Note: Please listen mp3 before preparing these questions & answers / In Sawal Jawab ko tayyar karne se pehle mp3 zaroor sune a) answer (saws): Sallallaahu 'alaehe wasallam (r a): Radi Allahu Anha



Yüklə 321,14 Kb.
səhifə1/4
tarix01.08.2018
ölçüsü321,14 Kb.
#64891
  1   2   3   4

/

Note: Please listen MP3 before preparing these questions & answers / In Sawal Jawab ko tayyar karne se pehle MP3 zaroor sune

a) answer


(saws): Sallallaahu 'alaehe wasallam
(r.a): Radi Allahu Anha (For Female)
(r.a): Radi Allahu Anhu (For Male)
(r.a): Radi Allahu Anhuma (For both or all of them)
(a.s): Alahis Salam

Questions and Answers



Adam (a.s)

  1. Who is the creator of everything and who has power over all things?

Har ek cheez ko paida karne wala aur har cheez par kudrat rakhne wala kaun hai?

a) Allah 



  1. Who has created Heavens and Earth?

Kisne Aasmaanon aur Zameenon ko banaya?

a) Allah 



  1. In how many periods Allah has created Heavens and Earth?

Allah ne kitne Ayaam mein Aasmanon aur Zameenon ko banaya?

a) 6 


  1. When Heavens and Earth was created then where was the Throne of Allah?

Jab Aasmanon aur Zameenon ko banaya gaya tab Allah ka Arsh kahan tha?

a) On Water / Paani par 



  1. How many Messengers were sent in this world?

Is Dunya mein kitne Rasool Bheje Gayein?

a) 300 


  1. How many Prophets were sent in this world?

Is Dunya mein kitne Nabi bheje gayein?

a) 124,000 



  1. What was in existence before anything?

Sabse pehle kya cheez wujood mein thee?

a) Allah 



  1. What is the first creation of Allah?

Sabse pehle Allah ne kya banaya?

a) Water and Throne / Paani aur Arsh 



  1. What was the first thing Allah has created after His Throne?
    Sabse Pehle Allah ne apne Arsh ke baad kya cheez banayee?
    a) Pen / Qalam 



  1. What order Allah has given to the Pen?

Allah ne Qalam ko kya hukum diya?

  1. Write / Likh 



  1. What order to write Allah has been given to the Pen?

Qalam ko kya likhne ko Allah ne hukum diya gaya?

  1. Everything till the day of Judgement/ Sab kuch jo Qayamat tak hone wala hai 



  1. Writings of the Pen has been preserved by Allah, Where it has been preserved?

Qalam ne jo likha usko Allah ne mahfooz kar diya, kahan par?

a) In Lauh-e-Mahfooz / Lauh-e-Mahfooz mein 



  1. Which living being with intelligence has been created first?

Sahib-e-aqal Makhluqat (jiske paas aqal hoti hai) mein sabse pehle kisko banaya gaya?

a) Angels / Fariste 



  1. Which living being with intelligence has been created after angels?

Sahib-e-aqal Makhluqat (jiske paas aqal hoti hai) mein Farishton ke baad kisko banaya gaya?

a) Jinn 



  1. Which living being with intelligence has been created after Jinn?

Sahib-e-aqal Makhluqat (jiske paas aqal hoti hai) mein Jinn ke baad kisko banaya gaya?

a) Human being / Insaan 



  1. The angels were created from what?

Farishton ko kis cheez se banaya gaya?

a) Light / Noor 



  1. The Jinn were created from what?

Jinn ko kis cheez se banaya gaya?

a) Fir / Aag 



  1. The Humans were created from what?

Insaan ko kis cheez se banaya gaya?

a) Mud / Mitti 



  1. Who were living on this earth before human beings?

Insaan se pehle is zameen par kaun rehte the?

a) Jinn 



  1. What is the only purpose that Allah has created Jinn & Mankind?

Allah ne Jinn aur Insaaniat ko sirf kis maqsad ke liye paida kya?

  1. To worship Allah / Allah ki Ibadat ke liye 



  1. Who do we worship other than Allah?

Allah ke siwai hum kiski Ibadat karte hain?

  1. We worship one and only Allah / Hum sirf aur sirf Allah ki Ibaadat karte hain 



  1. Which creation of Allah has Free Will?

Allah ki kaunsi makhluqaat ke paas “Free Will” hai (Marzi ka Malik hona)?

