Marsia-i-nami Jild-e-awwal



Yüklə 232,31 Kb.
səhifə1/3
tarix01.08.2018
ölçüsü232,31 Kb.
#64893
  1   2   3

Book Cover



Gulha-e-Nayyab

Yani


Marsia-i-nami

Jild-e-awwal

Ashiq-i-syeda-i-shuhuda

Syed Ghulam Imam, Nami


Gulha-e-Nayyab

Yani


Marsia-i-nami

Jild-e-awwal
Az kalam ashiq-i- sayyada-i-shuhuda, Ghulam Imam, Nami, Advocate, aala muqaam

Bar-e-awwal: November 1970

Printers: Sarfaraz Qaumi Press, Lucknow

Publisher: Sayyid Ahmad Imam, Peer Jaleel, Lucknow

Qemat: ek rupiya


Izzat-maab Syed Ghulam Imam, Nami, Aliallah muqaam


Bismillah Ar Rahmanir Rahim
Fahrist
1 Inteeqab….

2. Peesh Lafz….7

3. Marsia: shab-e-furqat barhi mushkil se basar hoti hai…. 13

4. Rubaiyat: 31-32

5. Marsia: fidaya-i- qasim naushah hain uroos-e-sukhan….33


Inteqaab
na mashq se na mujhe kamil-e-fan se mila

mujhe shaur-e-sukhan faize panjatan se mila

Nami

Pg. 7
Peesh Lafz


Walid-e-majid izzat maab Syed Ghulam Imam sahib hasani-al-husaini ba-qibla al-mukhalis nami ke yeh do marsiya “gulha-e-nayab” “jild awwal” nazereen ki qidmat mein pesh kiye ja rahen hain. Is liye un ki zaat-e-girami ki ek ilmi pahlu ki taraf tawajjo mabzool ki ja sake aur shaiyari ki muhsanin se bhi log mahzooz ho sake, alawa iske aap ki aqedat mandana andaz-i- shaiyari ek tabqa-i- nazreen karam ke liye ziyada dilchapsi ka bais hoga. Walid-e-majid awwalay umr se hi muqtalif ulom mein dilchapsi lete rahe aur husoole ilm mein kosha rahe. Yeh silsila bila mubalegha mehad se lahad tak hasabe irshaad risalat maab jari raha. Zauq-e- shayari toh arse se tha. Anis se jo shafaq tha woh “muwazne anis o Shakespeare” ki surat mein manzar-e-aam par aaya. Is angrezi kitab mein angrezi adab ki wasih wa ilmi mahari tahreer wa tanqeed ka muhazera hai. Anis ne mahaz karbala ke waqeyat aur khusosan Ashura-i-moharram ke na-qabile faramosh waqeyat nazm kiye aur ek mauzon ko baar-baar nazm kiya. Aur yahi unke aali kalam ki tarha se kamzori aur husn bhi hai. Yeh kabhi koyi shayar na kar saka magar woh jo ke jo dil jala ho. Ya jis ke sene mein kisi ke ishq ki aatish ke shole bharak-bharak kar barhte jate ho. Aisa ishq ya to majnoon karta ya mahzoob. Ahlebait-e-nabi ki pak sirati aksar dilon aur dimaqon par hairat angez asaraat dalti hai aur

Pg. 8
aise ashkhas ki zindagi aam-e-nazarye se juda gana andaz se basar hone lagti hai. Is liye ke dil ki lagi buri hoti hai. Duniyawi fawaid ki dil kashi barh kar ghut jati hai aur un dil kashiyon mein gar ke deen ko duniya par tarji dena mahez sirat-i- faiz-e-ahlebait athaar hai.


