July 2012 Para 01 Islam a to Z



Yüklə 67,98 Kb.
tarix27.10.2017
ölçüsü67,98 Kb.
#17212

17th July 2012 Para 01

Islam A to Z

Surah Ibraheem aya 24

Fruits of Imaan: http://nurulquran.com/Islam/Lectures/Un-named-Lectures/Lec%20Fruits%20of%20iman.MP3

SJ_CourseIncharge: Islam main mukhtalif cheezon ki jagah

SJ_CourseIncharge: aik darakht bhi hamara ustad ho sakta hai shart ghoro fikr kerna hai'

SJ_CourseIncharge: sub see bari cheez kisi bhi darakht ka beej hota hai aur isi tarah islam kae darakht ka beej Allah hai

SJ_CourseIncharge: aur is beej kae liyee zameen chahea aur bandae momin ka dil wo zameen hai

SJ_CourseIncharge: sub see bari cheez kisi bhi darakht ka beej hota hai aur isi tarah islam kae darakht ka beej Allah hai

Nazimah20_MU: sunlight

SJ_CourseIncharge: beej ko phalnae pholnae kae liyee pani ki rooshni ki zaroorat hoti hai

SJ_CourseIncharge: dil main iman ho to phir wo is ka izhaar chahta hai

SJ_CourseIncharge: dil main iman ho aur dil main halchal na ho yae kabhi ho nahin sakta

SJ_CourseIncharge: jis ko sacha iman milae ga uskae ird gird kae log disturb hon gae

SJ_CourseIncharge: naya iman hamaisha kacha hota hai

SJ_CourseIncharge: shuroo kae iman main bohat khatra hota hai aur bohat support ki zaroorat hoti hai

SJ_CourseIncharge: poodae kaebahir nikalnae kae bad sahih bahir kae mahool ki zaroorat hoti hai

SJ_CourseIncharge: munasib mahool ki

SJ_CourseIncharge: sub kae support ki

SJ_CourseIncharge: beej acha/zameen achi/phir khaad

SJ_CourseIncharge: naikiyon ka mahool banana takae iman panapae

SJ_CourseIncharge: darakht kae tanae main ibadaat hain

SJ_CourseIncharge: Allah ki mohabat hai

NurN-Coordinator-AT: Root plant ka = Aqeeda

NurN-Coordinator-AT: Aqeeda= Allah Nabi Akhirah etc

SJ_CourseIncharge: jis ko Allah ki mohabat aa jati hai/nabi ka muqaam samajh ata hai us ki zindagi sanwar jati hai

NurN-Coordinator-AT: Tana = Ibadaat , 5 pillars

NurN-Coordinator-AT: Branches= Huqooq ul Ibaad , dealings

NurN-Coordinator-AT: Leaves= Good ikhlaaq , Good attitudes, In patton hi say oxygen nikalta hai , sab ko saaf or fresh rakhnay k liye

NurN-Coordinator-AT: oxygen hai banda momin ki sari achai

SJ_CourseIncharge: Allahu Akbar

NurN-Coordinator-AT: * Thora ilm khatarnaak hai , ilm ki pukhtagi hasil kerna hai

SJ_CourseIncharge: inshaAllah

SJ_CourseIncharge: Deen ko mukamal laina hai inshaAllah

SJ_CourseIncharge: deen ka poora sarsabz darakht bannaa hai insh

NurN-Coordinator-AT: Fruits koi koi darakht deta hai = Fruits aik banda momin ki janib say tuhfay hain jo dunya ko milay e.g educational milestones

NurN-Coordinator-AT: just societies establishments

SJ_CourseIncharge: iman jub bachpan aur jawaani main ata hai wo ziada jaldi panapta hai

SJ_CourseIncharge: burhapae main jaldi samajh nahin ata

SJ_CourseIncharge: 98% quran main raboobiat per ayaat hain
…….
Nazimah03_MP: ~~~~~~ Now Dawrah e Qur’an Para 01 Surah Al Baqarah Ayah 51 Onwards ~~~~~~~

SJ_CourseIncharge: PAqeedae/muamlaat/ iklaaq aur ibadaat ko alg kerna hai

Nazimah20_MU: Para 01 Checklist: http://www.nurulquran.com/RAMADAN1433/DQ2012-ForStudents/TAF-Checklist01.pdf

