KABHI TOU SABZ GUMBAD KA UJAALA HUM BHI DEKHEINGAY
Humein Bulwayeingay Aaqa Madina Hum Bhi Dekheingay
Dharak Uthay Ga Dil Ya Dharakna Bhool Jayega
Dil-e-Bismil Ka Uss Dar Per Tamasha Hum Bhi Dekheingay
Adab Se Haath Baandhay Unke Rozay Par Kharay Hoongay
Sonehri Jaliyun Ka Youn Nazara Hum Bhi Dekheingay
Barasti Gumbad-e-Khizra Se Takrati Hui Bundhein
Wahan Par Shan Se Baarish Barasna Hum Bhi Dekheingay
Dar-e-Daulat Se Lautaya Nahin Jaata Koi Khaali
Wahan Khairat Ka Batna Khudaya Hum Bhi Dekheingay
Guzaray Raat Din Apne Issi Umeed Per Hum Ne
Kissi Din Tou Jamal-e-Ruay Zeba Hum Bhi Dekheingay
Dum-e-Rukhsat Qadam Mun Bharke Hain Mehsoos Karte Hain
Kisse Hai Jaake Laut Aanay Ka Yaara Hum Bhi Dekheingay
Pohonch Jayeingay Jiss Din Ae Ujaagar Unke Qadmon Mein
Kisse Kehte Hain Jannat Ka Nazara Hum Bhi Dekheingay
KADI WICH KHAAB DEY HOWEY NAZARAH YA RASULULLAH
Kadi wich khaab dey howey nazarah Ya Rasulullah
Chamak jawey meri qismat da tara Ya Rasulullah
Kisey nu maan duniya tey kisey nu hai ibadat tey
Tey meynu sirf Aqa da sahara Ya Rasulullah
Suna hai Aap har aashiq key ghar tashreef laatey hein
Meray ghar mein bhi ho jawey charagha Ya Rasulullah
Gunahan di guman geydi dey wich geyrey pein kahndey ney
Meri kashti nu mil jawey kinara Ya Rasulullah
Hussain ibn-e-Ali da wasta meynu bacha leyna
Huwey jis din amlaan ka natara Ya Rasulullah
Laga takyah gunahon ka bara din raat sowthi hun
Mujhay iss khaab-e-ghaflat sey chura lo Ya Rasulullah
Arsh tu farsh tak sara zamanah jaanda ey Asghar
Khuda teynu Khuda nu tu ey pyara Ya Rasulullah
KARAAM MAANGTEY HAIN' ATAA MAANGTEY HAIN
Karaam maangtey hain' ataa maangtey hain
Madiine ko jaae'n du'aa maangtey hain
Madiine ke waalii Madiine bulaa lo
Madiine main thorhii jagah maangtey hain
Hai shayr-e-Madiinah do'aalam seh pyaara
Jo maskan banaa hai habiib khudaa ka
Hain Ahl-e-Madiinah hamain jaan se pyaarey
Madiinah Madiinah sadaa maangtey hain
Jalaatii hain furqat ki kaalii ghataa'in
Rulaatii hain taybah ki rangeen fazaa'in
Dile muztarib ko kahaan chain aa'ey
Madiine ki thandii hawaa maangtey hain
Nabiyyon ke dulhaa habiib-e-khuda hain
Woh sab ummtoon ke bane paishwa hain
Zamaaney main un kii muhabbat 'atta ho
Pas-e-marg un ki shafaa maangtey hain
Kalaam-e-khuda hai kalaam-e-Muhammad
Salaam-e-khudaa hai salaam-e-Muhammad
Muhammad ki surat main haq jalwahgar hai
Muhammad Muhammad khuda maangtey hain
Elaahii yeh QADRI hai farde yagaanah
Hai bandah tumhaaraa nabii ka diiwaanah
Diiwaney chaley hain jo QADRI ke hamraah
Nigaah-e-habiib-e-khuda maangtey hain
Tere aastaan peh koii jaa rahaa hain