Walid-e-majid ne Aligarh university se BA kiya aur Lucknow se LLB kar ke High Court mein vikalat shuru ki. Taqreeban 42 High Court Bar association ki member ki haisiyat se ek mumtaz qanundan rahe. Sir Tegh Bahadur, Sapru P R S, Chaudhary Nematullah and Sir Wazir Hasan jaise nami wukala se mutaddid muqadamat mein kamyab taiwun kiya. Imandari ke daman ko kabhi nahi chorha. Jis ka sabut High court ki puri bench ka reference hai ke Syed sahib hamesha sachayi se apne muwwakil ka muqadama adalat ke samne rakte they aur qanun ke woh pahlu jo inke muwwakil ke liye faiyde baksh hote they us par adalat ki tawwaja-miyadi angrezi zaban mein mabzool karate they aur zihanat aur judat-e-tabah ki saath gair mamuli qanun dani ka sabut dete they.
Qanuni sargarmiyon ke bawajud adbi aur ilmi dilchapchiyon mein kami na aane dey. Namaz ke bachchpan se aadi they. Sayyid-e-shuhdaha-as-salam ki zaat-e-aqdas-wa-tahir se behad hisab lagaw tha. Jo aap ko har aram aur faiyde ko tark kar dene par hamesha majboor karta hai. Agar sirf duniya dari barti hoti toh duniyabi fawaid behad-e- baham pahauche hote. Khairaat chupa kar dena achcha samajte they. Aur ahsan kar ke jatana rakeeb jaante they. Wallah kabhi aisa na huya ke Allah ne duniya ke barhe logon se milne se rasook hasil karne ka mauqa na diya. Aur agar diya toh aap ko us ko uske istemaal ki salahiyat na di ho bal-ke har-har qadam par duniya pairo se lipti rahi aur deen ki raheen sadar karti raheen aur aap khanda-peshani aur tanfar se duniya ko thukrate rahe aur silsila jawani se akhir umre girami tak allah taala ne qaim rakha. Es

Pg. 9
kashmakash mein janab-e-amir alihsalam ki zindagi ki yaad karte rahi aur kisi duniyabi nuksan par afsoos na kiya balke apni zindagi ko kaamyab samajte rahe halake us ka izhar nahi karte they.


Yeh zaroori hai ke khandani hasbonasb ka tazkera muqtasaran hi sahi magar kiya jaye. Hum log Maqdom Ashraf Jahangir rahmat ullah alah ke khandan se hain aur sadaat hasan-al-husaini hain. Sayyid-e-shuhuda ke baad siwaye Sajjad ke aap ki koyi aulaad mein ba-zahir duniyabi zindagi ka hamil na tha. Janab Zain-ul-Abedin Alihsalam ka ek aqad janabe binte Imam Hasan alihsalam se hoya tha is tarha se hasan-ul-husaini sadaat ka silsila shuru hoya.
Maqdoom Ashraf ullah ain alam-e-shabab mein ek hukumat ki shahi1 chorh kar khana-badosh tabliq-i-islam ke liye hindoustan tashreef laye aur shumali hind mein azaye sayyade ashrar ke bani banami huye “husainulminni wa anamenal husain” ko zindagi ka nasab-ulain karar diya aur aza-i-sayyid shuhuda-islam ko andaroni islah aur hidayat mein aise logon mein qaim kiya jo use mazallah biddat tasawwur karte they ya zibha-i- azeem ki zaat aqdas se bilkul be-khabr they. Kichucha, zilla faizabad, UP, mein kayam kiya aur umr taqiyya mein basar ki aur sufiyana andaz mein mohabbate ahle bait se ajre risalat ada karte rahe. Aaj kichuche mein ilmi aur Imani zawal behad numaya hai.
Is khandaan ka tafsili haal gazette Faizabad mein darz hai. Mere dada Syed Fazal Imam ka aqad kalanpur ke rizwi sadaat mein Sayyad Jafar Hasan ki dukhtar se huya. Aap Sir Wazi Hasan ke biradar-e-haqiqi they. Dada ke inteqal ke waqt mere walid ki sirf 5 sal ki they is liye aap ki parwarish Syed Jafar Hasan qibla zere-saya huyi. Khandani taluqat se iqrajat mein bahad sahulat huyi.

Pg. 10
Wajahat aur husn mein mera khaandan kai pushton se mumtaz raha hai. Dada Syed Fazal Imam sahib ki husn-e-surat-wa-sirat ka shohra tha. Walid majid nihat wajih they buland peshani sar makin bari bari ankhen, gora rang mayana qad ghunghrale baal, patle hont aur mazid angrezi aur Hindustani libas ki jamazebi un par khatam they. Lucknow ki dopalli cikan ki topi pasand they aur behad khilti they. Lahad-e-anwar mein jab chehra dikhaya gaya to amama banda huya tha woh bhi husn ko dobala kar raha tha aur woh akhiri muskurahath sukune qalb aur nafse mautamain pa wilayat kar rahi they. Tawid-e-lahad par “Ashiq-e-Sayyide Shuhuda Hazrat Nami Kalanpuri” ki marmari taqti lagai gayi.


