1.
Jee le Sahil ' tu zindagi ko sanwaar ke
Yeh jhagde yeh fasaad hain sab be kaar ke,
Nasheman ho jiska sitaron men raushan
Usey kya dikhaoge saraab zar o deewar ke,
Naseeb me jiske ho dastaar e ghareeban
Khwaab mat dikhao usey kisi sonhaar ke,
Jab tanhayi men milta ho sukun, yaro
Kyon dekhen hum hangaame bazaar ke,
Shaikh, khaangaah men teri raunaq to hai zurur
Per, jalwe tu dekh aastaan e ibraar ke,
Na loota jahan ko na hi khud lutaa ho
Buland iraade dekhiye dosto, us khud daar ke,
Haq hai tera 'sahil' ne maana, ai munkir,
Lekin, yaad rahen tujhko anjaam, inkaar ke.
2.
Insan to jala raha hai insan, be daam,
Haif, bas machis ki teeli hai badnaam
Jab haazir hai jaan nisaar ke liye, jaanam,
Phir alfaaz ka bata yahan kya kaam,
Khaak per chalna aur anjaam bhi hai khaak,
Kya sitaare chunenge hum ja kar sar -e- baam,
Kal lo jo chaaho ai ahl e siyaasi, tum,
Aakhir, tumhari bhi hai khaak hi anjaam,
Nazar aati hai surat haq ki har ja,
Kya patta, kya gul, kya falak aur kya jaam.
Maalum hai jahan saara hain nizam e khuda
Nahin hai 'Sahil' koi tamanna -e- dawaam.
3.
Aasaan nahin hota kabhi, mushkil ka aasaan hona
Mumkin nahin hai yaro kabhi, zamin ko aasmaan hona,
Khala parwaaz hai parinda, jahan uska hai khula
Mumkin nahin dekho kabhi falak ka zindaan hona
Pila de saqi jo chaahe tu, shart meri bhi hai magar
Marz e dil ka jaam men ilaaj o darmaan hona,
Guzregi shab yeh kaise, zulmat men yeh hijraan
Zururi hai, ai maah e nau, tera, zaufishaan hona,
Suna de tu ab faisla, tayyaar hun main, ai munsif
Per laazim hai zahn men tere, insaaf ka mizaan hona,
Manzil to mil hi jayegi, aaj nahin to kal
Zururat hai lekin dosto, himmat e mardaan hona,
Logo rakho tassavur khuda ka dil men tum apne
Laazim nahin hai har jagah, muezzin o azaan hona,
Bana zamin ko bistar tu aur so ja ab 'Sahil'
Nahin hai zururi mere dost, majaazi sar o saamaan hona.
4.
Ja sukun kahin aur ja
Bula rahi hai tujhe sada
Muztarib hai jo mujhse mazeed
Us dil ko ja kar tu behla.
Rehten hon khwaab jis se dur
Jaagne per hon jo majboor
Ja, ai neend, unhen sula
Aankhen unki tu kar mastoor.
Na dikha mujhe tu ghurur yaar
Tujhe bhi jaana hai us paar
Ajal ki kashti to sab ki hai
Karte hain sab us per sawaar.
Sar jhuka aur chalte chal
Mushkilon ka milega hul
Qasd tera farz hai, 'Sahil'
Nematen rab ki, tera phal.
5.
Na deekha mujhe rang bahaar ke
Na khwaab mujhe vasl e yaar ke
Main khazaan ka pala hua hun'sahil'
Mujhe zakhm na deekha tu khaar ke,
Na samjha usool baazaar ke
Na sungha gul tu gulzaar ke
Nabz e sa'at se hai ashnayi meri
Nasheb o faraaz ke shikaar se,
Sapne na deekha us paar ke
Main ne dekhen hain rang siyaah taar ke
Kashti e hayat ke rang hain ajeeb
Jaise, sulagti hui naar ke.