  1. Jinn & Humans / Jinn aur Insaan 



  1. Do Angels have all the knowledge?

Kya farishton ko har baat ka ilm hai?

  1. They know only what has been told to them / Woh sirf utna hi jaante hain jitna unko bataya jaata hai 



  1. Can angels do anything from their own will?

Kya Faristein apni marzi se kuch kar sakte hain

  1. No, they only follow Allah’s command / Nahin, woh sirf Allah ke hukum par chalte hain 



  1. How many fist of mud Allah has used to create Adam (a.s)?

Allah ne Adam (a.s) ko kitni muththi mitti se paida farmaya

a) 1 


  1. From where Allah took that mud through which Adam (a.s) was created?

Jis mitti se Adam ko banaya gaya who mitti kahan ki thee

  1. Different portion of earth / Zameen ke hare k hisse ki 



  1. Why we have humans with different skin colors?

Dunya ke log alag alag rang ke kyon hote hain?

  1. Because Allah has created Adam (a.s) with the mud of different place from earth / Kyonki Adam (a.s) ko zameen ki alag alag jagah ki mitti se banaya gaya 



  1. What Allah has called human beings in the Qur’an

Insaan ko Allah ne Qur’an mein kya kaha hai

a) Bashar 



  1. Who is the first human being Allah has created?

Sabse pehle Allah ne kis insaan ko paida kya

a) Adam (a.s) 



  1. Who was so worried after seeing the structure of Adam (a.s)?

Jab Adam (a.s) ke dhanche ko banaya gaya tou kisko badi fikar hui?

a) Iblees / Iblees ko 



  1. What Allah has order the angels before breathe the spirit into Adam (a.s)?

Allah ne Adam (a.s) ke andar ruh phookne se pehle farishton ko kya hukum diya?

  1. Prostrate before Adam (a.s) / Adam (a.s) ke aage sajda karna 



  1. When spirit was breathed into Adam’s (a.s) head, he got sneeze then what angels has taught them?

Jab Adam (a.s) ke sir mein ruh phooki gayee tou unko chheek aa gayee tou farishton ne unko kya sikhaya?

a) Alhumdulillah 



  1. When spirit was breathed into Adam’s (a.s) stomach then what did he feel?

Jab Adam (a.s) ke pet mein ruh dakhil hui tou unko kya mehsoos hua

a) Hunger / Bhookh 



  1. How Allah has created every person from Adam (a.s) who is going to come on this earth till the day of Resurrection?

Qayamat tak paida hone wale har ek Insaan ko Allah ne Adam (a.s) se kaise paida kiye?

  1. Allah stroked Adam’s Back / Allah ne Adam ki ‘Peedh’ par haath fehra 



  1. What covenant Allah took from the progeny of Adam (a.s)?

Allah ne Adam (a.s) ki har ek aulaad se kya ikrar liya?

  1. Am I not your Lord, They said “Yes Indeed, we bear witness” / Kya mein tumhara Rabb nahin, sabne kahan “Beshak, Tu hi humara Rabb hai, hum gawahi dete hain” 



  1. Who was Iblees?

Iblees kaun tha?

a) Jinn / Jinn 



  1. What kind of Jinn was Iblees?

Ibless kis tarah ka Jinn tha?

  1. Obedient & devotional worshipper / Farmabardaar aur Ibadat guzar 



  1. When Allah ordered to prostrate Adam (a.s), who did the prostration?

Jab Allah ne Adam (a.s) ko sajda karne ka hukum diya tou kis-kisne Sajda kara?

a) Angels / Farishton ne 



  1. When Allah ordered to prostrate Adam (a.s), who did not do the prostration?

Jab Allah ne Adam (a.s) ko sajda karne ka hukum diya tou kisne sajda nahin kara?

a) Iblees 



  1. What has stopped Iblees to prostrate Adam (a.s)?

Iblees ko kis cheez ne Adam (a.s) ko sajda karne se rok diya?

a) Arrogance / Guroor 



  1. What reason Iblees has given to Allah for not prostrating Adam (a.s)?

Iblees ne Adam (a.s) ko sajda na karne ki kya wajah batayee?

  1. I am better than him because You have created me from Fire and him from mud / Mein isse behtar hoon kyonki tune mujhe aag se paida kya aur ise mitti se 



  1. What punishment Allah has given to Iblees for disobedience?

Allah ki nafarmani ki saza Allah ne Iblees ko kya di?