1300 yaadgari husaine ke mauqe par walid-e-majid ne kalanpur mein naya imambara tamer karaya aur use hasbe marzi zhaar fanoos alamhaye nakkari-o-talah se mazayen kiya. Hum logon ne aksar aap ki khidmat mein arz kiya ke aza-i-husain insan jahan rahe mananye, kya zarori hai ke dihaat mein is tazak-o-ehtesham se azadari ki jaye. Ashura-i-moharram mein dihaat ke pahuchne ki zahmaton se mahfooz rahna shayad aza-i-husain ko barha de. In aiterazon ka jawab aap yeh dete they ke agar aza-i-sayyad shuhuda ke yeh chiraag jo andiron-e-izlah mein jal rahe hain gul ho gaye toh shahro ki roshni aur jagmahath us andhere ko door na kar sakegi, aur yeh zaroor ek naqal-e-talafi nuqsaan hoga. Aap ne taqreeban 65 ashura-o-moharram kalanpur mein kiye. Marsia parhte they aur raat din ki 12 majalis mein shirkat kar ke alam-o-tabut ke chote-chote jalooso mein jo ek dihaat mein nikal sakte hain us mein inhikaam aur kholoos ka izhaari aap ka shughal-i-ruhaani tha.
Iqlaq-o-mehman nawazi mein khuloos mahaz they, ghuftagoo nihayat dil-fareeb hoti they mazaak jalal afreen bhi tha magar apne nafs ke tewar kabhi na badle. Dimag is qadr suljha huya tha aur aala-miyaar sochne ke aadi they ke yakayak batein garan guzarti they aur izhare tanqeed mein nedar they.

Pg. 11
Ghibat aur kina parwari se tabliqhan gurez kiya, badle ka khayal dimag mein agar aaya toh ziyada der tak na raha aksar use aala zarfi aur kamzoori samjha gaya magar aap ne usko nazar-andaz kiya.


Mujh se behad mohabbat karte they aur apne jumla aza ko aksar unka faiz pahcha. mohabbat o iqlaaq mein jo tarze musawat they us ne mujhe is ka ahsaas na hone diya ke so na-cheez ko sab se ziyada aziz rakte they, dost unke azizo se se barh kar mohabbat karte they aur jis ko aap se marefat they hamesha fareefta raha.
Yahi tartib-i-majaze they jis ne aap ko ashiq-i-sayyid-us-shuhuda bana diya ya yun kahu ke faize sayyid-us- shuhuda ne yeh tartib-i-mejazi di. Bahar haal imam-i-waqt ki salamati ki dua mangte huye apne is alam-i-fani ko khairabad kaha aur is tarha 19 September 1970 ko sare-shaam hi jame hayyat javedani nosh kiya, befazal kuch bhi bimari nahi uthai, shiddati rahmati parwardigaar se apne muqaam par pahuchne mein kuch zahmat na huyi, magar is tarha ja kar hamare dil par daago aur gham ke sikke bitha gaye aur aap ki yeh dua qabool ho gayi
talb-e-sila na main shayaq-i-tahseen banu

qalb-e-betab-e-tawwala mein taskeen banu


Akhri umr mein 4 saal se khud marsia kahne shuru kiye un marsiyon me anis ka rang numaya hai magar joshe aale raza aur Iqbal ke asaraat bhi shamil hain aur aap ka ek apna juda andaz paya jata hai, marsia parhna bhi ek fan hai jo ke ab madum hoga magar aap use khob jaante hain aur achche parhne wale ko sun kar behad mahzooz hote hain.
Baharhaal ya sab tuthe huye dil ki baatein hain magar tazkera is liye kiya is mein ilm-o-amal ki hidayat ke bahut se pahlu nihan-o-rihan hain.
Na-cheez