Taskin paata hun 'Sahil', baatin men
Yaqin nahin hai kisi zaamin men,
Munafiq hai chehra zamane ka aaj
Gumaan dekhta hun zahn e momin men.
6.
Khush raho jahan ho, hum to jaanewaale hain
Rukhsati ke andaaz bhi bade niraale hain,
Aasaan nahin hai jeena, valvalon ke saath
Hum ne bhi jazbe apne, mushkil sambhale hain,
Kyon aaye koi tere maikade men, Saqi
Jab khum khaali hain aur toote pyaale hain,
Dekha karte hain saraab har subh o shaam, hum
Ai khwabo, kuch to sabr karo ab sonewaale hain,
Un se milaye koi jo khud se hon na aashna
Hum dilon ko dil se milane waale hain,
Veerani men bahaar, hairaan hai khazan bhi
Aaj kya naseem ne marqad pe phul daale hain,
Jee lete hain jo hans kar zindagi ko apni
'Sahil', wohi khuda ke bande asl jigarwaale hain.
7. Kabhi kam kabhi zyada badshah kabhi kabhi pyada
Kaisa hai yeh jahan tera ya rab, kabhi mai e naab kabhi baadah
8. Gar taskin ho bisaat ulfat ki phir ruswayi kya daagh men
Nazron se pila de saqi tu, phir zahr qabul hai ayaagh men,
Azaab bhi zindagi ka juzv hai jaise zulmat e shab
Phool to chaman men hote hain,per khaar bhi hain baagh men,
Tukhm me ghuncha, ghunche men gul, gul men nihaan gulsitaan
Anjaam bhi ayaan hota hai kabhi, ghair ahm suraagh men,
Mandir ja ya masjid ja ya kar maikade ko tu salaam
Momin to hai wohi Jo karey rab ko yaad faragh men,
Fana hai anjaam zindagi ka yaro, baqa to kuch nahin
Laazimi hai sukun ke liye tarashna, is baat ko dimagh men,
Yeh falsafa nahin hai, kul haqeeqat hai yeh 'sahil'
Aftaab ghurub hota hai, tu kab tak chalega lau e charagh men.
9. Tang drastic bhi kya shai hai 'sahil'I
Dars deti hai yeh kamaal ke,
Aasudagi men ehsaan faramosh na hona
Zamin reg hai, chalna tum sambhaal ke.
10. Aashiq jaaniye usey jo mahabat ko dawa maane
Maashuq ki justaju ko maula se dua maane,
Jaane kis nazar se dekhta hai ghuncha phul ko
Salaam kijiye usey jo adu ko khuda maane,
Ainey ki ehmiat kya, kya dikhayega sheesha usey
Har lamha e zeest ko jo riza e maula mane,
Tere kaakh o gulzaar men kya rakha hai ,sheikh
Ameer to wo hai jo khuzu ko ghana maane,
Us se badh kar nahin hai koi pir o murshid
'Sahil', wo jo har aan ko hayat o fana maane.
11. Jaan gudaaz hai bahot tanhayi aasudagi ki
Na shor o ghul koi, na hi hungama e baazaar,
Pashemaani fuzul hai logo, maazi men jeena kya
Har lamha hayaat hai, tum jee lo hazaar baar,
Jab ism hi zindagi ka hai gardish e ayyaam
Na baney kuch shakwon se na hi roye zaar zaar,
Misl e bisaat hai zindagi, mohrey hum sab yahan
Fana hai anjaam takheeq ka, kya fateh aur kya haar,
'Sahil', kaise kehte hain log gulsitaan usey
Na khazaan ho jahan na hi khalish e khaar.
