Bismillah, Assalamu alaykum wr wb, ******Now Replay of Day-30 Dawrah e Quran Juz-26 *******
***************Azkarae Naafia*************
fajr aur magrib ke baad 10/10 baar parhna---laillaah illaah
Dua: Laa ilaaha illallahu wahdahu la shareekalahu lahul mulku walahul hamdu wahuwa ala kulli shayin qadeer
10 naikiyan aur 10 gunah mitayain jayain gae
10 darje buland hote hian
4 gulamon kae azaad kernae kae barabar ajar
yaqeen kae sath parhain gae iA
GHULAAM AZAD=Us key her aza(body parts) key badley hamarey aza ko jahannum kee aag sey bachana
***************Surah AlAhqaaf***********
46 Tarteeb/66Nazul, MAKKI
teelay ko bhe kehtay hain = ahqaaf
Qom-e aad ka aik aur naam
theme: imaniyaat-e salasa
iman ki wo 3 bunyadi cheezein jin ka qabar mei hisaab ho ga
Questions answered in this para (all surahs):
Insan ko maa baap se talluq mei kin hadood mei rehna hai? maa baap ko uff kehna kin logoan ki aadat hoti hia
qayamat ke din jab log aik doosre ki dosti se gaafil ho jayein ge tu kon kaam aaye ga? qayamat ke din kaafir iman wale se ye kyoun kahein ge ke agar tum ache the tu hame kyoun nahi bataya? qayamat ke din darje kis bunyaad pe hoan ge?
wo konsi qom thi jo umadte badiloan ko dekh ke khush hui magar unn mei azaab tha? jab logoan ne nabi ki dawat ko jhutlaya tu Allah ne konsi makhlooq ko quran sunwaya?
kin key amal zaya hoon gey qayamat key din?
Surah Muhammad se log itne naraaz kyoun hote hian? agar hum Allah ke deen ki madad karein tu Allah jawab mei kiya de ga
kin 4 qism ki nehrein jo jannat mei bahein gi? munafiq nifaq waali suratoan ko sun ker kiya rawayya ehtyaar karte the? quran mei tadabbur se murad aur kiya milta hai/
agar Allah hum se saara hi maal maang rahe tu hum kiya karein ge? shar mei khair kaise aati hai? Nabi ki zindagi se iss ke dalaeil
sula hudaibiya fathe mobeen kaise thi? bait e rizwan kiya thi aur iss ke karne waaloan ke darje?
jangoan ke waqt peeche rehne waale fatah ki soorat mei kiya bahane karte aage aana chahte hain? Allah ne nabi ki madad kaise ki? hameeyatul jahiliya se kiya muraad?
Nabi saw ki aamad ka kiya maqsad - aaj hum kaise uss mei hisse daar? sahaba ki konsi khoobiyoan ka tazkara torat aur injeel mein/
surah hujraat may muasheray ko senwarnay kay liay kia adaab sikhaye gaye?
iman ko seene mei sajana iss se kiya muraad hai? momin, momin ka bhai hai - aaj iss pe amal kaise?
murda bhai ka gosht khana - isss se kis cheez ko tashbeeh di gayi? khandaan baradari ko aala samajhna islami hai? hamari zuban se jo lafz nikalta ahi kiya likh liya jaata hai ya chor diya jata hai?
qayamat ke din Allah jahannum se kiya pooche ga, wo kiya jawaab de gi?
: surah zaariyaat ka bunyadi nuqta musalsal mehnat kyoun hai?
Alhamdullillahi rabbil aalameen - 6 jaga hai Quran mei
Rasool khud nahin jaante the ke un ke saath kia mamla ho ga akhirah main bas wohi jo Allah ne un ko bataia
Ayat 10
kyoun taa'sub mei par ke jhutlaate ho?