Syed Ahmad Imam

Pg. 12

Marsia Nami Alamuqaam



Dar hal-e-Harzrat Hurr

Banda 1 alqhayat band 88


Rubaiyyat Nami

Alqhayat 4

Pg. 13
Dar hal-e-Hazrat Hurr
shab-e-furqat barhi mushkil se basar hoti hai

rukh-e-jana ke tasawwur mein basar hoti hai

julu-e-mah se taskeen-e-nazar hoti hai

soz-e-dil ki bulbul ko khabar hoti hai

kisi pahlu nahin aata dil-e-bismil ko qaraar

kisi surat se bahalta nahi bahlao hazaar


khon-e-dil ankhon se gire to mile dil ko qaraar

dhoo ke barh jata hai rooh-e-tamanna ka nikhaar

jadu-i-ashq ke qatrat hain beyadh-o-shumaar

manzil-i-sabr-o-shikan dadyad sab hain purkhaar

dil yeh kahta hai sahar kucha-i- dildar mein ho

sajdah-i-subho ada husain ki sarkaar mein ho


qabr-e- bulbul bhi rahe gar toh gulistan mein rahe

jab talak jeena rahe gosha-i-jaan mein rahe

mard azad ho ya zulm ke zindan mein rahe

haqq pe mar jane ka jazba dil-e-insaan mein rahe

berhiyaan pahne jo kaanto pe chale woh hai amir

kahin kar sakta hain naqis kisi kamil ko amir


ek hain wahid-o-qahaar hazaron mein sanam

lakhon butkhaane hain aur ek hai duniya mein haram

la-taadat sahaf hain par ek hai loho kalam

lakhon adyaan hain par ek hai deen-e-muhkam

lakhon nabiyon mein huya khatim rasool kaun batao

in mein tha nasik-e- adyaan-e- malal kaun batao

Pg. 14
kis ki ummat ka kaho millat-i-beza hai naam

zurriat kis ki hoyi hashr talak sab ki imaam

kis pe allah ne bheja hai durood aur salaam

kaun tha khalq mein batlao toh kauseen maqam

chand sikkon ke liye bik nahin jata hai bashar

noor se naar ki taraf nahin aata hai bashar


dil mein yun hurr ke mussalsal chale aate they khayal

ankhon ke samne phirta tha shahedeen ka jamal

lene aaye shahe deen tha yeh tasswwur ka kamal

kya khata meri na bakshege yeh tha dil par sawal

deer tak bandh ke haathon ko kharha rahta tha

muh lapete huye bistar par parha rahta tha


dekhta tha kabhi aflaaq pe asar-e-sahar

hichkiyan le le ke rota tha jhukaye huye sar

khema-i-shimr ki taraf they kabhi tanz nazar

dekh kar haal yeh farzand kharha tha shashdar

hukm khadim ko tha ghorha mera tayyar rahe

samne dhaal mein rakka mera hathyaar rahe


kabhi maidan mein ja kar tahal aata tha jari

chain lene nahin deta kahin soze jigri

ki nazar fauj ki janab toh chali dil pe churi

kahta tha bete se ab main hoon chiraq-e-sahri

subho mein dil-e-zahra ki taraf jayonga

aafo ki ja ke sanad shah se ley aayonga


baksh dete hain khata bahra ata mein shabbir

zule allah mein aur noore khuda mein shabbir

marze isyaah ki zamane mein hain dua shabbir

madan-e-lutfo karam jud-o- sukhan hain shabbir

tu bhi chal agar tujhe bhi jannat ki talabgari hai

jo larhe sayyid-i-majloom se woh naari hai

Pg. 15
bola farzand ke sota hai parha lashkar-e-shaam

parda-i-shab mein nikal chale suye fauj-e-imam

tale kyun jis kaam mein ho nek anjaam

subho ko hoyega mazahim shimr ka farman

qaid kar le pisar-e-sad toh kuch door nahi

chohr kar yun chale jaane ka toh dastoor nahi


soch kar kuch hurr-e-ghazi ne diya us ko jawab

kaha mujhe rok sakega umar-e-khana kharab

chup ke kyun karen use jo ho koyi kar-e-sawab

na mujhe qaid ka dharka hai na kauf-e-ataab

yun chala jata hai aayan-i-shujaat ke khilaaf

jab chale subho ko jab garam ho maidan-e-musaaf