12. 'Sahil', kyon tark kiya hai likhna, tu pareshan hai kya
Yeh chund ghazalon ka majmua hi tera deewan hai kya,
Jab jal raha hai zamin per be bas kisi ka dil
Phir, yeh udta hua falak men bata dhuaan hai kya,
Nahin hoti hain poori hasraten kisi ki,yaro
Kaho khalaon men yeh kisi ka armaan hai kya,
Zindagi ki haqeeqat se ba khabar hai 'sahil', khub
Dunyawalo, yeh batao tumhen haq pe gumaan hai kya
13. Gar saath ho tera 'sahil' mujhe
Manzilon ki fikr phir kyon karun,
Jab dil men basta ho ik dost
tufaanon se main kyon darun
Turfa hai yeh zindagi, kaho
khul kar main kyon na jiyun,
Anjaam e zeest hai fana, jab
Kaho roz roz phir kyon marun,
Banda ba shar hai, yaro
Main Khaamion se kyon darun,
Joi dil bhar aaye 'sahil' mera
Phir aankh ko main kyon na bharun.
14. Aag ka darya ashk bahaye
Kashti uske paas na aaye,
Jal kar bad naseeb woh darya
'Sahil', rotey rotey khaak ho jaaye.
15. Manzil e darya fana hai 'Sahil',
Kashti e zeest hai rawaan us per,
Kar hua maula se tu
Humsafar hon saadiq insaan us per.
16. Dil ko na aaye qarraar to kya kijiye
Na karna aata ho pyaar to kya kijiye
Mahabat ki lau se raushan ho chehra
Chhupaaye dil beemaar to kya kijiye
Har bhanware ko gul na bhaaye to kya kijiye
Tabiyat aaye khaar pe to kya kijiye
Khazaan o bahaar ka rishta ajab hai
Khazaan talaaq de, bahaar ka kya kijiye
Neend na aaye to falak ko kya dekhna
Sitaron ka nahin lamhon ka shumaar kijiye
Laazim hai shikebaayi dosto
Ajal hi munh pher le to intezaar kijiye
Aur, aa jaaye wo farishta jab dar pe kabhi
To himmat e mardaan se inkaar kijiye
Jahan hai mera 'sahil', na hadaf na hadood koi
Udta parinda hun , mera intezaar kijiye
17. Ai dilruba mujhe mat bula
Kuch kehna hai aa kar suna,
Kh- moshi mujh per haavi hai
Tu aa, suna,aur chain se sula
18. Qaraar e aish o ishrat hai mohaal
Mat bhulna is baat ko har haal
Yaad karoge ik roz ai logo, phir
Na lautenge kabhi wo guzishta saal
Har tukhm men phool, har phool haseen
Murjhaate gul ko na karna, paaemaal
Bande hain sab khuda ke, zaat usi ki hai
Haraam hai karna, kisi ka najaaiz istemaal
Badalta hai jahan ab tez raftaar se dekhiye
Samajhna na mumkin hai , yeh hai pir e zaal
Asl jauhar hai baatin men dosto
Bhul jaate hain yeh kyon, yeh sahib e maal
Ajab nahin hain yeh baaten zahn men kabhi
Momin ke man men bhi uth te hain sawaal
'Sahil', dars na de, zimma wo vaaiz ka hai
Tu ban kar deekha zamaan ko misaal
19. Kafan ko mezbaan zamin chahiye
Saada lauhi, na ke husn e tamkin chahiye
Ashk e buka se kab miti hai tishnagi
Dil ko darya nahin, taskeen chahiye
Kya karenge le kar mah o anjum ko dosto
Naqsh e pa ke liye to zamin chahiye,
Guftagu ainey se yeh humnavayi kaisi
Soorat nahin, seerat haseen chahiye,
Justaju khuda ki, daleelon ki bahas
Tasavvur e maula ko to yaqin chahiye,
Dair o haram, na pir e aasitaan koi
Is dil ko 'sahil' arsh e bareen chahiye.
