The Reality of Taqwa



Yüklə 234,65 Kb.
tarix01.11.2017
ölçüsü234,65 Kb.
#25285

Yusuf e zehra vol 14 ashaar 53 54 Yusuf e zehra vol 14 ashaar


Yusuf e Zehra

Imam Mahdi (a.s.)

Vol. 14

Ashaar, qasida


Published by

www.yusufezehra.com

Dua :Hadiyo

yusufezehra vol 1 to 14 available on

www.yusufezehra.com www.hadilibrary.org
contact Email id : yusufezehra@gmail.com

This kitab is only for shia

1. Khatun e jannat j. Zahra sa ki shaan me
"QuraaN Ke WarisoN Ki Ye PehchaN Ban GaE,
Nikli Jo BaaT Moo Se To QuraaN Ban GaE,
Hukm e Khuda Se ChooMaY QadaM Syeda K JAb,
BanjaR ZameeN AraB Ki GulistaN Ban GaE,
ChashaM e FalaK GawaH Hai WaQt e Mubahila,
Zehra Lab e Rasool Ki MuskaN BaN GaE,
Farsh e GhaM e HussaiN Ki TaseeR Dekhiye,
Zehra GhareeB KhanaY Ki MehmaaN Ban GaE".

***********

MAi Mushkil MAi

PanjetaN Ki Panah Leta Hun,


Mehfil Mai Zikar e Ali Se SAja Leta Hun,

Duniya Ki Guftagu Se

JAb Dil Bezaar Ho Jata HAi,
Hussain Ka Zikar KAr k

Syeda s.a Se Dua Leta Hun"

*********

"Wajah Baqa e Nasal e NabowaT Hain Fatima,,


Sab Se AzeeM Jo Hai Wo NAimaT HAin Fatima,,
Ay Na'Shanas Soorah e KausaR Ko Padh k Dekh,,
Allah k Rasool Ki Izzat Hain Fatima".
2.Khatun e jannat j. Zahra sa ki shaan me

Likh Qalam Se Naam ZEHRA(s.a) Ka


Jaisay Tu Hai Ghulam ZEHRA(s.a) Ka
Jis Kay Ghar Main Hai MAJLIS _E_ SHABBIR(a.s)

Us Ko Pohanchay Salam ZEHRA(s.a) Ka


Mushkiley Pal Main Taal Daita Hai
ISM_E_AAZAM Hai Naam ZEHRA(s.a) Ka
Kar Rahay Hain RASOOL(S.A.W) Bhi Tazeem
Ab To Samjho Maqaam ZEHRA(s.a) Ka...

*********

"Baagh-e-Fidak bhi chheen liya aur mukar gayae..
Mimbar Ali ka chheen liya aur mukar gayae..
Maula Hasan ko zehar diya aur mukar gayae..
Zainab k ghar ko loot liya aur mukar gayae..
Rotay hain hum is liyae shor-o-shain say..
kal ko na mukar jayen ye qatl-e-Hussain say...”

****************

Kya chadar-e-BIBI ki fazeelat koi likhey
Bus ayat-e-tat'heer ka ailan bohat hai.
Mehshar mein humein door se pehchanein gi BIBI
Matam ke nishan hain yehi pehchan bohat hai
Mehroom-e- shifa'at humein rahney nahi dein gay
BIBI terey bachon pe humein maan bohat hai
Aaney ko hai BIBI ka pisar Mahdi-e-aakhir(a.s)
Halaat batatey hain ke imkan bohat hai
Islam hai ehsan musalmano pe lekin
Islam pe BIBI tera Ehsan bohat hai..

**********

ZEHRA(S.A) Teri Jageer hai Jannat bhi Fidak bhi
Ye Jabal ye Azal Ye Pani ye Falak bhi
Shohar ki taraf se hain Ghulami may Malak bhi
BIBI(S.A) Tere Haq Mehar may Shamil hai Namak bhi
Bus Teri Zameeno per Basi Jati hai Dunya
Sadiyon se Faqat Tera Namak khati hai Dunya...
Bhar bhar k jame ulfate HAIDER(a.s) piya karo,
Mushkil pade to naam ALI(a.s) ka liya karo,
Gar chahte ho khuld mein uncha milay makaam,
ZAHRA(a.s) k dushmano pe tabarra kiya karo

**************


3. Main Teri Shaan Na Likhon To Bhala Kya Likhon.
Main Teri Shaan Na Likhkhu To Bhala Kya Likhkhu..
Kule Eman Na Likhkhu To Bhala Kya Likhkhu
Dar Jalaney K Liye Aaye Jo Tera Bibi..
Unko Haiwan Na Likhkhu To Bhala Kya Likhkhu
Haq Tera Dene Se Inkar Kiya Jis Ne Bhi..
Unko Shaitan Na Likhkhu To Bhala Kya Likhkhu...
Jo Rulaega Inhain Usnay Rulaya Hai Mujhe..
Main Ye Farman Na Likhkhu To Bhala Kya Likhkhu..
Binte Zahra Tere Khutbo Ne Bachaya Islam..
Teray Ehsan Na Likhkhu To Bhala Kya Likhkhu..
4..Maula Ali as ki shaan me..
A to Z tak MOLA ALI A.S k fazail. . . .

A= ABU TURAB HAI ALI. . .