  1. Expelled from Paradise / Jannat se bahar nikal diya 



  1. What Dua Iblees made to Allah after expulsion from Paradise?

Jannat se bahar nikale jaane par Iblees ne Allah se kya Dua kari?

  1. He asked for long life / Apni Labmi umar ki Dua kari 



  1. How much life Iblees has asked from Allah?

Iblees ne kitni lambi umar ki Dua Allah se maangi

a) Till Judgement Day / Qayamat tak 



  1. What Iblees has vowed?

Iblees ne kya kasam khayee?

  1. To mislead people / Insaanon ko gumrah karne ki 



  1. What Allah has promised for those who follow Iblees?

Allah ne kya wada kara hai jo Iblees ke naqshe qadam par chalega?

  1. They will be sent to Hellfire / Woh Jahannam mein dale jayenge 



  1. What Allah has promised for those who will be obedient to Allah and will not follow Ibless?

Allah ne kya wada hai jo Allah ki farmabardari karega aur Iblees ke behkawe mein nahin aayega

  1. Paradise will be granted to them / Unko Jannat se nawaza jayega 



  1. What title has given to Iblees?

Iblees ko kya laqab diya gaya

a) Disbeliever / Kafir 





  1. What is the meaning of Iblees?

Iblees ke meaning kya hai?

  1. Extremely disappointed / Intehai Mayoos 



  1. Why Iblees got his name Iblees?

Iblees ko Iblees naam kyon mila?



Due to Allah’s Disobedience.

Because he deprived from Allah’s mercy

He rejected Allah’s command /

Allah ki nafarmani ki wajah se

Kyonki woh Allah ki rehmat se hamesha ke liye mehroom ho gaya tha

Usne Allah’s ka hukum manne se inkaar kar diya



  1. What is the original name of Iblees?

Iblees ka asal naam kyat hai?

a) Azazeel 



  1. What is the root cause of all sin

Tamam gunaon ki jad (root) kya hai

a) Arrogance / Taqabbur 



  1. Who is the biggest enemy of Human beings?

Insaan ka sabse bada dushman kaun hai?

  1. Shaitan (Iblees) 



  1. What is the biggest loss if any person heart has atom’s-weight of arrogance?

Jiske dil mein zarrra barabar bhi taqabbur hai, uska sabse bada kya nuksan hai?

  1. Person can’t enter Paradise / Woh Jannat mein dakhil nahin ho sakta 

  1. Which disobedience of Allah first come into existence?

Kaunsi Allah ki sabse pehlee na-farmani wujood mein aayee?

a) Arrogance / Guroor 



  1. Did Allah created Adam (a.s) with knowledge?

Kya Allah ne Adam (a.s) ko ilm ke saath paida kya?

  1. Yes but Allah creates other human beings without knowledge / Haan magar baki insaaniyat bina ilm ke paida ki jaati hai 



  1. What command Allah has given to Adam (a.s)?

Allah ne Adam ko sabse pehla kya hokum diya?

  1. Say As-Salamu-Alaikum to Angels / Fariston ko As-Salamu-Alaikum karne ko kaha 



  1. When Adam (a.s) greeted (As-Salamu-Alaikum) to angels then what angels has replied?

Jab Adam (a.s) ne jab farishton ko salam kara tou farishton ne kya jawab diya?

  1. Wa Alaikum Salam Wa Rahmatullahi 



  1. What names Allah taught to Adam (a.s)

Allah ne Adam ko kin kin cheezon ka naam sikhaya

a) Everything / Har ek cheez ke 




  1. Did Angels know names of everything?

Kya Farishton ko har cheez ke naam pata the?

  1. No, they know only what has been told to them / Nahin, woh sirf utna hi jaante hain jitna unko bataya jaata hai 



  1. When Allah asked names of few things from angels then what did they say?

Jab Allah ne Farishton se kuch cheezon ke naam pooche tou Farishton ne Allah se kya kaha?

  1. We know only what you have told us / Hume tou bas utna hi ilm hai jitna tune hume sikha rakha hai 



  1. How Allah has created Huwa (a.s)?

Allah ne Huwa (a.s) ko kaise paida kara?

  1. From left Rib of Adam (a.s) / Adam (a.s) ki ulte side ki pasli se 

  1. Who was Huwa (a.s)?

Huwa (a.s) kaun thee?

  1. Wife of Adam (a.s) / Adam (a.s) ki biwi 



  1. Who are the ancestors of all humans?

Sare jahan ke maa baap kaun hain?