20. 'Sahil' Se Ek Guftagu
Aaghaaz e peeri ki mat kar tu baat
Khuftagi men subh ki mat kar tu raat ,
Uth 'sahil', din hai, waqt e khuftan nahin
Maah se nahin, aftab se kar mulaqaat
Kya karun jab qalam hai na dawaat
Bisaat men bhi khaayi hai main ne maat,
Maana, kiran subh ki jaga rahi hai mujhe, per
Mera saya bhi lagta hai mujhe, meri raat
Sookhi hai zamin, veeraan hai dil mera
Kyon bhooli hai mere kuche ko aaj barsaat
Gul ho charagh e umr to muzaiqa nahin
Jaanta hun main khub, yeh zeest hai be sabaat.
Bas soney de 'sahil', mujhe soney de
Sambhaalega wo jiski hai yeh kaaenaat.
Shak o gumaan se mat dekho mujhko tum yaro
Muztarib hai meri tarah yeh guzarti raat
21. Kyon motaqid karey koi is zamane ka
Phisalti zabaan hai naam jis fasaane ka
Teri muskurahat hi gawahi nahi deti
Kya karenge hum jaanan tere bahane ka
Junoon hai kaamil, deewana hun yaro
Koi qissa na sunao majnun deewane ka
Rang yaksaan hain jaanum qaus o quzaah ke
Har rang men badalta hai tareeq manaane ka
Bahane banao aur na pakde jao, tab hi
Lutf hai dosto kahani banane ka
Sukun chahiye yaro tanhayi nahin
Na do pata tum kisi veerane ka
Humnava na ho gar humsafar 'sahil'
Phir lutf kya koi daastaan sunane ka.
22. Halaawat e sukhan ko zahn nahin dil chahiye
Gosha geer ko bhi kabhi raunaq e mehfil chahiye
Rozgaari, rozgaari hai, kaari nahin, lekin
Charahgar ko bhi to kabhi bismil chahiye
Momin kya banega, khuda hai tu
Shaikh, Maula ko bas firotani ka haamil chahiye
Falak ko hum chhu liye, sumundur kiye uboor
Ab to hamen dosto raah e manzil chahiye
Na mumkin hai samajhne na rumooz tere maula
Tera hi bheja hua koi raaval chahiye
Ab muntazir hun 'sahil' us roz ka hi main
Khuda jab khud kahey, usey 'sahil' chahiye.
Log nafaa nuqsaan ki baat karte hain
Zamin o aasmaan ki baat karte hain
Jeene ka shaoor nahin hai jinhen
Woh apni jaan ki baat karte hain
Maante they log farishta, adu ko bhi kabhi
Apne bhi aaj mehmaan, ki baat karte hain
Kabhi unsiat baant te they ghairon ko log
Ab yaar bhi lagaan ki baat karte hain
Mat karna koi baat ibadat ki yaro
Yahan log sar o saamaan ki baat karte hain
Zamana badla hai 'Sahil' dekh aaj kaise
Humsafar bhi har ja pehchaan ki baat karte hain.
23. Aaj sahr ne kaha mujh se, tu subh kyon muskuraya tha
Bata 'sahil', tere khwabon men raat kaun aaya tha
So raha tha tu, ai dost, is chain o sukun men
Mere qadmon ki aahat ne bhi, tujhe nahin jagaya tha
Saba ke jhonke mehakte huay na utha sakey tujhe
Teri dehleez per parinda bhi geet gungunaya tha
Kya dahr e ulfat men guzri thi haseen shab teri
Bata, libaas e ulfat men tu kya sharmaya tha
Kya koi sirhaane tere, tujhe sulane aya tha
Kya saqi ne shab bhar, jaam chhalkaya tha
Ya, kya tu mere aane ki khushi men muskuraya tha
'Sahil' bata, raat kis ne tujhe tadpaya tha.