SJ_CourseIncharge: ghorofikr kerna hai kae in cheezon ka hamarae deen main kia hisa hai

Nazimah20_MU: jahaan Allah aa jaaye waha aqeeda ki baat ho gi

Nazimah20_MU: deen ka zikar tu aqeeda

Nazimah20_MU: ibadat ka zikr tu aqeeda

Nazimah20_MU: madad = aqeeda

Nazimah20_MU: Dua = Aqeeda

Nazimah20_MU: ehdinaa = ibadat

Nazimah20_MU: iyyaka nastaeen = ibadat

Nazimah20_MU: kitaab pe imaan = aqeeda

Nazimah20_MU: as-salaat = ibadat

Nazimah20_MU: yunfiqoon = mumalataa

Nazimah20_MU: nazool pe imaan - imaan bil rusul

Nazimah20_MU: akhirat pe imaan – aqeeda
Nazimah20_MU: ~~~~~~ Now Dawrah e Qur’an Para 01 Surah Al Baqarah Ayah 51 Onwards ~~~~~~~

SJ_CourseIncharge: 40 saalkae waqiaat Bani Israeel kae

SJ_CourseIncharge: hamara hamarii kitabon kae sath muamlaat kia hain

SJ_CourseIncharge: aya 53 high light

Nazimah03_MP: BAni Israel ke waqe’aat ..album ke sufhe ki tarah yahan

SJ_CourseIncharge: kitabain is liyee di jati hain kae tum hidat paa jaoo

SJ_CourseIncharge: shirk ko zulm kaha

aishaiqbal: MJE AWAZ NAE AA RAI YA ABI BREAK KHATAM NAE HUI

SJ_CourseIncharge: deen main is ko bardasht nahin kia jaa sakta

Nazimah03_MP: Rabb ke saath raazi = kisi aur ki zarurat nahi

Nazimah03_MP: Mushrik = daghabaaz

Nazimah03_MP: shirk naqabile bardaasht

SJ_CourseIncharge: jub tuk is ka maloom na ho shirk kia hai us ki islah nahin ho sakti

Nazimah03_MP: SELF CHECK: mere kis amal se shirk hota hai??

SJ_CourseIncharge: hamain quran ki light jalanii hai apni zindagiyon main

SJ_CourseIncharge: apni islah kae liyee ilm laina hai

Nazimah03_MP: Jis din Quran ki raushni zindagi mein ayegi to hamara shirk dikh kar aayega

Nazimah03_MP: ayah 55 - 56

SJ_CourseIncharge: insan ghaltiyon kae bad mooqa daitae hain islah kae

Nazimah03_MP: Allah humein kai mauqe deta hai ke hum apni ghalti maanlein aur tauba karlein

Nazimah03_MP: 57 -

SJ_CourseIncharge: Allah ki zaat hamain ghaltiyon kae bawajood mooqae daitae hain

SJ_CourseIncharge: taqwa under ho ga to shukr aur qanaat per aa jayain gae insh

SJ_CourseIncharge: Bani Israeel ki khwahishaat

Nazimah03_MP: taqwa = dollar currency = har jagah chalti hai

Nazimah03_MP: Convert taqwa(dollar currency) to sbar, shukr, qanaaat

SJ_CourseIncharge: in ko mana salwa mila magar inhon nain is ka bhi inkaar kia

Nazimah20_MU: Mann = sort of like mushrooms .. chewingum texture ki sweet dish ... salwa = birds

Nazimah03_MP: mann = sweet chewing gum; salwa = birds

SJ_CourseIncharge: jub koi qoom lust aur shubhaat main par jatii hai to wo Allah kae ahkamaat ka inkaar kerta hai

Nazimah20_MU: 58-

Nazimah03_MP: Allah ke hukm ko nahi manne ki wajha = hamare desires

Nazimah20_MU: 58-59

SJ_CourseIncharge: Bani Israeel ki nafermaniyon ki wajah see unko saza mili

SJ_CourseIncharge: 1.12 qarohon main thi qoom aur 12 hi chashmae milae

SJ_CourseIncharge: haq milnae per qoom gumrah nahin hoti

Nazimah20_MU: 12 garoh ; 12 chashme - shows organisation as the size was according to the size of group