B= BAB_E_ILM HAI ALI. . .
C= CHAHAT_E_RASOOL HAI ALI. . .
D= DEEN_E_HAQ HAI ALI. . .
E= ELM KA DARWAZA HAI ALI. . .
F= FAKHAR_E_KHUDA HAI ALI. . .
G= GUL_E_CHAMAN HAI ALI. . .
H= HAIDER_E_KARAR HAI ALI. . .
I= ISLAM KI BAQA HAI ALI. . .
J= JAM_E_KOUSAR HAI ALI. . .
K= KABAY KI PEHCHAN HAI ALI. . .
L= LEHJA_E_KHUDA HAI ALI. . .
M= MOO_E_BATOOL HAI ALI. . .
N= NIDA_E_HAQ HAI ALI. . .
P= PARWAZ_E_ISLAM HAI ALI. . .
Q= QURAN KI JAN HAI ALI. . .
R= RAAH_E_NIJAT HAI ALI. . .
S= SARWAR KA DAMAAD HAI ALI. . .
T= TILKA_E_RASOOL HAI ALI. . .
U= UNN WALI ULLAH HAI ALI. . .
V= VIRD_E_NABI HAI ALI. . .
W= WARIS_E_DEEN HAI ALI. . .
Y= YAQEEN_E_BATOOL HAI ALI. . .
Z= ZUBAN_E_QURAN HAI ALI. . .

********


kis ne insan ko kamalat se hairan kiya 
kis k kirdar ne Kafir ko Musalman kiya 
kis ki tafseer ne Quran ko Quran kiya 
kis ki Talwaar ne Islam pe Ehsan kiya 
Bashar-o-Jin-o-Malak jis ko Wali kehty hain
Hum usi Raaz-e-ilahi ko ''ALI'' kehty hain

*********



HAIDER (A.S) Ki Wilayat Ka Sada Raaj Rahe Ga,
Har Daor ALI (A.S) Ka Mohtaj Rahe Ga,
HAIDER (A.S) Teri Azmat Ko Koi Laakh Chupaye,
Tu MILAT-E-ISLAM Ka Sartaj Rahe Ga

5. Maula Ali as ki shaan me

Main ne Uss Zaat Pe

Likhne Ki Jisarat Ki Hai,


Jis K Daman Pe Farishto Ne Ebadat Ki Hai,
Kis Ki Jurrat Mere Aaqa K Barabar Aaye,
Mere Aaqa Ne To Nabiyon Ki Imamat Ki Hai,
Zakham Kha Kar Bhi Jo Phulon Ki Ridayen Bakhshe,
Mere Aaqa Ne To Kaanton Se Muhabbat Ki Hai,

ALLAH ALLAH Wo Kiya Log Thay Jin Logon Ne,


Chalte Phirte Mere Aaqa Ki Ziyarat Ki Hai,

Asmano Pe Zamino Pe Hakumat Ki Hai,


Jis Jis Ne Mere Aaqa Ki ita’at Ki Hai.

********
6. Alif se ye fazail e Maula Ali as


Ager Alif Se Lo Insann ALI (a.s)
Be Se Kamil e Burhan ALI (a.s)
Te Se Tatheer Ki Jaan ALI (a.s)
Se Se Saqlain Ki Shaan ALI (a.s)
Har Makhfi Baat Ka Raaz ALI (a.s)
Aur Jeem Se Pak Jawaz ALI (a.s)
Makdoor Ali Taqdeer ALI (a.s)
He Se Haq Ki Tasweer ALI (a.s)
Khe Se Khatmul-Quran ALI (a.s)
Aur Khaliqa Ka Shahkar ALI (a.s)
Shazada-E-Husun-O-Jamal ALI (a.s)
Re Se Rehbar Har Haal ALI (a.s)
Wahid Ki Qasam Wajid Bhi ALI (a.s)
Hai Ze Se Zahid Bhi ALI (a.s)
Be-Badal Ali Baaqi Bhi ALI (a.s)
Mera Sin Se Hai Saaqi Bhi ALI (a.s)
Sucha Sacha Kafi Bhi ALI (a.s)
Aur Sheen Se Hai Shafi Bhi ALI (a.s)
Hai Suad Se Sabik Zikr-E-ALI (a.s)
Aur Zuad Se Zamin Fiqr-E-ALI (a.s)
Ta Se Tarfain Mein Noor-E-ALI (a.s)
Za Se Purnur Zahoor-E-ALI (a.s)
Rutba Hai Khuda Ke Wali Ka ALI (a.s)
Aur Ain Se Naam ALI A.S Ka ALI (a.s)
Hai Gain Se Pak Gani Bhi ALI (a.s)
Fe Se Fazal-E-Rabbi Bhi ALI (a.s)
Mera Kaaf Se Kibla ALI A.S ALI (a.s)
Aur Kaaf Se Kaaba ALI A.S ALI (a.s)
Hai Mim Se Shan-E-Ma Bhi ALI (a.s)
Aur Mun Kunto Maula Bhi ALI (a.s)
Hai Noon Se Noor-E-Khuda Bhi ALI (a.s)
Wow Se Wajhul-Lah Bhi ALI (a.s)
Sun Lo Ain-Ul-Lah bhi ALI (a.s)
Aur Ye Se Yad-Ul-Lah bhi ALI (a.s)
Emaan Ali Eeqaan ALI (a.s)
Sultan Ali Meri Jaan ALI (a.s)

**************

ZIKR-E-MOLA ALI a.s ME SUBHO

SHAM KARTA HU...


YA ALI a.s TERE CHAHNE WALO KA EHTARAM KARTA HU...
JIS DIL ME BASTI HAI MOHABBAT TERI AYE MERE MAULA a.s...
ME US DIL KO JHUK JHUK KAR SALAM KARTA HU...