samne fauj ho bajti ho sahar ki wardi

shimr ho aur pisar-e-saad shaq-i- abadi

khauf se chayi ho duno ke rukhon par zardi

rukhe raushan mein aayan rahti har neki-o-badi

kah ke jayoga ke aaqa ki taraf jata hun

naar se jannat-i-mawa ki taraf jata hun


kat gayi baton mein shab phail gaya noor-e-sahar

aayi kanon mein idhar saut-i-azan-e-akbar

jhuk gaye sajda-e-mabood mein har ek ke sar

jab fareze ko ada kar chuke ba-didaye-tar

saj ke hathiyar charhe ghoghron pe apne zaigham

pisar-e-sad talak aaye basad jah-o-hasham


pisar-e-sad ko ghere they raesan-e-sipah

teer ko jorh ke chille mein yeh bola gumrah

ibteda karta hoonn jang ki sab hon gawwah

razi baiyat pe nahi hai pisar-e-sher-e-allah

choot kar is ka chala jaise hi nawak ek bara

fauj se teer suye shah chale tees hazaar

Pg. 16
ghaiz mein aake kaha hurr ne ke aey zulm shuaar

kis pe yeh teer baraste hain batao ao gaddaar

kis ko kandhe pe charahte the rasoole mukhtaar

kaun hai lahmat lahmi ka jahan mein haqdaar

kaun sardar-i-jawanane jina hai be-peer

rukme iman kahan and kahan zulm ke teer


zar-o-jagir se milti hai kisi ko tauqeer

tujh se bedeen se har hal mein behtar hai faqir

sach hai mithti nahin insaan ki kismet ki lakeer

ghazab-e-haqq se kahan jayega bachch ke bepeer

tauq-e- laanat teri gardan mein rahega zalim

tu bure haal se duniya mein marega zalim


shimr bola ke pisar-i-saad hai tera sardar

kya teri nazron mein baqi nahin hakim ka waqar

nasha-i-ulfate shabbir mein tu hai sarshaar

hakim hota nahin hoten hain sipahi gaddaar

hurr pukara ke khamosh ao sitamara ke jalis

hasee aati hai mujhe sun ke yeh waz-e-iblis


kufr hai aale mohammad se adawat karna

faqr ki baat hai zalim se baghawat karna

farz deen-daron pe hai haqq ki himayat karna

nang hai fasik o fajir ki itayat karna

kaar-nama jo hai insaan ki khuddari ka

tere mashrab mein wohi naam hai gaddari ka


hakim-i-waqt tha phiraun toh they kaun kadeem

kaun namrood tha aur kaun they bata ibrahim

kaun abu-lahab tha aur kaun tha woh khulq-e-azeem

kaun tha baqi o qaddar zara soch layeen

ankhen hotin nahin dil hote hain andhe zalim

haqq kashi fitna gari mein teri dhande zalim

Pg.17
hurr se kahne laga yun phir pisar-i-saad layin

dushmano se teri saazish ka mujhe ab hai yaqin

kyun mere samne tu aaya hai yun bachaina jabin

khud kahi tu hai aur tera risala hai kahin

bandh kar bhejon main tujhko suye hakim-i-shaam

ta ke sab dekhe baghawat ka huya kya injaam


teeqh chamka ke kaha hurr ne ke sun ao shaitan

bandh kar bhej dey mujh ko tu main dekho teri shaan

khaich lunga abhi guddi se yeh kaichi se zaban

khatam ho jayega mardood tera zoor-e-bayan

kah dey lekh bheje teri fauj ke sab nama-nigar

main ghulam-e-shahedeen tu hai ghulam-e-mahkhaar


saazishen karta nahin sahib-e-irfan-o-yaqeen

panjatan pak ka maddah hai quran-e-mubeen

ghair-e-allah kahin jhukti nahin un ki jabeen

hadi-o-rahbar zeejah hain ale yaseen

unke kirdaar hain rifat-e-insaan ka raaz

arsh-e-mabood se takrati hai un ki awaz


ilm mein hazrat-e- jibreel ke ustad rahe

faqr-o-faqe mein bhi khanda rahe dilshad rahe

unse bezaar munaphik sitam ijad rahe

tu hai kya jab ke na phiroan na shaddad rahe

phailti jab bhi hai ilhaad ki dar parda huya

yahi rakte hain is aajar ki duniya mein dawa