24. Kya puchhte ho mujhse mere naam o nishan,
Mere alfaaz hi mere honey ki gawahi denge
25. Chehchaha rahi thi bulbul dahar -e- chaman men aaj
Tere badan ki mehak thi har saman men aaj
Ghazaala nai thi nazar men, mehak usi ki thi
Aayi thi kya yeh khushbu khaak e khatan se aaj
Dekh kar tujhe zamin per sharmaye baitha tha chaand
Ik andhera tha ajab sa, neele gagan men aaj
Hua karti thi saadagi logon ka shiaar kabhi
Tafreeq dekhiye aap, rahan sahan men aaj
'Sahil', talkh na thi zabaan na alfaaz be adab
Shaistagi kahan hai bad naseeb dahan men aaj
26. Wus'at e zanjeer tak hai 'sahil' yeh gaam mera
Be naam hun, kyon puchhta hai tu naam mera
Wo guzre mere kuch se sard hawa ki tarah
Tasleem na sahi, le to jaate salaam mera
Maana, ghulam hun per hun main khuddaar
Shaikh sahib, mat puchho auron se daam mera
Siwa qarz ke tere, aur kuchh nahin hai mera
Rakh le zaamin ai saqi, tu tuta jaam mera
Dil muztarib hai, aur zahn darham bahot
Kaun le gaya hai chheen kar aaj aaraam mera
Mat karo tum baaten fana ki ab logo
Mitti ka dhaancha sahi, hai to andaam mera
Ba khabar hai darya rab ke nizaam se,khub
Nahin puchhta hai wo, 'kya hai anjaam mera'
Hamdard hai wo, hamsafar mera, yaro
Koi to pahunchao 'sahil' tak paighaam mera
27. Sumundur men kal ka darya shaamil hai
Ai zindagi , kya fana hi teri manzil hai,
Dard e dil, paas e wafa, tum se kya kahen,
Kitne mukhtalif hain jazbaat aaj, jahan dil hai,
Faramosh hai kitna yeh banda khuda ka
Raasti se dur aur ibadat se ghaafil hai,
Himmat e mardaan ki log karte hain baaten
Shikebaayi nahin hai, to insaan buzdil hai,
Sunte they dil misl e mom hotey hain
Pighalna hai farzi, aaj dil sang dil hai,
Aaj pur sukun kaun hai tu hi bata, 'sahil',
Jisey dekho be qarrari ka haamil hai,
Tujhse puchhta hun main ai khudaya
Kya yeh teri hi banayi hui mehfil hai?
28. Khaate hain qasmen yeh khuda ki, ahl e siyaasi
Koi in se badh kar kaafir o zandeeq to deekhaaye
29. Zindagi khub haseen hai 'sahil'
Khwab to mahz saraab hain,
Dhalta suraj, nikalta chaand
Husn ke hi to baab hain.
30. Life is indeed beautiful, Ashok
Dreams no more than mirage,
The setting sun, the rising moon
Chapters of beauty, that I envisage.
31. Gar iyaan na hua aftaab kal
Kya nahin hain phir kal mere pal,
Kya zulmat men nahin jeete hain log
Kya khazan men nahin hoti hai fasal
Kya hotey hain daur sirf bahaar ke
Marsiya nahin sirf naghme malhaar ke,
Dil bhi to rota hai kabhi, kabhi
Sehne padte hain zakhm bhi khaar ke,
Kar lo pursish tum baghbaan se
Puchho jo chaaho tum gulsitaan se,
Nizaam kiska hai yeh jahan, 'sahil'
Puchh lo tum neele aasmaan se,
Tu hi bata de 'sahil' ko maula
Nizaam saare jahan ke tere hain sab,
Tu hi khuda hai, bhagwan bhi tu
Tu hi sab ka, ek hai rab.
32. Wo gul hi kya na hon jiske khaar, paasbaan
Wo chaman hi kya jo na ho kabhi khazan ka mezbaan,
Meri khud ki chaah hai karun main dil ko, udaas
Tu palkon ko yun num na kar, ai dil e naadan,
Jab yaad dilaati hai azaab rab ki tujhe , 'sahil'
Rehna phir azaab men bhi, to azaab ka meharbaan,
Gar shauhrat na ho na jah o jalaal, muzaiqa nahin
Farz hai tera phir bhi 'sahil' rakhna dil ko shaadmaan,
Yaad rahe tujhko dost har subh o har shaam
Deekhte hain mah o anjum jab siyaah ho aasmaan.