Aya 11
takabbur bhara jumla/- poorana jhoot kiya
ke haan ye tu Adam a.s se chal raha hai
qaafla nabuwwat adam se shuru ho ke Nabi s.a.w pe khatam hua
Sunnat=sunna=puraani cheez
Ayat 12-13
Ayat 14
Asal cheez istaqamat hai
ilm haasil karne se bara sabar amal ka sabar hai
Ayah 15-20
waaldein key saath rawwaya
sab se ikhlaaq uss se dikhta hai jis pe zor chalta ho insan ka
maa baap boorhe hoan jab bache jawaan ho chuke hoan aur bad tameezi kare tu unn ke dil bujh jaate hain, uff kehna bohat halka lekin ye bhi nahi keh sakte
aaj ka culture ke ehsas dilaate hain ke waledein kuch nahi keh sakte
ye islam bohat khoobsurat - iss ne iss rishta ka ehsas dilaya
Kin ko Allah ka qurb paane ka zariya samajhte hain? naik log? buzrug?
sab kho jayein ge qayamat ke din aur ye unnko dhoond rahe hoan ge
mushrik ke saath Allah ka intaqaam - dil mei aa jaata hai ke mila unnhi buzurghoan se/qabroan sey
kaise wo qabar mei pare log hamari baat sun sakte hain? kaise maante hian ke wo parda mei hian aur zinda hain? wo kitni gehraayi mei, kitni cheezoan mei hain - agar jaag bhi rahe hain tu sunte kaise hain?
mun Rubuka/mun rasooluka/mun deenuka,kal qabar mei pakre jayein ge agar imanayaat-e salasa darust nahi karein ge
mushrik but ke aage khare kehte the ye Allah se le ke dete hain,yehi tu shirk hai
Aameen
Astaghfirullah
Ayah 29 onwards - jinnoan ki baatein
taaeef ke safar se waapis aa rahe teh Allah ke Nbai s.a.w jab ye waqiya hua
paidal Nbai s.a.w aur hazrat zaid wahan gaye, ke logoan ko Allah ki taraf bulayein
koi nahi maana,aubaash larke Nabi ke peecha lag gaye - pathar maarne lage
bojhal dil waapis aaye aur dua e taeef zuban pe thi
kabhi halaat tang lagein aur sab darwaaze band - tu dua e taif parhein/dua e taif ???
Allah ne jinoan ki jamaat ko bheja kioon key insaanoon nein nahin suna
jin jaante hain quran parhte sunte khamosh rehna hai....manner
khaamoshi sey suna,pehle hi din dawa - suna aur qom ki taraf palat gaye batane ke liye
*********ye kitaab khud tak rakhne waali hai hi nahi*******
: Allah keh rahe hian aakhir mei nahi - nuqsan nahi ho ga aemaal mei
Allah qadar daan ahin
Aya 36
agar duniya lubhati hai - yehi pichli dostiyoan ki taraf le jaati hai tu jaan lo ke ye tu khel aur tamasha hai
iman le aao, taqwa ki rawish rakho
Nabi saw ki Hadees: kabhie wo shakhs gareeb nahi ho ga jis ne mayana rawi ikhtiyyaar ki
taqwa pe rahein - mayana rawi - chahe deen mei ho ya duniya ke muamalaat mei!!!!!!!!!!!
Aya 37
Agar dil mei bukhal hai - deen mei kuch lagana mushkil lagta hai tu iss ayah pe gor karein!
jis din 100% zakat deni pare gi tu saaf pata chal jaaye ga - khot khul jayein ge!!!!!!!!!!!!!
Aya 38
Maal Allah ke deen mei lagaao - andhere door karne mei lagaao - quran ka ilm pehlaane mei lagaao
samajhne ki zaroorat hai - jo hum deen mei bukhal karein tu apni zaat se hi bukhal hai!!!!!!