SJ_CourseIncharge: khud dua nahin mangi balkae nabi see kaha

Nazimah20_MU: 61-

Nazimah20_MU: khud dua na ki lekin nabi ko kaha - ye mazaaj agar aaj bhi hai tu darust nahi

SJ_CourseIncharge: darust mizaaj nahin kae kisi doosrae see dua ka kaha jayee

Nazimah20_MU: Highlight: 61 "atastabdiloona ..... khair"

SJ_CourseIncharge: Allah nain Alla cheez di magar inhon nain ghatiaa cheez mangi

SJ_CourseIncharge: Allah ki raza mangtae jo bari cheez thi

Nazimah20_MU: Allah ki raza maangne ki bajaye dunyawi haqeer cheezein maang leen tu nateeja : zillat ka shikaar

SJ_CourseIncharge: ajj ummat kae pas waqt kun naahin?

SJ_CourseIncharge: ajj wants ziada hain wants see

Nazimah20_MU: hum needs se uth ke wants pe aa gaye

SJ_CourseIncharge: ajj wants ziada hain needs see(correction

Nazimah20_MU: nabi tu rait se bhare paani pe, sattu pe guzara karte the - aaj hamare fridge bhare hoan tu bhi kehte hain ke khane ko kuch nahi

SJ_CourseIncharge: jub kisi qoom per zawal ata hai wo sub see pahlae apni sub see payarii cheez iman baichtae hain

Nazimah20_MU: nafs parasti se bachna hai!

SJ_CourseIncharge: inshaAllah

Nazimah20_MU: checklist : mei kiya leti hoon, kiya chorti hoon???

Nazimah20_MU: activity: agar pata chale ke ye zindagi ka akhiri din hai tu kaise guzaroon gi?

Nazimah20_MU: akhri hafta hai tu kaisa guzaroon gi?

Nazimah20_MU: akhri maheen ahai tu kaise guzaaroon gi?

Nazimah20_MU: akhri saal hai tu kaise guzaroon gi?

Nazimah20_MU: kiya routine mei change aaye gii? kiya abhi har din ko akhri deen samajh ke guzaarte hain?

Nazimah20_MU: dars aaye aur shaadi ka dawatnaama - kaha jayein ge

Nazimah20_MU: 62-

Nazimah20_MU: important ayah!! ke sirf musalmaan naam se nahi bakhshe jaao ge

Nazimah20_MU: naam se kuch nahi hota

Nazimah20_MU: dono zaroori: 'Aamanoo wa amalus salihaat'

Nazimah20_MU: dono ke bagair jannat nahi!

SJ_CourseIncharge: Aamnoo aur amnus salehaat garii kae 2 pahae hain'

Nazimah20_MU: aqeeda aur amal saleh - gaari ke 2 wheels - zindagi smooth

SJ_CourseIncharge: aik kharaab ho ga to doosra sahih kaam nahin karae ga

Nazimah20_MU: 63

Nazimah20_MU: highlight ' khuzoo ... biquwwatin'

Nazimah20_MU: 64-

Nazimah20_MU: allah se ehad karna aur tor dena??? tabahi

SJ_CourseIncharge: Allah nain hamain bohat asaan deen diya

Nazimah20_MU: Allah swt ki shariyat asaan, hum duniya ke peeche parein tu khud ke liye mushkilein paida karte hain!

Nazimah20_MU: 64-65

Nazimah20_MU: 'Allah ne bander machli pakarne pe nahi banaya, inkar pe banaya'

Nazimah20_MU: 66 - iss ki bunyaad pe surah ka naam baqarah rakha

Nazimah20_MU: 67 - iss ki bunyaad pe surah ka naam baqarah rakha

SJ_CourseIncharge: nabi ee baat nahin kerna aya mazaaq kernae lagae

Nazimah20_MU: aaj hame bhi deen ke naam pe fun pasand aa gaya

Nazimah20_MU: ameen

Nazimah20_MU: Para 01 - 2nd dua - ayah 67

Nazimah20_MU: checklist: http://www.nurulquran.com/RAMADAN1433/DQ2012-ForStudents/TAF-Checklist01.pdf