Woh apne muqaddar ko chamkaa rahaa hain
Elaahii dikhaa de HAM QADRIYO ko taybah
Madiine main ham ghoomnaa maangtey hain
KARAM KARAM MAULA
Karam Karam Karam Karam Kar Karam Karam Maula
Karam Karam Karam Karam Kar Karam Karam Maula
Tu baadshah mein haan gada rakeen sharam maula
Subhaan wee toon rehman wee toon
Sultanan da sultaan wee toon
Duniyan noon banawan wala toon
Is duniyan da nigehbaan wee toon
Tu eyn ila tu qibriya tera karam maula
Ey raheem kareem aleem rabba
Taufeeq ibadat dey dey toon
Mehshar wich sadqa sonay da
Soghaat shafa'at dey dey toon
Mein jewndian takda rawan tera haram maula
Mein chuk kay paar gunawan da
Medaan-e-hashar jadon jaawan mein
Jay teree nazr-e-karam howay
bakhshish dee na'ymat pawan ga
Howay ata menoon sada tera rehem maula
Faryaad ey merey dil dee ey
Ey maula puree farma day
Aaqa dee nisbat day sadqay
In'aam da rasta dikla day
Aashiq rawan sarkar da tera karam maula
KALIYAAN ZULFA WALA DUKHI DILLAN DA SAHARA
Kaliyaan zulfa wala dukhi dillan da sahara
Qassam khuda di meinun sab naaloon pyara.
Dassan ki mein Mustafa di kidi sohnii shaan he
Aap di tareef vich sara hi Qur’an he,
Parh ke tu wekh jera marzi sipaara
Qassam Khuda di meinuun sab naloon pyara.
Eyda sohna Nabi koi duniya te aaya nahin
Yaar e ho jiyaa koyi Rabb nay banaya nahin,
Deed mere Nabi di he Rabb da nazaara
Qassam Khuda di meinuun sab naloon pyara.
Dendeh ne gawahi zare zare kohi toorr de
Wekhde naseeban wale jalwe Huzoor de,
Aminah da chann te Halima da dulaara
Qassam Khuda di meinuun sab naloon pyara.
Kar ke ishara sohna suraj noon morda
Aape chaan torda te aape chan jorda,
Bigri banawe mere Nabi da ishaara
Qassam Khuda di meinuun sab naloon pyara.
Kehndi aye Haleema mukh wekh lajpal da
Lab ke leyawaan kithoon sohna tere naal da,
Aminah da chann te Halima da dulaara
Chohdween da chaand te arshaan da tara
Qassam Khuda di meinuun sab naloon pyara.
Kaliyaan zulfa wala dukhi dillan da sahara
Qassam khuda di meinun sab naaloon pyara
KAMLI WALE MUHAMMAD TO SADKE MEIN JAA
Kamli Wale Muhammad to sadke mein jaa
Jine Aa ge ghariba thi baan par lei
Kamli Wale Muhammad to sadke mein jaa
Jine Aa ge ghariba thi baan par lei
Meri bakhshish wasila Muhammad da naa
Meri bakhshish wasila Muhammad da naa
Jine Aa ge ghariba thi baan par lei
Ode wajo koi duniya te pyara nahi
Ode wajo koi duniya te pyara nahi
Ode warga koi jag te sahara nahi
Je na hownde Muhammad na hownda jaha
Je na hownde Muhammad na hownda jaha
Jine Aa ge ghariba thi baan par lei
Laya badua nu sine kamal hoya
Laya badua nu sine kamal hoya
Koi habshi tu Hazrat Bilal hoya
Ay dar te sawali nu ki ti nei na