Allah ka waada hai - Allah ki raah mei aaj dein - kal doogna tigna paayein ge
mei paisa na lagaoon tu koi aur laga le ga
yusaarioonal fil khairaat and saabiqul awaloon banna hey inshaAllaah
**** Surah Al-Fath ***
48thTarteeb/111th Nazul - Madni
Theme: sakeenat
LEADERSHIP KEE QUALITIES
Ayah 1-5----unusual aagaaz
Nabi saw makkah se hijrat kar ke madina aaye, 6 saal guzar chuke the, Khawab se Nbai ko Allah ne dikhaya ke umra kar rahe hian, tu Aap ne sahaba ko subah bata diya ke tayaari kar lo
bohat khushi ki baat thi sahaba ke liye, tayar ho gaye, Nabi saw ki koi jang ki niyyat nahi thi, sirf bachaao ka samaan liya aur chal pare
Makkah waloan ki rawayat mei tha ke hajj o umra karne aane waloan ko nahi rokte the, lekin Nabi ka lashkar ko dekh ke yehi kaha ke aap larayii ke liye aayein hain, hum nahi aane dein ge, hudeibbiya ke muqaam pe rok diya gaya un ko
Usman gani r.a gaye - khabar mili wo qatal ho gaye, sahaba ko jama kiya aur kaha bait karein ge, bait e rizwan, ke ab jo bhi ho - hathyaar tu hain nahi lkein usman ke qatal ka badla lein ge aur jang, ambassador ko qatal kerna bohat barii baat thi
Allah ne apna hona zahir kiya ,ye sahaba ka test tha,sahabah poore utrey, sirf khushiyoan ke satahi hain ya jaan maal waqt laga sakte hain
pata chala Hazrat Usman theek hain, ab muahida karne ko kaha makkah waloan ne, jo 1 sided tha - musalmanoan ke liye zulm, Nabi saw maante gaye
Umer r.a ko gussa aa gaya, Nbai saw ne sabar ko kaha - iss mei fatha hai, Nabi s.a.w ne sharaaiyat ko mana liya, jis mei 1 ye thi ke iss saal waapis jayein,
10 saal tuk dono fareeqein mei jang nahi ho gee- Nabi s.a.w nein maan liya
Nabi saw leadership pe qaeim rahe – humble, maan liya aur palat gaye
ehraam utarna aur qurbani karni thi, hukam diya tu wahid muqaam jaha sahaba hile nahi, Nabi saw ke dil pe itna bojh - aap dukhi huey
waapis aaye ander umme salma ke paas dukh bataya ,kaha aap jaa ke ehraam kholein, aur waqiye mei aisa hua Nabi ke karne pe josh phel gaya aur sahaba bhi wohi karne lage
makkah se wapis madina ki taraf safar shuru hua aur ye surah nazil hui!!!!!!!!
Makkah waaloon nein 2 saal baad shart tor di, tu Nabi saw aik lashkar ko le ke hamla ke liye gaye, Allah se dua ki ke unnko pata na chale
10,000 ka lashkar tha nabi key sath,paaoon parne waali baat - Abu Sufyaan paao pare,begair teer talwar toote makkah fatah<<
Allah ke faisle maan lein tu fataah
biginning of the end - Fatah e Makkah
sakeenat: sakoon aur itmenaan e qalb jo mushkil halaat mei ho
deen ke kaam karne waloan ko thehraao, sakoon chahiye hota hai, nahi tu deen ke kaam mei mushkil
Nabi ke baad leadership kisse mili?leadership qualities Umer r.a ke paas theen - sharp they,lekin leader Abu Bakr bane kioon?- sakeenat kee waja sey
Ayah 8-9
pehla darja: iman, doosra darja: saath dena
3.phir tazeem o tauqeer karo, 4.aur zaati ibadaat se gaafil na ho,
4.duaein karo
Aya 3-5
har shar mei se khair nikalta hai - jaise har raat ke baad din
jab tak Allah ki taraf ke faisle jo nafs pe bojhal hoan unn ko qabool na karein tu khair nahi aati
Allah dhachke lagate hain hame bedaar karne ke liye
deen chahiye tu khud logoan ko aage laana parta hai
Ayah 7-9
hamari izzat hai deen ke kaamoan mei/Allaah aur nabi ko hamaree zarrorat nahin
hamara honor Allah kae deen kae rastae main nabi saw ka sath daina
tazeem o tauqeer bhi laazmi hai Nabi ki, lekin taqdees nahi karni!!!!!!!!!