SJ_CourseIncharge: mazaaq ko jahalat kaha Moosa as nain

SJ_CourseIncharge: gayae ko baqra kahtae hain aur is main is ka waqia hai

NurN-Coordinator-AT: Is gaey k waqay ki waja say 67-73

Nazimah20_MU: 67-73

Nazimah20_MU: bani israeil egyptians ke saath rehte jo cow worship karte the - tu bani israeiliyoan ke dil mei bhi cow ki muhabbat tu Allahswt issi ko katnachahte the, issi liye gaye ko zibha karwaya

SJ_CourseIncharge: egyptians cow worship kertaethae aur yae un kae sath rahtae thae aur gayae ki mohabat dilon main rach gayi thi

Nazimah20_MU: 2) qatal hua tu gaye ko zibha karwa ke faisla karwaya

Nazimah20_MU: 3) marne ke baad zinda hone ka yaqeen khatam ho gaya tha tu wo Allah swt ne phir se dikhaya

Nazimah20_MU: Dua: Ay Allah taufeeq de de ke teri baat sunoon tu choo chura ke begair maan loon - AMEEN!

Nazimah20_MU: 74-

Nazimah20_MU: mura ko zinda hote dekhne ki nishani

Nazimah20_MU: murda*

Nazimah20_MU: magar dil itna sakht ke koi faida nahi hua

Nazimah20_MU: Allah mera dil maan jaaye - Ameen

Nazimah20_MU: Apne dil ka jaiza lein

Nazimah20_MU: another hour

Nazimah20_MU: quran parhte huey dil ki kiya halat hoti hai???

Nazimah20_MU: Allah ki kitaab, kon Allah? saare jahaan ka maalik! kitna bara jahaan?

Nazimah20_MU: dil mei ghaflat tu nahi?

Nazimah20_MU: ye Allah ka kalaam hai, choti baat nahi hai

Nazimah20_MU: heera = pathar ... furniture = pathar .. in ki muhabbat mei iss kitaab ko bhool tu nahi rahe?

Nazimah20_MU: dil ko Allah ke raaste mei torna hai tu bach jayein ge

Nazimah20_MU: quran ki mehfil mei royein, na aaye rona tushakal aisi bana lo!

Nazimah20_MU: Abu bakr bohat rone waale shakhs the

Nazimah20_MU: 75-76

SJ_CourseIncharge: ameen

Nazimah20_MU: ameen

Nazimah20_MU: hum Allah ke ban-ne lagein tu log apna banane ki koshish karte hain

Nazimah20_MU: 77-

Nazimah20_MU: kuch kehte hain Allah bari baatein jaante hain magar choti baat nahi

Nazimah20_MU: naoozubillah

Nazimah20_MU: Allah dil ke chupe bhed jaanta hai!!!!!!!!! waswasoan tak ko jaanta hai!

Nazimah20_MU: Allah ki laaj nahi tu insaan ki laaj nahi ho gi

SJ_CourseIncharge: taqwa Allah ko dil ka bhi malik samjhain

SJ_CourseIncharge: wo dilon kae bahid bhi jantae hain

Nazimah20_MU: log kiya kahein ge' iss se benayaaz hona hai

Nazimah20_MU: 78-

Nazimah20_MU: aaj hamara kiya haal hai?

Nazimah20_MU: un-parh wo jisse Allah ki kitaab ka ilm nahi - chahe duniya ka kitna hi ilm haasil na kar lein

SJ_CourseIncharge: Allah quran na jannae walae ko anparh kah rahae hain

Nazimah20_MU: aise logoan ka haal: aarzoa'n ke peeche dorte hain

Nazimah20_MU: 79-

Nazimah20_MU: 80-

Nazimah20_MU: ehad ke Allah tumhe aag mei na daale ga

Nazimah20_MU: 81- hamesha ke liye tabahi - Allahumma la taj'alna minhum

Nazimah20_MU: 82-

Nazimah20_MU: bani israeil ka zawaal: aalim logoan ka maal khaane lage aur fatwe unn ke mutabiq de dete

Nazimah20_MU: apnimarzi ki baat maan te aur deen ki khatam = amanish

Nazimah20_MU: Allah inn ayahs mei keh rahe hian sunnat ko chorke tum kiya kar rahe ho?