33. Aane ki baat karo to sab baaten hain
Farzi aaj ki saari mulaqaten hain
Zikr aftab ka, wo bhi kor chashm se
Us se jiske liye sab raaten hain
Raah e mustaqbil taweel hai bahot
Yaro hum to har din khair manaate hain
Hum ko hi naseehat kyon zabt e sukhan ki
Log to baaten kaisi kaisi banate hain
Hamdardi tha shiaar logon ka kabhi
Aaj to bujhti aag ko yeh sulgaate hain
Hum to salaam unko karte hain yaro
Jo khud gir kar auron ko utha te hain
Neend na aaye to wo sitaare ginte hain
Raaten jaag kar wo hamen sulaate hain
Kisi ne ki thi baat hafize chheenen ki
Afsaane maazi ke bahot sataate hain.
34. Azaab hai jeena gham ke saaye men, 'sahil'
Yaro, dukhre apne hum to bhulaate jaate
35. Gar iyaan na hua aftaab kal
Kya nahin hain phir kal mere pal,
Kya zulmat men nahin jeete hain log
Kya khazan men nahin hoti hai fasal
Kya hotey hain daur sirf bahaar ke
Marsiya nahin sirf naghme malhaar ke,
Dil bhi to rota hai kabhi, kabhi
Sehne padte hain zakhm bhi khaar ke,
Kar lo pursish tum baghbaan se
Puchho jo chaaho tum gulsitaan se,
Nizaam kiska hai yeh jahan, 'sahil'
Puchh lo tum neele aasmaan se,
Tu hi bata de 'sahil' ko maula
Nizaam saare jahan ke tere hain sab,
Tu hi khuda hai, bhagwan bhi tu
Tu hi sab ka, ek hai rab.
36. Kaf e pa they kyon aaj num mere
Jab huay they kum kuch gham mere,
Zakhm taaza huay phir kyon
Tu hi bata, dukhi man mere,
Kaf e pa they kyon aaj num mere
Kotaah they kyon aaj dum mere,
Mehroom tha kyon main khud se aaj
Kaf e pa they kyon aaj num mere,
Be surey they kyon sargam mere
Koi to lagao marham mere,
Bulbul bhi aaj parwaaz hui
Kaf e pa they kyon aaj num mere,
Jazbaat they kyon barham mere,
Kafepa they kyon num nere,
Kya shabnam ko aaj hi aana tha
Daaman mera bhigona tha,
Kaf e pa they kyon aaj num mere,
Kh-mosh hai kyon, sanam mere
Kya raaz hai koi humdum mere,
Udaasi thi kyon faza men aaj
Mundamil kab honge yeh zakhm mere,
Kaf e pa they kyon aaj num mere
37. Baaten
Himmat thi 'sahil' jab jawani ki
Hum karte they baaten janfishani ki
Misl e darya tha josh tab shabab ka
Fikr na thi tab ravani ki
Dil o dimagh seerab they donon
Darkar na thi taaza paani ki
Shafaq ki laali hum khud hi they
Baaten na hotini noorani ki
Yaro, rishta samjho gul o khaar ka
Phir karna baaten nigahbani ki
Ab to 'sahil' rang pheeke hain bahot
Aur baaten, naqsh e pa o nishani ki
Tere daur men, peeri, sab kotah hai
Koi baat nahin ab farawani ki.
38. Jaari hai nafas ka aamad o shud yaro
Varna, hum ko bhi log be jaan hi kehte
Hote gar hum misl e farishta,'sahil'
To hum bhi jeene ko aasaan hi kehte
Mehmaan navaazi ki tameez ab kahan
Varna, hum bhi adoo ko mehmaan hi kehte
Faani hai hayaat, shukr manao, varna
Log jism ko rooh ka zindaan hi kehte
Bula lo jis naam se chaaho tum yaro
Ibadat ko farishte bhi imaan hi kehte
Na hoti maseehaayi gar jahan me, dosto
Hum shayad rab ko bhi gumaan hi kehte
Yeh fitne, yeh jhagde, yeh fasaad, maula
Tere jahan ko varna hum khaandaan hi kehte
Khush qismat hai 'sahil' har haal men tu
Teri kaamyabi ko varna sab imtihaan hi kehte.