  1. Adam & Eve / Adam aur Huwa 

  1. Whom Allah has created the most beautiful woman in the world?

Qainaat ki sabse khoobsurat aurat Allah ne kisko banaya?

a) Huwa (a.s) 



  1. Whom Allah has created the most beautiful woman after Huwa (a.s) in the world?

Huwa ke baad Qainaat ki sabse khoosurat aurat Allah ne kisko banaya?

a) Sarah (a.s) 



  1. When Allah has created Adam (a.s) and Huwa (a.s) then where was their abode?

Allah ne Adam (a.s) aur Huwa (a.s) ko jab banaya tou unka dhikana (yani ghar) kahan tha?

a) Jannat 



  1. What advice Allah has given to Adam (a.s) before sending him to Paradise?

Jannat mein bhejne se pehle Allah ne Adam (a.s) ko kya salah di

  1. Iblees is the enemy of yours and yours’ wife / Iblees tera aur teri biwi ka dushman hai 

  1. Did Allah allow Adam (a.s) and Huwa (a.s) to eat anything from Jannah?

Kya Allah ne Adam (a.s) aur Huwa (a.s) ko Jannat mein har ek cheez khane ki ijazat di?

  1. Yes except from one Tree / Haan siwaye ek Darakht ke 



  1. What whispering Iblees did to Adam (a.s)?

Iblees ne Adam (a.s) ko Jannat mein kya waswasa dala?

  1. Tried to convince him to eat from forbidden tree / Unko haraam darakht se khane ke liye behkhaya 

  1. What Iblees (Shaitan) did the whispering to Adam (a.s)?

Iblees yani Shaitan ne Adam (a.s) ke dil mein waswasa kyon dala?

  1. For disobedience to Allah / Allah ki nafarmani ke liye 

  1. What did Iblees whisper to Adam’s heart?

Iblees ne kya keh kar Adam (a.s) ke dil mein waswasa daala?

  1. You will become angel and live forever if you eat from this tree / Tum humesha zinda rahoge aur Farishte ban jaoge agar tum is darakht se khaoge 

  1. What Iblees did to convince Adam (a.s) and Huwa (a.s)?

Iblees ne Adam (a.s) aur Huwa (a.s) ko yaqeen dilaane ke liye kya kara?

  1. He made false oath / Usne jhooti kasamein khayeen 

  1. When Adam (a.s) and Huwa (a.s) ate from forbidden tree then what happened to them?

Jab Adam (a.s) aur Huwa (a.s) ne haraam darakht se khaya tou kya hua?

  1. Their clothes were gone and they became naked / Dono ke kapre khud ba khud utar gaye 

  1. What Adam (a.s) and Huwa (a.s) did when they became naked?

Jab Adam (a.s) aur Huwa (a.s) ke kapre utar gaye tou unhone kya kara?

  1. They fell shy and they started covering themselves from the leaves of the trees / Unko haiya aayee aur unhone khud ko patton se dhakna shuru kara 

  1. What was the clothing of Adam (a.s) and Huwa (a.s) in Paradise?

Jannat mein Adam (a.s) aur Huwa (a.s) ke libaas kya the?

  1. Special clothing of Paradise i.e. of Noor / Jannat ka khas libas jo Noor ka tha 

  1. What Adam (a.s) and Huwa (a.s) did after making mistake in Paradise?

Adam (a.s) aur Huwa (a.s) ne Jannat mein galti karne ke baad kya kara?



They Repent to Allah

They regret after mistake

They became sad after mistake

Un dono me Allah se Tauba kari

Woh galti ke baad pachtaye

Woh galti ke baad dukhi ho gaye



  1. What Allah did to Adam (a.s) and Hua (a.s) after their mistake?

Adam (a.s) aur Huwa (a.s) ki galti ke baad Allah ne unke saath kya kara?

  1. They were sent to this earth / Unko is zameen par bhej diya gaya 



  1. Did Allah forgive Adam (a.s) and Huwa (a.s)?

Kya Allah ne Adam (a.s) aur Huwa (a.s) ko maaf kara?

  1. Allah forgave them after they ask for forgiveness / Allah ne unko maaf kar diya jab unhone maafi maangi 



  1. Did Adam (a.s) ask for Allah’s forgiveness through the waseela of Rasool Allah (saws)?

Kya Adam (a.s) ne Rasool Allah (saws) ke waseele se Allah se maafi maangee?