Nazimah20_MU: aaj sunnat chor ke sunni sunaayi ke peeche lag gaye

Nazimah20_MU: koi aik gunaah bhi kal pakra jaa sakta hai .. kissi gunaah ko chota nahi samajhna

SJ_CourseIncharge: Allah hamain aik gunnah see bhi pakar sakta hai

Nazimah20_MU: daman ko paak rakhna hai, mehsoos karein Allah dekh raha hai

Nazimah20_MU: jitne gunaah barhein utna lagta hai aap jannati hain - dhoka

Nazimah20_MU: insan quran se door hone lagta hai gunah barhte barhte - lekin yaqeen ke tum bakhshe huey ho

Nazimah20_MU: ummahatul shariya - 83

Nazimah20_MU: shariyat khoobsurat

Nazimah20_MU: Allah se taaluq = aqeeda

Nazimah20_MU: baaqi muamalaat

Nazimah20_MU: husna baat = ikhlaaq

Nazimah20_MU: qoolo lin-nnasi husna - ACTIVITY: kal iss time tak na cheekhna (shout) karna hai, na gheebat

Nazimah20_MU: 84 - unn ki shariyat ki baatein85

Nazimah20_MU: 84-85

Nazimah20_MU: kiya tum kitaab ke aik hisse pe imaan laate ho aur doosri ko chor dete ho? ummat-e muslima ke zawaal ki waja!!!

Nazimah20_MU: waja zillat ki - kitaab se hat chuke

Nazimah20_MU: 86- kis cheez ke badle mei kiya liya???

Nazimah20_MU: akhirat ko chora, duniya lii jo faani hai

Nazimah20_MU: imaan becha aur be imaani lii

Nazimah20_MU: iss para ki ayaat-e taddabbur - 85-86 http://www.nurulquran.com/RAMADAN1433/DQ2012-ForStudents/TAF-Checklist01.pdf

Nazimah20_MU: aaj kiya haal hai hamara??

Nazimah20_MU: aaj hum ne poora deen nahi liya

Nazimah20_MU: namazparhte hain tu muamalaat bhi dandi maar dete hain

Nazimah20_MU: kahein doosre se bohat ache tu namaz chor dete hain

Nazimah20_MU: dono ka faida nahi

Nazimah20_MU: Allah ke deen ki baat na maanein tu isse liberal hona kehte hain?????

Nazimah20_MU: bani israeil ne na ikhlaqiyat pe amal kiya na shariyat pe

Nazimah20_MU: aaj hum musalmanoan ka haal kiya hua??

Nazimah20_MU: aadha deen zyada bura hai

Nazimah20_MU: tarap ke dua karein - AY ALLAH LIFETIME MUSLIM BANA DE - AMEEN!!!!!

Nazimah20_MU: har gunah ka asar hota hai - akhirat pe ke uss ki saza mile gi aur aik iss duniya/ummat pe

Nazimah20_MU: hum ummat ka taar hain - trends ummat ko dikhte hain

Nazimah20_MU: Allah se dua karein poora din mil jaaye - tu hi paas ho sakein ge kal

Nazimah20_MU: sirf namaz roza 5 pillars matloob nahi - phir tu Nabi 23 saal na mehnat karte

Nazimah20_MU: nematoan ki na qadri se nematein chali jaati hain

Nazimah20_MU: 87-

Nazimah20_MU: Allah ne apne waade nahi tore - hidayat ka taar na tora

Nazimah20_MU: qomoan pe tanqeed - ke deen sirf apni pasand ka lete

Nazimah20_MU: nahi tu jhutla dete ya nabiyoan ko qatal tak kar dete

Nazimah20_MU: kon keh raha hai - ye chor dein - dekhein message kiya hai

Nazimah20_MU: bani israeil qyadat chahte the, hidayat nahi

Nazimah20_MU: issi liye khawahishoan pe chot parti tu jhutlaa dete

Nazimah20_MU: sunaein ge nahi tu SUNN ho jaayein ge - jo aaj ummat ka haalhai

Nazimah20_MU: Highlight: wa qaaloo quloobuna gulf' 88

Nazimah20_MU: highlight full ayah

Nazimah20_MU: 89-

Nazimah20_MU: ameen

Nazimah20_MU: Highlight 89- wa kaanoo min qabluu .... kafaroo behii'

Nazimah20_MU: pehchaan na ho tu koi nahi , magar jaante pehchaante inkaar kiya

Nazimah20_MU: tu nateeja - Allah swt ki lanat

Nur_DQ12_RN044: ALLAHUMMA LA TAJ AL NA MINHUM AMEEN!!!!