********


Likh Likh KE Choomte hai Tera Naam YA ALI (AS)..
Dil Mai Basa Hua Hai Tera Naam YA ALI (AS)..
Lagti Nahi Hai Isliye Thokar Mujhe Kabhi..
Aata Hai Tera Naam Mere Kaam YA ALI (AS)

******


*****

Ali Ali se dilo ko suroor milta hai 


Nigah-e- fikr ko taza shaoor milta hai
Naseeb kaisa bhi ho ya Ali madad keh kar
Khuda se mang lo khuch bhi zaroor milta hai

******


7. Shaikh se dosatana Buri baat hai.
Shaikh se Dostana Buri baat hy 
Us se melna milana Buri Baat hy 
Mehfel-e-Murtaza a.s main jo aaty nai 
un k Ghar aana Jaana Buri baat hy 
Shaikh se Dostana Buri Baat hy 
Us se .......
Sunt-e-Mustufa (saww) hy yeh Zekry ALi a.s
Es pe Ungli Uthna Buri Baat hy 
shaikh se Dostana Buri baat hy

us se .......


Mout k Muon main Sarkar-e-Konaen (saww) ko
Chod k bhag Jana Buri Baat hy 
Shaikh se dostana BUri baat hy 
us se ......
Jis ko Mehfel se Apni utha dey Nabi (saww)
Us ko Dil main Behtana Buri Baat hy
shaikh se Dostana Buri baat hy 
us se .......
Jo be Ghazi a.s ka Parcham Utthatay nai
Hath un se Mellana Buri Baat hy 
shaikh se Dostana Buri baat hy 
us se .......
Waqt Dafny Pyghamber (saww) Jo Ghaib Rahay
un ki Maiet Uthana Buri Baat hy 
shaikh se Dostana Buri baat hy
us se ....
Azm-e-main Sjjad Kehta hy Sajaad se
Khof se Sar Juhkana Buri baat hy 
Shaikh se Dostana Buri Baat hy 
us se Melna Milana Buri baat hy
8. Bura maan gaye……..

Qissa Khaiber Ka Sunaya To Bura Maan Gaye...


Aaiena Unn Ko Dikhaya To Bura Maan Gaye..

Dar e Zahra Ko Madinay Main Jalaya Kis Ne..?


Hm Ne Jab Naam Bataye To Bura Maan Gaye..

Tazkera Unn Ki Sakhawat Ka Wo Krtay Thay...


Jab Fidaq Yaad Dilaya To Bura Maan Gaye..

Waqt Padne Pe Wo Krtey Rahey Haider Haider...


Haq Ne Jab Mola Banaya To Bura Maan Gaye..

Hum Jab Rotay Hain To Biddat Ki Sanad Milti Hai...


Qissa e Ghaar Sunaya To Bura Maan Gaye.."

****************

Wo jo dar pay thay Muhammad (saww) ko Staany k liye


Woh aaye Dar-e-Zahra (sa) ko Jalany k liye
Log Kehny Lagy Shion ko kaafir kaafir
Apny Ajdaad k Kartoot Chhupany k liye

tu bata muj ko k Nasl-e-Abu Talib (as) k siwa


Sar diya kis ne hai Islam bachane k liye
Waris-e-Taigh-e-ALi (as)

Parda-e-Ghaibat se abhi


Aany wala hai har ik Badla Chukany k liye

Sar Hatheli pe liye phirty hain Hum to "Mohsin"


Dosti Aal-e-Muhammad (saww) Nibhane k liye

9. Maula Ali as ki shaan me…

Kis Tarha Se Manzil-e-Irfan-e-Haydar Sochna


Ghayr Mumkin Hai Had-e-Imkaa Se Baahar Sochna
Kalma-e-Tawheed Ki Haqq-e-Wilayat Ki Qasam
Shirk Hai Ghayron Ko Maula Ke Baraabar Sochna
Khutba-e-Zehra Samajhne Ke Liye Puuri Tarha
Laazmi Hai Ban Ke Haydar Ya Payambar Sochna
Zauf-e-Jism-e-Mustafa Ka Aur Bhi Tha Kuch Ilaaj
Chaadar-e-Masooma-e-Aalam Se Hatkar Sochna
Jiske Tukdo Par Paley As’haab-e-Khatmul Mursaleen
Kisne Ki Unki Kifaalat Zindagi Bhar Sochna

Kehte Hain Rif’at Kisey Aur Auj-e-Insaani Hai Kya


Fatema Zehra Ke Dar Par Sar Jhukaa Kar Sochna
Dushmani Bint-e-Nabi Se Aur Nabi Se Dosti
Kya Yehi Islam Hai Ay Banda Parwar Sochna
Hashr Mein Kholega Jab Apni Adaalat Kirdigaar
Mujrim-e-Baagh-e-Fidak Honge Kahaan Par Sochna
Kalma-e-Haq Ki Hifaazat Jaan Dekar Kis Ne Ki
Gar Miley Fursat Kabhi To Kalma Padhkar Sochna

10. Aye rabbe zahaa..panjetan e paak ka sadqa…

Ay Rab-e-jaha Panjtan-e-pak (a,s) ka sadqa..


Is qaum ka daman gam-e-Shabbir (a,s) se bhar de..

Bachoo ko ata kar Ali Asgar (a.s) k tabasum..


budho ko Habib ibn-e-mazahir ki nazar de..

Maa o ko sikha sani-e-zehra (s,a) ka saliqa..


Behno ko Sakina (s,a)ki dua o ka asar de...

Qismat to faqat khak-e-shifa bakhsh dy mola..


Me ye nahin kehta k mujhy maal-o-gohar dy...
Aankho ko dikha roza-e-mazloom ka manzar..
Qadmoo ko najaf tak bhi kabhi izn-e- safar dy...

