-page 62 Muawwizatein mei aaooz lafz chupa hai, aein waao zaal = kissi ki panah mei aana
Muawwizatein= wo 2 cheezein jin ki waja se hum panah mei aate hain
Zindagi mei bohat mushkilaat, fitne, sheytaan hain tu 2 suratoan ko inn ke ehmiyat ki waja se muawwezatein kehte hain;
SURAH AL-FALAQ
SURAH AN-NAAS
Fail aur Maf’ool ka faraq:
Muawwazatein: 2 tahaffuz/panah mei di gayii cheezein
Yaha hai muawwizatein: 2 panah dene waali sooratein
Sawaal aur panah talab karne ke liye be-misaal hain ye sooratein
Koi talab – ya beemaari, dukh, pareshani, sheytaan – jis se bhi Allah ki panah mei aana chahein tu ye sooratein bohat khoobsurat hain! Daleel: Imam Nisaayi ne Uqba bin Amir r.a se rawayat ki ke unnhoan ne bayaan kiya; Mei Rasool Allah s.a.w ke saath jaa raha tha tu Allah ke Nabi ne kaha; ‘Ae Uqba, kaho’. Mei ne arz kiya ‘Allah ke Rasool, kiya kahoon’? Aap khamosh rahe, phir farmaya; ‘Uqba, kaho’. Mei ne arz kiya ‘Allah ke Rasool, kiya kahoon?’. Aap s.a.w ne sakoont ehtyaar ki. Mei ne dil mei kaha Ae Allah Nabi s.a.w ko meri taraf matawwaje farymaaiye. (Nabi ne mujhe 2 baar kehne ko kaha aur mei ne nahi kaha, tu Aap khamosh ho gaye. Aap ke dil mei mere bare mei koi bura guman na aaye). Allah ke Nabi s.a.w ne farmaya; ‘Ae Uqba kaho’. Mei ne arz kiya ‘Allah ke Rasool, kiya kahoon’? Phir Aap s.a.w ne farmaya; ’Qul aaoozubi Rabbil falaq’. Mei ne iss surat ko aakhir tak parha tu Aap ne farmaya; ‘Kaho’. Mei ne arz kiya ‘Ae ALLAH ke Rasool, mei kiya kahoon?’. Aap ne farmaya; ‘Qul aaoozubi Rabbin-naas’. Mei ne surat ko akhir tak parha tu Aap s.a.w ne farmaya; ‘Kissi sawaal karne waale ne in aisi 2 cheezoan ke saath sawaal nahi kiya, aur kissi panaah talab karne waale ne aisi 2 cheezoan ke saath panaah talab nahi ki’. (Tawajju ka andaaz dikh raha hai, ho sakta hai pehli dafa kaha tu unn ki tawajju na ho) Allah ke Nabi s.a.w pe jaadoo hua tha jo aik yahoodi Laqeeb bin Asim?? Ne apni betiyoan ke zariye kissi tarah Aap s.a.w ke baal haasil kar ke karwaya. Unn baaloan mei girhein lagayein, zarwal naam ke kunwe’ ke ander unn ko chupaa diya. Iss ka asar Allah ke Nabi s.a.w ki yaad daasht pe ho gaya, lekin deen ke muamale mei nahi. Aap taharat ke kuch masayeil bhoolne lage yaani ye yaad nahi rehta tha ke mei ne gussal karna hai ya nahi. Sheytaan ka yehi pasandeeda raasta hai ke logoan ko ganda rakhta hai taake wo deen se door rahein aur gandi baatein unn ke diloan mei daalta hai.
Allah Tallah ne ye 2 sooratein naazil keen aur aik aik ayat ke saath aik aik girah khulti gayii. Uss ke baad kabhie koi aisa asar ya kissi pe koi jadoo tona hota tu Allah ne Nabi issi ke zariye ilaaj karte the. Inn sooratoan mei Allah ki tawheed-e raboobiyat, aloohiyat, asma o siffat hian – tu sheytaan tu aik dafa Allah ka naam sunn ke door bhaag jaata hai tu jaha itni dafa Allah ka naam aaye gaa tu wo kaise thehr sakta hai?