Nazimah20_MU: amal nahi phir bhi araam se hum sote hain

NQSJ_NA004_Salsabeel: Allahuma latajal minhum

Nazimah20_MU: ameen

Nazimah20_MU: sirf unn ka zid ki bunyaad pe inkaar - naamoan pe nahi ulajhna

Nazimah20_MU: Allah ta'sub ke phande se nikal dein - Ameen!!!

Nazimah20_MU: Highlight - Ayah 90 - fabaaoo begazabin ala gazab'

Nazimah20_MU: 91-

Nazimah20_MU: hum tu sirf fulaa maslak ki baat manein ge chaahe dosri baat haqq ho

Nazimah20_MU: aaj muhammad saw ko nahi maan liye tu kal eesa, yahya ko kyoun qatal karne ki koshish ki??????

Nazimah03_MP: agar nahi padhna chahe to hum nahi padhenge

Nazimah20_MU: 92-93

Nazimah20_MU: Highlight ' same'na wa asayna' suna lekin manein ge nahi

Nazimah03_MP: agar aaj NAbi saws ko nahi maante to pehle ke ambiyaa..Isa As; zakriya as, yahaya as ko qatl kikoshish kyun ki ?/..bani israel se sawaal ..ayah 91

Nazimah20_MU: ye kaisa iman hai jo tumhe be-namazi bana raha hain?

Nazimah20_MU: har wo cheez jo Allah ki itaa'at se rok de tu wo bachra hai

Nazimah20_MU: zindagi ko tumguzaaro, ye na ho zindagi tumhe guzaar de

Nazimah20_MU: 94-

Nazimah20_MU: karna karana kuch nahi tha lekin iss khayaal mei the ke wohi bakhsein jaayein ge

Nazimah20_MU: Hadees: momin ki maut se pyaari koi cheez nahi

Nazimah20_MU: bure aemaal hoan ge tu maut se darr lagta hai

Nazimah20_MU: 96 - beautiful ayah

Nazimah20_MU: khawahishein - samaan so 100 baras ka, pal ki khabar nahi

Nazimah03_MP: munafiqeen. kafiron ko lamba jeena hota hai

Nazimah20_MU: Jibraeil as se yahood ki dushmani - Ayah 97

Nazimah20_MU: wo kehte the hum musalman ho jayein magar quran jibraeil laate hain jo hame pasand nahi

Nazimah20_MU: ke wo mushkil torat laaye the aur qomoan pe azaab laaye the

Nazimah20_MU: naoozubillah

Nazimah20_MU: Highlight - Aala qalbika'

Nazimah20_MU: ameen

Nazimah20_MU: Allah dil ko qalb-e saleem bana de - Ameen

Nazimah20_MU: 98- tum Allah ky pyaroan ke dushman tu Allah tumhara dushman

Nazimah20_MU: 99-101

Nazimah20_MU: kiya aaj hum ne Allah ki kitaab ko peeche nahi daal diya?

Nazimah20_MU: kitaab faal nikaalne ke liye bana di, tone ttkey ke liye

Nazimah20_MU: kitaab se emotional taaluq khatam kar diya

Nazimah20_MU: faarigh hain tu quran parh lein

Nazimah03_MP: Kya mere taluq kitab se "TO DO" ka hai ya "TO READ " ka hai??

Nazimah20_MU: kitaab zindagi se nikli tu Ayah 102

Nazimah20_MU: 102-

Nazimah20_MU: -103

Nazimah20_MU: shaan-e nazool: hazrat sulemaan a.s pe ilzaam ke nateeje mei nazil huien