Ay dar te sawali nu ki ti nei na
Jine Aa ge ghariba thi baan par lei
Nal ungli ishare te chan toreya
Nal ungli ishare te chan toreya
Keya suraj aga wal bicha moreya
Kamli Wale Muhammad to sadke mein jaa
Jine Aa ge ghariba thi baan par le
KAMLI WALA AAGAYA
Mumino khushiya manaao kamli wala aagaya
Raab-e-sallim gun gunaao kamli wala aagaya
Chihra-e-walfajr se aur gesu e wallayl se
Dil ko a’eena banaao kamli wala aagaya
Jhuk geyaa sajde me baitullah bhi ta’zeem ko
Ab diye dil ke jalaao kamli wala aagaya
Gowde mein lekar Haleema saadiyah ne yuun kaha
Azmaton ke geet gaao kamli wala aagaya
Jashn-e-miilaad-un-nabi mein un ke zikr-e-paak se
Najdion par qehr dhaao kamli wala aagaya
Chaand suraj aur sitaaro kehkashan ard-o-falak
Roshni apni barhaao kamli wala aagaya
Yaa Rasulallah kaa naara lagaa kar sunnio
Apne dushman ko bhagaao kamli wala aagaya
Tum bhii e Nusrat naeemi mahfil-e-milad mein
Phuul naaton ke khilaao kamli wala aagaya
KAMLI WAALE DE DARBAR DI GAL KARIYE
Kamli waale de darbar di gal kariye
Ban jaaye gal saadi sarkar di gal kariye
Ban jaaye gal saadi sarkar di gal kariye
Ban jaaye gal saadi sarkar di gal kariye
Raat meraj wali Rabb arsh sajaaya si
Yaar nu sadqe te sohne Rabb farmaya si
Naire aa sohniya aj pyaar di gal kariye
Ban jaaye gal saadi sarkar di gal kariye
Apne Khaliq nu apne Raziq nu
Sohne akhiya si, aggon apne Khaliq nu
Ke pehle har gal ton gunahgar di gal kariye
Ban jaaye gal saadi sarkar di gal kariye
Ais jahaan andar pawen os jahan andar
Gallan honr jiddiyan saare Qur’an andar
Awo Allah de os yaar di gal kariye
Ban jaaye gal saadi sarkar di gal kariye
KAMLI WAALE KI MAHFIL SAJI HAI
Rukh pe rahmat ka jhumar sajaa’ey
Kamli waale ki mahfil saji hai
Mujh ko mahsus youn ho raha hai
Un ki mahfil main jalwha garii hai
Naat husn-e-shah-e-do saraa hai
Naat hi zikre rabb-e-jalli hai
Naat likhna meri zindagi hai
Naat kehna meri bandagi hai
Mufliso tum agar chah’te ho
Ho ziyaarat dar-e-Mustafa kii
Dil ki janib nigaahein jhukaa lo
Samne Mustafa ki galii hai
Mujh jo fikr-e-shifaa’at ho kyoun kar
Do kariimoon ka sayah hai sar par
Ik taraf rahmat-e-Mustafa hai
Ik taraf lutf-e-rab-e- ’Ula hai
Wuh smaa kissa zishan ho ga
Jab khuda Mustafâ se kahein ge
Ab to sajde se sar ko uthaa lein
Aap ki sarii ummat barii hai
Dil ke gulshan ki mehkein fizaa’ein
Wajd main hain Niyaazi hawaa’ein
Un ke husn-e-tasuwwur se merey
Dil ke abaad baraah darii hai
KHUDA KI AZMATEEIN KYA HAI MOHAMMD MUSTAFA JANE
Khuda ki azmateein kya hai Mohammd Mustafa jane
Maqame Mustafa kya hai Mohammad ka Khuda jane
Sada karna mere bas mei tha main ne to sada kar di