Yaqeen shart hai, iss ke begair kaam nahi ho gaa!
Muawwizaat ka subah sham 3 baar parhne ka har cheez se kifayaat karna
Daleel: Imam Bukhari, Tirmidhi, Nisaayi ne Abdullah bin Habeeb r.a se ye rawayat naqal ki, unnhoan ne bayaan kiya ke hum aik baarish aur shadeed tareeki waali raat mei Rasool Allah ki talaash mei nikle taake wo hame namaz parhayein. Unnhoan ne bayaan kiya; pass mei ne an’hazrat s.a.w ko dhoond liya tu Aap ne farmaya; ‘kaho’. Mei ne kuch na kaha, Aap ne farmaya; ‘kaho’. Mei ne kuch na kaha. Aap ne phir farmaya; ‘kaho’. Mei ne arz kiya; ‘mei kiya kahoon’? Aap s.a.w ne farmaya; ‘Qul, qul huwallahu ahad’ aur ‘jab tum sham karo aur subah karo tu Qul huwallahu ahad aur muawwizatein 3 martaba parho. Aisa karna tumhe har cheez se kifaayat kar de gaa’.
*** Daura Quran 2012 - Para 14 - Surah Hijr *** Theme of Para: Na shukriyoan ka rawayya -Poora Para aur khaas tor se Surah Nahl shukar aur na-shukri ke rawayyoan ko zaahir karta hai
-Surah Hijr, Ayah 2 mei na shukri ke asbaab dekhein ge qomoan ke
-Surah Nahl mei bunyadi mazmoon - shirk ki nafi
-Uss basti ka haal jis ne Allah ki nematoan ki na shukri ki aur azaab ka shikar ho gaye ACTIVITY: Jaha bhi na shukri ki baat aaye, note kar lein aur apna muhasba karein Questions answered in this Para:
Na shukri ki bunyadi waja kiya hoti hai?
Shehad ki makhi ko kiya wahi ki gayi thi?
Sitaroan ko banane ka kiya maqsad hai?
Aik tawheed parest aur aik mushrik ke aqeeda mei kiya faraq hota hai?
Jab insan ko maut aaye gi tu farishte iss ke paas aa ker kiya kahein ge?
Najoomiyoan ki baat ko maan na shirk ke kis daairey mi ata hai?
Aasmaan o zameen aur iss ke darmayaan mei aqal walon ke liye kiya kiya nishaniyaan hain?
Jab asbab aur wasaeil jawab de dein tu kon kaam aata hai?
Dawat aur tableegh kis tareeqay say karnay ka hukum hai ke zyada se zyada log uss ko maan sakein?
Betiya rehmat hain ya zehmat, Islam iss bare mei kiya kehta hai?
Betoan ko lene ke liye dar dar ki thokrein khana behter, ya Allah se dua karna?
*** Surah Al-Hijr *** Tarteeb se 15th Surah, Tarteeb-e Nazool se 54th – Makki Surah Pichli qomon kay tazkeray hain. Makkah ke us dor ki hai jab Allah ke Nabi s.a.w ko jhutlaane ka silsala barhta jaa raha tha tu pichli qomoan ke qisse suna ker yaad dilaya gaya ke tumhare saath bhi wo ho sakta hai jo pichli qomoan ke saath hua kyoun tumhara rawayya bhi nabi ke saath waisa hai jaisa unnka apne nabiyoan ke saath tha! 15:18
Ashab ul Hijr – Hijr aik basti ka naam hai aur pathar ko bhi kehte hain. Ayah 1
is ko yeh soch ker sun-na kay yeh breaking news hain Ayah 2
Kaash hum nay nabyion ke baat mani hoti
aur Allah ke nezer may bara aur khud ko chota banaya hota
aisay logon kay sath kia mamla kero, Allah bata rahe hain; Ayah 3-5
Allah insaan ko uski ghalflet aur khush gumaniyoan ke tilsam say nikal rehay hain
kay aj mazay ker lo, wo waqt door nahi kay apnay ap ko tum Allah ke is naimet say door ker kay khushqismet ya mutmain samjho
kafir khawaish keray ga kay kash may muslim hota, wo din door nahi – Baaz kehte hain kafir apni maut ke waqt har kaafir azaab ko dekh ke ye khawahish karta hai. Rawayat milti hai ke Allah Tallah jab qayamat ke din jannat aur jahannum de dein ge tu wo log jo the musalman lekin gunahgaar the, tu agar Allah chahein ge tu unn ko saza ke tor per jahannum mei daalein ge jahan kafir bhi hoan ge. phir muslim aik waqt kay baad nikalay jain gay , kafir sochain gay kay ab humain be nikala jaye ga , us waqt unki ye ghalat fehmi door ki jaye ge kay nahi ab nahi
us waqt kafir khawhish keray gay kay kash hum muslim hotay! Duniya mei agar islam apni gaalib kaifiyat pe ho tu har musalman ko dekh ke kafir ke khayal mei ye zaroor aana chahiye ke kash mei musalman hota.