Ayah 10 - Bait e Rizwan
sakeenat ka aala muraqqa aur namoona :Sahaba ikraam
islamic history: nursery of heroes
sahabah sirf aam dinoan mei nahi, mushkilaat mei bhi saath dete the nabi ka
ghar se door the nabi, umra ke liye nikle, nahatte - koi hathyaar nahi, dushman ke ghar ke paas, aur bait ke jang bhi karein ge, same'na wa aata'na - suna aur maan liya
iiss safar mei koi munaffiq saath nahi tha,>>>>>>waja: madina se umra karna makkah aise tha jaise aaj bait ul maqdas dekhne jayein
ashaab e baite rizwan inn sahaba ko laqb mila!!!!!!!!!!!!
bait : pledge
larne ka ehad kiya lekin larna nahi para
naiki ka moqa bhi har aik ko nahi milta, aur moqa mile tu sheytaan khayaalaat daalta hai
lekin Allah ne koi jang nahi lagaayii, lekin ajar e azeem de diya
Ayah 11 - HIGHLIGHT peeche rehne waaloan ke halaat -
na karo deen ke kaam - tu akhir mei kiy amile ga?bharaktee huee aag
Ayah 15 - 17 sun hijri - khaiber
mushkiloan ke saath tu nahi - haan khushiyoan ke saath
kaha theek hai le jayein ge,banu ghaffan aik qabeela, unn se larne ko kaha?phir heeley baazee
Ayah 18-19 - Allah swt ki raza mominoan ke liye
Aameen
Allah ki raza = asal meeraas
deen ka kaam darakht ke neeche bhee hua
kaam karne waale darakht ke neeche kaam kar ke jannati ban rahe hian - humare paas itne resources lekin kaam nahi karte
sakeenat : dil ki wo kaifiyat jis ki bina pe aik shakhs kisi bare maqsad ke liye thande dil aur sakoon o itmenaan se khud ko khatre ke moo mei jhonk deta hai
kissi khof aur ghabratahat ke begair wo kaam kar leta hai ke ye kaam tu karna hi hai
sahaba jame aur saath hi khush khabriyaan
Umer r.a ke dor mei log maal le ke phirte the ke kahin laga lo/qabool ker lo
Aya 20
asal bat sahih neeat ki hai,Allah ka waada
hudebiya kal fatah makkah mei badle gi
hudebiyat kal fatah makkah mei dale gi,lekin wo uss waqt nahi jaante the jab darakht ke neeche bethe bait kar rahe the
Aya 22
jahan iman walon ka zikr wahan hi nifaq walon ka bhi zikr
Allah ne madad ki
Aya 23-25
sab Allah ke faisle - bus wo hame dekhna chahta hai
Allah ki madad aati hai agar tawheed pakki
Allah ki madad iman ki mazbooti kae sath hi atii hai
auratoan ka zikr ub
jung kioon naan huee?hudaibya ke moqa pe jang na hui ke abhi kuch musalman they waha jinhoan ne apna iman nahi show kiya hua tha
Tadabbur: kuch log qomoan ke naseeb badalwa dete hian !!!!!!!!!!!
kamzor iman wale kuch momin poore globe ke musalmanoan ko marwate hian!!!!!!!!!!!
Aya 26
jahlana hamiaat==baap dada ki rawayatain,
sakeenat==sabar aur waqaar
sahaba itne aggressive lekin jame rahe, sakeenah ki waja se
sahaba se zyada controlled giroh koi nahi tha - wo nabi ke nahi, qanoon ke paband the
Aya 27
khawab ka zikr
musalmanoan ke dil mei khatka tha ke khawab tha ke tawaaf kiya, tu shak par gaya leadership mei
kaha nahi tum zaroor masjid e haram mei daakhil ho ge, agle saal aisa hua
poocha umra karein ge aap ne kaha tha tu kyoun nahi kiya?Aap ne farmaya ye tu nahi kaha issi sal karein ge
phir agle saal kar liya sahaba ne umra
Ayah 28-29 - Ayaat e Tadabbur
: Nabi s.a.w doosre deenoan ko khatam karne nahi aaye