hain yahi log mufassir-o-muallim-o-faqih

ilm aur jism ki nemat se hain duniya mein wajih

in mein aksar hain ali aur paighambar ki shabih

paikar-e-noor ki kis cheez se dejeye tashbih

alam islam ke lashkar ka nikala kisne

ahad-e- tareeq mein phailaya ujala kisne

Pg. 18
hain yateemo ke padar aur aseero ke kafeel

bhuke rahte hain ke razi rahe mabood-e-jaleel

halata unke liye arsh se laye jibreel

innama inki taharat ke hai bemisl daleel

sabr-e- yaqub diya haibat-i- musa baksha

had hai allah ne meraj ka rutba baksha


khol ankhen pisar-i-saad ab toh sambhal

main toh chala tu bhi chalta hai to chal

main karvanoga khataien teri aaqa se baksh

maan ley baat meri kufr-e-najlat se nikal

naukri sharah mein hai faskik-o-fajir ki haram

dil pe lageye toh bighra huya ban jata hai kaam


dil dharakne laga aza-i-badan ho gaya zard

hath gaya chand kadam pechche yeh sun kar na-murad

woh chala raksh-i-zari woh uthi maidan mein garj

goong utha sher ki taqbeer se sab dasht-e-nabd

gulgula fauj ka sun ke barhe shah ke damsaaz

hamatan gosh bane suntehe hi hurr ki awaz


khud huya jalwa fighan dasht mein ibne zehra

kaha abbas se dekh aao tum barh ke zara

kis ke pechche chala jata hai sawaron ka para

main samajhta hun ke aata hai koyi dost mera

aa ke abbas ne ki arz aey shahe panah

hurr ke pechcha kiye aate hain yazidi rubah


peshwai ko kahen aap toh sab jayen

dhalon ki saya mein ghazi ko yahan tak layen

gard tak uske kadam ki bhi na nari payen

leke hum usko chalen aayege woh moh ke khayen

shah ne farmaya ke hain jaan-e-baradar jao

jald saye mein alam ke use lekar aao

Pg. 19
dekh kar shah ke alamdar ko dey hurr ne sada

mujh ko aa kar ke bachcha lijeye mere aaqa

dekheye barhe chale aate hain zalim maula

kast hai shah ke kadmo pe fida hone ki

kahin aisa na ho wahan tak na pachauch pau

haif gar hasrat-i-deedar mein na mar jau


aaye abbas ke jis tarha se sher aata hai

hurr ne bete se kaha dekh diliar aata hia

neza tane huye pechche woh boreer aata hai

pehle aata hai koyi badeer aata hai

kaun ab dekhe pakarh kar mujhe jayega

kaun zaigham se mujhe cheenne ab aayega


jhuk gaya ghazi ke qadmo hurr-e-farzana

jis tarh shama-i-farozan pe gire parwana

kahta tha sabr kar ab dil-i-dewana

ab toh kuch door nahin mujh se dar-e-jana

mil gaye khizr mujhe rah batane ke liye

na khuda aaya safeene ko bachane ke liye


hurr ka tha pusht pe haath aur nazar suye shah

woh jalal afreen tewar they ke khaliq ki panah

tuktuti bandhe huye dekh rahe they gumrah

lo yeh hurr hai ise leh jao yeh bola zeejah

kheech kar tegh kharhe ho gaye kuch door abbas

kaun ley jaane ko barhta ke baja they hawas


pher ke baghon ko bhage sitamara ek baar

dekhte jate murh-murh kar sab hangam faraz

jis tarah bhagte hain sher se jangal mein shikaar

khauf se haal yeh tha jaise ho koyi bimaar

girte parhte pisar-i-saad tak sab aaye

puchi us ne khabar-i-hurr toh bahut sharmaye

Pg. 20
kehte they dil zara sambhle toh sab haal kahen

mukhtasir kar ley toh phir tujh se bala-i-jamal kahen

kissa haibat-i-abbas khush iqbal kahen

shaukat-o-shaan alamdaar-i- jawan saal kahen

kya bayan tujh se ho tasveere shujaat ka jamaal

us mein sab jama hain insani balandi ke jamaal


haath shal ho gaye they tegh uthate kaise

