEHRA(s.a) Ka
Kar Rahay Hain RASOOL(S.A.W) Bhi Tazeem
Ab To Samjho Maqaam ZEHRA(s.a) Ka...
*********
"Baagh-e-Fidak bhi chheen liya aur mukar gayae..
Mimbar Ali ka chheen liya aur mukar gayae..
Maula Hasan ko zehar diya aur mukar gayae..
Zainab k ghar ko loot liya aur mukar gayae..
Rotay hain hum is liyae shor-o-shain say..
kal ko na mukar jayen ye qatl-e-Hussain say...”
****************
Kya chadar-e-BIBI ki fazeelat koi likhey
Bus ayat-e-tat'heer ka ailan bohat hai.
Mehshar mein humein door se pehchanein gi BIBI
Matam ke nishan hain yehi pehchan bohat hai
Mehroom-e- shifa'at humein rahney nahi dein gay
BIBI terey bachon pe humein maan bohat hai
Aaney ko hai BIBI ka pisar Mahdi-e-aakhir(a.s)
Halaat batatey hain ke imkan bohat hai
Islam hai ehsan musalmano pe lekin
Islam pe BIBI tera Ehsan bohat hai..
**********
ZEHRA(S.A) Teri Jageer hai Jannat bhi Fidak bhi
Ye Jabal ye Azal Ye Pani ye Falak bhi
Shohar ki taraf se hain Ghulami may Malak bhi
BIBI(S.A) Tere Haq Mehar may Shamil hai Namak bhi
Bus Teri Zameeno per Basi Jati hai Dunya
Sadiyon se Faqat Tera Namak khati hai Dunya...
Bhar bhar k jame ulfate HAIDER(a.s) piya karo,
Mushkil pade to naam ALI(a.s) ka liya karo,
Gar chahte ho khuld mein uncha milay makaam,
ZAHRA(a.s) k dushmano pe tabarra kiya karo
**************
3. Main Teri Shaan Na Likhon To Bhala Kya Likhon.
Main Teri Shaan Na Likhkhu To Bhala Kya Likhkhu..
Kule Eman Na Likhkhu To Bhala Kya Likhkhu
Dar Jalaney K Liye Aaye Jo Tera Bibi..
Unko Haiwan Na Likhkhu To Bhala Kya Likhkhu
Haq Tera Dene Se Inkar Kiya Jis Ne Bhi..
Unko Shaitan Na Likhkhu To Bhala Kya Likhkhu...
Jo Rulaega Inhain Usnay Rulaya Hai Mujhe..
Main Ye Farman Na Likhkhu To Bhala Kya Likhkhu..
Binte Zahra Tere Khutbo Ne Bachaya Islam..
Teray Ehsan Na Likhkhu To Bhala Kya Likhkhu..
Dostları ilə paylaş: |