Wo kya dei gei main kya loun ga sakhi jane gadha jane
Darana mujh ko to kyoun hai azaab-e-Kabbar se wahid
Wahan Sarkaar aye gei khata jane atta jane
Meri mathi Madine Paak ki Ra'ah mein poncha dena
Kahan le jaye ghi is ko Madine ki hawa jane
Kaha Jibreal ne Sidra talak meri risaaiy hai
Hai kitni manzilein aage Nabi jane Khuda jane
Hamme to shurkhru hona hai Aqa ki nigahoun mein
Zamane ka hai kya Nasir bura jane bala jane
KHUSRAWI ACHI LAGI NA, SARWARI ACHI LAGI
Khusrawi achi lagi na, sarwari achi lagi
Ham faqiroon ko Madine ki galli achi lagi
Door they to zindagi be rang thi be-kaif thi
Un ke kuchey main ga’ey to zindagi achi lagi
Main na jaun ga kahin bhi, dar Nabi ka chaur kar
Mujh ko ku’ey Mustafa ki chakari achi lagii
Naaz kar tu aey Halima sarwar-e-kownain par
Gar lagi achii to teri jhownparhi achi lagii
Rakh diye sarkaar ke qadmoun pe sultanon ne sar
Sarwarey kown-o-makaan kii saadgii ach-chii lagii
Door rah kar astaan-e-sarwar-e-kownain se
Zindagi achii lagiina bandagi achii lagii
Mahr-o-mah ki roshani maana ke achi hai magar
Sabz gunbad ki mujhey to roshani achi lagi
Aaj mahfil mein Niyaazi, naat jo maine parhi
Ashaqan-e-Mustafa ko woh barhi achii lagi
KOO-E-NABI SE
Koo-e-Nabi se aana sa ke ham,rahat hi kuch aisi thi
[Yaad rahi na jannat hamko, jannat hi kuch aisi thi]
Takte rahe Yusuf jaise bhi hashr mein unke chehre ko
Jab poocha to kehne lage woh, surat hi kuch aisi thi
[Yaad rahi na jannat hamko, jannat hi kuch aisi thi]
Bolo eh Jibreel ke unki kyun kar taliyan choomi thi
To kehne lage Jibreel ke unki azmat hi kuch aisi thi
[Yaad rahi na jannat hamko, jannat hi kuch aisi thi]
Duniya me sarkar ki naat parte rahe har ik lamha
Qabr me bhi thi naat labon parr, aadat hi kuch aisi thi
[Yaad rahi na jannat hamko, jannat hi kuch aisi thi]
Akbar-o-asghar aur yeh ghazi deen pe ware has has kar
Yun lagta he deen-e-nabi ki keemat hi kuch aisi thi
[Yaad rahi na jannat hamko, jannat hi kuch aisi thi]
Paas bulaya, paas bithaya, arsh pe unko khaliq ne
Yeh to aakhir ho nahi tha, chahat hi kuch aisi thi
[Yaad rahi na jannat hamko, jannat hi kuch aisi thi]
Qabr mein hakim jab pohnche to has ke nakeeron ne dekha
Kyun na farishte pyaar se milte, nisbat hi kuch aisi thi
[Yaad rahi na jannat hamko, jannat hi kuch aisi thi]
Koo-e-Nabi se aana sa ke ham, rahat hi kuch aisi thi
KEHTI HAI YE PHOOLON KI RIDA ALLAH HU ALLAH
Ashjaar Ke Patton Ne Kaha Allah Hu Allah
Baadal Ne Asmaan Pe Likha Allah Hu Allah
Parbat Ki Qitaaron Ki Nida Allah Hu Allah
Ho Surah-E-Yaseen Ke Surah-E-Rehman
Qur’an Ke Lafzon Ki Sada Allah Hu Allah