rasha tha pairon gohrhe pe jamate kaise

ankh khursheed-i-munawwar se milate kaise

tere mujrim ko bata tu hi ke late kaise

woh alamdar tha ya samne ek lashkar tha

kuch ajab das se kharha laqte dil-e-haidar tha


toor par bark chamakti they ke gohrhe pe yari

haath mein tegh they yeh mulk-e-sulaiman ki pari

aa gayi yaad zuleiqa ki saab aashifina sari

hazrat-i-yusuf siddiq ki jamaadari

khalq mein hota isi tarah se charcha inka

haath se chorhte na daman na zuleiqa inka


mah-e-konain yeh nahin mah-e-bani hashim hain

kaun kar sakta hai muhukum yeh khud hakim hain

inki sarkar ke jinn-o-malak khadim hain

tegh zan qila shikan mutaqqi wa alim hain

fateh bhi jo paye in par woh pasheman rahe

na toh duniya rahe na deen na imaan rahe


is taraf hurr ko le chale abbas-e-gayyur

haath bandhe huye aaya shahedeen ke huzoor

gir ke kadmo pe kaha mere bahal kiyeye kasoor

aap ki banda nawazi se nahin hai kuch door

naar se noor ki janib mujhe ley aaye taqdeer

uffu kar dey meri takseer ko aey kul ke ameer

Pg. 21
kisne mashlool ko sikhlayi munajat-e-jaleel

hulle kis ke liye firdaus se laye jibreel

baal o par ki kya fitros ke liye kis ne sabeel

maneh zibah azeem aur tamanna-i- khaleel

mere aaqa meri sab mushkil asaan kar deye

phir se kul mujhe parhwa ke mussalman kar deye


hurr ki faryaad se bitaab huye shahe inam

bharh ke ashq ankhon mein farmate they usse imam

bakshish-o-juddo khata posi hai mabood ka kaam

ghafir-o-saatara-o-wahaab hai allah ka naam

na kudurat mere dil mein na kahin kena hai

jalwa-i-noor-e-ilahi ka yeh aiana hai


hum badi ka bhi diya karte hain neki se jawab

hum nahin jante ke kya shah hai takabbur-o-itaab

tursh ravi se nahi karte hain shamil ke kitaab

bhule bhatke ko dekha dete hain rah-e-sawaab

maine baksha mere allah ne baksha aey hurr

hashr tak teri wila ke rahega charcha aey hurr


na mere paas hukumat hai na daulat na sipah

quwwat-i-dil hai faqat-la illah illallah

main samajhta hoon baiyat-i-fasik ko gunah

bas wohi saath mera dega jo hai haqq agah

shukhriye ki na tamanna na salah ki parwah

hubbe allah tere dil mein hai mashallah


woh bhi ek din tha jab ki they teri mehmandari

aaj ek boond maiyassar nahin humko paani

jaan balab bachche mein hai pyas ki taqyani

zulm se baaz nahin aate sitam ke bani

yeh nahin kahta main inam-o-jaza deta hoon

ley tujhe haath utha ke main dua deta hoon

Pg. 22
khuld mein aaj ziyafat ka teri hai samaan

aaj hoga rasul-i-arabi ka mehman

jam-e-kausar liye haath pe kharhe hain ghilban

yun huya karta hai ahsan ka badla ahsan

meri is chote se lashkar ka harawal tu hai

aaj ke mareka ki khushtar-i-awwal tu hai


hurr ne arz ki aey khusro batharao iraq

aaj hai wasool ke din kat gaye ayaam-e-firaq

is siya khana mein ab ziyast ke din mujhe hain shaaq

pyas mein kausar-o-tasneem ab hoon mushtaq

azn mil jaye toh aaqa pe fida ho jaon

dekhun hazrat pe sitam dil yeh kahan se laon


subah se shimr-o-umar aaj hain amada-i-jang

hai wajood unka mussalman ke liye baes-e-nang

sitam o jaur o shaqawat mein nahin unko do darang


Yüklə 232,31 Kb.

Dostları ilə paylaş:
  1   2   3




Verilənlər bazası müəlliflik hüququ ilə müdafiə olunur ©muhaz.org 2024
rəhbərliyinə müraciət

gir | qeydiyyatdan keç
    Ana səhifə


yükləyin