Manzoor hai khawabo me hi aqa ki ziyarat..


Parwaz ki kaushish hy na jibril (a,s) k par de...
Jis dar k sawali hain farishte bhi bashar bhi..
Aawara-e-manzilhon mujhy bhi wohi dar de...
kherat dar-e-Shah-e-najaf chahiye muj ko..
Salman-o-abu-zar ki tarha koi hunar de...
Sar par ho sada parcham-e-Abbass (a,s) ka saya
meri dua khatm hy ab isko asar de... ( ILLAHI Ameen )

11.Maula Abbas as ki shaan me..

JAB QALAM LIKHNAY LAGA HAZRAT-E-ABBAS (A.S) KA NAAM


PHOOL BAN BAN K KHILA HAZRAT-E-ABBAS (A.S) KA NAAM
MAIN NAY BAS HAaTH UTHAYAY THAY DUA KI KHATIR
BAN GAYA HARF-E-DUA HAZRAT-E-ABBAS (A.S)KA NAAM

MUSHKILAIN HAT tey Gaye

RAASTAY HAMWAR HUVE
LAY K MAIN GHAR SAY CHALA

HAZRAT-E-ABBAS (A.S) KA NAAM

THEE KARI DHOOP MAGAR

MUJH PAY GHANA SAYA THA


BAS MERAY ZEHN MAIN THA

HAZRAT-E-ABBAS (A.S) KA NAAM

YU LAGA GHAR MAIN

MERAY CHAND UTER AYA HE


MAIN JO DOHRATA RAHA

HAZRAT-E-ABBAS (A.S) KA NAAM

MOJAI KHUSH HO K

QADAM CHOOMNAY AEIN MERAY


MAIN NAY SAHIL PA LIYA

HAZRAT-E-ABBAS (A.S) KA NAAM


TOOR PER APKO MOOSA (A.S) NA KHIJALAT HOTEE
YE HUA YAAD NA THA HAZRAT-E-ABBAS (A.S) KA NAAM
NAAM ABBAS (A.S) KA ABBAS (A.S) NAHIN HOTA AGER
BIL-YAQEEN HOTA WAFA HAZRAT-E-ABBAS (A.S) KA NAAM
MERE LUKNAT NE SIKHAYE

ADAB ADAAB MUJE


MAINAY RUK RUK K LIYA

HAZRAT-E-ABBAS (A.S) KA NAAM



12. Janab e Abu talib as ki shaan me…

Main Hoon Abu Talib(a.s)

Meri Pehchan Yehi Hai
Kehtay Ho Nabuwat Jisay

Meri Goudi Main Pali Hai


Paida Howa Ghar Main Meray

Payghamber-e-Akhir(s.a.w.w)


Betay Ki Waladat Meray

Kaabay Main Hoe Hai


Ghar Main Hai Nabuwat Meray

Ghar Main Hai Imamat(a.s)


Jo Malka-e-Jannat(s.a) Hai

Baahu Mujh Ko Mili Hai


Kia Hai Mera Emaan

Ab Pocho Khuda(j.j) Se

Bachpan Main Nabuwat

Meray Seenay Pay Rahi Hai

JO Agar Hum Na Hotay Tou

Yeh Kaaba Bhi Na Hota


Kaabay Ki Bunyaad

Meray Ajdaad Nay Rakhi Hai


Quran Main Maujood Meray Naam Ka Surah
Paala Hai Nabuwat Ko

Saanad Yeh Bhi Mili Hai...



*******

Deen ki kashti ka kinara Ali Ali


be Saharon Yatimon ka Sahara Ali Ali
Aao Duniya Walo Aaj karlain fesla ye
Sari Duniya Tumhari,Humara Ali Ali.

***************

Suraj ne tartara k kaha YA ALI MADAD


Taroon ne dar pae aak kaha YA ALI MADAD
***

13.Maula Husain as ki shaan me…

Khuloos-e-Dil ki Roshnaai le kar


Ba Deeda Tar Hussain Likhna
Tum Aisa karna Kitab-e-Dil ke
Waraq Waraq Par Hussain liknna

..Huroof Khushboo ke Phool Ban kar


Tumhare Seenay Main Khil Uthainge
Tum aisa Karna Ke Apni Aankho’n
Aur Apne Lab Par Hussain liknna

..Ye Pairh Saaray Ye Sab Parinde


Adab Se Sajda Karainge Unn ko
Tum Aisa Karna Ke Unn Hawao’n
Ki Jhaalaro’n Par Hussain liknna

.Hussain likh Kar Phir Uss Ko Likhna


Phir Uss kO Likh kar tum Aisa Karna
Ke Aaj Tak Tum Ne Jo Bhi Likha HO
Tum Uss Ka MehWar Hussain liknna

Aazan DainGi Tumhari Aankhain


Tumhaare Misray Adaa Karain Gi
Tum Aisa Karna K Rah-e-Haqq Main
Hussain Parh kar Hussain liknna

Wo Barchiyan Wo Chamaktay KhanJar


wo TapTay Sehraa Pukaartay hain
Tum Aisa Karna K KarBalaa ke
Badan Pe Ja Kar Hussain liknna

.Agar Kitaabat Ka Shauq Ho to


Kitaab-e-Sabar-0-Razaa Main Rahat
Jahan Shaheedo’n Ka Naam Likhna
Tou Sab se Opar Hussain liknna. .
HussaiN rooH me Shamil Hai

Zindagi Ki TaraH


Ye NaaM Lu To TabiyaT Ko ChaiN milta HAi
MagaR Ye Faiz Hai Mashroot Ek Baat k Sath
YazeeD Dil me Na Ho to, HussaiN Milta HAi.