Karta Hai Sana Teri Barasta Hua Paani
Darya Bhi Hai Masroof Sana Allah Hu Allah
Khushbu Jurab Ujalay Dhanak Aur Kehkashaan
Zakir Hain Tere Arz-O-Sama Allah Hu Allah
Shabnam Girri Jou Phoolon Pe Parhti Hui Sana
Bulbul Ne Dekh Kar Ye Kaha Allah Hu Allah
Jab Naza’a Ke A’lam Mein Ho Maula Ye Ujagar
Wird-E-Zabaan Ho Zikr Tera Allah Hu Allah
KIS NE NAGHMA CHERA HAI ALLAH HU KI ZARBON SE
Surr Mein Qalb Dharakta Hai Allah Hu Ki Zarbon Se
Is Ski Wahdat Ka Shehra A’lam A’lam Goonja Hai
Wahdat Wahdat Burpa Hai Allah Hu Ki Zarbon Se
Neela Ambar Mehka Aur Farsh Pe Sabza Lehraya
Chehra Jug Ka Sajta Hai Allah Hu Ki Zarbon Se
Allah Hu Ki Ye Zarbein Roz Laga Aey Banday
Ke Shaytaan Pigalta Hai Allah Hu Ki Zarbon Se
Subha Sham Wazeefa Ho Jism-O-Jaan Ka Allah Hu
Raazi Khaliq Hota Hai Allah Hu Ki Zarbon Se
Daryaon Aur Sehraon Kehsaron Mein Goonji Hai
A’lam Baaqi Rehta Hai Allah Hu Ki Zarbon Se
Mere Andar Aur Bahar Khushbu Khusbhu Pheli Hai
Gulshan Jaa Ka Mehka Hai Allah Hu Ki Zarbon Se
Hamd Ujagar Parhta Hai Zarbein Saath Lagata Hai
Kitna Acha Lagta Hai Allah Hu Ki Zarbon Se
KI KI NA KITA YAAR NEY EIK YAAR WASTE
Ki Ki Na Kita Yaar Ney Eik Yaar Waste
Rab Mehfilan Sajayan Ney Sarkar Waste
Dil Yaad Lai Banaya Wey Tareef Lai Zuban
Akhian Baraian Sohry Dey Dedar Wasty
Rab mehfilan Sajayan Ney Sarkar Wasty
Sadqa Nabi De Aall da Bakhshy Khuda Shifa
Mango Duawan Mery Jay Bimar Wasty
Rab mehfilan Sajaian Sarkar Wasty
kaian Noo Rooz Hondy Ney Dedar Aap Dey
Kai Taras Dey Ney Sohry Dey Dedar Wasty
Rab Mehfilan Sajayan Ney Sarkar Wasty
Rehmat Udey Ne Ley Liya Apni Panah Dey Wich
Pay Jado Mey Sohry Dey Do Char Wasty
Rab Mehfilan Sajayan Sarkar wasty
Guzry Niazi Zindage Ishq E Nabi Dey Wich
Naatan Mey Parh da Rawan Sohry Sarkar Wasty
Ki Ki Na KIta Yaar ney Eik Yaar wasty
Rab Mehfilan Sajayan Ney Sarkar Wasty
KIYA MAJAL KISI KI JO SARKAR KI BARABARI KARE
. kiya majal kisi ki jo sarkar ki barabari kare
ungli se hishara karde chand ke tukde ho jai.
sarkar ke aqlaq ki quran jo taarif kare
pyare aqa ke aqlaq se kafer bhi musalma ho jai
mere aqa muqtar hai majboor nahi pyare
mangta aya jo wo sultan ho jai
sarkar namaz me kabe ki samt ruq kare
sahaba kahte the jo sarkar kare wo ho jai
namaz-e-asr ali(raziallahu talla anhu) khaza nahi ada kare
sarkar hishara karde duba huva suraj wapis ho jai
ho nazre inayat hum asiyo par sarkar mere
taake hamari qismat ke sab gardishe dur ho jai
sarkar JABER pe ho jai karam ki nazre
madine me iska lasha dafn ho jai
KONAIN DEY WAALI DA DARBAAR
Konain dey waali da darbaar baraa sohna
So Rab di Madinay da darbaar baraa sohna