Kiya hum apne aas paas rehne waloan ke liye aisa role model dikhte hain? Kiya hamare chehre pew o itmenaan aur hamare dil mei wo khushi dikhti hai ke kafir hame dekh ke hasrat kare??
Aaj tu musalman kehte hain lau kaanu kafireen! Sochne ki baat hai!!! ager muslims mehnat kerain aur apni zindasgi ko baa maqsad banayin tu aaj bhe kafir kehain gay kay kash may muslim hota!
is liay Allah humain paighaam deta hai kay apni identity pehchaano!
jub muslims ghairon kay kapray pehanta hai, rang dhang, bol chaal har cheez mei tu wo humain dekh ker khush hotay hain ke hamari utran hi pehte ho, hum se impressed ho!
Aaj humain yaqeen ho jaye kay Allah ny humain behtreen banaya hai!
Kafir kay pass zindagi ka koi maqsad nahi , is liay is he duniya may khata peeeta hai – na wo gor o fikar karta hai, na tadabbur - na uss ki jannat na jahannum! Eat, drink, be merry!
HIGHLIGHT - ya kulu , yatamataooo , yulhihhim
Fa saufa ya’lamoon – tu agar kal unn ko pata chal jaaye gaa aisa karne pe tu agar aaj hum musalman iss tarah hoan ge tu hame nahi pata chalay gaa? Pata tu chaley ga jab hum bedaar hoan ge. Hadees ka mafhoom hai ke log so rahe hain, pata tab chaley ga jab inn ki aankh khule gi.
Aur aankh tab khulti hai jab hum apni zuban mei kehte hain ke fulaa ki aankh band ho gayii. Ayah 6
kis ko keh rehay thay ? nabi s.a.w ko!
HIGHLIGHT: innaka la majnooon
aj humain kehain tu hum kyoun ghebratay hain? Hum sub jannet kay raahi hain! aik rastay per janay walay tamaam logon kay rastay may same milestones aatay hain. Issi tarah jannat ke raaste mei bhi kuch milestones aate hain aik jaise, chahe wo Nooh a.s ka ho ya Nabi s.a.w ka - sacha raasta mukhalafatoan ka hai – sabar, ilzamaat, majnoo, fanatic, bigre huey wageira wageira! agar ye milestone na dikhein tu kuch masla hai, sahi raaste pe nahi hain!
jo log deen ke raaste mei short cuts lete hain tu bohat kuch kam ho jata hai
Nabi s.a.w majnoo kehlaaye gaye, aaj koi kuch keh de tu khush hoan Ayah 7
be jaa mutaalbe! Ayah 8-9
HIGHLIGHT Ayah 9
Jab tak Allah na chahein, log iss quran ke zabar zer mei bhi tabdeeli nahi kar sakein ge!
kisi ne baatil nazrayat ko phelaane ke liye Quran istemaal kiya tu jhat patt khatam ho gaye
musalman iss kitaab pe amal kare tu koi isse tabdeel karne ka mutalba nahi kare ga! Logoan ne tareekh mei sar tor koshishein kii ke kissi tarah Quran ko duniya se badal dein.