14.Khatun e jannat j. Zahra sa ki shaan me

Aasmani aayato ki pairvi hai fatima


deen ka suraj mohmmad ki roshni hai fatima
betiyo ko dafn karne ki aadat mar gayi
sinfe niswa ki jaha mai zindegi hai fatima

ehtramaan purre qad se uth rahe hai mustafa


khana e ismat me shayad aa rahi hai fatima
naz karta hai khatija ka khazana aaj tak
karbala se puche kitni saqi hai fatima

saqi e kausar ki aankho me jo muddat tak rahi


halq e kausar ki qasam wo tashnagi hai fatima !

  1. azaadaari ….aansu …

Dosto aao Sunaaon tum ko mein ik WaaQia
Majlis se apne Ghar ki Jaanob ko mein chala

Rastey mein Waa'iz se Samna mera ho gya


Hasb-e-Adat Tanziya Lehjy me wo ye kehne laga
Shirk hai Ghair-e-Khuda per Ashk barsana suno
Mein ye Bola bat ab Meri Molana suno…
Aadm-0-Hawa ka kiya bete pe rona shirk tha?
Hazrat-e-Yaaqoob(as) ne Yousuf(as) pe Q girya kia??
Hay agar tu Umati Sarkar(saww) ka to ye Bata
Hazrat-e-Hamza(as) pe Q roye Muhammad Mustafa(saww)
Ya tu ab Sarkar(saww) se tu Apna rishta Tod ly
ya Azadari pe yoon tanz karna chhor dy
Moo bana kar til-milaa kar phr chali uski zubaan
kiyo madad Hyder(as) se lete ho bajae ZulJalal..?
Mein ye Bola apni Boseeda kitabain to khanghaal
us mein mil jaygi tujh ko jang-e-Khaibar ki misaal
tujh pe ho jaega Saabit Behs ye bekaar hai
Nara-e-haider(as) lagana Sunnat-e-Sarkaar(saww) hai

*****************

Hathon main mairay Ya-Rab Abbas
ka Alam ho …
Dam niklay agar maira! Maah e
Moharam ho …
Quran parha jaey maiyat pe mairy
lekin …
Uthay jo janaza to Hussain (as) ka
matam ho …

************

Ya Ali tere dar ke hum sawali hai,
Log kehte hai hum mawali hai,
Kya Musalman bhul gaye HADIS-E-NABVI,
Kare jo pyar ALI se wohi Halali Hai.

*******


parda e ghaib se jis waqt imam (a.s) aaengay
hai kahan dushman e Shabbir ye farmaengay
shaikhji apni karo fikr hamaray kya hai
hum to Abbas a.s k parcham se lipat jaaengay
******
Ali ko khaliq-e-Akber ka ain kahtay hai .
Hassan ko kalb-e-Rsialat ka chain kahtay hai 
Bacha k din-e-Khuda jo Khuda kii laaj rakhay
Zubaan-e-Ishq mai us ko Hussain kahtay hai
*****
Bas Kerbala ke gham mein yeh baat milti hai.
Har ek aansun ke badle najaat milti hai,
Gala kata kar ke bhie zinda hai kerbala wale,
Na aisi maut aur na hayaat milti hai..

*******


• Do Aesay Janazay Hain Tarikee Main Jo Uthay •
• Bus Ghar K He Logo Ne Dono Ko Diye Khanday •
• Ek "FATiMA ZEHRA" Hay Ek "BALi SAKiNA" Hay •
• PehLo Bh Shekasta Hy Turbat Bhi Shekasta Hy •

*******
16. Khatun e jannat j. Zahra sa ki shaan me

FATIMA s.a.
Mustafa saww ki Dua Fatima a.s,
Aur Khuda Ki ata Fatima a.s,
Rehmat e do jahan Mustafa saww,
Rehmat e Mustafa Fatima a.s
Aik jaisa hai ye Ghar ka Ghar,
Phir bhi sb say Juda Fatima a.s.
Kia Khadija Ki Aaghoosh thi,
Bn gaein Fatima,Fatima a.s.
Aaj aey hain Dono Jahan ,
Terey zair e Kisa Fatima a.s.
Deen ki shaan Ihl e Kisa,
Shan e ehl e Kisa Fatima a.s.
Mazhar e HAL ATA PANJTAN,
Mazhar e INNAMA Fatima a.s.
Sab nay dekha ki Zainab bani,
Baad e Karbo bala Fatima a.s.
Sun kay khutba ye sb kh uthay,
Bint e Haider hain ya Fatima a.s.
Kis mein taqat kay wo likh sakay,
Aap ka martaba Fatima a.s.
Ik misra tau shayan e shan ,
mjh ko kejiye ata Fatima a.s.
Bs yehi meri tasbeeh hai,
Fatima ,Fatima,Fatima a.s.
Mein bhi midhat ko hazir hua,
Aap ka shukrya Fatima a.s.

******************

"Bint-e-Ali ,Ali Ki Tarha Sarfaraz Hai
Zainab ,Khuda Ki Shan Muhammad Ka Naaz Hai
Zainab Raza-e-Sabr KiJaiy Namaz Hai
Zainab Nabi Ke DEEN kI Ummr-eDaraz Hai.

*******

MUJH KO BEHLOL SA DEWANA BANA DE YA RAB


KULL E EMAAN KA MASTANA BANA DE YA RAB
HAR JAGA MATAM E SHABIR A.S KI GOONJAY AWAZ
SARI DUNIYA KO AZA KHANA BANA DE YA RAB

17. Maula Ali as ki shaan me…

Mai ne kaha k ziker-e-rasool-e-khuda karoon, 


kehney lagay k haan ye hi johar ki baat hai...