Duniya diya safara toh banda thak vi teh jaanda ey
Par safar Madinay da har bar baraa sohna
Sab rastey Madinay dey sanu jaan toh vaad pyaarey
Jeraa roze nu jaanda'ey bazaar baraa sohna
Mujhe Masjid-e-Nabvi di har cheez bari sohni
par Jeraa roze dey naal jure'a minaar baraa sohna
Sarkar jeya sohna aya'e na awna ey
Na Rab ney banaya ey na Rab ney banawna ey
Ungli nu hutawndey ney pey chan nu hilawndey ney
So Rab di'ey chan falki Aqa da khilonaey
Sarkar jeya sohna aya'e na awna ey
Konain dey waali da darbaar baraa sohna
Sadiq, Umar, Usman, Haider toh mey vaari jaa
Meray sohne sohne Aqa da har yaar baraa sohna
Wekho na Zahoori nu nisbat nu zaraa wekho
Mey toj jahaa par meraa ghamhaar baraa sohna
Konain dey waali da darbaar baraa sohna
So Rab di Madinay da darbaar baraa sohna
KYA KHABAR KA SAZA
Kya khabar kya saza mujh ko milti
Mere Aqa ne izzat bachali
Farde isiyan meri mujh se le kar
Kali Kamli mein Apni chupali
Woh aata par ata karne wale
Aur ham bhi nahin talne wale
Jaisi deodi he waise bhikari
Jaisa Data hein waise sawali
Mein ghada hoon magar kis ke dar ka
Woh jo Sultan-e-Kono Makan hein
Yeh Ghulami bari mustanad he
Mere sar par he taj-e-Bilali
Mein Madine se kya agaya hun
Zindagi jaise bujh si gayi hai
Ghar ke andar faza soni soni
Ghar key bahar sama khali khali
Meri Umr-e-Rawan bas thehar jaa
Ab safar ki zuroorat nahin hai
Unke qadmon mein meri jabeen hai
Aur haathon mein Roze ki Jali
Mein faqat naam lewa hun Unka
Unki tawseef mein kya karoonga
Mein na Iqbal, Khusro na Saadi
Mein na Qudsi na Jami na Hali
Kya khabar kya saza mujh ko milti
Mere Aqa ne izzat bachali
KYUN KAR NA MERE DIL MEIN HO ULFAT RASOOL KI
Jannat Mein Le Kar Jayegi Chahat Rasool Ki
Chalta Hoon Mein Bhi Qaafilon Walon Ruko Zara
Milnay Do Buss Mujhay Bhi Ijazat Rasool Ki
Poochay Jou Deen-O-Iman Nakeerayn Qabr Mein
Uss Waqt Mere Lab Pe Ho Midhat Rasool Ki
Tarpa Ke Unke Qadmon Mein Mujhko Giraday Showk
Jiss Waqt Ho Lehed Mein Ziyarat Rasool Ki
Sarkar Ne Bulakay Madina Dekha Diya
Hogi Mujhe Naseeb Shifa'at Rasool Ki
Ya Rub Dekha De Aaj Ki Shab Jalwa-e-Habeeb
Ik Baar Tou Ata Ho Ziyarat Rasool Ki
Tou Hai Ghulam Unka Ubaid-e-Raza Tere
Mehshar Mein Hogi Saath Himayat Rasool Ki
L - LAGIYAN NE MOJAN HUN LAAYI RAKH SONIYA,
Lagiyan ne mojan hun laayi rakh soniya,
Chang e aan ke mande aan nibhayi rakhin soniya
Aaqa de ghulaman da mein adna ghulam aan,
Loki kehnde khas mein te amaan tu wii aam aan,
Parda je paaya he te paayi rakhin soniyan,
Chang e aan ke mande aan nibhayi rakhin soniya,
Lagiyan ne mojan hun laayi rakh soniya,
Chan ge aan ke mande aan nibhayi rakhin soniya.