Aik baadshah tha, uss ne itna zulm kiya, hukm diya saare Quran ke nus’hay jala do. Karindoan ne yehi kiya, jaa jaa ke gharoan se aur har jaga se quran jala diye. Aik din baadshah ko chalet huey kissi ki Quran parhne ki awaaz aayi, gussa aaya karindoan pe ke tum sab ne mujh se jhoot bola, tum ne kaha jala diye magar mei ne fulaa jaga awaaz suni hai iss ki. Phir unnhoan ne kaha ke Quran ke nus’hay jalaane ko kaha hai, aap ko kiya pata ke ye Quran tu iss qom ke seenoan mei hai!
Tareekh mei sab se pehle Qurra ko, hafizoan ko, deen ke muballigh qatal kiye gaye
ke log iss kitaab ke dushman hain
Dua: Allah meri zaat, amal, soch, tor tareeqe se logoan ko Quran dikhe - Ameen Ayah 10-11
pehle majnoon, doosra yastahziyoon
na shukri ke rawayye - Nabi rahmat ban ke aata hai Allah ka deen sikhane ke liye. Allah ke deen sikhane waale rehmat bante hian, Aalam-e deen, aima karam, imam masjid, hafiz, qurra hazraat – ye kissi shehr ke liye bohat bari nemat hote hain lekin log hawishoan mei hote hain tu dushman ho jaate hain
ke iss se bohat se yaani mazaaq urwaane ke darr se log deen se kuch hadd tak peeche ho jaate hain
kitni der Allah ke raaste ko chorein ge mazaaq urwane ke darr se? Ayah 12 - HIGHLIGHT - Ayat e Tadabbur
jis tarah gosht pakte huey kisi salakh ke ander dala jaata hai, issi tarah se quran salakhoan ki tarah ghusta aur chubhta hai kafir aur jhutlaane waaloan ke dil mei
Dua: Allah ye Quran hamare dil ka noor ban jaaye – Ameen Ayah 13-18
Aaj kuch log sitaroan se qismat ka haal maloom karte hain jo shirk hai.
Sitaroan ko banane ke maqasad;
1) Allah Tallah iss se sheytaanoan ko bhagaate hain - 17
2) Zayyan-nahaLin-nazereen - 16- beautify kiya gaya aasmaan , raat ko kale aasmaan pe sitaare na hoan tu kitna khauf aaye
3) Allah ne iss mei khushki aur tari ke raaste rakhe huey hain Aap ne farmaya Iss ke ilawa jo sitaroan se qismat ka haal maloom kare, haath dikhaaye, najoomi ke paas jaaye aur uss ki baatoan ko maan le tu uss ne uss cheez ka inkaar kar diya jo Muhamadun Rasoolullah s.a.w le kea aye.
40 din tak ibadat qabool nahi hoti haath ki lakeer sirf dikhaane se, ya aisi jaga jaane se - chahe usse maneine ya nahi Ayah 19-22
kabhie hawa, baarish, oxygen, sooraj ki roshni ka tax/bill aya ghar pe? Duniya pe tu har har cheez ka tax lagta hai!
Aaj insaniyat ka jeena muhaal hai – taxes sarr nahi uthaane dete
Allah kehte hain agar hum ne ye khazane logoan ko diye hote tu pata nahi kiya haal ho jaata – shukar hai ke paharoan aur hawaoan ke khazane Allah hi ke haath mei hian Ayah 23
marne pe tax nahi lekin kharche pe kaafi tax hai, jo thori qabar ki jaga aur funeral arrangements wageira
Allah ne hamare liye kitna kuch raka
Dua: Allah hame apni qadar karna sikha de - Ameen
Ye surah Allah ki nematein dikha ke tawheed seekhaati hai, lekin log na-shukray hote hian! Allah zulm nahi karte kissi pe – issi liye kaha;
Ayah 24
Allah ko sab pata chal raha hai, sab ke gunaah sawaab! Ayah 25
insan ko janjhora gaya yaha tak – ab aage asal dikhanyii jaa rahi hai insaan ki; Ayah 26
matti sarri hui, puraani ke sookhe gaare se insaan banaya gaya hai!
hama - keechar jis mei jaraseem paida hoan.