39. Aaiye, miliye mujh se aap kabhi ru ba ru
Gul farosh hun, baant ta hun main khushbu
Phool yaksaan hain baagh ke sab mere liye
Kya gulaab kya saman, kya dost kya adu
Mai to mai hai saqi, tafreeq is men kya
Nashe ko kya pata, kya jaam kya subu
Bas, jeene ka saleeqa seekh lo, phir
Na tilism hai zeest yaro, na koi jaadu
Rahe dahan men 'sahil', zabaan shireen hamesh
Yaad karti hai dunya usiko, jo ho khush gulu.
40. Insaan ke hukm ka wo pa band nahin hai
Faza men parinda, qafas men tang nahin hai,
Kyon jalaati hai shama khud ko raat bhar
Raushan rakhna hai farz uska, nairang nahin hai
Chalna hoga tujhe shaikh,baargaah tak uski
Raah e khuda per haif, aurang nahin hai
Kya hua hai saqi, khaali kyon hain jaam
Pheeki kyon hai mai teri, aaj rang nahin hai
Pesh raft ke milte hain dekhne ko nishaan
Yaro ,ilm to bahot hai, farhang nahin hai
Jaise baagh men har phool gulaab nahin hota
Khalaa men har parinda, saarang nahin hai
Saum o salaat, namaaz, sajda, laazim hain
Kisi ke dil ki baat nahin, tarang nahin hai,
Dhal chuka hai aftab, parinde bhi sab kh-mosh
Waqt ibadat ka hai 'sahil', ghul aahang nahin hai.
41. Manind e waqt wo kahan rukne waale hain
Ab un se kya kahen jo khud hi jaane wale hain
'Sahil', mahabat ki qaail to dunya hai saari
Hamen un se mila jo us per marne wale hain
Naghma bulbul ka suno, larazti khazan ko dekho
Sabr karo yaro,ab ghunche khilne wale hain
Kya karenge haasil wo baharon ka lutf
Jo gulon ke khaaron se darne waale hain
Shukr manao yaro, kaasa ba dast nahin ho
Qismat ke maare, aahen bharne wale hain
Kya darayegi hamen tu baad e mukhalif
Hum to muqqadar se bhi ladne wale hain
Shama to rehti hai bas raat bhar raushan 'Sahil',
hum to ta umr jalne waale hain
42. Chhord chale 'sahil' hum chund roza naam ko
Tu hi karna salaam ab, is muntazir izdehaam ko
Na-kaam rahi hai justaju raah e khuda ki meri
Ab tu hi deekha, maula,raah apne ghulaam ko,
Dair o haram muqaddas hain, yaad rahe bande
Dil men gar yaqin na ho, mat kar badnaam ehraam ko,
Hayat hi jab haqeeqat hai, kis saraab ki ab talaash.
Yaro, dhundte ho tum kis jahan ke dawaam ko
Kijiye jo dil men aaye, na bhulna per kabhi
Aarizi zindagi ko, na hi kaar ke farjaam ko
Hasraton ke sholon men rahega woh gharq
Jo ehmiat na dega zameer ke paighaam ko
Dekhe they zamaane,barson pehle hum ne
Jab lete they sar apne, log auron ke ilzaam ko
Aasaish ki god men mahv ho kar, 'sahil'
Mat bhulna tu kabhi, ranj o gham o alaam ko
43. Misl -e -waqt wo kahan rukne waale hain
Ab un se kya kahen jo khud hi jaane wale hain
Mahabat ki qaail to dunya hai saari
Hamen un se milao jo us per marne wale hain
Naghma bulbul ka suno, larazti khazan ko dekho
Sabr karo yaro, ghunche khilne wale hain
Kaho, kya karenge haasil wo baharon ka lutf
Jo gulon ke khaaron se darne waale hain
Shukr manao yaro, kaasa ba dast nahin ho
Qismat ke maare, aahen bharne wale hain
Kya darayegi hamen tu baad e mukhalif
Hum to muqqadar se bhi ladne wale hain
Shama to rehti hai bas raat bhar raushan
Hum to yaro ta umr jalne waale hain
Un se kehna 'Sahil', wo jo nazar phernewale hain
Aaj hum unhin ki gali se guzarne waale hain.