Mai ne kia jo daawat-e-awaal ka tazkira,


bolay hatao is mai to haider ki baat hai..

Mai ne kaha jihaad-e-payambar karoon bayaan,


khandaq ka zikr hai kahin Khyber ki baat hai,
kehney lagay k aur koi tazkira karoo,
is mai to saaf zegam-e-dawar ki baat hai..

Mai ne sanaya ayat-e-tatheer ka nozool,


bolay k ghar mai rehney do ye ghar ki baat hai..

mai ne nabi ki but shikani ka kia jo zikr.. 


kehney lagay k dukhti hui rag na chehriye,
paye ali(as) aur doosh-e-payambar ki baat hai..

mai ne sunaya jab shab-e-hijrat ka waqiya,


bolay k ye rasool k bistar ki baat hai..

mai ne nabi k akhri hajj ka kia jo zikr,


bolay k ye gadeer k mimber ki baat hai..
array mai ne kaha k zikr-e-nabi kis tarhaan karoon,
ahmad(pbuh) ki baat baat mai haider ki baat hai...

bolay k zikr auroon ka aata nahi hai kia..?


Mai ne kaha k ye to muqaddar ki baat hai...
*********
Is tarha se jine ka hunar dete hai Abbas,

RagRag me wafadari bhar dete hai Abbas,

ye aise sakhi, aise sakhi, aise sakhi hai,

kuch mange bina jholi bhar dete hai Abbas..


18. SAARE BOLO "ALI a.s ALI a.s
SAARE BOLO "ALI a.s ALI a.s"
BHATKO KA SAHARA..
DUBO TO KINARA..
NABIYO NE PUKARA..
MERI AANKH KA TARA..
MAULA E KAMBAR..
AAQA E ABUZAR..
ZAHRA s.a KA ShauHAR..
HUM SAB KA REHBAR..
HUM SAB KA LEADER..
MASJID KE ANDAR..
MIMBER KA REHBAR..
DUM MAST QALANDAR..
TERI QABR KE ANDAR..
TAARO ME MAULA..
SAARO ME MAULA..
PYAARO ME MAULA..
NAARO ME MAULA..
ASHKO ME MAULA..
PALKHO PE MAULA....
ARSH KA MAULA...
FARSH KA MAULA..
QAYENAT KA MAULA....
SHIYO KA MAULA..
HUM JAB BHI PUKARE..
BUS USKO PUKARE..
WOH HAAZIR MAULA....
WOH NAAZIR MAULA...
WOH QAYEM MAULA....
WOH HAQ KA MAULA..
BAR HAQ KA MAULA..
CHIRIYON KI CHAHEK ME..
HAR PHOOL O PAKAKH ME..
SHAMSHEER KA MOLA..
BE SHEER KA MAULA..
TEHREER KA MAULA..
TAQDEER KA MAULA..
GHADEER KA MAULA..
HUM SAB KA MAULA ........

19. Intezaar
Kitna Ajab Hai Saahib-e-Ghaibat Ka Intezaar
Do Dil Ki Zinadagi Mai Qayamat Ka Intezaar
Tere Qadam Ka Teri Imaamat Ka
Intezaar
Issa (a.s.) Ko Hai Namaz-e-Jamaa'at Ka Intezaar
Dil AainaBane Hue Sadiyaa'Guzar Gayi'n
Kab Tak Nazar Kare Teri Soorat Ka Intezaar
Tu Hukm De Agar To Thahar Jaaye Kaainaat
Hai Waqt Ko Bhi Teri Ijaazat Ka Intezaar
Al Ajal Ya Imam(a.t.f)

*******
JALTE HO KYON ALI(A.S) KE KAMALAT DEKH KAR


IZZAT KHUDA BHI DETA HAI

OQAT DEKH KAR


MILTI JO AISE WAISON KO

HILTI NA ZULFIQAR


TALWAR RAB NE DI HAI

MAGAR HATH DEKH KAR

*************

Zainab s.a. abu Turab a.s. ki

Zinaat ka Naam hai


Zainab s.a. amanaatoon ki

Amanaat ka naam hai


Zainab s.a. Hussainiat ki

Zaroorat ka naam hai


Zainab s.a. Ali a.s. Ke,

Khoon ki Taharat ka naam hai


Maana Wajood e Shah a.s. mai

Pori hai Karbala


Zainab s.a. Agar na ho tou

Adhori hai Karbala

*************
Markaz e anwaar se waabastagi mil jayegi
daagh e maatam khil uthengay roshni mil jayegi
Karbala me isliye karta hoon marne ki dua
maut aatay hi yahan par zindagi mil jayegi !

*********


Zikr e Hussain (a.s) Ne Mujhay Insan Bana Diya,
Matam Ko Yoon Jannat Ka Saaman Bana Diya,
Ahsaan Hai Mujh Per Mere Hussain(a.s)Ka,
Mujh Ko yoon Panjetan (a.s) Ka Ghulam Bana Diya.

Aarzu Dil-E-ZEHRA k talbgaar ho tum
NAAM-E-ABBAS pe mar jane ko tyyar ho tum
Aaj bhe shaam ke zinda se sda aati hai
tum slamat rho BABA KE AZADAAR ho tum

**********

Zikre ALI AS Rasool AS ki

sunnat ka naam hay
Nutqe ALI AS kalam ki

izzat ka naam hay


Nam-e-ALI AS Khuda ki

mashiyat ka naam hay


Madhe ALI AS hamari

ibadath ka naam hay

Taufeeq ho to sonchiye

kya isme raaz hay


main YA ALI AS kahoon

to mukamal namaz hay



20. Maula Ali as ki shaan me………….
Sher e khuda mila

mujhe nafs e khuda mila,


main khush hoon

mujko mazhar e rabbe ala mila.