Nazimah20_MU: jadoo haqeeqat hai

Nazimah20_MU: kamzor log wo karna chahte hain jo khud nahi kar sakte

Nazimah20_MU: ye mushrikoan ka kaam hai

Nazimah20_MU: jadoo haqeeqat lekin kitna - ye bi iznillah

Nazimah20_MU: jadoo na ho agar aqeeda pukhta hai

Nazimah20_MU: taharat ka intezaam

Nazimah20_MU: namaz pe qayeim

Nazimah20_MU: faltoo baal 40 din se pehle khatam

Nazimah20_MU: pait ko haraam se bachayein

Nazimah20_MU: zikr azkar

Nazimah20_MU: zuban ko munafaqat se paak rakhein

Nazimah20_MU: 4 Quls parhein

Nazimah20_MU: subah shaam ki duaein

Nazimah20_MU: apna ikhlaaq darust rakhein

Nazimah03_MP: asbaab ko dekhein na ke dosre baaton ko

Nazimah20_MU: Etiquettes of Knowledge - Ayah 104-105

Nazimah20_MU: logoan ke dar se kaam na chorein

Nazimah03_MP: - "Raaeena " = like excuse me

Nazimah20_MU: 106-107 - yaqeen hai?

Nazimah20_MU: 108 -

Nazimah20_MU: sawal 2 waja se poochte hain

Nazimah20_MU: amal aur behes

Nazimah03_MP: sawaal 2 wajha se ...samajhne keliye, ulajhne keliye

Nazimah20_MU: Allah swt farma rahe hain be waja sawal nahi poocho jaise moosa a.s se pooche gaye

Nazimah20_MU: 109 - deendaar ka deendaar se hasad

Nazimah20_MU: 110-

Nazimah20_MU: ye baat khushi deti hai ke sab Allah jaante hain

Nazimah20_MU: naiki pe raho , Allah ki madad aaye gi

Nazimah20_MU: Ayah 111 - HIGHLIGHT

Nazimah20_MU: firqa wariyat

Nazimah20_MU: yahoodi aur nasrani bhi firqa warana naam hain - ye Allah ne nahi diye the

Nazimah20_MU: HIGHLIGHT 112 -

Nazimah20_MU: Allah ke aage jhuk jaao

Nazimah20_MU: firqoan mei na paro

Nazimah20_MU: Amal se zindagi banti hai, jannat bhi jahannum bhi

Nazimah20_MU: ye haaqi apni fitrat mei na noori hai na naari

Nazimah20_MU: 113-

Nazimah20_MU: parhe likhoan ka ikhlaq dikhaya jaa raha hai

Nazimah20_MU: duniya mei khud ko galat na bhi manein, qayamat ke din pata chal jaaye gaa

Nazimah03_MP: firqa waraiat ke nateeja = masjidein khaali

Nazimah20_MU: 114 - firqa wariyat ka nateeja - masjidein khaali

Nazimah20_MU: aaj youngsters ko deen se roka: 1) firqa wariyat 2)chanda maangna

Nazimah20_MU: 115- Allah har jaga hai - ussi ke darr se apne sab amal rakho

Nazimah20_MU: jaise makkah mei waise apne mulk mei raho

Nazimah20_MU: 116 - Allah se jurr jayein, aqeeda pukhta ho tu gaeib se mumalaat hoan ge poore inshaAllah

Nazimah20_MU: Allah ka hukm, jo bandoan ko dekhe ga bandoan pe pare ga, Rabb pe nazrein lagani hain

Nazimah20_MU: 117 - 119

Nazimah20_MU: Nabi saw aur quran bohat bari nishani - aur tumhe kiya chahiye

Nazimah20_MU: Nabi saw aur aaj ki ummat se baat - 120

Nazimah20_MU: Quran ke 5 haqq ada karne hain - Ayah 121

Nazimah20_MU: iman, parhna, samajhna, amal, doosroan tak pohanchana - 5 haq quran ke

Nazimah20_MU: 122-123

Nazimah20_MU: last and final call to bani israeil

Nazimah20_MU: 3 baar pukaare gaye iss surah mei

Nazimah20_MU: ab hazrat ibraheem a.s ka zikr

Nazimah20_MU: 124

Nazimah20_MU: jab Rabb mujhe aazmaate hain tu mei poora utarti hoon?