44. Log nafaa nuqsaan ki baat karte hain
Zamin o aasmaan ki baat karte hain
Jeene ka shaoor nahin hai jinhen
Woh apni jaan ki baat karte hain
Maante they log farishta, adu ko bhi kabhi
Apne bhi aaj mehmaan, ki baat karte hain
Kabhi unsiat baant te they ghairon ko log
Ab yaar bhi lagaan ki baat karte hain
Mat karna koi baat ibadat ki yaro
Yahan log sar o saamaan ki baat karte hain
Zamana badla hai 'Sahil' dekh aaj kaise
Humsafar bhi har ja pehchaan ki baat karte hain.
45. Aaj sahr ne kaha mujh se, tu subh kyon muskuraya tha
Bata 'sahil', tere khwabon men raat kaun aaya tha
So raha tha tu, ai dost, is chain o sukun men
Mere qadmon ki aahat ne bhi, tujhe nahin jagaya tha
Saba ke jhonke mehakte huay na utha sakey tujhe
Teri dehleez per parinda bhi geet gungunaya tha
Kya dahr e ulfat men guzri thi haseen shab teri
Bata, libaas e ulfat men tu kya sharmaya tha
Kya koi sirhaane tere, tujhe sulane aya tha
Kya saqi ne shab bhar, jaam chhalkaya tha
Ya, kya tu mere aane ki khushi men muskuraya tha
'Sahil' bata, raat kis ne tujhe tadpaya tha.
46. Bunyaad tehzeeb ki murrawat o haya hai
Lekin, zamana yeh 'sahil' aaj bahot naya hai
Badle tewar, badle rang, kaise badle hain
log Khuda hi jaane kal ka daur kahan gaya hai
Teri nematon se maula khush nahin hain
log Saraabon men jaane kya sukun paaya hai
Mukhlis mizaj, shireen zabaan, sarmaya tha
Aaj shaurat, naam aur sarwat hi sarmaya hai,
Charche hote they dosto sadaqat ke kabhi
Ab libaas riyakaari ka dil ko pehnaya hai
Yaro, socho ge tum bhi is baat ko ik roz
Aaj ki hulchul men tum ne, kya ganwaaya hai.
'Sahil', kya khilega wo gulshan baharon se bata
Jisey baaghbaan ke haathon ne khud dafnaya hai.
47. Teri mehfil men gin ne jo paimaane aate hain
Maikhwaar nahin saqi, wo deewaane aate hain,
Ziyarat khumgaah ki, zariya hai dil behlaane ka
Be basi men log gham bhulaane aate hain,
Hamdardi ke danke kyon bajaate ho, yaro
Manzur hai, log zakhmon ki yaad dilaane aate hain
Na milna chaaho na sahi, muzaiqa nahin hai dosto,
Per bhulna mat, bahaane hamen bhi banaane aate hain
Zinda hai yaad maazi ki, zahn ke goshon men kahin
Khwabon men yaad ab bhi, wo guzre zamane aate hain
Kar li hai sulah hum ne haqeeqat se kaamil, dosto
Ai shab, ab to bas, hum khwabon ko sulane aate hain.
Num chashm aate hain log, koi puchhe to un se
Wo kis ki mazaar per phul chadhaane aate hain
Dostları ilə paylaş: |