Naad e Ali pardhi jo nabi(saws) ne

ba hukm e rab,


khaibar koshaai ke liye

khaibar kosha mila,


Daykar Ali(a.s) ka waasta maine dua jo ki,
naam e Ali ke saath mujhe muddoah mila.
Hyder ke ek miltay hi kya kya mila mujhay,
imaan mila Rasool milay kibriya mila.
Tum ko mila khaleefa

sakheefa ki chaaow mai,


taighon ki chaaow mai

mujhay nafs e khuda mila.


Madhay Ali(a.s) ne aouj pa

pohcha diya mujhay,


sadqay mai buturaab ke

ye martaba mila.


Girta huwa sambhal gaya

jab naam lay liya,


wo khush naseeb hai

jise moshkil kosha mila.

Khaali raha Ali(a.s) ki

muhabbat se jiska dil,


on ko khuda mila na Rasool e khuda mila.
Mahsher mai nafs e nafsi ka

hungaam tha magar,


Hyder(a.s) ke naqsh e pa se

mujhay raasta mila.

***********

BE HUBBEY ALI (A.S)JO LOG BHI PADHTE HAI NAMAZ E


UTH BAITH TO KARTE HAI IBADAT NAHI KARTE
PANI KI HAR Ek BOOND KE MAQROOZ HAI WO LOG
SHABBIR KE DUSHMAN PAR JO LANAT NAHI KARTE......

*******

ye mazlis e hussain me nikle hue anson


firdous ke bagon me saja deti hai zahra
shahzadi zamin par inhe girne nahi deti
bach jaye to kausar me mila deti hai zahra

*********
Khuda ki Khudai may jalwagari hai
Jidar dakhta hon Ali hi Ali hai
Ajab shan hai teri ay aanay walay
Ki diwaar Kabah ki darr ban gaEi hai
Wo farsh-e-Nabi ho ya Arsh-e-Khuda ho
Yahan bhi Ali hai Wahan bhi Ali hai
Isi se hai zahar wilayat ki azmat
Khuda bhi wali hai Ali bhi wali

*********

Zameen e Qabar kahe gi adu e HAIDER say.


Tu mera Haq hai faqat rasm e inteqam nahin.
ABU TURAB ke Dushman tu mere paas toh Aa.
Jala k raakh na kar doon to TURAB naam nahin.

*********


abeen e Arsh Ko Kaaba Bohat Zaruri Hai
Dar e Hussain Pe Sajda Bohat Zaruri Hai
Jo Chahtay Ho K Allah Tum Se Raazi Ho
Raza e Fatima Zehra Bohat Zaruri Hai
Qasam Hai Bibi Tere Pehlu e Shakista Ki
Sitam Daron Pe Tabarrah Bohat Zaruri Hai,

**************
Unki peshani ko bose do gale lag jao,
Sun ke jo Naam-e-Ali shaad hua karte hai.
Aale Mohammad ke dushman se karna yun parhez,
Jaise bhige hue kutte se bacha karte hai.

********
DIL E BATOOL S.A KI TASKEEN HAI AZADARI,
YE TUM SE KIS NE KAHA TOHEEN HAI AZADARI?.
ZAMANY BHAR KO SIKHA GAI ZAINAB S.A.
HAMARI RASM NAHI DEEN HAI AZADARI..

*************
Yun Gham-e-Shah Ne Fitrat Pe Hakumat Ki Hai,
Mere Hontoon Ne Tabassum Se Baghawat Ki Hai,
Aur Lab Hilatay Hain Wohi Loog Khilaaf-e-Matam
Jinki Maoon (Mother) Ne Amanat Main Khaiyanat Ki Hai.
DAR E ZEHRA SA KOI DAR TO DHUND K LA,
DUNIYE MEIN NAHI MILEGA TU JANNAT SE DHUND K LA,
HUME FAKR HAI KE HUM HAI IS DAR K GHULAM,
TU JAA HUM JAISE KISI AUR KA MUQADDAR DHUND K LA.

********


21. USS PE LAANAT BESHUMAR

ZIKR-E-ALI(A.S) SAY HAIN JO BEZAR

, UN PER LAANAT BESHUMAR,
JO BHI KARAY IS SAY INKAAR,


US PER LAANAT BESHUMAR,
"SAAF HAY FARMAN-E-NABI (S.A.W.W)


", MERA WASI HAY SIRF ALI(A.S),
"PHIR BHI KAHAY JO UN KO YAAR,


US PER LAANAT BESHUMAR,
"ZEHAN-E-NABI(S.A.W.W) PER SHAK JO KARAY,
BE SAMAJH BAK BAK JO KARAY,
"WOH KHUD HAY ZEHNI BEEMAR,


US PE LAANAT BESHUMAR,
"
ZALIM, GHASIB AUR SHATIR,

TEENO K TEENO KAFIR,
"BIBI ZAHRA(S.A) HAIN JIS SAY BEZAAR,


USS PE LAANAT BESHUMAR

**************


Khuda kisi ko jab urooj-e-kamal deta hay,
Darr-e-BATOOL s.a ki chokhat pe daal deta hay,
Jo aadmi ko parakhna ho YA ALI keh do,
Ye wo amal hay jo shajrey kangaal deta hay..
******************
Apni Jannat Ko Zara Aur Saja Le Rizwan,
Is Se Acha Toh Mere Ghar Ka Azakhaana Hai,
Zid Na Kar Tu Mujhe Firdos Main Le Jaane Ki,
Raasta Chhodh Mujhe Karbobala Jana Hai.....!