Insan ko jab banaya gaya tha tu pehle matti ko goondha gaya tha, phir jab uss mei jaraseem yanai zindagi ke asraat paeida huey tu insan ki shakal mei dhaala gaya.
Ayat-e Tadabbur
aaj kis baat ki akar hai mujhey?
mumkin tha insan soney se banta, jis Rabb ne paharoan ki tahoan mei itna sona rakh diya jo abhi tak daryaaft nahi hua tu Innallaha ala kulli shayin qadeer!
lekin agar hota tu hota kiya, kiya zameen pe sajda karta?
matti ka ban ke kitna akarta hai aur agar soney, chandi, here ka hota tu kiya hota?
bara ban-ne ko dil chahe Allah ki baat ke muqable mei tu ye ayat yaad kar lein!
ACTIVITY: mirror mei iss ayat ke tarjume ko likh ke laga lein urdu mei Ayah 27-29
Allah ki shan - kamzor makhlooq ke aage itni bari makhlooq ko jhukaaya gaya
matti ki bohat khoobiyaan hai
Allah ne insanoan ki naslein chalani thein, iss liye matti se paida kiya
matti ke wajood mei growth hai, issi liye har cheez jo matti mei jaati hai tu aur cheezein ugti hain!
Phal ka aik bheej zameen mei jaata hai, bail ugti hai aur phir poora darakht jo phal se bhara hota hai Allah ke hukam se!
Ayah 30-36
iman bil akhira sheytan ka bhi hai Ayah 37-41
HIGHLIGHT - 41 - Ikhlaas ka raasta – aise shakhs pe sheytaan ka bass nahi chale gaa!
ikhlaas wo raaz hai jo farishtoan ko bhi pata nahi chalta
jis niyyat se hum koi kaam karte hain koi nahi janta Allah ke siwa
Allah ke nabi ne bataya ke sab ke saath sheytaan hai. Log heraan huey ke Allah ke nabi aap k abhi sheytaan hai? Kaha haan lekin Allah ne uss ko musalman kar diya hai ke wo mujhey ab burayii ki dawat nahi de sakta! Sab ke saath aik sheytaan aur aik farishta laga hua hai, sheytaan hame burayi ka hukam deta hai aur farishta naiki ka – Hum aik dafa farishte ki maan lein ge tu aahista aahista farishte se dosti ho jaaye gi, phir baaqi naikiyaan asaan ho jaati hain.
jis ki manein ge wo raasta asaan ho jaaye ga. Mukhlis banda bilakhir sheytaan ke chungle se azaad ho jaata hai!
39 - mera rabb - tawheede raboobiyat Inn 10 cheezoan se sheytaan ko door kar sakte hain jo khulle aam keh raha hai hame jannat se door kare ga;
Hadees mei aata hai ke 100 baar la illaha illallahu wahdahu la shareekalahu lahul mulkoo wahuwa ala kulli shayin qadeer subah uth ke parhne se insan sheytaan ki chungle se azaad ho jaata hai
Zikr e ilaahi – Hadees mei aata hai ke insan ke dil pe sheytaan ne apni thothani rakhi hui hai. Aik aur Hadees ka khulasa hai ke Aap s.a.w ne farmaya; sheytaan machar ke dank aur aik hadees mei aata hai haathi ki soondh ki tarah insan ke dil pe nazar rakhta hai aur junhi banda zikr se gaafil hota hai tu uss per hamla kar deta hai.
Zikr karne pe sheytaan door bhaagta hai aur gaafil hone pe waswase daalta hai.