  1. No, it is nowhere mention in the Qur’an and Hadith / Nahin, yeh baat Qur’an aur Hadith se sabit nahin 



  1. What forgiveness did Adam (a.s) and Huwa (a.s) ask from Allah?

Allah se Adam (a.s) aur Huwa (a.s) ne kya maafi maangi?

  1. O Allah, We have wronged our souls if you forgive us not we will be one of the loosers / Ya Allah, humne apne saath bura kara, agar tu hum maaf nahin karega tou hum nuksaan uthane walon mein se honge 



  1. Who taught the Dua of repentance to Adam (a.s) and Huwa (a.s)?

Adam (a.s) aur Huwa (a.s) ko maghfirat ki Dua kisne seekhayee?

  1. Allah taught that Dua and it is mentioned in the Qur’an / Allah ne seekhayee aur who Dua Qur’an mein maujood hai 



  1. What is difference between the mistake of Adam (a.s) and Iblees?

Adam (a.s) aur Iblees ki galti mein kya farq hai?

  1. Adam (a.s) made mistake unintentionally and Ibless commit sin arrogantly / Adam (a.s) ne anjaane mein galti karee aur Iblees ne guroor mein aa kar gunah kara 



  1. What was the attitude of Adam (a.s) and Iblees after their mistake?

Adam (a.s) aur Iblees ki galti ke baad dono ka rawaiya kya tha?

  1. Iblees did not accept his sin and Adam (a.s) turned back to Allah in repentance / Iblees ne apna gunah nahin maana aur Adam (a.s) ne faurat palat kar Allah se tauba kari 



  1. What is the difference between Dua of Adam (a.s) and Iblees?

Adam (a.s) aur Iblees ki dua mein kya farq hai?

  1. Iblees Dua is for Dunya and Adam (a.s) Dua is for Akhirah / Iblees ki Dua Dunya ke liye thee aur Adam ki Dua akhrat ke liye yani maghfirat ki thee 



  1. When Allah sent Adam (a.s) to this earth then where Iblees was sent?

Adam Huwa ko jab Allah ne zameen par bhej diya tou Iblees ko kahan bheja gaya?

  1. Iblees was sent to this earth / Iblees ko zameen par bheja gaya 




  1. Adam (a.s) and Huwa (a.s) were sent to different places on this earth then where did they meet

Adam (a.s) aur Huwa (a.s) ko is zameen par alag alag jagah par bheja gaya tou wahan par mile?

a) Arafat 



  1. Who were the first twins of Adam and Huwa

Adam (a.s) aur Huwa (a.s) ke pehle Judwa bachche kaun the?

  1. Cain and his sister / Qabil aur uski behen 



  1. Who were the second twins of Adam and Huwa?

Adam (a.s) aur Huwa (a.s) ke dosre Judwa bachche kaun the?

  1. Abel and his sister / Habil aur uski behen 



  1. What was the first sin on this earth?

Dunya mein sabse pehla gunah kaunsa hua?

  1. Cain killed his brother Abel / Qabil ke haathon apne bhai Habil ka qatal 



  1. Who was the first Prophet on this earth?

Is zameen par sabse pehle nabi kaun the?

a) Adam (a.s) 



  1. Whom Adam gave 40 years from his age?

Adam ne kisko apni umar mein se 40 saal diye the?

a) Dawood (a.s) 



  1. What was the age of Adam (a.s)?

Adam (a.s) ki kitni umar thee?

a) 1000 



  1. How may Huwa (a.s) was alive after the death of Adam (a.s)?

Huwa (a.s) kitne saal Adam (a.s) ke baad zinda raheen?

a) 1 


  1. Who was the first prophet from the children of Adam (a.s)?

Adam (a.s) ke baad unki auladon mein se sabse pehle kaun nabi hue?

a) Seesh (a.s) 



  1. What was the religion of Adam (a.s)?

Adam (a.s) ka kya deen tha?

a) Islam 



  1. After Adam (a.s) and Seesh (a.s), who was the first prophet sent on this earth?

Adam (a.s) aur Seesh (a.s) ke baad sabse pehle nabi kaaun aaye?

a) Idris (a.s) 



  1. Who was the first man to write from pen?

Sabse pehle pen se likhne wala kaun insaan tha?

a) Ibris (a.s) 




Yüklə 321,14 Kb.

Dostları ilə paylaş:
  1   2   3   4




Verilənlər bazası müəlliflik hüququ ilə müdafiə olunur ©muhaz.org 2024
rəhbərliyinə müraciət

gir | qeydiyyatdan keç
    Ana səhifə


yükləyin