Kisse no mein apna dukhra sunaya nayi,
Tere baajon kisse menu seene naal laaya nayi,
Seene naal laaya aye te laaye rakhin sonya,
Chan ge aan ke mande aan nibhayi rakhin soniya,
Lagiyan ne mojan hun laayi rakh soniya,
Chan ge aan ke mande aan nibhayi rakhin soniya
Naa tera leke Aaqa shaan mein wee paa e ay,
Tere haath dor sainya aap hee charaee e,
Chare hue rang nu charayi rakhi soniya,
Chan ge aan ke mande aan nibhayi rakhin soniya,
Lagiyan ne mojan hon laayi rakh soniya,
Chan ge aan ke mande aan nibhayi rakhin soniya…
Naa tera leke Aaqa, ghulaam sare saje ne,
Kasam Khuda dee tusan aib saare kaje ne,
Lukke hu e aiban nu lukei rajhi soniya,
Chan ge aan ke mande aan nibhayi rakhin soniya,
Lagiyan ne mojan hon laayi rakh soniya,
Chan ge aan ke mande aan nibhayi rakhin soniya…
Hashr dihare jaddon amlan tu tolnan,
Sharm de maare mein tay kujh nayi bolna,
Chadar wich apni luk e rakhi soniya,
Chan ge aan ke mande aan nibhayi rakhin soniya,
Lagiyan ne mojan hon laayi rakh soniya,
Chan ge aan ke mande aan nibhayi rakhin soniya
Zia o diyaal da, baniya ghulaam mein,
Ehde naalo wad aur lena ki naam aey,
Bharya ghulaam te, bharayi rakhi soniya,
Chan ge aan ke mande aan nibhayi rakhin soniya
Lagiyan ne mojan hon laayi rakh soniya
Chan ge aan ke mande aan nibhayi rakhin soniya
LAB PE NAAT PAAK KA
NAGHMA KAL BHI TA
By Janab Sabhi Rahmaani
Lab pe Naate Paak ka naghma kal bhi ta aur aaj bhi he
Meri Nabi se mera rishta kal bhi ta aur aaj bhi he
Past who kaise hosakta he jis ko Haqq ne buland kiya
Dono jahan me Un ka charcha kal bhi ta aur aaj bhi he
Aur kissi jaanib kyu jaa?e aur kissi ko kyu dekhe
Apna sub kuch Ghumbade Khazra kal bhi ta aur aaj bhi he
Fikr nahein he hum ko kuch bhi dukh ki dhoop ghari to kya
Hum par unke fazl ka saaya kal bhi ta aur aaj bhi he
Batla do Ghustaaq Nabi ko ghairat Muslim zinda ho
Deen pe mar mitne ka jazba kal bhi ta aur aaj bhi he
In ke Dar se sub ho aaye jaana saka to ekh Sabhi
Ye ke ekh Tasweer tamanna kal bhi ta aur aaj bhi he
LAZZATE ISHQE NABI DIL ME CHUPAE RAKNA
By Janab Raaz Ila?Abaadi
Lazzate Ishqe Nabi dil me chupae rakhna
Ye khazaana he luteron se bachaa?e rakhna
Apni ankhon me Madina ko basaa?e rakhna
Sabse Ghumbad se nighaa?on ko laghaa?e rakhna
Jaane Imaa bhi wahi haasil Imaa bhi wahi
Yaade Sarkaar ko seene se laghaa?e rakhna
Aaj jaahil bhi he Aalim ka libaadah awreh
Aise mullah-o se Imaan bachaa?e rakhna
Ghulshane Tayba ke kaante hi bohot he mujhko
Kaghazi phoolo se daaman ko choepa?e rakhna
Rabbe Kaaba ke liye sar ko jhuka na lekin
Jaane Kaaba ki taraf Aas laghaa?e rakhna
Tere Sajdo ko bhi mil jaa?e ghi Me?raaje wafa
Sar jukhana to zara dil bhi jhuka?e rakhna
Warafa?na laka zikrak he unhi ki khaatir
Raaz is raaz ko seene se lagha rakhna
LIKH RAHA HOON NAAT-E-SARWAR SABZ GUMBAD DEKH KAR
Kaif Taari Hai Qalam Par Sabz Gumbad Dekh Kar
Hai Muqaddar Yaawri Par Sabz Gumbad Dekh Kar
Phir Na Kyun Jhoomay Sana Gar Sabz Gumbad Dekh Kar
Masjid-e-Nabwi Pe Pohonchay Marhaba Sallay Ala
Ho Gaya Jaari Zuban Par Sabz Gumbad Dekh Kar
Aap Se Buss Aap Hee Ko Mangta Hai Ya Nabi
Aapka Adna Gadagar Sabz Gumbad Dekh Kar
Dhoop Rozana Madinay Choomti Hai Jhoom Kar
Aur Lipatt Jaati Hai Sabz Gumbad Dekh Kar
Aapki Galiyun Ke Kuttay Tou Mujhse Achay Rahay
Dostları ilə paylaş: |