Ba wazu rehna aur aur 5 waqt ki namaz ada karna
Fazool khaane se parheiz karna
Bekaar baatoan se parhaiz
4 cheezoan se sheytaan insaan ko mareez bana deta hai;
zyada khaana
zyada nazroan ka dorana yaani chaka chaki
zyada socialise karne se, ghar rehne se insan secure hota hai
zyada baatein karne se
Agar ye dekhna chahte hain ke mere ander sheytaan ka asar hai ya nahi? Tu apna dil check karein, jo hamara zameer hai. Momin ka tarazoo ki tarah hota hia, aik palra bhi idher se udher jhuke tu usse pata lag jaata hai.
ita'at , ibadat,. Muamalaat – har waqt momin inn ko check karta rehta hai! Zara 19/20 aaye tu pata chal jata hai iman ka level low hai
walaoogwiyyanhum ajmaeen - sab ko kidnap karne ki dhamki de raha hai sheytaan Ayah 40 - 41
Dua: Allah hame ikhlaas de dein – Ameen
Ikhlaas na ho tu din ba din insan deen se door hota hia! Ayah 42-43
Ye darwaze gunahoan ke, masiyat ke hain jin pe chalk e insaan galat kaam karta hai! Maslan, Jo Allah ko nahi manta tu wo dehriyat ke darwaaze se jaaye gaa, koi nifaaq ke darwaze se, koi fisq ke, koi fajoor ke, koi zina ke, koi sharaab ke – naajaane kitne darwaze hain jin se bach ke guzarna hai! Yehi taqwa hai. Hazrat Umer r.a se kissi ne aik moqa pe poocha ke taqwa kiya hai? Tu kehne lage kabhie tum kisi jungle mei se jis mei dono taraf kantoan wali shahein ho guzre ho? kaha haan , poocha kaise guzarte ho?Kehne lage bohat daman samait ke, kaprey lapait ke, idher se udher bachte bachaate guzarte hian. Tu kaha yehi taqwa hai!
Duniya itni haqeer aur gandi, lekin attraction!!
sheytaan ka kaam: gande ko khoobsurat karna
sabse pehle na shukri iblees ne ki, yehi karne pe insan ko maeil karta hai! Ayah 45-46
Allah hame inn mei kar dena - Ameen Ayah 47-48
Baaz dafa 2 naik logoan ki bhi aapas mei nahi lagti. Tu Allah Tallah farmaa rahe hain; Wa naza’na maa fii soodoorehim….
Hadees mei aata hai ke Jannat se baahir aik nehare hayewaan hai. Allah jab uss mei mominoan ko daalein ge tu dil dhul jayein ge. Saaf sheeshe ke dil
Niyyat karein - Aaj apne diloan ko paak karna hai inshAllah, Bara na shukra pan hia ke insan wo dil jis mei Allah ki muhabbat hai waha gandagi jama rakhe.
Allah ke liye doosroan ko muaf karein. Dil saaf aur khush ho ga tu khud mei wussat payein ge!
Allah ke Nabi ne aik moqe pe kaha ke jo shakhs idher se guzre gaa wo jannati hai. Log soch mei parr gaye kon guzre gaa. Phir dekha aik sahabi guzre, wazu ka paani unn ki daari se tapak raha tha. Sahabi ko tajassus hua. Unn ke ghar gaye aur kaha kissi waja se qasam khaa betha hoon apne ghar nahi rahoo gaa 3 din, aap meri madad karein. Uss ne kaha shoq se rahiye . 3 din ke baad jab jaane lage tu sach bata diya ke Allah ke nabi se aap ke bare mei suna tha tu aap ka wo amal dekhna chah raha tha jo jannati hai. Lekin mujhe aap ke saare amal wohi dikhein hain jo mere bhi hain. (uss mei tahajjud ka tazkara bhi tha). Tu kehne lage bhai mere paas koi amal nahi, bus aik baat ke mei kabhie kisi doosre momin ki koi nemat koi khoobi dekh ker dil mei hasad mehsoos nahi karta. Ayah 49
jo mehnat karni hai iss duniya mei hi kar lein
thori se mehnat, kitna rehna hai yaha? Ayah 50 - Ayat e tadabbut
takraar se ye ayat
ghaffor raheem kis ke liye ALLAH swt?
jo gunah kar ke tauba kar ke palat aaye aur phir naikiyoan pe jama rahe