Nazimah20_MU: universal leader = ibraheem a.s

Nazimah20_MU: nabuwwat ki nemat paayi aur utni bari aazmaeishein bhi liye gaye

Nazimah20_MU: aur poore utare

Nazimah20_MU: saari zindagiqurbaniyaan deen unnhoan ne

Nazimah20_MU: aur Allah swt ne un ko qabool kiya tu ye kaam diya - 125

Nazimah20_MU: Allah ke ghar ko saaf rakhna hai

Nazimah20_MU: Ibraheem a.s ki Dua - 126

Nazimah20_MU: Ibraheem ne muhabbat ki baat ki, Allah swt ne adal ki - 126

Nazimah20_MU: 127 - ghar banate huey bhi qabooliyat ki duaein

Nazimah20_MU: Para 1 - 3rd DUA - http://www.nurulquran.com/RAMADAN1433/DQ2012-ForStudents/TAF-Checklist01.pdf

Nazimah20_MU: ASAL CHEEZ QABLIYAT NAHI, QABOOLIYAT HAI

Nazimah20_MU: 128

Nazimah20_MU: BACHE KO SAATH LAGAYA

Nazimah20_MU: NAIKI KE SAFAR MEI SAB KO SAATH SAATH CHALAANA HAI

Nazimah20_MU: Ameen

Nazimah20_MU: Allah nasloan mei sache momin muwahid paida kar - Ameen

Nazimah20_MU: ibadat ka tareeqa Allah swt batate hain

Nazimah20_MU: ameen

Nazimah20_MU: 2500 saal baad dua qabool hui aur Muhammad sallalahu alayhe wassallam paida huey

Nazimah20_MU: duaein karti rehni hai - chahe hamari zindagi mei poori na hoan - naik nasloan ki

Nazimah20_MU: Allah hume bhi chunn lein - Ameen

Nazimah20_MU: 132 - pote ka bhi wohi amal jo dada ka

Nazimah20_MU: wasiyat kis cheez ki ki? ghar jaeedaad ki nahi!!

Nazimah20_MU: bachoan ke liye konsi fikrein theen? deen ki

Nazimah20_MU: 133-

Nazimah20_MU: kabhie hum ne apne bachoan se ye poocha?

Nazimah20_MU: ummat ke bachoan se deen ka poocha?

Nazimah20_MU: kahi wo muslim hone pe sharam tu nahi khaate?

Nazimah20_MU: Amal ki baat: bachoan se poochna hai!!!!

Nazimah20_MU: kiya chahte hain hamare bache hum se hoan? tu apne amal kaise hain?

Nazimah20_MU: 134 - amal sirf apna hi kaam de gaa

Nazimah20_MU: khud kuch kar jayein

Nazimah20_MU: 135 - aaj bhi yehi message dena hai

Nazimah20_MU: sab Allah ki rassi ko pakar lo - quran o sunnat ko pakar lo - sab naam chor do!

Nazimah20_MU: 136 - wa nahnuu lahu muslimoon

Nazimah20_MU: 137 - sahaba ke iman ko criterion bana diya

Nazimah20_MU: deen nahi badla - iss ka husan matt kharaab karo

Nazimah20_MU: deen ko pheeka nahi karo apni khawahishein daal ker

Nazimah20_MU: Fasayakfeekahumullah - http://www.nurulquran.com/RAMADAN1433/DQ2012-ForStudents/TAF-Checklist01.pdf

Nazimah20_MU: inn ayaat pe usman gani r.a ki shahadat hui thi

Nazimah20_MU: 138

Nazimah20_MU: taqwa ka rang

Nazimah20_MU: ita'at o bandagi ka rang

Nazimah20_MU: Allah ke bande bano

Nazimah20_MU: muslimoon, aabidoon aur mukhlisoon ban-na hai inshaAllah

Nazimah20_MU: baat shuru hui iyya na'budu wa iyyaka nastaeen se- aur khatam ho rahi hai sibgatullah pe - Bandagi se Allah swt ka rang!!

Nazimah20_MU: nifaaqka rang kate ga tu islam ka rang charre gaa

Nazimah20_MU: kufr nikaalein ge tu islam chare ga

Nazimah20_MU: 139 - Allah ke baare mei jhagarte ho?

Nazimah20_MU: 140 - deen e islaam ki gawahi

Nazimah20_MU: kal poocha jaye ga musalmaan the tu ird gird waaloan ko bataya?

Nazimah20_MU: 141 -

Nazimah20_MU: Allah jee hum se aemaal ka sawaal na kariye gaa - Ameen
Yüklə 67,98 Kb.

Dostları ilə paylaş:




Verilənlər bazası müəlliflik hüququ ilə müdafiə olunur ©muhaz.org 2024
rəhbərliyinə müraciət

gir | qeydiyyatdan keç
    Ana səhifə


yükləyin