***************

Pyaas k lafz se wabista hai itna pani,


Jab kabhi pyaas likha aankh se nikla pani,
Kya wafa thi k baha khoon tu samjha pani,
Khoon samjha use jab Mashk se tapka pani...
22. Maula Ali as ki shaan mai,,,,

Dil ki mehfil ko saja'o Ya Ali kehney ke baad


munkiron ka dil jala'o Ya Ali kehney ke baad
mominon aur munkiron ka khud pata chal jaye gaa
chehra chehra aazma'o Ya Ali kehney ke baad
hai qaseem un naar wa jannah Ali al-murtaza
khud ko dozagh se bacha'o Ya Ali kehney ke baad
zikr e ahle bayt se roshan karo dil ke charagh
mehfilon ko jagmagao Ya Ali kehney ke baad
fitna sazon se bacha e gaa hisaar e panjtan
ma'rikon mein fatha pa'o Ya Ali kehney ke baad
bargah e Rabb mein hon'geen sab dua'ain mustajaab
apney hathon ko utha'o Ya Ali kehney ke baad

eik ho jao musalmano khuda ke wasitey


aag nafrat ki bhuja'o Ya Ali kehney ke baad
majlis o mehfil ki zeenat hai zafar naam e Ali
har khushi har gham mana'o Ya Ali kehney ke baad
ya ALI MADAD A.S

********


Nadamat aankh me hoti hai chehra zard hota hai.
Wilayat per munafiq ka rawaiya sard hota hai.
Hamein to 14 sadiyon se bas yehi samajh aaya.
HUSSAINIAT se jo takrayey wo dahshat gard hota hai.

**************
Gazi ki shuja'at ka ye unwaan bhi hoga,
mashkize mai darya hai toh tufan bhi hoga,
ABBAS ke parcham ki taraf gaur sey dekho,
panja hai toh bai'at ka gireban bhi hoga.

*********

ast-e-Qudrat K Isharey Ko ALI (A.S) Kehtay Hain...,
Haq K Pur Noor Nazarey Ko ALI (A.S) Kehtay Hain...,

Woh To Kehtay Hain ALI (A.S) Ka Sahara Hai Biddat...,
Hum To Nabiyon K Saharey Ko ALI (A.S) Kehtay Hain...,


Daagh e Matam jo seenay se laga rakkha hai,
Dil ko Mola ka aza khana bana rakkha hai,
Mushkilo soch k aana mere ghar ki jaanib,
Meine Ghazi(AS) ka alam ghar pe laga rakkha hai"

***********
23 દિલ થી કરો પુકાર કહો યા અલી મદદ,
દિલ થી કરો પુકાર કહો યા અલી મદદ,
મુશ્કિલ છે બેશુમાર કહો યા અલી મદદ 

તોફાન થી ખડક થી વમળથી ડરો નહિ,
થઇ જશે બેડો પાર કહો યા અલી મદદ

ગુલઝાર માં છે દૌર ખિઝાંનો તો શું થયું,
આવી જશે બહાર કહો યા અલી મદદ


છે એવું એનું નૂર કો હો રાત એ છતાંય,
ઉગી જશે સવાર, કહો યા અલી મદદ

જીવન, જગત, જમાનો - બધાને જીતી જશો,
થશે કદી ના હાર કહો યા અલી મદદ

ખયબરના દ્વાર જેમ તરત ઉઘાડી જશે,
તકદીર નાય દ્વાર, કહો યા અલી મદદ

બેફામ દિલ ના દર્દ ની ચિંતા કરો નહિ,
થઇ જશે સારવાર, કહો યા અલી મદદ

24. Maula Ali as ki shaan me


Man mouj mein hay,Tan auj pe hai,

HAQ paak sakhi sultan ALI.


Sartaj suhag aqeeday ka,

har momin ka emaan ALI.

Mimber,Mehrab,qaza,masnad ,

Sab soum salaat azan ALI.


Har aayat ka mafhum ALI,

maqsoom ALI meezan ALI.

Bey aib saheefa ismat ka,

Lareb Qadar QURAN ALI.


Merey Qibley ki saj dhaj zeenat,

terey Kaabey ka mehmaan ALI.

Paataal ki teh se arsh talak,

merey KHALIQ ki pehchaan ALI.


Sab NABIYON ka sardar kahey,

mera jism ALI meri jaan ALI.



*********

25. Azaadari…….

Paak Dil, Paak Nasab Chahiye

Is Gham Ke Liye,
Haath Har Shaks Ka Uthta Nahi 

Matam Ke Liye,


Kaandhe Maqsoos Hai

ABBAS (a.s.) Ke Parcham Ke Liye,


Hum Ko ALLAH Ne Bheja Hai

Moharram Ke Liye,


Arsh Neecha Hai Bohot,

Farsh E Azaa Uncha Hai,


Is Ka Ek Ashk Bhi

Jannat Se Kahi Mehnga Hai.

MAATAM E SHOUQ KO

KHUD SE JUDAA NAHIN KARTE


HUM APNE DIL PE KABHI

YE JAFAA NAHIN KARTE


ALI a.s KA ISHQ

AIK AESI NAMAAZ HAIN



JISKO KISI BHI HAAL

MOMIN QAZAA NAHI KARTE
Yüklə 234,65 Kb.

Dostları ilə paylaş:




Verilənlər bazası müəlliflik hüququ ilə müdafiə olunur ©muhaz.org 2024
rəhbərliyinə müraciət

gir | qeydiyyatdan keç
    Ana səhifə


yükləyin